Ajib-Tarz.Pdf
Total Page:16
File Type:pdf, Size:1020Kb
Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi tumhin the badle hue ya meri nigahen thin tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai tumhare ohad ki denen tumhen mubarak so tum ne mera swagat usi tarah se kiya jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai takallufan mere nazdik a k baith gaye phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai ujar rat ki tanhai kya qayamat hai shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr bozdar.comrawayatan hi sahi koi bat to karte. ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun sab ziden us ki main puri karun har bat sunun ek bache ki tarah se use hansta dekhun mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna usi rut main mahakta dekhun tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun apni ruswai tere nam ka charcha dekhun. Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha, Main raah dekhti rahi, woh rasta badal geya, Woh sheher hai ke jadugarniyon ka koi des, Wahan to jo geya kabhi laut kar na aasaka, Main wajah-e-tark-e-dosti ko sun ke muskurayi to, Woh chaunk utha, ajab nazar se mujh ko dekhne laga, Bichar ke mujh se, halaq ko aziz ho geya hai tu, Mujhe to jo koi mila, tujhi ko puchta raha, bozdar.comWoh dilnawaaz lamhe bhi gayi ruton mein aye jab, Main khawb dekhti rahi, woh mujh ko dekhta raha, Woh jis ki ek pal ki be’rukhi bhi dil ko haar thi, Usey khud apne hath se likha hai, mujhe bhool ja, Damak raha hai aik chaand se jabee’n pe ab talak, Gurez’paa mohabton ka koi pal theher geya.. Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua, Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua, Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha, Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua, Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain, Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua, Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey, Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua, Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki, Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua, Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain, Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua, Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene, Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua, Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon, Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua.. bozdar.comKaisay Chhorain Ose Tanhayi Per ? Harf Aata Hai Maseehayi Per Oski Shohrat Bhee Tou Phaili Har Suu Pyaar Aanay Laga Sodaayi Per Theherti Hee Nahin Aankhain Jaanan ! Teri Tasweer Ki Zebaayi Per Rashk Aaya Hai Bohat Husn Ko Bhee Qaamat-e-Ishq Ki Ra’naayi Per Sataah Se Dekh Ke Andaazay Lagain Aankh Jaati Hee Nahi Gehraayi Per Zikar Aaye Ga Jahan Bhanwaron Ka Baat Ho Gi Meri Harjaayi Ki Khud Ko Khushbuu Ke Hawaalay Kar Dain Phool Ki Tarz-e-Paziraayi Per Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye bozdar.comPairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye. Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa Magar Ye Dil Teri Jaanib Se Saaf Bhee Na Howa Taaluqaat Ke Barzakh Mein Hee Rakha Mujhko Wo Mere Haq Mein Na Tha Aur Khilaaf Bhee Na Howa Ajab Tha Jurm-e-Mohabbat Ke Jis Pe Dil Ne Mere Saza Bhee Paayi Nahee Aur Maaf Bhee Na Howa Malaamaton Mein Kahan Saans Le Sakain Ge Wo ? Ke Jin Se Ko-e-Jafa Ka Tawaaf Bhee Na Howa Ajab Nahee Hai Ke Dil Per Jami Masli Kaayi Bohat Dinon Se Tou Ye Houz Saaf Bhee Na Howa Hawa-e-Deher ! Humain Kis Liye Bujhaati Hai ? Humain Tou Tujh Se Kubhi Ikhtilaaf Bhee Na Howa. Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ? Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ? Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ? bozdar.com Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ???????? Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per Kon Ye Haar Sa Pirota Hai Raat Ke Bekaraan Andheray Mein Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai bozdar.comNam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ? Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath. Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ? Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga Tha, Meri Nazron Mein Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per bozdar.comMujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye. Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi Thi Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak bozdar.comMuqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata. Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay. Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi bozdar.comPhool Kis Rung Ka Khil Raha Tha Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup Thay Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha. Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ? Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ? Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ? bozdar.comUsi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai, Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai, Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail, Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai, Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ? Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai, Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota, Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ? Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai, Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…! Sheher ko teri justaju hai bohat, In dinon hum pe guftagu hai bohat, Jab se parvaaz ke shareek miley, Ghar bananey ki aarzoo hai bohat, Dard reh reh ke sar uthaata hai, Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat, Kuch tou woh yaad bhi bohat aya, Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat, Peeney wali aankh hai darkaar, Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat.