Ghazwa-E-Badr
Total Page:16
File Type:pdf, Size:1020Kb
INDEX S. No. Chapters Page No. Quiz 2: Madani Period (Part I) (Page No. 01 to 120) Quiz 2: Madani Period (Part II) (Page No. 121 to 155) Quiz 2: Madani Period (Part I) (Page No. 01 to 120) 1. Madina mein Nabi Kareem ke ibtidaee a’amal 04-07 2. Musalmano ko jihad ki ijazat 07-10 3. Jung e Badr 11-17 4. Banu Qainuqa ki jila watani 18-19 5. Gazwa e Saweek 18-19 6. Ka’ab bin Ashraf yahudi ka qatl 19-20 7. Gazwa e Uhad 21-34 8. Razi’ aur Baire Mauna’ ke haadse 35-39 9. Gazwa e Banu Nazeer 39-41 10. Gazwa e Badr 2 41-42 11. Gazwa e Bani Mustaliq aur waqea e ifq 42-48 12. Gazwa e Khandaq ya Ahzaab 48-57 13. Khandaq ke baad ke 2 aham waqea’at 57-61 14. Sulah Hudebia 61-77 15. Baadshahon ke naam khutoot 77-88 16. Gazwa e Ghaaba ya Gazwa e Zikirad’ 88-90 17. Gazwa e Khyber 90-100 18. Gazwa e Zaturriqa’ 100-102 19. Umarh e Qaza’ 102-105 20. Jung e Muta’ 105-110 21. Sarriya e Zatusslasil 110-112 22. TARMEEM /AMENDMENTS) 113-113 23. Glossary 114-120 Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 1 Maktaba Al-Faizi Urdu in Roman script Arrahiqulmakhtoom,Tajalliyat‐e‐Nuboowat (Safiur‐Rahmaan Mubarakpuri) aur Zaadul ma'ad(Ibn e Qayyim) se makhooz Seerat-e-Rasool (Sallallahu a'laihi wa sallam) Quiz-2 (Nabi "# ki Madani zindagi-1) Muallif Hafiz Muhammad Sajid Usaid Nadwi Maktaba Al-Faizi Beside Orang Honda. Surya nagar,Tolichowki,Main Road Hyderabad. Telangana 500008. Mob:9121356615 Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 2 Maktaba Al-Faizi Jumla Huqooq mahfooz hain Naam kitab : Seerat-e-Rasool Quiz -2 Muallif : Hafiz Muhammad Sajid Usaid Nadwi Nashir : Maktaba Al-Faizi,Hyd. Ta'daad : 1000 1st Edition : July 2018 Qeemat: RS 84/= Milne ke pate: Maktaba Al-Faizi H. No.- 8-1-21/146, Mirza Arcade,Beside Orang Honda Surya nagar,Tolichowki,Main Road Hyderabad.(T S) 500008 .Ph- 9494511336, 9121356615 Maktaba Al-Usaid,Hakeempet,Tolichowki,Hyd. Al-Athar Islamic Center,Purani Haweli,Hyd. Huda Publications,purani haweli Hyd. Tawakkal Islamic Book center Fateh darwaza,Hyd. Maktaba As-Sunnah,Mumbai. Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 3 Maktaba Al-Faizi Pesh-e-Lafz Allah Ta'ala ke fazl o karam se Seerat e Rasool] ka doosra hissa aapke hathon mein hai,Mashhoor e zamana kitaab Arraheequl makhtoom ke muallif Shaykh Safiurr- ahaman Mubarakpuri rahimahullah ne Nabi] ki Madani zindagi ko 3 marhalon mein baanta hai,yeh hissa doosre marlhale tak ke haalaat wa waqe'aat ki tafseel par mush- tamil hai,is marhale ke waqe'aat mein se sirf Fath e Mak- ka ka wae'aa agle juz ka hissa hoga. iradah ye tha ke isi hisse mein is silsile ko khatm kar diya jaaye,lekin suwalaat wa jawabaat ki kasrat aur safh- aat ke ziyada ho jaane ki wajah se ise ghazwa e Zatussa- lasil tak hi rakhna munasib samjha gaya,is tarah se ab Roman mein is ke teen hisse honge. ghazwa e Zatussalasil' tak Seerat ka hissa musalmanon ki badi aazmayish ka hissa hai,is hisse mein kayi jungein pesh aayin aur musalmanon ko badi jaani aur maali aaz- mayishon se guzarna padha,ye silsila Jung e Badr se shuroo' ho kar Jung e Muta tak phaila hai,han Jung e Khandaq ke ba'd Nabi ] ne aik khas soorat e hall ki peshgoyi farmayi thi,app ne kaha tha: "ab ham un (Makkah waalon aur mushrekeen) par chadhayi karenge woh ham par nahi". Ham ummeed karte hain ke in shaallh is ka muta'ala hamare liye badi 'ibraton aur nasihaton ka zari'a banega. Allah ta'ala se du'a hai ke woh is koshish o mehnat ko qabool farmaye aur logon ko is se fayida pahucha kar unki aur hamari dunyawi aur ukhrawi kamiyabi ka zari'a bana de, aameen. Muhammad Sajid Usaid Nadwi Maktaba Al Faizi, Tolichowki,Hyd Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 4 Maktaba Al-Faizi Œ Qiyam e Madeena se Fath e Makka' tak Madeene mein Nabi] ke ibtedayi a'amaal: Q:1 Nabi] ne Madeene mein sab se pahle kaunse kaam anjaam diye? Ans:Nabi ] ne Madeene mein pahle jo kaam kiye , unmein se aik Masjid e Nabawi ki ta'meer hai,doosra Muhajereen aur Ansaar ke darmiyan bhaichara qayim karna hai aur teesra Madeene mein maujood Yahood aur mushrekeen se mu'ahada karna hai. Q:2 Nabi ] ne jo masjid ta'meer ki uske liye zameen kahan se aur kaise faraham huyi? Ans:yeh masjid usi jagah ta'meer ki gayi jahan aap ki ountni baithi thi,yeh jagah 2 yateem bachchon ki thi,ise aap ne un se khareed liya,taqreeban 100 hath lambi aur 100 hath chaudhi zameen thi,is par mushrekeen ki kuch qabren aur kuch darakht the aur kuch hissa weerana tha. Q:3 Masjid ki ta'meer shru' karne se pahle aap ne qabr aur darakhton ka kia kiya? Ans:Masjid ki ta'meer shuroo' karne se pahle aap] ne qabren ukhadhwadin aur darakhton ko katwakar unhen qibla ki jaanib lagwadiya. Q:4 yeh masjid kin cheezon se banayi gayi? Ans:Is masjid ki deewaren mitti aur kachchi einton se uthayi gayiein,farsh par ret aur kankariyan bichayi gayin aur chhat khajoor ki shakon ki thi jabke shahteer khajoor ke tanon ke the. Q:5 Is masjid ki bunyaad kitni gahri thi? Ans:Is masjid ki bunyaad teen haath gahri thi. Q:6 Masjid mein darwaaze kitne the? Ans:Masjid mein 3 darwaaze the. Q:7 Masjid ka qibla kis janib tha? Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 5 Maktaba Al-Faizi Ans:Masjid ka qibla shimal(north)ki jaanib Baitul maqdis ki taraf tha. Q:8 Kia masjid ki ta'meer mein Nabi] ne bhi hissa liya? Ans:Ji han!Nabi] bhi muhajereen aur ansaar ke saath paththar aur einten dhote rahe. Q:9Masjid ke baazoo mein aap] ne kitne hujre ta'meer karwaye aur kin ke liye? Ans:Masjid ke baazoo mein aap] ne mitti aur paththar se 2 hujre ta'meer karwaye,unke chat khajoor ki shakhon aur tanon se tyyar kiye gaye,unmein se aik hujra Hazrat Sauda bint e Zam'ah raziyallahu anha ke liye aur doosra Hazrat A'aisha raziyallahu anha ke liye tha. Q:10 Hazrat A'aisha raziyallahu anha kab rukhsat ho kar Nabi] ke yahan aayein? Ans:Hazrat A'aisha Shawwal 1 hijri mein rukhsat ho kar Nabi ] ke yahan aayin. Q:11 Masjid ki ta'meer ke ba'd jab musalman ba jama'at namaz padhne ke liye masjid mein aane lage to unhon ne kia zaroorat mahsoos ki? Ans:Masjid ki ta'meer ke ba'd jab musalman ba jama'at namaz padhne ke liye masjid mein aane lage to unhon ne yeh zaroorat mahsoos ki ke koi aisi alamat mut'ayyan ho jis se tamam logon ko waqt ka pata chal sake aur woh aik waqt mein masjid mein pahunch saken. Q:12 Is silsile mein Hazrat Umar” ne kia mashwara diya? Ans: Is silsile mein Hazrat Umar raziyallahu anhu ne yeh mashwara diya ke kisi aadmi ko muqarrar kar diya jaye jo waqt par "Assalatu jami'atun(namaz jama' karne waali hai)"ke alfaaz pukar diya kare. Q:13 Phir azaan ki ibteda kaise hui? Ans:Phir azaan ki ibteda aik khawab ke zari'ae hui jise Hazrat Abdullah bin Zaid bin Abd e rabbih Ansari” ne Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 6 Maktaba Al-Faizi dekha aur jis mein unhen azaan ke kalimaat sikhaye gaye,Nabi] ne unke khawab ke baare mein farmaya ke"ye sachcha khawab hai"aur unse farmaya ke ye kalimaat Bilaal ko sikhlado,isliye ke unki aawaaz unchi aur sureeli thi. Q:14 Jab Hazrat Bilal” ne azaan di to Hazrat Umar ” kis tarah Nabi] ke paas pahunche aur kia 'arz kiya? Ans:Jab Hazrat Umar” ne azaan ki aawaaz suni to apni chadar ghaseette huye aaye aur arz karne lage "wallah! main ne bhi isi tarah ka khawab dekha hai" Q:15 Nabi] ne muhajereen aur ansaar ke darmiyan jo bhai chara karwaya uska kia matlab tha? Ans:Nabi] ne unke darmiyaan jo bhai chara kar- waya,uska matlab yeh tha ke muhajir ab ansaar ka bhai hai aur rishtedaaron ki bajaye ab wahi aapas mein maut ke ba'd aik doosre ke waaris honge,ba'd mein wirasat ki baat mansookh ho gayi,han bhai cahara qaaim raha. Q:16 Bhai chara qaaim karne ka ye amal kis jagah anjam paya aur kitne logon ke darmiyan? Ans:Bhai chargi ka ye amal Hazrat Anas” ke makaan par anjaam paya aur ye amal kul 90 aadmiyon ke darmiyan anjam paya,aadhe muhajir the aur aadhe ansaar. Q:17 Bhai chara qaaim ho jane ke ba'd ansaar ke logon ne Nabi] ke saamne kia baat rakhi? Ans:Bhai chara qaaim ho jaane ke b'ad ansaar ke logon ne Nabi] par apni khajooron ke baaghaat pesh kiye aur arz kiya ke inhen aap] hamare aur muhajereen ke darmiyan taqseem farma den. Q:18 Nabi ] ne jab ise manzoor nahi farmaya to ansaar ke logon ne kia darkhwast ki? Ans: Nabi ] ne jab ise manzoor nahi farmaya to ansaar ke logon ne ye darkhwast ki ke "phir aap log kaam Seerat-e-Rasool] Quiz 2nd 7 Maktaba Al-Faizi kardiya karen aur ham phalon mein aap ko shareek kar lenge,Nabi] ne ise manzoor farma liya. Q:19 Sa'd bin Rabi' ansari” kis muhajir ke bhai banaye gaye the aur Sa'd ne unse kia kaha? Ans:Sa'd bin Rabi'” ko Hazrat Abdurrahman bin 'Aauf ” ka bhai banaya gaya tha,Sa'd ” ne unse kaha ke mera maal aadha aadha taqseem kar lo aur meri 2 biwiyan hain,un mein se jo tumhein pasand ho main use talaaq de deta hun ,'iddat guzarne ke ba'd tum us se shadi kar lo.