Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 1 2 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba)

Daarul Aman Trust, Kurnool was established in the year 2012. The concept of this institution was initiated 10 years back, when the founder of the institution Mrs. Mubina Khanam started giving lectures on Quran and Sunnah. The mission of this institution is “To propagate the real teachings of in a positive and simple manner.” Mrs. Mubina Khanam is the founder Chairperson of Halka- e- Ayesha in Muscat, Oman. She has been running this Halka successfully since 1999. It was one of the first Halkas started in Muscat to propagate the teachings of Islam to the expatriate community. There are daily and weekly Halkas focused on Tafseer, Seerah, Grammar, Tajweed and many more. Today there are innumerable Halkas being run for this noble cause. In addition, the first online Islamic classes were launched by her in February 2014 www.wiziq.com. The main aim of these classes was to cater to the sisters who couldn’t attend the regular classes due to unavoidable reasons. This gave them an opportunity to enroll for the online classes and benefit without leaving their homes. Another achievement was the launching of the official website of Daarul Aman, www.darulaman.net.in in August 2014. With the grace of Almighty Allah Daarul Aman Trust is now recognized and is in initial stages of development and will continue to offer its services to cater to the Islamic community.

Management Darul Aman Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 3 Preface

In the name of Allah, The Most Compassionate, Most Merciful, All praises are due to Allah; we praise Him; we seek His help; we seek His forgiveness; and we seek His guidance. I bear witness that there is none worthy of worship except Allah, for whom there is no partner. And I bear witness that Muhammad is His servant and Messenger. I would like to take this opportunity to express praise and to thank Allah for giving me the opportunity to write an important work of this nature. I would also like to express my heartfelt thanks to my noble Ustaza Mubeena Khanam for her continual efforts and motivation to do work of this kind. There are many people that I would like help in this particular work. Firstly, I express my gratitude to my parents for giving me the basic moral values and support needed. Secondly, I must not forget to express my beloved husband who is always a source of assistance and always stood by my side in every situation. I can only pray that Allah rewards them and blesses them greatly. I’ve been associated with Halk e Ayesha for the last few years which is chaired by Ustaza Mubeena Khanam. This was one of the first Halkas started in Muscat 1999 and by the grace of Almighty Allah, it has 4 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) been flourishing since then. The goal and objective of writing this book was initiated when I was preparing to appear for exams on “Seerat Un Nabi”. These notes proved as a good source not only for the exam preparation but also gave other students a glimpse of the life of Prophet S.A.W. whose character is the Noble Quran. Ustaza Mubeena Khanam felt the need to make these notes available to all the people who are unable to attend these Halkas or Islamic gatherings for whatever reasons. She took the responsibility of the noble cause of publishing this piece of notes. This is a simple translated and transliterated work for the sole purpose of making it easy for the readers to understand. This book is divided into 3 parts- From the early Mekkan period to Early life of Prophet S.A.W; The Mekkan Period and The Medinian Period. This work is produced by referring to audio lectures by Ustaza, Mubeena Khanam and the books -Tajalliyat-e- Nabuwat, The Sealed Nectar and Ar Raheeq Al Makhtum. I ask Allah to forgive me for all my shortcomings and to guide me to the straight path.

Yasmeen Afsar, M.A , B.Ed. July 2014 English Language Lecturer Muscat, Oman Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 5 Seerat Un Nabi Part 1

Prophet (pbuh) ki Hadees: Aap(S A W) ab zahoor hone wala hai , kaha “Ana muhammed (mai Mohammed hoon), Ana Ahmed (mein Ahmed hoon),Wa-anal mahi(aur mai maahi hoon)wa-yahmukullahul-kufar (mahi isliye hoon kufar ko Allah meri wajah se mitayega)wa-anal hasher(hashr main sab ko ikhatta mere khadmotale jamakar diya jayega).Al-lazi- yashurullahu-ala-khadmi-wa –aala-wa-na-aqib(mere baad koi nabi aane wala nahin).” Seerath Padhna Kyun Zaroori hai. Quran ko saamajhne ke liye Quran laanewale ki seerat ko padhna zaroori hai. AAP hamaare liye behtareen role model aur ek behtatreen insan hai. Aap ki seerat apnakar jannat ke mustahik ban sakte hain. Ise padhna ibadat aur farz hai. AAP Allah ke memboob hain. Seerat ko padkar AAP ki difa kar sake. Is hukm ki tameel karsake. Apne imaan ki Taqmeel kar saken. RasoolAllah S.A.W. ko bhejne ka Maqsad Allah SWT ne Aap ko bheja Rasool banakar, Gawahi dene wala bana kar, Khush khabri dene wala banakar, Darane wala bana kar aur Allah ki taraf bulane wala bana kar. Aap S.A.W mardon mein se kisi ke baap nahi hain. Who hamare Rasool aur akhri nabi hain. Aap ke 3 bete the jinka naam Sayyedina Qasim, Sayyedina Abdullah, Sayyedina Ibrahim tha. Wo bachpan mein hi fout ho gaye the. 6 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) Seerat ko kyun padhna chahiye. Seerat ka padhna farz aur ibadat hai. Aap bahtareen insaan aur sab ke liye role model hai. Quran Theory hai aur Aap ki zindagi practical namoona hai. Hum RasoolAllah S.A.W ko kyun follow Karen. Aap hamare Rasool hain aur hum Aap ki Ummat hain. Quran theory hai aur Aap ki zindagi ek practical namuna hai . Jaise ki, Quran hamen namaz ka Hukum deta hai lekin namaz kaise padhan hamein Aap ne bataya aur sikhaya. Aap ek complete kamyaab insaan hai politically, religiously, socially etc. Aap ki seerat ko apna kar hi hum jannat ke mustahik ban sakte hain. Nabi kareem ka rasta iktiyaar karke humein seerat ul mustaqeem par chalna hain jo humain jannat tak pahunchayega. Seerat kab, kaise aur kisne likhi. Sahaba Ikraam kuch hadeeth likh kar apne paas rakhte the lekin aise kisine ikatha (compile) nahi kiya tha. Abdul Malik Bin Marwan ke kehne par , Imam Zohri (R ) ne Seerat likhi 80th CN mein . Lekin who zyada MAGHAZI (Ghazwat) par mabani thi. Imam Zohri 50th Hijri mein paida hue the. Imam Zohri (R ) ke 2 students the a. Moosa ibn Uqba (R ) Tabi- Aap Imam Malik (R ) ke teacher the. Aap ki ghazwaat ya Maghazi ki knowledge perfect thi. Aap Ibn Zubair ke ghulam the. b. Mohammed Ibn Ishaque – Tabi- Aap ne hadeeth ke kai subjects mein izafa kiya like nikaah, wafaat, birth, death etc. Umar Bin Abdulaziz (R) Tabaeen the. Aap ne pehli baar SEERAT UN NABI (PBUH) to preserve and compile kiya. Amir Bin Qattada (R ) ne Hadeeth lessons shuru kiya tha pehli baar Jamia Masjid Damascus mein. Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 7

SEERAT, MIDHAT, SUNNAT, HADEETH ke kya mane (meaning) hain Mohammed (S.A.W) ka naam suntehi hami in char baato ki yaad aati hai- Seerat, Midhat, Sunnat aur Hadeeth. A. Seerat: mane = Saara,Yasiru, Saiyr means to walk. AAP(S.A.W) ki zindagi ko padh kar usmaise laazim moral lessons nikaal kar uspar amal karna hai. Jis ka kirdaar aur tareeqa zindagi acchha ho usi ke liye seerath ka lafz istemaal kiya jaata hai. Jaise: Seerah Rasool(S.A.W) Seerah Sahaba Seerah Abu Bkr Siddique(Ra) Seerah Umar(Ra) AAp (S.A.W) ki zindagi ke halaath ko ham agar dekhein toh Nabuwat se pehle,nabuwat ke baad,ladkpan, jawaani,aadhadh ummar AAp (S.A.W) ki wafaat tak koi bhi aise kami nahi dekhi jaati hai,isiliye Seerath ka lafz sirf aur sirf AAP(S.A.W)ko hi istemaal kiya jata hai. SEERAT: AAP(S.A.W) ke paydaishi se lekar maut tak tamaam zindaji ke halaat ko seerat kehte hain. SEERAT according to dictionary : conduct ,character, way of life, attitude etc B. Sunnat: AAP(S.A.W) ki hadees ko padhkar jise jo bhi nateja nikaal diya gaye gaa . According to Shariat: AAP(S.A.W) ke halath –e- zindagi , ayh-yaam,aqlaaq.tehreeri,amali in tamaam cheezon ko sunnath ka lafz diya gaya hai. C. Middhath: Ye Muannas hai.( feminine of Madaha) Madha kisi bhi 8 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) insaan ki tareef karne ke liye shayari ka sahara liye jane ko Madha kehte hain. Midhath ke example: Huzoor aaye toh insaano ko jeene ka shoor aa gaya Huzoor aaye tih chamke fikr insaan ki tanveer. Etc Hasaan bin Sabit Islam ke bahut bade shayar thy. AAP (S.A.W) ke saath hamesha rehte thy. Achhe tawheed ke ashaar padha karte thy. AAP (S.A.W) bade shok ke saath unke ashhar ko suna karte thy. Kuffar-e-mushrikeen AAP(S.A.W) ki Mukhalifath ashaar ke andaaz mein krate aur Aap ko aziyath diya karte, hajjo kiya karte thy. D. Hadeeth: HADEES : AAP(S.A.W) ke aqwaal,amaal aur taqreeq (sayings,actions,approval) ko hadees kehte hain. Hadeeth ki mithas 3 chezon se hasil ho sakti hai – Allah aur uske Rasool se har cheez se badhkar Mohabbat karna, har kaam Allah ki khunudi hasil karne ke liye karna, Allah ki nafarmani aur uski ayaton ko jhutlana hamein jahannum ke kareeb karta hai. Qiyamat ki nishani mein se ek nishani ye hai ki log hadeeth ko bhula denge. Allah Ta’la ne Rasool S.A.W ko bhejne ke liye Makkah( Arab) ko hi kyun chuna. Arab ke mayne : sehra, banjar zameen (without water and vegetation),nasheeb wadiya. Arab Teeno taraf se paani se bade bade continent se ghera gaya hai aur ye duniya ka qalb hai. Arab apne aap ko Apni fasahath,balagath ke aitebaar se ane aap ko Arab anur dusare ko Ajam kehte thy. Arab ke 3 qaume: (i) Arab-e-Baida (Perished ) : khatam hone wali qaume [ex: qaume Aad, Samood] Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 9

(ii) Arab- e –Ariba (Pure Arabs): Yaarob Bin Yashjab Bin Kahaan ki Nasal se.yeh yeman ke local arabs thea. Yaroob Bin Yashrab ki 2 qaume–Himiyar( prophet's tribe) and . (iii) Arab – e- Mustariba (Arabised Arabs): Ismail (A.S) ki nasal se.( Adnani Qaum) Ibrahim AS: Ibrahim(A.S) UR gawo mein koofa ke khareeb Iraq mein Furath nadi wahaa behti thi, wahaan paydah huwe. Ibrahim(A.S) ke walid ka naam Azar tha. buthtoun ko taraasha karte thy,pandit pujari thy. Ibrahim (A.s) sabse pehle taaron par ghoro fikr karne lage. Ibrahim(A.s) ke dour mein badasha ka naam Namrood tha. Ibrahim (A.s) ne aur Namrood ke beech ki muqalima(decision) Namrood : tum kis Rab ki baat kehte ho? Ibrahim (A.s) : Mera Rab who hai jo zindaji aur maut deta hai. Namrood: zindagi aur maut mein bhi de sakta hoon. Rasta pakda ek aadmi ka aur kathl karwa diya aur jis ko phansi dena tha use aazad kardiya aur kaha mein bhi zindaji aur maut de saktha hoon Ibrahim(A.s) : mera Rab mashrik se suraj ko nikalta hai aur magrib mein ghuroob karta hai. Agar tu waki karkasta hai toh magrib se suraj ko nikal aur mashrik mein ghuroob kar. Namrood ne Ibrahim A.S ko aag mein dalne ka hokum diya. Allah ne aag ko hukm diya”ae aag hamare Ibrahim par salamati ke saath thandi ho jaa. Ibrahim(A.s) najaath paye aur UR ko chod diya Hijrath karke apne biwi Sara(A.s) aur Laut(A.s) ko lekar Harran-Iraq-Misr gaye. Misr ka badsha Firaun tha. Firuan ne Bibi Sara(A.s) ke saath badniyati ki. Sara(A.s) Allah se duwa ki-Firuan ke haath payr maud gaye. Firuan ne tauba astagfar kiya aur apne beti Hajra ko Ibrahim A.S ko hadiya dediya. Ibrahim(A.s) ne bibi Hajira (a.s) ke saath nikah kiya aur Palestine chale gaye. Ibrahim A.s aur Bibi Hajira 10 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) ke bête the Ismail A.s. Allah ke hokum se Ibrahim(A.s) ne Bibi Hajira(A. s) aur bête Ismail(A.s) ko ek mishk mein paani anur khajoor ko lekar Makkah ke sunsaan wadi mein chohd diya. Ibrahim (A.S) wahaan se Misr- Palestine aakar Sham, Damascus, jaa kar Tawheed (Allah ki tarf daawat de rahe thy. Ibrahim (A.s) ne Loot (A.s) ko Urdun ( Jordan) -Jabl ke ilaaqe mein rakha. Ibrahim (A.s) 4 martaba Makkah aye. Ibrahim (A.s) ke doosre bête ka naam Ishaac (A.s) aur unki walida thi Bibi Sara ( A.s) Ismail aur Ishaac A.s mein 13 years ka farq tha. Ibrahim(A.s)ne khawb mein apne bête Ismail(A.s) ko zubah karte dekha. Aur qurbani ke irade se Makkah aye. Ibrahim(A.S) ne jab zubah karne ka khawwb Ismail(A.s) ko sunaya to Ismail (A.s) ne kaha, “Abbajaan aap ka khawaab sach kar dikhaiye in shaa Allah aap mujhe saabiron mein paayein ge”. Zubah karne ke irade se Aap Ismail A.s ko wadi Meena lekar gaye. Ibrahim(A.S) ne Ismail(A.s) ko peshani ke bal leta diya. Churi phair rahe thy. Allah ke tarf se awwaz aaye”Ay Ibrahim tum is imtehaan mein kamiyab hogaye,mein tumko is jahaan ka Imam banata hoon” Allah ne jannath se ek mainde ko bhej kar Ismail(A.s) ki jaan bachaye. Ibrahim(A.s) jab dusri baar madinah aaye toh Ismail(A.s) ka nikah Banu Jurham ki beti se huwa tha. Ismail(A.s) gahr par nahi thy.Ibrahim(A.s) se baat cheethkarne lage Bahu ne bahut saari shikveshikayat shuru kardeye. Ibrahim(A.s) jane ke waqt apne bahu se kaha Ismail(A.s) se kehna ki “chowkhat badl do” Ismail(A.s) ne apni biwi ko talaq dekar doosra nikah kiya. Ibrahim(A.s) jab teesari baar aaye toh Ismail(A.s) maujood nahi thy. Ibrahim(A.s) jab bahu se baat cheethkarne lage toh unhone Ismail(A.s) ki bahut Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 11 tareef ki aur shukr adda kiya. Ibrahim(A.s) ne bahu se kaha Ismail(A.s) se kehna Chowkhath barkarar rakhe. Ibrahim(A.s) chowthi maraba aaye Kaabe ki tamir ke liye. Kaabah ki Tameer Kaabe ki tameer Ibrahim aur Ismail A.s se pehle farishton ne, Adam A.s aur Sheeth A.s ne ki thi. Phir iski zimmedari Malika qaum ----Qabila banuJurham—Qusay-bin-kilaab— Abdullah –bin Zubair----Hujaaj-bin-Yusuf-----Sultan-muraad –turkey----Shah Fahd Abdul Azeez ne uthai. Allah ne Ibrahim aur Ismail A.s ko iski tameer ka hokum diya aur Abar ke zariye se kaabe ki nishandihi karadi. Makkah kayi baar re-build huwa. Noah (A.s) ke zamane mein jo toofaan aaya toh Makkah zameen ke barabar hogaya. Quresh ke zamane mein jo toofaan aaya toh Makkah zameen ke barabar hogaya. Hamesha logon ne halaal maal hi istemaal kiya. Hateem (semi-circle ) ki shakl mein tha. Quresh ke zamane mein jab maal ki kami se buniyaad yahin se uthayi gayi thi. Ab Kaabatullah Square ki shakl mein hai. Ibrahim(A.s) ke pairon ke nishan hi jispar khade hokar Ibrahim(A.s) kaabe ki dewaaar ki tamir kar rahe thy is ko Muqame-Ibrahim kaha jata hai. Baar-baar utar kar aate aur dekhte kaheen dewaar alag toh nahi jaa rahi hai phir chad te aur kaabe ki dewaar khada karte. Hadees mein aata hai ki Maqame Ibrahim lift ke maine thi jaise jaise dewaar oonchi horahi thi phattar bhi saath saath uth raha tha. Jannath se aae huwe phattar - Mauqame Ibrahim aur Hajre- Aswad hain. Nabi(S.A.W) farmate hain ki Hajjre Aswad doodh ke jaisa sufaiddh tha lekin tum logon ke amaal ki wajah se kaala hogaya jo tum bosa dete ho isliye kaala hogaya. Kaabe ke 12 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) darwaze ko Rukn- e- Yamani kehten hain Rukh-e-yamani aur Hajre aswad ke darmiyaan ye duwa padhi jati hai .

Allah ne Ibrahim(A.s) ko kaabe ki tameer ke baad hukum diya ki “Ab AAP logoun ko Elaan karein aake Baithullah ki ziyarath ka . AAP Azaan digiye hum Aap ki azzan ko kone kone tak pahunchayege”Ibrahim A.s ne Jabal-e- Rahmat par chadd kar Azzan di thi. Hadees mei aata hai ki ruhoon ki aalam mein jitney ruhein moujoodh thy un sab ne Ibrahim(A.s) ki azaan ko sun kar Labek kaha. Zamzam Zamzam ke Arabic me mane: Ruk jaa,tham jaa,tehar jaa hai. Allah ke Hukum par Ibrahim A.s ne Bibi hajera aur Ismail A.s ko Makkah ki sunsan wadiyon mein chohdd diya. Jaise paani khatam hogaya chota baccha(Ismail(A.s)) rone lage. Bibi Hajira bacche ki pyaas ki tadap dekhkar Safa, Marwa pahadi ki chakkar kaatne lagi. Isi sunnath ko jaari rakhne ke leye hum Hajj aur Umrah mein sayyi kartein hain. Bibi Hajira dekhti hain ki Isamil(A.s) ki khadmo se paani jaari horaha hai. Bibi Hajira ne mitti ka ek alawa bana kar paani ko rok liya. Zamzam ko khade hokar Qibla rukh hokar piya jaata hai. Zamzam ko lekar AAP(S.A.W)ki hadeeth: “Jo jis maqsad ke saath duwa kar ke padhe ga uski duwa qubool hojaye gi.” Zamzam peeni ke waqt ki dua,“Allah-humma-inni-as-aluka-il-mann nafiyoun wa- amalam muta-khabbiloun-wa rizkhan tayyiba” Teen cheezon ka sawaab: -- Naafe-ilm , halaal rizkh aur achha-amal. Naafe ilm Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 13

- - Deen ki tadap , Andhere se roshani me lekar aaye gaa. Halaal Rizkh -- Halaal Rizkh ibadatoun mein khush –o-khuzu Achha – amal – Hidayath AAP(s.A.W) ke shakku- s-sadar ke waqt Apke seene Mubarak ko zamzam ke paani se dhoya gaya tha. Banu Jurham Qabeela: Banu Jurhum ka kafila se aaraha tha. Parindo ka Jhund dekhkar zamzam ki taraf aaye. Bibi Hajira se paani istemaal karne ki ijazath Banu Jurhum ne leli. Bibi Hajira ne paani ke kuwein ka haq Banu Jurhum ko nahi diya. Banu Jurhum ka qabila wahin basne laga. Banu Jurhum bahut saare fann jaante thy (very educated, moral ethics, values etc) Ismail (A.s) ka uthna baithna Banu Jurhum ke saath hota tha. Banu Jurhum bade maahir teeran das thy. Ismail (A.S) ne Banu Jurhum se teer banana bhi seekh liye thy. Ismail (A.s ) ki shaadi isi Qabeele ki ladki se hui. Ismail(a.s) 137 saal zinda rahe. Bibi Hajira bhi Fut hogaye. Aap ke 12 bete the lekin humein 2 ka hi zikr milta hai – Nabit aur Qidr. Nabid Arb ke bahar basne lage. Qidr hijaz mein thy. Banu Jurham ne Kabaatullah ki 2100 saal tak zimmedari li. & Banu Khuzah ne Banu Jurham ko hara diya aur Kaaba ki dekh bhaal Banu Khuzah ke zimme chali gayi. Amr Ibn Lohai Banu Khuzah ka bahtareen sardar tha , jisne Kaabe par 300-400 years hukumat ki. Amr Ibn Lohai aksar SHAM ( Syria) tijarat ke liya jaya karta tha. Wahan usne kuch gold, Silver ke buth (idols) dekhe. Wahan log un buthon ki ibadat kiya karte the taki wo 14 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba)

buth unhe Allah ke Qareeb pahuncha sake. Use Wo buth bahut pasand aye. HUBUL –Ye pehla Buth tha jo Amr Ibn Lohai ne Kaaba mein rakha. AAP(S.A.W) ne kaha ki maine dekha Amr- Ibn-Luhai ko jahannam mein uski aangatein ghasitey huwe Qusai Qusai Banu Khuza se tha . Uska asli naam Zaid tha. Bachpan mein baap ka intekaal hogaya. Wo yateem tha. Qusay ki maa ne dusari shaadiek shaks se ki jo Sham se tha aur wo sham chali gayi. Jab Qusay jawaan huwa kuch logon ke saath anban huwi usse pata chala woh us ka baap nahi tha aur wo wapas Makkah aagaya. Kaaba ke mutawalli Hulail ki bête se nikah kiya. Hulail ke faut hone ke baad Kaabe ki sardari Qusai ko mili. Uski kayi zimmedariyan thi- Lawayath (jung ka parcham apne haaton se khafile ko bandh ke bhejta) Hijaba (Kaabe ki pasbani(key) aur maintenance kiya karta) Siqaya (hajiyon ko paani pilana) Rifdah(Hajiyon ko khane ka intezaam) Qusai ke 6 bete the lekin sirf 2 ka zikr hamin milta hai – Abdu Darr and Abdu Manaaf Qusay ne marne se phele tammam aude apne do beto mein taqseem kiya,us mein Abd-daar ko ziyada mansab diye. Abd-daar ki fouth ki baad unke beto aur Abd Manaf se jung huwe . Audeh equally distribute kar diye gaye. ABDU MANAAF Abdu Manaf ke 4 bete the- Hashim , Mutallib , Abdu Shams and Naufal. Hashim ka asli naam Amr/ Umro tha. Amr ko Hashim ka naam isliye mila kyon ki ek baar Makkah mein khahath aaya toh Yemen aur Sham se ghalla mangakar uski Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 15 rotiyan banakar choor kar shorwey mein dubokar logon ko diya karta tha. Arabi mein "hashama" ka matlab Thodne aur churne ko kehte hain. Karobaar ke liye yeman aur sham ke badshah se ijazath liye thy. Garmiyon ke dino mein kafila sham ki tarf aur sardi ke dino mein Yemen ki taraf. Dono badshah se ijazath liye thy ki hamare parwano par haath nahi daalege. Allah ke ghar ki mutawalli thy isliye Allah ne unko ye izzath bakkshi. Aman ke saath safar kiya karte. Iska zikr humein Quran shareef ki is surah mein milta hai.

Madinah ke safar mein Banu Nadeer Banu Najjar ke Qabile se Salma naam ki khubsoorth aurat se unhone nikah kiya. Hashim ka palestine ki wapasi mein ghazaab naam ki jagah mein inteqaal huwa,Salma hamila thi. Hashim ka bête ka naam shahzada. Sar mein baal sufaid hone ki wajah se bacche ka naam Shaiba rakha. Hashim apne bhai Mutallib ko wasiyath ki thi maine Salma se Madinah mein nikah kiya aur woh hamila hai .Agar mujhe kuch hojaye toh tum uski kifalath karna aur usi tamam aude dena jo Hashim ke thy. Muttalib apne 6 saal ke bhatije ko lekar makkah ki taraf rawana huwe. Logon ne samjha Mutallib ghulam ko saath mein layein hain aur Shaiba ko Abdul Mutallib ke naam se bulane lage. Shaiba Abdul Mutallib ke naam se mashoor hogaye. Abdul Mutallib Makkah ke sardaar 16 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) ban gaye. Abdul Mutallib ke siqayah , rifadah AAp ko mil gaya. Allah ne Abdul Mutallib ko khawaab mein dikahya ki Zamzam ko khodne ko. Abdul Mutallib ne Allah se dua ki , “Ay Allah mjuhe kuch alamatein batadein jisse mujhe baath sahi waaze ho jaaye.” Allah ne Abdul Mutallib ko khwaab mein kuch alamtein batayi jaise wahaan phar qurbani ki gayi thi, kuch oonth ka ghost padha huwa tha, sufaidh kabutar ka parh tha. Abdul Mutallib usse dhoondtein huwe chale gayi aur jagah milgayi . Aap ka beta Harith bhi AAp ke saath maujoodh tha. Abdul Mutallib aur Harrith ne zamzam ki kuway ki khudaayi shuru kardi aur zamzam nikalpadha. Qabile waloon ko patachala aur madadh ke liye aagaye. lekin Abdul Mutallib ne maana kar diya. Abdul Mutallib ko afsoos huwa ki Agar mere 10 bete hote toh is kaam mai mere madadh karte. Abdul Mutallib ne Allah se duwa maange ki Allah mujhe agar 10 bete dega ek beta mein teri raah mein dedunga. Allah ne Abdul Mutallib ko 10 bete ata kiye Abdul Mutallib aur bibi Fathima-binte-umar-maqzumi se 3 sons: Abdullah , Abu Talib, Abdul Manaf Abbasiya khandaan se : Abbas unke bête:Hamza,Muqavam,Maqoom Wahaab se: Haala-binte Quza ke khandaan se : Abdul Uzza Banu Amir-Bin –Khuzaima: walida: safiya : Harrith 6 Beti(phuphi Mohammad (S.A.W)) : Aatika, Safiya, Ume Hakim, Barraa, Arwaaaur, Umayma Mohammad (S.A.W) ki 2 chacha jo Islam lekar aaye hadrath Abbas ( R.A) aur Hamza (R.A). Abu Talib ne aap ki parwarish ki thi aap ke dada ke inteqal ke baad. Abu Lahab jo Aap SAW ka chacha tha , Aap se bahut dushmani rakhta tha. Abdullah – Aap SAW ke walid Zamzam ki khudai ke waqt Abdul Mutaalib ne mannat mangi thi ki agar Allah ne mujhe 10 bete diye to main ek bête Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 17 ko zubah karonga. Allah ne unhe 10 bete ata kiye. Abdul Mutallib ko mannat pori karni thi . Jabbhi khurra nilakta toh Hz Abdullah ka hi naam nikalta . Logon ne kaha agar tum zubah karo get oh yahi riwaaj banjayega. Is masle ko suljhane ke liye who ek kahina ke paas Abdullah ko lekar gaye. Ek parche mein 10 oonth and dusare par Hz Abdullah . Jab bhi khurra nikalte Abdullah ka nikalta. 20,30 …………..100 oonth ka khurra daala toh oonth nikla. Abdul Mutallib ne 100 oonth fidiye mein dediye. AAP(S.A.W) kehte hain main 2 zabiye ka aulaad hoon. Hz Abdullah neWahab-bin-Abd-manaf ki khandaan se Hz Aamina se nikah kiya . Jab wok makkah aayi to hamila thi. Hz Abdullah tijarath ke liye sham ki tarf nikle jab wapas aarahe thy bimaar hogaye aue Madinah Abwa mein wafaath pagaye. Us dauran Am- ul – Feel ka kissa pesh aya. Am-ul-Feel ( The Event of the elephant) Ye waqia Muharram ke mahine mein Aap SAW ki paidaish se 50-55 days pehle hua. Abraha As-Sabah Al-Habashi, Yemen ka badshah tha usne Sana mein ek khoobsurat church tameer karwaya aur who chahta tha ki log Makkah ki ziyarath chohdd kar Yemen ki taraf Sana mein apna rokh mod len. Banu Quza ke Qabile ke kuch logon ko iska pata chala aur un logon ne us church mein gandagi kardi. Abraha ko gussa aaya 60,000 ki fauj ikhatta kiya aur Makkah ki taraf jaane ke liye taiyaar hogaya, lekin usse Makkah jaane ka raasta pata na chala. Abu-Rijjal ne raasta bataya lekin uski sharth thi ke woh apne mabudoun ko nahin dhayega. Abraha Abdul Mutallib ke 100 oothon ko leliya. Abdul Mutallib Abraha ke khaimay mei baath karne ke liye gaye. Abdul Mutallib ka roupdaar chehra dekhkar Abraha ooth kar unka istabaal karne laga. Abraha ne Abdul Mutallib se poocha “batao kyun aaye ho”? Abdul Mutallib ne 18 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) jawaab mein kahaa “mey apne 100 oothon ko lene aaya hoon jo tumne leliya hain”. Abraha taajub huwa kehne laga”maine socha tum kaabe ko na dhabne ko minnatein karoje tum toh ek maamoli cheeez oonth maangne ke liye aaye ho” Jawaab mein Abdul Mutallib ne kaho jis tarha in oonthon ka maalik mein hoon uss khane kaaba ka bhi maalik hai,mujhe jis tarha in oonthon ki hifazath hai ,kaabe ka Rabb bhi uske ghar ki hifazath karega. Abdul Mutallib apne oonthon ko lekar chale gaye. Abdul Mutallib tamaam Makkah walon ko jama karke humme Abrah ke lashkar se ladne ki taaqat nahin hai tamaam logon ne kaabetullah ko simath kar rone lage aur duwaein karne lage”Ay Allah kaabetullah tera ghar hai tuhi apne gharko bacha sakta hai, Abraha ke lashkar se ladne ki taaqath hame nahin hai .Tamaam loug dua karke pahad par chad jaye. Abraha hathiyon (elephants) ki fauj ko lekar Makkah ki taraf chal pada. Who sabse bade haathi par sawar tha jiska naam Mahmood tha. Haathi ko jab hokum dete Bait Allah ki taraf jaane ko to who baith jata. Kisi ne uske kaan mein kaha tha ke ye Allah ka ghar hai aur Abraha ise todne Aya hai tu age mat badh to who baith gaya. Arab ke logon ne pehli baar Haathi (feel) ko dekha tha. Allah ki madad ayi. Dekhte hi dekhta sare aasman mein abar chah gaya. Ababeel ( parinde) ka Jhund paki hui mitti ko Abraha ki fauj par giraya aur uski fauj ke kai log mar gaye aur baqi titar bitar ho gaye. Is tarah Allah ne Makkah walon ki madad ki. Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 19 Arab ke halat Aap SAW ki paidaish ke waqt. Saqawat , Sujahath (bahaddur) , Wafa-e-ahadh , Karam aur Jang ladna asaan tha Tubban Bin Asad, Yemen ka humaran tha.Tubban-bin-asad aur Madine walon mein din bhar jhagda hota. Lekin raat hoti Madine wale raat ko Tubban-bin-asad ke ilaqe mein khaneke liye bhejte. Kehte thy dushmani apni jagah aur mehmaan-nawazi apni jagah. Imra ul Khaiz: Arab ke bade shayar. Imra ul khaiz ne Sumail-bin-Adiya ke paas apni talwaren amanath ke taur par rakhwayi thi. Harith aur Imra Ul Khaiz ke beech jang hui. Jab Harith ko Imra Ul Khaiz ki amanat (talwaren) jo usne Sumail ke paas rakhi thi pata chala to Sumail se who talwaren mangne laga. Sumail ne jab inkar kiya to Haris ne Sumail-bin-adiya se jung ki aur unke bête Ko pakad liya aur burooj ke paas lekar gaya aur kahaa “Sumail zarah bahar toh nikal kar dekho agar tum Imra ul khaiz ke tamaam maal nahin doge mein tumhare bete Ko zinda qatl kardunga”. Sumail ne kaha ki , “Bête ki jaan jaana manzoor hai lekin amanth mein khiyanat nahi karonga.” Ahad karna: Abd-Daar aur Abd-Manaf ke beech rifaya aur siqayah par jhagda huwa indono ke beech ahadh ka faisla huwa: ek payle mein ittar lekar dono apne haath dubokar Kaabe ki dewaar ko lagakar ahad kiya karte thy. Arab mein mashoor souq (mele) hurmath wale 4 mahino mein laga karte: zikhyda, zilhaj,moharram aur rajab in mahino mein koi jung nahin hoti thy.3 tarf samandr jhera tha so seaport tha aur import export ka business huwa karta. Political aur Religious Halaat Arab ek peninsula hai,3 tarf se paani se ghaira huwa hai. Kisi ki bhi himmath nahi thy k who hijaz mein aaye .Arab kisi 20 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) ka mohtaaj nahin tha. Arab ke loug azaad qism ke thy. Qabaili nizam mein raha karte Deene Ibrahim ko maante the. Amr-ibn- Luhai phela budh Hubul Sham se lekar aaya aur is tarah Makkah mein shirk shuru huwa. Iran mein log Aag ki pooja karte the. Jews (Yahoodi) –Banu Qainakha, Banu Nazeer and Banu Quraiza Madina mein basgaye the. Asad-Tubba-Yemen ka hukmeran tha. woh apna bête zunawaaz ko madinah chod kar Sham ki tarf chala gaya. Madine walon ki uske bête ke saath anban huwe aur madineh walon ne uske bête ko qatl kardiya. Asad tubba Madinah aaya badle ke liye lekin who kamiyaab nahin huwa. Asad Tubba jab Madinah gaya tawaaf keliye khwaab mein dekha who kaabe par kiswa chada raha tha. Asad Tubba pehla shaks jo Kaabe par kiswa chada raha tha . Asad tubbaa Yahoodiyath ko apnaliya . Asad Tuba ne yahoodiyath logon mein maanane ke liye ek Khandaq bana kar 40000 logon ko uss mein dalwaya tha aur jabran logon ko yahoodiyath lane mein majboor kiya. Asad tuba ki fouth ke baad unka bête zunawaaz hukmraan bangaya,chatatha Najathke logon mein yahoodiyath laadein. Habsha (Rome ) mein Isaai ( Christians) basa karte thy. Fumein (paadree) daae tha Isaaiyat ki dawwat diya karta log majbooran khubool karte . Aethist –Allah ko nahin maante Amr-Ibn Luhai ko Jeddah mein Loot (a.s) ke zamane se 5 budh thy who bhi makkah lekar aaya. Makkah mein shirk tha. Rasool SAW ki Paidaish Basaadat Aap Makkah mein Shabe Bani Hashim ke andar 9th Rabi Ul Awwal Amul Feel Doshambe (Monday) ke din subah ke waqt paida hue. Aap ko Aap ki walida ke baad sabse pehle Abu Lahab ki khadima Thuwaiba ne doodh pilaya ( Us waqt unka ek beta tha jiska naam tha Masrouh) Halima Bint Abi Dhuaib , jo Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 21

Bani Saad Bin Bakr ki rahne wali thi, Aap S.A.W ko aap ke halwale Doodh pilane ke liye de diya gaya ( jaisa ke daastoor the us zamane ke). Aap ke Husband ka naam Al Harith Bin Abdul Uzza tha. Unki aulaad ke naam ye hain - ‘Abdullah bin Al- Harith, Aneesah bint Al-Harith, Hudhafah or Judhamah bint Al-Harith (known as Ash-Shayma’). Halima Ke Israar (request) par Bibi Amina ne Rasool S.A.W ko unke paas 4-5 years tak dekh bhaal karne ki ijaazat dedi. 4th ya 5th year shaqq ul sadr (seene Mubarak chaak kiye jane) ka waqiya pesh aya. Is ki tafseel Hazrath Anas RA ne Sahih mein riwayat ki hai ke – RasoolAllah S.A.W ke paas Jibraeel AS Tashreef laye jab Aap S.A.W bachon ke saath khel rahe the. Hazrath Jibraeel AS ne Aap ko pakad kar litaya aur seena chaak karke dil ko nikala , phir dil se ek lothda nikal kar farmaya ke ye tum se shaitaan ka hissa hai. Phir dil ko zamzam ke pani se dho kar use uski jagah lauta diya. Aap S.A.W jab 6 years ke the tab Aap ki maa Bibi Amina ka inteqaal (died) Madina se wapsi ke raste mein ABWA nami Jagah par hua. Us waqt Aapki Khadima Umm Ayman Maujood thi. Maa ke guzarne ke baad Aap S.A.W ke dada Abdul Muttalib ne Aap ki dekh bhall ki aur years ki umar mein unka bhi inteqaal ho gaya. Dada ke baad Aap S.A.W ki dekh bhaal ka zimma Aap ke chacha Abu Talib ne uthaya (Abu Talib Aap S.A.W ke walid Abdullah ke sage bhai the ) BAHIRA – Rahib (The Monk) 12 years ki umar mein Aap S.A.W Abu Talib ke saath Sham ( Syria) Business ke liye nikle. Jab ye sab Basra (ek jagah ka naam tha) pahunche to wahan ek Rahib tha jiska Asli naam George aur uska laqab Bahira tha use mulakat hui. Usne Aap S.A.W ko pehchaan lya aur badi khatirdari ki. Aur aap ka haath pakad kar kaha ki Aap S.A.W Sayyad Ul Alameen hain. Abu Talib ne pooch eke use kaise pata. Usne kaha , “ tum log uski 22 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) ghati ki taraf se jab aye to koi bhi darakht (tree) ya pather aisa nahi tha jo sajde ke liye jhuk na gaya ho aur yeh cheezen nabi le alawa kisi aur insaan ko sajda nahi karti” Bahira ne Abu Talib se kaha ki Aap ko Shaam na le jayen kyunki yahudiyon ka khatra hai. Tab Abu Talib ne Aap ko wapas Makkah bhej diya. Jung –e- Fujjar (580-590AD) 1. Aap ki Umar 15 years ki hui tab Jung e Fujjar pesh ayi. Is jung mein Ek taraf Quraish aur Banu Kinana aur dusri taraf Qais Ailan the. 2. Ise Jung e Fujjar isliye kehte hain kyunki yeh hurmath wale mahine mein hui thi. 3. Is jung mein Aap S.A.W tashreef farma the aur apne chacha ko teer thamane ka kaam kiya. Half ul Fudoul- (AlFudoul Confederacy ) Ye zil Qadha , hurmat wale mahine mein pesh ayi. Iske members the - Banu Hashim, Banu Al-Muttalib, Asad bin ‘Abd Al-‘Uzza, Zahrah bin Kilab and Taim bin Murra. Maqsad ( iska aim kyat ha) : Makkah main job hi mazloom hoga ( Makkah ke andar ya bahar Wala) sab ki madad ( help) aur himayat mein khade honge. Zubaid Qabile ka ek aadmi saman le kar Makkah aya aur Aas Bin Wail As Sahmy ne use saman kharida lekin uska Haqq rok liya. Zubaid ke aadmi ne Makkah walon se madad mangi lekin kisi ne bhi uski madad nahi ki. Is par who Jabl Abi Qubais par chadhkar chand ashaar padhe aur apne shikayat ka izhaar kiya. Az-Zubair bin ‘Abdul-Muttalib ne koshish ki aur sab Qabilon ne milkar Az Zibaidy ka Haqq Use dilaya. Prophet’s early Job: Jab Aap Jawan hue tab Aap S.A.W bakriyan charate the. 25 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 23 years ki jab umar ko pahonche tab Hazrath Khadeeja RA ka Maal lekar Sham ( Syria) ki taraf tijarat ( business) ke liye gaye. Khadija Bint Khuwailid RA ak maldaar business woman thi. Logon ko apna maal business ke liye detin thi aur apna hissa usmein mukarrar kar letin thi. Jab unhe Aap S.A.W ki amanat aur sadaqat ke bare maloom hua tab unhon ne Aap S.A.W ko apna maal business ke liye diya. Unhon ne apne ghulam Maisarah ko Aap S.A.W ke Saath Sham ( Syria) bheja business ke liye. Hazrath Khadija Bint Khuwailid se shadi: Jab Aap S.A.W Shaam se wapas aye tab Hazrath Khadija ne apne maal itni barkat aur amanat dhekhi jo pehle kabhi na dekhi thi. Aur aap ke Ghulam Maisarh ne Aap S.A.W ke Akhlaq, Kirdar, Sadaqat, Amanatdari ke bare mein bataya. Bade sardar aur Rais kai logon ne Hazrath Khadija RA se shadi Karen ka izhaar kiya tha. Lekin apne inkaar kar diya. Apne apne dil ki baat apni saheli ( friend) Nafeesa ko batayi. Nafeesa ne Aap S.A.W ko is baat ki itilaa (news) di. Aap S.A.W is shaadi ko tayyar ho gaye. Nikaah mein Banu Hashim aur Mudar ke sardar maujood the. Ye shaadi Sham se wapasi ke 2 months ke baad hui. Aap S.A.W ne mehar mein 20 camels diye. Nikah ke waqt Aap ki age 25 years aur Hazrath Khadeeja RA ki age 40 years kit hi. Ibrahim ke alawa Aap S.A.W ki sari auladen ( children) Hazrath Khadeeja RA se hi huwi thi. Al Qasim RA, Bibi Zainab RA, Bibi Ruqaiyah RA, Umm Kulthum RA, Fathima RA, Abdullah ( also called Tahir and Taiyyab) Aap S.A.W ke sab ladkon ka bachpan mein hi inteqaal ( died ) ho gaya. Bibi Fatima RA ke siwa sab betiyon ka inteqaal Aap S.A.W ki zindagi mein hi hua. Sab betiyon ne islam qubool kiya aur hijrath se musharraf huwi. 24 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) Kaabe ki tameer aur Hajre Aswad ka Masla: Jab Aap S.A.W ki age 35 years ki hui tab Kaabe Shareef ki tameer ka waqiya pesh aya. Iski wajah ye thi Ismail AS ke Kaabe ki Tameer kare kafi time ho chuka tha. Aur uske upar chat ( roof) bhi nahi tha. Is ka faida uthakar choron ne Kaabe ke andar ka khazana chura liya. Usi saal Makkah mein toofan aya aur uska rukh Kaabe ki taraf tha. Is wajah se Kaabe Shareef girne ka dar ho gaya tha. Majbooran Quraish ko iski tameer karne zaroorat mahsoos hui. Iski Tameer ke liye halal money ka hi istemaal karne ka faisla hua. Iski Tameer ke liye purani imarat ko girana zaroori tha lekin sab is kaam se darr rahe the. but Al Waleed Bin Al Mugheerah Al Maghzumi ne is kaam mein pehel ki . Baqum naam ka ek Aadmi tha (mason from Rome) jisne patharon ka istemal karke Kaabe ki tameer ki. Tameer ka kaam ache chal raha tha lekin jab Hajre Aswad ko uski jagah rakhne ki baari ayi to sab yeh sharaf hasil karna chahte the. Situation thoda seious ho gaya lag raha tha jaise haram shareef mein khoon kharaba hojayega. Abu Omaiyah bin Mugheerah Al Makhzumi ne ek advice di: Masjid Haram ke darwaze se doosre din jo sabse pehle dakhil ho use apne jhagde ka hakim maan len. Logon ne isko accept kar liya. Aur Allah Ta’ala ki marzi thi ke us darwaze se Aap S.A.W tashreef laye. Aap S.A.W ne ek chadar mangwai aur beech mein Hajre Aswad rakha aur sab Qabilon ke sarsaron se kaha ke chadar ka kinara pakadkar upar uthaen. Jab chadar Hajar Aswad ke Muqaam tak pahunchi to Aap S.A.W ne apne Hath Mubarak se Hajre Aswad ko uski Jagah rakh diya. Ghare Hira ke andar Aap S.A.W ki age jab 40 years ke kareeb ho chali tab Aap tanhai pasand ho gaye. Is liya kuch Sattoo aur pani lekar Aap Ghare Hira jo ke Makkah se koi 2 mile ke distance par tha Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 25 wahan chale jate the. Apna time Allah Ta’ala ki ibadat mein aur kainaat par ghauro fikr kiya karte the. 3 years Aap ne aise hi guzare. Tahannuth us period ko kaha jata jo time Aap ne Ramdan ke mahine mein Ghare Hira mein guzara tha. Jibraeel AS Wahy laten hain: Jab Aap S.A.W ki Age 40 years ki ho gayi tab Apko Nabuwat ata ki gayi. Jibraeel AS Quran ki chand Ayaten le kar Aap S.A.W ke paas tashreef laye Aur kaha Padho. Aap S.A.W ne kaha main padha hua nahi hoon. Aap S.A.W farmaten hain ki is par usne ( Jibraeel AS) ne mujhe pakad kar is zor se dabaya ki meri sari quwaat nichod di. Phir chodh kar kaha padho . maine kaha maien padha hua nahi hoon. Usne dubara pakad kar dabocha. Phir chodh kar kaha padho phir maine kaha main padha hua nahi hoon . Tessri baar usne dabocha aur chodh kar kaha Aap S.A.W ka dil dhak dhak kar raha tha usi halat mein Aap Hazrath Khadeeja RA ke paas tashreef laye sur unko udhane ke liye kaha. Hazrath Khadeeja Aap ko apne chachazaad bhai Waraqa bin Nawfal bin Asad bin Abd al Uzza ke paas le gayin. Tab Waraqa bin Naufal Isaai ho gaye the. Apna us waqt nabeena (blind) aur budhe (old) the. Hebrew language mein Injeel likha karte the. Waraqa bin Naufel ne Aap S.A.W ko kaha ki Aap par wahy nazil ho rahi hai jaise ki Moosa AS par nazil hui thi. Iske baad Wahy kuch period ke liye ruk gayi thi. 26 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) Makki Daur (Makkan Period) Part 2 Tableegh ke 4 Daur 1st Daur – 1-3 years – Kufiya tableegh- Silent Tableegh – in Dar Ul Arqam 2nd Daur – 4-6 years – rishtedar aur kareebi logon ko dawat 3rd Daur – 7-10 years– Social boycott 4th Daur – 11-13 years –Isra wal Meraj

1st Daur ( 1st Stage) - MAIN EVENTS - 1-3 YEARS 1st Wahy nazil hui jab Nabi (S) was 40 years ke the – Lailatul Qadr – Ramadan Zaid Bin Haritha RA se yeh Hadeeth riwayat hai ki Aap S.A.W jab shuruwat mein wahy nazil hui tab Aap ko Jibraeel AS ne Aap S.A.W ko Wuzu ka tareeqa sikhya, 2 rakat Namaz ka Tareeqa bhi. First 4 muslims – Khadija RA, Abu BAkr RA, Ali RA, Zaid Ibn Harith RA, H. Abu Bakr RA ke hath par kuch log musalman hue Uthman bin Affan RA, Zubair bin Awam RA, Abdur Rahman Auf RA, Sa’d bin Abi Waqqas RA, Talha bin Ubaidullah RA, Fatratul Wahy ke mane kya hain? kuch time tak wahy ka ruk jana. (The period of silence – Wahy stopped for a period of time) Surah MUDDATHTHIR nazil hui . Islam ke ibtedaai period mein 2 Ahkam nazil hue – logon tak paigham pahunchana , Allah se darana. Is mein Namaz ka hokum bhi diya gaya tha. Muqatil Bin Sulaiman kahte hain ki islam ki shuruwati period mein Allah Ta’ala ne 2 Rakat subah aur 2 Rakat sham ki Namaz farz kit hi. 3 years tak Tableegh ka kaam khufiya ( secretly) kiya gaya. Is period mein ek Imaan ki jamat tayar ho gayi thi aur Allah ka paighaam logon tak pahuncha rahi thi. Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 27

2nd Daur (2nd Stage)- MAIN EVENTS - 4-7 YEARS 4th YEAR Surah Al Shu’ara – Ayat 214 nazil hui – apne rishtedaron aur kareebi logon ko Allah ke Azzab se darao. Kohe Safa (Call from Safa) – Nabi (S) ne Dawaat ka Elaan –for non muslims. Khullam khulla dawat and ibadat shuru (open invitation & worship) Abu Jahl ne Nabi (S) ko 2 time Maqame Ibrahim par namaz padte dekha. Abu Jahl par nabi ka robe pada – Yateem ladka , Irashi Camel, Zubaid Nabi (S) se compromise ki koshish hui Aap S.A.W ko Maal, Badshahath , Jinn , Aurat ka offer diya gaya. Uthbah bin Rabiya who shakhs tha jo ye proposal laya tha Family mein 3 groups ho gaye Mukhalifat (Totally against) – Abu Lahab Hifazat ka wada kiya (Gave protection) – Abu Talib Baqi family neutral rahi. 4 delegations Abu Talilb ke pass gaye Nabi (S) ko tabhleeg se rokne ke liye. 1st delegation – Abu Talib ko Nabi (S) aur un logon ke beech se hat jane ke liye kaha 2nd delegation – Agar ek chand aur ek suraj bhi leker denge to bhi main (NABI S ) dawat se baaz nahi aunga. (Maal, Badshahat, Jinn, Aurat ka offer) 3rd delegation – Compromise ki koshish – Surah Kafiroon nazil hui 4th delegation – exchange offer diya Abu Talib ko - Nabi (S) ke Badle Omara Bin Waleed (son of Waleed Bin Mughira) ko lelen aur Aap S.A.W ko unke hawale karden. Hajj ka time Hujjaj ko Nabi ki dawat se rokne ki koshish Majlis Shura banai gayi Taake Hajj ko ane wale logon par Nabi (S) ki tableegh ka koi asar na ho. Waleed Bin Mughira ne 28 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) isko plan kiya. Iska maqsad tha ki kis tarah Nabi (S) ko is kaam se roka jaye. Mushrikeen saare raston par beth jate taake hajj ko ane walon ke dil mein Nabi (S) ke khilaaf baten dale. Who Nabi (S) Ko Kahin, Majnoon, Shayar kehte the. Is kaam mein sab se aage Abu Lahab Rahta tha. Quran ki Ayaton ka – Istehaza karna (making fun) , Purani kahaniya kehna, Takzeeb karna , aur kehte ki Yeh Quran Aap S.A.W ko ek insaan sikhata hai, Ye kaisa Rasool hai jo khana khata hai aur Bazaron mein chalta phirta hai. Nazr Bin Harith- logon ko Quran sunne se rokta tha. Jab bhi Nabi (S) Quran ki tilawat karte to who logon ko purane kisse kahaniya sunane lagta. Iss daur mein kuch logon ne islam qubool kiya. Tufail bin Umro Dawsi – Famous poet Abu Zarr Giffari, Umro Bin Abasa, Muaaqib bin abi Fatimatu Dawsi, Juaal bin Suraqa Abdullah and Abdur Rahman ki naani ka islam lana Buraida 5th YEAR Musalmano par zulm ka Agaz hua. Jismani Aziyat shuru hui ( physical torture) Garibon aur ghukamon par aziyaten ( slaves) Abdullah Bin Masood (shepherd) Hazrat Bilal (slave of Ummaya Bin khalaf) Ammar bin Yasir (Parents were–Yasir and Summaiya) Hazrat Sumaiyya ( Abu Jahl – tortured her) Hazrat Yasir Khabbab bin Arth Nabuwat se pehle Nabi(S) ki 2 betiyon (Bibi Ruqaiyya aur bibi Umme Kulthum) ka nikaah Abu Lahab ke 2 bête Uthba aur Uthaiba se hua tha. Lekin Nabuwat ke baad Abu Lahab ne Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 29 bahut Sakhti se in dono ko Talaq diladi. Jab Nabi(S) ke 2nd bête Abdullah ka inteqaal hua to Abu Lahab bahut Khush hua tha. Abu Lahab ki biwi Umme Jameel Jiska naam Arwah tha aur ye Abu Sufiyan ki behen thi, who bhi Nabi(S) se adawat(dushmani) rakhne mein apne shauhar se kam nahi thi. Wo raat mein Nabi(S) ke raste mein aur darwaze ke saamne kante daal diya karti thi aur Aap se kafi badzubani kiya karti thi. Abu Lahab ghar ke andar taqleefen deta aur bahar Abu Jahal, Hakam Bin Abul Aas, Uqba Bin Abi Muhit, Uthba Bin Rabiaa, shaiba Bin Rabia, Umayya bin Khalf, Ibn Al Asad etc Aap S.A.W ko takleef diya karte the. Nabi(S) ko namaz padne se rokna, dhamkiyan dena, jab namaz padte to Aap par gandagi phekna, Camel ki Wajdi Aap par dalte is tarah ki takleefen diya karte the. Agar koi kamzor admi musalman hota to usko bhi bahut taklefen diya karte the unme kuch sahabah ke naam ka upar zikr kiya gaya hai. 1st Hijrat e Habsha ( Abyssinia) Musalman Mushrikon ki taklifon se pareshan aur tang ho gaye the yahan tak ke Makkah mein rahna unke liye ab Doobhar ho gaya tha. Surah Ankaboot nazil hui-Allah Ta’ala ne hijrat ka hokum diya. Nabi S.A.W ne musalmano ko apne deen ki hifazat karne ke liye Hijrath ka hokum diya. 16/17/18/19 logon ne hijrat ki 11 men and other were women thi. Pehle hijrath ke Leader – Uthman Bin Affan RA (with Wife Ruqaiyya RA) . Aap S.A.W ne inke bare mein farmaya ke, Ibrahim aur Loot AS ke baad ye pehla gharana hai jisne Allah ki raah mein hijrat ki hai. Pehli Hijrath Habsha ki taraf hui. Wahan ka Badshah tha Ashama ibn Abjar or Al Najashi Religion in Habsha – Christianity (Isaiyat) Musalmano ne Habsha pahunch kar chaien ki saans li. Nabi (S) ka Surah Najm ki Tilawat- Haram Mein / Ka’bah mein 30 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba)

Usi year Ramadan mein ek waqiya pesh aya.Nabi (S) ek baar Haram tashreef le gaye wahan Quraish ke kafi log maujood the. Nabi (S) ne achanak khade ho kar Surah Najm ki Tilawat shuru kardi. Ye sun kar Saare mushrikeen bina soche Sajde mein gir pade. Umayya bin Khalaf ne sajda nahi kiya lekin mitti lekar peshani par lagai. Ye khabar sun kar Habsha se kuch log wapas aa gaye ye soch kar ke Makkah walon ne islam qubool kar liya. Lekin unke samne haqeeqat jald hi khul gayi. Is ke baad muslamano par aur takleefen badh gayi. 6th YEAR Musalmano par Jismani Takleefen aur badh gayi. H. Summaiya , H. Yasir ki – Shahadat hui. Nabi (S) ne dusri hijrat ka hokum diya lekin ab mushrikeen aur chuakanne ho gaye the isliye pehle ki tarah ye aasaan nahi tha. 2nd Hijrath – Habsha mein 82 / 83 men , 19 women thi ( almost 100 people) Habsha mein jo musalman aman se reh rahe the unke khilaf Quraish ne sazish ki. Amr Bin Al ‘As and Abdullah Bin Abi Rabiyah jo abhi musalman nahi hue the unko Najashi ke pass bheja gaya. ye dono badshah ke pass hadiye aur tohfe le kar gaye Maksad: Musalmano ko Habsha se nikal wana tha. Najashi ke age in dono ne apni baat rakhi. Najashi ne Muslanmano ko bula bheja taake who is baat ko behtar samajh sake. Jafar Abu Talib jo Hazrath Ali RA ke bhai the wo Najashi ko Jawab dene aye. Najashi ke poochne par unhon ne Surah Maryam ki shuru ke ayat ki Tilawat ki, Najashi is qadr roya ke uski dadhi bheeg gai. Aur usne Amr bin Aas aur Abdullah ko wapas bhej diya. Aur kaha main muslmano ko tum logon ke hawale nahi karunga.is tarah mushrikeen ki chaal nakam ho gayi. Abu Talib ko Quraish ki dhamki: Abu Talib Quraish aur Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 31

Nabi (S) ke beech mein deewar ki tarah the. Jis ki wajah se mushrikeen ne socha ki unse baat ki jaye. Wo log Abu Talib ke paas aye aur kehne lage ki aap apne bhatije ko roken warna jung hogi. Abu Talib ne iski khabar Nabi (S)ko di. Is par Aap S.A.W ne kaha , “chacha jaan ! Khuda ki Qasam agar yeh log mere dahne haath mein suraj aur bahne haath mein chand rakh de to bhi mein is kaam ko us hadd ko pahunchaye bagahiar chodhdoon kiya to Allah usse ghalib karde ya main ussi raah main fana ho jaoon to nahi chodh sakta” Hamza Bin Abdul Muttalib RA ka Islam lana. Ek din Abu Jahal ne Nabi(S) Kohe Safa ke paas ek pathar se mara to Aap ke sir Mubarak se khoon behne laga. Ye sab ek aurat dekh rahi thi aur jab Hazrath Hamza shikaar se wapas hue to usne unhe saari baat batayi. Wo ghusse mein Abu Jahal ko zor se uske sir par teer se mara jisse uske sir par zakham ho gaya. Shuru mein Hamza RA ne, is baat se ke unke bhatije ki tauheen ki gayi is liya islam qubool kiya, lekin baad mein Allah ne unka seena khol diya aur unhon ne islam ko mazbooti se tham liya. Umar bin Al Khattab RA ka islam lana Hazrath Hamza ke islam lane ke 3 din baad Umar RA ne islam qubool kiya. Aur Nabi (S) ne unke imaan lane ke liya dua ki thi jise Allah ne qobool farmaya. Ek baar Nabi (S)Surah Al Ha’qqa ki tilawat kar rahe the to Umar RA ye sun kar hairan rah gaye. Ye pehla mauqa tha jab Umar RA ke dil mein islam ka beej pada. Inki taabiyat ki sakti ke wajah se ek din Aap S.A.W ka kaam tamam karne ki niyyat se talwar lekar nikal pade. Raste 32 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) mein Nayeem Bin Abdullah mil gaye aur poocha ki kahan ja rahe ho. Tab Umar RA ne kaha ki Mohammed S.A.W ko qatal karne ja raha hoon. Jab Nayeem ne unhe rokne ki koshish ki to unhon ne bataya ki unki behen aur uska shauhar bhi Mohammed S.A.W ke deen ko apna chuke hain. Umar RA ko Ghussa aya aur wo apni behen ke ghar ki taraf chal diye. Us waqt Umar RA ki behen Fatema aur unke husband Said Bin Zaid ko Hazrat Khabbab Quran padha rahe the. Jab Umar RA ki ahat suni to wo ghar mein chup gaye. Umar RA ne apne bahenwai ki piati ki aur behen ko itni zor se chanta mara ki khoon behen laga. Apni behen ke chehre par khoon dekh kar bahut sharminda hue aur kaha, jo tumhare paas hai mujhe bhi padhne ko do. Aap ne pehle ghusl kiya aur phir Surah TAHA ki tilawat ki. Umar RA ne Nabi (S) se milne ki khwahish ki. Us waqt Nabi(S) kohe Safa ke paas wale makan mein the. Aur Nabi(S) ke haath Umar RA ne islam qubool kiya. Inke Islaam lane se muslamano ko himmat, badi izzat, Quwwat, aur sharf hasil hua. 3rd Daur (3rd Stage)- MAIN EVENTS - 7- 10 YEARS 7th YEAR Social Boycott ( 3 saal raha) Mudhrikeen e Makkah ne ek plan banaya ki Banu Muttalib and Banu Hashim se koi bhi kisi tarah ka rishta nahi rakhega jab tak ke Nabi (S) ko Qatal karne ke liye unke hawale nahi kiya jayega. Amir Bin Hashim- writer of Boycott bill ( Katib Ahad) tha. Is ahad ko Ka’bah ki dewaar par latkaya gaya. Abu Lahab ke siwaye sare log Wadi – Sh’ib mein rahne lage. Un sab se kisi tarah ki murawat, taluq, madad, nahi ki gayi. Na to unhe kuch Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 33 becha jata, na to unse khuch khareeda jata tha. Situation bahut kharab ho rahi thi. Kuch Makkah ke log muslimano ki madad karte the. Hakim Bin Huzam( H. Khadija’s nephew) , Hisham Ibn ‘Amr – kabhi kabhi khana bheja karte. Makkah ke 5 logon ne milkar faisla kiya is AHAD ko khatam karne ka. Hisham Ibn Amr , Zuhayr Ibn Umaiyah, Mutim Bin Adi shamil the. Allah Ta’ala ne Nabi(S) ko khabar di ke us Ahad ko deemak kha gayi hai aur sirf uspar Allah ka zikr baqi hai. Abu Talib ne ye baat Quraish ke samne rakhi aur kaha ki agar mere bhatije ki baat jhooti nikli to main Nabi (S) aur tumhare raste se hatt jaonga aur tumhara jo ji chahe karna. Aur agar ye baat sachi nikli to phir ye zulm aur social boycott khatam kar dena . Jab Mushrikeen ne dekha to us Ahad ko sari deemak kha gayi thi aur sirf Allah ke zikar baqi tha. Is tarah Social boycott khatam hua. 8th YEAR Shaqqul Qamar ka Waqiya Wadi Mina mein pesh aya. Ye Musalmano ke itminan ke liye ek maujiza tha. 9th Year Abu Talib Ki Wasiyat – Mere marne ke baad Madina ko hijrath karlen. 10th YEAR Aam Ul Huzn ( The year of grief) H. Abu Talib ki Wafaat ho gayi. H. Khadija RA ki wafat bhi kuch din mein hui. ye saal Aap S.A.W ke liya bahut hi saqt tha kyunki Aap ke chacha aur Aap ki biwi dono ka inteqaal ho gaya tha. Iske baad Quraish jo ab tak Abu Talib ke darr se chupp the ab khul kar Nabi (S) ko taklefen pahuncha rahe the. 34 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) Taif ka waqia- (Makkah se 80 km door hai) Mushrikeen e Makkah se tang Aakar Nabi (S) ne Taif ka rukh kiya. Us waqt Aap S.A.W ke saath Zaid Ibn Haritha the. Aap ne socha ki shayad wahan ke log Aapki dawat qobool karlen aur Aap ko panah deden. Taif mein na to koi madad mili na to koi panah balke bahut saqt aziyat pahunchi. Wahan Aap S.A.W 3 brothers (sardar) se mile aur islam ki dawat di. Unhon ne Nabi ka Istehaza kiya aur bahut badsulooki ki. Jismani aziyat pahunchai( patharon se zakhmi hue) Nabi (S) ke joote Mubarak Khoon se bhar gaye Utbah , Shaybah(Uthaiba) – ke bagh mein panah li. Addas- Un ka Ghulam kuch grapes lekar Nabi (S) ke pass aya. Jibraeel AS - Pahadon ke farishte lo lekar aye- Taif ke logon par Allah ka Azaab nazil Karen. Nabi (S) ne un logon ke liye Dua ki. Banu Sakeem Imaan laye (Taif se- 13 saal baad). Wadi Nakhlah mein Nabi (S) kuch din there. Jinn ki ek Jamat ne Quran ki Ayaten suni Surah Jinn aur Surah Ahqaf mein iska zikr hai. Khaula Binte Khulaidane Nabi ke liya 2 shaadi ke proposals laye. Bibi Saudah RA – widow(1st Hijrat Habsha ki apne shauhar ke saath ki thi) Bibi Ayesha RA- Kanwari ( Jibraeel AS ne Tasweer dikhai thi) Nabi (S) ne dono se nikha kiya lekin Bibi Ayehsa RA ki ruksati nahi hui. Bibi Umme Kulthum aur Bibi Fatima dono ki dekh bhall ke liya bibi Sauda Aayi. 11th YEAR Hajj ka waqt aya Yathrib ( Madine) – Aws and Khazraj ke qabile ke kai log aye . 6 men jo Khazraj qabeele ke the Nabi (S) se mile- AQABAH ( place) Mina mein. Aapki dawat par in logon ne islam qubool kiya. Aur Wada kiya ke apne logon ko islam ki dawat denge. Aap S.A.W ne Musab Bin Omair ko Madine Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba) 35 bheja unke saath Quran sikhane ke liye. Ek saal baad jab wo log wapas Makkah aye Hajj ke liye tab unke 75 log muslaman hue, Yathrib mein- 73 men 2 women, Aur un logon ne Aap S.A.W ko Madina ane ki Dawat di 12th YEAR Isra wal Meraj (The night Journey) 27th Rajjab Makkah se Masjide Aqsa ( Jerusalem)ki journey ko Isra kaha jata hai. Masjide Aqsa se Asmano ka safar, phir wapas Makkah (is safar ko Meraj kaha jata hai) Isra – Makkah – Masjide Aqsa Meraj – Asman ka safar ko kehte hain. 13th YEAR Nabi (S) ke Qatal ki sazish Dar Ul Nadwa mein Aap S.A.W ko qatal karne ki planning ki gayi. 17 nawjawano ko chun liya gaya (alag alag qabeele se) Fajr ki Namaz ke Waqt jab Aap bahar niklenge to unko qatal kar diya jaye. Allah ne Nabi (S) hokum diya – Hijrat to Madina: Nabi (S) dopahar ke time- H.Abu Bakr RA ke ghar gaye Abu Bakr RA ne - 2 she -camels ka intezaam kar rakha tha hijrath ke liye. Abdullah Bin Uraykit (Abu Bakr RA ka ghulam ) jisne Aap ko Madina ka rasta bataya. Amir Bin Fahira- Abu Bakr RA ke ghulam the. Nabi (S) ne Hazrat Ali RA ko apne bistar par litaya– sab ki amanten lotane ko kaha. Nabi (S) Surah Yaseen ki Tilawat karte hue- mitti ko uadaya aur qatilon ke beech se Allah Ta’ala ne unhe bachate hue nikala. Cave Thawr ( Ghare suar) – Aap S.A.W aur Abu Bakr RA 3 days & 3 nights rahe. H. Asma RA ko Abu Jahl ne tamacha mara aur Aap se Abu Bakr ka pata poocha. Lekin Asma RA ne usse pata nahi bataya. Mushrikeen ne 100 camels inaam kaa elaan kiya jo unhe Mohammed S.A.W ki khabar lade. 36 Seerath-un-Nabi (s.a.w.s) (Hayat-e-Tayyaba)

H. Asma RA Aap S.A.W ke liya khana lane ka kaam karti thi. Abdullah Bin Abu Bakr RA- kuffare mushrikeen ki din bhar ki khabar late the. Zubair Bin Halafa ne Nabi (S) ko Madine ki taraf jate hue dekha tha. Suraqah Ibn Malik- inaam ke lalach mein peecha kiya lekin uska horse mitti mein phans gaya. Amir Bin Fahira – ne Surakha ko Aap S.A.W ke kehne par aman ka parwana likh kar diya. Aur woh wahan se wapas chala gaya. Raste mein Umme Ma’abad ek Khatoon ki jhopdi mein Nabi (S) ne khana ka intezaam karne ko kaha.uske paas khane ko kuch nahi tha siwai ek bakri ke . Nabi (S) ne bakri ka doodh piya. 8 Rabbi Ul Awwal ko hijrat karke Nabi (S) QUBA pahunche aur 14 days – wahan rahe ( Jagah ko Aliya kehte hain). wahan par ek Masjid ki tameer ki . Madine mein ek Yahoodi ne do musafiron ko dekha aur ye khabar di ke Aap S.A.W Madina tashreef la chuke hain. Madine wale bahut khush hue aur Aap ko Khush Amadeed kehne ke liye Tala al Badru Alaina – ye ash’ar gaye.

W