~ 1 ~

ANJUMAN PARWANA-E-SHABBIR KARBALA WAALE

THE ROMAN ENGLISH EDITION

TRANSLITERATED AND COMPILED BY: MIR MOHSIN ALIKHAN –NAOHA KHWAAN

~ 2 ~

------TARTEEB-E-NAOHAJAAT------S.No NAOHA SHAA’ER PAGE 1 Ham Ashiq-e-Shabbir hain Parwana-e-Shabbir Najm Aafandi 7 2 Haay Karbala Waalo Haay Karbala Waalo Najm Aafandi 8 3 Zehra ki Dua hai Maatam Ye Ali Jaweed Maqsood 9 SHAHADAT RASUL-E-KHUDA(S.A.W.W) 4 Karti thi fughaa’n Fatima Zehra Aye Mere Baba Rasheed Shaheedi 10 SHAHADAT SHAHZADI-E-KAONAIN(S.A) 5 Kaono Maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Rasheed Shaheedi 11 SHAHADAT MOULA-E-KAAYNAAT(A.S) 6 Kufe me jo ik Gham ki faza chhai huwi hai Ali Murtuza 12 7 Sajde me tegh Khaake Tadapte hain Murtaza Rasheed Shaheedi 13 8 Maatam hai fazaon me Shahe Kaono Maka’n ka Rasheed Shaheedi 14 9 Zainab Pa Yateemi ki ghadi aagayi Baba Rasheed Shaheedi 16 10 Shaheed Hogaye Maola ujad gaya Kufa Rasheed Shaheedi 17 11 Baba ko Mere Chhorke aaye ho tum kaha’n Hasan Abbas Ahsan 18 SHAHADAT HAZRAT IMAM HASAN(A.S) 12 Maatam hai Madine me Shabbar ki Shahadat ka Rasheed Shaheedi 19 SHAHADAT SHAHZADA ALI AKBAR(A.S) 13 Parwaan chadhaalu’n koi armaan Nikaalu’n Shoukat Bilgrami 20 14 Abbas hamko Laash-e-Jawa’n mil nahi’n rahi Ali Jaweed Maqsood 21 15 Ab Ghar ko chalo khaak se Utho Ali Akbar Ali Jaweed Maqsood 22 16 Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar Mir Raza Ali Sohail 24 17 Jao ab Khuda hafiz Aye Mere Ali Akbar Rasheed Shaheedi 25 18 Laila Shaheed hogaya Tera Jawa’n Pisar Ali Jaweed Maqsood 27 19 Zameen-e-garm pa Laasha pada hai Akbar ka Akhtar Zaidi 28 20 Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Hasan Abbas Ahsan 29 21 Tha rann me Sheh ka ye Naoha Mere Ali Akbar Mir Raza Ali Sohail 30 22 Za’eef Baap se Laash-e-Pisar nahi’n Uth’ti Baquer Mohsin 31 SHAHADAT SHAHZADA QASIM(A.S) 23 Kubra ne kaha Qasim Doolha kis soone bann me Shoukat Bilgrami 32 24 Utho zameene garm se Beta Utho Utho Ali Jaweed Maqsood 33 25 Karbala me huwa Laqte Dile Shabbar tukde Rasheed Shaheedi 34 26 Qatl Hogaye Qasim Ya Ali duhaai hai Ali Rafi 36 27 Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate Hain Raza Aafandi 37 28 Maqtal se Laash Qasime Naoshaah ki Aayi hai Ali Jaweed Maqsood 39 SHAHADAT QAMAR BANI HASHIM(A.S) 29 Ashoor ki wo raat wo sannaate ka alam Kazim Banarasi 40 30 Zehra ke Khandan pa ghurbat ki raat hai Jameel Moosavi 41

~ 3 ~

S.No NAOHA SHAA’ER PAGE 31 Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda Hafiz Ali Jaweed Maqsood 43 32 Abbas-e-Ali Sheh ke Alamdar sidharo Ali Jaweed Maqsood 44 33 Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai Ali Jaweed Maqsood 45 34 Maatam hai aaj Dilbar-e-Ummul Baneen ka Rasheed Shaheedi 46 35 Dashte ghurbat me Sakina Main Akela Hogaya Hasan Abbas Ahsan 48 36 Sholay hain bhadakte huwe Ali Jaweed Maqsood 49 37 Kya sorahe ho nahr pa Abbas-e-Baawafa Mir Raza Ali Sohail 50 SHAHADAT SHAHZADE AUN O MUHAMMAD(A.S) 38 Ro Ro ke ye Zainab ne Kaha Aun O Muhammad Mir Raza Ali Sohail 51 SHAHADAT SHAHZADA ALI ASGHAR(A.S) 39 Mere Asghar ki hai Qabr kis ja Sadat Ali Khan Sadiq 52 40 Shaheed-e-teer-e-sitam Bezaba’n Ali Asghar Mirza Fareed Baig 53 41 Jaao Sidharo rann ki taraf Mere Naonehaal Ali Irfan 54 42 Mere Bhayya Ali Asghar Hasan Abbas Ahsan 55 43 Rabab Karti hai Faryaad Margaye Asghar Rasheed Shaheedi 56 44 Bain the ye Banu ke Mere Bezaba’n Asghar Hasan Abbas Ahsan 57 SHAHADAT IMAM HUSSAIN(A.S) 45 Garm reti pa Main Girta hu’n Sambhaalo Amma Ali Jaweed Maqsood 59 46 Nazdeek Najaf hai koi Haider ko bula le Mujahid Hussain 60 Mujahid 47 Asr ka hangaam hai aur Zainab e Dilgeer Hai Hasan Abbas Ahsan 61 48 Aaja Mere Dilbar Meri Aghosh me Aaja Ali Jaweed Maqsood 62 49 Sitam ke dasht me Zehra ka Lal tanha hai Ali Jaweed Maqsood 63 50 Shabbir kaha’n hai Mera Shabbir kaha’n hai Mujahid Hussain 64 Mujahid 51 Mera Hussain Tadapta hai khaak-e-maqtal par Ali Jaweed Maqsood 65 52 Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha Sajjad Nazar 67 53 Haay Tanha hai Hussain Ibne Ali maqtal me Ali Jaweed Maqsood 68 54 Sitamgaro Mera Bekas Hussain Pyaasa hai Ali Jaweed Maqsood 69 SHAAM-E-GHAREEBAA’N 55 Jalti huwi zameen pa Sarwar hai Ya Ali Ali Anjum Sadiq 70 56 Ya Ali Aaiye Zainab ko bachane ke liye Hilmi Aafandi 71 57 Zainab-e-Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Mirza Fareed Baig 72 58 Ab Aaye ho Baba Shahid Pakistani 73 59 Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra ka Ghar Hasan Abbas Ahsan 74 GENERAL 60 Ghar lut gaya Amma Akhtar Zaidi 76 61 Ghar Haay Mera barbaad huwa Akhtar Zaidi 77 62 Zainab tadap Rahi hai faryaad kar Rahi hai Akhtar Zaidi 78

~ 4 ~

S.No NAOHA SHAA’ER PAGE 63 Kis se faryaad karu’n Akhtar Zaidi 79 64 Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Ali Jaweed Maqsood 82 65 Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Akhtar Zaidi 83 66 Qaafela Ghareebo’n ka qaid hoke jaata hai Rasheed Shahedi 85 67 Aye Shaheed-e-Karbala Aye Jaan-e-Paighambar Ali Jaweed Maqsood 86 68 Sughra ne likha Baba kab laot ke aaoge Alamdar Razvi 88 69 Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Hasan Abbas Ahsan 89 70 Halmin ki aarahi hai sada Ya Ali madad Mujahid Hussain 91 Mujahid 71 Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai Qais Zangi Puri 92 72 Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar dekha Mujahid Hussain 93 Mujahid 73 Aabaad Ghar Hussain ka veeraan hogaya Hasan Abbas Ahsan 94 74 Aseer hoke Chali hu’n Salaam Lo Baba Urooj Bijnori 96 75 Berida Zainab khadi hai Shaam ka darbar hai Hasan Abbas Ahsan 97 76 Berida shaam ke darbar me jaana Zainab Sajid Razvi 98 77 Abbas Bahan aayi hai darbar me ja kar Manzar Aelia 99 SHAHZADI SAKINA(S.A) BINT AL HUSSAIN(A.S) 78 Kya andhera hai Phupi Naheed 101 79 Aye Hussain ki Pyaari Aye Sakina jaa’n Bibi Ali Jaweed Maqsood 101 80 Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai maatam Rasheed Shaheedi 102 81 Zindaan me karti thi fugha’n Shah ki Dukhtar Ali Mohsin Khan 103 82 Mazloom Meri Bachchi kaise ho dafn Tera Mujahid Hussain 104 Mujahid 83 Ye neend khaak pa kaisi utho utho Bibi Ali Jaweed Maqsood 105 84 Abid utha rahe hain Apni Bahan ka Laasha Rasheed Shaheedi 106 85 Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka baya’n Unknown 107 86 Jab yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Unknown 109 87 Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi Hasan Abbas Ahsan 110 ARBA’EEN 88 Zainab Lipat gayi hai Mazaare Hussain se Akhtar Zaidi 111 89 Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaeen Akhtar Zaidi 112 90 Zainab Manaane Aayi hai Bhai ka Arbaeen Raza Moosavi 114 91 Allah nigahbaan watan Jaati hu’n Bhai Saeed Shaheedi 115 92 Zainab Madine Jaati hai kya kya liye huwe Mehdi Nazmi 116 93 Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaeen Mustafa Moosavi 117 94 Arbaeen Karna hai Shaahe Karbalaai ka Mirza Fareed Baig 118 95 Shabbir ka Chehlum hai Agha Ali Hussain 120 96 Karna hai Fatima ke Bhare Ghar ka Arbaeen Haider 121

~ 5 ~

S.No NAOHA SHAA’ER PAGE WAAPASI-E-AHL-E-HARAM 97 Zainab se Karbala ka zara maajra suno Fugha’n 122 98 Maa ki Qabr par Zainab Karti thi Fugha’n Amma Ali Jaweed Maqsood 124 99 Pardes me barbaad hua Mera Bhara Ghar Rasheed Shaheedi 125 100 Dekh Madine kya kya yaadein Sajid Moosavi 126 101 Salaam Lo Amma Hasan Abidi 127 102 Amma Teri kamaai jangal me lut gayi hai Zaki Bilgrami 128 103 Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma Zaki Bilgrami 129 104 Amma Tumhara lut gaya jangalme sara Ghar Hasan Abbas Ahsan 130 WIDA 105 Wa Hasrata Hussaina Aulad Hussain Lallan 132 106 Aye Noore Aine Fatima Zehra na Jaaiye Sadat Ali Khan Razvi 133 Sartaj 107 Aye Fatima ke Laal Tujhe aakhri Salaam Rasheed Shaheedi 134 108 Al Wida Al Wida Mir Ashraf Ali Aqueel 135 SAANI-E-ZEHRA SHAHZADI ZAINAB(S.A) 109 Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi Saeed Shaheedi 137 110 Aseere Faoje sitam qaidiye mehan Zainab Ali Jaweed Maqsood 138 111 Aye Hussain-e-Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab Agha Abbasi Hashr 140 SHAHADAT IMAM ZAINUL ABIDEEN(A.S) 112 Zanjeer me jakde huwe Bimar ka Maatam Rasheed Shaheedi 141 113 Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par Mustafa Moosavi 142 IMAM RAZA-E GHAREEB(A.S) 114 Sar pa ab Shah-e Khurasaan ka saya na raha Akhtar Zaidi 144 115 Maatam hai Raza ka Rasheed Shaheedi 144 116 Aaj hai Khurasa’n mein ik Ghareeb ka Maatam Rasheed Shaheedi 145 SLOW MAATAMI NAOHE 117 Deen-e Muhammad ki Baqa Ya Hussain Rasheed Shaheedi 146 118 Taqdeer badal jaaygi Zehra ki Dua Le Akhtar Zaidi 149 119 Deen-e Ahmed ki Baqa hai Karbala Rasheed Shaheedi 150 120 Aye Karbala tu hi bataa Akhtar Zaidi 153 121 Yaad-e-Shabbir Rasheed Shaheedi 155 122 Soona hai Madina Unknown 156 123 Aye Sher-e-Neyastaane Haider Sachche Pakistani 157 124 Haay Hussain Pyaase Hussain Rasheed Shaheedi 159 125 Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain Rasheed Shaheedi 162 126 Ya Abbas Ya Abbas Rasheed Shaheedi 166 127 Aye Faatehe Karbobala Ali Jaweed Maqsood 169

~ 6 ~

S.No NAOHA SHAA’ER PAGE 128 Haay Hussain Wawaila Ali Jaweed Maqsood 173 129 Ghar Fatima ka Lut gaya Rasheed Shaheedi 176 130 Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra ke Pisar Rasheed Shaheedi 179 131 Gham-e-Karbobala Allahu Akbar Rasheed Shaheedi 181 132 Hamm karte hain Maatam Asghar ka Rasheed Shaheedi 185 133 Aye Shashmaahe Pyaase Asghar Hasan Abbas Ahsan 187 134 Karte raho Besheer ke Matam Rasheed Shaheedi 192 135 Shabbir Baharhaal Tera Naam rahega Najm Aafandi 193 136 Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aa’nsuo’n mein Adeel Pakistani 194

~ 7 ~

Allama Najm Aafandi

PARWANA-E-SHABBIR

Seeno me yehi dil hai Azakhana-e Shabbir Sar hain yehi sange dare Kaashana-e Shabbir Pohchaaenge duniya me ham Afsana-e Shabbir Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir Sar jiska utara gaya Sajde me Khuda ke Neend aayi jise saare zamane ko jagake Jo Sogaya aandhi me charaagh Apna jalake Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir Ham Uske fidaayi hain Jo do din ka Tha pyaasa Paani na mila Jisko dame zib’ha zara sa Zehra ka jigar band Muhammad ka Nawasa Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir Dekha na suna yu’n kisi Sultan ka matam Aisa na huwa naasher-e-Qur’an ka matam Tera Sao baras se hai ajab shaan ka matam Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir Maqbool ye koshish ho kahaan aisa muqaddar Shaayad isi tadbeer se bakhshish ho mayassar Tum bhi kaho aye Najm ye parwano me milkar Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir ------*------

~ 8 ~

Allama Najm Aafandi HAAY KARBALA WAALO Aye Khuda ke bando’n me muntakhab Khuda waalo Takht e Innama waalo taaje hal ata waalo Shaan e Mustafa waalo waz e Murtaza waalo Kya wafa pe jaane dee tumne aye wafa waalo Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Chhote chhote bachcho’n ne jang ki ijaazat li Badgaye jawa’n bankar kamsini se rukhsat li Qaom ki himaayat me Izzat e Shahadat li Zindagi ko kya kahiye maot se bhi khidmat li Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Kis bala ke jangal me Aal e Mustafa thahri Bedayaaro ka madfan arze Karbala thahri Aayi Shaame Aashura sub’ha ko wegha thahri Kya khabar Madina ko Shaamiyo’n se kya thahri Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Haq pa marne waalo ne jaan di saleeqe se Shaoq se tamanna se azm se iraade se Zindagi na ki pyaari Fatima ke Pyaare se Maa ki godh se aaya koi koi jhoole se Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Koi Tum me Akbar tha koi Tum me Asghar tha Koi Saaniye Jaafar koi misle Hyder tha Koi qadro qeemat me dojahan se bartar tha Zere tegh Karbal me Fatima ka gharbhar tha Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Is tarah ke aalam me phir na dil jigar dekhe Dar pa aake Maao’n ne jang ke hu’nar dekhe Apne Chaand ke tukde khu’n me tarbataar dekhe Rege garm par Laashe barchhiyo’n pa sar dekhe Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

~ 9 ~

Ali Jaweed Maqsood

ZEHRA KI DUA Zehra ki Dua hai maatam ye, Ye maatam kaise ruk jaae

Kaonain ki har doulat dekar is Gham ki hifazat karna hai Shabbir ki khaatir jeena hai, Shabbir ki khaatir marna hai Ye jism rahe ya mit jaay Mazloom ka maatam karna hai Zehra ki tamanna puri ho, ye jaan rahe ya lut jaae

Is Parcham ki azmat ke liye Abbas ne bazu dedaale Is Parcham ki izzat ke liye Ghaazi ne sahe dil par bhaale Is Parcham ke mashkize se lipte hain Sakina ke naale Abbas-e Ali ka Parcham hai, ye Parcham kaise jhuk jaae

Saalaar-e Hussaini kya kehna Meraj-e Wafa Sartaj-e Wafa Har maoj tadapti hai ab tak saahil se jo tu pyaasa palta Tha hukme Hussaini jang na ki har waar saha har zulm saha Tha hosh me jabtak fikr ye thi pyasi na bhateeji rahjaae

Jabtak ke sakat is jism me hai Haq apna ada kardena hai Qismat jo sa’aadat de hamko ye jaan fida kardena hai Ya ashk se ya khoon-e dil se is daaman ko bhar dena hai Aayi hai yahaa’n Ik Shehzaadi ummid ka daaman phaylaae

Wo waqt hai abtak ankho’n me jab khu’n me tha ghalta’n Ibne Ali Aur goonj rahi thi maqtal me faryaad-o fugha’n Ik Dukhiya ki Seene se bahe’n khu’n ki dhaare’n ab haat na rukne paay kabhi Mazloom ka maatam hota rahe Zehra ki sada jabtak aae

Ye Maatam hai Halmin ki sada har ashk hai jazba nusrat ka Yu’n Haq ki taraf aajaane ka haasil hai abhi tak ik maoqa Pehchaan Zameero dil ki sada is maatam me shaamil hoja Shabbir bulaate hain abtak gar Hur ho koi to aajaae. ------*------

~ 10 ~

Rasheed Shaheedi SHAHADAT-E RASOOL-E KHUDA

Karti thi Fughaan Fatima Zehra Mere Baba Beti Huwi Ab Aapki Tanha Mere Baba Bechain bahot apke hain dono Nawase Ajaaiye ghar hogaya suna Mere Baba Laashe pa Muhammad ke yahi kahti thi Zahra Yu mujhse khafa hoke na jana Mere Baba Hay Teri Shahadat se har ik simt udasi Ab hogaya sunsaan Madina Mere Baba Rone bhi nahi’n deta Mujhe Tum pa zamana Ghut ghut ke main kabtak rahu’n zinda Mere Baba Is tarah bhi Beti se khafa hota hai koi Deti hay sada Aapki Zahra Mere Baba Hasnain ye kehte hain nahi’n poochhta koi Kya kahke unhe doon main dilasa Mere Baba Pas Apne bulalo to sukoon aaega Mujhko Jab Tum na rahe ji ke karun kya Mere Baba Kya kahke sambhalenge Ali Binte Nabi ko Ghash me hai magar lab pa hay Naoha Mere Baba Bas Binte Nabi ka tha Rasheed ik yahi Naoha Baba Mere Baba Mere Baba Mere Baba

------*------

~ 11 ~

Rasheed Shaheedi

KAONO MAKA’N ME BARPA

Maghmoom hain fazae’n, rota hai zarra zarra Bechain hain hawae’n, aur kar rahi hain giriya Har simt hai udaasi, har simt hai andhera Chashme falak hai purnam, veera’n huwa Madina Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Baade Rasule Akram, kya waqt aapada tha Har lamha the masa’eb, dil tukde ho raha tha Athaara saal ka sinn, aur haath me asa tha Un aafato’n me jeena, Zehra ka Hosla tha Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Sehti Rahi musibat, payham Nabi ki Beti Karti thi Sabr har dam, Mazloom Shaahzadi Pahlu shikista Bibi, khud pisti thi chakki Duniya se Ja rahi hai, Khidmat me Mustafa ki Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Ghurbat ka hai zamana, kaisi ye bekasi hai Moula-e Dojaha’n par, uftaad ye nayee hai Mushkil Kusha pa kaisi, mushkil ki ye ghadi hai Tanhaai Murtaza ki aansu baha rahi hai Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Dekha Janaza Maa ka, Rowe Hussaine Muztar Aayi Sada-e Zehra, Ye Maa Nisaar Tujh par Rona Tera gawara, kaise Karegi Maadar Seene se Main Lagaloo’n, Aaja Hussain Dilbar Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Zehra ka to Janaza, tareek shab me utha Yaad aate hain Rasheed ab, Bazare Shaamo Kufa Wo Betiya’n Ali ki, bechaadari ka charcha Wo Aalame Aseeri, wo oont bekajawa Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka

------*------

~ 12 ~

Ali Murtuza

GHAM KI FIZA

Kufe me jo ik Gham ki fiza chhaai huwi hai

Ab Haidar e Karrar ke rukhsat ki ghadi hai

Kya Zainab o Kulsoom ko samjhaega koi

Khaati hain pachhade’n ke qayamat ki ghadi hai

Ro roke baya’n karti hai ye Saani e Zehra

Nana Mere Baba pe qayamat ki ghadi hai

Hasnain hain be haal to Kusloom hai girya’n

Abbas e Alamdar ko hichki si lagi hai

Raoze pa Bula Lijiye ab Apne Ali ko

Moula use ab sub’ho masa fikr yahi hai

------*------

~ 13 ~

Rasheed Shaheedi

SAJDE ME TEGH KHAKE TADAPTE HAIN MURTAZA

Tar Aankh is azeem musibat pa hoti hai Phir sar patak ke kaabe ki deewar Rothi hai Daaman lahu me Masjid e Kufa bhigoti hai Phir kaaenaat ashko’n ke moti piRothi hai Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Moula Sar-e Shigaafta thaame tadapte hain Apne Lahu se Sajde ki taareekh likhte hain Hasnain Sar pa Baba ke roomaal kaste hain Phir bhi Lahu ke qatre musalsil tapakte hain Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Masjid me phir to rone ka har simt ghul utha Mushkil Kusha ne Hazrat-e Shabbar se ye Kaha Ghar jald le chalo Mujhe ab deke aasra Ghar se kahi’n nikal na pare Bint e Fatima Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Kehne lage ye dukhtar e Zehra se Murtuza Tujh par musibaton ka hai ab taaza silsila Tukre jigar ke ugle ga mazloom Mujtaba Beti katte ga sajde me Shabbir ka gala Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Zainab banegi deen ki baqa kit u aasra Har gaam par dikhana hai meyaar sabr ka Darbaar e aam me tujhe jaana hai be rida Zehra ki beti sunti hai roodaad e karbala Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

~ 14 ~

Abbas ko bula ke gale se laga liya Kehne lage na rowo Pidar Tujh pa ho fida Tujh par bada bharosa hai aye Mere Dilruba Tu Karbala me hoga muhafiz Hussain Ka Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Kufe ke bekaso’n pa tha ye Gham bada shadeed Baitu sharaf pa aaye liye aarzoo e deed Har simt phir to rone ka ik ghul utha Rasheed Allah ke maheene me Moula Huwe Shaheed Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza ------*------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI FAZAO’N ME SHAHE KAONO MAKA’N KA

Is Gham se fiza Kufe ki tharraai huwi hai Ab arsh pa ashkon ki ghata chhaai huwi hai Aur taaro’n ki aankhon me nami aayi huwi hai Har zarre ki ashkon se shanasaai huwi hai Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Wo Gham hai ke Islam ka larzaa’n hai sawaira Sakta hai har ik gaam pa sannato’n ka dera Khamosh fizaao’n me hai har simt andhera Khoo’n rota hai unniswi’n Ramza’n ka sawera Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Farqe Shahe Wala huwa shaq zarbe sitam se Moula jo tadapne lage Sar haathon se thaame Hasnain ne roomal kasa sar pa Ali ke Chehre ko bhigote hi bahe khoon ke dhaare Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Rote huwe Abbas Ki Maa ne kaha Aaqa Sadqe karun Abbas ko Tujh par se Main Moula

~ 15 ~

Haider ne kaha ye to hai Shabbir ka fidiya Aur hoga muhafiz yehi Zainab ki rida ka Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Kehne lage Zainab se Ali phir ye tadap kar Karta hu’n Tujhe sabr ki talqee’n Meri Dukhtar Baazu me rasan ho’egi chhin jaaegi chaadar Hamrah na hoga koi juz Abide Muztar Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Kat jaaenge Abbase Alamdar ke shaane Lut jaaega ghar asr ko jal jaaenge khaime Phelenge ju’nhi shaame ghareeban ke andhere Beti Meri pehra Tujhe dena hai akele Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Zainab Tere aansu nahi’n Haider ko gawarah Karbal me nahi’n dega Tujhe koi dilasa Mat ro ke abhi zinda hai Baba Phir ro diye khud shaano ko aankhon se lagaya Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Jab sab ko Ali ne kiya Shabbar ke hawaale Be chain huwe sunte hi Abbas ke naale Seene se laga kar kaha aankhon ke ujaale Abbas Tujhe karta hu’n Sarwar ke hawaale Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Aansu nikal aaye ju’nhi lab choome Hasan ke Girya kiya Sarwar ke gale ke liye bose Phir aakhri angdaai li aur bachchon ko bole Karta hu’n Tumhein Khaliq e Akbar ke hawaale Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Ekkeeswi’n Ramzan ki sahr karti hai girya Hasnain ke sar par na raha Baap ka saya Kulsoom hai bechain to Zainab ko hai Sakta Uthta hai Rasheed ab Mere Moula ka Janaza Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka ------*------

~ 16 ~

Rasheed Shaheedi

ZAINAB PA YATEEMI KI GHADI AAGAYI BABA

Zainab pa yateemi ki ghadi aagayi Baba

Bin Baap ki kehlaati hai Beti Teri Baba

Amma nahi’n Nana nahi’n ab Tum bhi sidhaare

Kis Mod pa le aayi hame zindagi Baba

Kitne hi yateemo’n ko diya Tum ne dilaasa

Ab hamko dilaasa nahi’n deta koi Baba

Ab kaun hamein pyaar se paas apne bitHaay

Yaad aati hai shafqat ye hamein Aap ki Baba

Har Aan Teri yaad me rote hain Baradar

Zainab unhein kis tarha se samjhaegi Baba

Ik Aap ke dam se Mere jeene ka maza tha

Ab Mujh se zamane ne khushi chheenli Baba

Zakhmi huwa Sar Aap ka Allah ke ghar me

Raas Aap ko aayi na fiza Kufe ki Baba ------*------

~ 17 ~

Rasheed Shaheedi

SHAHEED HOGAYE MOULA UJAD GAYA KUFA

Tadap ke kehti thi Zainab ye kya hua Bhayya Hamare Baba ke Sar ko ye kisne zakhmi kiya Abhi abhi to gaye the Khuda ke ghar Baba Ye ik Namaazi pa Masjid me kaisa zulm hua Shaheed hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Dar e Ali pa hai Kufe ke bekason ka hujoom Pachhaadein khaati hai Zainab tadapti hai Kulsoom Jo guzri hai Dil e Abbas par kise maaloom Shafeeq Baap ka sar par nahi’n raha saaya Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Ameer tha Wo ghareebon ka chaahne Waala Wo jo yateemon ka aur bekason ka waaris tha Usi ko Sajde me zakhmi kiya hai waawaila Saro’n ko peet ke Hasnain karte hain girya Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Andheri Shab me Wo duniya ka Maaliko Mukhtaar Ghareebon aur yateemon ka moniso Gham khwaar Uthaaye pusht pa khud Rothiyon ka ik ambaar Ye dekhta tha na ho shehr me koi bhooka Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Fizaaein karti hain maatam azeem ye Gham hai Bahaaein ashk musalsal Ali ka Maatam hai Zameen Rothi hai chashme falak bhi purnam hai Sar e shigaafta thaame tadapte hain Moula Shaheed Hogaye Maula Ujad Gaya Kufa

Tadap ke Moula se Ummul Baneen ne ye kaha Hawaale sabko Hasan ke kiya Mere Aaqa Huzoor ne Mere Abbas ko nahi’n poochha Main apne Laal ko sadqe karun ke rad ho bala Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

~ 18 ~

Bitha ke pehlu me Abbas ko Ali ne kaha Khuda se maanga tha Tujhko baraa e Karbobala Khayaal rakhna Nabi Zaadiyon ke Parde ka Hawaale karta hu’n Shabbir ke Tujhe Beta Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Janaaza uth’ta hai Baitush Sharaf se Hyder ka Hussain rote hain Abbas ko hai sakta sa Lahad me Binte Payambar bhi karti hain giriya Rasheed dena hai Binte Ali ko bhi Pursa. Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

------*------

Hasan Abbas Ahsan

BABA KO MERE CHHORH KE AAYE HO TUM KAHAN ZAINAB LIPAT KE BHAI SE KARTI THI YE BAYAN

Dekho to aaj Arshe Mu’alla udaas hai Kaaba khamosh hai to Madina udaas hai Sakte me hai Namaz Musalla udaas hai Hai zalzala zameen ko larzaa’n hai aasmaa Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan Ab apne waaste hai har ik Gham har ik sitam Main Jaanti hu’n ranjo alam me har ik qadam Poori tarah se hogaye ab to yateem Ham Nana Hain ab na Baap ka Saaya Hai aur na Maa Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan Andher hai jahaan ujala koi nahi’n Chhaai wo raat jiska sawera koi nahi’n Ham Bekason ka poochhne waala koi nahi’n Ab tang hai zameen to hai door aasmaa Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan

~ 19 ~

Waqte Akheer karte the Baba wasiyatein Khushiaan tamaam hogayin ab hain musibatein Zainab hai Tere waaste har gaam zehmatein Har ik qadam pa ab Tujhe dena hai imtihaan Baba ko Mere chhorh ke aaye ho tum kahan Barbaad hoga zulm ki aandhi me Ye chaman Zehre dagha se qatl kiya Jaaega Hasan Ghodo’n se tukde hoega Shabbir ka badan Beti bandhegi baazuon me Tere reesmaa’n Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan Peeto saron ko dosto jab tak hayat hai Ahsan lahu me doobi hui kaaenaat hai Mushkil kusha ke ghar me qayamat ki raat hai Zainab Hasan Hussain se Karti rahi fughaan Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan ------*------

SHAHADAT IMAM HASAN(A.S)

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI MADINE ME SHABBAR KI SHAHADAT KA SHABBIR PA AAYA HAI KYA WAQT YE GHURBAT KA

Kehti thi yehi Zainab Shabbar ke Janaze par Gham kaise sahe Zainab Bhayya Teri furqat ka

Tukde Dil e Shabbar ke dekhega zamana phir Aashoor ke daaman me manzar hai qayamat ka

Taaboot pa Shabbar ke jab teere sitam aaye Abbas pa tha kaisa ye waqt musibat ka

Kamsin hai ye Shahzaada baitha hua sakte me Qasim ko bhi pursa do Shabbar ki Shahadat ka

~ 20 ~

Shabbar ki Shahadat hai Shabbir ke Parwaano’n Shabbir ko pursa do Shabbar ki Shahadat ka

Pakne lagi shaq ho kar is waqt zamee’n paiham Kya hoga asar soncho us zehr ki shiddat ka

Wo zehr-e sitam pohncha Shabbar ke kaleje tak Sar peeto azadaaro manzar hai qayamat ka

Shabbir ka sadqa ho ab ham ko ata Shabbar Ham waasta dete hain Qasim ki musibat ka

Hai Khidmat e Shabbar me maarooza Rasheed Itna Ham sab ko sharaf de de Raoze ki Ziarat ka

------*------

Shoukat Bilgrami

PARWAAN CHADHALU’N

Parwaan chadhalu’n koi armaan nikalu’n Thehro Ali Akbar Tumhe Dulha to banalu’n

Yu’n ghar se Mere Laal ko le Jaae’n na Hazrat Saaya kare aanchal ka Main Behno ko bulalu’n

Aye Laal Tere byaah ka Zainab ko tha armaan In khoo’n bhare haatho’n me Main mehndi to lagalu’n

Shayad yu’nhi tham jaay lahu zakhme jigar ka Utho Ali Akbar Main kaleje se lagalu’n

Thehraao Janaaza Mujhe hasrat to na rehjaay Taaboot pa phoolo’n ka Main Sehra to chadhalu’n

Shawkat pa zara rehm kar aye maot theher ja Aankhon se Mazaare Shahe Mazloom lagalu’n ------*------

~ 21 ~

Ali Jaweed Maqsood

ABBAS HAM KO LAASHE JAWA’N MIL NAHI RAHI

Akbar ki jang door se dekha kiye Hussain Jab aakhri Salaam suna chal pade Hussain Har ik qadam pa thokarein khaate rahe Hussain Bhai ko yaad kar ke ye kehne lage Hussain Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Akbar lade hazaaron se be khaofo be khatar Girte huwe kaha ke Khuda hafiz aye Pidar Gham se kaleja shaq hua dhu’ndla gayi nazar Duniya hui siyaah kaho jaa’en Ham kidhar Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Bichhde Habeeb jeene ki lazzat chali gayi Qasim gaye to zapt ki taaqat chali gayi Roothe jo tum to qalb ki quwwat chali gayi Akbar ke saath Meri basarat chali gayi Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Dar hai na Gham se Abid e Beemar chal base Zainab na berida kahi’n ran me nikal pade Maa ke tasawuraat me Sehre ke phool the Wo kam se kam Pisar ka Janaza to Dekh le Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Gum hai chiraagh haay Mere ghar ka der se Hai shauqe deed Shakle Payambar ka der se Dil khoon hai Tumhare Baradar ka der se Laila ko intezaar hai Akbar ka der se Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

~ 22 ~

Barchi Hamare Bete ke Dil me hai kya kare’n Kis tarha Uske darde jigar ki dawa kare’n Ham be Mu’eeno Yaawaro Naaser hain kya kare’n Pohnchenge Laash tak jo madad Murtuza karein Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi ------*------

Ali Jaweed Maqsood

AB GHAR KO CHALO

KHAAK SE UTHO ALI AKBAR

Pohnche jo Hussain Ibne Ali Laashe Pisar par Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par Ye keh ke zamee’n par gire Bete ke barabar Aaya hai Pidar hosh me Aao Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Zaalim koi bekas ko bataata na tha rasta Chhaaya tha nigaahon me andhera hi andhera Aaya hai pidar paas Tere thokare’n khaataa Aankhon ko hua kya Meri poochho Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Tum chup ho to chalte hain Mere qalb pa khanjar Kuch haal ladaai ka sunaao Mere Dilbar Batlaao ke kis tarha laga zakhm jigar par Kuch baat karo aankh to kholo Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Faryaad labo’n par hai aur ashko’n ki rawaani Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahani Hanste hain Mere haal pa dushman Mere Jaani Tanha Mujhe is tarha na chhoro Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

~ 23 ~

Kyun paau’n ragadte ho kahan zakhm laga hai Batlao Meri Jaa’n Mera dil baith raha hai Kyun haath hai seene pa kahan zakhm laga hai Phat jaaege dil Baap ka bolo Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Nouha hai labon par hai lahu aankhon se jaari Ham kab se khade rote hain baali’n pa Tumhari Khaaya na taras Tum ne ghareebi pa Hamari Dil Baap ka is tarha na todo Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Aye Laal tasawur me tha Maa ke Tera sehra Hai der se darwaaza e khaima pa Wo Dukhiya Kya jaake bataaaun Main hua haal Tumhara Laila se kahu’n kya ye Bataaao Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Ab der jo ki Tum ne to karti hui zaari Be parda Bahan aaegi maqtal me Hamari Maadar kahi’n Marjaay na sadme se Tumhari Baba bhi nahi’n Jeene ke Sunlo Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Kis tarha se Dekhe ye Pidar haal Tumhara Qaabu me nahi’n qalb ulat’ta hai kaleja Pehlu me hai dil Baap ka pathar nahi’n Beta Aage Mere is tarha na tadpo Ali Akbar Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

------*------

~ 24 ~

Mir Raza Ali Sohail

BAIN KARTE THE SARWAR HAAY NAOJAWA’N AKBAR Naojawaan Bete ki ran se jab sada aayi Le chali suwe maqtal Shah e Deen ko tanhaai Kuch nazar na aata tha jaa chuki thi beenai Kehte the Tumhein dhu’ndun Main kahan kahan Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Jis ghadi Shah e Waala pohnche Laashe Akbar par Phat gaya jigar Gham se dekhte hi ye manzar Muztarib tha reti par Hamshabih e PaiGhambar Le rahe the ruk ruk kar rann me hichkiyan Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Shaah e Dee’n ye kehte the chup ho kis liye Beta Baap ko zaeefi me de gaye kaisa Kya bataaaun Main tum ko haal jo hai Laila ka Kis tarah rahe zinda ab Tumhari Maa Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Kuch to bolo kyun aakhir karwatein badalte ho Dono hath seene par baar baar rakhte ho Kya guzar gayi beta kis liye tadapte ho Kyun ragadte ho aakhir ran me ediyaan Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Haay Teri shaadi ka dil me Maa ke armaan tha Kaise ab wo dekhegi Tera khu’n bhara Laasha Jaake Umme Laila se ab Main kya kahu’n Beta Haay ye Jawaani aur dil me ye sina Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Karbala ke jangal me kaisa waqt e ghurbat hai Ik Ghamzada Maa par kaisi ye qayamat hai Saamne nigaaho’n ke Naojawa’n ki mayyat hai Bekasi me Laila ka hai ye imtihaa’n Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

~ 25 ~

Tha Sohail khaimon me ik hashr sa barpa Laake rakh diya Sheh ne Naojawan ka Laasha Tha labon pa Zainab ke har ghadi yehi nauha Meri godh ke pale Mere Naojawan Akbar Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar ------*------

Rasheed Shaheedi

JAO AB KHUDA HAFIZ AYE MERE ALI AKBAR

Hai Zameene karbal par dard ka ajab manzar Jaa raha hai maqtal ko HamShabeehe PaiGhambar Aur widaa karne ko laake maut ke dar par Apne dil ke tukde se keh rahi hai ye Maadar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Aa Main Apne haatho’n se phir sawaar lun zulfein Paas baith ja kar lun Tujh se do ghadi baatein Dekhne ko tarsengi tujh ko ab Meri aankhein Mere Laal aa Tujh ko dekh lun Main ji bhar kar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Dhoop ki tamaazat hai teen din ke pyaase ho Tum pa sadqe ho jaaun do ghadi thehr jaao Maa ko chhorh kar Beta ja rahe ho maqtal ko Haay Tum se pehle hi kyun na mar gayi Maadar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Maa ne tujh ko paala tha kitni aarzuon se Kya bataaaun Main Beta dil me kitne armaan the Ab na dekh paaungi phool Tere sehre ke Qalb tukde hota hai kis tarah kahe Maadar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Har qadam pa hoega saamna andheron ka

~ 26 ~

Ab charaagh bujhta hai zindagi ki raahon ka Noor leke jaate ho tum hamari aankhon ka Tum ko dhu’ndne nikle kis ka aasra le kar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Baad tere kaise Main zindagi guzaarungi Teri chaand si surat Main kabhi na paaungi Zindagi ka har lamha Tera Gham manaungi Jee ke kya kare Maadar Tere bin Ali Akbar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Zindagi ka har lamha ham pa hoega Aankh khushk hoegi qalb khoon roega Sar zameen e maqtal par Mera Laal soega Haay ye bhi kehne ko zinda reh gayi Maadar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Rukhsat e Ali Akbar ke ajeeb lamhe the Yu’n Rasheed khaime se Akbar e Jawaa’n nikle Ik janaza nikla ho jis tarah bhare ghar se Keh rahi thi ro ro kar Maadar e Ali Akbar Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar ------*------

~ 27 ~

Ali Jaweed Maqsood

LAILA SHAHEED HO GAYA TERA JAWAA’N PISAR

Ghodo’n se jab gira Shahe Mazloom ka Pisar Khaime ki simt Shah ne Dekha ba chashme tar Laila pukaari kya hai Mere Laal ki khabar Bekas Hussain kehne lage dil ko thaam kar Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Laila sab hasrato’n ke janaaze nikal gaye Hathyaar saare Akbare mehru pa chal gaye Sehre ke phool khoon ki dhaaron me dhal gaye Naize se chhid gaya Tere farzand ka jigar Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Laila Hamara mannato’n Waala guzar gaya Duniya Hamare chain ki barbaad kar gaya Chehra wo chaand se bhi hasee’n khu’n me bhar gaya Ab be chiragh hogaya Laila hamara ghar Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Gham se ghareeb Baap ka dil paash paash hai Beenaai ja chuki hai Pisar ki taLaash hai Narghe me ahle zulm ke Bete ki Laash hai Bas me Hamara dil hai na qaabu me hai nazar Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Kuch rehm Mere haal pa khaata nahi’n koi Bekas ko raasta bhi dikhata nahi koi Kis ja hai Mera Laal bataata nahi koi Rote hain ham Pisar ko to hanste hain ahle shar Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Jaweed tha azeem Ghame Shaahe Mashraqain Marge Pisar se lut gaya Sarwar ke dil ka chain Ghode se jab zamee’n pa gira Dilbare Hussain Rone lage ye keh ke Shahinshaahe Behro Bar -----Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar-----

~ 28 ~

Allama Akhtar Zaidi

ZAMEENE GARM PA LAASHA PADA HAI AKBAR KA

Salaam Rukhsate aakhir Hussain tak pohncha Hai sakht aalame ghurbat me Laal Zehra ka Koi nahi’n jo bataaye ke hai kaha’n Laasha Hussain dhoond rahe hain Pisar nahi’n milta Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Zaeef Baap ki nazre’n Jawaan ka Laasha Hai Gham se surkh Hussaine ghareeb ka chehra Sirhaane baith ke paiham ye de rahe hain sada Hussain Aaya Hai milne jawaab do Beta Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Hai khaima gaah me har simt hashr ka saamaa’n Shabeehe Husne Payambar tha Akbare Zeesha’n Bahan ke dil me tha Bhai ke byaah ka armaa’n Sakina kehti hai Bhayya kahan gaye Amma Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Khuda hi Jaane ke Shabbir kitne hain be aas Na koi Bhai na Beta hai ab Ghareeb ke paas Shadeed dhoop me reh reh ke badh rahi hai pyaas Hussain kitne hain tanha bichhad gaye Abbas Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Kaleja dekh ke Bete ka dil tadapta tha Hussain dekhte the aur ghar ujadta tha Tha aftaab falak pa abhi ujala tha Magar Hussain ki aankhon me bas andhera tha Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Qadam Hussain ke Akhtar zamana choomega Maqaame arsh pa dekhegi sabr ko duniya Rahega lab pa fazaaon ke har ghadi Nouha Hussain uthaaenge Laasha Jawaan Bete ka -----Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka-----

~ 29 ~

Hassan Abbas Ahsan

NA JAANE KIS TARAH LAILA NE DEKHA JAWAA’N BETA HAI AUR ZAKHMI KALEJA

Khudaya kaise Sarwar ne Uthaya Zaeefi me Jawa’n Bete ka Laasha Rakha khaime me La kar jab janaza Wo Laasha sar se pa tak khoo’n bhara tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Madine me Wo aksar sonchti thi Bahu hogi Hamari chaand jaisi Bada armaan tha shaadi ka jiski Wohi ab saamne bejaa’n pada tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Basarat ja chuki Sibte Nabi ki Hui hai khatm ronaq zindagi ki Luti duniya Hussain Ibne Ali ki Simat aaya hai aankhon me andhera Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Bada zaalim hua tha ye zamana Kayi hathyaar the aur ik nashana Jawaani me wo phal barchhi ka khaana Shabeeh e Mustufa par zulm aisa Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Wo Jiska Husn tha Husne Payambar Tha Us par ye sitam Allah O Akbar Watan me muntazir thi jis ki Khwahar Wohi ab khoon me Dooba Pada tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha

~ 30 ~

Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Kamaale sabr ka ye Mojiza tha Ke khud ko kaise Zainab ne Sambhala Jise atthaara barso’n tak tha Paala Usi ke Qalb me toota tha naiza Na jaane kis tarah Laila ne dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Koi poochhe Ali Akbar ki Maa se Guzarti kya hai marge Naojawa’n se Sada aati hai Ahsan aasma’n se Rahegi umr bhar sakte me Dukhiya Na jaane kis tarah Laila ne dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja ------*------

Mir Raza Ali Sohail

THA RANN ME SHEH KA YE NOHA MERE ALI AKBAR HUSSAIN HOGAYA TANHA MERE ALI AKBAR

Jo ran se Akbar e Mehru ki Shah ko pohnchi sada Zaeef Baap ne haatho’n se Dil ko Thaam liya Ye keh ke rukh kiya phir Shaahe di’n ne maidan ka Sada do Mujh ko Aye Beta Mere Ali Akbar

Har ik gaam pa ruk ruk ke haath Malte the Kabhi Sambhalte the Girte the phir Sambhalte the Sada ye Dete huwe ran ki simt Chalte the Dikhaai kuch nahi’n deta Mere Ali Akbar

Pohachke ran me jo Dekha Wo khoo’n bhara manzar Gira ke Shaah ne Khud ko Jawa’n ke Laashe par Kaha ye kaisi qayamat guzar gayi Dilbar Tha Maa ne is liye paala Mere Ali Akbar

~ 31 ~

Khadi hai khaime ke dar par Wo Ghamzada Maadar Main Laash khaime me le Jaaunga Teri kyunkar Ye haal dekh ke phat Jaayga Dil e Muztar Hai khoon me Tera Laasha Mere Ali Akbar

Jise thi aarzu dekhegi Wo Tera Sehra Bhala Wo Dekhegi kaise ye khoon bhara Chehra Jigar ka zakhm jo Dekhegi Ghamzada Laila Na ji sakegi Wo Dukhiya Mere Ali Akbar

Tu khaako Khoon me ghalta’n hai Mehlaqa Mere Khuda hi Jaane jo guzregi dil pa Zainab ke Ke Tujh ko Paala hai atthara saal tak Jisne Sitam hai us pa ye kaisa Mere Ali Akbar

Hussain Laaye jo khaime me Laasha-e Akbar Madad ko pohnchi jo Bhai ki Zainab e Muztar Jawa’n ke khoon se sab tar bataar hui chaadar Pukari ji ke karun kya Mere Ali Akbar

Rihaai jab hui zinda’n se Aale At’har ki Khabar Madine me pohnchi jo Qatle Akbar ki Sohail hil gayi sunkar Lahad Payambar ki Pukari ro ke ye Sughra Mere Ali Akbar ------*------

~ 32 ~

Baquer Mohsin

ZAEEF BAAP SE LAASHE PISAR NAHI UTHTI

Tadap ke kehti hai ye Roohe Fatima Zehra Bala ke dasht me Mera Hussain hai tanha Dayare ghair me uska nahi’n koi apna Ajeeb waqt e musibat hai Ya Ali Madadi Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Andhera aankhon me hai aur kamar khameeda hai Karega kaun madad kis ka ab sahara hai Nabi ka Noore Nazar kis qadar Akela hai Lahu rulati hai Mere Pisar ko tanhaai Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Zameen e garm pa hai Laasha e Shabihe Rasool Badan ke zakhm mehekte hain jaise Khuld ke phool Hujoom hasrato harmaa’n hai aur jaane Batool Hai larza haathon me Sarwar ke lab pa Naad e Ali Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Kinaare nehr pa Sote hain Hazrat e Abbas Adu ke narghe me bekas Hussain hain be aas Hai saath saath faqat be nawaai ka ehsaas Jawa’n ki Laash pa kehti hai Sheh ki tashna labi Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Lahu na kaise ho Mohsin ye Baap ka dil hai Ye imtihan e muhabbat ki sakht manzil hai Jawa’n ki Laash akele Uthaein mushkil hai Sitam ki dhoop me tanha khade hain Sibte Nabi Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti ------*------

~ 33 ~

Shaukat Bilgrami

KIS SOONE BANN ME SOTE HO

Kubra ne kaha Qasim Doolha, kis soone ban me sote ho

Bachpan ka randaapa dekho zara, kis soone ban me sote ho

Dekho to zara ham Shaan e Ali, ye maang hamari khaakh bhari

Kis se Main karun qismat ka gila, kis soone ban me sote ho

Paazeb ki jaa bedi hai padi, kangna ke ewaz rassi hai bandhi

Kya khoob Bani ka haal bana, kis soone ban me sote ho

Thaama tha jo Tumne haath Mera, duniya se lahad tak saath Mera

Ik shab ki Bani se hoke khafa, kis soone ban me sote ho

Ho jaata tha Shaukat hashr bapa, hilti thi zameene Karbobala

Kehti thi jo ro kar Wo Dukhiya, kis soone ban me sote ho

------*------

~ 34 ~

Ali Jaweed Maqsood

UTHO ZAMEENE GARM SE BETA UTHO UTHO

Pohnche Hussain Qasim e Bekas ki Laash par Dekha Wo haal kar na sake doosri nazar Pehlu me baith kar ye sada di bachashme tar Ham lene aaye hain Tumhe Dulha Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Qasim Tumhari Maa ko Tumhara hai intezaar Khaime ke dar pa baali Sakina hai be qaraar Dada ka naam leke Utho Mere jaa’n nisaar Sote nahi’n hain khaak pa Dulha Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Tasweer e dard ban gayi Kubra ki zindagi Jaaga hi tha naseeb ke taqdeer so gayi Kanghna abhi khila Nahi’n aur maang ujad gayi Kubra Banaai Jaati hai bewa Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Fauj e sitam sheyaar bada zulm kargayi Kya phool se badan pa qayamat guzar gayi Bhai ki yaadgaar zamee’n par bikhar gayi Dil khoon ho raha hai Hamara Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Tum ne Mujhe madad ko Pukara tha Mehlaqa Par aasaka na waqt pa sharminda hai Chacha Baalee’n pa ab Tumhari hu’n Rota Khada hua Do apne Gham me Mujhko Dilasaa Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

~ 35 ~

Karte hain dard o Gham se Haram naala o fughan Dulha ki raah dekhti hain saari Bibiaan Hai beqarar Aye Mere Dilbar Tumhari Maa Karti hai intezaar Tumhara Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Farwa ke dil ka chain ho Lakhte Dil e Hasan Haidar ki yaadgaar ho Ghaazi ho Saf Shikan Moula ke saath karta hai Jaweed ye sukhan Awaaz dete hain Shahe Waala Utho Utho Utho zameene garm se Beta Utho Utho ------*------

Rasheed Shaheedi

BAHATTAR TUKDE

Karbala me hua lakhte Dil e Shabbar Tukde Ran se Qasim ke utha laaye hain Sarwar Tukde

Pohnche maidaan me Qasim ki sada sun kar jab Dekha Shabbir ne Bhai ka hai Dilbar tukde

Sar jhukaye huwe Rote hain Hussain Ibne Ali Apne Bhai ki nishaani ke utha kar tukde

Hai ye Qasim ka Janaaza ke jigar Shabbar ka Ran se Shabbir utha Laay Bahattar tukde

Maadar e Hazrat e Qasim se ye Kehte hain Hussain Aap ke Laal ke laaye hain utha kar tukde

Waqea Hazrat e Qasim ki Shahadat ka Rasheed Sun ke hota hai har ik ka dil e muztar tukde

------*------

~ 36 ~

Ali Rafi

QATL HO GAYE QASIM YA ALI DUHAAI HAI

Hai lahu bhara Chehra kaisi runumaai hai Dekhne ko ye manzar ab Dulhan bhi Aayi hai Ek din ki thi Shaadi hashr tak judaai hai Karbala ke Dulha ki Laash ghar me Aayi hai Qatl hogaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Do jaha’n na kyun rowe ye Ali ka Pota hai Bekasi pa Qasim ki dil shikista hota hai Ye zameen Rothi hai aasma’n bhi rota hai Ab kisi ko sakta hai koi jaan khota hai Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Kis liye tadapte hain kisko jaa ke samjhaaein Kya guzarti hai Ham par Wo to bas Khuda Jaane Qalb bhi Hamare hain Shaah ke Aza khaane Hain azaaye Qasim me aasuon ke nazraane Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Aaj Karbala waale phir hamare mehma hain Phool ho’n ke mehndi ho sab Aza ke saama’n hain Ehtemaam shaadi ke ik Bahan ke armaa’n hain Ghamzado’n ke nazraane aansuon ke toofaa’n hain Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Ye Sadaa-e Maatam hai ik payaame bedaari Is liye rago’n me hai khoone zindagi jaari Zindagi Hamari hai Shaah ki Azadaari Khud shareeke Majlis hai ek Ghareeb Dukhiyaari Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Ran se Laasha-e Naoshah laay jis ghadi Sarwar Zindagi ka har lamha phir to ban gaya nashtar Har qadam qayamat thi har qadam pa tha mehshar Reh gaya nigaho’n me ye lahu bhara manzar

~ 37 ~

Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Bain the ye Kubra ke ab to ghut raha hai dam Bolte nahi’n kuch bhi aaj Mere Ibne amm Kis tarah se dikhlaaein apne dil ka ye aalam Boliye Phupi Amma chup rahein ke roe’n ham Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Misle Fatima Kubra kaunsi Dulhan hogi Sar to berida hoga haath me rasan hogi Laash jiske waaris ki ran me bekafan hogi Aye Rafi is Gham me qaom seenazan hogi Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai ------*------

Raza Aafandi

YE HUSSAIN MAQTAL SE KISKI LAASH LAATE HAIN

Kyu’n gulo’n ki khushbu se sara ran mehekta hai Pairahan mu’attar hai kya ye koi Doolha hai Chaand sa Hasee’n Chehra dhoop me chamakta hai Aur lahu ki dhaaron ka Uske Rukh pa sehra hai Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Jab lagaai thi mehendi us ko Pyaari Behna ne Maa libaase Nao lekar aayi usko pehnaane Sab baraation ke the aansuon ke nazraane Sub’ha ki thi ye baatein shaam ki Khuda jaane Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Tashnagi ke sehra me aag si barasti hai Boondh boondh paani ko zindagi tarasti hai Tashna kaam Dulha hai aur Dulhan bhi pyaasi hai Haay kaisi shaadi hai har taraf udaasi hai Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

~ 38 ~

Sub’ha se kaee Laashe leke aaye maida’n se Par ye Laash laane ki Shaan hi niraali hai Ek aba ke goshe me Jiski Laash aajaye Us ke jisme at’har par guzri kya Khuda Jaane Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Ran me Laash Dulha ki khaako khoo’n me ghaltaa’n hai Waa’n Dulhan ke khaime me hashr jaisa saamaa’n hai Sar pa khaak daali hai maang Uski veera’n hai Bain Uske sun sun kar Maa ka dil pareshaa’n hai Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Tha Dulhan ka ye Noha gardishe zamana hai Tum gaye suwe maqtal ham ko qaid khana hai Yaad ke sahare hi zindagi bitaana hai Kaash ham hi mar jaate ye bhi koi jeena hai Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Hogayi Dulhan Bewa Sheh ka Dil tadapta hai Har nafas wohi manzar chashme nam me rehta hai Ghash me Umme Farwa hai aur Dulhan ko sakta hai Ab Raza qayamat hai aasmaa’n larazta hai Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

------*------

~ 39 ~

Ali Jaweed Maqsood

MAQTAL SE LAASH QASIM E NAOSHAH KI AAYI HAI

Baraation ne kyun saffe maatam bichhaai hai Dulhan ki maang khaakh se kis ne sajaai hai Shaadi ka hai makaan faza Gham ki chhaayi hai Bewa hui Hussain ki Beti duhaai hai Maqtal se Laash Qasim e Naoshah ki aayi hai

Khushian tamaam hogayi aansu bahaiye Dulhan ko laake farshe Aza par bithaiye Shaadi ki rasm ho chuki bewa banaiye Fizza ye kiske marne ka paighaam laayi hai Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Bewo’n ke darmiyaan ye Farwa ki hai buka Pal me Meri khushi ka jaha’n khaakh hogaya Bete ka ghar basaane ka armaan tha Mera Ibne Hasan ne maot ki basti basaai hai Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Farmaate the ye Shaah ghazab hogaya Bahan Paamaal rann me hogaya Naoshah ka badan Aur tukde tukde hogaya Bhayya ka Gul badan Qasim ki Laash Hamne aba me Uthaai hai Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Jaweed Karbala ki ye Shaadi ajeeb thi Lamhon me jo khushi thi Wo Gham me badal gayi Shaadi koi jaahan me hoti hai jab kabhi Ibne Hasan ki Yaad zamaane ko aayi hai Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai ------*------

~ 40 ~

Kazim Banarsi

AASHOOR KI WO RAAT

Aashoor ki wo raat wo sannaate ka aalam Fitrat ki khamoshi me farishton ka Wo maatam Soya hua ran me Asadullah ka zaiGham Aur khoon me dooba hua Islaam ka parcham Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Dekhi na gayi bachon ki jab tashna dahani Aankhon me khatakne lagi maojo’n ki rawani Paani ke liye apna lahu kar diya paani Bachpan pa Sakina ke fida kardi jawani Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Qabze me thi talwaar ke qabze me Khudaai Do haath chali thi ke taraai nazar aayi Bhai ki wigha door se dekha kiye Bhai Yu Shaane Wafa Tu ne wafadaar dikhaai Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Aye Fatima Zehra ke qamar nayyare taaba’n Baazue Hussain Ibne Ali naasire Ima’n Khaaliq ki qasam kardiya Islaam pa ehsaan Aye mashke Sakina ke Muhafiz Tere qurbaan Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Duniya se gaya Shaan Wafaaon ki dikha kar Paani na piya pyaasa raha nehr pa jaa kar Ghode se gira khaakh pa baazu ko kata kar Soya bhi to soyi hui millat ko jaga kar Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Kazim koi karta hai to karne do bahana Goonjega fazaaon me wafaaon ka taraana Har rang me dhal jaaega ye Gham ka fasaana Fitrat to na badlegi badal jaay zamana Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge ------*------

~ 41 ~

Jameel Moosvi

AASHOOR KI YE SHAB HAI SHAHADAT KI RAAT HAI MAATAM BAPA KARO KE QAYAMAT KI RAAT HAI

Zehra ke Khandan pa ghurbat ki raat hai Khamosh khaima gaah hai wahshat ki raat hai Aashoor ki ye shab hai shahadat ki raat hai Maatam bapa karo ke qayamat ki raat hai

As’haab ko hai dhyaan bas apne Imam ka Pyaaso’n ko intezaar Shahadat ke Jaam ka Abbas kar rahe hain Talaaya Khayaam ka In sabke waaste ye Ibadat ki raat hai

Ahle Haram hain dekh pareshaan Karbala Dil aaj hi se sabke hain veeraan Karbala Kal tak rahenge ye tere mehmaan Karbala Ye raat unpa sakht musibat ki raat hai

Qasim Hasan ka Laal Jo Maida’n ko jaayga Dashte bala me khoon ka dariya bahaayga Maqtal ki sra zamin ko Mehshar banaayga Naoshaahe Karbala pa shahadat ki raat hai

Kal sub’ha deke aakhri mojiz numa Aza’n Barchhi Jigar pa Khaayga phir Akbare Jawa’n Sakte me kal se aakhri din tak Rahegi Maa Bete ki aakhri ye Ziyarat ki raat hai

Chaadar hai aaj sar pa hai Zainab ko itminaan Kal hoga sab saro’n pa magar charkhe Saaybaan Kal hoga Fatima ka rasan basta Khandan Ye aakhri ridaao’n ki hurmat ki raat hai

~ 42 ~

Shaane kata ke nehr pa Abbas Soenge Tooti Kamar ko Thaam ke Shabbir Roenge Bachche bhi pyaas bujhne ki ummid khoenge Ghaazi pa aaj Zapte Shuja’at ki raat hai

Hamla Ali ke Sher pa hoga furaat par Marjaayga Sakina ka Saqqa furaat par Kal hoga Ambiya ka bhi girya furaat par Khaimo’n ki aakhri ye hifazat ki raat hai

Teere sitam se kal jo kiya Jaayga Shaheed Shashmaaha hai wo Jis pa musibat hai ye shadeed Ye zulm karke roega khud lashkare yazid Bano pa intehaay aziyat ki raat hai

Hangaame asr qatl Kiye Jaaynge Hussain Kal Bekafan Rahenge yaha’n Shaahe Mashraqain Maqtal me goonj uthenge kal Fatima ke Bain Ye raat Mere Laal pa ghurbat ki raat hai

Laazim hai kaaynaat pa ye Gham Hussain ka Kaise karenge Haq ye ada ham Hussain ka Bachpan se karte aay hain Maatam Hussain ka Apne liye ye raat sa’adat ki raat hai

Maango Jameel Khaliqe Akbar se ye Dua Aye Rabbe Paak Tujhko hai ab shab ka waasta Ham sab Hussain waalo’n ko pohnchaade Karbala Aansu bahaay jao ye riqqat ki raat hai

------*------

~ 43 ~

Ali Jaweed Maqsood

JAATE HO SUWE MAQTAL ABBAS KHUDA HAFIZ

Bole ye Shahe waala Abbas Khuda hafiz Ab hogaya ghurbat ka ehsaas Khuda hafiz Ham hogaye jeene se be aas Khuda hafiz Faryaad kuna sab ki hai pyaas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Har simt se aati hai rone ki sada Bhai Sab Ahle Haram dar par karte hain buka Bhai Parde ka na chaadar ka kuch hosh raha Bhai Aate hain unhein kya kya waswaas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Mazloom hain ham kitne kya waqte musibat hai Dikhlaaein kise Bhai jo qalb ki haalat hai Har saans ek aafat hai har lamha qayamat hai Khaamosh hain lab dil me hai yaas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Phirne lage aankhon me ab dard ke sab manzar Wo lut’te huwe khaime Wo jalta huwa bistar Wo neel tamaanchon ke Wo chhinte huwe gohar Hai kaon Ghareebon ke ab paas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Hone se Tere rukhsat dil toot gaye Bhayya Ab to koi pyaasa bhi paani nahi’n maangega Mazloom musibat me ab kis ko sada Dega Khaamosh rahegi ab har pyaas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Ab Shere Jari Tum se lashkar ki bhi zeenat thi Har ranj me aafat me Gham sehne ki taaqat thi Tum saath rahe jab tak Shabbir ko himmat thi Ab jeene ka armaa’n hai naa aas Khuda hafiz

~ 44 ~

Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Kya sakht musibat hai Abbas Tera jaana Gham hogaya phir taaza Baba ki musibat ka Ab waqt aseeri ka Zainab ko yaqee’n aaya Sach hote hain bewon ke waswaas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Taari tha Sakina pa ghurbat ka ajab aalam Maidaan ko jaata tha Shabbir ka jab zaiGham Aati rahi khaimon se bas ik sada paiham Abbas Khuda hafiz Abbas Khuda hafiz Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz ------*------

Ali Jaweed Maqsood ABBAS E ALI SHEH KE ALAMDAR SIDHARO

Rukhsat ke liye aaye hain Abbase Dilawar Bechain hain sadme se Dil e Zainabe Muztar Nazrein kabhi baazu pa kabhi Bhai ke rukh par Naoha ye zaba’n par ke wafadaar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Jab tak Mere Bhayya Tere baazu hain salamat Baazu Mere baandhe ye kisi me nahi’n himmat Marne ki riza leke jo Tum hote ho rukhsat Zinda’n hai hamare liye tayyar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Niklegi jo Kufe ko Aseero’n ki sawari Sar peet te rote huwe karte huwe zaari Aayegi yateemo’n ko bohut yaad Tumhari Sab hote hain be yaaro madadgaar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

~ 45 ~

Maaloom hua Mujh ko hui khatm ladaai Laakhon ke muqaabil hua tanha Mera Bhai Ho jayegi Bhayya ke saro tann me judaai Ab kaon hai Bekas ka madadgaar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Aankhein Meri ghurbat ka sama dekh rahi hain Uthta hua khaimon se dhua’n dekh rahi hain Baazu pa rasan ke bhi nashaa’n dekh rahi hain Aane ko hain khaimon me sitamgaar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Chaadar Meri chhin jaayegi jab Tum na rahoge Aur shimr Sakina ko lagaaega tamaanche Beemar pa barsenge sitamgaaron ke durre Dhaaenge bohut zulm jafakaar sidharo Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo ------*------

Ali Jaweed Maqsood

SHABBIR HAI TANHA MERA ABBAS KAHAN HAIN

Do laakh ke narghe me Muhammad ka Nashaa’n hai Hamdard kahan koi har ik dushmane jaa’n hai Ab maot hi Haidar ke Dulaare ki amaa’n hai Maqtal ki fazaon me ye Zehra ki fughaa’n hai Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Shabbir ki tanhai pa ha’nste hain sitamgar Ab koi sahara nahi’n Qasim hai na Akbar Sambhla nahi’n jaata Mere Bachche se faras par Pyaase ki nigahon me har ik simt dhua’n hai Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Narghe me sitamgaaro’n ke ghash hai Mera Dilbar Khanjar liye aata hai idhar shimre sitamgar

~ 46 ~

Rann me nikal aayi hai udhar Zainabe Muztar Khaimo’n me Nabi zaadio’n ki aaho fughaa’n hai Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Andaaz tasawur me jaga pa gaya kiska Ye dard Mere Laal ko tadpa gaya kiska Khanjar ke tale bhi ye khayal aagaya kiska Mazloom suwe nehr ba hasrat nigaraa’n hai Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai ------*------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI AAJ DILBARE UMMUL BANEEN KA

Haidar ka Laal aur Wo Zehra ka dilruba Saqqaye Ahle Bayt Alamdaare ba wafa Abbas se jari ko na thi jang ki riza Hasrat jihad ki liye maqtal me sogaya Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Abbas Muztarib the badan tha lahu me tar Kya jaane kya guzar gayi Us par kise khabar Allah Jaane kaise gira hai Wo khaak par Shaane juda the aur tha Sar bhi shigaafta Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Bhai ka haal dekh ke Roe Shahe umam Ummul Bani’n ke Laal pa kya kya huwe sitam Zakhmon se choor hogaye sahaane huwe qalam Sar hogaya shigafta mashkeeza chhid gaya Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Farmaya Sheh ne kaisi ye neend aagayi Tumhein Abbas Ham Tumhari Sakina se kya kahein Is tarha Bhai chhorh ke Jaao na Tum Hamein Utho ke de rahe hain Tumhe kab se Ham sada

~ 47 ~

Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Bachchon ko intezaar tha Abbas aaenge Boli Sakina Mere Chacha paani laaenge Ammu Hamare pyaas sabho’n ki bujhaenge Lekin Haram ka Paasbaa’n waapas na aa saka Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Aya kamar ko thaame jo Zehra ka Noore Ain Pyaasi Sakina Baap se karne lagi ye bain Ammu baghair aaega kis tarha Ham ko chain Bole Hussain margaya Beti Tera Chacha Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Zainab lipat ke Bhai se karne lagi ye bain Maajaay kuch to bolo ye kaisa hai shoro shain Sar ko jhukaay rote ho kis waaste Hussain Sheh ne kaha Bahan Mera Abbas Margaya Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Aansu Hamare karte hain paiham Tujhe Salam Abbas mushkilon me to Aata hai sab ke kaam Adna ye hai Rasheed Shaheedi Tera ghulaam Hai Tere Gham me is ke bhi lab par yehi sada Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

------*------

~ 48 ~

Hasan Abbas Ahsan

DASHTE GHURBAT ME SAKINA MAIN AKELA HOGAYA

Laashe Abbase Ali se uthke Aaye hain Hussain Ho chuki duniya andheri kho chuka hai dil ka chain Thaam kar tooti kamar Beti se karte hain ye bain Nehr par Shaane kata kar Sogaya Tera Chacha Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Khoon beh jaane ka koi Gham na tha Abbas ko Apni nazron me basaay tha Wo Teri pyaas ko Chot pohnchi haay Mere Bhai ke ehsaas ko Beh gaya paani chhida jis waqt mashkeeza Tera Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Main ne dekha hai dare khaima se us ka haale zaar Jab hua be dast Mera Bhai Mera Ghamgusaar Har taraf se har koi Mazloom par karta tha waar Kis qadar zakhmi hua tha kya kahu’n saqqa Tera Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Haal Mere Bhai ka Beti karun kaise baya’n Jab Main pohncha Wo hayaato maot ke tha darmiya’n Sar se paa tak gurz ke tegho’n ke bhaalo’n ke nasha’n Aankh me ik teer tha ik aankh me tha khoo’n bhara Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Kehta tha Laasha Mera Lillaha khaimo’n me na jaay Mujh ko ab saydaanio’n ka saamna hone na paay Ye guzarish hai Sakina Mere Laashe par na aay Marte marte Uska Saqa Us se sharminda raha Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

~ 49 ~

Har aziyat seh gaye sab baawafa saathi Mere Par jo ghode se gira us ke salamat haath the Ye musibat haa’n magar hisse me thi Abbas ke Kya Bataaau’n kaise ghode se zami’n par Wo Gira Dasht e ghurbat me Sakina Main akela hogaya

Karbala me is tarah aashoor ko majlis hui Zikr tha Abbas ka zaakir Hussain Ibne Ali Be baso’n ki aaho zaari se zami’n hilne lagi Kehte the Ahsan yehi ro ro ke Shahe Karbala Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

------*------

Ali Jaweed Maqsood

JALTE HAIN KHAIME

Shole hain bhadakte huwe har simt dhua’n hai Zainab pa musibat hai qayamat ka sama hai Kehti hai Muhafiz Mere parde ka kahan hai Hamghirate Haidar Meri chaadar to bachaale Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime Phir ghaize Yadullah zamaane ko dikhao Faryaad chaheeti ki hai Imdaad ko aao Gohar na chhine aake Bhateeji ko bachao Daaman se Sakina ke hain lipte huwe shole Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime Tum aao to phir zulm ki taqat na rahegi Tum aao to Zainab ki rida chin na sakegi Tum aao to beemar ki masnad na jalegi Tum aao to beemar pa barseinge na kode Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime Barchhi ki ani par hai abhi tak Dile Akbar Aur Baap ki aaghosh me kumhla gaye Asghar Shabbir ki gardan pa chala shimr ka khanjar Ab Aabide Beemar bhi sholo’n me ghira hai

~ 50 ~

Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime Jalti hui reti pa pade hain tane Besar Ye Aun o Mohd hain Wo Qasim hai Wo Akbar Phir ik naye zulm pa tayyar hai lashkar Paamaaliye Shabbir ke hote hain iraade Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime Ab Aale Mohd pa qayamat ki ghadi hai Kya waarise Tatheer pa uftaad padi hai Ye Dukhtare Zehra hai jo balwe me khadi hai Beemar sambhalta nahi’n kode hain baraste Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime ------*------

Mir Raza Ali Sohail

KYA SO RAHE HO NEHR PA ABBASE BAWAFA

Zainab ke bain the Mere saqqaye Karbala Is bekasi me koi Hamara nahi’n raha Jo Tum nahi’n to Ham pa har ik gaam hai jafa Ham bekason ko Aake do ab jald aasra Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa Tooti kamar Hussain ki jab Tum nahi’n rahe Aankhon ka Noor ja chuka Akbar jo Chal base Bewo’n ko aas Tum se thi Shere Jari Mere Bekas Hussain dasht me ab kisko dein sada Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa Sab jal chuke qayam ridaaein bhi chhin gayi’n Tab se pada hai ghash me Mera Abide hazi’n Saaya hai asmaan ka aur farsh hai zami’n Zainab talaya karti hai jalte khayaam ka Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa Ro kar Sakina kehti hai Ammu ab Aaiye In zaalimon ke zulm se ham ko bachaiye Behr e Khuda na is tarah mujh ko rulaiye Gohar bhi chheene ja chuke kurta bhi hai phata Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa Bhayya jo Tum nahi’n to hain be aas Bibiya’n Khaimon me Sheh ke ek qayamat ka hai sama’n Tashna labi se bachche sabhi karte hain fugha’n

~ 51 ~

Rokar Sakina Kehti hai jald Aaiye Chacha Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa Mashko Alam ko leke luta Qafela chala Haamil Alam ka Pyaason ka Saqqa nahi’n Raha Maatam tha aye Sohail Alamdare Shah ka The bain sab ke aye Bani Hashim ke Meh laqa Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa ------*------

Mir Raza Ali Sohail

RO RO KE YEH ZAINAB NE KAHA AUN-O-MOHD GHAR KAR GAYE VEERAN MERA AUN-O-MOHD

Pehlu me jo Tum hote to Soti thi suku’n se Neend aayegi ab kaise bhala Aun-o-Mohd

Sonchi thi jawa’n honge Meri aankhon ke taro Tifli me huwe Mujh se juda Aun-o-Mohd

Kya rooth ke Maadar se khafa hogaye pyaaron Hojaay ye Maa Tum pa fida Aun-o-Mohd

Ghar Mera hamesha ke liye kar Gaye barbaad Aabaad huwi Karbobala Aun-o-Mohd

Do chaand Mere chhup gaye badli me sitam ki Sara jaha’n andhera hua Aun-o-Mohd

Ab Tum jo nahi’n ghar mujhe achha nahi’n lagta Yaad aati hai har ik ada Aun-o-Mohd

Tanhai me ghut ghut ke sada Gham me Tumhare Karti hu’n me raaton ko buka Aun-o-Mohd

Tum sahib e aulaad jo hote to samajhte Kis dil se di marne ki riza Aun-o-Mohd

Reh reh ke khayal aata hai Tum Dono se pehle Kyun aayi nahi’n Mujh ko qaza Aun-o-Mohd

~ 52 ~

Baalo’n se chhupaati rahi chehre ko Main Apne Chheeni gayi jab Meri rida Aun-o-Mohd

Uftaad Sohail aisi thi ik Ghamzada Maa par Thi dil ke dhadakne ki sada Aun-o-Mohd ------*------

Sadiq

MERE ASGHAR KI HAI QABR KIS JA

Kehti Bano ye maqtal me aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja Dhu’ndti hu’n karo rehnumaai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Haay kaisa hua daagh dil par chain aata nahi’n Main hu’n muztar Mujh ko deta nahi’n kuch dikhai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Mere Bachche ka koi pata de aye zameene tu bataaa de Aye falak hu’n Main Teri satai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Mera Shashmah Bachcha kahan hai kyu wo ankhon se Meri niha hai Kaunsi ja hai jo Usko bhaai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Shab hai ghabraaega Mera Bachcha kaisa maqtal me hai sab andhera Lori dekar sulaane hu’n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Koi kehta nahi’n kuch zaba’n se uth gayi kya murawat jaha’n se Logo’n kehdo Main hu’n uski Daayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Tashnagi se Wo Uska tadapna ab bhi aankhon me hai Wo machalna Pyaas uski bujhaane hu’n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Teer hi tha bohat jis gale par haay phera gaya Uspa khanjar Aasma de raha hai duhaayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Hashr khaime me Sadiq tha barpa rote jaate the Sajjade Wala Bano kehti jo maqtal me Aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja ------*------

~ 53 ~

Fareed Baig

SHAHEED-E-TEER-E-SITAM BEZABA’N ALI ASGHAR

Chale hain khaime se phir laut kar na aaenge Sawaale aab pa teere sitam ye khaaenge Na baade dafn bhi marqad me chain paaenge Hussain dil ko bhala kis tarah Manaenge Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Chala jo teer to kaampi zameene Karbobala Chhidi jo gardane besheer to falak larza Fazaa-e dasht me ik hashr hogaya barpa Magar Hussain ka Beta tha Muskura Utha Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Jo dekha Banu-e muztar ne dil larazne laga Kaha ye ro ro ke Haay Haay ye kya hua Beta Zara si der me veeran kar gaye jhoola Rahega honton pa ta umr bas yehi Noha Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Lahu bhare huwe honton ko choom kar ye kaha Ye kisne teere sitam se tujhe shaheed kiya Nazar na aaya usse kya ye phool sa chehra Ye bain sun ke haram kar rahe the aaho buka Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Bana ke nanhi si turbat zameene maqtal par Ik aah sard bhari aur uth gaye Sarwar Kahan hain Qasim o Abbas aur Ali Akbar Falak ko dekh ke ik baar ye kaha rokar Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Chale jo turbate besheer se suwe khaima Hussain bekaso Mazloom tashna lab tanha Fareed koi na tha dashte nainawa ke siwa Faza me goonj rahi thi ye Fatima ki sada Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar ------*------

~ 54 ~

Ali Irfan

NAUNEHAAL Maidaan me jo Shah ne halmin ki di sada Asghar ne Apne jhoole se Khud ko gira diya Maa ne kaha ke Tum bhi chale Mere Dilruba Achha Main ye judaai bhi sehlungi Mere Laal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Armaa’n bahot the koi na hasrat nikal saki Tha chaar din ka saat ye mujhko khabar na thi Jee bhar ke pyaar bhi to Main kar paai na abhi Beta tamaam umr rahega yehi maLaal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Waqt-e sehr se asr talak ghar ka ghar luta Abbas o Qasim o Ali Akbar huwe judaa Ab Tum bhi jaane waale ho Maa Tum pa ho fida Lekin abhi bhi sabr karungi me khasta haal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Jaate ho rann ko thehro Main gesu sanwaar dun Godi me Aao Tumko Main ji bhar ke pyaar dun Ruk jaao Mere Laal ke sadqa utaar dun Apni Amaa’n me rakhe Tujhe Rabbe ZuljaLaal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Jab Main watan ko laot kar Aye Laal jaaungi Sughra jo Tumko poochhegi kuch keh na paaungi Ro’ungi khaali jhoola Tumhara jhulaaungi Deen e Rasool e Haq ki ye izzat ka hai sawaal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Bechain-o beqaraar ho Tum jang ke liye Sukhi zaba’n hai pyaase ho Tum teen roz se Is ke siwa hain aur bhi kitne hi marhale Tum ko magar hai maqsade Shabbir ka khayal Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal ------*------

~ 55 ~

Hasan Abbas Ahsan

MERE BHAYYA ALI ASGHAR

Sakina kehti thi rokar Mere Bhayya Ali Asghar Huwi hai raat aaja ghar Mere Bhayya Ali Asghar

Wo Nanha sa gala chheda jise teere sitamgar ne Usi par phir chala khanjar Mere Bhayya Ali Asghar

Sitamgaaron ne jhula bhi nahi’n chhora jala daalaa Pachhaadein khaati hai Maadar Mere Bhayya Ali Asghar

Machalna pyaas ki shiddat se Tera hichkiyaan Lena Nighaahon me hai wo manzar Mere Bhayya Ali Asghar

Andheri qabr hai pehlu hai Maa ka aur na jhoola hai Tujhe neend aaegi kyun kar Mere Bhayya Ali Asghar

Bohat samjhaya Zainab ne Sakina ko magar Ahsan Wo Rothi thi yehi keh kar Mere Bhayya Ali Asghar ------*------

~ 56 ~

Rasheed Shaheedi

RABAB KARTI HAI FARYAAD MARGAYE ASGHAR

Wo chhe mahine ka sin aur wo tashnagi ka safar Zaba’n ka pherna paiham sulagte honton par Ghareeb Maa ki nigaahon me hai ye sab manzar Kahe to kis se kahe dil pa chalte hain khanjar Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Tadapna Baap ki aawaaz par wo Asghar ka Sada wo sunte hi Halmin ki muztarib hona Wo kamsini wo atash wo Sagheer ka jazba Wo girna jhoole se jaana wo Sheh ke haathon par Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Pehen ke nikla tha maqtal ko wo naya kurta Ye kya hua ke wo kurta lahu se surkh hua Guluwe khushk pa kaisa sitam ka teer laga Qaraar aayega ik Maa ke dil ko ab kyun kar Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Har ik Bibi ka is Gham se hai ajab aalam Tasalli deti hai Zainab Rabab ko paiham Lahu rulaati hain yaadein Sagheer ki har dam Nigaah padti hai jis waqt khaali jhoole par Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Rasheed baade Shahadat ajeeb zulm hua Lahad me chayn se wo jhoole waala so na saka Nikala qabr se zaalim ne us ko zib’ha kiya Sina ki nok pa dekha gaya wo phool sa Sar Rabab karti hai faryaad margaye Asghar ------*------

~ 57 ~

Hasan Abbas Ahsan

BAIN THE YE BANO KE MERE BEZABA’N ASGHAR SHAAM HOGAYI BETA TUM GAYE KAHA’N ASGHAR

Bekasi me kya Meri aas toot jaaegi Ab Tumhare jhoole me kisko Maa jhulaaegi Dasht ke andhere me kaise neend aaegi Ghut rahi hain seene me kab se loriya’n Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Dekhne ko zinda thi Maa wo karb ka manzar Kya sitam hua Beta aah Teri gardan par Teere zulm kya kam tha haay phir chala khanjar Gir pada na dharti par kyun ye asmaa’n Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Tere jisme naazuk par pyaas ka asar dekha Tera chaand sa chehra khu’n me tar ba tar dekha Maine noke naiza par haay Tera Sar dekha Margayi na kyu’n Teri benaseeb Maa Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Kya baya’n karun Beta Mere qalb ki haalat Phir rahi hai aankhon me Teri chaand si surat Kar saki na jee bhar ke haay Main Teri khidmat Sharmsaar hai Tujh se aaj Teri Maa Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Shaahe dee’n ne dafnaaya Teri Laash ko Beta Ahle zulm ko lekin yebhi kab gawaara tha Qabr se nikala tha Tera khu’n bhara Laasha Phool sa wo sar Tera aur wo sina Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

~ 58 ~

Reh gaya hai nazron me Teri pyaas ka manzar Ik boond bhi paani Mai na desaki Dilbar Maa nisaar hojaati Tere khushk honton par Shiddat e atash se wo Teri hichkiyaan Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Kyun rahe na mehshar tak dil figaar Bano ka Haa’n ye maatame Asghar hai qaraar Bano ka Kya baya’n kare Ahsan haale zaar Bano ka Umr bhar labo’n par tha haay Meri Jaa’n Asghar Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

------*------

~ 59 ~

Ali Jaweed Maqsood

GARM RETI PA MAIN GIRTA HU’N SAMBHALO AMMA

Asre Ashoor tha Shabbir the tanhaai thi Maahe Zehra pa ghata zulm ki jab chhaai thi Sheh ko jab noke sina suwe zami’n laai thi Girte girte labe Zakhmi pa sada aai thi Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Lut gaya hu’n Main kisi ki bhi Mujhe aas nahi’n Qatl sab hogaye ab koi Mere paas nahi’n Mera Qasim nahi’n Akbar nahi’n Abbas nahi’n Tum Mujhe Aake kaleje se lagalo Amma Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Laash Qasim ki uthaai hai nazar zakhmi hai Zakhm Akbar ka jo dekha hai jigar zakhmi hai Qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai Dein sahara Mujhe Baba ko bulalo Amma Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Main jo ghode se girun Tum Mujhe taskee’n dena Pyaar karna Meri himmat ko duaein dena Daal kar baahein gale me Mujhe lipta lena Haa’n dame zib’ha magar haath hata lo Amma Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Ab koi dam me Mere halq pa khanjar hoga Aur seene pa Mere shimr sitamgar hoga Khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga Aakhri naaz ye Bete ka uthaalo Amma Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Apne waade ke liye Maine har eeza sehli Ik armaa’n Mera nikle to inayat hogi Zib’ha ke waqt Meri Tumse tamanna hai yehi Sar Mera khaak se zaanu pa uthalo Amma Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

~ 60 ~

Mujahid Hussain

NAZDEEK NAJAF HAI KOI HAIDAR KO BULALE

Yu’n Maadare Shabbir pareshaan hai bann me Rothi hai tadapti hai wo hairaan hai bann me Kehti hai ke duniya Meri veeraan hai bann me Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Sar ek hai lekin hain talabgaar hazaaron Tanha Mera Shabbir sitamgaar hazaaron Ik jaan pa toote hain jafa kaar hazaaron Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Mazloom ke bachne ki koi aas nahi’n hai Sab margaye hamdard koi paas nahi’n hai Akbar nahi’n Qasim nahi’n Abbas nahi’n hai Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Badhte huwe aate hain idhar barchhion waale Koi bhi nahi’n jo Mere Bachche ko bachaale Hai koi jo is Maadare bekas ki Dua le Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Sadd’haif wo hai nargha-e aada me giraftaar Teero’n ki hai bochhaar to shamsheer ke hain waar Lo jhoomta hai pushte faras par Mera Dildaar Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Hilti hai zami’n aur falak hota hai larzaa’n Khaime se nikal aayi hai Zainab suwe Maida’n Hone laga Bachche ke Mere qatl ka saamaa’n Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

~ 61 ~

Baade Shahe Mazloom Mujahid ye hua tha Sab jal gaye khaime ye falak dekh raha tha Naoha yehi Zehra ka faqat goonj raha tha Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale ------*------

Hasan Abbas Ahsan ASR KA HANGAAM HAI AUR ZAINAB-E-DILGEER HAI

Khanjaro teero sina hai naiza-o shamsheer hai Har taraf hathyaar hain aur darmiyaa’n Shabbir hai Haay peshaani pa Sheh ki hurmula ka teer hai Khoon me doobi huwi Islam ki tasweer hai Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Dard ka har ek manzar hai nazar ke saamne Shimr ke haathon me khanjar hai nazar ke saamne Bhai ka kat’ta hua Sar hai nazar ke saamne Zib’ha hote hain Hussain aur saamne hamsheer hai Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Garm reti par tadapta hai Dil-e Zehra ka chain Ghir chuka hai barchhion me Mustafa ka Noore Ain Chand lamho’n me abhi kat jaaega Halq-e Hussain Karbala ke bann me tanhaai hai aur Shabbir hai Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Ab siyaah aandhi chalegi aaenge ab zalzale Gardane Shabbir hogi shimr ke khanjar tale Ik rasan me honge ab baara aseeron ke gale Ab tamaanche hain musalsal Dukhtare Shabbir hai Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Karbala hai haq parasto’n ke liye kul Kaa’enaat Karbala ke haath me ham ne diye hain apne haath Jaan bhi jaaye to Ahsan haq ka chhorenge na saath Jaante hain ham yehi to Maqsade Shabbir hai Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

~ 62 ~

Ali Jaweed Maqsood

AAJA MERE DILBAR MERI AAGHOSH ME AAJA

Tha asr ka hangaam falak kaamp raha tha Zehra ka jigar bandh laeenon me ghira tha Teeron ka nashana tha Muhammad ka Nawaasa Girte huwe mazloom ne Maadar ko pukaara Ab aaiye Amma ke Main girta hu’n zami’n par Zehra ki sada aayi ke maujood hai Maadar Phailaaye hu’n baahein Meri Godi me sama ja Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Rasta Mera khu’nkhaar kahan rok sakenge Maa ko ye sitmgaar kahan rok sakenge Mamta ko ye hathyaar kahan rok sakenge Maa Tujh ko na chhoregi kisi haal me tanha Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Dekha hai Tujhe Laash Bhatije ki Uthaate Abbas ke Laashe pa kamar thaam ke Jaate Aur Auno Muhammad ke Janaazo’n ko bhi Laate Aye Laal Tere sabr ke qurbaan ho Zehra Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Maqtal me Tujhe thokarein khaate huwe dekha Laasha Ali Akbar ka uthaate huwe dekha Asghar ka lahu Rukh pa lagaate huwe dekha Zainab ko madad ke liye aate huwe dekha Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Aye Laal Tere sabro Shuja’at ki bala lu’n Aaja Mere Pyaare Main kaleje se laga lu’n Jab tegh ho gardan pa to zaanu pa lita lu’n Is dard se bhi saath hai Dono ko guzarna Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa ------*------

~ 63 ~

Ali Jaweed Maqsood

SITAM KE DASHT ME ZEHRA KA LAAL TANHA HAI

Pisar ke qalb me naiza laga jo dekha hai Gaya hai Noore Nazar har taraf andhera hai Kamar khameeda hai seene me dard uthta hai Zaeef Baap hai aur Naojawa’n ka Laasha hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Kahan ho khulq ke Mushkil Kusha duhaai hai Ajal jawaan ko dashte bala me laayi hai Wo bebasi hai ke ansaar hain na Bhai hai Madad ka waqt hai Shabbir be sahara hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Jawa’n ke qalb me tooti hui hai noke sina Zami’n pa paau’n ragadte hain Akbare Zeesha’n Pidar ke Dil me machalta hai dard ka toofa’n Nazar ke saamne Bete ka dam nikalta hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Sambhaale haatho’n se dil ko tadap raha hai Pisar Rakhe hain haath Rasoolo’n ne Apni aankhon par Hussain dekh rahe hain ye hashr ka manzar Ye Dil Hussain ka hai ye jigar Hussain ka hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Pidar ka Noore Nazar Maa ka hasrato’n waala Hai khaako khoon me ghaltaa’n wo gesuo’n waala Jaha’n se hogaya rukhsat wo mannato’n waala Usi ki raah me khaime ke dar pa Laila hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

~ 64 ~

Pisar ki maut pa jo beqarar Bhai hai To besukoon idhar Fatima ki Jaayi hai Madad ko Shah ki khaime se baahar aayi hai Na hosh parde ka hai aur na khaufe aada hai Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai ------*------

Mujahid Hussain Mujahid

SHABBIR KAHAN HAI MERA SHABBIR KAHAN HAI

Zehra ki Sada thi Mera Dilgeer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai

Is dasht me Dhoondu’n Main kahan Apne Pisar ko Rasta bhi sujhaai nahi’n deta hai nazar ko Kab tak phiru’n thaame huwe Main Apne jigar ko Koi to bataade Shahe Dilgeer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai Sar peet’ti Rothi rahi maqtal me Main Dukhiya Zalim ne Mere Lal pa kuch rehm na khaya Sar Tan se juda kar diya Bekas ka Khudaya Wo khoon me doobi hui tasweer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai Laashe hain Shaheedo’n ke yu’n maidaan me saare Jis tarha se bikhre huwe Qur’an ke Paare Zalim ne kiye Qalbo Jigar chaak Hamaare Wo bolte Qur’an ki Tafseer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai Lut jaaungi is tarha ye soncha bhi nahi’n tha Aankhon ke Mere saamne chhaya hai andhera Tha Noor jo aankhon ka hua door wo aisa Sar ta ba qadam paikare tanweer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai Hai Jism bhi paamaal Tera aye Mere Dilbar Rote hain sabhi hooro malak arshe bari’n par Hai khaak pa begoro kafan Sibte Payambar Urya’n hai Badan Chaadare Tatheer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai

~ 65 ~

Kehti thi Mujahid yehi bas Maadare Shabbir Jaau’n Main kahan haay Khuda kya karu’n Tadbeer Karbal me luti hai Meri Duniya Meri jaagir Akbar hai kahan haay wo Besheer kahan hai Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai ------*------

Ali Jaweed Maqsood

YE RAN ME KARTI THI FARYAAD BINTE PAIGHAMBAR MERA HUSSAIN TADAPTA HAI KHAAKE MAQTAL PAR

Hai waqt Asr ka aur Karbala me hai mehshar Zameen-e garm pa ghash me hai Fatima ka Pisar Laee’n hai seene pa gardan me zulm ka khanjar Ye ran me karti hai faryaad Binte PaiGhambar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Falak nasheen zami’n par gira hai wawaila Hazaar zakhm hain sukha gala hai wawaila Ussi ke halq pa khanjar chala hai wawaila Hai Bosagaahe Nabi aur shimr ka khanjar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Kamar khameeda hai Gham hai Usse Baradar ka Abhi Uthaya hai Laasha Jawaan Akbar ka Abhi to taaza hai Gham Dil pa qatle Asghar ka Abhi nazar me hai Qasim ki Laash ka manzar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Tha Mera Laal nashana sina-o khanjar ka Gale pa teer hai Maathe pa zakhm pathar ka Bhara hai zakhmon se saara badan Dilawar ka Lahu Ghamo’n se hai Mazloom ka Dil-e Muztar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

~ 66 ~

Huwe hain qatl nigahon ke aage peero Jawa’n Wo bekasi thi ke PaiGhambaron ne ki hai Fugha’n Jari ne dekhi hai Bete ke Dil me noke sina Uthaya Bekaso Tanha ne Laasha-e Akbar

Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Wo pyaas hai ke nazr me dhuwa’n ho saara jaha’n Utha hai dil me Sakina ki Yaad ka toofa’n Fiza me goonj rahi hai Haram ki Aaho Fugha’n Sadaaein deta hai Abbas ko Mera Dilbar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Na Gham gusaar hai Beta hai aur na Bhai hai Tadapke Zainabe Muztar hi rann me Aayi hai Madad ka waqt hai Ya Mustufa duhaai hai Hai khaako khoon me ghaltaa’n Tumhara Noore Nazar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Hai zere khanjaro khu’nkhaar tashnakaam Pisar Hai zib’ha karne ko tayyar zaalime khud sar Ulat do rann ki zami’n ab to Faatehe khaibar Shaheed hota hai Beta Tumhara Ya Haidar Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Mere Pisar pa laeeno’n ki fauj chhaai hai Ghareeb bekaso tanha hai benawaai hai Kisi ne tegh kisi ne sina lagaai hai Sawaar shimr hai Bekas ke zakhmi seene par Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Hai kaaenaat me Jaweed is fughaa’n ka asar Falak larazte hain kaono maka’n me hai mehshar Zameen kaampti hai khoon rote hain pathar Jo bain Karti hai Zehra Pisar ki baali’n par Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par ------*------

~ 67 ~

Sajjad Nazar

PADA HAI JALTI ZAMEE’N PAR HUSSAIN KA LAASHA

Tadap ke kehti hai maqtal me Zainabe Muztar Sitam raseeda hai bekas hai Ghamzada Khwahar Ye haal hai ke Mere Sar pa bhi nahi’n chaadar Kafan de Bhai ko kis tarha Zainabe Dukhiya Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Haram ke gird jalaalat ka uski pehra tha Ridaaein sar se bhala kaon chheen sakta tha Bahan ko Ghazi pa apne bahot bharosa tha Kata ke Haath Wo Sota hai ab lab-e dariya Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Sahegi Zainabe Dilgeer ye alam kaise Hai kaon paas Mere aake jo dilaasa de Sitam ye hai ke na Abbas Aaye dariya se Khadi hai dashte bala me Bahan rasan basta Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Jawa’n ke seene se phal barchhi ka nikala tha Mazaar Asghare Masoom ka banaya tha Qadam qadam pa sitam ka pahaad toota tha Sulagti dhoop me zakhmi badan hai besaya Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Khizaa’n hai chaaro’n taraf Fatima ke gulshan me Hasan ka Laal bhi paamaal hogaya rann me Shaheed hogaye dono Pisar Mere bann me Nahi’n hai koi Ghareebo’n ka poochhne waala Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Hai farz jis ki muhabbat Rasool kehte the Usi Ghareeb pa har tarah ke sitam toote Najaf se aake khabar lejiye Khuda ke liye Pisar hai Aapke maqtal me bekafan Baba Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha ------*------

~ 68 ~

Ali Jaweed Maqsood

HAAY TANHA HAIN HUSSAIN IBNE ALI MAQTAL ME

Chaand Zehra ka hai aur khoon ke baadal chhaaye Dopahar badh gayi badne lage kaale saaye Ghir gaye Zainabe Dilgeer Tere Maajaaye Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Kehte hain Shah ke Main zulmo sitam sehta hu’n Koi Ghamkhwar nahi’n ranjo alam sehta hu’n Waar sehta hu’n’ Main tanhayi ka Gham sehta hu’n Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Mera Baazu Mera Abbase Dilawar bhi nahi’n Dil ki himmat Mera Beta Ali Akbar bhi nahi’n Rann me Qasim bhi nahi’n jhoole me Asghar bhi nahi’n Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Ghar the jitne Mere armaan ke barbaad huve Kitne Nasir the Mere ab to bas ik yaad huve Ab koi saath nahi’n khuld me aabaad huve Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Hosla Mera badhaane ke wo manzar na rahe Wo Muhafiz Mere Sheraane Dilawar na rahe Mere Ansaar Mere Nasiro Yaawar na rahe Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Zindagi Mujhko hai pyaari na hai jeena Mujhko Raas ab ho nahi’n sakta ye qareena Mujhko Baar lagta hai ye zakhmo bhara seena Mujhko Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Baad marne ke Mere aur hazeena hogi Be aba Dukhtare Sultane Madina hogi Shimr ka hoga sitam Meri Sakina hogi Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me

~ 69 ~

Be sahara huve pardes me sab Aale Aba Ghash me bhi hai Labe Sajjad pa bas aaho buka Karti hai girya o Zaari Meri Zainab Dukhia Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Paas Mere koi damm me Meri Maa Aaegi Khud bhi faryaad Karegi Mujhe tadpaaegi Saath har Gham se chhudha kar Mujhe Le Jaaegi Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me Gham e Shabbir ko bas yaad karo har Gham me Koi Gham Usse bada to nahi’n is Aalam me Zindagi sarf ho Jaweed isi Maatam me Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me ------*------

Ali Jaweed Maqsood

SITAMGARO’N MERA BEKAS HUSSAIN PYASA HAI

Ghira hai Chaand Ali ka sitam ke baadal me Amaa’n nahi’n kahi’n tegho sina ke jangal me Hussain jhoom Rahe Hain faras pa maqtal me Ye rann me Asr ko Zehra ke Lab pa Nouha hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Har aik zakhme badan khoo’n fishaa’n hai Pyase ka Laga hai teer jabee’n par to qalb par naiza Kahi’n sina tane Majrooh par kahi’n bhaala Koi chhuri koi khanjar chalaane wala hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Wo pyaas hai ke nigaho’n me sab jahaa’n hai dhuwaa’n Wo qalb me rahi quwat na tann me taabo tawaa’n Ali ka Lal faras par hai khoon me ghaltaa’n Ghareeb o Bekas o Mazloom besahara hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Kamar shikasta hai Bhai ke Gham me Sarwar ki Utha chuke hain Zaeefi me Laash Akbar ki Nazar me Laash hai paamaal Ibne Shabbar ki

~ 70 ~

Abhi to haatho’n pa Asghar ne teer khaya hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Jo Bosagaahe Muhammad pa tegh chalti hai To Gham se Khwahare Shabbir Haath malti hai Gala hai khushk to ruk ruk ke jaa’n nikalti hai Zameen kaampti hai aasma’n ko larza hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Pisar ke sog me ji se guzarne waale ko Ab aur jeene ka arma’n na karne waale ko Chale hain maarne jallaad marne waale ko Jise bhi dekhiye Pyaase ke khoo’n ka pyasa hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Laeen karta hai jab azme qatl Pyaase ka Pisar ke Halq pa rakh deti hain Gala Zehra Fiza me Karbobala ki ye goonjti hai sada Mere Hussain ko Naazo’n se Maine Paala Hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai Nabi ki Godh ka Pala Shaheed Hota Hai Fiza ko sakta hai Dariya tadap ke rota hai Balaa ke bann me ye Jaweed hashr barpa hai Muheet Alam-e-Imkaa’n Sadaa-e-Zehra hai Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai ------*------

Ali Anjum Sadiq

JALTI HUWI ZAMEEN PA SARWAR HAI YA ALI SHIMRE LAEE’N KE HATH ME KHANJAR HAI YA ALI

Karbobala me kaisa ye manzar hai Ya Ali Tashnalabi hai garmi-e mahshar hai Ya Ali Ghere Huwe Hussain ko lashkar hai Ya Ali Zakhmo se choor Sibte Payambar hai Ya Ali Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Koi nahi’n jo Shaahe Huda ki madad kare Zakhmo’n se choor khaak pa behosh hain pade Manzar kahi’n ye Saaniye Zehra na dekhle Seene pa ab sawaar sitamgar hai Ya Ali

~ 71 ~

Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Khaimo me hai buland sada shoro shain ki Koi nahi’n jo laaye khabar ab Hussain ki Haalat hai Ghair Fatima ke Noore Ain ki Bechain Qalbe Zainabe Muztar hai Ya Ali Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Sabro Riza ka Qafela Saalaar ghash me hai Mushkil Kusha-e manzilo dushwar ghash me hai Shabbir zere tegh hain Bimar ghash me hai Kaisa ye asre tang ka manzar hai Ya Ali Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Sibte Nabi pa toot pade hain sitam sheyaar Har simt se hai naiza-o teero tabar ke waar Kuch jholiyon me laay hain patthar gunaahgaar Chaaron taraf se zulm barabar hai Ya Ali Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Zakhmi hai khaako khoon me ghalta’n hai sab badan Wo pyaas hai ke kar nahi’n sakte koi sukhan Shukre Khuda me doob gaye hain Shahe Zaman Kis haal me ye Aapka Dilbar hai Ya Ali Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Hilmi Afandi

YA ALI AAIYE

Ya Ali Aaiye Zainab ko bachaane ke liye Faoje ki’n aati hai khaimo ko jalaane ke liye

Kabse behosh Dua hai na ghiza Abid ko Taoqo zanjeer bhi laaye hain pinhaane ke liye

Sare Shabbir hai naize pa Alam waawaila Saaniye Fatima Zehra ko rulane ke liye

~ 72 ~

Ghode dowdaate huwe aate hain naari rann se Masnade Ahmade Muqtar jalane ke liye

Laashe Shabbir pa kehti hai Sakina rokar Baba Main Aayi Hu’n Rukhsar dikhane ke liye

Bekasi dekhiye aata nahi’n koi monis Laash Mazloom ki Maqtal se uthane ke liye

Yu’n to Duniya me bohat guzre hain Sabir Hilmi Sabr lekin hai Muhammad ke Gharaane ke liye ------*------

Fareed Baig

ZAINAB-E-MUZTAR HAI TANHA YA ALI AB AAIYE

Hai sitamgaaron ka nargha Ya Ali ab Aaiye Har tarf mehshar hai barpa Ya Ali ab Aaiye Khaak par hai Jaane Zehra Ya Ali ab Aaiye Hai ye Aalam bekasi ka Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye Bain Karti thi ye Zainab darmiyane Karbala Hain kahan Abbaso Qasim ham Shabihe Mustafa Kisko de awaaz Zainab koun ab baaqi raha Ab nahi’n koi Sahara Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye Hai dayaare tegho khanjar zindagi be-aas hai Dhoop hai dashte bala hai ranjo Gham hai yaas hai Hai lahu zaqmon se jaari aur ghazab ki pyaas hai Muztarib hai Qalbe Zehra Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye Ik Tane Mazloom par teero tabar tegho sina Dekh kar Mazloom ko zulmo sitam ke darmiya’n Khoo’n barasta hai zami’n par ro raha hai aasma’n Hai ye manzar Karbala ka Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye

~ 73 ~

Hashr ka manzar ayaa’n hai har taraf kohraam hai Jal rahi hai Karbala Shabbir tashna kaam hai Tegh hai sookha gala hai asr ka hangaam hai Hai Qayamat ka ye lamha Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye Wo siya aandhi uthi suraj gahan me aagaya Hogaya Tann se juda Sar Fatima ke Lal ka Hai Fareed ab Karbala me Wa Hussaina ki sada Chhaagaya har su andhera Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye ------*------

Shaahid Pakistani

AB AAYE HO BABA

Wo Karbala Wo Shaame Ghariba’n wo teergi Wo Zainabe Hazee’n wo hifazat Khayaam ki Aaya Wo Ik Sawaar Qareebe Qayame Shah Beti Ali ki Ghaiz me Suwe Faras badhi Ulti Naqaab Chehre se Apne Sawaar ne Peshe nigaahe Zainabe Mazloom thhe Ali Har channd Sabira Thi bohut Binte Fatima Be saakhta Zabaa’n pa ye Faryaad aagayi Ab Aaye Ho Baba

Zainab ne kaha Baap ke Qadmo’n se lipat kar, Ab Aaye ho Baba Jab lut gaya pardes me Amma ka bhara Ghar, Ab Aaye ho Baba

Baba agar aana hi tha Khaliq ki Riza se, us waqt na aaye Jab khaak pa dam tod raha tha Mera Akbar, Ab Aaye ho Baba

Kat kat ke gire nahr pa jab Baazu e Abbas, aur koi na tha paas Us waqt Sada Aapko Deta Tha Dilawar, Ab Aaye ho Baba

Jab farshe zami baame falak larza fisha’n the, us waqt kahan the Jab Baap ke Chullu me tha Khoone Ali Asghar, Ab Aaye ho Baba

~ 74 ~

Jab Bhai ka Sar kat’ta tha Main dekh Rahi thi, Hazrat ko Sada Di Sar Khole huwe Rothi Thi Main Khaime ke dar par, Ab Aaye ho Baba

Jab log bacha legaye Laashe Shohada ke, Haq apna jata ke Bas ik Tan-e Shabbir Tha pamali ki zad par, Ab Aaye ho Baba

Jab Shaam ke qazzaaq Hame loot rahe the, Khaimo’n ko jala ke Aap Aagye Hote to na chhinti Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba

Jab Baali Sakina ke Gohar chhine gaye thhe, lagte the tamache Hasrat se Mujhe Dekhti thi Banu-e Muztar, Ab Aaye ho Baba

Kya Aapne Firdous se ye Dekha na Hoga, kya hashr bapa tha Jab Pusht se Bimar ke khaincha gaya bistar, Ab Aaye ho Baba

Ik raat ke mehman hai phir qaid e salasil, ab saqt hai manzil Bazar me Ham sub’ha ko Jayenge khule Sar, Ab Aaye ho Baba

Shaahid Rukh e Hyder pa Bikhar Jaate the aansu jab Kholke Gesu Chillaati thi Zainab Mere Baba Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba ------*------Hasan Abbas Ahsan

LUT GAYA KARBOBALA KE DASHT ME ZEHRA KA GHAR Ik Qayamat ka sama tha Nainawa ke farsh par Zalzale me thi zamee’n aur Ambiya the Nouha gar Laasha-e Sarwar padi thi sar se pa tak khu’n me tar Noke naiza par pada tha Jaane PaiGhambar ka sar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Zulm badhta hi gaya Shaam e Ghariba’n aagayi Aag khaimo’n me lagi har simt dehshat chhagayi Bebasi par Bibiyo’n ki bekasi tharra gayi Khuld ki Shahzadiya’n Baithi Huwi thee’n khaak par Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Lut gaye khaime ridaae’n chin gayi’n bistar jala Aise Aalam me Amal tha Abid e Bimar ka Sajda e Khaliq me Sar tha Lab pa tha Shukre Khuda

~ 75 ~

Aur Nazar ke saamne naize pa tha Baba Ka Sar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Jalte khaimo’n ka koi ehsas Laila ko na tha Ankh me aa’nsu na thhe lekin jigar tukde huwa Umr bhar is Madare dukhya ko sakta sa raha Naojawa’n Bete ke marne ka huwa tha ye asar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Sabr ka wada kiya tha yu’n nibHaay thi Rabab Dil me Apne dard ki dunya basaae thi Rabab Jalte Jhule par Nigaho’n ko jamaae thi Rabab Ashk aankho’n tak jo aaye pigayi wo Nouhagar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Har taraf chhaya tha manzar dardo Gham ka pyaas ka Har qadam har ik zaba’n par naam tha Abbas ka Ab kisi ke honto’n par nahi’n tha pyaas ka Sogaye Abbas jo Shaane kata kar Nahr par Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Is qadar zulmo sitam par hil gaya Arshe Ula Kis tarah dekho Yatime Shah ko pursa mila Chhin gaye gowhar tama’nche bhi lage kurta jala Koun ab Baali Sakina ki bhala lega khabar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Bhai the atthara uske ab hai bewaris Bahan Koun de Zainab ko pursa sabko hai ranjo mehan Wariso’n ke Laashe maida’n me pade hain bekafan Sabke shano me rasan hai sabke sar hain bekafan Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Haal Farwa aur Kubra ka likhe to kya likhe Us taraf dono ki nazro’n ke ruke the zaawiye Jis taraf rakhe the tukde Qasime Noushah ke Khoon ke aa’nsu abhi tak rorahe hain Behrobar Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar Ye Karam ki inteha hai ham pa Rabbe Zuljalal Ye to bas Teri Ata hai Fatima Zehra ke Lal Nouhakhwani ka sharaf Ahsan mila jo lazawaal Jaake ye Nouha padenge ham Ali ki Qabr par Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar ------*------

~ 76 ~

Allama Akhtar Zaidi

GHAR LUT GAYA AMMA

Maqtal ki fazao’n me ye Zainab ka tha Naoha, Ghar lutgaya Amma Baqi na raha Mere liye koi sahara, Ghar lut gaya Amma

Maidan me paamaal huwa Qasime Noushah, Dil phat gaya Mera Kya dekhte hi dekhte bewa huwi Kubra, Ghar lut gaya Amma

Laila ne jodekha hai Jawa’n Bete ka Lasha, Khamosh hai Dukhiya Phat jaaye na us Gham se kahi’n Uska kaleja, Ghar lut gaya Amma

Pani ke liye ran ko Alamdar gaye the, wapas nahi’n Aaye Shabbir ne Abbas ko Marte Huwe Dekha, Ghar lut Gaya Amma

Abbas ke Lashe se Hussain Aaye jo Uthkar, tha Dard ka manzar Hatho’n se kamar thamke Rone lage Bhayya, Ghar lut Gaya Amma

Shashmahe ko maidan se Shabbir jo Laae, the Sar ko Jhukaae Tha khoon me dooba huwa Masum ka Lasha, Ghar lut Gaya Amma

Wo Asr ka hangaam Qayamat ka sama tha, Dil doob raha tha Jab tegh ke niche Mere Bhai ka Gala tha, Ghar lut Gaya Amma

SarTann pa nahi khoon me tar Sara Badan hai,ye Shahe Zaman hai Kya Aapne Shabbir ko tha isliye pala, Ghar lut Gaya Amma

Tha pehle hi Bhayya ka Badan zakhmo se chhalni, aafat ye nayi thi Ronda gaya phir ghodon ki taapon se wo Lasha,Ghar lutGaya Amma

Hai zere sama’n khak pa ab Aapka Kunba, Sar par nahi’n Saya Abbas ko neend aayi hai Main Deti hu’n pehra, Ghar lut Gaya Amma

Bachchi Meri karwat bhi to ab le nahi’n Sakti, so bhi nahi’n Sakti Behta hai lahu kano se hai zakhm bhi taaza, Ghar lut Gaya Amma

~ 77 ~

Kufa jo Haram pohnche to Dil hogaye bechain, Zainab keye the bain Yaad ata hai Baba ki Hukumat ka zamana, Ghar lut Gaya Amma

Tha Shaam ki raaho’n me safar ek Qayamat, wo dhoop ki shiddat Wo shimr ka durra wo Sakina ka tadapna, Ghar lut Gaya Amma

Sajjad ki Gardan me tha wo touqe gira baar, chalna bhi tha dushwaar Har gaam pa Bimar ka wo girke sambhalna, Ghar lut Gaya Amma

Darbar me ham log rasan basta khade the, sab dekh rahe the Aur saamne Sar tasht me Bhai Ka rakha tha, Ghar lut Gaya Amma

Ab Kaise kahu’n haath me zalim ke chhadi thi, Main Dekh rahi thi Is zulm pa Zainab ka Badan kaamp raha tha, Ghar lut Gaya Amma

Us Qafelaye Haq pa musibat rahi paiham, hota raha Maatam Akhtar yehi Kehti Rahi bas Saaniye Zehra, Ghar lut Gaya Amma ------*------Allama Akhtar Zaidi

GHAR HAAY MERA BARBAAD HUWA

Tha Saaniye Zehra ka Nouha, Ghar haay Mera barbaad huwa Bhai Mera pyaasa qatl huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Abbas ka kitna khoon baha, Shaane bhi kate Mashkiza Chhida Kis Haal me wo ghode se gira, Ghar haay Mera barbaad huwa

Atthara baras wala Akbar, Shabbir ka Dil Laila ka Jigar Shaq naize se dil Uska jo Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Chhe maah ka wo Asghar Pyasa, Gardan pa jo uske teer laga Tha Bhai Ke Haatho’n par Lasha, Ghar haay Mera barbaad huwa

Shabbir zamee’n par jab Aaye, Zehra Ne Tadap kar Bain Kiye Aye Lal Tera kya haal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Sajde me Rakha Shabbir Ne Sar, tha shimr ka khanjar Gardan par Ghurbat me Namazi zib’ha Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

~ 78 ~

Tha Bhai ka Lasha reti par, phir Uspa Qayamat ye guzri Ghodo’n se Badan pamaal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Akhtar tha Qayamat ka manzar, maqtal ki zamee’n bhi kaamp uthi Zainab Ne Tadap kar jab ye Kaha, Ghar haay Mera barbaad huwa ------*------

Allama Akhtar Zaidi

ZAINAB TADAP RAHI HAI FARYAAD KAR RAHI HAI

Athara saal Maine naazo’n se jisko paala Kadiyal Jawan Akbar aankhon ka tha ujala Maara jo zalimo’n ne seene pa uske bhala Dekha jo zakhm maine mushkil se dil sambhala Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Qasim ki Laask dekhi, tha Jism para para Asghar jo rann se Aaye Manka dhala huwa tha Abbas Mera Bhai khoo’n me nahake soya Bedast Hogaya Wo Pyaasi Rahi Sakina Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Hangaame asr Bhayya jab qatl ho raha tha Ab tak bhi hai nazar me manzar jo Maine Dekha Maqtal laraz raha tha har simpt tha andhera Sar Peet’ti thi Amma Lab par tha Wa Hussaina Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Phir baade qatle Sarwar ik raat aisi aayi Chaadar nahi’n thi Sar par aur bekafan tha Bhai Ghar zalimo’n ne loota aur aag bhi lagayi Sholo’n ki roshni me wo karbe beridaai Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Thi Karbala se Kufa har gaam ik musibat Ik dawr wo bhi guzra Baba ki thi Hukumat Darbar me Hamara jana tha ik qayamat Sajjad paa barehna aur tawq ki aziyat Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Darbar-e Shaam me jab Aal-e Rasul pohnchi Baazu bandhe huwe the Sar par rida nahi’n thi Wo zulm har qadam par aur bekasi Hamari Tadpa rahi thi Dil ko Sajjad ki aseeri

~ 79 ~

Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Sab Bibiya’n khadi thee’n Balo’n se Mooh chipaae Zalim ne baid rakhi Bhai ke Lab pa Haay Darbar me Khade the hamm Gardanein Jhukaae Us bekasi me Sabko Abbas yaad aae Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Manzil Hamri thahri tareek qaidkhana Bigdi huwi thi qismat badla huwa zamana Bachi ka wo tadapna rokar hame rulana Naame Hussain par wo zalim ka taaziyana Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai Zinda’n ka tha wo aalam wahshat baras rahi thi Beti se milne aayi Baba ki jab Sawari Faryaad kar rahi thi roro ke Meri Bachchi Damm tootne ka manzar aur aakhri wo Hichki Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai ------*------Allama Akhtar Zaidi

KIS SE FARYAAD KARU’N Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n Dekhti rehgayi Main Ghar Mera barbaad huwa, Kis se Faryaad Karu’n

Maine atthara baras naazo’n se Pala tha Jise, aaj Roti hu’n use Khaak Zulfo’n me hai aur khoon me Seena hai bhara, Kis se Faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n Haay wo Asghare Masum bhi maida’n ko gaya, teer gardan pa laga Mujhse dekha nahi’n jaata hai wo khali jhoola, Kis se Faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n Rann ko jaakar jo Alamdar na waapas Aya, Mera dil toot gaya Mera Bhai Meri chaadar ka Muhafiz na raha, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,

~ 80 ~

Kis se Faryaad Karu’n

Khanjare zulm jo Mazloom ki Gardan pa chala, thi Qayamat barpa Qatl Shabbir Huwe hogayi Zainab tanha, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Kaisi Shaadi huwi Doolha jo bana Ibne Hasan aur Kubra thi Dulhan Tukde dil hogaya Doolha ka jo Laasha aaya, Kis se faryaad Karu’n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Garm reti pa Mere Bhai ka Laasha tha pada Sar tha naize pa chadha Daalti Jism pa hoti jo Mere Sar pa rida, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Aaiye Baba ke ab Apka Ghar jalta hai Sabka damm ghut’ta hai Kisko awaz du’n ab koun sahara dega, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Yehi Kufa hai jaha’n ab bhi hai Baba ka maka’n darbadar ham hain yaha Sab Hame bhool gaye aisa zamana badla, Kis se faryaad karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Dakhila Shaam me ek hashr bana Mere liye, Sar Hamare the khule Beridaayi ke wo lamhaat ke dam ghut’ta tha, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Ham rasanbasta the aur takht petha baniye shar tasht me Bhai ka Sar Maine kin aankhon se wo dard ka manzar dekha, Kis se faryaad Karu Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,

~ 81 ~

Kis se Faryaad Karu’n

Shimr ne aise Sakina ka Gala baandha hai Uska dam rukta hai Mujhse dekha nahi’n jaata hai tadapna Uska, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Taaziyano’n se jo Abid ka badan hai zakhmi, Mera dil hai chhalni Aisi zanjeer ke gardan se lahu behta tha, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Qaid me haay Sakina ne jo damm tod diya yaad aa’e Bhayya Khu’n bhare kurte me Abid ne Usay Dafn kiya, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Zulm ki haar huwi qaid se Kunba chhoota Gham magar saath raha Ghar ki barbadi ka manzar Meri ankho me raha, Kis se faryad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Jabke loote huwe asbaab ko Maine dekha Pairahn Bhai ka Asre Ashoor ka har lamha palatkar aaya, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

Labpa Zainab ketha Akhtar yehi Noha paiham kon dekhe Mera Gham Mera ab koi nahi’n Abid e Muztar ke siwa, Kis se faryaad Karu’n Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada, Kis se Faryaad Karu’n

------*------

~ 82 ~

Ali Jaweed Maqsood

BEKAFAN HAI MAQTAL ME LAASH IBNE ZEHRA KI

Chaand sehma sehma sa raat roi roi si Sharm se jhuki nazre’n aasma pa taaro’n ki Kaaynat sakte me har taraf hai khamoshi Sar jhukaa’e hai sehra ashkrez paani bhi Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Dardnaak ye manzar Umr bhar rulaaega Rooh kaamp uthegi jab khayaal aaega Qalbe Zainabe Muztar kaise Chain paaega Choor Choor zakhmo’n se khu’n me tarbataar Bhai Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Jisko kitne Naazo’n se Fatima ne Paala tha Jaane Haidare Safdar Mustafa ka Pyaara tha Jiske waaste Jannat se Libaas aaya tha Aaj Uske Tann par hai sirf khaak sehra ki Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Dhoondti hai Baba ko Sheh ki laadli Dukhtar Tann me hai jala kurta neel ke nasha’n rukh par Neend Usko aati thi bas Pidar ke Seene par Aaj shab Sakina ko neend kaise aaegi Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Qatl hoga’e waaris munharif zamana hai Fatima ki Beti ko kitne Gham uthana hai Daagh Dil pa ye lekar taaba Shaam jaana hai Qaid Hoke Jaati hai Karbala se Maajaa’ee Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki

------*------

~ 83 ~

Allama Akhtar Zaidi

GHURBAT ME FATIMA KA AABAAD GHAR LUTA HAI

Ye Karbala me Akhtar kya saaneha huwa hai Laashe pade hain Kiske khoo’n Kiska ye baha hai Thehre nazar jaha’n bhi manzar lahu bhara hai Maida’n ka zarra zarra aawaz deraha hai Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Dashte bala mei sab ne shaadi ka sog dekha Kubra banithi dulhan Qasim bana tha dulha Paamal ran e Dulha taza Dulhan hai bewa Kaandhe pa Shahe Dee’n ke Noushah ka hai Laasha Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Khaime ke dar pa bachche kooze liye khade hain Abbas sar se paa’n tak khoo’n me naha gaye hain Mashkiza chhid gaya hai Shaane kate huwe hain Thame huwe kamar ko Shabbir Rorahe hain Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Yu’n Akbare Jawa’n ki maqtal se Laash aayi Seene pa zakhm taaza zulfo’n me khaak ran ki Allah Jaanta hai Zainab pa jo bhi guzri Ye Sonchti hai Laila Kis tarha ab jiyegi Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Shabbir Laashe Asghar khaime me aise laay Pyaase Gaye the rann ko khoo’n me Nahake Aay Honto pa Muskurahat Gardann pa teer khaay Doure khiza me jaise ik phool muskuraay Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Koofe me daakhila bhi uftaad ik nayi thi Bedard rasto’n par Aulad Mustafa ki Sehmi Huwi Sakina Ankhon me ik udaasi Zainab ki beridayi Sajjad ki aseeri Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Darbar shaam ka tha aur Qafela khada tha Sardare Dojaha’n ka Sar tasht me rakha tha Honto’n pa Shahe Dee’n ke wo zulm ho raha tha Zainab ke Tanbadan me larza pada huwa tha

~ 84 ~

Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Bigdi huwi wo Duniya badla huwa zamana Kamsin Yateem Bachchi zalim ka taaziyana Roshan Zameer Qaidi taarik qaid khana Maa peet’ti rahi sar aur chal basi Sakina Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Jab Arbaeen karne Kunba Nabi ka pohncha Maidane Karbala me ik hashr ka sama tha Qabre Hussain kaampi Maatam ka shor utha Zainab Suna Rahi thi rudaade shaam o Kufa Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Beete huwe dino ke sab zakhm ab haray the Zainab ye Sonchti thi Haathon se Dil ko Thaame Abbbas ki Lahad par Jaaungi ab Main kaise Zindaa’n me hai Sakina aankhon me hai’n andhere Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Marqad pa Shahe Dee’n ke Naale Rabab ke the Jaakar watan ye Dukhiya rudad kya Sunaay Waris nahi’n hai Sar par Bachche bhi Mujhse bichhde Apni Lahad me Waali Mujhko bhi ab chhipaale Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai

------*------

~ 85 ~

Rasheed Shaheedi

QAAFELA GHARIBO’N KA QAID HOKE JAATA HAI

Kaisa waqt badla hai kaisa ye zaman hai Kaun Kisko batlaay Kiska Ye Gharana hai Bekajawa oonto’n par Karwa’n rawana hai Arsh Jiska Maskan tha ab wo bethikana hai Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Aftab ke rukh par teergi si chhai hai Karbala ki dharti ke lab pa bhi duhaai hai Tashnagi Shaheedo’n ki khoon me nahaai hai Bekafan hain sab Laashe pas hi taraai hai Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Ab na aayga Lab par phir sawaal pani ka Alqama pashema’n hai sharmsaar Mashkeeza Aur Kanaare dariya ke Muztarib hai ik Laasha Rukh pa hai Yateemi ke Tashnagi ka Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Ik Yateem Bachchi ke zakhm kitne gahre hain Kamsini ki raho’n me kitne zulm thehre hain Soye kaise aankhon me zalimo’n ke chehre hain Aankh ro nahi sakti aansuo’n pa pehre hain Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Sab nashaniya’n jal kar khaak me huwi mismaar Garm raakh me koi dhoondta hai kuch aasaar Ab na khaali jhoola hai aur na Bistare Bimaar Bekaso’n pa har lanha zindagi huwi dushwaar Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Tashnagi hai ghurbat hai bekasi hai aahe’n hain Dasht hai aseeri hai aur zakhmi raahe’n hain Chaadare’n nahi’n sar par muztarib nigaahe’n hain Justju me bachcho’n ki maamta ki baahe’n hain Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Paay sabr me kaante raasto’n ke daste hain Dasht me aseeri ke aabele sisakte hain Dhoop ki tamaazat se saare zakhm jalte hain Chashme namm se behne ko ashk bhi tarste hain

~ 86 ~

Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Izteraab hai kitna dasht ki hawao’n me Kyun lahu umadta hai bekasi ki ankhon me Har taraf dhuwaa’n kyun hai tashnagi ki aaho’n me Kis qadar hai tanhaayi maamta ki baaho’n me Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai Gar Rasheed turbat me zindagi ki haajat hai Qalb ke dhadakne ko ashk ki zarurat hai Karbala ke pyaaso’n ka Gham badi Ibaadat hai Zakhm Maatame Sheh ka rooh ki tahaarat hai Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai ------*------Ali Jaweed Maqsood

AYE SHAHEED-E-KARBALA AYE JAAN-E-PAIGHAMBAR HUSSAIN

Mohsine Deene Musalma’n Khaasa e Daawar Hussain Maliko Mukhtaare Duniya Shaafa e Mehshar Hussain Naazisho Fakhre Nabuwat Deen ke Rahbar Hussain Tashnakaame Karbala aur Saahib-e Kauser Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Jisne Sar dekar bachali Aabroo-e Ambiya Fakhre Kaaba jisne kardi sar zameene Karbala Jisne tashna halq se kaata hai baatil ka gala Arshe Aala se bhi oonche the tahe khanjar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Bebasi thi raahbar aur bekasi thaame thi haath Aur fughaane Fatima se goonjti thi kaaynaat Hasrate’n Baali Sakina ki chalee’n thee’n saath saath Jab chale khaime se Bhai ke Janaze par Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Aasma’n larza fisha’n tha kaampti thi ye zami’n Sabre Ayubi ne sajde me jhukali thi jabi’n Pher kar mu rorahe the Ambiyao Mursali’n The Jawa’n Bete ke khu’n me Sar se Paa’n tak tar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Laasha e Kadiyal Jawa’n par dil ki haalat Al Amaa’n

~ 87 ~

Ashke khu’n aankho’n se jaari khushk honto’n par fugha’n Naame Haider leke Moula Laash Le chaliye waha’n Muntazar hai Maadare Dilgeer khaime par Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Sar jhukaay chal rahe the peechhe peechhe Ambiya Thaam kar Dil ro rahe the Mustafa o Murtaza Goonjti thi dashto sehra me bukaaye Fatima La rahe the suwe khaima Laasha e Asghar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Khalq ko dikhla chuke Khaliq ki Tasweere Jalal Jhoomte hain ab faras par hoke zakhmon se nidhaal Aayi Zehra ki Sada Aja zami’n par Mere Lal Muntazir hai haath phaylaaye Teri Maadar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Karbala me nahr par soya hai Shere Murtaza Abid e Bimar tanha Qaidiye touqe bala Hai bhara darbar aur Ahle haram hai berida Kya kare Kisko pukare Aapki Khwahar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Berida Aale Muhammad hain rasan basta khade Daste zalim me chhadi hai aur Lab Mazloom ke Roke kehti hai ye Zainab Haay Maajaay Mere Choomte the Aapke Honton ko PaiGhambar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Aaj zinda’n se nahi’n uthti Sakina ki Fugha’n Rorahi hain Rone waali ke liye sab Bibiya’n Godh me Maasum ka Laasha Liye baithi hai Maa Margayi Qaide sitam me Aapki Dukhtar Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain Qalbe Momin Karbala hai baite Haq se kam nahi’n Zindagi is Gham se hai ye Gham nahi’n to ham nahi’n Juz Ghame Ibne Ali Jaweed koi Gham nahi’n Likh liya hai hamne apne Qalbe Muztar par Hussain Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain ------*------

~ 88 ~

Alamdar Razvi

SUGHRA NE LIKHA BABA KAB LAOTKE AAOGE DUSHWAAR HUWA JEENA KAB LAOTKE AAOGE

Roothi hai khushi Mujh se har lamha naya Gham hai Dhadkan ki sadaao’n me tanhaai ka Maatam hai Bhayya Ali Akbar ki furqat me ye aalam hai Har Saans hai ik bhaala kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Kya jaaniye aate hain kyun mujhko ye andeshe Manzar nazar aate hain jalte huwe Qaimo’n ke Reh reh ke na jaane kyun girti hai rida Sar se Kya haal hai Phupiyo’n ka kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Rehta hai tasawur me Chehra Ali Akbar ka Phirta hai nigaho’n me Jhoola Ali Asghar ka Allah Muhafiz hai ab Mere bhare Ghar ka Ghabrata hai Dil Mera kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Aafat ke musibat ke ghurbat ke manazir hain Ghere huwe har lamha furqat ke manazir hain Abtak bhi nigaho’n me rukhsat ke manazir hain Yaad aata hai Ghar sara kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Kal Aun-o Muhammad the aur Akbar-o Asghar the Qasim tha Sakina thi Abbas-e Dilawar the Saamaan Suku’n ke sab jis ghar me mayassar the Us Ghar me hai sannata kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Bhayya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga Soncha na Kisi ne bhi hai door bahut Sughra Hasrat hai ke dekhu’n Main Bhai ko banhe Dulha Koondhi hu’n yaha’n Sehra kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge

~ 89 ~

Jab dekhti hu’n paani aansu’n nikal aate hain Waswaas Mere dil ko har aan rulate hain Kya pyaas ki eeza bhi Ghar waale uthate hain Hai khushk Gala Mera kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Kyun jaane mujhe aksar aata hai khayaal aisa Yu’n lagta hai jaise ke beparda hai sab kunba Allah rakhe Parda Zehra ke Gharaane ka Dil kampta hai Mera kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Shashmaha Mera Bhai yaad aata hai reh reh kar Kya ghutniyo’n Chalta hai ab Mera Ali Asghar Ho pyaar Mera Baba Masoom ki aankhon par Daali hu’n Main gehwaara kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge Kya yaas hai aye Razvi pohncha hai khate Sughra Reti pa rakha Sheh ne Laasha Ali Asghar ka Rone lage Beti ka Khat padke Shahe Waala Khat me yehi likha tha kab laotke Aaoge Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge ------*------Hasan Abbas Ahsan

ABID KI NIGAHO’N ME HAR KARB KA MANZAR HAI

Yalghaar hai ghodo’n ki aur Qasim-e bepar hai Tooti huwi barchhi hai aur Seena-e Akbar hai Hulqoome Ali Asghar aur teer-e sitamgar hai Naize ki bulandi hai aur Phool sa ik Sar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Hai aalame tanhaai aur zulm ka lashkar hai Nargha hai laeeno ka aur Jaane Payambar hai Tegho’n se Badan zaqmi aur teero’n ka bistar hai Shabbir ki Gardan hai aur shimr ka khanjar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Uthti huwi talware’n chalte huwe naize hain Sab zakhme Badan goya mashko’n ke dahaane hain Har simt se hamle hain Abbas Akele hain Pyaase ka Sare Zakhmi aur gurze sitamgar hai

~ 90 ~

Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Karbal ke biyaba’n me aasaar hain mehshar ke Bikhre huwe maida’n me Laashe hain Bahattar ke Zainab ki Nigaho’n me sab Zakhm hain Sarwar ke Jalti huwi reti hai aur Laasha-e Besar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Khamosh biyaba’n hain aur Shaame Ghariba’n hai Har aankh me ashko’n ka thehra huwa toofa’n hai Bewo’n ka Yatimo’n ka ab koun nigehbaa’n hai Jalte huwe khaime hain chhinti huwi chaadar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Bazar me Sar nange Ahmed ka Gharana hai Jakda huwa rassi me har Bibi ka Shana hai Is haal me Zainab ko darbar bhi jana hai Har simt tamashaai Zainab ka Khula Sar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Hain Pushte Sakina par durro’n ke nasha’n saare Kano’n se luhu jaari Rukhsar bhi hain soojhe Zakhmo’n me jaise bharde koi angaare Har lamha tamaanche hain har gaam pa mehshar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Darbar me Qaidi hai Aulad Payambar ki Sar tasht me Sarwar ka kaisi ye adaawat thi Honto’n pa Shahe Dee’n ke zalim ne chhadi rakhi Zainab ki Nazar har dam Bhai ke Labon par hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Wo Sajda-e Shukrana hangaame Qayamat me Chalta raha kaanto’n par Jo dhoop ki shiddat me Rote hain sada Ahsan ham jiski muhabbat me Uske liye nazrana ashko’n ka samandar hai Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai

------*------

~ 91 ~

Mujahid Hussain Mujahid

YA ALI MADAD

Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Halmin ki aarahi hai sada Ya Ali Madad Barchhi nikaalte huwe Seene se Laal ke Mazloome Karbala ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Nikla jo teer Asghare Beshir ki taraf Ghabraake phir hawa ne kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Naiza huwa jo seene me paiwast Shah ke Arshe baree’n larazne laga Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Baitha huwa hai Seena-e Aqdas pa badkhisaal Khanjar tale hai Sheh Ka Gala Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Dekha Sare Hussain jo naize pa saamne Bimar-e Nainawa ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Wo jalte khaime bebasi wo Bekaso’n ki Shaam Sehraa-e Karbala ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Jab daakhila yazid ke darbar me huwa Tab Binte Murtaza ne kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad Manzar wo karbala ka Mujahid na poochhiye Bachcho’n ki Al Atash ki Sada Ya Ali Madad Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad

------*------

~ 92 ~

Qais

QAYAMAT KI TAPISH HAI KARBALA KA DASHT JALTA HAI

Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai Madine ka Musafir khaak par karwat badalta hai

Kaha’n hain Hazrate Ayub dekhe’n sabr ke Johar Jawa’n Beta hai Godi me Pidar ki dam nikalta hai Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Ye poochha karte the Tifli me Akbar Sheh se kyun Baba Jawani me jo mowt aaye to dam kyunkar nikalta hai Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Kaha Sheh ne ye Bano se ke Khaime me Chali jao Ali Asghar ka Manka dhal chuka ab dam nikalta hai Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Laeeno Sayyade Sajjad par kode na barsaao Bohut bimar hai is waaste ruk ruk ke chata hai Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Zara Uthkar Lahad se Dekh lije Ya Rasul Allah Janaze par Janaza Apke Ghar se nikalta hai Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

------*------

~ 93 ~

Mujahid Hussain

SAB KHOON KE PYAASE THE MOULA NE JIDHAR DEKHA

Shabbir ne maida’n ka Naqsha hi digar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Abbas ki dariya par Nazre’n na theherti thi’n Jab Bhar liya Mashkiza mudhkar na udhar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Dil thaam liya Apna aur ashk nikal aaye Sajjad ne Baba ka naize pa jo Sar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Sar peet liya Apna ik hashr kiya barpa Zinda’n me Sakina ne Baba ka jo Sar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Maida’n se Ali Akbar waapas huwe khaime me Maa ne jo Dua ki thi Uska ye asar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Hulqoom pa zalim ka jab teere sitam aya Beshir Ne Baba ko bas ek nazar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Nazro’n me Mujahid thi tasweer wo furqat ki Shabbir ne Sughra ko jab waqt-e safar Dekha Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha ------*------

~ 94 ~

Hasan Abbas Ahsan

AABAAD GHAR HUSSAIN KA VIRAAN HOGAYA SHAHRE RASULE HAQ BADA SUNSAAN HOGAYA

Jalti zami’n pa gir pade jab Akbare Jawa’n Laashe pa Shaah Pohnche to andher tha jaha’n Laila se dekha jaaega Kis tarha ye sama Kadiyal Jawa’n ke sine me tooti huwi sina Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Bedast hoke gir pade Abbas-e Naojawa’n Ankho’n me Sheh ki deed ka Arma’n Labo’n pa Jaa’n Haa’el hai darmiyaan me ik teere jaa’nisaa’n Rone Lage Tadapke Shahinshah-e Insojaa’n Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Kya Housle the tifle Shah-e Benazir ke The nehr par buland Iraade Saghir ke Tewar ayaa’n the rukh se Janab-e Ameer ke Nanha sa ik Gala tha muqabil me teer ke Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Beta khada hai saamne aur Berida Bahan Jakda huwa hai touqo salasil me sara tann Baba ki Laash rann me hai begoro bekafan Sadme se kampne laga Sajjad Ka badan Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Karbo bala se Karwa’n Kufa huwa rawa’n Oonto ki nangi pusht pa baithi hain Bibiya’n Hai Sar khula har ek ka Baazu me Reesma’n Zainab tadap ke dekhti hai soowe aasma’n Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

~ 95 ~

Jaari the Qaidiyo’n pa mazalim ke silsile Asnaa-e raahe Kufa me the sakht marhale Oonto’n se girke Margaye Bachche Hussain Ke

Godi Ghareeb Maao’n ki Viraan Kargaye Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tashte Tila me Farq-e Shahe Deen tha Rakha Aur ik taraf khada huwa Kunba Rasul ka Honto’n pa phir Hussain ke wo zulm hogaya Zainab Ka naatawaan Badan kampta raha Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tarik qaid khane me jab Khafila gaya Rokar Sakina Boli ke Amma ye kya huwa Kya waqt Meri mout ka nazdik agaya Banu Pukari ye na kaho Meri Dilruba Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tha hichkiyo’n ke darmiya’n Khwahar Ka ye baya’n Hain shiddate atash se Mere khushk ustokhwa’n Thandi jagah pa dafn karo Hamko Bhaija’n Sar ko Jhukaae Rote the Sajjade Natawa’n Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Hai Zikr subha-o Shaam Shahe Mashraqain ka Karbal ke Tashnakaam ka Zehra ke Chain ka Matam hai Dilbare Shahe Badro hu’nain ka Ahsan hayat apni hai Sadqa Hussain ka Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya ------*------

~ 96 ~

Urooj Bijnori

ASEER HOKE CHALI HU’N SALAM LO BABA Suno Sakina se Gham ka payaam Aye Baba Hamare jal gaye saare khayaam Aye Baba Kaha’n kaha’n ho najaane Qayaam Aye Baba Ho saari Zeest Tumhara hi Naam Aye Baba Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Ye ibteda hai musibat ki inteha hi nahi’n Guzar gayi hai Qayamat magar gila bhi nahi’n Phuphi Ke Sar Pa Kafan ke liye rida bhi nahi’n Aur aaj hosh me Bimaare Karbala bhi nahi’n Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hamara Karbobala me Qayaam ho na saka Tumhaare Dafn ka bhi intezam ho na saka Pade ho khaak pa kuch ehtemam ho na saka Ye zaof hai ke Ada bhi Salam ho na saka Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hai Sar pa khaak bhi Gham bhi hai aur buka bhi hai Hai kamsini bhi musibat bhi aur jafa bhi hai Phuphi ke saath rasan me Mera Gala bhi hai In aafato’n se guzarne ka hosla bhi hai Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Suna hai Shaam ka darbar jab bhara hoga yazid ka sare darbar samna hoga Mera to Bhai bhi zanjeer me Bandha Hoga Phuphi jo pohnchegi darbar me to kya hoga Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hain ab bhi peshe nazar waqiyaate Karbobala Wohi hai shimr ka khanjar wohi hai Sheh ka Gala Wohi hai Shaam ka bazaar aur wohi Kufa Urooj ab bhi Sakina ki aarahi hai Sada Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba ------*------

~ 97 ~

Allama Akhtar Zaidi

BERIDA ZAINAB KHADI HAI SHAAM KA DARBAR HAI

Aalame ghurbat me Aale Ahmed-e Muqtar hai Ab na lashkar hai na Abbase Alambardar hai Haay kya badli huwi ab waqt ki raftar hai Saamne rakha huwa Farqe Shahe Abrar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Zulm hai kursi nashi’n Kunba Nabi ka hai khada

Aur ik Bimar hai zanjeer me Jakda huwa Hain rasan me Sabke shaane aur Sakina ka Gala Haay Bachchi ke liye ab saans lena baar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Tasht me rakha huwa hai Baap ka Sar saamne Saans rukti hai tadapti hai jo Khwahar saamne Khoon me doobe huwe hain kitne manzar saamne Kis qadar zakhmi Nigaahe Abide Bimar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Gham zada Maadar ki ankhon me andhera chha gaya Noujawa’n Bete ka Sar darbar me laya gaya Jaane Laila se ye manzar Kis tarah dekha gaya Kaisi Ghurbat me Shabihe Ahmed-e Muqtar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Wo Ali Asghar ka Sar jaise koi Taaza kali Maadare Beshir ki jis dam nazar Uspar padi Godh me lekar Sulaane ki tamanna jaag uthi Haath rassi me bandhe hain Maa bohut lachar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Har ghadi Nazro’n ke aage ek Qayamat hai nai Sar pa Bhai ke Bahan ki hai nazar thehri huwi Hont wo Shabbir ke aur daste zalim me chhadi Ye Bahan ke Dil pa ik chalti huwi talwar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

~ 98 ~

Kaisa kaise dukh sahe darbar me Hamsheer ne Gardan-e Bimar ko zakhmi kiya zanjeer ne Apni Ankhen bandh karli hain Sare Shabbir ne Bandh aankhon me magar ik hasrate Deedaar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Yaad aata hai Madine se safar ka wo sama Tha wo Abbase Jari Ahle Haram ka Paasba’n Sar parasti ko Hussain Ibne Ali Zehra ki Jaa’n Abto ghurbat hamsafar hai rasta dushwaar hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Paasba’n baaqi nahi’n koi nahi’n ab Aasra Fatima ki Betiyon par waqt kaisa aagaya Dil yehi kehta hai Akhtar ab Ali ko de’n Sada Aapki Beti Ko Moula ik rida Darkaar Hai Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai ------*------

Sajid Razvi

DARBAAR-E SHAAM

Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Zalzale aayenge jis waqt zami’n ko paiham Chaadarein chheen ke leja’enge baaniye sitam Aur balwe me tamashaai bane na mehram Apne baalon hi se mu Apna chhupana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Meri Nadaan Sakina ko na rone dena Baad Mere koi takleef na hone dena Garm reti pa kabhi us ko na sone dena Apne seene pa Sakina ko Sulaana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

~ 99 ~

Ghurkiyaa’n Meri Sakina ko jo de shimr-e laee’n Sayliaan maarne aaye jo usse wo be dee’n Khaof ke maare nikal jaaye na jangal me kahi’n Apni Aaghosh me Tum Usko sulaana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Ye luta karwa’n jis waqt Madina pohnche Aake jo Dukhtare Bimar Pidar ko poochhe Aur besheer ko jis waqt wo dukhiya poochhe Meri Sughra ko kaleje se lagana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Qafela Ahle Haram ka jo Madina jaay Aur asnaa-e safar me Mera maqtal aay Tum ko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaay Chand aansu meri turbat pa bahana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Karbala me jo Mere ghar pa musibat guzri Aur bazaaron me Tum par jo aziyat guzri Mukhtasir ye hai ke jo kuch bhi qayamat guzri Saari roodaad Meri Maa ko sunana Zainab Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab ------*------

Manzar Aelia

ABBAS BEHN AAYI HAI DARBAR ME JA KAR

Kis shaan se nikli thi Madine se sawaari Phir aise lutte ham ke na mehmil naa amaari Bhayya Main tadap kar Tumhe har baar pukaari Imdad ko Dukhiya ki na Tum aaye Baradar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar Abbas suno shaam e gharibaan ki bhi roodaad Jee bhar ke nahi kar sake ham Laashon pa faryad Khaime bhi jale ghar bhi luta hogaye barbaad Thi’n zere sama Bibiya’n be maqna-o chaadar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

~ 100 ~

Har gaam pa mehshar tha har ik lamha qayamat Zaalim hame har tarha ki dete the azeeyat Chalne ki na taqat thi na dam lene ki fursat Hadd ye hai tamashaai bhi barsaate the patthar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Darbaar me zaalim ke qayamat ka tha manzar Thi zoujaye hakim pas-e parda Main Khule sar Sar sharm se Zainab ka na uthta tha baradar Le le ke Mera naam rulaate the sitamgar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Chhaya huwa nazron me hai zinda’n ka andhera Yaad aata hai reh reh ke wo bachchi ka tadapna Thi dil me Sakina ke rihaai ki tamanna Mar kar bhi Rahi qaid me Shabbir ki Dukhtar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Har gaam pa durre jo lagaate the sitamgaar Kis yaas se karte the nazar Abid-e Bimaar Sun paaoge kya aur masaa’eb Mere Ghamkhwaar Main Aayi hu’n durro’n ke nasha’n pusht pa Lekar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Manzar ye baya’n karti thi jab Khwahar-e Hussain Ghaazi ki Sada aayi na Shehzaadi karo bain Hoti hai aziyat Mujhe hu’n qabr me bechain Dil phat ta hai Khadim ka fugha’n Aap ki sunkar Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar ------*------

~ 101 ~

Naheed

KYA ANDHERA HAI PHUPI

Qaid khaane me Sakina ye baya’n karti thi Kya andhera hai Phupi Shama mangwaaiye warna Main nahi’n Jeene ki Kya andhera hai Phupi Apne seene se lagalo Main Tumhare sadqe godh me lelo Mujhe Dil dhadakta hai Mera khaof se ghabrata hai jee Kya andhera hai Phupi Baba Aajaae’n to tab shimr ko hoga maloom kaon hai Ye Masoom Kya samajh kar Mujhe yu’n ghurkiya’n deta hai shaqi Kya andhera hai Phupi Aaj ki shab ko bhi Baba kya nahi’n Aaenge Mujhko rulwaaenge Unke seene pa agar soti to neend aa jaati Kya andhera hai Phupi Baad Mere ya’n agar howe Pidar ka aana Unse ye farmaana Margayi ghut ke andhere me Tumhari Beti Kya andhera hai Phupi ------*------

Ali Jaweed Maqsood

AYE HUSSAIN KI PYAARI AYE SAKINA JAA’N BIBI

Margayi Jo zinda’n me Shah-e Deen ki Dukhtar Bekaso’n ke rone se qaid me huwa mehshar Laash par Sakina ki Karti thi fugha’n Maadar Saath chhor kar Mera tum gayi’n kahan Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi Aaj shab ki taariki badh gayi hai zinda’n me Bebasi udaasi hai bekasi hai zinda’n me Tum jo ab nahi’n Rothi khamoshi hai zinda’n me Sogwaar baithi hain saari Bibiya’n Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi

~ 102 ~

Karbala ke Maida’n me Mujh se chhut gaya Asghar Tumse hi bahalta tha ye Mera dil-e muztar Kitni besahara hoon ye to sonchti Dilbar Tumse chhutke zinda’n me kya jiyegi Maa Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi Hogaya kafan Bibi ye phata huwa kurta Saaf bhi na ho paya kab se khoon kaano ka Hai yaqee’n khafa honge haal dekh kar Baba Jaake mat gila karna Baap se waha’n Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi Kaan se chhine gowhar aur jal gaya kurta Dono gaal zakhmi hain pusht par laga durra Dekhti rahi bebas Maa bohut hai sharminda Maa ke saamne khaai Tumne sayliyaa’n Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi Ghar ujad gaya Mera Qatl hogaye Baba Karbala se Laayi hu’n Dil pa daagh Asghar ka Ab to Dil ki har hasrat thi tumhee’n se waabasta Kargayi Mere armaa’n khaak me Nihaa’n Bibi Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi ------*------

Rasheed Shaheedi

ZINDAA’N KE ANDHERE ME SAKINA KA HAI MAATAM

Shabbir sulate the jise seene pa Apne Abbas ne jis Bibi ke the Naaz uthaay Us Bibi ke Rukhsaar huwe kisliye neele Kyun kaano se us Bibi ke khoo’n behta hai paiham Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Wo dhoop Aseeri wo safar Aalam-e ghurbat Wo shimr ke durre wo tamaacho’n ki aziyat Wo pyaas wo jalte huwe khaimo’n ki musibat Ab khaak hai zindaan ki un zakhmo’n ka marham Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

~ 103 ~

Abbas ki aaghosh me rehti thi Jo aksar Shabbir ka seena raha Jis Bachchi ka bistar Us Bachchi ko ab khaak pa neend aaegi kyu’nkar Kis tarha huwa Pyaasi Sakina ka ye Aalam Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Dekhi hai Kisi ne kahi’n Mayyat koi Aisi Soojhe huwe rukhsaar lahu kaano se jaari Nanhe se gale me hai rasan poosht bhi zakhmi Sar peet’te hain Ahl-e Haram karte hain Maatam Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Sajjad to hain touqo salasil me giraftaar Har Bibi rasan basta hai uthna bhi hai dushwaar Abbas ko Deti hai Sada Zainabe Naachaar Ab kaun kare Dafn ka saamaan faraaham Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Hai Qaid-e sitam me ye ajab dard ka manzar Ab Qabr me khwahar ko Sulata hai Baradar Hasrat se khadi dekhti hai Ghamzada Maadar De Kisko sada koi nahi’n Monis-o Hamdam Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Kaisi ye Rasheed Aale Nabi par hai musibat Zindaan me ab banti hai ik Nanhi si Turbat Yaad aati hai Abid ko Sakina ki Wasiyat Ik Bhai pa Kis tarha ye Ghurbat ka hai Aalam Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam ------*------Ali Mohsin Khan

JALD AAIYE BABA

Zindaan me karti thi fugha’n Shah ki Dukhtar Jald Aaiye Baba Marjaaegi is qaid me ab Aapki Dukhtar Jald Aaiye Baba

Baba Mera Bhai hai musibat me giraftaar, hai bekaso naachaar Beemar pa dhaate hain bohut zulm sitamgar, Jald Aaiye Baba

~ 104 ~

Darbar me kya haal tha Main kaise Bataaau’n, kya kya Main Sunaau’n Roodaade Safar bhi zara Sunjaiye Aakar, Jald Aaiye Baba

Aada ne Hame loot liya baad Tumhare, khaime bhi jalaay Kaano se tapakta hai lahu chhin gaye gowhar, Jald Aaiye Baba

Baba Mujhe ab shimr ke haatho’n se bachalo, seene pa sulalo Ab taab tamacho’n ki nahi’n dekhiye Aakar, Jald Aaiye Baba

Baba hai watan ke liye Dil Mera tadapta, Yaad aati hain Sughra Ab soowe Madina Hame le jaaiye aakar, Jald Aaiye Baba

Rothi huwi duniya se qaza kar gayi Kamsin, kya Hashr tha Mohsin Abid ne Kaha qabr me Hamsheer ko rakh kar, Jald Aaiye Baba ------*------

Mujahid Hussain Mujahid

MAZLOOM MERI BACHCHI KAISE HO DAFN TERA KEHTI THI ROKE BANU DIL MUZTARIB HAI MERA

Kis bekasi me Tera Laasha pada huwa hai Neele hain gaal abtak kurta lahu bhara hai Abbas aake dekho kya haal hogaya hai Teri musibato’n par tukde jigar hai Mera Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Pardes me ye kaisi uftaad ki ghadi hai Seene pa sone waali ab khaak par padi hai Khamosh hai Sakina Maa dekhti khadi hai Kuch aur badh gaya hai zindaan ka andhera Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Chaaron taraf udaasi is Gham ki chha rahi hai Ghurbat Teri Sakina sabko rula rahi hai Bekas yateem Bachchi duniya se Ja rahi hai Is shaame Gham ka Ya Rab hoga kabhi savera Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

~ 105 ~

Teri Musibaton ka purdard ye sama hai Zakhmi hai Pusht Teri Kaano se khu’n rawa’n hai Gardan se reesma’n ka ubhra huwa nasha’n hai Bimar hai Baradar har simt hai andhera Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Abid Tadap rahe hain rukhsat huwi Sakina Is Gham se ab Mujahid ik hashr sa hai barpa Maatam se goonjta hai tareek qaid khana Banu Ye Keh Rahi Hai Haafiz Khuda Hai Tera Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera ------*------

Ali Jaweed Maqsood

YE NEEND KHAAK PA KAISI UTHO UTHO BIBI

Pidar jo khwaab me Aaye machal gayi Bachchi Fazaa-e Qaid Haram ki buka se hilne lagi Lipat ke Baap ke Sar se jo Margayi Beti To qaid khane me Banu ki ye Fugha’n goonji Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Fasaana-e Ghame furqat Sunaao Baba ko Huwa jo baade Shahadat Sunaao Baba ko Safar ki saari musibat Sunaao Baba ko Lipat ke Baba se Khamosh mat Raho Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Bohut gila tha Sakina Tumhe andhere ka Ye Gham raha hai ke taarik qaid me Kunba Ye ranj tha koi chehra nazar nahi’n aata Hamare Ghamzada Chehro’n ko dekhlo Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Yaqeen tha Tumhe Lene ko Aayenge Baba Tumhe sukoon huwa Meri lut gayi Duniya Hamesha Tumne Sunaya hai haale Dil Apna

~ 106 ~

Ghareeb Maa ke bhi Dil ki to kuch Suno Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Dukhi Labo’n ki tasalli Tumhari baatein thi’n Dilo’n ke zakhmo’n ka marham Tumhari baatein thi’n Hamare Gham ka sahara Tumhari baatein thi’n Hamare Gham ka sahara na chheen lo Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Jo aise haal me Dekhe’n Khafa na ho’n Baba Zara Main saaf to Kardoo’n ye khoon kaano ka Na Pehne jao Sakina phata huwa kurta Lahu me doobi ye Zulfein Sawaarlo Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Main qatl gaah me Asghar ko Aayi hu’n Khokar Suhag ujad gaya Waris nahi’n raha Sar par Gharib Maa ka Sahara nahi’n koi Dilbar Tum is tarah Mujhe tanha na Chhordo Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Khule huwe dar-e zinda’n hain khatm ranjo mehan Tamaam Kunbe ke haatho’n se khul gayi hai rasan Kaha’n gaya Meri Bachchi Tumhara Shaokhe Watan Rihaayi mil gayi zinda’n se Ghar chalo Bibi Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi ------*------

Rasheed Shaheedi

ABID UTHA RAHE HAIN APNI BAHAN KA LAASHA ZINDAAN-E SHAAM ME AB IK HASHR SA HAI BARPA

Godi hai Jiski sooni ujda Suhag Jiska Karbal me so raha ho jis Maa ka Jhoole wala Us Maa ke Dil ko kaise dega koi dilasa Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

~ 107 ~

Abbas ki Bhatiji paiham tamache Khaake Aayi thi Karbala se zulmo sitam Uthake Khamosh Hogayi kyu’n roodaade Gham sunake Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Baba ko yaad karke Rone bhi Wo na Paayi Seena kaha’n se milta Sone bhi Wo na Paayi Zakhmo’n ko Aansuo’n se Dhone bhi Wo na Paayi Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Rukhsaar neelgu’n hain Kurta phata huwa hai Kaano se khu’n hai jaari zakhmo ka silsila hai Har Naaz uthane Wala Karbal me Soraha hai Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Bimar-e Karbala Par tooti nayi musibat Hoti hai ab Sakina Ahle Haram se rukhsat Zinda’n me banrahi hai Nanhi si ek Turbat Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Ik aakhri Wasiyat Bhai se Usne Ki thi Lekin Wasiyat Uski puri na hone paayi Zinda’n hi me Rasheed ab Turbat banegi Uski Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha ------*------

Unknown

QAID KHAANE ME YE THA BAALI SAKINA KA BAYA’N MAIN HU’N ZINDA’N ME PAREESHA’N MERE AMMU HO KAHA’N

Main thi pyaasi ye huwi Mujh se badi naadaani Laot bhi aao na maangungi kabhi Main paani Pyaas se damm bhi jo nikle to na Kholungi zabaa’n Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

~ 108 ~

Khaofe aada se na ji bhar ke kabhi roi Main Sina Baba ka chhuta jab se nahi’n soi Main Neend ke badle rahe aankho’n me aansu’n larza Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Yaad me Baba ki Main roi thi Dukhiya jis damm Kya kahu’n shimre laee’n Mujh pa jo karta tha sitam Mere Gaalo’n pe abhi tak hai’n tamaancho’n ke nashaa’n Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Apne Seene pa phir ek baar sulalo aakar Neend ke maare Main hojaati hu’n shab me muztar Qaid me chaaro taraf chhaya hai wehshat ka sama Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Kisko kehte hain yateemi Mujhe maalum na tha Jab se bichhdi hu’n Main Tumse to ye ehsaas huwa Meri taqdeer me Baba Mere ab neend kaha’n Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Tum to kehte the Mujhe aankho’n ka taara kal tak Mera rona bhi na tha Tumko gawara kal tak Aaj kya baat hai sunte nahi’n kyu’n Meri fughaa’n Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Shab me badh jaati hai kuch aur bhi dil ki dhadkan Maot bhi Mujh se khafa hogayi ya Shaahe Zaman Din ko bhi hota hai zindaan me raato’n ka gumaa’n Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n ------*------

~ 109 ~

Unknown

JAB YAAD SAKINA KO TERI AATI HAI BABA

Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Sar zinda’n ki deewaaro’n se Takrati hai Baba

Kaano se tapakta hai Lahu Shaano pa Mere Zalim ki aziyat Mujhe tadpati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Marjaaungi Pyaasi na kabhi Maangungi paani Asghar ki Mujhe Pyaas jo Yaad aati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Jabtak Tere Seene pe na Sojaay Sakina Zinda’n me Use neend kahan aati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Jalte huwe khaimo’n ke nazaare hain Nazar me Ye baat khayalo’n se kahan jaati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Yaad aate hain jab shimre sitamgar ke mazalim Ye Nanhi Si Dukhtar Teri Ghabrati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Hai kaun Mere Paas Jiyu’n Kiske sahare Tanhaayi Meri mout bani jaati hai Baba Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba

------*------

~ 110 ~

Hasan Abbas Ahsan

SHAAM KE ZINDAAN ME BEKAS SAKINA MARGAYI

Baade Sarwar phir musibat me izafa yu’n huwa Pusht par durre lage gouhar chhine Kurta jala Baap ka Pursa Yateemi ko tamacho’n se mila Daagh kaise Dil pa lekar Shah ki Dukhtar Gayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Garm reti par Pada tha Sheh ka Lasha Bekafan Aal-e Ahmed Berida thi saath the ranjo mehan Thi bandhi Baarah Aseero’n ke Gale me ek rasan Shaahzadi qaid hokar berida dardar Gayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Dard kaano me tha itna kaise neend aati kahi’n Baap ka Seena nahi’n tha kaise so Paati kahi’n Pyaas ki shiddat se jo behosh Hojati kahi’n Maa Samajhti Shiddate Gham se Sakina Margayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Tashnagi hi Tashnagi thi Karwa’n dar Karwa’n Gham se jalta tha Kaleja Pyaas se sookhi Zuba’n Ki Qayamat ki Wasiyat Hichkiyo’n ke darmiya’n Haay Khwahish Bhai se thandi zami’n ki Kargayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Kaun jaane Qalb-e Muztar par huwa tha kya asar Maa ko sakta sa huwa tha aur phupi thi Naohagar Takht par baitha tha zalim Tasht me Baba ka Sar Apni ankhon me Liye ye Dard ka manzar Gayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Zulm ke darbar me zalim huwa jab rubaru Kis Ghazab ka tha wo Qutba Kis Ghazab ki Guftagu Shaan Haidar ki Dikhadi Kamsini me Hoobahu Zulm ka har har qadam par maareka Sar Kargayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

~ 111 ~

Bhai ke Haatho’n pa Mayyat Hai Bahan ki Aye Khuda Ab Janaaza Uth raha hai Aaiye Mushkil Kusha Aapki Poti Jo hai Andaaz bhi hai Aapka Deke Paighaam-e rihaayi Khud suwe Kausar Gayi Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi ------*------

Allama Akhtar Zaidi

ZAINAB LIPAT GAYI HAI MAZAARE HUSSAIN SE

Armaan hai ye Zainab-e Aali Maqaam ka Chehlum hai Karbala me Shahe Tashnakaam ka Bhai ki Qabr dekhke aansu nikal pade Pyaason ki yaad aayi to dariya ubal pade Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhare baad anokhe sitam huwe Durre lage ridaae’n chhini khaime jal gaye Bano ke Qalb ka wo sahara bhi jal gaya Maa dekhti hee reh gayi jhula bhi jal gaya ai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya wo raat kaisi qayamat ki raat thi Ahle Haram pa sakht musibat ki raat thi Shaane kata ke Mera Nigehbaan so gaya Abbas ka jo farz tha Main ne ada kiya Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Aaghaz Karbala se Hamara safar hua Abid ko dekh dekh ke tukde jigar huwa Kufe me Sar barehna jo Aale Aba gaye Baba har ek qadam pa Mujhe yaad Aagaye Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

~ 112 ~

Bhayya phir uske baad qayamat hi aagayi Kunbe ko leke Shaam me Main berida gayi Taabe nazar kaha’n thi magar dekhna pada Tashte tila me Aap ka Sar dekhna pada Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhari Beti pa kya kya sitam huwa Lekin kabhi na sabr ka meyaar kam huwa Jab inteha-e zulme sitamgaar hogayi Aakhir Sakina Shaam ke zinda’n me Sogayi Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Chehlum ke baad Main jo Madine ko Jaaungi Amma ko Main safar ki musibat Sunaungi Gar hosake to neel rasan ke Dikhaungi Main zindagi tamaam Tera Gham Manaungi Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se ------*------

Allama Akhtar Zaidi

HAI KARBALA KE BANN ME GHARIBO’N KA ARBAEE’N Shabbir ke mazaar paZainab ki hai Jabee’n Aansun baha Rahe hain Khade Abide Hazee’n Aabaad thi Hussain ke Qadmon se ye zamee’n Ab haal ye hai Sar pa koi Saa’ebaa’n nahi’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Maajaaye pehle aag lagi khaimagaah me Har gaam ek taaza qayamat thi raah me Bachchi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah me Zindaane Shaam me hai Sakina yaha’n nahi’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Laila tadap rahi thi ke Dilbar nahi’n Raha Lakhte jigar Shabeehe Payambar nahi’n Raha Rone ko Maa to rehgayi Akbar nahi Raha Chehlum Jawaan Bete ka aur Maadare Hazee’n

~ 113 ~

Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Farwa ko yaad Qasime Naoshah aagaya Pohncha jo qatlgaah me Dulha bana hua Tukde mile the Jism ke Laasha nahi’n mila Jis ke lahu se surkh hui thi yehi zamee’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Abbas-e Naamwar jo Haram ka tha Paasba’n Roti thi yaad karke Jise saari Bibiya’n Be aas jis ki Laash pa the Shah e Dojaha’n Laasha kahi’n tha Haath kahi’n aur Alam kahi’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Abbas tum nahi the qayamat guzar gayi Main Karbala se shaam talak Nange Sar gayi Godi ke paale margaye Main kyun na margayi Zainab tadap rahi thi larazne lagi zamee’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka arbaee’n Kehti thi ye Rabab bacha lijiye Mujhe Moula Lahad me Apni chhupa Lijiye Mujhe Ghar jaake kya Karun ye Bataadijiye Mujhe Sunsaan godh hogayi Waali koi nahi’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Bhayya Hamare waade ki takmeel hogayi Aisa safar huwa hai ke sar par rida na thi Darbaar-e Shaam me thi qayamat ki bebasi Roodaad-e Gham sunaane ki taaqat bhi ab nahi’n Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n Ahle jaha’n ko hogi agar haq ki justuju Akhtar asar dikhaega Mazloom ka luhu Hai Ghamzada Bahan ki yehi ek aarzu Aabaad Zaa’ereen se hojaye ye zameen Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n

------*------

~ 114 ~

Syed Raza Moosavi Raza

ZAINAB MANANE AAYI HAI BHAI KA ARBAEE’N

Karbobala me shaam-e ghareeba’n ka hai sama Baithi huwi hain khaak basar saari Bibiya’n Bhai ke hai mazaar pa khwaahar ki ye Fugha’n Ham the sitam tha aur thi’n afwaaje ahle keen Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Bazaar-e Shaam aur wo tamashaai al ama’n Rukta tha har jaga pa aseero’n ka karwa’n Ham Sar khule the aur thi baazu me reesma’n Tauq-e giraa’n tha aur Mera Aabid-e hazee’n Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Laila ka haal Bibiyo’n me sab se ghair tha Ik ik se kehti thi Mera Akbar kaha’n gaya Main Dhu’ndti hu’n koi bhi deta nahi’n pata Naize liye huwe Use ghere the kuch laee’n Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Abbas ka Wujood Hamara sahara tha Nikla tha Teri simt wo saqqa Sakina ka Kyun saahile furaat tu aage na aasaka Ahle haram ke bain se hilne lagi zameen Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Mehshar talak sanwaar di dono ne raah e haq Baatil ka sar na uthega aisa diya sabaq Bhai Bahan Raza hain hidayat ke do waraq Hai Karbala panaahe Muhabbat ki sarzamee’n Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n ------*------

~ 115 ~

Hazrat Saeed Shaheedi

ALLAH NIGEHBAAN WATAN JAATI HU’N BHAI

Ab aakhri mujra Main baja laati hu’n Bhai Ujde huwe kunbe ko liye jaati hu’n Bhai Maalum nahi laut ke kab aati hu’n Bhai Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Haidar ka Pisar Fatima ki jaan yahin hai Wo jis pa wafa hogayi qurbaan yahin hai Bhayya Mere parde ka nigehbaan yahin hai Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Lakhte Dil e Shabbir ko kaleje se lagana Be chain jo Asghar ho to seene pa sulaana Bhayya Mere bachchon ko kahi’n bhool na jaana Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Ab kaaheko phir laut ke yaad aaegi Zainab Ab tum ko Madine me kahan paaegi Zainab Marjayegi marjayegi marjayegi Zainab Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Batlaao ke kab tak yuni khamosh rahoge Kya khwahar e Nashaad ko rukhsat na karoge Sughra ke liye kya koi paiGham na doge Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Khamosh Saeed ab ke nahi zabt ka yaara Sab ahle haram rote the ik hashr bapa tha Tha turbat e Shabbir pa Zainab ka ye Nouha Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai ------Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai------

~ 116 ~

Mehdi Nazmi

ZAINAB MADINE JAATI HAI KYA KYA LIYE HUWE

Aankhon me Karbala ka nazara liye huwe Ehsaas me Hussain ka Laasha liye huwe Ashkon me khoone zakhme tamanna liye huwe Abbas ke Alam ka pharera liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Daagho’n me aag aag me ghut’ta hua dhua’n Maaninde mauj aankh se aansu rawa’n rawa’n Baazu pa reesmaan ke ubhre huwe nasha’n Seene me zakhme marge Sakina liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Zinda’n se chhoot kar bhi nahi’n ranj se firaagh Roshan hain daaghe qalbe jigar surate charaagh Karbobala me lutgaya Sibte Nabi ka baagh Qalbe figaar chaak kaleja liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Teero’n se chaak chaak hai Sarwar ka pairahan Abbas ka libaas wo Akbar ka pairahan Dooba hua hai khoon me Asghar ka pairahan Bano ke Sheer khwaar ka jhula liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Abbas jaane Haidare Safdar ki yaad hai Qasim ki yaad hai Ali Akbar ki yaad hai Seene me ek dil hai Bahattar ki yaad hai Ujda hua Hussain ka kunba liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Gardan ka tauq Aabid-e Muztar ki bediya’n Kuch bediyo’n ke daagh toh durron ke kuch nasha’n Chheeni hui Sakina ke kaano ki baalia’n Nanhi si ek bachchi ka sadma liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

~ 117 ~

Karbobala me lut gaya gulzaar e Panjatan Paamaal daste kee’n me hua Dilbar e Hasan Pehne huwe hain bewa ki poshaak ik Dulhan Qasim Bane ke maathe ka sehra liye huwe Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe ------*------

Mustafa Moosavi

ABBAS ZAINAB AAYI HAI KARNE KO ARBAEE’N

Aayi hai chhutke qaid se karbal me Bibiya’n Abbas ki lahd pa ye Zainab ka hai baya’n Bhai sunaane aayi hu’n Gham ki Main daastaan Bhayya Teri Bahan ka koi paasbaa’n nahi’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya har ik qadam pa Hamara tha imtihaan Baithi thi bekajawa sawari pa Bibiya’n The pa barehna Abide Beemaro Naatawa’n Kaanto bhari zami pa chalaate the ahle kee’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Marne se Tere Ham pa anokhi jafa huwi Chaadar bhi Muh chuphaane ko sar par nahi rahi Baalon se muh ko dhaamp ke darbaar me gayi Zulmo sitam ki Ham pa koi inteha nahi’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya Teri Sakina pa kaisa sitam hua Izhaare tashnagi pa hua zulme naarwa’n Paani dikha dikha ke bahaate the ashqiya’n Bachchi tadap ke reh gayi paani mila nahi Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Zinda’n me zulm seh ke Bhatiji guzar gayi Sharminda hu’n Sakina ko waapas na laa saki Aabid se keh rahi thi Sakina ki tashnagi Madfan ko Mere dekhiye thandi koi zami’n

~ 118 ~

Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Darbaare Shaam hashr ka maidan ban gaya Tha takht par yazid idhar Aale Mustafa Bhai ke khushk honto pa wo zulm tha naya Jis zulm ke sabab se larazne lagi zami’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya Mera Shabeeh e Payambar nahi’n raha Shabbar ki jaan Qasim e Bepar nahi’n raha Veeraan jhoola hogaya Asghar nahi’n raha Lashkar me baaqi reh gaye bas Aabid e Hazee’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya ye Moosavi bhi Hamara hai Gham gusaar Hai is ke lab pa naam Tumhara hi baar baar Aur Karbala ke waaste rehta hai beqarar Is ko bula lo Raoze pa Zehra ke Naaznee’n Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n ------*------

Fareed Baig

ARBAEEN KARNA HAI SHAAHE KARBALAAI KA

Leke daagh seene par shaam ki judaai ka Haq ada kare Zainab kaise Apne Bhai ka Qafela utar aaya sabr ki khudaai ka Karbala ke maida’n par Fatima ki Jaai ka Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Maut ke biyaba’n me zindagi ka maatam hai Zulm ke andhero’n me roshni ka maatam hai Aansuon ke toofa’n me tashnagi ka maatam hai Ik Bahan ke hisse me har kisi ka maatam hai Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Dur tak nigahon me shaam ka andhera hai Karbala se Kufe tak haadeson ne ghera hai

~ 119 ~

Jab se Naonihaalo ne Muh ko apne phera hai Maamta ki godhi me maut ka basera hai Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai kya sunaun me Ham pa kya sitam guzre Baad e asr e ashoora bekafan the sab Laashe Shaam e Gham ke chaate hee maut ke badhe saaye Chin gayi rida meri Bhai jal gaye khaime Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Baad e Karbala Bhai har qadam qayamat thi Berida rasan basta raah e Shaam se guzri Bhai Ham tamasha the raaste tamashai Har qadam dua ye thi kaash maut aajaati Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Khud aseer e qismat thi dar badar gayi Zainab Muh ko Apne baalon se dhaamp kar gayi Zainab Majlise sitamgar me nange Sar gayi Zainab Le ke saath kunbe ko Naoha kar gayi Zainab Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai qaid khaane ki teergi se ho aaye Aap ki amanat ko zulmaton me kho aaye Khoon ghoshwaaro’n ka aansuo’n se dho aaye Yu’n Sakina Bibi ko sab aseer ro aaye Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Aap se juda ho kar jab Madina jaaungi Jaa ke Maa ki Turbat par Marsia sunaungi Karbala ke maqtal me kya hua bataaungi Bhai Apne baazu ke neel bhi dikhaungi Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai ab Khuda hafiz qabr se chali Zainab Bin tere guzaaregi kaise zindagi Zainab Uth gayi Fareed aakhir keh ke Ya Ali Zainab Dard o Gham ki duniya me phir se kho gayi Zainab Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka ------*------

~ 120 ~

Agha Ali Hussain SHABBIR KA CHEHLUM HAI Zindaa’n ke alam seh kar jab Waarise Gham aaye Karbal ki fazaaon me paabande sitam aaye Faryaad o fughan karte sab Ahle Haram aaye Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Phir Dukhtar e Zehra par aafat ki ghadi aayi The shaam ki raahon me har simt tamashaai Aur tauq me jakda tha Abid ka gala Bhai Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Gaalo’n pa Sakina ke wo neel tamacho’n ke Zakhmi tha badan Uska durron ki azeeyat se Har gaam pa kehti thi Ammu hain kahan Mere Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Darbar wo hakim ka Sar nange Tera kunba Chaadar ke ewaz Ham ne baalon se kiya parda Bhayya Teri Zainab ke baazu the rasan basta Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Roodaad e safar kaise Sughra ko sunaungi Hain neel jo baazu par Kis tarha chhupaungi Poochhe jo agar Tum ko kya Usko bataaungi Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Ehsaas ki duniya ka purdard tha wo manzar Tha hashr bapa Agha Zainab ka baya’n sunkar Zindaa’n me Sakina ko kho aayi Teri Khwahar Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai ------*------

~ 121 ~

Hyder

BHARE GHAR KA ARBAEE’N

Baithi huwi hain khaak pa Saidaania’n tamaam Ranjo alam ka hai har ik simt ishdihaam Har lamha yaad aati hai aashoor ki wo shaam Hota hai aaj Sibte Payambar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Pamaal ran me hogaya Shabbar ka nounehaal Kubra ki aarzuein huwi rann me paaemaal Farwa ke dil ka chain tha Terah baras ka Laal Hai Karbala me Dilbar e Shabbar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Dekhi gayi na Saaniye Zehra ki bekasi Aaya khayaal Aun o Muhammad ka jis ghadi Zainab ghareeb kehti thi har lamha bas yehi Khwahar karegi apne Baradar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Abbase Naamdaar ke shaane qalam huwe Pyaasi Sakina reh gayi paani na la sake Tooti kamar Hussain ki Abbas chal base Darya pa hai wafa ke Payambar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Atthara saal waale ki Maadar hai sogwaar Roti hai yaad karke wo Akbar ko baar baar Kulsoom beqarar hai Zainab jigar figar Hai aaj Ham Shabihe Payambar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Asghar ko rann me laaye jo Sultan e Karbala Teer e sitam se chhid gaya besheer ka gala Bachche ko ek boondh bhi paani na mil saka Hai tashna lab Rabab ke Dilbar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

~ 122 ~

Shabbir hain Hamari rag e jaan se qareeb Haidar Dua ye karta hai aye Sarwar e Ghareeb Makhsoosi Arbaeen ki ham sab ko ho naseeb Mil kar waha’n karenge Bahattar ka Arbaee’n Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n ------*------Fughan

ZAINAB SE KARBALA KA ZARA MAAJRA SUNO

Beti Ali ki Turbat e Zehra pa aayi hai Kurta lahu bhara hua Bhai ka laayi hai Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma Hamare ranjo masa’eb hai dardnaak Amma Hamare qalbo jigar ho chuke hain chaak Amma Hamare Nana ki ummat ne ki dagha Amma Hamare khoon ko samjhe hain sab rawa’n Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma taras ke reh gaye paani ko Ham tamaam Amma diya na Ham ko Kisi ne bhi ek jaam Amma Hamare mard tahe tegh hogaye Amma naha ke khoon me bechare sogaye Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma pade hain nehr pa Abbas rooth kar Amma Sakina soti hai zinda’n me be Pidar Amma kahan se Akbar e mehru ko laaun Main Amma kahan se Asghar e nadaa’n ko paaun me Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma Habib Ibne Mazahir zohair e Qain Kaam aagaye hain wo bhi be Nusrat e Hussain Amma wo Hur ke jis ne sar apna kata diya Naqshe kafe Hussain me Eema ko pa liya Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno

~ 123 ~

Amma Hussain Karbobala hi me reh gaye Amma Hussain saare masa’eb ko seh gaye Amma Hussain Margaye beyaar o bewatan Amma Hussain ko na mayaasar huwa kafan Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma Hamari chaderin bhi chhin gayi tamam Amma Hamare haal pa hanste the ahle shaam Amma wo shaam e ghurbat e Shabbir aah aah Amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaah Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma ye haal Abid e Beemar hogaya Zaalim sipah ne le liya bistar ghareeb ka Amma qadam qadam pa aseeri rula gayi Gardan me tauq paaun me zanjeer aagayi Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma wo Bibiyo’n ka tadapna wo shoro shain Amma rahegi yaad wo aaho buka ke bain Amma Rabab Roti hai Asghar ko sub’ho shaam Akbar ko yaad karti hai Laila tashna kaam Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawah Maqtal ki gard ban gayi afsha’n Khuda gawah Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi Amma Hamare haal pa Roti hai bekasi Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno Amma bataaaiye to Main ab jeeke kya karun Kis tarha ab Hussain ki furqat ka Gham sahu’n Aayi Fugha’n nida ke sare hashr Ham bhi ab Kurta lahu bhara hua rakh denge peshe Rab Beti Tumhara Bhai Shahe Mashraqain hai Beti Tumhare sabr me Fath’he Hussain hai Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho Zainab se Karbala ka zara maajra suno ------*------

~ 124 ~

Ali Jaweed Maqsood

MAA KI QABR PAR ZAINAB KARTI THI FUGHA’N AMMA

Tang thi zamee’n Ham par dur aasmaa’n Amma Aafato’n ka toofa’n tha Ham gaye jaha’n Amma Karte hain aseeri ki dasta’n baya’n Amma Mere dono Shaano par zulm ke nasha’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Phir rahe hain aankhon me Karbala ke sab manzar Khaako khoon me ghaltaa’n Qasimo Ali Akbar Khushk halq Bhai ka aur shimr ka khanjar Bhai ke badan se khoo’n Aapka rawa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Dushmano ke narghe me Ibne Saaqiye Kausar Taaba hadde beenaayi tegho naiza-o khanjar Teer the kamaano me jholiyo’n me the patthar Ghir gaya sinaano’n me Mera Bhai jaa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Din dhala Qayamat ka raat hashr ki aayi Raat saat me apne aur aafatein laayi Bekafan tha Maajaaya Berida thi Maajaayi Ghar me aag ke shole ghash me Naatawaa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Chaand aur sitaare the khaako khu’n ke baadal me Mustafa ke Pyaare the bemazaar jangal me Teri godi ke paale bekafan the maqtal me Berida thi’n balwe me Teri Betiya’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Baade qatl bhi ummat zulm se na baaz aayi Fouje zulm ghodo’n ko Sheh ki Laash par laayi Reh gayi fugha’n karti Beqarar Maajaayi Nahr par tadap utha Sheh ka paasbaa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

~ 125 ~

Sar khule Haram baithe bekajaawa oonto’n par Aur tamashbeeno’n ka tha hujoom raaho’n par Sar Hamare Pyaaro’n ke saath saath Nayzo’n par Aur bedawa Abid Meere Kaarwa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Karbala se Kufa aur phir yazid ki mehfil Har qadam qayamat thi har qadam kadi mushkil Ik nayi musibat thi Bekaso’n pa har manzil Har qadam pa dekha hai suwe aasmaa’n Amma Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma ------*------

Rasheed Shaheedi ZAINAB NE KAHA MAA KI LAHAD SE YE LIPAT KAR PARDES ME BARBAAD HUWA MERA BHARA GHAR Amma Ali Akbar pa huwa zulm kahu’n kya zakhmi tha kaleja Tha khoon me dooba huwa Wo Mannaton wala Laila ne bhi Dekha Laasha raha begoro kafan jalti zami’n par Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Sab qatl huwe jab huwa Bhai Mera Tanha is zulm se maara Wo Kehta raha hu’ Main Muhammad ka Nawasa kuch rahm na khaya Tha Pyaasa Gala Bhai ka aur shimr ka khanjar Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Amma Mere Bhai ka raha dhoop me Lasha Sar Tann se Juda tha Koi na tha dil Gham se Mera doob raha tha kya waqt pada tha Mayyat pa udhaane ke liye thi nahi chaadar Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Jis waqt huwe shaam ke darbar me dakhil thi sakht wo manzil Yaad aagaye Abbas to dil hogaya bismil tha zabt bhi mushkil Shabbir ke aansu ne sahara diya badhkar Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Nikli thi Madine se to Hamrah tha Kunba ab kya kahe Dukhiya Dil toot gaya Shaq hai Mera Gham se kaleja Main Rehgayi Tanha Jangal me luta Aayi Hu’n Main Tera Bhara Ghar Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

~ 126 ~

Sajid Moosvi

DEKH MADINE KYA KYA YAADEIN

Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab Karbobala me Ghar ko luta kar Apne Watam me Aayi hai Zainab

Zulm kiya wo ahle jafa ne Zainab ka Gham Zainab jaane Soojhe huwe hain abtak Shaane daagh ye kaise Paayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Gham ki kise rudaad sunaaye zakhm jigar ke kaise dikhaaye’n Daaghe rasan kis kis se chhipaaye sonchke ye ghabraai hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Shaam ka kya bazaar saja tha shehr khada tha behre tamasha Haay kisine ye bhi na soncha Ye to Ali ki Jaayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Saamne hakim ke Main Khadi thi Bhai ke Mere Lab pa chhadi thi Haay wo kaisi sakht ghadi thi Sonchke ye Tharraayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Ek qayamat harsu bapa thi mehwe tamasha khalqe Khuda thi Aur tamasha Aale Aba thi haay bahot Sharmaayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Shimr ke durre baali Sakina pyaas ki shiddat jalta seena Aa na saki wapas Wo Madina Tanha Use Chhor Aayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Ashke Aza ke Moti lutado Farshe Aza aankhon ko banado Sajde me Sajid sar ko jhukado Bazme Aza me Aayi hai Zainab Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

------*------

~ 127 ~

Abul Hasan Abidi

SALAM LO AMMA

Ye boli Beti ba hasrat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Bula ke ghar se Hame ashqiya’n ne loota hai Hussain Bhai Mera Karbala me chhoota hai Pahaad dardo musibat ka Ham pa toota hai Huwi ye kaisi ziyaafat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Suno Aye Amma Mere Sar se chhin gayi chaadar Gayi Main koocha-o bazar me barahna sar Rasan ke neel abhi tak hain Mere baazu par Mila ye ajre Risalat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Main shaamo Kufa ki haalat Tumhein Sunau’n kya Jo Ahlebait pa beeti wo ab Bataau’n kya Rasan ke neel hain Baazu pa Main Dikhau’n kya Khud Uthke Dekhlo haalat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Ajeeb zulm ki aandhi chali zamane me Kaleja phat’ta hai rudaade Gham Sunane me Sakina Margayi ghut ghutke qaid khaane me Banake Aayi hu’n turbat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Zaba’n pa harfe shikayat na Laasaki Zainab Gila kiya na Kisika bhi chup Rahi Zainab Yazide nahas ke darbar me Gayi Zainab Baraa’e bakhshishe Ummat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

~ 128 ~

Gharib Beti se rudaade Karbala Sunlo Jo Ham pa hogayi pardes me jafa Sunlo Jo Sunsako to Shahadat ka waaqiya Sunlo Jawaab deti hai himmat Salam Lo Amma Suno Hamari musibat Salam Lo Amma ------*------

Zaki Bilgrami

MARQAD PA MAA KI ZAINAB FARYAAD KAR RAHI HAI AMMA TERI KAMAAI JANGAL ME LUT GAYI HAI

Ummat ne Mustafa ki loota hai chain Tera Maara Gaya hai Pyaasa Amma Hussain Tera Dil baith sa gaya hai ankhon me teergi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Teero’n se hogaya hai Qasim ka Jism chhalni Maqtal ki zulmato’n me Dulhan ki maang ujdi Sehre ki har ladi se hasrat baras rahi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Barchhi jigar pa kha kar Akbar ki Naojawaani Mitti me milgayi hai Laila ki Zindagani Bete ko yaad karke Maadar tadap rahi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Yaado’n se khelti hain Besheer ki Adaaein Reh reh ke de rahi hai Asghar ko Maa Sadaaein Jhoole ki khaamoshi par khud mout rorahi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Maare gaye hain pyaase Amma Mere Pisar bhi Daste laee’n ne kardi aaghosh Meri sooni Duniya Meri nazar me taareek hogayi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

~ 129 ~

Aankhon me basgaye hain zindaan ke andhere Yaad-e-Sakina Amma rehti hai Mujhko ghere Baba ko rote rote Masoom chal basi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Abid ki Pusht par hain durro’n ke neel ab bhi Amma rula gayi hai Mazloom ki Aseeri Chhaale hain dast-o-pa me Bimar par ghashi hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Zainab ko raas Amma Karbobala na aaya Chheena hai Mere Sar se do Bhaiyo’n ka Saaya Ab to Duwaaein Zainab marne ki Maangti hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

In baazuo’n ke Tujhko daagh-e-rasan dikhaane Aayi hai Teri Beti rudaad-e-Gham Sunaane Kurta kahi’n jala hai chaadar kahi’n jali hai Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai ------*------

Zaki Bilgrami

LUT GAYI KARBOBALA ME TERI DUNIYA AMMA

Qabre Zehra pa ye Zainab ka tha Nouha Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Shimr ne Sibte Payambar ka gala kaata hai Kund khanjar se Baradar ka gala kaata hai Itni berahmi se Sarwar ka gala kaata hai Garm reti pa tadapta raha Bhayya Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Kal talak Aun o Muhammad the Ali Asghar tha Paas Qasim tha Sakina thi Ali Akbar tha Jin charaagho’n hi ke dam se Tera roushan ghar tha Aaj unhe kha gaya maqtal ka andhera Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

~ 130 ~

Meri chaadar ka Muhafiz Mera Safdar na raha Meri dhaaras na rahi saaniye Haidar na raha Mera Bhai Mera Abbase Dilawar na raha Kho gaya Zainabe Muztar ka sahara Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Godiya’n lut’ti huwi jalte huwe ghar dekhe Aur naizo’n pa Shaheedo’n ke kate Sar dekhe Teri Beti ne kayi hashr ke manzar dekhe Yaad aati hai to jalta hai kaleja Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Daagh jo Dil ne utHaay hain bataaae’n kaise Neel bazu pa jo aaye hain dikhaae’n kaise Apni barbadi ki rudaad Sunaae’n kaise Aaj duniya me nahi’n koi Hamara Amma Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

------*------

Hasan Abbas Ahsan

ZAINAB TADAPKE KEHTI THI QABRE BATOOL PAR AMMA TUMHARA LUTGAYA JANGAL ME SARA GHAR

Amma Lahu me doob ke Akbar guzar gaya Laila ka dil Hussain ka Noore Nazar gaya Atthara saal pala tha Jisko wo Margaya Barchhi ka phal laga Mere Akbar ke Qalb par Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Qismat ne haay Kubra ko Bewa bana diya Amma Lahu Lahu huwa Noushaahe Karbala Bhai jo Laash par gaye dekha ye maajra Bikhre huwe the Laash ke tukde idhar udhar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

~ 131 ~

Shaane katake nahr pa Jarraar Sogaya Dhaaras Haram ki Bhai ka Dildar Sogaya Lashkar huwa tamaam Alamdar Sogaya Pohnche the Shaah Laash pa Thaame huwe kamar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Tapti zameen par gira jab Shaahe Dee’n panah Manzar wo dekhna pada zakhmi huwi Nigah Khanjar se kat rahi thi Muhammad ki Bosagaah Noke sina pa dekha hai Bhai ka Maine Sar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Amma na poochho baad me kya kya huwe sitam Oonto’n ki nangi pusht pa the Sar barehna Ham Bebas the rassiyo’n me bandhe sab Aseere Gham Dil phat gaya padi juhi’n Sajjad par Nazar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Mehshar ka samna Hame har ek gaam tha Lakho’n tamaashbeen the ek ishdehaam tha Amma Main Sar barehna thi bazare shaam tha Amma Hamari sharm se uth’ti na thi Nazar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Darbare shaam me to qayamat hi aagayi Thi mehfile yazid me Main nange Sar Khadi Larza tha saare Jism me Lab par tha Ya Ali Rakha huwa tha tasht me Bhai ka Mere Sar Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Wo hont jispa Zikre Elaahi tha sub’ho shaam Wo hont jisko Choomte the Sarware Anaam Wo hont teen roz rahe the jo tashnakaam Maari chhadi yazeed ne un pyaase honto par Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Ankho’n me Meri rahgaya wo karb ka sama Taareek qaidkhaane me Bachchi ki hichkiya’n Ghut ghutke haay Margayi Amma Sakina Jaa’n Behre kafan tha Jism pa Kurta Lahu me tar

~ 132 ~

Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Amma jo Mera Dard hai kaise Karu’n baya’n Amma hain Baazuo’n pa Mere zulm ke nasha’n Amma Tumhari Beti ke dukhte hain Ustokhwaa’n Ahsan Lahad larazti thi Zainab ke Bain par Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar ------*------Aulad Hussain Lallan Qibla

WA HASRATA HUSSAINA Zan haay Shaam o Kufa Wa Hasrata Hussaina Benindaye Tamasha Wa Hasrata Hussaina Zainab Aseere aada Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Zakhmi shuda Khudaya Wa Hasrata Hussaina Az Taaziaana har jaa Wa Hasrata Hussaina Pehluwe Binte Zehra Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Goyed Zehra Hazeena Wa Hasrata Hussaina Veerana Shud Madina Wa Hasrata Hussaina Shud Be Pidar Sakina Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Az Margat ain asr shud Wa Hasrata Hussaina Rang e jaha’n deegar shud Wa Hasrata Hussaina Zainab barehna sar shud Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Goyed Sakina pur Gham Wa Hasrata Hussaina Az dast e shimr e Azlam Wa Hasrata Hussaina Khu’n shud rawan zee gosHam Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Bastande qaum e ada Wa Hasrata Hussaina Dar ik rasan ba eeza Wa Hasrata Hussaina Aale Rasool e khud Ra Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina Kursi nasheen sitamgar Wa Hasrata Hussaina Dar tashte farq e Athar Wa Hasrata Hussaina Dar e zindaan sitamgar Wa Hasrata Hussaina Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina ------*------

~ 133 ~

Sadiq AYE NOORE AINE FATIMA ZEHRA NA JAAIYE

Aye Noor e Ain e Fatima Zehra Na Jaaiye Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Tumhare Aane se Rounaq gharo’n me thi Din raat Gham Tumhara kiya karte the sabhi Muddat ye do mahino ki maatam me katgayi Rounaq ki jaah hai aaj udaasi baras rahi Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Tumhare taazia khaane udaas hain Jitne Tumhare Shia hain sab be hawaas hain Dhaaras ye thi ke Aap ghulaamo’n ke paas hain Ab aap ja rahe hain to Ham sab hiraas hain Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Aza ki bazm me Aati thi’n Fatima Zehmat ye do mahine Uthati thi’n Fatima Aansu’n Hamare saath Bahaati thi’n Fatima Ham ko Duaaein deke hi Jaati thi’n Fatima Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula ab Aap agle baras hind Aaenge Jeete hain rone waale to phir Tum ko paaenge Maatam karenge aur Alam bhi uthaenge Waada Karo ke Aaenge aur sab ko laaenge Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Aye Jaan e Mustafa o Ali Shaah e Mashraqain Lillah sunte jaaiye Moula Hamare bain Ehsaas keh raha hai ke Aye Fatima ke Chain Jee bhar ke Ham na kar sake Maatam Tera Hussain Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye ------*------

~ 134 ~

Rasheed Shaheedi

AAKHRI SALAAM

Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam Tujhko Wida karne ko aaye hain ye ghulam

Kaisi udaasiya’n hain ye ghurbat ka waqt hai Ham par ye aaj kaisi musibat ka waqt hai Bazme Aza se Aapki Rukhsat ka waqt hai Rounaq Hamare ghar ki na Le Jaaiye Imam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ham Shakl e Mustafa Ali Akbar ki wo Azaa’n Tadpaati hain Hame Ali Asghar ki hichkiyaa’n Ab chhaa rahi hain haay ye kaisi khamoshiyaa’n Ayyaam ye Aza ke huwe jaate hain tamaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ummul Bani’n ka Laal Alamdaar e Karbala Seene me jiske ghut gaya arma’n jihad ka Shaane bhi uske katt gaye mashkeeza chhid gaya Maatam karenge roenge Ham zindagi tamaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ab bhi lahu rulaati hai Akbar ki tashnagi Abbas aur Sakina ki Asghar ki tashnagi Tu ne bujhaayi pyaas me khanjar ki tashnagi Aankhon me leke aaye hain Ham aansuon ke jaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Khaimo’n ki aag aur wo har simt shor o shain Wo Al Atash ki goonj wo kamsin labon ke bain Durre tamaanche aur wo har lab pa Ya Hussain Aankhon me ab bhi baaqi hai wo Karbala ki Shaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

~ 135 ~

Akbar Salam Aye Ali Asghar Tujhe Salaam Farwa ke Chaand Qasim e Muztar Tujhe Salaam Abbas Aye Hussain ke Lashkar Tujhe Salaam Aye Bekas o Ghareeb Mere Tashna Lab Imaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Bas Tere Gham ke sadqe me izzat Hame mili Moula Tera karam hai Teri banda parwari Tujh ko Hamari fikr thi rukhsat ke waqt bhi Ham bekason tak aagaya Moula Tera Salaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Moula ye hai Rasheed Shaheedi ki iltija Pohnchaade Ham Ghulaamo’n ko ab jald Karbala Maatam karenge phir Tere Raoze pa ham Tera Ham se na ho saki Teri khidmat Shahe Anaam Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam ------*------

MIr Ashraf Ali Aqeel

AL WIDA AL WIDA

Aaj har ek Azadare Shabbir ke Hai labo’n par fugha’n Al Wida Al Wida Aa rahi hai har ik simt se ye sada Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Ronaqein ab gharo’n se chali jaaengi Fatima Bhi yaha’n ab nahi Aaengi Har taraf ik udaasi si chhaa jaaegi Roenge mezba’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Tukde tukde Pidar ka kaleja hua Rann me paamaal Bete ka Laasha hua Aye Yateeme Hasan Naoshahe Karbala

~ 136 ~

Qasime Khasta jaa’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Deene Ahmed ka seena sipar jo hua Tere seene me barchhi ka phal reh gaya Laash Teri Shahe Dee’n se uth na saki Akbare Naojawa’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Teer se pyaas Teri bujhaai gayi Pushte khaima lahad jab banaayi gayi Khod kar qabr kaata gaya sar Tera Asghare bezaban Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Sar Tera Noke Naiza se girta raha Aur ghode ki gardan me bandha gaya Tere marne ne Sheh ki kamar tod di Aye Ali ke Nashaa’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Tu har ik gaam par qatl hota raha Be ridaai pa kunbe ki rota raha Tauqo zanjeer Tujh ko pinhaai gayi Abid e Naatawa’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Daamane Sabr Tujh se na chhoota kabhi Tu ne Bachcho’n ko Apne na roya kabhi Binte Zehra aye Aun o Muhammad ki Maa Tujh si Maadar kaha’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Baad qatle Pidar har sitam Sehgayi Hasrate Dil Liye qaid me Margayi Lo Utho ja raha hai watan karwa’n Sheh ki aaraame jaan Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

~ 137 ~

Lamhaye rukhsate mehma’n aagaya Haq ada mezbaani ka ho na saka Leke aankhon me ashke aqeedat kaho Aye Lute Karwa’n Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Kyun na ab ho Aqeel ek mehshar bapa Hamse hote hain rukhsat Shah-e-Karbala Keh rahe hain Shahinshaahe Kauno Maka’n Aye Mere mezbaan Al Wida Al Wida Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida ------*------

Hazrat Saeed Shaheedi

ZAINAB JIGAR FIGAAR JAHA’N SE GUZAR GAYI

Beto’n ko jisne Bhai pa qurbaan kar diya Laashe jab Aaye Shukr ka Sajda Adaa kiya Aisa muzahira kabhi dekha na sabr ka Sarwar ki Gham gusaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Baazu the reesma’n me bandhe baddua na ki Bhai Bhatije qatl huwe baddua na ki Ahle haram ke khaime jale baddua na ki Bhai ki Ja’n Nisaar jahan se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Ho kar aseer koocha o bazaar me gayi Kunbe ko leke majlis e ghadaar me gayi Sar nange jo yazeed ke darbaar me gayi Mehzoon-o Dil figaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

~ 138 ~

Khutba Ali ke Lehje me jis ne suna diya Darbaar ko yazeed ke jis ne hila diya Tha haq pa kaun jis ne jaha’n ko bataaa diya Haq baino Haq Sheyaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Ham Shakl-e Mustafa ka jo Maatam na kar saki Abbase Ba Wafa ka jo Maatam na kar saki Mazloom e Karbala ka jo Maatam na kar saki Kunbe ki sogwaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Thi Haidari jalaal ki tasweer shaam me Ki Maqsade Hussain ki Tash’heer shaam me Rakhi Binaaye Majlise Shabbir shaam me Maatam ki zimmedaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Zaalim ne belche se Jise kar diya Shaheed Kaise kahu’n jo Uspa mazaalim huwe Shadeed Dil kaampta ha zapt ka yara nahi’n Saeed Zehra ki Yaadgaar jaha’n se guzar gayi Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi ------*------

Ali Jaweed Maqsood

ASEERE FAUJE SITAM QAIDIYE MEHAN ZAINAB

Hai jiska Ayat e Tat’heer Pairahan Zainab Imamato’n ki Madadgaar khasta Tann Zainab Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab Ali ki Jaayi hai Abbas ki Bahan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

~ 139 ~

Wo waqte Asr wo maqtal wo sogwaar Fazaa Nazar ke saamne Bhai ka katt raha tha gala Tadap Raha tha Badan zere tegh Pyaase ka Udhar thi mehwe fughaa’n Shah ki Bahan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Chhuta hai Bhai bhi aur marchuke hain Bachhe bhi Rida bhi Sar pa nahi’n jal chuke hain khaime bhi Jale hain qalb bhi daaman bhi aur kurte bhi Chali hai chhor ke Bhai ko bekafan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Jawa’n ka qatl to khud Uske Dil pa bhaala tha Tha Gham Azeem to Shabbir ko sambhaala tha Qadam jo khaime se pehle pahal nikaala tha Sahara dene ko aayi thi pur mehan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Dayaar e Kufa me taqreer se jihad kiya Diya hai shaam ke darbaar me kabhi khutba Kabhi khamoshi se mazloomiyat ko nashr kiya Kabhi Ali Kabhi Zehra Kabhi Hasan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Khayaal Kunbe ka tha Ro saki na ji bhar ke Nikalne paaye na armaan Binte Haidar ke Tha ek qalbe hazee’n daagh the Bahattar ke Lahad me Le Gayi zakhmo’n ka ye chaman Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Qanaat thaam le ye Akbar-e Jawa’n se kaho Sahara dene ko Aye Saaniye Ali Utho Bahan ko Aye Shahe Bekas Tumhi sawaar karo Chali hai Karbobala se suwe Watan Zainab Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab ------*------

~ 140 ~

Agha Abbasi Hashr

AYE HUSSAIN-E-BEKAS KI GHAMZADA BAHAN ZAINAB

Binte Faatehe Khaibar Khwahare Hasan Zainab Do Jaha’n ki Shehzaadi Jaane Panjatan Zainab Phir huwi’n Bhateeje ke saath bewatan Zainab Haay wo Tere baazu aur wo rasan Zainab Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Khaatima huwa Tujh par har nayi musibat ka Tu ne phir nahi’n dekha daor koi raahat ka Kya jawaab ho sakta koi Teri Himmat ka Kyun na ho qalaq Hamko phir Teri Shahadat ka Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Khoon Naonehaalo’n ka Laasha-e Jawa’n dekha Naawake sitam dekha halqe Bezaba’n dekha Karbala ka Nazaara Shaam ka Sama dekha Seh ke har musibat ko suwe asmaa’n dekha Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Manzilein huwi’n aakhir Shaam ka dayaar aaya Ahle Bait ke ghar me Ahde Inteshaar aaya Khud Imam Baalee’n par ho ke ashkbaar aaya Haay Sar pa Zainab ke belche ka waar aaya Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Hashr Shaahzaadi ne kitne Gham uthaaye hain Zulm ki fazaaon me taaziyaane khaaye hain Dee hai Apni Chaadar bhi Haath bhi Bandhaaye hain Sabro Zapt ke jauhar qaom ko dikhaaye hain Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab ------*------

~ 141 ~

Rasheed Shaheedi HAM KARTE HAIN KARBAL KE AZADAR KA MAATAM ZANJEER ME JAKDE HUWE BIMAR KA MAATAM Wo khoon me dooba hua Shabbir ka Laasha Be goro kafan dhoop me reti pa pada tha Manzar ye jigar thaam ke Sajjad ne dekha Har su hai bapa ab Usi Ghamkhwaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Sajjad ne Dekhe hain ajab dard ke manzar Naizon ki balandi pa Shaheedon ke katte sar Maa Behne thi’n bazaro’n me be maqnao chaadar Shabbir ke maqsad ke Madadgaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Paabande rasan ho gayi Kubra ki kalaayi Chaadar bhi na thi Sar pa ghata zulm ki chhayi Ik Bewa Bahan saath thi majboor tha Bhai Hai aaj Usi bekaso nachaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Rassi me bandha Pyaasi Sakina ka gala tha Kehti thi Mujhe godh me Le lijiye Bhayya Kis tarha se Dete Usse Sajjad dilasa Hai Tauqo Salasil ke giraftaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Be parda wo na mehramo’n me Waarise Tat’heer Wo Taoqe giraan pehne huwe Sabr ki Tasweer Aazaadi ka paighaam sunati rahi Zanjeer Hota hai usi Qaafela Salaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Paa’un me waram pusht par durro’n ke nashaan the Zakhmi huwe sab raaste jab aabele phoote Beemaar tadapta hi raha zakhme gulu se Hai Qafela-e Sabr ke Sardar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

~ 142 ~

Aata kabhi jab saamne Sajjad ke paani Yaad aati thi Asghar ki Usse tashna dahani Tadpaati thi paiham Ali Akbar ki jawaani Aao kare’n Pyaason ke Azadaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Jab poochhta koi to ajab hota tha kohraam Toote hain kahan sab se ziada Ghamo aalaam Dil thaam ke Sajjad kaha karte the AzShaam Bazaar ka Zindaan ka Darbaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Rowe’n hain Tere Gham me Ali aur Hasan bhi Tadpe hain Tere Gham me Shahe Tashna Dahan bhi Be chain huwi’n Fatima Sarwar ki Bahan bhi Maatam hai Tera Ahmade Mukhtaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Mazloom ke hisse me bhi zehre sitam aaya Ik hashr Rasheed Ahle Madina me tha barpa Lo sogaya Islam ke zakhmon ka Masihaa Ashko’n ki fazaao’n me hai Beemaar ka Maatam Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam ------*------

Syed Mustafa Moosavi

KYA ZULM THE FARZANDE HUSSAIN IBNE ALI PAR ZANJEER BHI RONE LAGI AABID SE LIPAT KAR

Sar kat’te hi Baba ka qayamat huwi barpa Thi aag lagi khaimo’n me ik hashr bapa tha Ghash me the pade Abide Beemar zami’n par Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

~ 143 ~

Kya kya na sahe ranjo sitam Abide Dilgeer Zakhmo’n se lahu behta tha jab hilti thi zanjeer Koi na taras khaata tha hanste the sitamgar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Jhoola Ali Asghar ka jhulaste huwe dekha Chaadar Sar-e Zainab se utarte huwe dekha Is zulm pa bhi sabr kiya Allah o Akbar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Mazloom Sakina ki bhi turbat hai banayi Maa deti rahi Laash pa ro ro ke duhaayi Dafna ne ko behna ke kafan tha na muyyasar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Bas Shaam ka naam aate hi Hojaate the Muztar Maa Behne’n Phupi saath thi’n be maqna o chaadar Kehte the na Bhoolunga kabhi shaam ka manzar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Baba se jo waada tha Usse kardiya poora Wo sabr kiya sabr bhi aajiz nazar aaya Mazloomi ke sadqe Tere Aye Shah ke Dilbar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Khwahar ko tamaanche lage par lab na hilaya Hamsheer tadapti rahi jalta raha seena Aur saamne Masooma ke bhi chhin gaye gohar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Aye Moosavi duniya se utha aaj wo Ghamkhwaar Chaalees baras Roya tha Sheh ka jo Azadaar Maatam usi Mazloom ka hai aaj har ik ghar Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par ------*------

~ 144 ~

Allama Akhtar Zaidi

SAR PA AB SHAAHE KHURASAN KA SAYA NA RAHA

Sar pa ab Shaahe Khurasaan ka saya na raha Ham gharibo’n ke liye koi sahara na raha

Khaak par lot’te hain aalame tanhaai me Aisi ghurbat hai koi poochhne wala na raha

Ranj Moula ko ghareebul watani ka hai bahot Ajnabi chehre hain sab koi sanaasha na raha

Zehr ka aisa asar hai ke tadapte hain Imam Is musibat ko koi dekhne wala na raha

Haay Masooma-e Qum roke yahi kehti hain Kyun Mujhe mout na aayi Mera Bhayya na raha

Kamsini me hai Taqi par ye musibat aayi Sar pa afsos ke ab Baap ka Saya na raha

Aaj Maatam hai Ghareebul Ghuraba ka Akhtar Gham se dil phat’ta hai ab zapt ka yara na raha

------*------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI RAZA KA

Lo uthgaya duniya se gharibo’n ka Masiha, Maatam hai Raza ka Gham Shaahe Khurasa’n ka zamane me hai barpa Maatam hai Raza ka

Zalim ne kiya zulm Gharibul Ghuraba par, mehmaan bula kar Haatho’n se jigar thaam ke bechain hai Moula, Maatam hai Raza ka

~ 145 ~

Angoor me zalim ne diya zehr dagha se, Moula hain Tadapte Is zulm se tukde hua Moula ka Kaleja, Maatam hai Raza ka

Kaisa ye sitam hai Dil-e Masuma-e Qum par, kaise jiye Muztar Rukhsat hua wo Bhai Jo Tha Chaahne wala, Maatam hai Raza ka

Masooma-e Qum karti hain Ro Ro ke yehi Bain, Dil hota hai bechain Main zinda rahi margaya haaye Mera Bhayya, Maatam hai Raza ka

Yaad aagayi Moula ko yaqinan dame ruqsat Shabbir ki Ghurbat Is waaste mitti pa Tadapne lage Moula, Maatam hai Raza ka

Ab Ahle Aza peetke sar khaak udaao, aur ashk bahaao Dena hai Hame Moosa-e Kazim ko bhi pursa, Maatam hai Raza ka

Uth’ta hai Rasheed ab Shah-e Bekas ka Janaza, Naoha hai Taqi ka Jaate ho Mujhe chhorh ke tanha Mere Baba, Maatam hai Raza ka

------*------

Rasheed Shaheedi

AAJ HAI KHURASA’N ME IK GHARIB KA MAATAM

Toos ki hawaao’n me hai ye kaise bechaini Har taraf fazaao’n me hai ye bekali kaisi Goonjti hain ghar ghar me ab sadaae’n Maatam ki Us Imam ke Gham me sab ki aankh hai purnam Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam Ik Ghareebo Bekas ko Kisne zehr dedala Us Imame Hashtum par hogaya sitam kaisa Karwatein badalte hain khaak par Shahe Wala Dil ko thaam kar Moula khaak ugalte hain paiham Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam Aaj Dilbare Kazim Hamse hogaya rukhsat Kya baya’n kare koi is Ghareeb ki haalat Kaisi hai ye tanhaayi haay kaisi hai Ghurbat Ab watan se doori hai bekasi ka hai aalam Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam

~ 146 ~

Hota hai do aalam me Gham Imame Zaamin ka Kar rahe hain sab Maatam sab ke lab pa hai Nouha Lo Janaza uthta hai aaj Uska waawaila Tha na Jiska Ghurbat me koi Moniso Hamdam Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam Ik Bahan pa toota hai Bhai ka ye Gham kaisa Khaak udaake Roti Hain aaj Qum ki Maasooma Keh rahi hain roroke Margaya Mera Bhayya Kya karu’n Main ab jeekar kaun hai Mera Hamdam Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam Aagaya Taqi par hai Daor ab Yateemi ka Kamsini ke aalam me haay karb hai kaisa Sar se uth gaya Unke aaj Baap ka Saaya Us Imam ko Pursa dete hain Rasheed ab Ham Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam

------*------

Rasheed Shaheedi

DEENE MOHD KI BAQA YA HUSSAIN BAS WO TERA AAKHRI SAJDA HUSSAIN

Seena’e Akbar se jo khenchi sina Hogaya Ik khoon ka darya rawa’n Kaise uthe Laasha’e Kadiyal jawa’n Tu ne wo Laasha bhi uthaya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Jang huwi khoon me ghaltaan huwe Khaakh pa Zainab ke Pisar gir pade Khaime me jab Dono ke Laashe gaye Maa ne kiya Shukr ka Sajda Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

~ 147 ~

Dekh ke Naoshah Ka Tukde badan Bain kare Kis se lipat kar Dulhan Door Madine me hai Hamsin Bahan Bewa huwi Fatima Kubra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Dafn kiya Tu ne jo apna Pisar Nanhi si turbat me jigar thaam kar Asghar-e Masoom ki Maa ne magar Phool sa Sar naize pa dekha Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Akbar o Asghar bhi fida kardiye Qasim o Abbas juda hogaye Deen e Payambar ki baqa ke liye Tu ne bhare ghar ko lutaya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Hazrat e Abbas ke Shaane kate Zainab o Kulsoom ke Baazu bandhe Haay wo Pyaason pa kathin marhale Tauq me Aabid ka gala tha Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shimr jo khanjar liye aage badha Fatima Zehra ki ye aayi Sada Chhor de Bachcha hai Mera bekhata Hai ye Muhammad ka Nawasa Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Deti rahi Fatima Zehra sada Katgaya lekin Tera Pyaasa gala Sar Tera naize se bhi Deta raha Haqq o Sadaqat ki sada Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

~ 148 ~

Aale Nabi Koocha o Bazaar me Tauq e Giraa’n Gardan e Beemar me Sar khule phir Shaam ke darbar me Laayi gayi Saaniye Zehra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shaam ke zindaan ki taarikiya’n Karti rahi Pyaasi Sakina fugha’n Sou’n Main kaise Tera Seena kahan Aaiye jald Aaiye Baba Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shimr ne maare hain tamaache Mujhe Dekhiye rukhsaar hain soojhe huwe Dard hai kaano me abhi tak Mere Marti hai ab Teri Sakina Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Aaj talak hai Tere Gham ka asar Shaam me Majlis ki bina daal kar Binte Ali baith Gayi’n khaak par De diya Majlis ka Saleeqa Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Ham ko Tere Gham ki Sa’aadat mili Kitni balandi ki Ibaadat mili Ik Tere Maatam me ye Izzat mili Aati hain Majlis me jo Zehra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Fatima Zehra ne ye Ehsaan kiya Hamko Tere Gham ke liye chun liya Tere Azaadaar ko Rutba mila Ban gaye Zehra ki Tamanna Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Ham ko Rasheed Usne sahara diya Jab bhi masa’eb ne paresha’n kiya

~ 149 ~

Ham ne tadapte huwe be saakhta Tute huwe dil se pukara Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

------*------

Allama Akhtar Zaidi

TAQDEER BADAL JAAEGI ZEHRA KI DUA LE

Shabbir ke Maatam me lahu apna baha le Is dard se ehsaas ki duniya ko saja le Ye zakhm nahi’n phool hain seene se lagale Is raah pa chal daolat e Imaa’n ko bachale Jeene ka sahara Gham e Sarwar ko bana le Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Girte huwe Qasim ne Chacha ko jo pukaara Shabbir ne Dulha ko ajab haal me dekha Tha jism jo paamaal aba me usse rakha Masnad pa rakha Shah ne Naoshah ka Laasha Ab kaun hai jo Fatima Kubra ko sambhaale Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Jab Akbar e Zeeshan ne phal barchhi ka khaaya Kya sabr ka andaaz jaha’n ko nazar aaya Ye hosla duniya me Kisi ne nahi’n paaya Sarwar ke siwa kaunsa banda hai Khudaya Bete ke kaleje se jo barchhi ko nikaale Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Do Bhai jo mare gaye ik hashr bapa hai Gham Aun o Mohd ka har ik Maa ko hua hai Har simt faqat girya o Maatam ki sada hai Lekin Lab e Zainab pa faqat ik Dua hai Sab Qatl ho’n par Tu Mere Bhai ko bacha le Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

~ 150 ~

Maidaan me be dast Alamdar pada hai Ab Shah ko tanhaai ka ehsaas hua hai Khaime me Alam aaya hai ik hashr bapa hai Ammu jo nahi’n aaye Bhatiji ko gila hai Aye Pyaas Sakina ko kaleje se laga le Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Shabbir ke haathon pa hai Maasoom ka Laasha Phailaaye huwe haath khadi ha koi Dukhiya Be chain hai Maa bachche ko De Dijiye Moula Reh jaaye na ghut kar Dil e Maadar me tamanna Ik baar wo Besheer ko jhoole me jhala le Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le ------*------

Rasheed Shaheedi

KARBALA HAYYA ALAA KHAIRIL AMAL

Deen e Ahmed ki Baqa Hai Karbala Sajdagaahe Ambiya Hai Karbala

Zulm ki aandhi me haq ki justju Tashnagi karti hai zakhmon se wuzu Sabr ke bande ki Rab se guftugu Hashr tak Haq ki Sada Hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

In Fazaao’n me hai Akbar ki Azaa’n Karbala Haq ka hai aisa Karwaa’n Aaj tak qaayam hai jiska Paasbaa’n Noor ka ik Silsila hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Tashnagi ke khoon ki tehreer hai Karbala Qur’an ki Tafseer hai Karbala Islam ki taqdeer hai

~ 151 ~

Haq ka ik Roshan Diya Hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Karbala Ehsaas ki Pehchaan hai Karbala ka Deen par Ehsaan hai Karbala har rukh se Aalishaan hai Fikr ki hadd se siwa hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Dil hai Karbal mutma’in ahle yaqeen Is se behtar Sar Zameen koi nahi’n Jhukti hai yaa’n aasmaano’n ki Jabeen Har bulandi ka pata hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Fakhr jab Kaabe ki Dharti ne kiya Daf’atan ye Arsh se aayi Sada Hai kahan tujh me bhala Khaak e Shifa Tujh se rutbe me siwa hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Hai kahan is khaak ka naimul badal Pyaas ki dharti pa ashkon ka mahal Karbala Hayya Ala Khairil Amal Bandagi ki Inteha hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Karbala ka Gham nazar ki pyaas hai Karbala ehsaas hi ehsaas hai Karbala toote dilo’n ki aas hai Zindagi ka hosla hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Tha kahi’n Naoshah ka tukde badan Aasma’n tha bikhre Laashe ka kafan Be rida thi chand lamho’n ki Dulhan Kaaba e Sabr o Riza hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

~ 152 ~

Dasht me Mayyat hai Sheh ki Bekafan Chhin gayi chaadar hai baazu me rasan Kya kare Abbas ki bekas bahan Sabr ka ik maareka hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Hai Ghame Sarwar Shiaar e Ambia Ye saleeqa Binte Zehra ki ataa Khaak pa hota hai zikr e Karbala Toote dil ka Aasra hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Bekafan Laashe hain maqtal me pade Ik rasan baara aseero’n ke gale Qafela pyaasa hai zakhmi raaste Himmat e Zainulleba hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Aag daaman me Sakina ke lagi Taaziaane Shimr ke khaati rahi Jalte zakhmon ne badhaai Tashnagi Pyaas ka ik mojiza hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Yu’n mila pursa yateemi ko yaha’n Gaal par ubhre tamaanchon ke nasha’n Kaan zakhmi hain kahan hain baalia’n Ik musalsil marsiya hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Majlise Shabbir hoti hain jaha’n Fatima tashreef laati hain waha’n Aye Rasheed aisi Ibadat hai kaha’n Haan muqadar ki ataa hai Karbala Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

------*------

~ 153 ~

Allama Akhtar Zaidi

AYE KARBALA TUHI BATAAA MEHMAAN KYU’N PYAASA RAHA

Jaane Wila hai Karbala Gham ki Dua hai Karbala Ik raasta hai Karbala Roshan hai kiska naqshe pa Aye Karbala tuhi bataa

Ho hosala Azme Jawan Mardaane haq ka Imtihaan Quraan ko di Kis ne zaban Goonji kahan haq ki sada Aye Karbala tuhi bataa

Zinda hai mayaar e wafa Ehsaan hai Abbas ka Dariya jo hai behta hua Sadqa hai uski pyaas ka Aye Karbala tuhi bataa

Kehte hain jis ko Nainawa Waada jaha’n poora hua Hai naam ik maidaan ka Ya sabr hai Shabbir ka Aye Karbala tuhi bataa

Asghar pa gira kya alam Nanha gala teer e sitam Kaise saha Sheh ne ye Gham Jab aasra koi na tha Aye Karbala tuhi bataa

~ 154 ~

Kab ahle haq ke sar jhuke Sheh rag se katt gaye gale Bayat jahan sajde karre Aisa kahi’n Kaaba bana Aye Karbala tuhi bataa

Noor-e-Sehr jab chhaa gaya Hur Shaah-e-Deen tak aagaya Taofeeq Haq se paagaya Kis ki sada ka faiz tha Aye Karbala tuhi bataa

Akbar ka seena aur sina Woh zabt-e-Sarwar Allama’n Haathon pa hai Laasha jawa’n Aisa kahi’n dekha gaya Aye Karbala tuhi bataa

Kaise huwa ye Saaniha Naoshah kyun raonda gaya Kis haal me Laasha mila Sheh ne aba me kya rakha Aye Karbala tuhi bataa

Abbas ne kya dukh sahe Sar ta qadam bas zakhm the Baazu bhi us ke katt gaye Kaise zameen par wo giraa Aye Karbala tuhi bataa

Sar par koi saaya na tha Thi khaak par Aale Aba Din bhar me sab kuch lut gaya Ye kya hua kaise hua Aye Karbala tuhi bataa

~ 155 ~

Hai Sajdagaah-e-Aolia Tasleem sab ne kar liya Haq ki Azaa’n hai Karbala Kis ne isse baaqi rakha Aye Karbala tuhi bataa

Saathi na jab koi raha Tanha tha Ibne Fatima Tha zere khanjar jab gala Kya Aalam-e Tanhaai tha Aye Karbala tuhi bataa

Shaam e Ghareeban ka Sama’n Har simt shole aur dhuaa’n Be aas saari Bibiyaa’n Zainab huwi kyun Berida Aye Karbala tuhi bataa

Akhtar thi Zainab ki fugha’n Aaye hain Baba ab yaha’n Kya kya karun un se baya’n Tu hi bataaa Aye Karbala Aye Karbala tuhi bataa ------*------

Rasheed Shaheedi

YAAD-E-SHABBIR

Yaad-e-Shabbir me Zainab yehi karti thi fugha’n Bas Tera Gham hai Mere saath Main jaati hu’n jaha’n Mere Bhayya ho kaha’n

Maine dekha hai Tere pyaase gale par khanjar Aaj tak Mere kaleje pa wo khanjar hai rawa’n Mere Bhayya ho kaha’n

~ 156 ~

Kufa o Shaam ke baazaaro’n se guzri Bhayya Dekho baazu pa ubhar aaye hain rassi ke nasha’n Mere Bhayya ho kaha’n

Chhin gayi Sar se Rida Main gayi darbaaro’n me Gardane Abide Beemar me thi touqe gira’n Mere Bhayya ho kaha’n So gaya dasht me har naaz Uthane Waala

Kisko Dikhlaati Sakina wo tamaacho’n ke nasha’n Mere Bhayya ho kaha’n

Zulm seh seh ke Sakina ne bhi dam tod diya Par mayassar na hua Ghuslo kafan ka sama’n Mere Bhayya ho kaha’n

Behre soughaat liye jaati hu’n Main daaghe rasan Kya kahu’n poochhe jo Sughra Mera Baba hai kaha’n Mere Bhayya ho kaha’n

Binte Zehra ke musalsal the yahi bain Rasheed Mera Abbas kaha’n hai Mere Bhayya ho kaha’n Mere Bhayya ho kaha’n ------*------

SOONA HAI MADINA Aashoor ko aaya ye khatte Fatima Sughra Soona Hai Madina Kab laut ke ghar Aaoge Ya Shahe Madina Soona Hai Madina

Main dar pa khadi rehti hu’n ik aas lagaaye Bhayya nahi’n Aaye Shikwa nahi’n Akbar se hai Taqdeer se shikwa Soona Hai Madina

Do din se Mere halq se paani nahi’n utra qurbaan ho Sughra Dil kehta hai pardes me Tum pyaase ho Baba Soona Hai Madina

Pardes me Bhayya ho agar Byaah Tumhara armaan hai Mera Baandhe huwe Sehra meri turbat pa bhi aana Soona Hai Madina

~ 157 ~

Main raato’n ko soti hu’n to jaag uthti hu’n aksar kya baat hai aakhar Bikhraaye huwe baal nazar aati hain Zehra Soona Hai Madina

Ik sheeshe me kuch khaak liye phirti hain Daadi aur karti hain Zaari Mazloom Hussaina Mere Mazloom Hussaina Soona Hai Madina

Amma ki bhari godh rahe maang na ujde Khaaliq se Dua hai Ya Rab Mere Besheer ka Aabaad ho jhula Soona Hai Madina

Khat padh ke Hussain Ibne Ali khoob sa Rowe aur Sar ko Jhukaye Qaasid ke qaree’n rakh diya ik nanha sa Laasha Soona Hai Madina

------*------

Sachche Pakistani AYE SHERE NEYASTAANE HAIDAR ABBAS DETI THI SADA ZAINAB ROKAR ABBAS

Kya isi din ke liye maangi thi Baba ne Dua Aake pardes me hojaoge Tum Ham se juda Sote ho chain se darya ke kinaare Bhayya Kya sunaayi nahi’n deti Tumhe Halmin ki sada Abbas Tanha hain Khade rann me Sarwar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

Gir ke ghode se sada Baap ko Akbar ne jo dee Dilbar e Fatima Zehra ki ajab haalat thi Haath malte the kabhi ghaath ko takte kabhi Thaam kar tooti kamar kehte the Farzande Nabi Abbas Laau’n kaise Laashe Akbar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

Haal Shabbir ka ab to nahi dekha jaata Hai kamar kham nahi’n aankhon se sujhaai deta Ye zaeefi ye jawa’n Laal ka sadma Bhayya Thaam lo badh ke zara haath tumhi Bhai ka

~ 158 ~

Abbas Khaate Hain thokar par thokar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

Kya isi din ke liye saath behen thi aayi Aagayi neend jo darya ki taraayi paayi Phir palat kar Hame surat bhi nahi dikhlaayi Aagaya ran se Alam tum nahi’n aaye Bhai Abbas Phat’ta hai Mera sadme se jigar Abbas Aye Shere Neyastaan e Haidar

Aye Mere Shair e Jawan Aye Mere Bhai Ho Kahan Shaaq hai dil pa tumhaari ye judaai Ho Kahan Dair se Deti hu’n Bhayya me Duhaayi Ho Kahan Lut’ti hai Fatima Zehra ki Kamaayi Ho Kahan Abbas Khanjar hai Halqe Sarwar par Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

Hai Qayamat ka Sama’n loot hain khaimon me machi Koi pursaa’n nahi’n haalat hai ajab bachhon ki Taaziaane koi khaata hai tamaache koi Aag daaman me hai Maasoom Sakina ke lagi Abbas Bhayya Utho Lo jald khabar Abbas Aye Shere Neyastaan e Haidar

Azmat o Izzat e Saadaat bhuladi Bhai Aag Khaimo’n me laeeno’n ne lagadi Bhai Masnad e Ahmed Mursal bhi jaladi Bhai Tauq o Zanjeer bhi Aabid ko pinhadi Bhai Abbas Ghash me hai Pada Mera Dilbar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

Bhai ko bhool gaye dhayaan na behnon ka raha Yaad aaya na koi paayi jo Darya ki hawa Haaye Kis dil se kiya tum nei gawaraa Bhaaya Har tamaache pa Sakina ne Tumhein yaad kiya Abbas Jab chheene gaye Kaano se Guhar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

~ 159 ~

Chhor kar Dasht e Musibat me Bahan ko Bhai Tum ne achha hi kiya door basaayi basti Dekh sakte the kahan Tum jo hai haalat Meri Balwa’e Aam me Bhayya Main Khule Sar Hu’n Khadi Abbas Aada legaye Sar se Chaadar Abbas Aye Shere Neyastaane Haidar

------*------

Rasheed Shaheedi

HAAY HUSSAIN PYAASE HUSSAIN

Jaane Payambar Dilbare Zehra Apna Bhara Ghar Tu ne lutaya Ibne Ali Ehsaan Hai Tera Tu Hai Muhaafiz Kaaba e Haq Ka Sajde Me Sar Tera Kata Haay Hussain Pyaase Hussain

Dhoond rahe hain rann me Sarwar Bechaini se Laasha-e Akbar Khaate hain har gaam pa thokar Kaun sahara dega badhkar Aalam e Ghurbat Dashte Bala Haay Hussain Pyaase Hussain

Zainab ki Aankhon ke Ujaale Aun o Mohd rann ko sidhaare Jang huwi aur khoo’n me nahaaye Maqtal se jab aaye Laashe Karti hai Zainab Shukre Khuda Haay Hussain Pyaase Hussain

~ 160 ~

Byaah huwi kuchh der na guzri Rann ko chali Qasim ki sawaari Kubra baithi sonch rahi thi Ab ujdegi maang Hamari Aagaya Dulha ka Laasha Haay Hussain Pyaase Hussain

Thaame kamar ye kehte the Sarwar Dashte bala me Shaane kata kar Qatl huwe Abbase Dilawar De pursa Mujhko Meri Khwahar Hogaya Zainab me tanha Haay Hussain Pyaase Hussain

Bain yehi karti thi Sakina Chhor gaye kyun Mujhko tanha Badhta hai jangal ka andhera Aajaao Aajaao Baba Deti hu’n kab se Tum ko sada Haay Hussain Pyaase Hussain

Soti thi seene pa Tumhaare Tum ne Mere Naaz Uthaaye Shimr ne maare Mujh ko tamaache Khoon tapakta hai kaano’n se Neend nahi’n aati Baba Haay Hussain Pyaase Hussain

Kaisi ghadi hai Aale Nabi par Ghash me pade hain Abid-e Muztar Keh de koi Abbas se jaakar Chheen raha hai Shimr-e Sitamgar Binte Ali ke Sar se Rida Haay Hussain Pyaase Hussain

Zainab ke Baazu me rasan hai Aur labo’n par bas ye sukhan hai Laash Teri be goro kafan hai

~ 161 ~

Aaj bahut majboor Bahan hai Sar pa nahi’n chaadar Bhayya Haay Hussain Pyaase Hussain

Ham pa ye ehsaan hai Zainab ka Jis ne diya Majlis ka saleeqa Karte raho Maatam Pyaaso’n ka Denge Tumhe Abbas sahara Binte Payambar dengi Dua Haay Hussain Pyaase Hussain

Chhalke kuch itne aankhon ke saaghar Phaili kuch itni ashko’n ki chaadar Chashme Falak hairaan hai is par Soch rahe hain saare Samandar Kitne hain aakhir Ashk-e-Aza Haay Hussain Pyaase Hussain

Zeest ka maqsad Pyaaso’n ka Gham Hota rahe ta Hashr ye Maatam Leke yu’nhi Abbas ka Parcham Parwaane Shabbir ke har dam Dete rahenge bas ye sada Haay Hussain Pyaase Hussain

Keeje Rasheed is Gham ki hifazat Ashk-e-Aza hain qalb ki quwwat Karte rahein har dam ye Ibadat Maatam hai Shabbir ki Nusrat Goonje faza me bas ye Sada Haay Hussain Pyaase Hussain

------*------

~ 162 ~

Rasheed Shaheedi

YA HUSSAINAM YA HUSSAINAM YA HUSSAIN YA HUSSAINAM YA HUSSAINAM YA HUSSAIN

Saaqiye Kausar Tera Baba Hussain Karbala me Tu Raha Pyaasa Hussain Yaad rakhegi Tujhe Duniya Hussain Tujh se Hai Naame Khuda Zinda Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tera Nana Rehmat ul Lil Aalamee’n Tera Baba Hai Ameer ul Mominee’n Aur Pisar Tera hai Zainul Abidee’n Teri Maa Hai Fatima Zehra Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tu hai beshak Kaaba e Sabr o Riza Teri chaukhat Sajdagahe Ambiya Itna ooncha martaba Kisko mila Poochhta hai Rab Tera Mansha Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tashnagi Teri fazaao’n me dhua’n Thi musibat karwa’n dar karwa’n Sabr se Tu ne diya har Imtiha’n Deen par Ehsaan hai Tera Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Karbala me kaisi ye Shaadi rachi Laash hai masnad pa ab Naoshah ki Chand lamhon ki Dulhan bewa huwi Kaun dega ab Use pursa Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

~ 163 ~

Thi Ali Akbar ke seene me sina’n Muztarib tha khaak par Kadiyal Jawa’n Dashte ghurbat me hai kaisa imtiha’n Kheenchte hain qalb se naiza Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Toot jaati Hurmala ki ungliaa’n Kholta gar Jhoole waala Mutthiaa’n Ab rukhe Islam par hai jaawidaa’n Ik Tabbasum Tere Asghar ka Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Jaane Haidar Dilbare Ummul Banee’n Jis ke qadmo me Samandar ki Jabee’n Aaj bhi Aabe Rawa’n hai Bilyaqee’n Hai Tere Abbas ka Qabza Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Chaudhwee’n ka Chaand wo Ibne Hasan Tukde tukde hogaya jis ka badan Kaise ho Naoshah ka ghuslo kafan Kar rahe hain Laash ko yekja Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Laash par Sarwar ki Zainab ne Kaha Ik Bahan par waqt kaisa aagaya Dasht me hai bekafan Laasha Tera Sar pa Chaadar bhi nahi’n Bhayya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Al Atash ki thi fazaao’n me sada Kal talak Abbas ka pehra bhi tha Dekhte hi dekhte kya hogaya Chha gaya har simt sannata Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

~ 164 ~

Be kajawa oont pyaasa kaarwaa’n Berida hain Fatima ki Betiyaa’n Shimr ke durre Sakina ki Fughaa’n Tum kaha’n ho Aye Mere Baba Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Hashr tak lehraa’ega Parcham Tera Ham karenge umr bhar Maatam Tera Kaise ham bhoolenge Moula Gham Tera Qalbe momin hai Tera Raoza Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Kha rahi hai taaziaane Shimr ke Sabr karti hai Sakina kya kare So’e kaise kaan zakhmi hogaye Kis ko de awaaz Ye Dukhiya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Nashr gaahe Karbala Ashke Aza Naara-e Takbeer Maatam ki sada Ye lahu ye majlise’n Aaho Bukaa Aarzuwe Fatima Zehra Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Haosla dete hain Abbas e Ali Milti hai har dam hame quwwat nayi Zindagi Parwana e Shabbir ki Hai Dua e Fatima Zehra Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Dilbar e Zehra Shaheed e Karbala Tu hame deta hai har pal haosla Ham Tujhe dete hain mushkil me sada Hai sahara ham ko bas Tera Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

~ 165 ~

Sar parasti ham ko hai Abbas ki Ham ko deti hai Dua Binte Nabi Hai yehi Maatam Hamari zindagi Ab ye hai har dam Tera Naoha Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Naam jab bhi lete hain Abbas ka Baazuo’n ko hoti hai taaqat ata Sar pa Maatamdaar ke hoga sada Parcham e Abbas ka Saaya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Aao mil jul ke Namaaz e Gham padhein Ashk se roomaal e Zehra nam karein Karbala waalon ka ham Maatam karein Saans jab tak hai kaho bas Ya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Hai tamanna bas yehi Jaan-e Batool Ho Ata Mujhko Tere Qadmo ki dhool Kar Mere Maola Mera Naoha qubool Aakhirat ka hai ye sarmaaya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Pesh hona hai Khuda ke rubaru Bas Gham e Sheh me bahaao tum lahu Ye Ibadat hi karegi surkh Ru Kehte jaao Ya Hussainam Ya Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tujh se karta hai Rasheed ab Iltija Ho Ziyarat ka sharaf hamko ata Ham ko dikhlade Zameene Karbala Waasta Tujh ko Sakina ka Hussain Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain ------*------

~ 166 ~

Rasheed Shaheedi

YA ABBAS YA ABBAS

Qalb ki quwwat Ya Abbas, Ya Abbas Ya Abbas Aankhon ki hasrat Ya Abbas, Ya Abbas Ya Abbas Honton ki zeenat Ya Abbas, Ya Abbas Ya Abbas Haathon ki taaqat Ya Abbas, Ya Abbas Ya Abbas

Haa’n ye Namaz e Sabro wafa hai Is ka Mussala farshe Aza hai Is ki Azaa’n Maatam ki sada hai Shaam o Sahar har waqt Hamari hai ye Ibadat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Zikr Tera Saqqa e Sakina Deta hai jeene ka qareena Har toofa’n ka Tuhi safeena Ham ne pukara jab bhi padi hai Ham pa musibat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Tu ne sahara dee’n ko diya hai Is ke Alam par Naam Tera hai Parcham me Khushbu’e Wafa hai Ab ye Alam ooncha hi rahega Teri badoulat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Aankh me teer aur qalb shikasta Katt gaye shaane zakhmi sar tha Saara badan tha khoon me dooba Thaame kamar Shabbir ne dekhi ye Teri ghurbat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

~ 167 ~

Shimr ke paiham khaaye tamaache Kaan hain zakhmi gaal hain soojhe Haay Sakina Kis ko pukaare Dekhte aakar Tum bhi Sakina ki ye ghurbat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Tujh pa ye mushkil sab se badi thi Haath na the Majboor tha Ghaazi Kaise gira ghode se Sipaahi Maa hi bataaa sakti hai ik Bete ki musibat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Maqtal me Laashe bikhre hain Taareeki hain sannate hain Bachche sehme dekh rahe hain Tanha Zainab kaise kare ab Unki hifazat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Sholo’n me Sajjad ka bistar Jalta hai gehwaara e Asghar Binte Ali ki chhinti hai Chaadar Ahle Haram par tooti dekho kaisi qayamat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Abid hain zanjeer me jakde Khaate hain har gaam pa durre Pusht hai zakhmi paaun me chhaale Kat’ti hai zanjeer se gardan dekho azeeyat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

So nahi’n sakti pyaasi Sakina Kaise milega Baap ka seena Dil me liye armaane Madina Dafn huwi Zindaane Bala me sehke musibat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

~ 168 ~

Sab se bada Ezaaz yehi hai Jeene ka andaaz yehi hai Har dil ki awaaz yehi hai Tera Gham aur Tera Maatam Teri Muhabbat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Hain Shabbir ke ham Parwaane Jin ke Muhafiz hain Tere Shaane Aaye hain taqdeer jagaane Bharde har Parwaane ki Parwaaz me taaqat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Pohnche’n ham Karbal ki zami’n tak Kaaba-e Sabro ilmo Yaqee’n tak Yaani fazaa-e Arshe Baree’n tak Ham sab ko ab jald ataa ho ye bhi sa’adat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Dil me Rasheed ab hai ye tamanna Hojaaye Maqbool ye Naoha Jald dikha de Tera Raoza Rakh de bheegi palko’n par ab ye bhi Daolat Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

------*------

~ 169 ~

Ali Jaweed Maqsood

AYE FAATEHE KARBOBALA

Aye wursa daare Ambia Aye Maaliko mulke Khuda Aye Shaafaye Raoze Jaza Mamnoon hai Kaaba Tera Jannat Teri Kausar Tera Aye Faatehe Karbobala

Tu Shaan hai Quraan ki Tu jaan hai Imaan ki Tu ne Khuda ke Deen par Qurbaan apni jaan ki Mamnoo’n hai yezdaa’n tera Aye Faatehe Karbobala

Tu ne sahe kitne sitam Beto’n ka Gham Bhai ka Gham Takra ke Tujh se thak gaye Zulm o Sitam Ranj o Alam Ham Teri himmat ke fida Aye Faatehe Karbobala

Ye Masjidein ye Aastaa’n Teri balandi ke nashaa’n Duniya me baaqi reh gayi Akbar ke sadqe me Azaa’n Kaaba bana Raoza Tera Aye Faatehe Karbobala

Laazim hai ye Maatam Tera Waj’he baqa hai Gham Tera Zinda isi Maatam se hai Deen e Nabi Deen e Khuda Ye Gham hai Zehra ki Dua Aye Faatehe Karbobala

~ 170 ~

Tharra rahe the Ambia Tu ne jo haatho’n par liya Khaibar ke dar se bhi giraa’n Laasha jawan farzand ka Girya kuna the Murtaza Aye Faatehe Karbobala

Arz o Sama’n me goonjti Awaaz e Halmin hai abhi Aajaaye Nusrat ko Teri Hur ki tarah gar ho koyi Ab bhi hai Dar Tera Khula Aye Faatehe Karbobala

Bhai wo Tera Bawafa Wo Naa’ebe Shere Khuda Saahil pa qabza kar ke bhi Teri qasam pyaasa raha Darya tadap kar reh gaya Aye Faatehe Karbobala

Maatam hai ye Abbas ka Pyaaso’n ki anmit pyaas ka Ahle haram ki bekasi Aur dard ke ehsaas ka Qurbaa’n huwi jis par wafa Aye Faatehe Karbobala

Pyaasa Ali Asghar Tera Wo phool sa sookha gala Jis ko sawaal e Aab par Teer e Sitam maara gaya Tu ne ye Gham bhi seh liya Aye Faatehe Karbobala

Wo rege garme Karbala Daste sitam teghe jafa Kis zulm se kaata gaya Maula Tera pyaasa gala

~ 171 ~

Sar Tera naize par chadha Aye Faatehe Karbobala

Wo Qatl ka Tere sama’n Maqtal me Zehra ki fugha’n Is zulm par Roti zamee’n Aansu bahaata aasmaa’n Zainab ki wo Aaho Buka Aye Faatehe Karbobala

Kunba nahi’n hai ghar nahi’n Jalti huwi tapti zamee’n Dil me Ghamo ranjo alam Aur Shukre Khaaliq me jabee’n Sajde me hain Zainul Aba Aye Faatehe Karbobala

Bekas aseero’n ka safar Naizo’n pa mazloomo’n ke sar Shehzaadion ke sar khule Mehwe tamasha Ahle sharr Woh taaziaane aur jafa Aye Faatehe Karbobala

Ahle sitam sab thak gaye Ashkon pa kab pehre lage Har daur me ye Gham Tera Ahle wafa karte rahe Maatam Tera kab ruk saka Aye Faatehe Karbobala

Woh tere naazo’n ki Pali Beti Teri pyaasi rahi Sehkar harek zulm o sitam Zindaa’n me aakhir Margayi Beta tera qaidi bana Aye Faatehe Karbobala

~ 172 ~

Kis dil me Tera Gham nahi’n Kis ghar me ye Maatam nahi’n Aaqa Tere Gham ki qasam Ye Gham nahi’n to Ham nahi’n Hai zindagi Teri Aza Aye Faatehe Karbobala

Beemaar ka zakhmi badan Dulhan ke baazu me rasan Kulsoom o Zainab be rida Aur Tera Laasha be kafan Mehshar na kyun barpa huwa Aye Faatehe Karbobala

Maida’n se Zainab ke Pisar Aaye lahu me doob kar Khaime me Laashe hain rakhe Sajde me hai Zainab ka Sar Haira’n khade hain Ambia Aye Faatehe Karbobala

Armaan Maadar ke mite Paamaal Qasim hogaye Naoshah ka Laasha tha ye Tukde Dil e Shabbar ke the Kya haal Kubra ka hua Aye Faatehe Karbobala

Armaan hai Dilgeer ka Shabbir ki Hamsheer ka Jaweed ye jeena bhi hai Sadqa Gham-e-Shabbir ka Dete rahenge bas ye Sada Aye Faatehe Karbobala ------*------

~ 173 ~

Ali Jaweed Maqsood

HAAY HUSSAIN WAWAILA

Khoon se maqtal Laal hua hai Ibne Hasan paamaal hua hai Laashe ka kya haal hua hai Tukde tukde hai Dulha Haay Hussain Wawaila

Noore nazar ghode se gira hai Sheh ne kamar ko thaam liya hai Baap Pisar ko dhoond raha hai Hanste hain sab ahle jafa Haay Hussain Wawaila

Laashe Jawa’n seene se laga kar Laate hain maidaan se Sarwar Dekh rahi hai Maa ye manzar Gham se na marjaaye Laila Haay Hussain Wawaila

Jaan e hazeen par jor o sitam hai Daagh Pisar Bhai ka alam hai Aankhein pur khoon dil pur nam hai Haatho’n pa Asghar ka Laasha Haay Hussain Wawaila

Ghere hain Bekas ko sitamgar Paas nahi’n Abbas e Dilawar Koi nahi’n Mazloom ka yawar Kis ko dein Shabbir Sada Haay Hussain Wawaila

~ 174 ~

Dil me basi hai Yaad e Sakina Maut ka hai maathe pa pasina Pyaas ki shiddat jalta seena Yaad hai Dukhiya ka rona Haay Hussain Wawaila

Goonj rahi Zehra ki fugha’n hai Tegho’n me Ahmed ka Nasha’n hai Haay Mera Abbas kaha’n hai Pyaase ka kat’ta hai gala Haay Hussain Wawaila

Zakhmo’n se sab khoon rawa’n hai Dil me Ghame farzande Jawan hai Pyaase ke aankho’n me dhua’n hai Ghere hai lashkar aadaa ka Haay Hussain Wawaila

Tapta maqtal jalti zami’n hai Khaliq ke Sajde me jabi’n hai Yaawaro Nasir koi nahi’n hai Tegh tale Pyaase ka gala Haay Hussain Wawaila

Jaan e Ali begoro kafan hai Zainab ke Baazu me rasan hai Balwe me Sarwar ki Bahan hai Aale Nabi hai beparda Haay Hussain Wawaila

Pyaasi hai Aulaad e Payambar Aada ka sairaab hai Lashkar Pyaasi Sakina Pyaasa Asghar Saamne behta hai dariya Haay Hussain Wawaila

~ 175 ~

Karna hai Mazloom ki Nusrat Laazim hai Sarwar ki Itaa’at Ik hai bas ummeed e shifa’at Maatam karlo Bekas ka Haay Hussain Wawaila

Sarwar ka Gham dil me basa hai Dhadkan kya hai aaho buka hai Majlis e Gham Zainab ki ataa hai Maatam hai Zehra ki Dua Haay Hussain Wawaila

Parwaane Shabbir ke hain ham Saath liye Abbas ka Parcham Karte hain Pyaaso’n ka Maatam Dete hain Zehra ko pursa Haay Hussain Wawaila

Hota hai jab Shabbir ka Maatam Gham se laraz jaate hain do Aalam Karbobala ke rann se paiham Aati hai Halmin ki sada Haay Hussain Wawaila

Zinda hain Jaweed yunhi ham Apna jeena Sarwar ka Gham Naam e Ali har zakhm ka marham Haasil hai Zehra ki Dua Haay Hussain Wawaila

------*------

~ 176 ~

Rasheed Shaheedi

GHAR FATIMA KA LUT GAYA

Maatam karo ahle Aza Hai aasmano par buka Karte hain Maatam Ambia Hain sar barahna Mustafa Ghar Fatima ka lut gaya

Zainab ke Wo Noor e Nazar Jab chal base donon Pisar Maa ka jigar Sajde me Sar Rone lage Shaahe Huda Ghar Fatima ka lut gaya

Tukde Hasan ke Laala ke Maqtal me the bikhre huwe Ab Laash ye kaise uthe Sarwar bichhaate hain abaa Ghar Fatima ka lut gaya

Kubra ki haay zindagi Dulhan bani bewa huwi Kya keh ke ro’e bekasi Hamsin waha’n koi nahi Ghar Fatima ka lut gaya

Laila ka aur Shabbir ka Kadiyal Jawaa’n farzand tha Barchchi se dil Uska chhida Jalti zamee’n par Sogaya Ghar Fatima ka lut gaya

Ummul Banee’n ka Wo Pisar Be dast Ghaazi khoo’n me tar Kaise gira Wo khaak par Girya kuna’n hain Fatima

~ 177 ~

Ghar Fatima ka lut gaya

Sar Fatima ke Laal ka Jab hogaya tann se juda Deti rahi Zainab sada Paamaal Laasha hogaya Ghar Fatima ka lut gaya

Aage yunhi badhte raho Maatam yunhi karte raho Nauha yunhi padhte raho Binte Ali Dengi Dua Ghar Fatima ka lut gaya

Maatam karo Abbas ka Tum ko milega ye sila Aankho’n me rakho Karbala Behte rahein Ashk e Aza Ghar Fatima ka lut gaya

Parwaana e Shabbir ka Abbas Tu hai Aasraa Milti rahe unko sada Bas Tere Parcham ki Hawa Ghar Fatima ka lut gaya

Wo bekaso’n ka Karwa’n Beemaar Abid Naatawa’n Wo Tauq aur wo bediya’n Wo taaziaano’n ki jafa Ghar Fatima ka lut gaya

Be chaadari be chainiya’n Mushkil kusha ki Betiya’n Aur baazuo’n me reesma’n Zanjeer me Zainul Aba Ghar Fatima ka lut gaya

~ 178 ~

Abbas saqqaa’e Haram Haq ka nasha’n Jis ka Alam Jis ki wafa Dee’n ka bharam Bhai Wo Sheh ka Baawafa Ghar Fatima ka lut gaya

Haatho’n pa apne Baap ke Maqtal ko Asghar jab gaye Ahle Sitam rone lage Wo teer kha kar hans pada Ghar Fatima ka lut gaya

The muztarib rann me Hussain Ro ro ke karte the ye bain Kis tarha aaye dil ko chain Maa se kahein ab jaake kya Ghar Fatima ka lut gaya

Durre tamaache seliyaa’n Mazloom Bachhi ki fughaa’n Chheeni gayi hain baaliyaa’n Kaano se khoo’n behta raha Ghar Fatima ka lut gaya

Shabbir Aye Jaane Batool Lafzon ko de qadmon ki Dhool Nauha ye Tu karle Qubool Ezaaz ye karde Ataa Ghar Fatima ka lut gaya

Ab hain Rasheed ashkon ke bain Aye Fatima ke Noor e Ain De dil ko Chain ab Ya Hussain Pohncha de hamko Karbala Ghar Fatima ka lut gaya ------*------

~ 179 ~

Rasheed Shaheedi

AYE SHAHEEDE KARBALA FATIMA ZEHRA KE PISAR ASRE AASHOOR KATA DASHTE BALA ME TERA SAR

Baaqi jis tarha se ab Naam Khuda ka hai Hussain Tu bhi zinda hai Tera naam bhi zinda hai Hussain Tu ne jangal me bhare ghar ko lutaya hai Hussain Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Rann me Hamshakle Payambar Ali Akbar sa Jawa’n Haay wo qatl hua khaa ke kaleje me sina Uske seene se bas ik khoon ka dariya tha rawaa’n Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Ham baya’n kaise kare’n Pyaas ki gehraai Teri Thokarein khaana tera kho gayi beenayi Teri Haaye Wo Laashe Jawa’n Haay wo tanhaai Teri Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tukde tukde hua Farwa ka Pisar Ibne Hasan Hogaya Qasime Naoshah ka paamaal badan Dekhte dekhte bewa hui lamho’n ki Dulhan Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tere Lashkar ka Muhafiz wo Alamdaar e Wafa Haath katwa ke kiya jisne Alam ko ooncha Dil me armaan liye jang ka duniya se gaya Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

~ 180 ~

Mashk par teer laga gurze sitam Sar pa laga Hoke bedast wo Saqqaa e Haram Bhai Tera Jaane Kis tarha se ghode se zamee’n par Aaya Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tera Shashmaaha jo gehwaare se maqtal ko gaya Zulm ka teer wo Masoom ka Nanha sa gala Maa ki nazron me hai Besheer ka khaali jhoola Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Ye jo baaqi hain Namaaze’n ye fazaaon me Azaa’n Aye Shahinshaah e Atash baadshahe Kauno Makaa’n Hashr tak Deene Muhammad pa hai Tera Ehsaa’n Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tera Gham har Dil e Momin ki tadap Jaane Batool Bas Tere Gham ke waseele se Namaaze’n Maqbool Ashk aankho’n me agar ho’n to Duaae’n hain qubool Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Fakhr karte hain ke Parwana e Shabbir hain ham Ham jo karte hain Tere Gham me musalsil Maatam Ham Aza daaro’n pa Abbas ka rehta hai Karam Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Majlise’n karte hain jo karte hain Maatam tera Hai yaqee’n Fatima Zehra unhe’n Deti hain Dua Aur unhe milti hai Abbas ke Parcham ki hawa Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

~ 181 ~

Bheegi palko’n ki tadap dil ki tamanna hai Hussain Hashr tak har Dil e Momin Tera Raoza hai Hussain Tu har ik toote huwe dil ka Sahara hai Hussain Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Aye Muhammad ke Nawaase Aye Mere Pyaase Imam Nazr karta hai Rasheed ab Tujhe askho’n ka Salaam Aaj har toote huwe dil ki tassali Tera Naam Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar ------*------

Rasheed Shaheedi

GHAM-E-KARBOBALA ALLAH O AKBAR

Yaha’n khud sar nigu’n Arshe Ula hai Yahi to Sajdagaah e Ambia hai Yaha’n ki khaak hi Khaake Shifa hai Zameen e Karbala Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Bahaate hain Gham e Sheh me lahu ham Sar e Mehshar rahenge surkh ru ham Yunhi phailaaenge ab chaar su ham Ye Maatam ki sada Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Ye wo Gham hai ke jis me zindagi hai Isi Gham se nazar me roshni hai Yehi Gham Muhtaram hai bandagi hai Azaa-e Karbala Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

~ 182 ~

Kahi’n milti nahi aisi bulandi Jaha’n Majlis bapa hoti hai Sheh ki Waha’n aati hai Zehra ki Sawaari Mussala Ashk ka Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Namaz o Roza o Hajj sab aham hain Ye Ehkaam e Khuda sab Muhtaram hain Mussalo’n par jabeene’n sabki kham hain Magar Farsh e Aza Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Khuda ka Ghar to Kaaba Bilyaqee’n hai Jo yaa’n kham ho wohi roshan jabee’n hai Badi Paakeeza Makke ki zamee’n hai Magar Khaak e Shifa Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Bas ik shab me hua tabdeel manzar Sehr Aashoor ki Hur Ka Muqaddar Chala baatil se aaya raahe Haq par Jab Akbar ne kaha Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Wafa Haq me She’aar e Ambia hai Magar kya Martaba Abbas ka hai Faqat Us ko zamana keh raha hai Wafaao’n ka Khuda Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Huwe jab qatl Zainab ke Dulaare Wo Maa ka sabr duniya kaise bhoole Junhi maqtal se Sheh ne laaye Laashe Wo Sajda Shukr ka Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

~ 183 ~

Hai rann me muntashir Qasim ka Laasha Uthaay Laash kaise Jaan e Zehra Magar ab kya karein thaam e kaleja Bichhate hain aba Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Shahe Dee’n par hai kaisa waqt aaya Ke khaak aur khoon me ghaltaa’n hai Beta Tadapta hai jigar par kha ke naiza Shabihe Mustafa Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Wo jhoole se Tera maqtal me aana Guluwe khushk par wo teer khaana Ali Asghar na bhoolega zamana Tabbassum pyaas ka Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Kate Abbas ke jis waqt Shaane To guzri Uspa kya Allah jaane Tadap mehsoos karli Fatima ne Nigaahe Maamta Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Badan se kat ke sar rakhte hain qudrat Sar e naiza se Qura’n ki tilaawat Hai zinda Jaan e Zehra ki badaolat Azaano’n ki Sada Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Riza Khaliq ki banda chahta hai Isi me bartari hai Jaanta hai Magar Sheh se Khuda khud Poochhta hai Bataaa Teri Riza Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

~ 184 ~

Kisi ko daolat e aulaad dedi Kisi ko quwwat e parwaaz bakhshi Na thi qismat me wo nemat ataa ki Karam Shabbir ka Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Chala jab qaafila Karbobala se Saje the raaste jor o jafa se Na hota sabr mumkin Ambia se Magar Zainul Aba Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jhulasti dhoop aur Akbar ka Laasha Ye manzar dekhti thi Umme Laila Sina ki nok par Bete ka Sar tha Wo Maa ka haosla Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jise suraj ki kirno’n ne na dekha Falak ne bhi na dekha jis ka saaya Raha aawaaz par bhi jis ka parda Wohi hai Berida Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Gale me tauq hai Zainul Aba ke Hain chhaale paau’n me raaho’n me kaante Wo zanjeere’n wo langar taaziaane Safar wo dhoop ka Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Gham e Shabbir ki daolat mili hai Azaadaro’n badi nemat mili hai Kis aasaani se ye Jannat mili hai Duaa e Fatima Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

~ 185 ~

Yateemi kamsini tashna dahaani Tamaanche taaziyaane kaan zakhmi Sakina Bibi ki thi zindagaani Musalsal Marsia Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jo Ashko’n ka Lahu ka silsila hai Azadari ka ye jo Khafela hai Saleeqa ye jo Majlis ka mila hai Hai Zainab ki Ata Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar

Aza ke Ashk hain aankho’n ki Zeenat Karenge ham Rasheed iski hifazat Hai Gham Pyaaso’n ka is Dil ki Ibaadat Muqaddar ki Ata Allah o Akbar Gham e Karbobala Allah o Akbar ------*------

Rasheed Shaheedi

HAM KARTE HAIN MAATAM ASGHAR KA

Besheer Mujahid Shashmaha Tha Saaqiye Kausar ka Pota Kya sabr tha Jhoole Waale ka Dariya ke kinare Pyaasa tha Ham karte hain Maatam Asghar ka

Wo dhoop wo sehra garm hawa Goonji rann me Halmin ki sada Khaimo’n se utha ghul rone ka Gahwaare se Asghar rann ko Gaya Ham karte hain Maatam Asghar ka

~ 186 ~

Kya Pyaas thi Jhoole Waale ki Aur dekh ke Uski tashna labi Khud zulm ka lashkar rone laga Asghar ki Tabassum Swalle Ala Ham karte hain Maatam Asghar ka

Sarwar ne Suwaale aab kiya Asghar ke Gale par teer chala Aur dhal gaya Manka Pyaase ka Shabbir ki Ghurbat Waawaila Ham karte hain Maatam Asghar ka

The Sibte Nabi kitne Bechain Ye Sonchte the Mazloom Hussain Bano se Kahenge Jaakar kya Chhe maah ka Beta Qatl Huwa Ham karte hain Maatam Asghar ka

Ye Aaho Buka aur ye aansu Ye Majlise’n aur ye behta Lahu Gham khwaro’n ka hai Nazrana Mazloom ki Nusrat ka Jazba Ham karte hain Maatam Asghar ka

Shabbir Karam Farmaate Hain Abbas Madad ko Aate Hain Ham padhte hain Asghar ka Naoha Aur Zehra Karti Hain Girya Ham karte hain Maatam Asghar ka

Har dil ki dhadkan kehti hai Yaa’n Yaad e Asghar rehti hai Har dil hai Asghar ka Jhoola Har lab pa rahega ye Naoha Ham karte hain Maatam Asghar ka

~ 187 ~

Wo noke sina wo Phool sa Sar Tha Maa ki Nazar me ye manzar Parwaane dete hain pursa Palko’n pa sajaae Ashk e Aza Ham karte hain Maatam Asghar ka

Jis teer se Asghar Zib’ha huwa Wo zakhm kaha’n tak hai phaila Kis Kiska kaleja usse chhida Poochhe ye koi Abid se zara Ham karte hain Maatam Asghar ka

Parwaane hain Shabbir ke Ham Abbas ka hai Ham par ye karam Besheer pa Ham roenge sada Zehra Deti Hain Hamko Dua Ham karte hain Maatam Asghar ka

Aye Jaan e Ali Jaane Zehra Karta hai Rasheed ab maaruza Tu karle Qubool iska Naoha Pohnchaade sabko Karbobala Ham karte hain Maatam Asghar ka ------*------

Hasan Abbas Ahsan

AYE SHASHMAAHE PYAASE ASGHAR

Aye Shashmaahe Pyaase Asghar Aye Qalbe Pidar Jaan e Maadar

Aye tashna daha’n Aye tashna jigar Baba ki Mashiyat par thi Nazar Jab teer laga tha Gardan par Rann Jeet liya Tu ne Has kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

~ 188 ~

Aye Faatehe Khaibar ke Dilbar Ik zarbe tabassum ke bal par Aada ka ulat’ta Tu lashkar Shabbir ki Marzi hoti agar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Tu Ibne Ali ka hai Beta Abbase Ali hai Tera Chacha Hai Tujhme Shuja’at ka Dariya Aur Shere Khuda ke Hain Tewar Aye Shashmaah e Pyaase Asghar

Shabbir ke Maqsad ke Qur’an Gehwaare me Bachcha kehla jaha’n Aidaan me lekin Tu hai Jawaa’n Kab khaof hai Tere Chehre par Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Auro’n se Juda hai Shaan Teri Ik teer ne leli Jaan Teri Talwar bani Muskaan Teri Yu’n fatt’ha Kiya Toone lashkar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Uss teer ka khana khel nahi’n Aur phir Muskana khel nahi’n Dushman ko rulana khel nahi’n Hai Teri Shuja’at Tera Jigar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Shabbir ke Dilbar Maah jabee’n Abbas ka Tu Shaagird nahi’n Hai Jeet ka phir bhi Tujhko yaqee’n Tha Zarbe Tabassum ka jo hunar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

~ 189 ~

Ye rasm nahi’n hai Maatam hai Waajib hai jo ham par wo Gham hai Ham jaan bhi dede’n to kam hai Ehsaan kiya Tu ne ham par Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jab Hasta hai Masoom koi Besaakhta yaad aati hai Teri Raas aayi na Tujhko Teri Hasi Ye lag gayi aakhir Kiski nazar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Ye zulm kahi’n dekha na suna Sookhi wo Zubaa’n aur Khushk Gala Ik boond Tujhe paani na mila Tu Qatl Huwa Pyaasa Rehkar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jab teer Teri Gardan pa Laga Aadam ne kaleja Thaam liya Ayyub ne Apna Muh Phera Ulta jo Pidar ke Haatho’n par Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Maa Baap na aise ham dekhe Hai kaun jo aisa Gham dekhe Besheer ka ye Aalam dekhe Ye Sheh ka hai Dil Bano ka Jigar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Saamaane Aza me hai Jhoola Jhoole me Alam ik Chhota sa Aur uspe bandha hai ik Sehra Kya khoon rulata hai manzar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

~ 190 ~

Gehwaare se wo gir jaana Tera Maidaan me Sajkar Aana Tera Wo Joshe Wegha Dikhlana Tera Kya khoon rulata hai manzar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Wo teen dino ki Pyaas Teri Wo dhoop ki shiddat wo garmi Wo teer ka lagna aur wo hasi Hairaan hain ab tak jinn o bashar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aye Faatehe Dashte Karbobala Tiflee’n me ye Tera Joshe Wegha Tu Hota Jawaa’n to kya hota Ham sonchte hain ye reh reh kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Ehsas ki duniya Rothi hai Ik Maadar-e Dukhiya Rothi hai Haa’n Fatima Zehra Rothi Hai Kehti Hai faqat ye Ro Ro kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Maango ye Dua Maatam daaro Ta hashr Kisi dukhiya Maa ko Aulaad ka Gham is tarha na ho Bano ne jo Dekhe hain manzar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jis Halq pa teere zulm laga Us Halq pa Khanjar bhi to chala Tharraane Laga Tha Arshe Khuda Naize pa Tera wo Phool Sa Sar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

~ 191 ~

Kya kya na huwe the ranjo mehan Gardan me Sakina ke thi rasan Ro Ro ke magar Wo Teri Bahan Kehti Thi Faqat Asghar Asghar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aankho’n me Tere Laashe ko liye Maa Teri Jiye to kaise Jiye Paani Wo Piye to kaise Piye Har damm hai ye Naoha Honto’n par Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Wo Ghurbat e Sarwar Waawaila Godi me Liye Tera Laasha Shabbir ne ham ko Yaad Kiya Ham sadqe Aisi Ghurbat par Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Shabbir ke jo parwaane hain Wo Teri Azmath jaane hain Aur Haq ko Tere pehchaane hain Gham Tera manaate hain ghar ghar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Khaliq Ne jo Bakhsha Tera Gham Ye Uska bada hai ham pa Karam Ab Tujh se ye wada karte hain ham Mar jaaengeTujh par ro ro kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aye Shehre atash ke Shahzade Tu Apni Ziyarat Karwaade Karbal me hame ab pohncha de Rolenge Wahaa’n ham jee bhar kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

~ 192 ~

Ho’n Tujh pa Mere Maa Baap fida Shahzade ye Ahsan ki hai Dua Madfan ho Mera bas Karbo bala Waa’n Naoha Sunaau’n ro ro kar Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

------*------

Rasheed Shaheedi

KARTE RAHO BESHEER KA MAATAM

Aye momino ye Gham hai Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam Maatam hai ye Shabbir ki Nusrat, karte raho Besheer ka Maatam

Ankhon me rahe Pyaaso’n ki rudaad, karte raho Besheer ka Maatam Shashmaahe Mujahid ki Musibat, karte raho Besheer ka Maatam

Bechainya’n wo jhoole se gir kar, Labbaik wo Halmin ki Sada par Chhe maah ka sinn Shoukhe Shahadat, karte raho Besheer ka Matam

Shabbir ki tanhaayi wo jangal, Wo dhoop se jalta huwa maqtal Wo Haathon pe Shashmah wo ghurbat, karte raho Besheer ka Matam

Wo sookhi zabaa’n pherna Lab par, Wo Nanha gala teere sitamgar Aur Baap ke haathon pa Shaahdat, karte raho Besheer ka Maatam

Badhna wo kabhi jaanibe Khaima, Haathon pa liye Bete ka Laasha Mazloom Musaafir pa Qayamat, karte raho Besheer ka Maatam

Sheh ne kiya aise me hame yaad, Jab Ghar huwa pardes me barbad Tanhaayi me Pyaase ki Wasiyat, karte raho Besheer ka Maatam

Maa ke liye Ghurbat hai ye kaisi, Jhoola huwa Shashmaah ka khaali Aaghosh ka Paala Huwa Rukhsat, karte raho Besheer ka Maatam

~ 193 ~

Sheh sonchte hain Maa se Kahe’n kya, Kis tarha de’n Us Bibi ko Pursa Ab kaise hawaale kare’n Mayyat, karte raho Besheer ka Maatam

Hai doodh ki ja khoon labo’n par, aur Tann se juda Phool sa wo Sar Maa Dekhti hai Bete ki haalat, karte raho Besheer ka Maatam

Ham log hain Parwaanaye Shabbir, Wallah ye hai khaabi ye taqdeer Hai Pyaason ka Gham apni Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam

Is Gham me Rasheed ashk bahae’n, Lab par ho musalsil ye Duae’n Ham sab karein Karbal ki Ziyarat, karte raho Besheer ka Maatam ------*------

Allama Najm Aafandi

SHABBIR BAHARHAAL TERA NAAM RAHEGA

Har aalame nao me Karame aam rahega Har dukh me dawaa-e dile na kaam rahega Duniyaa-e digar ke liye paighaam rahega Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Maana ke zamaane ka rahega na ye aalam Tarteeb tamaddum ki ye ho jaaygi barHam Phir aur Kisi rang me hoga Tera Maatam Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Zarro’n ki zaba’n par hai Teri Tashna dahani Taaro’n ki hai dekhi huwi Akbar ki Jawani Bhoolegi na fitrat Ali Asghar ki Kahani Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

~ 194 ~

Mooh Gham se nikal aayega dariya ka zara sa Paani ye kahega koi maara gaya pyaasa Saahil ye pukarega MuHammad ka Nawasa Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Aghlab hai ke Turbat me Tadap jaaygi Maadar Karrar ke Madfan me badal jaaynge tewar Phir Qabr e shaayad nikal Aayenge Payambar Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Aye Najm ulat jaayga ye Pardaye Ghaybat Niklega udhar tegh bakaf Markaze Hujjat Karti huwi Maatam idhar aayegi Qayamt Duniya ye na hogi magar Islam Rahega Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega ------*------

Adeel Pakistani

KYA DEKHTI HAI SUGHRA ZAINAB KE AANSUO’N ME MANZAR HAI KARBALA KA ZAINAB KE AANSUO’N ME

Barchhi ka zakhm taaza ta zindagi rahega Akbar ka hai Kaleja Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Sughra Nazar uthaao Qasim ka Haal dekho Bikhra Huwa hai Laasha Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Aye deeda-e tasawur tujhko dikhaayi dega Chhota sa ik Jhoola Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

~ 195 ~

Abbas ke Bareedaah Haatho’n ki daastaa’n hai Behta hai Gham ka dariya Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Wo karbnaak manzar Kis tarha Tu ne dekha Baba ka zakhmi Laasha Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Zindaane Shaam me hai Chhoti si Qabr lekin Moujood hai Sakina Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Ab Aun aur Muhammad bhi yaad Aa Rahe Hain Hone laga izafa Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Zulmo sitam ke manzar sab dekhle Madina Hai Shaam aur Kufa Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Shabbir peshe Daawar jaaenge saath lekar Bheega huwa Amaama Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Bepardagi ka Aalam kaise Adeel likhe Khud dekhle zamana Zainab ke aansuo’n me Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me ------*------