Yusuf e zehra vol 14 ashaar 1 2

Yusuf e Zehra Imam Mahdi (a.s.) Vol. 14 Ashaar, qasida

Published by www.yusufezehra.com

Hadiyo:Dua

yusufezehra vol 1 to 14 available on www.yusufezehra.com www.hadilibrary.org

contact Email id : [email protected] This kitab is only for shia

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 3 4

1. Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me

"QuraaN Ke WarisoN Ki Ye PehchaN Ban GaE, Nikli Jo BaaT Moo Se To QuraaN Ban GaE, Hukm e Khuda Se ChooMaY QadaM Syeda K JAb, BanjaR ZameeN AraB Ki GulistaN Ban GaE, ChashaM e FalaK GawaH Hai WaQt e Mubahila, Zehra Lab e Rasool Ki MuskaN BaN GaE, Farsh e GhaM e HussaiN Ki TaseeR Dekhiye, Zehra GhareeB KhanaY Ki MehmaaN Ban GaE". *********** MAi Mushkil MAi PanjetaN Ki Panah Leta Hun, Mehfil Mai Zikar e Ali Se SAja Leta Hun,

Duniya Ki Guftagu Se JAb Dil Bezaar Ho Jata HAi, Hussain Ka Zikar KAr k Syeda s.a Se Dua Leta Hun" ********* "Wajah Baqa e Nasal e NabowaT Hain Fatima,, Sab Se AzeeM Jo Hai Wo NAimaT HAin Fatima,, Ay Na'Shanas Soorah e KausaR Ko Padh k Dekh,, Allah k Rasool Ki Izzat Hain Fatima". Yusuf e zehra vol 14 ashaar 5 6

2.Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me Likh Qalam Se Naam ZEHRA(s.a) Ka Jaisay Tu Hai Ghulam ZEHRA(s.a) Ka Jis Kay Ghar Main Hai MAJLIS _E_ SHABBIR(a.s)

Us Ko Pohanchay Salam ZEHRA(s.a) Ka Mushkiley Pal Main Taal Daita Hai ISM_E_AAZAM Hai Naam ZEHRA(s.a) Ka Kar Rahay Hain RASOOL(S.A.W) Bhi Tazeem Ab To Samjho Maqaam ZEHRA(s.a) Ka... ********* "Baagh-e-Fidak bhi chheen liya aur mukar gayae.. Mimbar Ali ka chheen liya aur mukar gayae.. Maula Hasan ko zehar diya aur mukar gayae.. Zainab k ghar ko loot liya aur mukar gayae.. Rotay hain hum is liyae shor-o-shain say.. kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain say...” **************** Kya chadar-e-BIBI ki fazeelat koi likhey Bus ayat-e-tat'heer ka ailan bohat hai. Mehshar mein humein door se pehchanein gi BIBI Matam ke nishan hain yehi pehchan bohat hai Mehroom-e- shifa'at humein rahney nahi dein gay Yusuf e zehra vol 14 ashaar 7 8

BIBI terey bachon pe humein maan bohat hai Aaney ko hai BIBI ka pisar Mahdi-e-aakhir(a.s) Halaat batatey hain ke imkan bohat hai Islam hai ehsan musalmano pe lekin Islam pe BIBI tera Ehsan bohat hai.. ********** ZEHRA(S.A) Teri Jageer hai Jannat bhi Fidak bhi Ye Jabal ye Azal Ye Pani ye Falak bhi Shohar ki taraf se hain Ghulami may Malak bhi BIBI(S.A) Tere Haq Mehar may Shamil hai Namak bhi Bus Teri Zameeno per Basi Jati hai Dunya Sadiyon se Faqat Tera Namak khati hai Dunya...

Bhar bhar k jame ulfate HAIDER(a.s) piya karo, Mushkil pade to naam ALI(a.s) ka liya karo, Gar chahte ho khuld mein uncha milay makaam, ZAHRA(a.s) k dushmano pe tabarra kiya karo **************

3. Main Teri Shaan Na Likhon To Bhala Kya Likhon.

Main Teri Shaan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu.. Kule Eman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu Dar Jalaney K Liye Aaye Jo Tera Bibi.. Unko Haiwan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu Yusuf e zehra vol 14 ashaar 9 10

Haq Tera Dene Se Inkar Kiya Jis Ne Bhi.. Unko Shaitan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu... Jo Rulaega Inhain Usnay Rulaya Hai Mujhe.. Main Ye Farman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu.. Binte Zahra Tere Khutbo Ne Bachaya Islam.. Teray Ehsan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..

4..Maula Ali as ki shaan me..

A to Z tak MOLA ALI A.S k fazail. . . .

A= ABU TURAB HAI ALI. . . B= BAB_E_ILM HAI ALI. . . C= CHAHAT_E_RASOOL HAI ALI. . . D= DEEN_E_HAQ HAI ALI. . . E= ELM KA DARWAZA HAI ALI. . . F= FAKHAR_E_KHUDA HAI ALI. . . G= GUL_E_CHAMAN HAI ALI. . . H= HAIDER_E_KARAR HAI ALI. . . I= ISLAM KI BAQA HAI ALI. . . J= JAM_E_KOUSAR HAI ALI. . . K= KABAY KI PEHCHAN HAI ALI. . . L= LEHJA_E_KHUDA HAI ALI. . . M= MOO_E_BATOOL HAI ALI. . . N= NIDA_E_HAQ HAI ALI. . . Yusuf e zehra vol 14 ashaar 11 12

P= PARWAZ_E_ISLAM HAI ALI. . . Q= QURAN KI JAN HAI ALI. . . R= RAAH_E_NIJAT HAI ALI. . . S= SARWAR KA DAMAAD HAI ALI. . . T= TILKA_E_RASOOL HAI ALI. . . U= UNN WALI ULLAH HAI ALI. . . V= VIRD_E_NABI HAI ALI. . . W= WARIS_E_DEEN HAI ALI. . . Y= YAQEEN_E_BATOOL HAI ALI. . . Z= ZUBAN_E_QURAN HAI ALI. . . ******** kis ne insan ko kamalat se hairan kiya kis k kirdar ne Kafir ko Musalman kiya kis ki tafseer ne Quran ko Quran kiya kis ki Talwaar ne Islam pe Ehsan kiya Bashar-o-Jin-o-Malak jis ko Wali kehty hain Hum usi Raaz-e-ilahi ko ''ALI'' kehty hain ********* HAIDER (A.S) Ki Wilayat Ka Sada Raaj Rahe Ga, Har Daor ALI (A.S) Ka Mohtaj Rahe Ga, HAIDER (A.S) Teri Azmat Ko Koi Laakh Chupaye, Tu MILAT-E-ISLAM Ka Sartaj Rahe Ga 5. Maula Ali as ki shaan me… Main ne Uss Zaat Pe Yusuf e zehra vol 14 ashaar 13 14

Likhne Ki Jisarat Ki Hai, Jis K Daman Pe Farishto Ne Ebadat Ki Hai, Kis Ki Jurrat Mere Aaqa K Barabar Aaye, Mere Aaqa Ne To Nabiyon Ki Imamat Ki Hai, Zakham Kha Kar Bhi Jo Phulon Ki Ridayen Bakhshe, Mere Aaqa Ne To Kaanton Se Muhabbat Ki Hai, ALLAH ALLAH Wo Kiya Log Thay Jin Logon Ne, Chalte Phirte Mere Aaqa Ki Ziyarat Ki Hai, Asmano Pe Zamino Pe Hakumat Ki Hai, Jis Jis Ne Mere Aaqa Ki ita’at Ki Hai. ********

6. Alif se ye fazail e Maula Ali as

Ager Alif Se Lo Insann ALI (a.s) Be Se Kamil e Burhan ALI (a.s) Te Se Tatheer Ki Jaan ALI (a.s) Se Se Saqlain Ki Shaan ALI (a.s) Har Makhfi Baat Ka Raaz ALI (a.s) Aur Jeem Se Pak Jawaz ALI (a.s) Makdoor Ali Taqdeer ALI (a.s) He Se Haq Ki Tasweer ALI (a.s) Khe Se Khatmul-Quran ALI (a.s) Aur Khaliqa Ka Shahkar ALI (a.s) Shazada-E-Husun-O-Jamal ALI (a.s) Re Se Rehbar Har Haal ALI (a.s) Yusuf e zehra vol 14 ashaar 15 16

Wahid Ki Qasam Wajid Bhi ALI (a.s) Hai Ze Se Zahid Bhi ALI (a.s) Be-Badal Ali Baaqi Bhi ALI (a.s) Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi ALI (a.s) Sucha Sacha Kafi Bhi ALI (a.s) Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi ALI (a.s) Hai Suad Se Sabik Zikr-E-ALI (a.s) Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-ALI (a.s) Ta Se Tarfain Mein Noor-E-ALI (a.s) Za Se Purnur Zahoor-E-ALI (a.s) Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka ALI (a.s) Aur Ain Se Naam ALI A.S Ka ALI (a.s) Hai Gain Se Pak Gani Bhi ALI (a.s) Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi ALI (a.s) Mera Kaaf Se Kibla ALI A.S ALI (a.s) Aur Kaaf Se Kaaba ALI A.S ALI (a.s) Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi ALI (a.s) Aur Mun Kunto Maula Bhi ALI (a.s) Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi ALI (a.s) Wow Se Wajhul-Lah Bhi ALI (a.s) Sun Lo Ain-Ul-Lah bhi ALI (a.s) Aur Ye Se Yad-Ul-Lah bhi ALI (a.s) Emaan Ali Eeqaan ALI (a.s) Sultan Ali Meri Jaan ALI (a.s) Yusuf e zehra vol 14 ashaar 17 18

**************

ZIKR-E-MOLA ALI a.s ME SUBHO SHAM KARTA HU... YA ALI a.s TERE CHAHNE WALO KA EHTARAM KARTA HU... JIS DIL ME BASTI HAI MOHABBAT TERI AYE MERE MAULA a.s... ME US DIL KO JHUK JHUK KAR SALAM KARTA HU... ******** Likh Likh KE Choomte hai Tera Naam YA ALI (AS).. Dil Mai Basa Hua Hai Tera Naam YA ALI (AS).. Lagti Nahi Hai Isliye Thokar Mujhe Kabhi.. Aata Hai Tera Naam Mere Kaam YA ALI (AS) ****** ***** Ali Ali se dilo ko suroor milta hai Nigah-e- fikr ko taza shaoor milta hai Naseeb kaisa bhi ho ya Ali madad keh kar Khuda se mang lo khuch bhi zaroor milta hai ****** 7. Shaikh se dosatana Buri baat hai.

Shaikh se Dostana Buri baat hy Us se melna milana Buri Baat hy Mehfel-e-Murtaza a.s main jo aaty nai un k Ghar aana Jaana Buri baat hy Yusuf e zehra vol 14 ashaar 19 20

Shaikh se Dostana Buri Baat hy Us se ...... Sunt-e-Mustufa (saww) hy yeh Zekry ALi a.s Es pe Ungli Uthna Buri Baat hy shaikh se Dostana Buri baat hy us se ...... Mout k Muon main Sarkar-e-Konaen (saww) ko Chod k bhag Jana Buri Baat hy Shaikh se dostana BUri baat hy us se ...... Jis ko Mehfel se Apni utha dey Nabi (saww) Us ko Dil main Behtana Buri Baat hy shaikh se Dostana Buri baat hy us se ...... Jo be Ghazi a.s ka Parcham Utthatay nai Hath un se Mellana Buri Baat hy shaikh se Dostana Buri baat hy us se ...... Waqt Dafny Pyghamber (saww) Jo Ghaib Rahay un ki Maiet Uthana Buri Baat hy shaikh se Dostana Buri baat hy us se .... Azm-e-main Sjjad Kehta hy Sajaad se Khof se Sar Juhkana Buri baat hy Yusuf e zehra vol 14 ashaar 21 22

Shaikh se Dostana Buri Baat hy us se Melna Milana Buri baat hy

8. Bura maan gaye…….. Qissa Khaiber Ka Sunaya To Bura Maan Gaye... Aaiena Unn Ko Dikhaya To Bura Maan Gaye..

Dar e Zahra Ko Madinay Main Jalaya Kis Ne..? Hm Ne Jab Naam Bataye To Bura Maan Gaye..

Tazkera Unn Ki Sakhawat Ka Wo Krtay Thay... Jab Fidaq Yaad Dilaya To Bura Maan Gaye..

Waqt Padne Pe Wo Krtey Rahey Haider Haider... Haq Ne Jab Mola Banaya To Bura Maan Gaye..

Hum Jab Rotay Hain To Biddat Ki Sanad Milti Hai... Qissa e Ghaar Sunaya To Bura Maan Gaye.." **************** Wo jo dar pay thay Muhammad (saww) ko Staany k liye Woh aaye Dar-e-Zahra (sa) ko Jalany k liye Log Kehny Lagy Shion ko kaafir kaafir Apny Ajdaad k Kartoot Chhupany k liye

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 23 24

tu bata muj ko k Nasl-e-Abu Talib (as) k siwa Sar diya kis ne hai Islam bachane k liye Waris-e-Taigh-e-ALi (as) Parda-e-Ghaibat se abhi Aany wala hai har ik Badla Chukany k liye

Sar Hatheli pe liye phirty hain Hum to "Mohsin" Dosti Aal-e-Muhammad (saww) Nibhane k liye 9. Maula Ali as ki shaan me… Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar Sochna Ghayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar Sochna Kalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki Qasam Shirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar Sochna Khutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri Tarha Laazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar Sochna Zauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch Ilaaj Chaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar Sochna Jiske Tukdo Par Paley As’haab-e-Khatmul Mursaleen Kisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar Sochna

Kehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai Kya Fatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar Sochna Dushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se Dosti Kya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar Sochna Yusuf e zehra vol 14 ashaar 25 26

Hashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat Kirdigaar Mujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par Sochna Kalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne Ki Gar Miley Fursat Kabhi To Kalma Padhkar Sochna

10. Aye rabbe zahaa..panjetan e paak ka sadqa… Ay Rab-e-jaha Panjtan-e-pak (a,s) ka sadqa.. Is qaum ka daman gam-e-Shabbir (a,s) se bhar de..

Bachoo ko ata kar Ali Asgar (a.s) k tabasum.. budho ko Habib ibn-e-mazahir ki nazar de.. Maa o ko sikha sani-e-zehra (s,a) ka saliqa.. Behno ko Sakina (s,a)ki dua o ka asar de...

Qismat to faqat khak-e-shifa bakhsh dy mola.. Me ye nahin kehta k mujhy maal-o-gohar dy... Aankho ko dikha roza-e-mazloom ka manzar.. Qadmoo ko najaf tak bhi kabhi izn-e- safar dy...

Manzoor hai khawabo me hi aqa ki ziyarat.. Parwaz ki kaushish hy na jibril (a,s) k par de... Yusuf e zehra vol 14 ashaar 27 28

Jis dar k sawali hain farishte bhi bashar bhi.. Aawara-e-manzilhon mujhy bhi wohi dar de... kherat dar-e-Shah-e-najaf chahiye muj ko.. Salman-o-abu-zar ki tarha koi hunar de... Sar par ho sada parcham-e-Abbass (a,s) ka saya meri dua khatm hy ab isko asar de... ( ILLAHI Ameen )

11.Maula Abbas as ki shaan me.. JAB QALAM LIKHNAY LAGA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM PHOOL BAN BAN K KHILA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM MAIN NAY BAS HAaTH UTHAYAY THAY DUA KI KHATIR BAN GAYA HARF-E-DUA HAZRAT-E-ABBAS (A.S)KA NAAM

MUSHKILAIN HAT tey Gaye RAASTAY HAMWAR HUVE LAY K MAIN GHAR SAY CHALA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

THEE KARI DHOOP MAGAR MUJH PAY GHANA SAYA THA BAS MERAY ZEHN MAIN THA Yusuf e zehra vol 14 ashaar 29 30

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

YU LAGA GHAR MAIN MERAY CHAND UTER AYA HE MAIN JO DOHRATA RAHA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

MOJAI KHUSH HO K QADAM CHOOMNAY AEIN MERAY MAIN NAY SAHIL PA LIYA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM TOOR PER APKO MOOSA (A.S) NA KHIJALAT HOTEE YE HUA YAAD NA THA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM NAAM ABBAS (A.S) KA ABBAS (A.S) NAHIN HOTA AGER BIL-YAQEEN HOTA WAFA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM MERE LUKNAT NE SIKHAYE ADAB ADAAB MUJE MAINAY RUK RUK K LIYA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

12. Janab e Abu talib as ki shaan me… Yusuf e zehra vol 14 ashaar 31 32

Main Hoon Abu Talib(a.s) Meri Pehchan Yehi Hai Kehtay Ho Nabuwat Jisay Meri Goudi Main Pali Hai Paida Howa Ghar Main Meray Payghamber-e-Akhir(s.a.w.w) Betay Ki Waladat Meray Kaabay Main Hoe Hai Ghar Main Hai Nabuwat Meray Ghar Main Hai Imamat(a.s) Jo Malka-e-Jannat(s.a) Hai Baahu Mujh Ko Mili Hai Kia Hai Mera Emaan Ab Pocho Khuda(j.j) Se Bachpan Main Nabuwat Meray Seenay Pay Rahi Hai JO Agar Hum Na Hotay Tou Yeh Kaaba Bhi Na Hota Kaabay Ki Bunyaad Meray Ajdaad Nay Rakhi Hai Quran Main Maujood Meray Naam Ka Surah Paala Hai Nabuwat Ko Saanad Yeh Bhi Mili Hai... ******* Yusuf e zehra vol 14 ashaar 33 34

Deen ki kashti ka kinara Ali Ali be Saharon Yatimon ka Sahara Ali Ali Aao Duniya Walo Aaj karlain fesla ye Sari Duniya Tumhari,Humara Ali Ali. *************** Suraj ne tartara k kaha YA ALI MADAD Taroon ne dar pae aak kaha YA ALI MADAD *** 13.Maula Husain as ki shaan me… Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar Ba Deeda Tar Hussain Likhna Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke Waraq Waraq Par Hussain liknna

..Huroof Khushboo ke Phool Ban kar Tumhare Seenay Main Khil Uthainge Tum aisa Karna Ke Apni Aankho’n Aur Apne Lab Par Hussain liknna

..Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde Adab Se Sajda Karainge Unn ko Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao’n Ki Jhaalaro’n Par Hussain liknna Yusuf e zehra vol 14 ashaar 35 36

.Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna

Aazan DainGi Tumhari Aankhain Tumhaare Misray Adaa Karain Gi Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar wo TapTay Sehraa Pukaartay hain Tum Aisa Karna K KarBalaa ke Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

.Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat Jahan Shaheedo’n Ka Naam Likhna Tou Sab se Opar Hussain liknna. .

HussaiN rooH me Shamil Hai Zindagi Ki TaraH Ye NaaM Lu To TabiyaT Ko ChaiN milta HAi Yusuf e zehra vol 14 ashaar 37 38

MagaR Ye Faiz Hai Mashroot Ek Baat k Sath YazeeD Dil me Na Ho to, HussaiN Milta HAi.

14.Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me Aasmani aayato ki pairvi hai fatima deen ka suraj mohmmad ki roshni hai fatima betiyo ko dafn karne ki aadat mar gayi sinfe niswa ki jaha mai zindegi hai fatima

ehtramaan purre qad se uth rahe hai mustafa khana e ismat me shayad aa rahi hai fatima naz karta hai khatija ka khazana aaj tak karbala se puche kitni saqi hai fatima

saqi e kausar ki aankho me jo muddat tak rahi halq e kausar ki qasam wo tashnagi hai fatima !

15 azaadaari ….aansu … Yusuf e zehra vol 14 ashaar 39 40

Dosto aao Sunaaon tum ko mein ik WaaQia Majlis se apne Ghar ki Jaanob ko mein chala

Rastey mein Waa'iz se Samna mera ho gya Hasb-e-Adat Tanziya Lehjy me wo ye kehne laga Shirk hai Ghair-e-Khuda per Ashk barsana suno Mein ye Bola bat ab Meri Molana suno… Aadm-0-Hawa ka kiya bete pe rona shirk tha? Hazrat-e-Yaaqoob(as) ne Yousuf(as) pe Q girya kia?? Hay agar tu Umati Sarkar(saww) ka to ye Bata Hazrat-e-Hamza(as) pe Q roye Muhammad Mustafa(saww) Ya tu ab Sarkar(saww) se tu Apna rishta Tod ly ya Azadari pe yoon tanz karna chhor dy Moo bana kar til-milaa kar phr chali uski zubaan kiyo madad Hyder(as) se lete ho bajae ZulJalal..? Mein ye Bola apni Boseeda kitabain to khanghaal us mein mil jaygi tujh ko jang-e-Khaibar ki misaal tujh pe ho jaega Saabit Behs ye bekaar hai Nara-e-haider(as) lagana Sunnat-e-Sarkaar(saww) hai ***************** Hathon main mairay Ya-Rab Abbas ka Alam ho … Dam niklay agar maira! Maah e Moharam ho … Quran parha jaey maiyat pe mairy Yusuf e zehra vol 14 ashaar 41 42

lekin … Uthay jo janaza to Hussain (as) ka matam ho … ************ Ya Ali tere dar ke hum sawali hai, Log kehte hai hum mawali hai, Kya Musalman bhul gaye HADIS-E-NABVI, Kare jo pyar ALI se wohi Halali Hai. ******* parda e ghaib se jis waqt imam (a.s) aaengay hai kahan dushman e Shabbir ye farmaengay shaikhji apni karo fikr hamaray kya hai hum to Abbas a.s k parcham se lipat jaaengay

******

Ali ko khaliq-e-Akber ka ain kahtay hai . Hassan ko kalb-e-Rsialat ka chain kahtay hai Bacha k din-e-Khuda jo Khuda kii laaj rakhay Zubaan-e-Ishq mai us ko Hussain kahtay hai

*****

Bas Kerbala ke gham mein yeh baat milti hai. Har ek aansun ke badle najaat milti hai, Yusuf e zehra vol 14 ashaar 43 44

Gala kata kar ke bhie zinda hai kerbala wale, Na aisi maut aur na hayaat milti hai.. ******* • Do Aesay Janazay Hain Tarikee Main Jo Uthay • • Bus Ghar K He Logo Ne Dono Ko Diye Khanday • • Ek "FATiMA ZEHRA" Hay Ek "BALi SAKiNA" Hay • • PehLo Bh Shekasta Hy Turbat Bhi Shekasta Hy • *******

16. Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me FATIMA s.a. Mustafa saww ki Dua Fatima a.s, Aur Khuda Ki ata Fatima a.s, Rehmat e do jahan Mustafa saww, Rehmat e Mustafa Fatima a.s Aik jaisa hai ye Ghar ka Ghar, Phir bhi sb say Juda Fatima a.s. Kia Khadija Ki Aaghoosh thi, Bn gaein Fatima,Fatima a.s. Aaj aey hain Dono Jahan , Terey zair e Kisa Fatima a.s. Yusuf e zehra vol 14 ashaar 45 46

Deen ki shaan Ihl e Kisa, Shan e ehl e Kisa Fatima a.s. Mazhar e HAL ATA PANJTAN, Mazhar e INNAMA Fatima a.s. Sab nay dekha ki Zainab bani, Baad e Karbo bala Fatima a.s. Sun kay khutba ye sb kh uthay, Bint e Haider hain ya Fatima a.s. Kis mein taqat kay wo likh sakay, Aap ka martaba Fatima a.s. Ik misra tau shayan e shan , mjh ko kejiye ata Fatima a.s. Bs yehi meri tasbeeh hai, Fatima ,Fatima,Fatima a.s. Mein bhi midhat ko hazir hua, Aap ka shukrya Fatima a.s. ****************** "Bint-e-Ali ,Ali Ki Tarha Sarfaraz Hai Zainab ,Khuda Ki Shan Muhammad Ka Naaz Hai Zainab Raza-e-Sabr KiJaiy Namaz Hai Zainab Nabi Ke DEEN kI Ummr-eDaraz Hai. ******* MUJH KO BEHLOL SA DEWANA BANA DE YA RAB KULL E EMAAN KA MASTANA BANA DE YA RAB Yusuf e zehra vol 14 ashaar 47 48

HAR JAGA MATAM E SHABIR A.S KI GOONJAY AWAZ SARI DUNIYA KO AZA KHANA BANA DE YA RAB 17. Maula Ali as ki shaan me… Mai ne kaha k ziker-e-rasool-e-khuda karoon, kehney lagay k haan ye hi johar ki baat hai...

Mai ne kia jo daawat-e-awaal ka tazkira, bolay hatao is mai to haider ki baat hai..

Mai ne kaha jihaad-e-payambar karoon bayaan, khandaq ka zikr hai kahin Khyber ki baat hai, kehney lagay k aur koi tazkira karoo, is mai to saaf zegam-e-dawar ki baat hai..

Mai ne sanaya ayat-e-tatheer ka nozool, bolay k ghar mai rehney do ye ghar ki baat hai..

mai ne nabi ki but shikani ka kia jo zikr.. kehney lagay k dukhti hui rag na chehriye, paye ali(as) aur doosh-e-payambar ki baat hai..

mai ne sunaya jab shab-e-hijrat ka waqiya, bolay k ye rasool k bistar ki baat hai..

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 49 50

mai ne nabi k akhri hajj ka kia jo zikr, bolay k ye gadeer k mimber ki baat hai.. array mai ne kaha k zikr-e-nabi kis tarhaan karoon, ahmad(pbuh) ki baat baat mai haider ki baat hai...

bolay k zikr auroon ka aata nahi hai kia..? Mai ne kaha k ye to muqaddar ki baat hai...

*********

Is tarha se jine ka hunar dete hai Abbas, RagRag me wafadari bhar dete hai Abbas, ye aise sakhi, aise sakhi, aise sakhi hai, kuch mange bina jholi bhar dete hai Abbas..

18. SAARE BOLO "ALI a.s ALI a.s

SAARE BOLO "ALI a.s ALI a.s" BHATKO KA SAHARA.. DUBO TO KINARA.. NABIYO NE PUKARA.. MERI AANKH KA TARA.. MAULA E KAMBAR.. AAQA E ABUZAR.. ZAHRA s.a KA ShauHAR.. HUM SAB KA REHBAR.. Yusuf e zehra vol 14 ashaar 51 52

HUM SAB KA LEADER.. MASJID KE ANDAR.. MIMBER KA REHBAR.. DUM MAST QALANDAR.. TERI QABR KE ANDAR.. TAARO ME MAULA.. SAARO ME MAULA.. PYAARO ME MAULA.. NAARO ME MAULA.. ASHKO ME MAULA.. PALKHO PE MAULA.... ARSH KA MAULA... FARSH KA MAULA.. QAYENAT KA MAULA.... SHIYO KA MAULA.. HUM JAB BHI PUKARE.. BUS USKO PUKARE.. WOH HAAZIR MAULA.... WOH NAAZIR MAULA... WOH QAYEM MAULA.... WOH HAQ KA MAULA.. BAR HAQ KA MAULA.. CHIRIYON KI CHAHEK ME.. HAR PHOOL O PAKAKH ME.. Yusuf e zehra vol 14 ashaar 53 54

SHAMSHEER KA MOLA.. BE SHEER KA MAULA.. TEHREER KA MAULA.. TAQDEER KA MAULA.. GHADEER KA MAULA.. HUM SAB KA MAULA ...... 19. Intezaar

Kitna Ajab Hai Saahib-e-Ghaibat Ka Intezaar Do Dil Ki Zinadagi Mai Qayamat Ka Intezaar Tere Qadam Ka Teri Imaamat Ka Intezaar Issa (a.s.) Ko Hai Namaz-e-Jamaa'at Ka Intezaar Dil AainaBane Hue Sadiyaa'Guzar Gayi'n Kab Tak Nazar Kare Teri Soorat Ka Intezaar Tu Hukm De Agar To Thahar Jaaye Kaainaat Hai Waqt Ko Bhi Teri Ijaazat Ka Intezaar Al Ajal Ya Imam(a.t.f) *******

JALTE HO KYON ALI(A.S) KE KAMALAT DEKH KAR IZZAT KHUDA BHI DETA HAI OQAT DEKH KAR MILTI JO AISE WAISON KO HILTI NA ZULFIQAR TALWAR RAB NE DI HAI Yusuf e zehra vol 14 ashaar 55 56

MAGAR HATH DEKH KAR ************* Zainab s.a. abu Turab a.s. ki Zinaat ka Naam hai Zainab s.a. amanaatoon ki Amanaat ka naam hai Zainab s.a. Hussainiat ki Zaroorat ka naam hai Zainab s.a. Ali a.s. Ke, Khoon ki Taharat ka naam hai Maana Wajood e Shah a.s. mai Pori hai Karbala Zainab s.a. Agar na ho tou Adhori hai Karbala *************

Markaz e anwaar se waabastagi mil jayegi daagh e maatam khil uthengay roshni mil jayegi Karbala me isliye karta hoon marne ki dua maut aatay hi yahan par zindagi mil jayegi ! *********

Zikr e Hussain (a.s) Ne Mujhay Insan Bana Diya, Matam Ko Yoon Jannat Ka Saaman Bana Diya, Ahsaan Hai Mujh Per Mere Hussain(a.s)Ka, Mujh Ko yoon Panjetan (a.s) Ka Ghulam Bana Diya. Yusuf e zehra vol 14 ashaar 57 58

Aarzu Dil-E-ZEHRA k talbgaar ho tum NAAM-E-ABBAS pe mar jane ko tyyar ho tum Aaj bhe shaam ke zinda se sda aati hai tum slamat rho BABA KE AZADAAR ho tum

********** Zikre ALI AS Rasool AS ki sunnat ka naam hay Nutqe ALI AS kalam ki izzat ka naam hay Nam-e-ALI AS Khuda ki mashiyat ka naam hay Madhe ALI AS hamari ibadath ka naam hay

Taufeeq ho to sonchiye kya isme raaz hay main YA ALI AS kahoon to mukamal namaz hay

20. Maula Ali as ki shaan me………….

Sher e khuda mila mujhe nafs e khuda mila, main khush hoon Yusuf e zehra vol 14 ashaar 59 60

mujko mazhar e rabbe ala mila. Naad e Ali pardhi jo nabi(saws) ne ba hukm e rab, khaibar koshaai ke liye khaibar kosha mila, Daykar Ali(a.s) ka waasta maine dua jo ki, naam e Ali ke saath mujhe muddoah mila. Hyder ke ek miltay hi kya kya mila mujhay, imaan mila Rasool milay kibriya mila. Tum ko mila khaleefa sakheefa ki chaaow mai, taighon ki chaaow mai mujhay nafs e khuda mila. Madhay Ali(a.s) ne aouj pa pohcha diya mujhay, sadqay mai buturaab ke ye martaba mila. Girta huwa sambhal gaya jab naam lay liya, wo khush naseeb hai jise moshkil kosha mila.

Khaali raha Ali(a.s) ki Yusuf e zehra vol 14 ashaar 61 62

muhabbat se jiska dil, on ko khuda mila na Rasool e khuda mila. Mahsher mai nafs e nafsi ka hungaam tha magar, Hyder(a.s) ke naqsh e pa se mujhay raasta mila. *********** BE HUBBEY ALI (A.S)JO LOG BHI PADHTE HAI NAMAZ E UTH BAITH TO KARTE HAI IBADAT NAHI KARTE PANI KI HAR Ek BOOND KE MAQROOZ HAI WO LOG SHABBIR KE DUSHMAN PAR JO LANAT NAHI KARTE...... ******* ye mazlis e hussain me nikle hue anson firdous ke bagon me saja deti hai zahra shahzadi zamin par inhe girne nahi deti bach jaye to kausar me mila deti hai zahra

********* Khuda ki Khudai may jalwagari hai Jidar dakhta hon Ali hi Ali hai Ajab shan hai teri ay aanay walay Ki diwaar Kabah ki darr ban gaEi hai Wo farsh-e-Nabi ho ya Arsh-e-Khuda ho Yahan bhi Ali hai Wahan bhi Ali hai Yusuf e zehra vol 14 ashaar 63 64

Isi se hai zahar wilayat ki azmat Khuda bhi wali hai Ali bhi wali

********* Zameen e Qabar kahe gi adu e HAIDER say. Tu mera Haq hai faqat rasm e inteqam nahin. ABU TURAB ke Dushman tu mere paas toh Aa. Jala k raakh na kar doon to TURAB naam nahin. ********* abeen e Arsh Ko Kaaba Bohat Zaruri Hai Dar e Hussain Pe Sajda Bohat Zaruri Hai Jo Chahtay Ho K Allah Tum Se Ho Raza e Fatima Zehra Bohat Zaruri Hai Qasam Hai Bibi Tere Pehlu e Shakista Ki Sitam Daron Pe Tabarrah Bohat Zaruri Hai,

************** Unki peshani ko bose do gale lag jao, Sun ke jo Naam-e-Ali shaad hua karte hai. Aale Mohammad ke dushman se karna yun parhez, Jaise bhige hue kutte se bacha karte hai.

******** DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI, YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?. ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A. HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI.. *************

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 65 66

Yun Gham-e-Shah Ne Fitrat Pe Hakumat Ki Hai, Mere Hontoon Ne Tabassum Se Baghawat Ki Hai, Aur Lab Hilatay Hain Wohi Loog Khilaaf-e-Matam Jinki Maoon (Mother) Ne Amanat Main Khaiyanat Ki Hai.

DAR E ZEHRA SA KOI DAR TO DHUND K LA, DUNIYE MEIN NAHI MILEGA TU JANNAT SE DHUND K LA, HUME FAKR HAI KE HUM HAI IS DAR K GHULAM, TU JAA HUM JAISE KISI AUR KA MUQADDAR DHUND K LA. ******** 21. USS PE LAANAT BESHUMAR ZIKR-E-ALI(A.S) SAY HAIN JO BEZAR , UN PER LAANAT BESHUMAR, JO BHI KARAY IS SAY INKAAR, US PER LAANAT BESHUMAR, "SAAF HAY FARMAN-E-NABI (S.A.W.W) ", MERA WASI HAY SIRF ALI(A.S), "PHIR BHI KAHAY JO UN KO YAAR, US PER LAANAT BESHUMAR, "ZEHAN-E-NABI(S.A.W.W) PER SHAK JO KARAY, BE SAMAJH BAK BAK JO KARAY, "WOH KHUD HAY ZEHNI BEEMAR, US PE LAANAT BESHUMAR, "ZALIM, GHASIB AUR SHATIR, Yusuf e zehra vol 14 ashaar 67 68

TEENO K TEENO KAFIR, "BIBI ZAHRA(S.A) HAIN JIS SAY BEZAAR, USS PE LAANAT BESHUMAR ************** Khuda kisi ko jab urooj-e-kamal deta hay, Darr-e-BATOOL s.a ki chokhat pe daal deta hay, Jo aadmi ko parakhna ho YA ALI keh do, Ye wo amal hay jo shajrey kangaal deta hay..

******************

Apni Jannat Ko Zara Aur Saja Le Rizwan, Is Se Acha Toh Mere Ghar Ka Azakhaana Hai, Zid Na Kar Tu Mujhe Firdos Main Le Jaane Ki, Raasta Chhodh Mujhe Karbobala Jana Hai.....!

*************** Pyaas k lafz se wabista hai itna pani, Jab kabhi pyaas likha aankh se nikla pani, Kya wafa thi k baha khoon tu samjha pani, Khoon samjha use jab Mashk se tapka pani...

22. Maula Ali as ki shaan mai,,,, Dil ki mehfil ko saja'o Ya Ali kehney ke baad munkiron ka dil jala'o Ya Ali kehney ke baad Yusuf e zehra vol 14 ashaar 69 70

mominon aur munkiron ka khud pata chal jaye gaa chehra chehra aazma'o Ya Ali kehney ke baad hai qaseem un naar wa jannah Ali al-murtaza khud ko dozagh se bacha'o Ya Ali kehney ke baad zikr e ahle bayt se roshan karo dil ke charagh mehfilon ko jagmagao Ya Ali kehney ke baad fitna sazon se bacha e gaa hisaar e panjtan ma'rikon mein fatha pa'o Ya Ali kehney ke baad bargah e Rabb mein hon'geen sab dua'ain mustajaab apney hathon ko utha'o Ya Ali kehney ke baad

eik ho jao musalmano khuda ke wasitey aag nafrat ki bhuja'o Ya Ali kehney ke baad majlis o mehfil ki zeenat hai zafar naam e Ali har khushi har gham mana'o Ya Ali kehney ke baad ya ALI MADAD A.S ********

Nadamat aankh me hoti hai chehra zard hota hai. Wilayat per munafiq ka rawaiya sard hota hai. Hamein to 14 sadiyon se bas yehi samajh aaya. HUSSAINIAT se jo takrayey wo dahshat gard hota hai.

************** Gazi ki shuja'at ka ye unwaan bhi hoga, mashkize mai darya hai toh tufan bhi hoga, Yusuf e zehra vol 14 ashaar 71 72

ABBAS ke parcham ki taraf gaur sey dekho, panja hai toh bai'at ka gireban bhi hoga. *********

ast-e-Qudrat K Isharey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain..., Haq K Pur Noor Nazarey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain...,

Woh To Kehtay Hain ALI (A.S) Ka Sahara Hai Biddat..., Hum To Nabiyon K Saharey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain...,

Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai,

Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai,

Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib, Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai" ***********

23 દલ થી કરો ુકાર કહો યા અલી મદદ,

દલ થી કરો ુકાર કહો યા અલી મદદ,

ુ કલ છે બે ુમાર કહો યા અલી મદદ

તોફાન થી ખડક થી વમળથી ડરો ન હ,

થઇ જશે બેડો પાર કહો યા અલી મદદ Yusuf e zehra vol 14 ashaar 73 74

ુલઝાર માં છે દૌર ખઝાંનો તો ું થ , ું

આવી જશે બહાર કહો યા અલી મદદ

છે એ ું એ ું ૂર કો હો રાત એ છતાંય,

ઉગી જશે સવાર, કહો યા અલી મદદ

વન, જગત, જમાનો - બધાને તી જશો,

થશે કદ ના હાર કહો યા અલી મદદ

ખયબરના ાર મ તરત ઉઘાડ જશે,

તકદ ર નાય ાર, કહો યા અલી મદદ

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 75 76

બેફામ દલ ના દદ ની ચતા કરો ન હ,

થઇ જશે સારવાર, કહો યા અલી મદદ

24. Maula Ali as ki shaan me

Man mouj mein hay,Tan auj pe hai, HAQ paak sakhi sultan ALI. Sartaj suhag aqeeday ka, har momin ka emaan ALI.

Mimber,Mehrab,qaza,masnad , Sab soum salaat azan ALI. Har aayat ka mafhum ALI, maqsoom ALI meezan ALI.

Bey aib saheefa ismat ka, Lareb Qadar QURAN ALI. Merey Qibley ki saj dhaj zeenat, terey Kaabey ka mehmaan ALI.

Paataal ki teh se arsh talak, merey KHALIQ ki pehchaan ALI. Sab NABIYON ka sardar kahey, Yusuf e zehra vol 14 ashaar 77 78

mera jism ALI meri jaan ALI. ********* 25. Azaadari……. Paak Dil, Paak Nasab Chahiye Is Gham Ke Liye, Haath Har Shaks Ka Uthta Nahi Matam Ke Liye, Kaandhe Maqsoos Hai ABBAS (a.s.) Ke Parcham Ke Liye, Hum Ko ALLAH Ne Bheja Hai Moharram Ke Liye, Arsh Neecha Hai Bohot, Farsh E Azaa Uncha Hai, Is Ka Ek Ashk Bhi Jannat Se Kahi Mehnga Hai.

MAATAM E SHOUQ KO KHUD SE JUDAA NAHIN KARTE HUM APNE DIL PE KABHI YE JAFAA NAHIN KARTE ALI a.s KA ISHQ Yusuf e zehra vol 14 ashaar 79 80

AIK AESI NAMAAZ HAIN JISKO KISI BHI HAAL MOMIN QAZAA NAHI KARTE

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 81 82

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 83 84

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 85 86

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 87 88