Poetry Series

DEEPTI MISHRA - poems -

Publication Date: 2017

Publisher: Poemhunter.com - The World's Poetry Archive DEEPTI MISHRA()

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 1 Ab Apna Haal Pehle Sa Nahi Hai.

Ab apna haal pehle sa nahi hai Jo dil her baat se behel jata tha kabhi, Aaj wo Dil, Dil SA nahi hai. Tumko tanhaiyan thi pasand, Wo bhi de di tumko, Kya karein, ek teri khushi se jyada kuch chaha hi nahi hai.

Patjhad ke sookhe patto si bikhri Ab ye zindagi ho gai hai, Tere sang bheege hue ek umra ho gai hai, Meri rooh tak ko jo bhiga de, Ab mera wo sawan laut ke ata hi nahi hai. Ki ab koi mausam, mausam sa nahi hai. Ab apna haal pehle sa nahi hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 2 Ab To Aise Hi Bus Jiye Jate Hain

Kyun ker gae roj pyar k paigam bhejne ka mujhse wada, Ki Tere ek khat k intzar me, hum roj daakiya ki raah taankte hai, Roj aaoge mujhse mere khwabo mein milne, jate jate ye bharosa dia tha tumne, Ki tere khwab ke intzar mein raat bhar jagte hain.

Yakeenan mohabbat tumhe bhi hogi humse, Per izhar ka shayad tumhe waqt nahi mila Ye sach hai ya wahem hai mera pta nahi, Ab to bus isi kashmkash me hum jiye jaate hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 3 Ab To Ye Dard Nahi Sambhalta

Is tarah bas gya h mujhme tu, ki ab tera bojh nhi smbhlta, Tu na hoke bhi aise sang hai mere, ki ab ye tera sath bahut hai mujhko khalta.

Her kadam pe itni tanhaiyan dekh li hain, ki ab ye bheed ka akelapan bhi dasne hai lagta, Bahut ho gaya, Pyar ke naam pe fareb, dosti ke naam me matlab, Ab to ye rishto ka doglapan humse nahi sambhalta.

Bahut baha liye teri wafa ke liye aansu humne ae begairat, Ab to ek ansu bhi gire jo ankho se to mera rukhsar hai jalta. Jiski ek chhoti khushi ke liye bhi kalame padh liye krte the khuda ki ibadat ke kabhi, Kya khub toda hai bharosa usne, ki ab to uske liye ibadat krne karne ko ye hath bhi nahi uthta.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 4 Accha Hai.

Tanhaiyan her pal ki sathi ban jae isse pehle Mashgool hona accha, Koi ker jae tumhe apna ke akela Isse pehle usse dur ho jana accha.

Yaadon ki takleef jab hadh se badh jae To unhe dafna dena accha Koi ker de majbur tadap ke jeene ko isse pehle mar jana accha.

Jo waqt takleefe dene lage Us waqt ko mita dena accha Nasur ban jae jab dard dil ka Isse pehle dil ko patthar bana lena accha.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 5 Adhoori..

Aaj ye sard hawa chhoti hui yun guzar gai, Jaise kuch ankaha sa sach mujhse keh gai. Sirf mausam ka mizaz kahu ise ya apna mazak samjhu, Ki ae shakhs teri mohabbat adhuri reh gai, ki meri mohabbat adhuri reh gai.

Waqt ka sitam samjhu ya mukaddar ka koi khel, Jab tany tha usse biccharna to hua kyun ye mel, Ek hum hi to nahi akele aise duniya me, Ye bol k samjaun is dil ko? Ki meri bhi chahat adhuri reh gai.

Raat ki tanhai uski yadon ka sath, Pehle pyar se pakadna fir majburi se chhurana uska hath, Ankho se ankho ka takrana to hua, per ek baat labo pe adhuri reh gai, Ki tum chale gae, aur wo baat adhuri reh gai, meri tumse mohabbat adhuri reh gai.

Wo tujhse ruthne ke mausam, Wo tere manane ka andaz ab bhi bahut yaad ate hain, Mera khyal rakhne k tere wo andaz ab bhi hotho pe mere muskan late hain. Tere her mizaz pe ek nazm likhi thi, Bus tere judai k andaz pe likhi ek gazal adhuri reh gai.

Socha tha tere dil pe raaj karenge, Teri mohabbat k siyasat k sartaaj banenge, Na hua ye khwab poora per ankho pe un khwabo ki nami reh gai, Ki kisse kahe ki tujhse humari mohabbat adhuri reh gai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 6 Aisa Kyun Hai?

? Ae dil aaj dil tu use dhoondhta kyun hai? Ae dil aaj tu khud ko yun tatolta kyun hai?

Wo rehta h dimagdaro k duniya mein ab kahin, Kho gaya hai uska wo alhadpan ab kahin Fir tu aaj use apne pagalpan me dhoondhta kyun hai?

Wo jo kehta tha tujhse ki tu janasheen hai mera, Tu hi humnawan hum rahgir hai mera, Fir tu aaj yun tanha dar badar bhatakta kyun hai?

Wo jo kehta tha tujhse ki tu ujala hai mere makano ka, Tu hi gulshan hai mera mere gulshandano ka, Fir aaj tere hi ghar me andhero ka itna saya kyun hai?

Kabhi ankho me basaya tha jise, Leke firta tha mohabbat ka samnder jiske lie, Fir aaj use aansuo me chhipata kyun hai?

Tujhe basaya tha khud me sanso ki tarah kabhi, Samaya tha tu mujhme meri hi tarah shayad kahin, Per aaj khud me hi khud ko ye dhundhta kyun hai?

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 7 Aise Hum Kahan..

Tujhpe likh sake aisa hum mein hunar kahan, Ki wo kahani tu, jiska nahi pata ant hai kahan, Tujhe pane ka intzar kar to le hum, Per Itna mere sabar me Sabar hai kahan. Kash Bhool jaye tujhe ye koshish baar-2 karte hai, Per itni asani se jise bhoola jaye aisa tu bashar kahan.

Tujhe pyar kya ibadat bhi karte hain, Per meri itni ibadat ka tujhpe koi asar kahan. Mohabbat me teri mashgool kya hue, Ye jahan kya ab to khud bhi khabar kahan, Marna mitna, ishq me kuch kar guzarna, Ishaqjado ki sazayein hain, humpe hi bus ishaqq ki nazar kahan.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 8 Atake Se Hain..

Teri yaado me atake se hain, tere sath ko tarase se hain, Teri baaton me to shamil hain hum, magar tere izhar-e-chahat ko tarase hain.

Her raah pe sang rehte ho tum mere, per fir bhi tere sath ko hum tarse se hain.

Her raat khwabo me ake armano ki shama jalate ho tum, Fir bhi tere ek khwab ko haqiqat banane ko tarse se hain.

Ye arman poore honge bhi ya nhi pata nahi Fir bhi ummeed ka diya jalaye hum baithe se hain.

Jis raah se chale the tum sath mere, Aaj bhi hain waha kadamo k nishan tere Nikal gae ho akele hi bahut door talak Laut aao tum ki hum ab bhi us raah pe tere intzar me ruke se hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 9 Aur Kya Maangu..

Aur kya maangu main, ek tujhe paane ke baad Her raat beetne lagi hai ab meri, ab tere khwab ke sath. Ab kya mangu main neende, tera khwab ane ke baad. Aur kya maangu main, ek tujhe paane ke baad.

Roj mulaqato se dil bharta hai kahan, Sirf deedar se sukun milta hai kahan, Yaadein bechain karti hai besabar hoker, Ek tujhse mulakat ke pehle, ek teri mulakat ke baad., Aur kya maangu main, ek tujhe paane ke baad.

Yun to ban chuke ho tum her tarah se mere, Hum bhi kal the, aaj bhi hai, aur rahenge sirf tere, Per apna lo ab mujhe bhi tum, zamane ki chand aur rasmein nibhane ke baad. Aur kya maangu main, ek tujhe paane ke baad

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 10 Aya Hai Ek Khyal, Roj Ke Khyal Ki Tarah

Aya hai aaj ek khyal, roj k khyal ki tarah, Kaun karega pyar tumhe, yun meri tarah. Sochte hain ki ye khyal sirf hai mera Ya tumko bhi ata hai ye khyal, meri tarah.

Roj ruth bhi lete hain, kabhi mana bhi lete hain, Kabhi tum humko, hum tumhe yun sata bhi lete hain, Sochte hain ki ye sirf humpe hai meherbani ya koi aur baat Ya mana lega koi bhi tumhe, yun meri tarah. Ki aya hai bus ek khyal, roj k khyal ki tarah.

Hum na honge tab bhi kya tum yun hi muskuraoge, Ya dekh ke meri tasveer, is waqt ko fir se bulana chahoge Na honge hum sath to bhul jaoge hume, Ya karoge intzar mere laut ke ane ka humesha, tum meri tarah. Bus yun hi aya hai khyal roj k khyal ki tarah.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 11 Badal Jate Hain

Roj hi ate hain aapke khyal, roj hi ek kalaam tumpe likhne ko hum ye kalam uthate hai, Per lafzo ki bewafai bhi kya khub hai humse, ki kagaz tak ate ate alfaz badal jate hain.

Yun to kar lete hain khyalo me tumse mulakatein bina waqt aur zamane ke pehre ke. Haqeeqat me lekin jab bhi uthate hai kadam tum tak pahunchne ko jane kaise chalte chalte tum tak pahunchne wale raste badal jate hain.

Aaj bhi wahi chahat tumhari ankho me dikhti hai Aaj bhi meri tumhare naam tak pe thamti hai Jab bhi milte ho wahi chahat mere dil me jagate ho, Kaun kehta hai waqt ke sath jazbaat badal jate hain.

Milte ho jab bhi tumhe seene se lagane ko jee chahta hai, Zamane k saamne izhar-e-mohabbat karne ko dil ata hai. Ab koi sila bhi to nahi izhar ka, Koi aur jo ban gya hai hai haqdar tere pyar ka, Sach hi Kehte hai Jaane wale fir laut ke kab ate hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 12 Badla Sa Hai..

Aaj kuch mujhme badla sa hai Aaina wahi hai, per aaine me mera aks kuch badla sa hai. Tu hai ya nahi koi ferk nahi, Fir bhi Aaj ye ferk kuch badla sa hai. Gumsum se ehsas, chup c tanhai, Kab se hai mujhme samai, Fir bhi ye tanha ehsas kuch badla sa hai. Her pal me rehta hai khyal tera Saanse chalti hai leke naam tera Fir kyun tera khyal aaj kuch badla sa hai Wahi raat ka andhera wahi din ka ujala hai, Fir bhi mere lie ye raat aur din badla sa hai. Teri yaad bechain krti hai, pal pal din rain krti hai, Fir bhi ye bechaini ka aalam kuch badla sa hai. Wahi fizaein h chahat ki teri, wahi dhoop hai inayat ki teri Fir bhi aaj is hawa ka rukh kuch badla sa hai. Tare gin gin k raatein katti h, raah dekh dekh din gujarta hai Fir kyun aaj ye intzar kuch badla sa hai, Raat wahi baat wahi hai Chhedti h jo meri saanso ko her pal teri awaj wahi hai Fir aaj akhir teri awaz ka ye saaj kyun badla sa hai?

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 13 Bin Tere..

Na chahat hai ab in chaand sitaro ki Na khwahish rahi hai ab to humein in aasmano ki Ki jo mil gae ho ab tum humein Ab to parwah nahi koi zamane ke afsano ki.

Ab to ye chandni bhi gehri raat lagti hai Ki jab tum nahi hote sawan bhi sookhi barsaat lagti hai Na paun jo tujhko kareeb to ye saanse bechain si rehti hain Zara sa ilm bhi jo hota hai tujhse judai ka, to raat bhar ankhe behti hain

Tum ho to ye jalti dhoop bhi chhaon lagti hai, tum bin to ye thandi chhaon bhi aag si jalti hai. Sang tere her lamha thehre, tum nahi to bus mujhpe ye waqt ke pehre Tum ho to chahat ke her lafz se tumhari mehek ati hai, Tu na ho to kitabo me rakhe tere diye gulabo se bhi khushboo chali jati hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 14 Bura Tha

Meri nazro ke samne ana tera ittefaqan hua, Per meri ankho me tera is tarah bas jana bura tha Na tum bure the na hum galat the Bus le gaya jo tumko mujhse dur Shayad wo waqt bura tha.

Tere ane ki khushi to bahut hui thi, per tera mujhse dur jana bura tha. Tera mujhko apni chahat dena to marzi thi teri, per tera meri chahat ko yun azmana bura tha.

Ki aa jao ab to laut ke, Teri judai mujhme adhurapan sa diye ja rhi hai, Ek aah ab bhi uthti hai tere naam pe, Apni saanso ko tera mujhme chhor jana bura tha.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 15 Bus Aap Mangte Hain

Na shoharat, na izzat, na hukumat mangte hai Apni hi tarah tere dil me apne lie akeedat mangte h.

Na rahmat na ehsan na aap mangte hain, Bus apni sanso ki tarah teri sanso pe bhi hum apni chhap mangte hain.

Na charago ki roshni, na aaftab, na shabab mangte hain, Bus uljhe se kuch sawalo ka tujhse bus jawab mangte hain.

Na tere suro mein apna saaz, na teri nazmo me apni baat mangte h Bus mere chehre pe jo de sake ek muskurahat humko, tera aisa mizaz mangte hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 16 Bus Tum..

Jab jab kuch likhne ko dil chaha, Teri her ada ko lafzo me utara, Jab jab kuch gane ko dil chaha, Teri her kahi baat ko gungunane ko jee chaha.

Raat ki her silwat pe naam likha hai tumhara, Khwabo ki tamanna b jo ki to bus khwab dekha h tumhara.

Jab bhi hatho ki lakiro ko nihara, Un lakiro me bhi aks dekha h tumhara.

Kabhi intzar ka bhi intzar karke dekha hai kya kisi ne, Ki intzar k her lamhe dia h humne naam tumhara.

Na chaho hume tum, hume koi gila to nhi, Per sirf tujhe ishq k lie hi dil dhadka hai humara.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 17 Chal Diye

Her kadam pe sath chalne wale, aj ek mod pe ake chale gae, Kuch dur chale tham k hath, ek mod k pehle hath chhod k chale gae. Meri tanhai k sathi banne wale, Ab khud tanhai dekar chale gae. Akele rhne se jo darte the khud kabhi, Aaj humko akele rehne k lie chhor gae. Raat k andhero se darne wale, aaj mere jahan me andhera karke chale gae. Her baat me mujhko manane wale, aj bin baat k humse rooth k chale gae. Meri her ada pe marne wale, Aaj apni ek ada pe humko marta chhor gae. Meri hansi ko apna arman batane wale, Apna arman zamane ko bechkar aaj chale gae. Mere hi dil ko apna ghar samajh k rehne wale, aj apna ghar bech k chale gae. Dur jana bhi humse jise ganwara na tha, Ankho ka dard chupane k lie mud k dekhe bina hi wo chale gae.

Her baat me hume apni jaan batane wale, Jate jate mujhse, meri jaan sath lekar chale gae.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 18 Destiny

We may pretend to be careless to each other But still a thought of your remains there, We may not be in contact now, But still think to reconnect, but dont know how. Lets cheers this day again as we used to, Let's celebrate this day, as the best you could do. I wish you a very happy life and better than better I m there or not, it doesn't matter.

We may pretend to be happy without each other But what actually happiness is, perhaps we felt never. Sometimes it seems like nothing has changed, My feeling for you still didnt get fade. What changed is only, you and calendar's date.

Sometimes it seems the distances are very long to reach Seems there is a sea, and we both are standing on opposite beach. This is destiny, what took you away from me, But you will always find me, if any trouble there would be. Do not regret what we lost, But cheers the memories, what we made in the past.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 19 Dooriyan

Abhi kuch waqt hi guzra hai tumse mile hue, Tumko jane hue tumhe pehchane hue, Aur itni jaldi humko tumse door beraham ghadiya kiye ja rhi hain.

Tumse bicchadne ki ghadiya kareeb aa rhi hain, Abhi kuch waqt pehle hi to nazdeekiya badhi thi tumse, Aur tumse ab door humko ye majbooriya lie ja rhi hain.

Kaha tha ilm Hume hi tumse nazdeekiyon ka, Ki nazdeekiyon ka pata ab ye dooriyaan diye ja rhi hain.

Abhi kuch waqt pehle hi nazro ka milna shuru hua tha, Dil se dil ka nata banna shuru hua tha, Aur itni jaldi hume tumse ye dooriya kie ja rhi h.

Abhi to tujhse milne ka jashn hi mana rhe the, Teri khushiyon ko apna bana rhe the, Aur tujhse ishq karne ko majbur ye teri judaiyan kie ja rhi h

Ki humko tujhse door ye waqt ki sooiyan lie ja rhi hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 20 Due To You

I never loved to anyone such intensely But the moment I saw you My heart beats increased tremendously I was never so carefree Never such Kind Neither got into a fight But everything changed Just with your first sight..

I never eager to meet anyone like you.. but when I met you, I got knew I really need someone like you. I was never so adorable Never found myself loving But you made me realize This love is all about caring.

This world is was not so beautiful until I met you. Now I never want to loose this beauty if I am with you. I never knew the beauty in me. You are the one who found real beauty to see.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 21 Ek Bar Fir

Ek baar fir tumse pyar karne ko jee chahta hai, Ho gaya hai gum jo mere aur tere darmiyan, Wo meetha sa ehsas dobara lane ko jee chahta hai.

Wo milne ki betabi jo mehsus kiya karte the kabhi Ek baar fir se uss soyi si bechaini ko dil me jagane ko jee chahta hai. Jhalkta tha kabhi jo ankho se bewajah, wo pyar teri ankho me dekhne ko fir se jee chahta hai.

Kabhi ajnabi hoke bhi tum apne se lagte the Aj apne hoke bhi ajnabi se lagne lage ho Ab bhi chhupa sa hai mujhse, wo jaan lu tera Bus Is khatir ek baar fir se tere liye ajnabi banne ko jee chahta hai.

Barisho ke mausam ate hai ab bhi, Tum sath tab bhi hote the aur ho ab bhi Per ab iss mayuss sawan ki boondo mein aag lagane ko jee chahta hai.

Kash wo waqt, wo tum, wo ehsas laut ke fir se la saku Ye soch ke sab kuch daanv pe lagane ko jee chahta hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 22 Farak Hai

Yun to teri her ada ajeez hai Per teri jis ada pe mar mite, us ada me farak hai Yun to apni her nazm kuch kehti hai Per teri adao pe jo likhi thi ek ghazal Ek roj kabhi, Us ghazal ke lafzo me farak hai.

Tanhaiyaan to pehle bhi sang mere, Per tum ake jo gae ho meri duniya se, To ab in veeraniyon me bhi farak hai. Pehle bhi jeete the zindagi, tum nahi the fir bhi khush rehte the Per tum kya gae ho is tarah se ake Ki ab apne jeene me bhi farak hai.

Milte hai roj ashiq mizaz dil fenk aj bhi Karte hai haal-e-dil bayan apna mujhse Per apna bhi dil kisi pe ata kahan hai Shayad Unki dillagi me farak hai

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 23 Fir Bhi..

Ek sangdil ko dil me basane ka gunah humne kia haj, Ek ajnabi ko apna banane ka humse hua hai, Mili hai bewafai to uske saare khat jalaye hain humne Fir bhi na jane kyun uske ghar ka pata rehne dia hai.

Usse chahat ki ummeed karke nadani hui hai humse, Per is nadani ki saza bhi kya khub mili hai. Bewafai me koi kasar usne chhori nahi, Fir bhi bewafai ka ilzam usne humko dia hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 24 For Your Birthday My Love..

There are thousands of way To wish happy birthday. But still i am wandering How should I say?

There are tons of presents To make the day memorable But when I think to gift you something For you, I find nothing, suitable.

I wanna celebrate this day As a festival of the year Either you are far or you are near Wanna give you all that can make you smile That stays forever not for short while

For other it is just your birthday But for me, it is day when God sent an angel from heaven With whom i wanna share not only this life even all seven.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 25 Gum Hai

Mera paas hona sirf, Teri Khushi ka sabab tha kabhi, Aaj hai, ki Khushi ka sabab hai, per tere hontho ki muskan kahin gum hai. Sharartein Jo umadti thi mere sang kabhi, Aaj wo meethi si chhedkhaniyan kahi gum hai. Dhundhte firte hain, tujhme ab sada Na Jana kaha wo Teri, mere lie Jo thi, chahat kahin gum hai. Humkadam to ho tum mere ab bhi Per mere hatho se tera hath gum hai. Ek waqt tha jab her ada meri tumhe alag si lagti thi Ab kuch bhi tumhe kabil-e-tareef nahi dikhta Shayad jis ada pe tumhara dil ho machalta, wo ada mujhme gum hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 26 Hai Kitna Mushkil..

Ye Izhar bhi hai kitna mushkil Ker du gar izhar-e-chahat tumse, to tumhe naraz Karun Na Karu to khud se beimaani

Ek tarafa pyar bhi kahan hai aasan Na karu to dil pe zulm, karun to teri badnaami.

Sach hi hai, ye ishq hai ek aag ka dariya Kashti utaru to tu jale, Na tair saku gar main, to dil jale.

Is ishq me, ankho se ojhal hona bhi meelo ki doori lage Per her pal tujhe ghooru to tujhe naraj karu Na dekhu tujhe to ye ankhein jale.

Ek Tujhse milne ki khatir raat ka intzar karun, Aur gar na mile fir khwabo me tu, to apni neendo se shikayat karu Aur mile tu to neend k tootne se khud toot jaya karun.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 27 Her Baat Me Tum

Her fikr, her kadr, her zikr me tum Ki teri her baat me hum aur meri her baat me tum.

Her nazar her safar her bashar me tum Ki teri her raah me main aur meri her raah me tum.

Her chahat her aahat her ibadat me tum Ki teri her saans me main meri her saans me tum.

Her ada her sada her ishq ki ehsas me tum Ki teri her aas me main meri her aas me tum.

Her lamha her katra her jazbaat me tum. Ki terr her sawal me main mere her jawab me tum.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 28 I Wanna Steal...

From the memories i wanna steal Those hour When I used to wait when you were far. And u used to say 'sorry for being late' And i say 'waiting for u only is my fate'

From the memories I wanna steal those minutes In those, I used to dream of our future And u make me believe that everything gonna be much better.

From the memories I wanna steal those seconds When you used to make me smile whenever i was sad You used to tease me, saying that ' you are purely mad'

From the memories I wanna steal those words Which you used in your poems, written for me. Because i dont want to share a single feeling that comes between you and me.

From the memories I wanna steal every single moment, every single feeling that was related to us. I wanna steal all those moment that were really precious, And all your shyness, all my blush.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 29 If I Do..Then I Love You..

? If the feelings of mine towards you is love, then i love you.

If looking into your eyes to find myself is love, then i love you.

If thinking over the day jst only you is love, then i love you.

If keeping you inside myself is love then i do i love you.

If I cant shape my life without you is love then i love you.

If sharing my pain my happiness with you is love then i love you.

If my breath misses you is love then i do i love you.

If having desire to be yours forever or making you mine is love then i love you.

If trusting you like god is love then i love you.

If smiling to see you is love then i love you.

If striving for being better for you is love then i love you.

If finding you perfect in the world is love then i love you.

If saying 'you are my angel ' is love then i love you.

If dreaming you evryday is love then i love you.

If being afraid of loosing you altime is love then i love you.

If feeling lonely without is love then yes i love you.

If this poem is love then i love you.

If your words and thoughts mean alot for me is love then i love you.

If trusting you with all my heart is love then i love you.

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 30 DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 31 If It's Love..

True love can never be defiNed.. It is only a feeling.. and in only a true heart it can be confined. It neither happens so easily nor so suddenly But once it happens, both get fall in love madly. If its love, it will remain incomplete, It's only heaven, where two can meet. In love, no one is dumb, and no one is smart It starts from heart, and ends on the heart. A true love never needs to be physical, It's the attachment of two souls, and definitely magical. When two are in love they never care, whether hairs are black or white, They don't care the world, they only choose whatever is right. Love can make you happier than you've ever been And gives such a pain, you have never seen. A true love neither look on the beauty of face, Nor it is bound to any kind of distance. One can feel the emotion of other, If something true is in between there.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 32 Incomplete.

Tum gae tumhara sath gaya, Jo reh gai mere paas wo thi bus teri 'yaad'

Tumse kahi her baat apne dil ki Per jo samjha na paye tujhe, wo the mere dil ke 'Jazbaat'

Kya pata tha tum ek din yun hi bin kahe kuch chale jaoge Warna na karte hum rooth ke tumse, wo 'waqt' barbaad

Sochte the ek din tum, bin kahe hi samjh loge, Jo kehni reh gai tumse, wo 'baat'

Tamam raatein kaat di soch ke, ki kash main bhi teri 'aarzoo' ban jau Jaise dilbar ki khwahish hai tumhe, kash main 'hu-ba-hu' ho jau,

Wo waqt guzar gaya yun ek pal ki tarah, Mutthi se fisali ho jaise 'rait' ki tarah, Ab wo waqt to laut ke nahi la sakte Per kash ki tumhe pa saku, jaise kisi 'jadui chirag' ki tarah Mang saku khuda se kash tumhe jaise Marne se pehle 'aakhri khwahish' ki tarah

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 33 Is Dil Ka Karein To Kya Karein..

Koi kasoor Na uska, Na khata Hui humse, Ab ho gai Mohabbat, to ho gai, Ab iss Dil ka karein to kya karein. Uske alag se Andaaz pe aa gaya Jo Dil, To uske Andaaz ko kya kahein.

Baitha Kie ghar ki chaukhat pe roj, Bahane se uski galiyon se bhi guzarte rahe, Tadapte rahe uski ek jhalak ke lie, Per hotho tak lafz Chahat ke lane Na die, Jab ilm hi nhi hone Dia usko apni Chahat ka, To isme usse gila krein to kya karein. Ab ho gai Mohabbat, to ho gai, Ab iss Dil ka karein to kya karein! ! !

Teri Nazar Meherbaan ho mujh pe, Tujhe, aisi mujhme koi baat nahi dikhti Aur tujhe main nazarandaz Karu, Aisi koi baat mujhe tujhme nahi milti Ab tujhe dikhave hi hain pasand To isme meri sadagi kare to kya kare? Ab ho gai Mohabbat, to ho gai, Ab iss Dil ka karein to kya karein! ! !

Lagate rahe Apne jazbaton pe pehre, Baha Na le jae Teri Chahat ka sailab kahi, iss Darr se rahe, ek arase tak, kinare pe hum thehre Ek Umar bhar Baad bhi Jo ye Kasak khatam Na Hui hai, To ab iss deewangi ka karein to ya krein! ! Ab ho gai Mohabbat, to ho gai, Ab iss Dil ka karein to kya karein.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 34 Iski Wajah Kuch Aur Hai..

Yun hi nahi gae tum mujhse door, Iski wajah kuch aur hai. Lakh keh lo ki mujhse mohabbat nahi rahi ab tumhe Per tumhari aankho se jhalkti majburi ki, zuban kuch aur hai.

Zamane ka darr hai tumhe, ya apno ne baandh diya hai, Meri ore badhte tere pairo ko, Iski nahi khabar hai mujhe, Per teri her raah mujhse hoke guzregi Ye yakin hai mujhe, Fir bhi mud jaye jo tumhare kadam, to fir iski wajah kuch aur hai.

Tum, jo mujhse milne ke bahane dhoonda karte the Aj milne ki wajah hoke bhi nahi milte, iski wajah kuch aur hai Humein tumse aaj bhi wahi mohabbat hai, Tumhari chahat me hai koi agar ferk, to iski wajah kuch kuch aur hai,

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 35 Itna Na Chaho..

Tumhe chahat hai humse, kubool hai hume, Per main bhi toot jau, itna shiddat se na chaho mujhe.

Maan lia ab mohabbat hi tumhara khuda hai, Per tum apna khuda hi na banao mujhe.

Tumhari izhar-e-chahat ki her ada lubhati hai hume, Tumhari her baat, chahre pe muskaan de jati hai hume, Jaruri nahi ki tumhari her baat me zikar mera ho, Yun apni her baat me shamil karna, Itna bhi na khas tum banao mujhe.

Zaruri nahi ki kuch dino ka sath, zindagi bhar ka sath ban sake, Zaruri nahi tum mere, hum tumhare ho sake. Behtar hai ki kuch dooriyan rahe darmiyan, Behtar hai ki kuch kamiyan rahe darmiyan, Ki jab door ho, to kam se kam tumhara ghum na tadpa pae mujhe.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 36 Itna Na Gurur Ker..

Hume tujhse ishq hai, iss baat ka itna Na gurur ker, Ab hai to hai ye, Itni si baat ke liye, humko zamane me na mashhoor ker.

Mana ki tujhe meri Chahat se koi wasta nahi Hum dilfenk sahi, per tere Dil tak phunchne ka, mere paas koi rasta nahi. Bas Jo chale mera, to tujhe aankh bhar nihara Karu her pal, Tu bhi to dekh Liya ker ek Nazar bhar Hume kabhi, Itna to magroor Na ban Hume tujhse ishq hai, iss baat ka itna Na gurur ker.

Mana ki Lakho mezbaan hai tere, Ek kya hazaron haqdar hai, chahat ke tere. Hum bhi to tere khaas kadardaan Hain, Isse baat se kuch to tu ittefaq rakh. Mohabbat humse nahi, na sahi Per Hume nhi, iss baat se Kam se Kam tu na inkar ker.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 37 It's You You You...

?I never believed in first sight love but who made it true..

is you you you..

I never experienced growing love over coffee bt made it possible coz of u...

Everyday there is missing something, I find no clue other than you..you you..

Holding someone'a hand was simple bt it became beautiful experience over u..

may b my love for u fake,, but my feeling for u, r true..very true.

evryday I thnk abt special someone bt unable to get that other than you you you...

I never found 'wait' so lovely but even nw I do..

May b thr someone to love u care u to b with you...

But m not that someone its the bitter true...

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 38 Jane Ki Baat Na Karo

Sata lo chahe lakho dafa, Ker lo ruswa chahe hazaro dafa, Per khud ruthne ki humse koi baat na karo.

Pal bhar ki doori tumse, humein hai saza, Karta hai bechain, Ankho se ojhal hona bhi tera bewajah Fir humse yun door jane ki baat na karo. Tumhe humse pyar nahi na sahi, Per fikr bhi nahi is baat se to inkar na karo.

Tere lie her dar pe mannatein bhi maang li ab to, Padh liye tere lie kalme bhi ab to Kabhi na apna banaoge hume fir bhi, Ye hai agar zid to ab ye humse zid na karo.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 39 Jaruri Hai..

Milo hazar baar chahe humse, tum Teri muskaan k bagair her mulakat adhuri hai, Lafzo se kitna bhi bayan ker lein hum apne khyal Ankho se jo padh lo tum mere her jazbat, to meri her baat puri hai.

Is kadar bhar do khudko tum mujhme, Ki ye raahon ki doori, koi doori na rahe. Chhaye raho yun khyalo me mere tum, Ki kisi aur ka sath mere liye zaruri na rahe. Deewano sa firte hai teri deewangi me Jud jau main tumse, to meri mohabbat poori hai.

Rehna chahte hain tere dil me gar kiraya na mango tum Karu jee bhar ke tumhe pyar, gar hisab na mango tum Dil-e-dariya me doob ke jo ho poori aisi ek pyas adhuri hai. Mil ke na bicchad sake jo kabhi Meri tujhse aisi ek mulakat adhuri hai

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 40 Just A Thought..

I always have a fear, How will I survive if you would not be there, I always have a thought, if You would be far, who will do such a care.

Each and every happiness is nothing, if with you; i dont share. Everyone comes to console me whenever I feel sad, But you are the one who not only share my sorrow, even wipe my tear.

Whenever things go wrong, you assure me, the darkness stays only for a night And I always believe you will make everything alright.

Whenever I miss you, your vibes reaches to me, and make me realize you are not far, just near very near to me

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 41 Kab Talak?

Kab talak

Khud se hi khafa, khud me hi jasshn khud se hi , KHUD pe hi karam khud se hi malal, khud pe hi gumaan khud se hi gila, khud se hi armaan Akhir kab talak, kab talak?

Sabka hai yahan, koi na koi Fir apna ye safar tanha Kab talak, kab talak? khud se hi guftagu khud se hi mashwara akhir kare koi kab talak, KAB talak? Jab ishq hai zarurat Zindagi ki to fir samjhe ise duniya 'Ek Gunah' Akhir kab talak, KAB TALAK?

Koi rahe mujhme hi main banke, Koi chale sang bus mera hi saya banke, Ye intzaar Akhir kab talak, kab talak?

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 42 Kabhi To...

? Meri mohabbat meri nazro ka kasoor sahi, Per is kasoor ki koi to saza tu mujhe sunaye.

Tera her ghadhi mere paas hona mera ehsas sahi, Kabhi tu khud mere rubaru ho, aisa koi waqt aye.

Mere zahan me tera khayal sahi, Per in khayalo pe haqiqat ka kabhi koi ilzam to aye.

Teri khamoshiyan to aksar padh lete hai hum, Kabhi us khamoshi ko tu khud bayan karen, Kash Aisa koi nagma kabhi tu likh paye.

Tanha dil tanha safar, chal lie ab bahut door talak, Tham k chal sake hath tera, aisa koi manzar ab to humko mera Rab dikhaye.

Milna bicchadna kismato ka khel sahi, Per meri mohabbat ka koi to anzam ab samne aye.

Meri mohabbat meri nazro ka kasoor sahi, Per is kasoor ki koi to saza tu mujhe sunaye.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 43 Kaise Maan Lu?

Tum meri duniya me nahi per mere dil se juda ho ye kaise maan lu Zamane ki galatfehmi ko sacchai kaise maan lu

Tum lakh kaho ki tum nahi mere liye Per main nahi tumhari ye kaise maan lu Ye giroh, giroh se juda ho sakte hain lekin dil ko dil se juda kaise maan lu.

Jhooth kehte ho, ki meri judai ka tum pe koi asar nahi, Itni to khuda ki tujhpe meher nahi, Lafz chahe kuch be bole, ye ankhe bhi hai tumhari jhoothi ye kaise maan lu.

Ateet gawah hai, ki tumne toot ke chahat ki hai mujhse Ab is waqt ne tumhari chahat ko toda hai. Koi shikwa nahi hai mujhe tumse, Lekin tum bhi khush ho mujhse alag hoke ye kaise maan lu.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 44 Kash Tum Hote...

Tum rahat na sahi, dard bane rehte, Jaise dard hai meri kismat, usi kismat ke nate, kam se kam tum mere naseeb me to bane rehte.

hote hum teri angoothi ka heera. isi bahane hi sahi, kam se kam, tere hatho me to hote.

Kash hote koi hum bhi kisi maikhane ke jaam ka pyala, aur hoti tumhe Peene ki adat isi bahane hi sahi hum roj tere hothon ko chhoote.

Kash hote hum bhi sawan ke kisi badal ki tarah Fir baraste sirf tere liye aur isi bahane se hi sahi per tere badan pe lipat-te.

Kash hote hum bhi baheti hawa se to teri saanso tak me base hote.

Tum ho jaise khushi humari aise hi hote hum bhi khushi tumhari aur fir hum bhi teri ibadat me base hote.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 45 Kassh..

? Ek kash tumse shuru hua, ek kash tumpe khatam kia,

Kash ki tum mere hote, ae kash ki hum tere hote. Aise hi, ek aas tujhse shuru ki aur ek ummeed ka khud me katal kia.

Her sham tere sang gujrati, her raat Teri baahon me katti. Aise hi, her khwab ko tujhse shuru kia, her khwab ki tukdo me tod dia.

teri her baat me mera zikr, meri her baat me tera zikr, Teri her baat me mohaabat ka zikr, mohabbat ki her baat me tera zikr Aise hi ek khyal ko tujhse shuru aur tujhpe khatam kia.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 46 Kaun Chahta Hai..

Kaun kambakht chahta h mohabbat karna, Hume to bus, ek mausiki chahiye ghazal k liye.

Kisko fursat hai yahan, dillagi karne ko, Hume to aasra chahiye bus Dil Ko Zinda rakhne ke liye.

Sabka apna apna khuda hai yahan, Hume to bus koi apna chahiye bandgi ke liye,

Sirf lafzo me kisi ka Dard Kahan samajh ATA hai, Ab Dard pake hai Jana ki, Mohabbat bhi jaruri hai, Dard Ko samajhne ke liye.

Sabko khuda ne bheja hai jahan me ek maksad ke liye Tumko bheja hai sirf mere hi liye.

Her rahi manzil ki talash me hai, Hume manzil nahi, bus ye safar pyara hai, bus tere sath ke liye.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 47 Khwab..

Waqt-e-tarannum ne aj fir uska saaz chheda hai, Ki dekhu jidhar bhi, dikhe bus usi ka pehra hai Ek arsa beet gaya use gae hue, Fir aj ye kya hai jo fir se uski hawao ne mujhe ghera hai

Kal raat ke khwab ka khumar hai shayad ab talak, Guzar bhi gaya hai din, fir bhi tere ehsas ka shumar hai ab talak Tum beet ke bhi kyun beete nahi, rehta hai zehen me ye sawal ab talak

Ek ilteza hai tumse, ab to yun khwabo me ana chhor do, Bahut ker liya zulm, ab to yun tadpana chhor do Reh sake koi aur ake, ab to mere dil me wo jagah khali chhor do

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 48 Ki Ab To Chale Aao..

Mohabbat na sahi nafrat nibhane chale aao, Agar hai koi humse to ye ruswai mitane chale aao.

Ye jo rasme hoti hai sath nibhane ki, agar un rasmo se darte ho tum To bina rasmo k hi sahi per bus sath nibhane chale aao.

Rishto me khata hone lazmi hai Roothna manana bhi lazmi hai. Fir bhi kisi khata se ho meri ruswa To ye ruswai. Mitane chale aao.

Ye jeene ki rahein ab lambi lagti hai bahut Shayad akele chalne se darte hai hum bahut Mere lie na sahi meri akhri saans se meri duriyaan mitane chale aao.

Tanhaiyo ne is kadar gher rakha hai mujhe ki saya bhi sath nahi lagta Tu laut k fir se humesha ke lie na sahi, bus tum ho itna ehsas dilane chale aao.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 49 Kis Liye?

Apna na bana sake hum, kisiko ek baras ke bhi liye Karu ummeed bhi to kaise, kisi se umra bhar ke lie.

Kami mujhme hai ya meri chahat me hai? Ki her koi rooth ke chala jata hai, Kisi bebaat si wajah ke lie.

Aisa kya hua hai gunah mujhse? Ki rootha hai khuda is kadar, Tarsa raha hai mujhe, sirf ek khushi ke liye.

Hai agar dil to dard bhi munasib hai, Par kyun hai her dard sirf mere hi dil ke liye?

Hai agar raat to, din ki roshni bhi hogi, Lekin mere zindgi ki raatein hain itni lambi kis liye?

Hai raaste, to manzil ka milna tany hai, Per meri manzil ki raaho ki dooriya, hai itni lambi kis liye? Paa lenge Manzil bhi, lambi dooriyaan bhi tany karke, Yahi ummeed hai ab, dil ko behlane ke liye.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 50 Koi Apna Na Hua..

Kaise ban jata hai koi kisi ka, sirf ek mulaqat ke baad Kaise ker jata hai koi jaadu, ek nazar milane ke baad Samajh nahi aya ab talak ye, itne arse ke baad Humse to Koi apna na hua itni chahat ke baad.

Baat do lafzo ki sahi, per na ker paye hum unse kabhi Jane kaise ker lete hain sab ek nazar me pyar, aur duje pal me uska izhar Humse to aj tak na bayan hua, unse itni mulakato ke bhi baad Koi apna na hua itni mohabbat ke baad.

Aj na sahi, kal na sahi, kisi aur din sahi Unko ye sach bata payenge Kabhi to apne dil ke jazbaton ko zuban tak la paenge Hum sochte hi reh gae Aur koi le gaya humse door unhe Kuch dastur nibhane ke baad Koi apna na hua is zamane me, itni ibadat ke baad.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 51 Koi Fikar Nahi..

Ab to zamane ko bhi lag gai khabar meri Chahat ki Bus tujhko hi iss pyar ki khabar nahi. Dikhta hai mere Dil ka Dard gairo ko bhi ab to, Bus Ek tujhe iss dard ki koi fikar nahi.

Kash tujhse Karun main ye izhar-e-chahat Aur tu bhi Haan keh ke mujhe Apne seene se lagae Chahta hai Dil ab bus tere hoke hi reh jae, Is Dil Ko ab to Zara si bhi Sabar nahi Ki tujhko hi mere pyar ki khabar nahi.

Meri Chahat pe itna guman na karo, ki main rooth jau, Kahi Aisa Na ho ki Teri Haan ke intzar me main toot jau, Milti hai kismat walo ko, sacchi Mohabbat, Aur tum ho ki, meri Mohabbat ki tumhe kadar nahi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 52 Koi Raah Nazar Nahi Aati

Jhootha hi bulane pe tum chale aate the kabhi Ab lakh pukar lu Per meri awaj tum tak nhi jati. Zindagi ke her mod pe khade milte the tum kabhi Per mil saku kisi bhi mod pe tumse ab main ab aisi koi raah kyun nazar nahi aati.

Wo gehri neend ka sukun, wo tumhare khwabo ka saath Kitna pyara tha wo, khwabo me hi sahi, tere haatho me mera haath Per ab kaat saku bin neendo ki ye raatein jisme, wo chandni raat nahi aati.

Meri saanso me bas chuke ho ab tum kisi phool ki khushbu ki tarah Rehti hain teri yaadein mere ird gird kisi hawa ki tarah Per apne ehsaaso ko tum tak pahuncha saku main Aisi koi meri sadaa tum tak nahi jaati.

Ae Mere her ghum me mujhe kandha dene wale, mere her dard ke sathi Ab mere is tadap ki aah kyun tum tak nahi jati?

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 53 Koi To Hai..

?

Me kisi tajmahal ke kabil to nahi Per apne dil me meri mohabbat ki imarat banata hai koi,

Galiyon aur badduaon se nawaja h duniya ne mujhe, Per apni mohabbat mujhpe bepanah lutata hai koi.

Nafrat aur zillat k siwa kuch dia nahi is zamane ne, Fir bhi mujhpe beintehaan guman karta hai koi

Ye zindagi chaar deewaro se ghiri andhero me simti si hai kahin, Per apne dil me meri mohabbat ka diya jalata hai koi

Janta hai dil zindagi yun hi kat jaegi barbadiyo me, Fir bhi apni chahat ki khushboo mere lie bikherta hai koi.

Tanhaiyo ki adat is kadar lagi h ki dar lagta hai sath pake toot na jau, Fir bhi mera hath thamne ko bekarar baitha hai koi.

Zamane ki nafrat se badnamiyon ke siwa kuch hasil na hua, Fir b apni mohabbat se mujhko mashhoor karta hai koi.

Waqif hun khuda se, shayad bhul gaya wo mere daman me khushiya, Fir b apni ibadat me mujhko mangta hai koi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 54 Koi Tumsa Nahi..

Lagana chahein bhi agar kisi aur se kabhi, Ye dil hai ki kambakht kisi aur se lagta hi nahi. Aa jae ek nazar me hi dil kisi pe kash, Per koi shakhs yaha humein tujhsa dikhta hi nahi.

Ab to haar bhi gae tere intzar ke aage, Ab maan bhi gae tum nahi ho sakte humare, Badalne ko chahe bhi ab ye dil apni rahein, Per ye kadam hai ki, kisi aur raah ki ore uthta hi nahi.

Tum nibha na sake wafa, tumhara kasoor, Tumhari yaadein ab bhi mujhse wafa nibha rahi h, iska hume hai guroor, Is kadar khud ko bhool ke chaha tujhe humne, Ye dil ab kisi aur ke liye dhadkta hi nahi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 55 Koshish..

Roj ek kadam tujhse door jane wale raste pe badhate hain, Per teri yaad ka zor itna hai ki fir se hum wahi aa jate hain Ki Tujhe bhoolne k liye roj hi khud me gum ho jate hain.

Ye mausam bhi itna zalim hai ki tujhe bhoolne nahi deta Hum chhorna chahte hain tera sath par chhorna nahi deta In hawaon me jo samai hai tumhari khuboo, tumhari mithaas Wo mujhe kisi aur hawa me saans Lene nahi deta.

Wo jagah aaj bhi rok leti hai mere kadam Jahan milne ke tum waade kia karte the, Tum aao na aao fir bhi hum jahan tera intzar kia karte the Guzarte hain jab bhi us gali se, us chaurahe se Wo raasta aage badhne nahi deta Us raah se aage nahi badh pate hai, Ki us mod se hum fir laut aate hain

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 56 Kuch

Kuch pyar ka pagalpan bhi hai Kuch khoye tum me hum bhi h Kuch waqt ka taqaza hai Kuch umar ka asar bhi taza hai.

Kuch tumhari chahat ka mujhpe rang bhi hai Kuch badle apne dhang bhi hain Kuch tumhari bhi khaas hai Kuch badle se tere liye apne bhi ehsas hain

Kuch badle se mere bhi mizaz hain Kuch chupaye dil me tumne bhi raaz hain Kuch ye meetha sa dil me dard bhi hai Kuch tujhe chhu k guja werne wali hawa sard bhi hai Kuch faslo me mohhabat ki kasak bhi hai Kuch in dooriyon me bhi tere paas hone ki mehek bhi hai

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 57 Kuch Is Tarah

''Kuch is tarah baaton ka silsila khatam hua, Ki kafile se ek ek shakhs kam hua, her dost humse bicchda, Aur is kadar main khud hi khud me gum hua.''

Kuch is tarah mulakatein kam hui, Ki mohalle ki galiyan sooni hui, Na wo holi ke rang rahe hawaon me Na wo diwali ke patakho me awaj rahi, Ki dosti yun bichhadi, ki khud se main khud hi door hui.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 58 Kuch Kami Thi..

Tere apne the hum, per Tumko apna na bana sake, Paas itne the tere hum, per fir bhi tere kareeb na aa sake, Shayad mere pyar me kami thi, Shayad mere jazbat me kuch kami thi.

Sare jahan ki fikar thi tumhe, Ek meri hi fikar nahi, Teri Her ghazal me mohabbat ka fasana tha, Per sirf mera hi zikar nahi, Shayad meri takdeer me kuch kami thi. Shayad mere izhar me kuch kami thi.

Pyar ko bandagi samajh ke chahte rahe bus tumhe, Aur tumne meri bandagi ko deewangi dia, Shayad mere sajde me hi kuch kami thi.

Her sajda tere Naam ka Kia, Her aayat me Tera Naam lia, Fir bhi koi aur le Gaya tumhe mujhse chura ke, Shayad mere hatho me teri lakeer ki kami thi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 59 Kuch Pal Aur Thehar Jao..

Mana ki waqt ho gaya hai ruksat hone ka per kuch waqt aur thehar jao Mana ki waqt kam hai tumhare paas Per kuch pal hi hume aur de jao Ki kuch pal k lie thehar jao

Ab bhihi kuch batein reh gai hain adhuri si Ab bhi kuch labz reh gae hain hotho pe thame se Un adhuri baaton ko poora karke chale jao, ki kuch pal k lie aur thehar jao.

Jane wale ko kaun rok paya hai, Takdeer ka likha akhir kaun mita paya hai, Tum nahi the takdeer ab maan bhi lia humne Fir bhi kuch waqt k lie mere ban k reh jao, Ki kuch pal k lie aur thehar jao.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 60 Kuch Rang Pyar Ke Aise Bhi

Kuch rang pyar ke aise bhi Kabhi hansaye sabke sath kabhi rulaye chupke se bhi Kabhi dikhaye thandi chhaon to jalaye dhoop mein bhi Kuch dhang pyar ke aise bhi

Kuch rang pyar ke aise bhi Pal bhar ki doori bhi ker jae bechain saanso ko Aur kabhi kaat de sadiyan kisi ke intzaar mein bhi Saat janmo ka bhi saath kabhi kam lage Aur kabhi pal bhar me jee le saat janmo ka sath bhi Kuch sang pyar ke aise bhi

Kuch rang pyar ke aise bhi Kabhi pyar ke liye lad jayen is zamane se Kabhi pyar ke liye mita de khud ko bhi, Kabhi chubhe gulab ke kaanto sa Kabhi dikhaye patjhad me sawan bhi Kuch umang pyar ki aise bhi

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 61 Kya Khub..

Na waqt ki parwah hai, na zamane ki hai koi ab fikar Haan kya khub hui hai, humein tumse mohabbat behisab bekadar besabar.

Ab to iss chahat ke aage dikhta hi nahi koi pehra, aur ab humse sambhalta nahi ye laaj ka gehna Is be-intehaan ishaqq ka bhi kya kehna kya kehna.

Muddat baad jo nikale hain aaj apne yaar ko milne, uspe sab kuch lutane ko jee kar raha hai. Itna pyar hai use dene ko fir bhi, jane kyun use dene ko ye kam lag raha hai

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 62 Kya Saboot Du?

Kyun saboot mangte ho tum mujhse meri chahat ka? Ajkal to tum mujhe mere hi aksh me dikhte ho. Aur kya saboot chahiye tumhe meri Chahat ka? Ki mujhe Tum ab Her kisi shakhs me dikhte ho.

Tu ho jo pareshan to meri raatein Bechain rehti hain, Gire jo ek aansu bhi Teri ankhon se, to ye meri ankhen jalti hain. Aur kya saboot chahiye tujhe mere pyar ka? Ki ab to mere her Dard se Jude tum rehte ho. Ab to ye Dard meetha lagta hai, kyunki iss Dard me bhi Shamil tum rehte ho.

Na rehti hai khabar khud ki, na rehti hai zamane ki, Koi banata rahe meri afwahe, hume fikar nhi rhti ab kisi fasane ki, Aur kya saboot du tumhe apni ibadat ka, ki meri her badnami se jude tum rehte ho, Ab ye badnami bhi raas ati hai humein, kyuki kam se kam isi bahane se hi sahi, per tere naam se jude hum rehte hain.

Aur kya intehan hogi iss chahat ki, Ki meri her dua me shamil tum rehte ho.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 63 Kyun..

Gar hai tu nigaho me meri ae sanam, To tere deedar ko ye ankhe betaab kyun hain?

Her mazhab jab paigam-e-mohabbat sikhata hai, To meri mohabbat pe is duniya ko aitraaz kyun hain?

Jante hain zindgi bhar ka tera sath munasib nhi hai, Fir bhi tere kie gae is wade pe hume aitbaar kyun hai?

Jab bana lia tujhe apna umra bhar k lie, Fir is kadar sang mere akhir ye tanhai kyun hai?

Raato ko bheege takiye bhi ab tujhse judai ka dard samjhte hai, Fir bhi ae sangdil tujhe meri chahat se aitraaz kyun hai?

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 64 Missing You..

? ? Today i am again missing u..

Missing u like speaking without word.. Missing you like spring without bird..

Again i am missing u

Missing u like beat in my heart... Missing u like Nature without art..

Again i am missing u..

Missing u as flower miss its essence.. And morning misses sun for his presence..

Again i am missing you.. Missing u like flow miss waves.. And without air how one behaves..

Missing you as days miss nights.. And thread missed by wondering falling kite..

May be I am missing u.. Because i need u this moment desperately..

Mag be i m missing u.. Because u care me perfectly..

May be u missing me same as i m missing u right now.. May be not missing as u may be busy for now..

May be loving u is my destiny.. May be loved by u is my fate.. But why i met u so late.. I would always have this regret..

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 65 Mujh Me Tu..

Koi kahe mein aadha hu, Koi kahe aadha mujhme hai tu, Tu hi bata ae mere humnava, Tujhme hu mein ya mujhme hai tu.

Her rang tujhe me dekhu, Her rang me dikhe tu, Tu hi bata mere rangrez, Ye duniya hai rangeen, Ya bharta hai isme rang tu.

Tujhse dil kya lga baithe, Tere siwa her parwah her fikr mita baithe, Ab tu hi samjha sake to samjha Ki teri hi fikr hai ye bus Ya meri Her fikar me hai tu.

Sanso ke zariye kuch is tarah samaye ho mujhme Ki samajh nahi ata, tujhme zinda hu main, Ya mujhme zinda hai tu.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 66 Mujhe Iss Baat Ki Shikayat Hai..

Mujhe tumse iss baat ki shikayat hai, Hum ye nahi kehte ki tumko Mohabbat nhi humse, Per Izhar se Jane kaisi tumhe bagawat hai, Aapke ab is Raaz se humko shikayat hai. Mujhe tumse bus iss baat ki shikayat hai. Liye firte ho jazbaat sare dil me, Humko ab in dabe tumhare zazbaat se shikayat hai. Gila tumko bhi hai ki tumhe waqt nhi dete, Gila humko bhi hai, tumhe fursat nahi, Kehne Ko ye waqt ek dusre ke liye hai bus, Fir bhi ab humko iss waqt se shikayat hai, Ab to bus apne halaat se shikayat hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 67 Mujhe Tum Yaad Ate Ho..

Ye din to kaat lu main Duniyadari mein, Per Sham ki tanhai me sirf mujhe 'tum yaad ate ho' Khushiyan baat lu bhale gairo ke beech kabhi Per koi ghum rulaye jab, to sirf mujhe 'tum yaad ate ho'

Jab yaad ke kisse kholu main, Jab beete kal ko dhundhu main, Jab tanhai rulaye Aksar mujhe Jab apni parchai me bhi khoju main, Mujhe Tum bahut yaad ate ho.

Lakh chhupa lu dard ko hotho ki Hansi se, Per nami ankho ki ker de Ye bayan, ki mujhe Tum yaad ate ho. Rahu jo sang tere to tujhme hi kho jau main, Na ho tum sath agar, to mujhe tum yaad ate ho.

Chahe garmi ki kadi dhup ho, Ya ho sardi ki dhundh, Bheegu kabhi jo barish mein Ya badle koi rut Kabhi chhaon ki tarah, to kabhi sardi ki naram dhup se, mujhe tum yaad ate ho.

Chalte chalte kabhi saans koi tham jae jo Koi baat tumhari, hothon pe ate ate ruk jae to MuJhe tum yaad ate ho Mujhe sirf tum yaad ate ho mujhe kyun itna tum yaad ate ho.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 68 Mujhko Bus Tu Chahiye..

? Her janam na sahi, Isi janam k lie hi, Bus humko ab tera sath chahiye.

Her baat me na sahi, bus ek baat me hi, Teri mohabbat ki ab humko mithas chahiye.

Tere labo pe tehra hi sahi, Mujhse chahat ka ab tumse hume iqrar chahiye.

Poori na sahi tujhse apni kahani, Aadha -Adhoora hi sahi, tere hatho se likha ab koi humko paigam chahiye.

Koi ghazal, chahat ki na sahi, Koi nagma ibadat ka hi sahi, Ab to ek shayri teri likhi humko khud pe chahiye.

Mohabbat na sahi, ab to nafrat hi sahi, Jo kare humko bechain aisi tujhse koi ab sada chahiye.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 69 Mumkin Kahan Hai

Kab inkar hai, ki hume tujhse mohabbat thi, Per ussi tarah se toot ke chahu tujhe, ye ab mumkin kahan hai. Kab inkar hai, ki tujhe humne koi dard nahi dia Per tune usse badhke die, ye zahir- jahan hai.

Mere dil se khelo, mere jazbaton ko chhedo, haq dia tumhe, Per tamasha banao meri mohabbat ka tum, sare aam badnaam karo, meri chahat ko, aur mera naam Ye kab humein bardasht kahan hai, Ki pehle ki tarah, Teri her galti pe tujhe maaf krna, ab mere lie mumkin kahan hai.

Me tumhe chahu, tum kisi aur ko chaho Mujhse kerke bewafai, tum kisi aur se wafa nibhao Meri neendein karke yun tabah, kisi aur ka tum khwab ban jao, Ye humko ab ganwara kahan hai, Teri to fitrat hi dil-fenk thi, lekin humare lie fir se kisi se dil lagana ab mumkin kahan hai.

Meri rahein to ab jaise ruk si gai hai tere intzar me Per wahan se laut ke ana, jahan chhora tha tumne, mumkin kahan hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 70 Mushkil Hai...

?

Tere itna kareeb ake ab tujhse dur jana mushkil hai. Pehle tera kareeb ana namumkin sa lagta tha aur ab mera khud hi tujhse ruksat ho pana mushkil hai.

Shayad sadiya kati hai teri ek haan k lie, Per ab teri haan ko mera ha keh pana mushkil hai. ??

Tere sath ko taraste the yun jaise KI sanse ho tu meri. Aur ab tera sath pake in sanso ko chhor pana mushkil hai.

Tu hai mera chaand sitaro k is jahan me mera. Per teri chandni ko pane k lie ab mera raat ban pana mushkil hai.

Tujhe chahte the aise jaise tu khuda ho mera, Aur ab Teri khudai pake tujhe khuda smjh pana mushkil hai.

Waqt kat jata tha is khyal me ki kash tu mera hath thame. Aur aj in hatho ko tere hatho se chhuta pana mushkil hai.

Is jamane k riwayato k lie tujhse dur jana hoga. Per teri mohabbat ko dil me dafan ker pana mushkil hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 71 Mushkilein..

?

Chahat k jazbato ko ek umra talak chhupa k rakhna kitna mushkil hai, Ishq hote hue bhi na bta pana apne yaar ko umra bhar kitna mushkil hai.

Yun duniyadari me din to kat jata hai kaise bhi, Per tere bagair in tanha lambi raton ko katna kitna mushkil h.

Khule asman ke neeche taa??ron k beech jo niklu raat guzarne ko, In raat k jugnuon me tera aks dikhai na de ye namumkin hai.

Raah chalti h ya hum chalte hain pata nhi, Gujra hai waqt ya ehsas gujar gae hain pata nahi. In badalte hue jazbaato ko rok pana kitna mushkil hai.

Ki tum bin bhi jeena hoga ek din.. Ye soch pana kitna mushkil tha.. Ki tum the nazro k samne kabhi.. Ab bas gae gae ho jake mujhse dur kahi.. Ki ab nahi ho mere darmiyann.. Is dil ko samjhana kitna mushkil hai..

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 72 My Love Is You..

World is within you.. Love lies within you.. As my love is you..

Day starts with you.. Day ends on you.. As my love is you..

In loneliness there is you.. Even In crowd companion is you.. Because my love is you..

Way to walk is you.. Way to walk with you.. Destination to reach is you.. Because my love is you..

Smile in pain is you.. Tears in smile is you.. As my love is you..

stars, shining in night is you.. Sun arising to wake up is you.. As my love is you..

silence in me is you. the words in my words is you.. because My love is you..

Breath in my breath is you.. The one in me is you.. As my love is you..

Beauty in me is you.. My Trust in trust is you.. As my love is you..

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 73

Achievement is you.. Loss is you.. As my love is you..

Beauty in poem is you.. The word of poem is you.. Because i love you..

The one who loves me more than me is you.. The one who trust me more than me is you..

Thats why my love is you...

I love you..i love you ..

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 74 Na Ate Tum

Na yun aate tum, na is tarah jate tum Na jagaate mere dil me arman, Na itna tadpate tum.

Na hoti wo sham, na ankho ka takrana hota, Na wo teri baaton pe hum marte, Na aaj ye udasi ka sama hota.

Na wo hatho me tumne mera hath lia hota, Na to humkadam banke sath chalte, Na wo karte tum jhuthe wade humse, Na hum yun itna ab barbad hote.

Na wo chandni ratein hoti, na tujhe humne mana apna chand hota, Na ujala banke meri raton me tum ate, Na andhere se hume itna pyar hota.

Na khushboo banke mera man mehkate, Na kaanta banke mujhko itna tadpate Na mere bagiya me tum ate, na bageecho se itna lagav hota.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 75 Na Raha..

Na wo shamein rhi na wo din raha, Ab Na wo hum rahe na ab wo tu rha.

Jiske seene se lagke bhula krte the sare dard, Na wo tumhara ehsas na ab wo dard rha,

Teri mohabbat me bhoola krte the jo duniya kabhi, aur smjha krte the gairo ko apna kabhi, Na to wo ab dil me chahat rhi, na duniya se wo apnapan rha.

Yaadon me teri chhalakte the ye nigahein kabhi, Na to yadon ka wo manzar na ankho me ab wo samander rha.

Ek darr sa the tujhse bicchad k apna haal kya hoga, Bicchade bhi roye bhi, per ab na teri yadein rahi na ab tere jane ka koi gham rha.

Khub le lia mere sabra ka imtihaan apna intzar kara k, Ab to n ankho me apni wo sabra rha na tumhara ab intzar rha.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 76 On This Valentine's Day

For those who are in love Every day is valentine's day Everyday is day of love Love is not bound to any date Love is all about the fate Love is precious but, Love doesn't have any rate. For you, on this day I just want to say You are my everything, For what I pray, I just confess that You are only the best You are my need You are my lifeline And You are only my valentine! ! !

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 77 One Day..

One day, our fortune will shine, One day, I will be completely yours And you will be completely mine.

One day I will be your bride And you will be my groom, I believe that that day will come soon.

One day, to meet you, I would not need any permission One day, to meet you, you would not need any reason.

One day, our distances will be vanished, One day, without any fear, only our togetherness will be cherished.

One day things will change, We will celebrate our real happiness Our companionship and our togetherness.

One day, my night will be end in your arm, One day, you will wake me up with love and I wouldn't need any alarm.

One day I will have the freedom to show my love to you One day i will have the right to care you.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 78 Only For You...My Special One.

?

The care, i love the way u do, The words, u speak seems true..

The love, seems only mine when u do. The feeling, touches when comes from u..

The things, when given by you become alive for being better just only for u, I always strive

I know you are always there for me in my happiness & grief Even your tight hug makes me realize, the life is only for relief.

Aaaah! Your smile is really precious to me, Keep it safe on ur lips, not only for you even for me.

Saying 'my smile is you' make me feel To give you such a smile lifetime, I wanna be your bride.

Please take me away from this world To make my black & white life coloured.

This 'shine' always shine and will always shine Beacause I know you are mine and will b mine.

I dont know wat will be our future, But for you, I pray god for a better.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 79 Past

Haan hui thi hume bhi mohabbat Hum bhi kisi se dil laga baithe the, Laga the hume bhi ishhaq ka , Hum bhi kisi ko apna bana baithe the.

Naya tha wo zindagi ka daur bhi, Kuch andaj the humare aur hi, Wo pehli mohabbat ka nasha tha ankho me Sirf sacchai hi dikhti thi uski baaton me. Duniya ki kya apni bhi fikr mita baithe the. Ki hum bhi kisi se dil laga baithe the.

Naya tha wo chahat ka mausam Nayi wo baharein thi, gum the hum bhi uske pyar me Uspe bhi chhayi khub khumari thi. Uske sath jeene marne ki kasme kha baithe the Ki haan hum bhi kabhi kisi se dil laga baithe the.

Kya din kya raat kya subah kya sham Her pal chhota uske sath lagta tha Her cheej haseen lagti thi tab Ye jahan bhi abaad lagta tha Uske bin jinda na reh payenge ye vehem dil me basa baithe the Ki hum bhi kisi se dil laga baithe the.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 80 Pata Na Chala!

Tumse jud ke kab hum do se ek ho gae pata na chala, Chaar kadam chalne ko nikale the tere sang, Kab meelo ka safar tany ker gae pata na chala Ek raah tany karne ko, ek Safar pe chale the hum, Kab humrah se tum, meri hi Manzil ban gae pata na chala.

Kab do khwab ek khwab ban gae, Kab do hath ek hath ban gae, Kab kuch pal ka sath deke, Tera sath ban gae, pata na chala.

Tumko pane ki talab thi itni Hume, Ki kab khud Ko kho Dia, pata na chala. Tumko Mohabbat samajh ke Dil me utarte chale gae, Tumhari Dhadkan ki saaz pe apni saanso ko sanwarte chale gae, Aur Kab tum saanso ki jarurat ban gae, pata na chala.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 81 Ruk Se Gaye Hain..

Ye kahan ake hum ruk se gaye hain, Ye kaun si hai dagar jispe kadam tham se gae hain? Jahan se gujarna hota tha tumhari ek jhalak k lie Aaj us gali me jate jate ye kadam ruk se gaye hain. Jahan bhi hain, khud hain ya tum le aye ho is jagah Isi kashmkash me ulajh se gae hain. Tum kya gae ab to koi aur humara haal bhi nahi poochta Apna hi haal khud ko batate batate thak se gae hain. Nazme likhke tujhe khyalo me apne paas bulana, fir tere khyalo me door talak kahi gum ho jana. Ab baithe baithe yun tere peeche bhagte thak se gae hain. Aansuo ka bojh ab badhta sa ja rha hai, Teri tasveer dikha k nazro ko raat din behlana par raha hai Ab to in nazro ko bhi behlate behlate thak se gae hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 82 Seekh Lo..

Hai Chahat tumhe humse, yakin hai humko Per is Chahat ko Jatana bhi seekh lo.

Jaruri nahi her baat aankho hi ankho main samjh lu main, Kabhi un baato ko lafzo me batana bhi seekh lo. Jante Hain hum ki meri her baat tumhari sir aankho pe Rehti hai, Per kabhi kisi baat pe tum, humpe haq Jatana seekh lo. Her faisla main tany Karu, ye jaruri to nahi, Kisi faisle pe, apni bhi zid tum manwana seekh lo.

Khub rooth liye ab hum tumse, Aur Maan bhi gae hum tumse, Ki ab tum rutho aur main manaun, Ye arzoo, adhuri hi Na reh jae, Kash tum bhi kabhi humse ruthna seekh lo.

Kitne khushnaseeb Hain hum ki Tera sath hai humein, Tum bhi ho khush Hume pake, bus iss baat pe iqrar krna seekh lo. Ki her baat main aankho se kaise smjhu, kabhi to labon pe Lana seekh lo.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 83 Shayad Yahi Dastur Hai..

Koi bichhda hua mil jae koi ek roj, Koi mil ke bichhad jae kabhi Yahi duniya me shayad milan ka dastur hai.

Kisi ka dil nahi pighalta kisi ke lie, Aur Koi dil haar jae gar, To isme dil ka kya kasur hai.

Kisi ne apno ke liye apni chahat ka katl kia, Aur koi apni chahat ke lie apno se dur jane ko majbur hai,

Kisi ko sare jahan ki hai khushiya naseeb, Aur koi ek khushi se bhi mehroom hai.

Kisi ko ek pal ka juda hona bhi nahi ganwara Koi umar bhar intzar karne ko majboor hai. Shayad yahi intzar me sabar ka usool hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 84 Sher

1.''???? ?????? ??? ??? ???? ???? ?? ???????? ??? ???? ???? ??| ???? ??????? ?? ??? ?? ?? ?? ???? ?? ???'' (Waqt bewaqt kabhi kabhi Teri chahat pe surkhiyan likh Liya karte the, Teri bewafai pe likh ke aj hum Shayar ban gae)

2. ''?? ?? ??? ????? ??, ?? ???? ??? ????? ??| ?? ??? ?? ???????? ???? ??? ??? ?? ?? ??? ????? ??|'' Na ye Raat beet-ti hai, na Teri yaad beet-ti h, Bus aise hi tumhari Chahat me Raat bhar ye aankh bheegti hai.

'3. 'Barbaad se ho rhe h jazbaat chupate chupate.. Aur unhe lagta h unki judai ka humpe koi ferk nahi..''

4. ''???????? ????? ?? ?????? ?? ?? ????? ??, ?? ?? ??? ????? ??? ???? ?? ?? ??! ! '' Tumhari yaad ko mitane ko jee chahta hai, Per ek yahi Amanat tum chhor ke gae ho.

5.''Waqt yun hi kam hai mohabbat ke liye.. Yun rooth k humse waqt zaya na karo.''

kambakht chahta h mohabbat karna Hume to bus ek mausiki chahiye ghazal k lie.

7.???? ????? ???? ?? ????? ?? ???? ?????, ????? ??????? ?? ????? ???, ???? ????? ???? ?? ???! ! Hume Badnaam karne ke tareeke na dhoondh zalim, Tujhse Mohabbat hi kafi hai, hume barbaad karne ke lie.

bat h gar jo dooriyon ki parwah na kijiye.. Khwabo me hi sahi, par ayenge jarur, Bus aap hume dil se pukar lijiye..

kya hai, bus mareez-e-ishq ki zarurat, Aur alfazo ka khel... Dil ka bayan, aur kagazo pe zulam

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 85 10. Fitrat-e-adam bhi kya khub hai, Jinda insan ka dard koi samjhta nahi, Ek kalam ke dard ko padh ke bhi ro lete hain.

11. Adhoori mohabbat zindgi bhar rehti h Ho jae poori to aksar log apni chahat bhul jaya krte h.

12. Teri judai ka dard bhi itna meetha hai Ki kisi se baant k kam krne ka dil nhi krta

13. ?????? ?? ????, ???? ???, ?? ???? ?? ???? ??????? ?? ????, ???? ?? ???? ?????? ?? ???? ??? ??? ???? ???? ??? || Zamane ko kya, kehta rahe, ki ishq ne Hume nikamma ker Diya, Hume to teri ibadat ke siwa koi kaam Nazar nahi ata.

to masle aur mudde bahut h likhne ko magar.. Kambakhat in kagjon ko tera he jikra pasand h..

mila to mohabbat bhi samajh aayi.... Wrna iss lafz ki tareef he suna krte the.

kubul h teri yadon mai raat bhar... Tere ahsashon mai jo sukun h wo neend mai kaha....

17. ???? ??? ?? ?????? ?? ??? ?????, ??? ????? ?? ?? ????? ???? ??? MEri ghazal ki numaish na karo yaro, khulta hai, to takleef badhti hai

18. Wo kehte hain teri ghazal me kitna dard hai, Koi bata do unhe, unhi ke diye zakhm hai, jo ab un tak pahunch rahe hain

19.??? ?? ???? ??? ?? ?????, ?? ????? ??? ???? ????? ???????????

20. Dil-e-dariya me uthati h lehre jab To kaha log bachte hain, Ye 'ISHQ' k 'andaz' hain janab, Itni asaani se akhir kahan chhupte hain.

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 86 akelapan bhi kitna khushnaseeb hai, Na kisi ke paas ane ki ummeed hai, Na kisi se juda hone ki takleef hai.

22.???? ?? ???, ????? ?????? ?? ??????? ???? ??, ?? ????? ???? ?? ??? ????, ??? ???

23. ???? ???? ??, ???? ????? ?? ???, ?? ???? ?? ???? ??, ?? ??? ???? ?? ?? ??

ar-e-mohabaat kya kahiye janab... yun samajh lijiye..ki jab tak mohabbat hai tab talak intzar. jab talak intzar hai..tab talak mohabbat.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 87 Sometimes I Do!

? Sometimes i miss u, but doesnt mean i wanna meet u Bcz i wanna feel wat i am without u.

Sometimes wanna hug u, but it doesnt mean i need u, Bcz i wanna feel vibes coming from u,

Sometimes i dont hav words but wanna talk to u Bcz i want to make u read my eyes

Sometimes i go far from u bt it doesnt mean i will not come back Bcz i am nothing without u.

Sometimes the i dont need ur care but it doesnt mean i am capable of everything Bcz i am alone without u

Sometimes i foget u to tell that how much i love you it doesnt mean i dont love u Bcz u r in my heart not in my mind

Sometimes i think wat i wud b without u bt nvr find Bcz i wud not be thr without u.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 88 Talab..

Tum ake ja chuke ho, Phir bhi kaisi, tumse ye mulakat ki talab hai.

Rehbar to ban hi chuke ho tum mere, per mujhko ab tera rehguzar banne ki talab hai.

Tumne keh dia ki, ab hum tere hue, Fir Ab ye kaisi tumko pane ki talab hai.

Tumko pehchante hue, ek umra kat gai ab to, Ab iss mod pe aake, tumko janne ki, jane kaisi ye talab hai.

Tumhari ankhe hai, ki sab kuch bol deti hai, Fir bhi in aankho me doob ke utar jane ki talab hai.

Khushbuyein kam nahi hai zindagi me ab bhi mere, Per teri khushboo se mahak jane ki ab mujhko talab hai.

Chahne wale hai apne bhi kam nahi, Per ab humko to sirf teri chahat se matlab hai. Ki ab humko bus teri talab hai. Ki Mere pyar ka bus tu hi sabab hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 89 Tany Tha

Tujhse is kadar milna ittefaqan hoga Per tujhse mohabbat hona tany tha.

Tujhse mohabbat, ittefaqan hogi shayad Per mohabbat ka is kadar beintehaa hona tany tha.

Is kadar tera kareeb ana, teri fitrat hogi shayad Per mera tujhse dil lagana tany tha

Janta tha dil tu kisi aur ka naseeb h Fir mera tujhpe kismat aazmana tany tha.

Tera sath chand lamho ka sahi, khushnaseebi thi meri Per un lamho ki kasak ta umra rehna tany tha.

Tujhse nigaho ka milna milke muskurana ittefaqan hoga Per teri muskurahat pe mera is kadar mar mit jana tany tha

Tera bewaqt zindagi me ana aur is tarah ake chalr jana ittefaqan hoga. Per mera tera laut k ane ka intzar karna tany tha.

Wo tere hatho ka mere hatho me hona ittefaq tha shayad Per hatheli pe apni tere ehasas ko? ?umra bhar ?sanjo k rakhna tany tha

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 90 Tera Shukriya

Teri bewafai ka hai shikwa, per Teri wafa ke lie shukriya. Tere diye gae her Dard se Gila hai, Per tere her marham ke lie shukriya.

Jo na hote tum, to kitna pyar hai is dil mein, pata kaha chalta, Jo na milte tum, to asal dard ka ehsas kahan se milta. Mere pyar ke badle, teri mujhse chahat ka shukriya, Jo na paa sake, us mohabbat ka gila.

Na hote tum, to dil mein itne arman kahan hote, Na milte tum, to mere jeene me sabab kahan hote, Jo ker di poori tumne, un ummedon ke lie tera karam, Jo reh gai adhoori un tamannao ka gila.

Jo dia ab sab kubul humein, Na milte ye ehsas to hum shayar kahan hote. Bus reh gai mohabbat adhuri, Is ghum se hai humko gila.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 91 Tere Pyar Me..

Tere pyar me ae sanam, humne kya-kya nahi Kia, Mannate bhi maangi dar dar Kaseede bhi padhe her dam Koi khuda ka ghar nahi, jahan sajda nahi Kia Ek tujhe pane ki khatir, ibadat ko hi apni aadat Bana lia, Ae Sanam Tere pyar me humne kya- kya nahi Kia,

Yun hi bhatakte se rehte the dar-b- dar Na tha zamane ka koi hosh, na hi rehti thi apni koi khabar, Tune zindgi me ake, bhatakte dil ko Manzil se Mila Dia, Aur is Dil ne tujhe hi apni Manzil Bana lia.

Jis Mohabbat ke Khilaaf the kabhi, Aaj uss Mohabbat ko hi apna mazhab Bana lia, Teri ko dil me basa ke, is Dil Ko hi mandir Bana lia, Aur sirf Tujhe chahne ko hi ibadat ka tareeka bana lia. Tere pyaar me mere Mehboob, kya kya nhi Kia.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 92 Teri Her Baat Nai Si Lagti Hai! !

Ek Muddat Hui Tumko mile hue, ek arsa hua tumko pehchane hue, Fir bhi Tumse her mulaqat nayi si lagti hai. Waqt thehrata hai tere sang hote hai jab hum, Fir Ghadi ki suiyan bhi ruki si lagti hai.

Anjane me hi Jaan gae Tumko, Fir bhi jaane kyon tum me her baat Nai si dikhti hai. Yun to Nazdeekiyan Kam nahi hai tumse, Per fir bhi in nazdeekiyon me kuch doori si lagti hai.

Tumko pake kuch Yun nazariya sa Badal gya hai, Ki ye duniya hi ab to nayi si lagti hai. Kya khub Chhaya hai tere pyar ka rang mujhe, Ki ab aaine ko bhi mere chehre ki rangat alag si dikhti hai. Tumhari awaz mere kaano me gunjti si rehti hai Ab to teri her baat ek geet si lagti hai. Akelapan dhoondhte hain, tere khyalo me doobne ki khatir, Ab to tanhaiyon me bhi, mehfil si raunak lagti hai,

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 93 This Is The Dayy

?

?? There were the days when evening were your.. This the day when evening is no more...

There were the days, we had no feelings but we had words This is the day when we have feelings..but no words to express..

There were the days, we used to share today and tomorrow.. This is the day when we hide everything either happiness or sorrow..

There were the days when we were real.. This is the day we need to pretend to be real..

There were the days when waiting has a mean to me.. This is the day I used to sit but with out expecting you over there to be...

There were the days we used to walk a mile just for pleasure.. This is the day when I used to walk a mile alone to take a measure..

here were the day we used to fight but cry together, This is the day we dont fight but still shy to talk to each other.

The time runs..seems years to be turned into moments.. And make me feel as i walked a mile without any movement..

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 94 Tu Nahi Hai

Ye shamein wahi hai ye ratein wahi hai, Per in shamo ka sathi in raton ki chandni, bus tu hi nahi hai. Ye fizaein hai wahi, fizaon ka rukh bhi wahi hai Per in fizaon me jo khushbu raha karti thi kabhi, teri wo khushboo hi nahi hai.

Hai ab bhi wahi bheed mere irad girad Per is bheed me jise dhoondhti hai meri nazre ek bus wo tu hi nahi hai. Mila hai sab kuch is duniya k bazar me, Bus khareed sake jo hum teri dillagi nahi hai

Duniya ghum me rahe doobi ya manaye koi jasshan, hume ferk kya, Jise dekh k hi her ghum mit jaye, ek teri hi khushi nahi hai Tere jane se kuch is duniya me badla to nhi hai Per sirf her jagah kuch gumshuda sa hai, Ye kuch nahi bus Teri hi kami hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 95 Tum Bhi Nahi Aur Hum Bhi Nahi!

Samandar sa gehra pyar unhe bhi hai aur Hume bhi, Per ye kehne ko, Khamosh hum bhi hain, aur lafz koi unhe bhi nahi! !

In Khamoshiyon ne la di hum dono ke darmiyaan ye dooriyaan, Warna Dil se door tum bhi nahi, aur hum bhi nahi! !

Galatfehmiyon ne Jo daraar Dali hai Use bharne ki koshish karte tum bhi nahi aur hum bhi nahi! !

Saath chalne ka Wada, humesha hath Thame rakhne ka Wada ek roj Jo Kia tha kabhi, Jindgi ki bhaag daud me bhool agar hum gae, to yaad fir tumhe bhi nahi! !

Kuch tukde kagaz ke kamane me, Nikal gae ek dusre se door kahin, Hum to reh gae peeche, per dekha peeche mudke tumne bhi nahi! !

Pyaar dono me abb bhi hai kahin Na kahin, Per iss baat ko mante tum bhi nahi, aur hum bhi nahi! !

Jo Na likhte ye khat, to shayad smjhte tum bhi nahi! ! !

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 96 Tum Hote To Baat Koi Aur Hoti..

Yu to her Khushi hai Daman me mere, Ek tum bhi hote, to kya baat hoti,

Tere Bina zindagi se koi Gila to nahi Per ek tum bhi hote sang to kya baat hoti,

Yun to her koi kadradan hai meri ghazalo ka Ek tum hote unme se ek, to kya baat hoti.

Yun to her meri her mehfil me zikr tumhara hota hai, Uss mehfil me shirkat Teri bhi hoti, to kya baat hoti.

Her Sham Teri yaad me guzarne ki ab aadat si ho gai hai mujhe, Tere sath guzarti Jo her Shaam, to kya baat hoti.

Ab to adat si ho gai hai tere khyalo me jeene ki, Ye adat sudhar jati to kya baat hoti.

Teri Chahat ka surur Jo Chhaya rehta hai mujhpe, Ye junoon utar jata to kya baat hoti.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 97 Tum Mere Aur Main Tumhari

Dhadkan meri aur saans tumhari Aise hi tum mere ho aur me tumhari

Mere tasavvur me rehne wale tum aur meri her soch tumhari Aise hi ye jism mera per iski jaan tumhari

Jiske ghum se main ghumgeen rahu, jiski khushi hai khushi humari Aise hi jazbaato ke sur mere aur iski lay sirf tumhari

Bhool jaau khud ko, Ki na rahe humko bhi fikr humari Kuch aise hi sama jao mujhme tum, aur tumhari saanso se bhi khushboo aye to sirf humari

Her chahat ka afsana khaas hai, kyunki mohabbat hoti hi itni khaas hai Per humein to mohabbat bus ek hi matlab samajh ata hai, wo hai bus ibadat tumhari

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 98 Tum Mile

Kab ishq se aitraaz tha hume, Kab mohabbat pe aitbaar tha hume Ki Tum mile, ishq pe aitbaar bhi hua, aur tumse itna pyar hua.

Ye chahat ki batein, saat janamo saath Kab saccha lgta tha hume, Ki tum paas kya aye, baaton me chahat, aur her janam tumhe hi paane ki ibadat bhi karne lage.

Kab ilmh tha hume apne hi dil ki khwahiso ka, Na andaza tha in mohabbat ki vadiyo ka, Ki tum mile dil ki khwahisho ka pata chala, Aur is bikhre hue dil ki aajmaisho ka pata chala.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 99 Tumhe Bhi Meri Yaad Ati To Hogi?

Tumhe bhi meri yaad ATI to hogi, Jaise yaad tumhari mujhe hai rulati, Tumhe bhi meri yaad, tadpati to hogi.

Ek roj Jo vaada Kia tha tumne, Ki sath rahenge her dum, Door jaenge na tujhse, kabhi Yun hum US vaade Ko todne ki tees, tumhe kabhi, Satati to hogi, Kaho Na, tumhe bhi meri yaad ati to hogi.

Jo muskurahatein baanti thi tumse apni, Jo Dard tumhare samete the khud me, Jo Shaitaniyan, tumhe bhaati thi meri, Wo sharartein tumhe ab rulati to hogi, Kaho Na, tumhe meri yaad ati to hogi.

Jo raatein tere khwabon me gujri, Jiski Chandni me Raatein Roshan hui, Ab wo raat ki Chandni tumhe jalati to hogi, Ho na ho, per tumhe bhi meri yaad ati to hogi.

Yun to ummeed nhi ab humare Milne ki, Bus khwab zariya hai, aur koi tarkeeb bhi to nahi, Shayad isi bahane hi sahi, Tumhe ab raaton me neend aati to hogi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 100 Tumhe Ferk Padta Hai Kahan..

Main tumhe dekhu ya na dekhu Ab tumhe koi shikwa hai kahan Ki main tumhe chahu ya na chahu Tumhe is baat se ab koi ferk padta hai kahan.

Ye jharne ye nadiya sab samander mein Sama jaenge Tum bin mera kaun hai, jaane ab hum kahan jaenge Ab tumhe is baat se koi talluq hai Kahan.

Wo saath jeene ki kasmein, wo hatho me leke hath Marne ka Wada Ek jhootha Sapna saabit hua. Lakho ki bheed mein ek mera Dard, bus apna sabit hua. Ek kharoch se bhi Dil jo dehel jata tha tumhara Aaj mere ghavon se tumhara wasta hai Kahan?

Wo roj mere khwabo me Tera Safar karna Un khwabo ke liye, mera, neendo ka intzar besabar krna Ab us raah pe jake bhi kya sila, kyunki Ab tu mera humsafar kahan, Meri baat ka ab tumpe koi asar kahan.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 101 Tumko Kya Pata..

Jaagi hai kitni raatein aansuo ke sang, Tumhe kya pta Tumko lagta hai sirf tumhe hi hai Mohabbat, Humko hai kitni; tumhe kya pta Apni tadap to mehsus Hoti hai tumko, Hum bhi hai kitna tadpe tum bin, tumhe kya pata. Ye barishein to sirf bhigoti hongi tumhe, Jalati hain kitna mere Dil Ko ye, tumhe kya pata. Iss Chand ki Raunak tumhe Bhati hogi yakeenan, Per usi Chand Ko dekh teri yaad aayi hai kitni, tumhe kya pata. Tumhe khush dekh ke apna Dil bhi Gulzar hai, Teri Khushi ke Bagan ko, humne seencha hai Sajde se, tumhe kya pata.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 102 Tumpe Kuch Likhne Ka Dil Kare..

Aaj fir kuch tujhpe likhne ka dil kare, Sochu ki Kis ada pe teri, reh gai meri baki ghazal, Uss ada pe likhne ka dil kare.

Teri dil churane wali hansi, Ya Teri ankhon ki chamak Teri judai ka ehsas, ya mere hathon me tere hantho ki mehek.. Jis baat ko sochu wo baat mujhe alag lage, Ab tu hi bata, aise me hum kya karein? ? Teri kis baat pe hum kya likhein? Aaj fir kuch tujhpe likhne ka dil kare.

Reh gai ho shayad kehni, tumse baat koi, Reh gaya ho daba dil me, shayad armaan koi. Yaad aye to likhe wohi jazbaat Akhir pahunche to tum tak meri baat koi. Aaj chhote hue jazbaat kagazon pe utarne ka dil kare. Aj fir tumpe kuch likhne ka dil kare.

Teri judai, tujhse milan, teri berukhi tera pyar Tujhse pehli mulakat, tera mujhse pyar ka izhar Teri her ada ko kalam se chhoo lia mene, Ab teri sadagi pe likhne ka dil kare, Aaj fir tujhpe kuch likhne ka dil kare.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 103 Umra Kat-Ti Gai..

Umra kat-ti gai din guzarte gae. Log milte rahe apna bolker, aur anjaan banke biccharte gae. Kabhi Pasand samajh k dil se lagaya jise, jane kab wo chahat banke dil me utarte chale gae.. Ki umra kat-ti gai aur aur ehsas badalte gae.. Kuch shakhs mile anjane mein, dil laga baithe unse hum anjane mein, Ki is tarah umra katti rahi ummeedein bandhti gai.. Ummedein poori hona kaha lazmi hai is ishq k khel mein.. Ki umeedein toot-ti rahi toote dil k fasane bante rahe.. Asaan nahi kisi rahgeer k lie apni raaton ko bechain karna.. Fir ek rahguzar k lie raaton ko bechain karte rahe..ki umra kat-ti gai ratein mit-ti gai.. Her shakhs mila jindgi k her mod pe sahare ki dilasa dekar.. Per her mod khatam hota raha naya rasta milta raha. Ki yun hi umra kat-ti rahi tanhai badhti gai..

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 104 Waqt Nahi

Her baat k lie waqt hai per meri ek baat k lie unhe waqt nahi,

Tamannayein pighal si rahi h ankho se kahi, Saans ataki hai dil ki dhadkano se kahin, Apni her chah k lie waqt hai, meri ek khwahish k lie unhe waqt nahi.

Saanso me baki hain tere zazbaat ab talak Ki seene me uthte hain tere lie armaan ab talak Her mod pe milke hath milane ka waqt hai, Per hath thamke mera, apna humraah banane ka unhe waqt nahi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 105 When I Met You

When Few years ago I met you, I was really unknown to you, I started to share Everything, Even That Should not do, I was not looking for love when you met me, But love in your eyes insist me, it to see.

Started to talk like, talks will never end Its only the boy, who carefully everything listened Over a period, i got knew, You are only the one, Who not only loves me, cares for me, Even whose heart is very true

This time, Our togetherness I really enjoy Love the way, You always make me smile, Hope you will always be there for me, And pray your companion is not only for a while. Even after four years feelings are same, You love me like a angel, and I love like my prince, Sometimes When I want to be alone, Its only your thoughts which stay, Because you are the person who understand, even anything I dont want to say.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 106 With U And Without U

You are my love and you are only the one, With you i am what I am without you I am undone.

you are my pray and you are only the way.. With you i am story without u am nothing to say..

You are my only destination and you are only my passion With u i hav life without u living has no reason

You are my past and You are my future.. With you present is everything without you future is nothing.

You are the beginning You are only end.. With you I am real without you i always need to pretend..

You are the one who come in my dream and You are only who is in me. With you everything has mean without u i am nothing.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 107 Yaad Rakhna..

Meri bus ek baat yaad rakhna Mere khayal ka khyal rakhna Tadapta hai koi tum bin her waqt Meri her tadap hisab na sahi, per tadapne wale ka naam yaad rakhna.

Tumhari berukhi saboot hai teri chahat ka Berukhi hi sahi, per apni chahat sirf mere sath rakhna Kitni nazme tumhare khyalo me likh dali humne Meri her nazm na sahi, humare pehle pyar ki pehli nazm yaad rakhna.

Tum ab laut ke na aaoge, is baat pe yakin nahi hota Per ye Intzar hai, ki fir bhi khatam nahi hota. Tum aao na aao, per koi kar rha hai tumhara humesha ke liye intzar, Bus ye khyal sath rakhna.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 108 Yakeen Nahi Hota

Tum bin ek pal bhi na jee paenge wahem tha humein Bin tere aaj bhi zinda hai, ab bhi yakeen nahi hota.

Tere ghum ka sailab bhara pada hai in aankho me Roke kuch kam karna bhi chahe, to ye ankhon se bhi nahi behta.

Ek pal ko khyal ata hai kisi aur se jud jaye hum Per tera ehsas meri sanso ko tujhse alag hone nahi deta.

Tu aabaad hai kisi aur ke sath, tere waqt ka haq hai ab kisi aur ke paas Per wo koi aur main nahi hu, bus yahi khyal ab mujhe raat bhar sone nahi deta

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 109 Ye Aadat Tumhi Ne Khraab Ki Hai.

Ye aadat tumhi ne khraab ki hai. Her dard me ek tumhe yaad karne ki, Tumhi ne aadat bigad di hai. Ye jo zindagi hai meri, tumhi ne aabaad ki hai. Bhatakte firte the dar-b-dar, tumhi ne humein ek raah di hai.

Kabhi rooth ke bhi tumse na rooth pau main, Tujhe naraz kar ke bhi, aksar pacchtaun main, Ye na roothne ki aadat bhi, tumhi ne kharab ki hai.

Zamane ko humari chahat manzoor nahi, Mujhe kisi aur ka ho jana kubool nahi, Ye mohabbat tumse thi, tumhi se rahegi, Ki kaise bataye zamane ko, ki Tumse chahat se jyada ibadat ki hai. Ye aadat tumhi ne khraab ki hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 110 Ye Barishein Bhi Tum Si Hain

Ye Barishein bhi tum si hain, Kabhi baras gai besabar hoke, Kabhi thehar gai, guroor mein Kabhi ayi shor macha ke, Kabhi geela ker gai man chupke se, Ye barishein bhi tum si hai.

Dil kare kabhi khule Aasman me udne Ko, Kabhi kisi se bandh Jane Ko Dil kare, Kabhi Yun hi bin Manzil ke soone raste pe chalne ka soche ye man, Kabhi soche bheed me khud Ko kho Jane de, Ye khwahishein bhi ajab si hain.

Kabhi bhiga de man tak Ko bhi, Kabhi patjhad ki tarah toot ke bikhar jae. Kbhi garmi ki Dhoop SA jalae ye, Kabhi Sahami rahe sardi ke mausam si, To kbhi sardhi ki Dhoop SA man Ko sehla jae ye. Ye Mohabbatein bhi badalte mausamo si hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 111 Ye Bhi Sahi

Keh do ki tum mere nahi, hum tumhare nahi Hum kisi aur ke sahi, tum kisi ke sath sahi

Keh do ki ab Teri raah meri nahi, meri raah teri nahi Agar duriyan hi hai mukadder to ab ye dooriyan hi sahi

Tumko bhi ab parhej sa ho gaya hai humse, hume bhi shauk nahi tumhare paas ane ka Hai agar ye ruswai to ab tumse ye ruswai sahi

Itna dard pehle kabhi mehsus na hua, Agar ye dard mohabbat ka hai sabab, to ab ye dard bhi sahi

Mere dil ke ab kyun jazbaat tum nhi samjhte, lafzo me bhi batau per ab koi alfaz kyun tum nhi samjhte Agar meri khamoshi khush karti hai ab tumhe, to ab hotho pe her pal khamoshi hi sahi

Kitne khubsurat the wo pal jab her pal khushgawar guzarta tha tere sang Per ab agar mayusi hi hai taqdeer to ab ye mayusi hi sahi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 112 Ye Kaisi Jagah..

Ye kaisi jagah le ayi hai zindgi jaha tum laut ke nhi ate, Aur tujh tak phunchne ka koi rasta nahi. Apna bana k rehna pad rha h, unke beech jinse apna koi vasta nhi.

Ye kaisi jagah le aaye ho tum, Jaha khushi tum sabke sath baantte ho Per tere gham ke aansuo ko bus hume peena padta hai. Ye kaisi chahat hai tumhari jise tumhe duniya se chhupa ke rakhna padta hai.

Tha itna hi zamane ka darr to kareeb na ate, Mana ki mohabbat pe zor nahi chalta, Per khud tak hi rakhte apne jazabato ko, Kam se kam apni chahat ke sailab me hume to na dubate.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 113 Ye Pyar Kabhi Khatam Na Ho..

Aaj fir uska paigam Aya hai Ek Muddat ke Baad, mere yaar ka mujhe Salaam Aya hai. Meri roj ki Duaon ka hai asar ye, Ya unhe sach me mera khayal Aya hai? Per Jo bhi ho wajah, kya farak, Baat bus itni si hai ki mere yaar ka haal Aya hai.

Dua itni si hai, Ki rahe chahe Milo ki dooriyan humare beech Per dilo ki nazdeekiyan kabhi Kam na ho. Rahe chahe tumpe kisi aur ka haq, Per mera tumpe Jo hai, wo haq kabhi khatam na ho. Ye Mohabbat kal rahe na rahe koi gila nahi, Per dilo ke jazbat kabhi khatam na ho. Rahe ird-gird Lakho ka huzoom chahe, Per meri jarurat Jo ha, tumhare liye, wo jarurat kabhi khatam na ho. Ki ye apna pyar kabhi khatam na ho.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 114 Ye Pyar Tumse Hai, Kisi Aur Se Nahi..

Mera pyar tumse hai teri shauhrat se nahi, Ki Dil ye Mohabbat ka mohtaj hai, daulat ka nahi.

Tasveer dekh ke Dil Ko behlana accha lagta Pyar aata hai jab bahut tumpe use seene se lagana accha lagta hai Per kab tak Yun Dil behlau main Ki pyar to mujhe tumse hai teri tasveer se nhi. Ki ye pyar sirf tumse hai, kisi aur se nahin

Lakh zamana chahe, door mujhe tumse karna Mujhe kisi Keemat pe, ab ye manjur nhi. Ki ye saanso ki Dore tumse bandhi hai, kisi aur se nahi.

Kya hai duniya me Aisa Jo haasil nahi, Itne to bure nahi hum, ki tere kaabil nahi, Fir kya hai Majra Jo tu humari Taqdeer mein nahi? Ki jiske dar pe Na manga ho tujhe Aisa koi peer nahi. Ki tu mere Dil me hai, per mere hatho ki lakeer me nahi.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 115 Ye Waqt Kuch Aur Hai.

Wo waqt kuch aur tha ye waqt kuch aur hai Wo tum kuch aur the aj hum kuch aur hain.

Wo tere intzar me shamo ka dhalna Wo teri baaton me raato ka jaagna Wo karwato ka silsila, wo baithe baithe hi tere peeche bhagna Wo din kuch aur the aj ye din kuch aur hain.

Wo meri her ada pe gazal ka likhna, Wo unkahi baaton ko meri ankho mean padhna Wo bin bole tera sab samjh lena Wo jaan bol ke tera meri jaan le lena Wo zindgi ka saaz kuch aur tha Aj is zindagi ki lay kuch aur hai.

Wo chhoti chhoti baaton pe meethi si taqrar, Wo narazgi me bhi hona pyar Wo pal bhar ka ruthna, fir lag ke tere seene se mera tootna Wo chahat kuch aur thi, aaj ye wafa k jazbaat kuch aur hain.

Wo tere diye phoolo ki khushboo Wo tere kiye waado pe mera aitbaar Wo dooriyon ki mithas, wo tere paas ane ki pyaas Wo raahon ki dooriyan kuch aur thi Ye dilo ki dooriyan ki kuch aur hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 116 Zara Sambhal Ke.

Zara sambhal k dil lagana ae sahib, Ki duniya me mohabbat ka dava karne wale bahut hain. Ho bhi jae gar ishq to parakhna uski chahat ko, Ki mohabbat k naam pe sauda karne wale bahut hain.

Zara sambhal k chalna is Sangdil walo ki bheed me, Ki bheed me rasta jhootha dikhane wale bahut hai. Bhatko jo kabhi is bheed me apni hi nadani se, Khud pe bharosa rakh k manzil dhoondh lena Ki dusro ka bharosa todne wale bahut hain.

Zara sambhal k bayan karna khwahishein kisi janib se Ki khwahishein poori karne ka dawa karne wale bahut hain. Tamannaein sari kab poori hui hain kisi ki, Yaha jindagi kya, arman lootne wale bahut hain.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 117 Zaruri Hai

Jaise din ki ahmiyat ke liye Raat zaruri hai, Jaise Raat ke lie bhi Chandni ka sath zaruri hai, Jaise main hu tere liye vaise hi mere liye Tera sath zaruri hai. Jaise nazdeekiyon ke liye dooriyan zaruri hai, Jaise saanso ke lie Dhadkan ka sath zaruri hai, Vaise hi mere jeene ke lie, meri saanson me Tera ehsaas zaruri hai.

Raatein meri tum bin ab Tang si Rehti hai, Kisi na kisi bahane se ab to yaad Teri, her pal mere sang Rehti hai Yun rehke ab tanha zindgi Jang si lagti hai, Tanha chalna ek umra Talak asaan hai Kahan, Her Raahi ke liye ek humrah zaruri hai.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 118 ???? ???

?? ?? ???? ?? ???? ?? ??? ?? ??? ???, ?? ???????? ????????? ???? ????, ????? ????? ??????? ???? ????! !

???????? ????? ??????? ?? ? ?? ???? ?????, ?? ????? ?? ??????? ???? ????, ????? ?? ?????????? ???? ????! !

???? ???? ?? ??? ???? ?? ????, ??? ???? ??, ??? ????? ???, ?? ????? ?? ???? ???? ????, ???? ???? ????! !

??? ?? ?? ?? ???? ?? ?? ????? ?? ???? ?? ???? ?? ??? ??, ???? ????? ?? ?????? ???? ????, ???? ??? ?? ???? ???????? ???? ????! !

Ye na samjho waqt k sath sab badal gaya Tumhari bewafaiyan apni jagah, humari tujhse mohabbat apni jagah.

Tumhara deedar rozana na ho naseeb humara, Ye raahon ki duriya apni jagah, dilo ki nazdeekiyan apni jagah.

Tere jane se kuch badla to nahi, wahi mausam h, hain hawayein wahi Per saanso ka chalna apni jagah, jeena apni jagah.

Tum ban gae kisi aur ki amanat, ye waqt aur naseeb ka khel hai Tere humraah ki kismat apni jagah, tere dil pe mera ikhtiyar apni jagah.

DEEPTI MISHRA

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 119