Swar Vanshi Ke Shabda Nupur Ke.Pdf
Total Page:16
File Type:pdf, Size:1020Kb
ShriSwamini Kripaashtak Kripa Kataaksh jaasu ki anant lok-paavini | Katha-prabha-keli ki samast taap-taashini || Sunaam sidh Radhika, ashesh siddhi daayini | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 1 || Jinki kripa kataaksh anant lokoan ko pavitra karne wali hai, (Tav kathamritam tapt jeevanam viharanam cha te dhyan mangalam) jinki keli pravah ki katha samast tapoan ko nasht karne wali hai, tatha "Raadh" sansiddhau apne Radha naam se hi swatah sidh hai, va samast siddhiyon ki datri hai, brahmparyat ko bhi ras siddhi ko bhi ras siddhi dene wali hai | Ve subhdrishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein || 1 || Anant poorna chandrama lajaavini sushobhite | Anant chanchala nikaay mardani sugaurte || Anant maar chaap bhajni subhau bhangike | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 2 || Poornma ke anant chandra-mandaloan ko lajjit karne wali jo unse bhi adhik shobhit hai, jinki gaurta anant daaminiyon ke samuh ko bhi paraast kar deti hai, jinke bhru mandal ki bhangima anant kaam-kodandon ka bhajan karne wali hai - ve subh drishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||2|| 9 Sudivya prem saarroop vigrahe pramodini | Tarangini surangini nikunj-manch raajini || Swakaant krodashaayini vilaas-madhya hasini | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 3 || "Devi kripamayi prokta radhika pardevta | Sarvalaxmimayi sarvakantih sammohini para" sarvatha amanvidevi, jo mahabhav aadi saarroop divyaprem ke bhi saar vigrah wali sada pramod roopini rangotsavon ki tarangon se yukt nikunj-paryakpar viraajne wali hai apne kaant ke god me shayan karne wali vilaas-madhya haasyayukt ho jaati hai, ve subh drishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||3|| Naveen prem maadhuri prapoorite kishorike | Naveen bhaw bhavite naveen-divya-gorike || Naveen naagrendra-gopmauli-chit-chorike | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 4 || Jo navanvaaymaan prem ke maadhuri se bhari hui nitya kishori hein, sada hi abhinav bhaavon se yukt hokar divya-nootan-naayika hi bani rahti hai | Isi se nitya-naveen- naagar-shekhar-gop-chudamani shrikrishna ke chit ko churane wali hein, ve subh drishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||4|| Sada uroj-yugma pai sukaant moorti-dharini | Anang rang varshini praharshini gayandini || Raseshvari brajeshvari prapann shok shoshini | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 5 || Jo sada vihar kaal me apne yugal-vakshojon me prati-bimvit sundar vallabh shrikrishna- vigrah ko dharan karke anangutsavon ki varsha karti hui praharshit hokar gajgaamini 10 chalti hai | Jo ras ki ishvari hai | Braj ki ishvari hai | Ve subh drishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||5|| Bhramatsu-bhringsampute padaarbindnoopure | Nitamb bimb kinkini maraal shabd shabdite || Khanatkhanatsuhast-padam-choorike varprade | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 6 || Jinke shricharan-kamlon me shabddaaymaan noopur, kamal-kosh me urte huye bhramar pankti ke samaan naad kar rahe hein, jinke shronimandal me kinkini samuh raajhanson ke kwan ke samaan kalrav karta hai, jinke sundar karkamlon me khankhanati hui churiyaan hein, ve var dene wali evam subhdrishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||6|| Milind nandlaal ki prafull hem-padmini | Chakor nandsoonu ki himanshu bimb roopini || Praveen meen shyam ke vihaar ki tadaagini | Subhekshane kripamayi prasanna hwai kripa karo || 7 || Nayak shiromani nandlaal bhramar ke liye jo khili hui swarnkamlini hai, nand-nandan chakor ke liye jo chandra-bimb roop wali hai,ati praveen shyam sundar meen ke liye jo vihaar hetu sarovar roopa hai | Ve subh drishti wali kripamayi prasann hokar humpar kripa karein ||7|| Alind bhanumandire sakheen sang khelini | Kalind nandini nikunj mandire sukelini || Nikunj gahvare milatsunah vaeg jhelini | Subhekshane kripamayi prasanna paad sir dharo ||8 || Jo vrishbhanu-bhavan ki dehri par sakhiyon ke sang khela karti hein | Jo yamuna-tat nikunj-bhavan me keli-parayana ho, jo nitya vihaar-sthal gahvar nikunj me milan ko 11 praapt hone wale sundar vallabh ke vaeg ke aadhaar roopa hein, ve kripamayi prasann hokar apne shri charan hamare mastak par sthapit karein | STHAYI . Sa - - - - Re Sa Ni Sa Ni Dha Pa Ma Ga Sa Ga Kri pa S ka ta S ksh Ja S su Ki S A nan S t Pa Ma Ga Re Ga Re Sa - - Sa - - Ga - - Lo S k Paa S va ni S Ka tha S Pra va S h Ma - - - - Ga Sa - Ga Pa - Ma Re - - Ke S li Ki S Sa ma S st Taa S p Naa S sh Sa - Ga Ni Sa - Ga - Ma Pa - Dha Pa - - ni S Su naa S m Si S ddh Ra S dhi ka S A . - - Dha Ni - Sa Pa Ni Dha Pa - - Pa Ni Dha she S sh Si S ddhi Daa S yi ni S Shu bhe S sha Pa Ma Pa Ga - Pa Ma - Ga Sa - Ga Pa - Ma ne S Kri pa S ma yi S Pra sa S nna Hwai S Kri Re - - Sa - pa S Ka ro S ANTARA . Ma Ga - Ma Dha - Ni Sa - - - - - Ni - - A nan S t Poo S rna Chan S dra ma S La ja S va . Sa Ni Sa Re Sa Ni Dha Pa Ni Ni - - - - Dha ni S Su sho S bhi te S A nan S t Chan S cha 12 . Pa - Dha Pa - Ma Pa - Dha Sa - Ni Dha - la S ni Kaa S y Ma S rda ni S Su gau r . Pa - Ni Sa - Ni Sa Dha - Sa - Ni Sa - - te S A nan S t Maa S r chaa S p Bha S ja . Re - - Sa Re Ga Re Ga Re Sa - Ga Ga - Re ni S Su bhau S h Bhan S gi ke S Shu bhe S ksha . Ga Re Sa Re - Ni - - Sa - Re Sa Re Ga ne S Kri pa S ma yi S Pra sa S nna Paa S d . Re Ga Re Sa - Si r Dha ro S 13 "Shriharicharnashtak" Kalap-kaal Jahi ke Bhramadbhruvanu saun bhangain | Apaang ankuraav lok mangalavali jangain || Ranalllaam noopurain anant ratna hain jare | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||1|| Jinke ghoomte hue bhru-bhang maatra se hi kaal ke anant samuh bhi bhay-vash sthir nahin rah pate, jinke netra ki madhur kataaksha hi ankur-roopani hokar lokoan me anek mangal-samuh ko utpann karti hai, tatha jinke bajte hue sunder noopuron me anek bhaswar-ratna jatit hein, un anand swaroop shrinandkumar ke charan-kamlon ki vandana karo ||1|| Prakaam-kaampoorita brajaangna kumudvati | Prafullachandra shubhrajyoti chakrabaal dhaarti || Nakh-prabhasumandaleek sou vyom dekhi re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||2|| Anaadikaal se shrutiroopa gopiyon ki raas vilasadiki jo kaamna sanchit thi, usse poorna kumudniroopa brajdeviyon ki santushti ke liye jo dashnakhchandra prabha hai, uske mandal se yukt tatha jisme noopuradi aabhushan ke diptimaan anek ratna hi taaragan samudaay hein, aise gaganroopi shricharano ko dekho, un anand swaroop shrinandkumar ke charan-kamlon ki vandana karo ||2|| Prachand kilbhishpravah oghshoshi shobhitain | Nishapattushar jadyasransi bhanu kobidain || 14 Maleen panknaashi vaayu saun trigha ju mohi re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||3|| Daaroon paap samuh ki dhara ko sukha kar shobhit hone wale evam ratri kaleen girte hue osoan ki thand se utpann jadta ko nasht kar nirmal chaitanya daayak sharatkaleen surya ki bhanti vichakshan shricharno se sanprisht trividh sameer ke sukhsparsh se mohit ho jao | kaamnaon ke hridyasth kashaay nasht ho jayenge | Aise anand swaroop shrinandkumar ke charan kamlon ki vandana karo ||3|| Manogyapaad laalima talain sadaa viraajti | Utai ju and nileema anantata prasaarti || Nakhaavdaat kanti ki triveni me ju doobi re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||4|| Sunder charno ke taluoan me sadaa ranjit laalima hi raktvarna saraswati nadi hai, upar ki or shriangon ko nilee kaanti hi neelvarna shriyamuna hein | Dashnakhchandra ki dugdh fenojwal swate kaanti hi shubravarna shri ganga hein | Shricharno ki iss jyotishmati kaanti ki triveni ke sangam me agvaahan karo | Un anand swaroop shrinandkumar ke charan-kamlo ki vandana karo ||4|| Milind bhakt vrinda hetu raajti suchaaruta | Paraag punj kaanti vaas tosh ki supudmata || Anantata vichitrata prafullata nihaari re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||5|| Jin shricharno me bhakt roopi bhramar samuhon ke hetu sundarta makranda ras raashi, prabha, sugandhi evam tushti ki sadaa asmodharva pradhaanta rahti hai, aise anant 15 evam vichitra bhaanti se kamalvat prafullit shricharno ko dekho | Un anand swaroop shrinandkumar ke charan-kamlo ki vandana karo ||5|| Munindra so falindra saun surendra saun supoojatai | chaturmukh trilochanaadi sheesh saon pravindatai || Trichaan ke hiyaan ke abhisht ko ju khoji re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||6|| Jin shricharno ka poojan naarad aadi munindra anant sheshaadi fanindra evam surraaj indra bhi sadaa kiya karte hein | Jin shricharno ki vandana brahma evam shiv aadi bhi apne uttamangnaao se dhaaran karke kiya karte hein | Jo shricharan shritiyon ke gupt haard-rahasya hone ke kaaran hi ekmaatra vedaantaikavedhya hai unhi shri charno ka anveshan karo | aise anand swaroop shrinandkumar ke charan- kamlo ki vandanan karo ||6|| Dayaalu kripaaluta janaarth haard dravita | Rasaardata rasaalata subhakt bhav bhaavita || Akhand prem sindhuta suchit hwai vilodire | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||7|| Ve shricharan-dayaa, kripa bhakt-jano ke hetu vaatsalya vash snigdhata, ras ki poornata, rasswaroopta, bhavvash bhakt-jano ki bhi bhajniyata "Ye yatha maam prapadyante taanstthaivya bhajaamyaham" aadi anant divya guno ke bhandaar hein tatha jahaan anant prem ka samudra aandolit ho raha hai, usme swasth chit hokar aalodan karo | Aise anand swaroop shrinandkumar ke charan-kamlo ki vandana karo ||7|| Anant-brahm-and so vishisht prem-daayini | Lalaam baalradhika suraas-nritya kaarini || 16 Raasheshvari padaabj sang nritya sheel bhav re | Anand nandlaal ke padaarvind vandi re ||8|| Anant koti brahmando se bhi pare saddhaam ke divya prem ki ek maatr daatri, anant saundarya wali, nitya-kishori shriradha jo ki chinmay-dhaam shrimadvrindavan me nitya raas ki mandaleshwari hai, aur ve hi iss raas-ras ki bhi ishvari hein, unke shricharan kamlo ke sang nritya karna hi jin shrikrishna charno ka nitya swabhav hai - unki bhavna karo | aise anandmay shrinandkumar ke charna-kamlo ki vandana karo ||8|| STHAYI Sa - - - Ga - - Ma - - - - Dha Ga - - Ka laa S p Kaa S l Ja S hi ke S Bhra ma d bhru A paan S g An S ku raa S v Lo S k Man S ga Ma - Dha Ga Ma Ga Sa - va S nu saun S bhan gai S la S va li S jan gai S .