Bismillah ir Rehman ir Raheem

Seenay pa daag-e-maatam-e-Shabbir hai ayaan Chashm-e-Aza sey hotha hai khoon-e-jigar ravaan Jab takh Fareed hai yeh zameen aur aasmaan Hotoun pa taaba hashr rahegi yehi fughaan

Mirza Fareed Baig

Chashm-e-Aza A Collection of Selected Salaams, Marsias and Nauhas in Roman Sript

Compiled by Ammar Hyder

Printed By: Salman BOOK CENTRE Opp. Ibadath Khana-e-Hussaini, Darulshifa, Hyderabad-24 T.S. India. Ph: 24560156 • Cell: 9348496898 • www.salmanbookcentre.com contents

Salaams Page Ghar ko chhoda Shah nay jungal basaney kay liye. . . . 18 Qaafela Sheh ka salaami lab-e-darya uthraa...... 18 Salaami suvey maqtal Syed-e-Abraar aathay hain. . . . 19 Salaami khalq mai mehshar bapaa hai...... 20 Salaami har taraf shor-e-bukaa hai...... 21 Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki...... 22 Salaami jisney dar-e-baagh-e-Panjethan dekhaa. . . . . 23 Salaami jaangaza hai ranj-o-gham...... 23 Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai. . . . 24 Zikr ghame Hussain se mehfil saji rahi...... 25 Fida hoon us pay salaami hai jis ka naam Hussain. . . . 26 Mujraee Shah ka hoon khuld mein hai ghar mera . . . . 26 Mujraee paidaa huva tha sam Hassan kay waastey . . . . 27 Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe...... 28 Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne . . . 29 Naam par Shah kay paani jo pilaa deithay hain. . . . . 29 Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi kausar ka. . . . 30 Juz Panjetan kisi sey Tawalla na chahiyeh...... 31 Ali sa bhi na koyi aadil-e zamaana huva ...... 32 Shabihey Imam-e-Zamaan kheinchtey hain...... 32 Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai...... 33 Pardes mein Zainab kho baithi...... 34 Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi . . . . . 35

2 Table of Contents contents

Salaams Page Soghra ke kaleijay par barchi si lagi hogi...... 36 Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye...... 37 Aey salaami peer marthay hain jawaan kay saamney. . . 37 Run mein aakar Sakina pukari ...... 38 Aye ghuncha dahan bekas dulha...... 39 Dil thaam kay yeh Kubra ney kahaa...... 39 Ro ro kehti thi Bano-e dukhiya...... 41 Shaher Baanu kahi peet kay sar,...... 42 Asghar salaami teer-e-sitam khaaye aathay hain . . . . . 43 Maqtal mein tha jo laasha-e-Asghar tamaam raat. . . . . 43 Baanu kehti hai Khudaaya kya karoon...... 44 Qabr Asghar ki banaaney mein bohath deyr lagi. . . . . 45 Aey raat zaraa aahista guzar...... 45 Aakhri waqt hai marney ki rezaa do Zainab...... 47 Mujraee Sheh ney kahaa bhool na jaana Zainab. . . . . 47 Zainab pukaari rokar Abbas tum kahaan ho...... 48 Asr ko sheh ki sada aayi kise aawaaz doon ...... 49 Aasmaan larzaa Zameen kaampee Samandar roay. . . . 50 Khaak par maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai. . . 51 Aye Salaami khiyaam jaltey hain...... 51 Shaam ke baad ...... 52 Boli Zainab utho imdad ko aao Abbas...... 53 Darouna jungle, hae raat andheri,...... 54

Table of Contents 3 contents

Salaams Page Thi kisi ki dasht mein sadaa,...... 55 Mujraee khalq mein, in aankhon ne,...... 56 Ek beemaar sey aye mujraee sab ghar choota...... 57 Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab...... 58 Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka...... 58 Ya Ali Karbala mein aag lagi ...... 60 Ro ro maqtal mein kehti thi Zainab ...... 61 Zulm karthey thay jo sheh par baani-e-shar baar baar. . . 62 Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi...... 62 Main sonchta hoon kay Abid ka haal kya hogaa. . . . . 63 Afsous Nabi Zaadiyoun ka Shaam mein jaana...... 64 Boli maa kya huva Sakina ko...... 65 Thi Sakina ki yeh sadaa bhaayi...... 66 Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai. . . . 66 Bano ki dilrubaa Sakina jaan ...... 67 Kehti thi yehi Zainab dukhiya...... 68 Arbayeen kay soghvaaro alveda...... 69 Aye shahey do jahaan khuda haafez...... 70 Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina tho ro Diye. . . . . 70 Hai rukhsath ki ghadi aye Karbala waalo Khuda hafez. . 71 Tashna labb mazloom Sarwar alwedaa...... 72

4 Table of Contents contents

Marsias Page Beyqaraari Fatima Soghra s.a Musaafiroun ki Madiney mai jab raseed aayi...... 74 Safar-e-Imam Hussain & 1st Moharram Ghar sey jab bahrey safar Sayed-e-Aalam nikley. . . . . 77 Shahadath Hazrat Muslim ibne Aqeel Insaan ke liye maut hai gham bey watani ka ...... 80 Muslim par layinon ki chadhai hae sahar se...... 83 Shahadath Hazrath Pisraan-e-Muslim Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye...... 86 Pardes mein Muslim ke yateemoun pa jafaa hai. . . . . 89 Waarid-e-Karbala (2nd Moharram) Kis beemar ne qath apne maseeha ko likha ...... 92 Aye mominou Hussain sey maqtal qareeb hai ...... 95 Aakhar hai umr manzile awwal qareeb hai...... 95 Shahadath Hazrat-e-Hur (a.s.) Run mein jab Sheh ki taraf sey Hur-e-deen daar aaya. . . 98 Shahadath Hazrat Aun-o-Mohammad (a.s.) Dozakh say jab aazaad kiya Hur ko khuda nay . . . . . 101 Jab Zainabe ghareeb ke run mein pisar lade...... 104

Table of Contents 5 contents

Marsias Page

Shahadath Hazrath Ali Akbar (a.s.) Run se jab khake sinaa Akbare zeeshaan aaye. . . . . 106 Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka...... 109 Zaqmi sina se run mein jo sheh ka pisar hua ...... 111 Kisi ka khaana-e-ummid bey charaag na ho...... 114 Dashtey balaa mein gumh Ali Akbar ki laash hai. . . . 117 Shahadath Shehzaada-e-Qasim ibne Hasan (a.s.) Zakhmi jo run may Qasim-e-gul pairahan hua. . . . . 119 Ae mominon judai hae dulha dulhan mein aaj. . . . . 121 Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz poush par . . . . . 124 Qasim jo hum Shabihey janab-e-Ameer tha...... 127 Shahadath Hazrat Abbas (a.s.) Jab sadre zeen se gir pade Abbase bawafa...... 130 Jab Ibne Bu Turaab baroove zameen gira...... 133 Jab qatl kiya neher pa Saqqa-e-Haram ko...... 136 Jab izn paani laaney ka Abbas ko mila...... 138 Jab katt gaye dariya pey Alamdaar kay baazu . . . . . 141

6 Table of Contents contents

Marsias Page Shahdath Hazrath Ali Asghar (a.s) Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae. . . . . 145 Run may abroo kamaan ki aamadh hai...... 147 Baanu kay sheerkhwaar ko haftum sey pyaas hai. . . . 150 Banu pichley paher Asghar ke liye rothi hai...... 153 Ravaana nehr-e-labann ko jo sheer khwaar huva. . . . 155 Lo momino khulaasa suno is bayaan ka...... 158 Shahadath Imam Hussain ibne Ali (a.s) Jab naujawan pisar shahe deen se juda hua ...... 160 Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar ghir gayaa. . . 163 Jab pareshaan huvi Moula ki jama-ath run may. . . . . 166 Ibne Ali jo baage risaalat luta chuka...... 169 Ae mominon Hussain pah shiddat ki pyaas hae. . . . . 172 Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka...... 175 Aah huvey Kaaba-e-qurbaani-e-daavar hai Hussain. . . 178 Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa. . . . 182 Kiski zabaan sey pyaas ney paayi hai aabroo...... 184 Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main. . . 186 Shaam-e-Gharibaan Kehti thi run may aakay Sakina jawaab doh...... 190 Ahley haram pey aaj qayamat ki raat hai...... 192

Table of Contents 7 contents

Marsias Page

Safar-e-Kufa Jab lutke Karbala se aseere sitam chale ...... 195 Darbaar-e-Shaam Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum guzar huva. . . . 197 Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil harum huvey . . . . 201 Mehshar ki subha aaj numaaya hai shaam main. . . . . 203 Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber ki Shaam main. . . 205 Qaid khaane mai talaatum hai kay Hind aathi hai . . . . 208 Shahadath Bibi Sakina (s.a.) Jab daage bekasi na Sakina utha saki...... 211 Zindaan mein muqayyad huve jis dum harame shah. . . 214 Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai...... 216 Rokar kahaa yeh maa ney kay dilbar jawaab do. . . . . 218 Shahadath Imam Zainul Abedeen (a.s.) Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche...... 221 Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya. . . . 224 Shahadath Imam Ali ibne Moosa-e-Raza (a.s) Aaj Imaam-e-Raza shaheed huvey...... 226 Mominon aaj Khuraasan mein hae taaza matam . . . . 228 Rihaayi Ahley Haram Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab...... 231

8 Table of Contents contents

Marsias Page

Chehlum Shohadaa-e-Karbala Chehlum jo Karbala may bahaatthar ka ho chukaa . . . 233 Bhaiyya main bin tumhaarey watan ko na jaaoongi. . . 235 Balaa utthaakay haram Karbala main aathay hain. . . . 237 Waapis-e-Ahle Haram Durood padh ke watan ko chala Hussain ka laal . . . . 240 Watan may qaafela-e-Karbala ki aamadh hai...... 242 Jab baad dafn Shah watan ko haram chale...... 244 Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul watan phirey. . . . . 247 Jab shah ko safar mein bahut din guzar gaye...... 249 Shahadath Shehzadi Zainab binte Ali (a.s) Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj maatam hai...... 253 Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat Hussain ki. . . . . 255 Zainab pa huva khaatema har ranj-o-balaa ka . . . . . 258 Sajjad jab dobaara aseer-e-jafaa huvey...... 260 Shahadath Shehzadi Umme Kulsoom binte Ali (a.s.) Umme Kulsoom khwaaharey Zainab...... 264 Wafaat Rasool-e-Khuda (s.a.w.s) Aye momino Yasrab may ajab nauhagari hai...... 266 Shahadath Imam Hassan-e-Mujtaba (a.s.) Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey jigar huva. . . . . 269

Table of Contents 9 contents

Marsias Page

Vida-e-Ayyam-e-Aza Aye soghwaaro aaho bukaa ka maqaam hai...... 271 Shahadath Shehzaadi Fatima Zehra (s.a.) Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae...... 273 Bistarr sey thar tharaa kay utthi thaamkar asaa . . . . . 278 Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya. . . . . 280 Shahadath Hazrath Ali ibne Abu Taalib (a.s.) Aye rozey daaro aaho bukaa ke yeh roz hain...... 283 Imaan ki jaan kya hae mohabbath Ali ki hae ...... 285 Waarid huvi naagah shab-e-zarbath-e-Hyder...... 288 Shahadat Imam Muhammad-e-Baqar (a.s.) Hai qasd kuch fazael-e-Baquar raqam karoon. . . . . 291 Shahadat Imam Jaffar-e-Sadiq (a.s.) Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar ki yaad mein. . . . . 294 Shahadat Imam Musa-e-Kazim (a.s.) Sar peeto aaj Moosiye Jaffar huva shaheed ...... 297 Shahadat Imam Muhammad Taqi-e-Jawwad (a.s.) Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey Raza rahaa ...... 299 Shahadat Imam Ali Naqi (Al-Hadi) (a.s.) Kis umr mein Ali un Naqi bey pidar huvey ...... 302

10 Table of Contents contents

Marsias Page

Shahadat Imam Hasan Askari (a.s.) Shora jahan mein Hasan-e-Askari ka hai...... 305 Inhedaam-e-Jannat-ul-Baqee Aey charkh teray zulm ki kuch inteha nahin ...... 307

Table of Contents 11 contents

Nauhas Page

Dil hai beychaen shaahey huda ka...... 312 Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi Moharram mein. . . . . 313 Aayi haatif ki awaaz sheh ko ...... 314 Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye...... 315 Mujh pay kyun bandh kartey ho paani...... 316 Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba...... 318 Qaasidh mera qath leijaa ehsaan badaa hoga...... 319 Kab laotke aaoge...... 319 Bhaiyya mujhe bhool na jaana...... 321 Haaye sughra bathaa kya likhoon...... 322 Soona hae Madina...... 324 Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare. . . . . 325 Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai...... 327 Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain...... 328 Abbas, Abbas, Abbas ...... 329 Abbas mera margaya Zainab ...... 331 Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan...... 333 Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera...... 335 Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge...... 337 Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas ...... 338 Aye Jaan-e-dil-e-Hyder-e-Karrar Alamdaar...... 340 Aye Wafa kay Paighambar naffsey Faatehey Khaiber . . 340

12 Table of Contents contents

Nauhas Page

Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya. . . 341 Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai ...... 343 Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula. 344 Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara ...... 345 Jab ridaa sar sey chinee…Tu na aaya Ghaazi...... 346 Mera sehriyaan waala Akbar...... 348 Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho . . . . 350 Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar . . . . . 353 Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango...... 355 Umme Laila sambhaal Zainab ko...... 356 Dua karo mera noor-e-nazar palatt aaye...... 359 Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar...... 360 Rokay kehti thi maadar kal na jaaney kya hoga. . . . . 362 Maa main naizay pay hoon...... 362 Boley beti se sibtey payambar ...... 365 Neend aayegi jab aap ki bu paaungi baba...... 366 Chala run ko tera baba Sakina ...... 368 Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma. . . 369 Bikhrey padey hain laashey aulaad-e-Murtaza kay . . . 370 Koyi na tha utthaatha jo laasha Hussain ka ...... 371 Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai. . . . . 372 Mushkil kusha-e-khalq khudaara madad karo . . . . . 374

Table of Contents 13 contents

Nauhas Page

Abbas Utto aag Lagi jalthey hain qaimey...... 375 Jaltey huvey khaimon sey, Zainab ki sadaa aayi,. . . . 376 Ab Aaye ho baba...... 377 Kya rahaa khaimon mein Sheh kay ...... 379 Pukaari Zainab-e-muztarr Hussain aajaao ...... 380 Yoon Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain. . . 380 Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi ...... 381 Jab yaad Sakina ko teri aathi hai baba ...... 383 Kya Andhera hai phupi...... 384 Aye Jaan Sakina nadaan Sakina...... 385 Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya...... 386 Rokay zindaan mein boli Banu...... 388 Meri Sakina ko neend aa rahi hai...... 389 Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo...... 391 Sakina uttho . meri jaan uttho,...... 392 Shaam ko qaidi ban ke chali hai...... 394 Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar...... 395 Haaye Hussain, pyaasey Hussain...... 396 Kahaa yeh shimr-e-layeen ney rulaao Zainab ko. . . . 398 Amma Fizza bathaa dey mujhko...... 398 Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai . . . . 400 Waqt Sajjad ney kaisey woh guzaara hogaa...... 401

14 Table of Contents contents

Nauhas Page

Sajjad main Zainab hoon ...... 402 Bazaar kay manzar ko...... 404 Tauq-o-Zanjeer Kujaa Abid-e-beemaar Kujaa. . . . . 406 Abid ghareeb beykas-o-naachaar margaya...... 407 Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam...... 408 Itni ghareeb hogayi gham yoon lipatt gaye...... 410 Abaad huvi Karbobala, ujjda Madina, ...... 410 Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen. . . 412 Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai. . . . 413 Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab. . . . . 413 Shahinshaa-e-tashna lab kay bhaayi, ...... 415 Maajaayi hai Zainab dukh paayi hai Zainab...... 416 Shabbir ki turbath pa yeh Zainab ka bayaan tha. . . . . 416 Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka...... 418 Koofay ka aur shaam ka manzar...... 420 Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai...... 421 Di Basheer ney rokay yeh sadaa...... 424 Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey...... 425 Dekh Madine kya kya yaadein...... 426 Sitam raseedaa falak ki sathaayi hoon naana...... 428 Kya dekhti hai Sughra, Zainab kay aansuon mein. . . . 428 Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho ...... 430

Table of Contents 15 contents

Nauhas Page

Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra...... 432 Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna. . . . . 433 Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain . . . 434 Ooncha rahe apna alam...... 435 Ya wajiha indallah...... 436 Bibi Zehra ye Dua Hai ...... 438 Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser...... 441 Aey noor-e-ain Fatema Zehra na jaayieh...... 443 Alvida aye Hussain aye Hussain alvida...... 444 Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam...... 444 Ghurbath mein utt rahaa hai janaaza Ghareeb ka. . . . 446 Kar gaye duniya sey qazaa haaye haaye...... 447 Maula uttho kay Masjid-e-Kufa udaas hai...... 448 Matam hai fazaon mein Shahey Kaun-o-Makaan Ka. . . 449 Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain. . . . 451 Ghurbat ki intehaa hai…Zahra teri lehad par ...... 452

16 Table of Contents Salaams Ghar ko chhoda Shah nay jungal basaney kay liye Karbala mein aaye thay jannath may jaaney kay liye

Zohr ko Zainab se jab milnay gaye ghar mein Hussain Koyi devdi par na tha parda utha nay kay liye

Sheh utthey pad kar namaaz-e-subha mehshar ho gaya Hazrat-e-Zainab chaleen kapday pehnaaney kay liye

Kahti thi maa qhat meray Akbar ko tha paighaam-e-marg Yeh jawaani aayi thi goya bulaaney kay liye

Thi sada Zehra ki Zainab margaya tera Hussain Ghar may ja beti safay matam bichaaney kay liye

Aey taashuq waa-ey hasrat kuch nahin zaad-e-safar Haath khaali baithe ho duniya se jaane ke liye

*****

Qaafela Sheh ka salaami lab-e-darya uthraa Par muqaddar mai na ek paani ka qathra uthraa

Karbala ka jo kisi shaher mai naqsha uthraa Mujrayee boli zameen arsh-e-moalla uthraa .

Imtihaan ki jo taraazu mai qazaaney tholaa Hur wafaadari-e-Shabbir mai poora uthraa

Sajda-e-haq sey Nabi ney na utthaaya sar ko Pushth-e-aqdas sey na jab takh ke nawaasa uthraa

18 Salaam Salaam Marsia Nauha Fouj manzil pay utarthi toh Sakina kehthi Saahibo dekho kidhar hai mera baba uthraa

Aaya jab takh na madiney mai sar-e-ibney ziyaad Sogh naamoos-e-Nabi mai na kisi ka uthraa

Sogh Zainab ney bhi Hazrath ka uthaara yaaro Par na jannath mai siyaa jaama-e-Zehra uthraa

Bano kehthi thi ke kisi roz pehnaaya afsous Khoon mai bharkay meray bachchey ka kurta uthraa

*****

Salaami suvey maqtal Syed-e-Abraar aathay hain Hathailee par dharey sar khalq ke Sardaar aathay hain

Hamaarey khwaab mai jab Syed-e-Abraar aathay hain Mubaarak baad denay taala-e-beydaar aathay hain

Jigar mai dard lab par aah aansoo dono aankhoun mai Baday saamaan sey Hazrath ke maatamdaar aathay hain

Khayaal Shah-e-waala mai dil-e-muztar yeh kehtha hai Utt aey dard-e-jigar taazeem ko Sarkaar aathay hain

Sawaari hai yeh Akbar ki kay qudrath ka namoona hai Shabaahath keh rahi hai Ahmad-e-Mukhtaar aathay hain

Baday faiyaaz hain yeh ronay waaley bhi ke majlis mai Jab aathay hain lutaaney gowhar-e-shehwaar aathay hain

Salaam Marsia Nauha Salaam 19 Abhi khaimey se nikley bhi na thay ghul machgayaa run mai Alambardaar aathay hain Alambardaar aathay hain

Andheri Raat mai Banu yehi keh-keh ke rothi thi Kay Akbar yaad teray chaand sey rukhsaar aathay hain ??? Gadhaa hoon mai darey Sheh ka yeh suntha hoon ke aye Asif Meray sartaaj rakhney ko meray Sarkaar aathay hain .

*****

Salaami khalq mai mehshar bapaa hai Wafaat-e-hazrat-e-Khairunnisa hai

Yehi aathi hai har chakki sey awaaz Batool-e-paak fakhrey Aasiya hai

Malak aathay nahin bey izn ghar mai Yeh qadr-e-Ahlebaith-e-Mustafa hai

Payambar ko jo rothi thi shab-o-roz Isi ko aaj kunbaa ro raha hai

Kaha Hyder sey Zehra ney yeh rokar Kay saath apna tumhaara choot-tha hai

Meri doh betiyaan hain aur doh betay hain Yateemi ka har ek ko saamnaa hai

Gareebaan chaak hain Sibtain-e-Ahmad Sar-e-Hyder pa koh-e-Gham giraa hai

20 Salaam Salaam Marsia Nauha Ali ki betiyaan sar peet-thi hai Janaaza ghar sey Zehra ka chalaa hai

*****

Salaami har taraf shor-e-bukaa hai Vidaa-e-Hazrath-e-Mushkil Kushaa hai

Tazalzul masjid-e-Kufaa main hai aaj Suthoon-e-Kaaba-e-Imaan giraa hai

Ali ibne Abi Taalib mera sher Abhi Talwaar sey Zakhmi huva hai

Pakadd kar ibne muljim ko jo laaye Kaha ashaab ney ab hukm kya hai

Ba shafqath poocha qaatil sey Ali ney Qataah meri hai ya teri qataah hai

Kiya bin baap ka bachchoun ko meray Yehi ehsaan ka meray silaa hai

Kisi ney juz Ali qaatil ko apney Damay iftaar bhi sharbath diya hai

Ali aisa saqhi tha waah dar yeghaa Galaa Shabbir ka pyaasa kataa hai

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 21 Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki Na Shah ki huvi aal Mushkil kusha ki

Yeh maana hai tasleemo sabr-o-reza kay Kay qaatil kay haq mein bhi sheh ney dua ki

Yeh kehti thi binte Ali waqt-e-ghaarath Kuch aye Shimr qeemath nahin is rida ki

Meray sar pa lillah rehnay dey isko Kay yeh kehna chaadar hai khairunnisa ki

Tamashaayi kehthay thay koofey mein hanskar Yeh sar nangay zainab hai qudrath khuda ki

Utta raath ko jiski maa ka janaaza Woh ab din ko mohtaaj hai ek rida ki

Na baandho meray haath kehti thi Zainab Layeenou mai beti hoon Mushkil kusha ki

Na chhuti damay marg takh Fatima sey Ita-ath Ali ki Ibaadath Khuda ki

Rahay haath chakki sey majrooh dono Yeh haalath thi maqdooma-e-Aasiya ki .

*****

22 Salaam Salaam Marsia Nauha Salaami jisney dar-e-baagh-e-Panjethan dekhaa Useenay rouza-e-Rizwaan ka chaman dekhaa .

Salaami run kay jo bandhdey ney pairahan dekhaa Qhaba ki taih may lapeta huva kafan dekhaa

Kaha adu nay basaarath kidhar gayi hai Imaam Mili na laash pisar ki tamaam run dekhaa

Jawaan betay ki maiyath na tum ne pehchaani Yeh kis ka naizey pa sar hai yeh kis ka tanh dekhaa .

Kaha yazeed ne poshaak isko pehnaado Phata huva jo Sakina ka pairahan dekhaa .

Kaha ke khaaq may mil jaoongi na pehnoongi Pidar ke murday ko jungal may bay kafan dekhaa

*****

Salaami jaangaza hai ranj-o-gham khasaan-e-daavar ka Khalaq Sibtain ka Zehra ka Hyder ka Payambar ka

Sadaa shohra raheiga judh-o-khulqo zor-e-Hyder ka Qataar-o-shair-o-angushtar ka darkaaroh kay par ka

Ali ki teigh kay dam sey huva har maareykaa faisal Ohad ka Badr ka Sifeen ka Khandaq ka Khaiber ka

Ghulaam-e-Panjetan ko darr nahin in paanch cheezoun ka Ajal ka, jaankani ka, qabr ka, barzakh ka, mehshar ka

Salaam Marsia Nauha Salaam 23 Hamaarey waasthay Sheh ney gawaara karliya mittnaa Harum ka, aabroo ka, jaan ka, aulaad ka, ghar ka

Sakina leigayi yeh paanch is baagh aalam sey Tamaachoun ka, rasan ka, baap ka, saqqay ka, gowhar ka

Ghazab hai ithney sadhmey ek jaan khaahar-e-sheh par Ridaa ka, qaid ka, bachchoun ka, Akbar ka, baraadar ka

Tahey khanjar Imam-e-paak ko kis kis ka dhyaan aaya Bahen ka, beti ka, beemaar ka, ummath kay mehzar ka

*****

Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai Isi ki wajha sey duniya mai mera naam baaqi hai

Zameen jab takh hai jab takh charq neeli faam baaqi hai Fazaa mai Fatema ki jaan ka paighaam baaqi hai

Ali ke saath haq hai aur Ali bhi saath hai haq ke Khuda ka naam hai jab takh Ali ka naam baaqi hai

Hazaaroun ke galay kaatay Ali ki teigh ney leykin Abhi bachchey ki turbath khoudhnay ka kaam baaqi hai

Mohammad-e-Mustafa ki aal aur darbaar mai jaaye Yazeed ab takh teri gardhan pa yeh ilzaam baaqi hai

Supurdh-e-khaak karna hai abhi zindaan mai bachchi ko Ilaahi ghamzadaa Zainab ka yeh bhi kaam baaqi hai

24 Salaam Salaam Marsia Nauha Ali-e-Murtuza aaye na teri zindagi main gar Sayeed ithnaa na ghabraa nazaa ka hungaam baaqi hai

*****

Zikr ghame Hussain se mehfil saji rahi Gul hogaya chiraag magar roshni rahi

Qaime Furaath se toh hatae gaye magar abbase naamdar ki tyewari chadi rahi

Akbar ke baad zeest mein kya dilkashi rahi laila tamam umr yehi sonchti rahi

Abbas lene aaye joh maidan ki raza Zainab bus apne baazuon ko dekhti rahi

Ashke ghame Hussain ka tootah na silsila roomale Fatema mein hamesha nami rahi

Balwe mein bey rida sare Zainab ko dekh kar allah jaane kaise qayamat ruki rahi

Adam se ae Sayeed risaalat ma-aab tak har daur mein zaroorate nadey Ali rahi

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 25 Fida hoon us pay salaami hai jis ka naam Hussain Mera muheen mera Aaqha mera Imaam Hussain .

Sabaa ko bhej kay Rouzay pay kar raha hoon-dua Karain qubool Ilaahi mera salaam Hussain .

Jo Karbala ki zameen par huva tha unka wurood Tho phir kay dekhtay thay qabr ka muqaam Hussain .

Suna na haaye kisi sangh dil ne laakh kaha Rasool ka hoon nawaasa hai mera naam Hussain .

Na poochho waqt woh kaisa tha jab Madinay say Chaley har ek ka lethay huvey salaam Hussain

Panah leytay thay dushman ajal kay daaman mein Jo waar karthay thay lekar Ali ka naam Hussain

Meri kuch aur tamanna nahin hai aye Aasif Yeh aarzu hai banalay mujhey ghulam Hussain

*****

Mujraee Shah ka hoon khuld mein hai ghar mera Muntazar hoorein hain mushtaaq hai Kausar mera

Shah kehthay thay layeenou na sathaao mujhko Maa hai Zehra meri Naana hai Payambar mera

Banu kehthi thi kay jungle main darreygaa logou Kabhi tanhaa nahin soya Ali Asghar mera

26 Salaam Salaam Marsia Nauha Jo koyi poochtha kya sin tha tho kehthi Banu Chey mahiney sey bhi kam tha Ali Asghar mera

Kehthi thi rooh-e-Mohammad yeh tamashaaiyoun sey Bandh aankhein karo kunbaa hai khuley sar mera

Shah kehthay thay na soojhi mujhey Abbas ki laash Leigaye haath pakadd kay Ali Akbar mera

Shimr kehtha tha main jab kartha tha Shabbir ko qatl Kaisi mazloomi sey muh takthey thay Sarwar mera

Girya-e-Ahmad-o-Zehra ki sadaa aathi thi Pakadd leytha tha koyi haath sey khanjar mera

*****

Mujraee paidaa huva tha sam Hassan kay waastey Aur banaa khanjar Shahey tashnaa dahan kay waastey

Aye falak Zainab ko tuney kyun phiraaya dar-ba-dar Maatam-e-Shabbir kya kum tha bahen kay waastey

Jis ghadi bandhney laga kangnaa toh haatif ney kahaa Dast-e-Kubra mein jagaah rakhna rasan kay waastey

Aye falak insaaf sey tajweez teri door hai Gardhan-e-Sajjad ho touq-o-rasan kay waastey

Ho kay zakhmi jab giraa ghoday sey Ibn-e-Buturaab Khaak marham hogayi zakhm-e-badan kay waastey

Salaam Marsia Nauha Salaam 27 Bey kafan tha laasha-e-Naushaa run mein jaa-ba-jaa Munh chupaaney ko na chaadar thi dulhan kay wastey

Shimr sey kehti thi Zainab tu naa ley chaadar meri Yeh ridaa rehney dey bhaayi kay kafan kay waastey

*****

Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe Ghata ghata ke falak ne kiya hilaal mujhe

Teri madad ka faqath Ya Ali bharosa hai Kisi ki aas nahin waqte inteqaal mujhe

Kareem joh tujhe dena ho betalab dedey Faqeer hoon pa nahin haajate sawaal mujhe

Kisi ke saamne kyon jaake haath phailaaoon Mera kareem jo deytah hai bay sawaal mujhe

Hussain kehtey thay pushtay faras se girtah hoon Madad ka waqt hai ae bekasi sambhaal mujhe

Hussain kehtey thay parwardigaar rahiyo gawaah Ke qatl kartey hain naahaq yeh badh qisaal mujhe

Andheri qabr mein mushkil Anees ko hai bohath Dikhaadoh Ya Ali ab chaand sa jamaal muhjhe

*****

28 Salaam Salaam Marsia Nauha Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne Jis tarha paaye more Sulemaan ke saamne

Har dum Sakina laathi thi taskeen ke waastey Khaali katoray Asghare naadaan ke saamne

Rokar behen se kehtey thay hazrat yeh rozey qatl Hum zibha hongay asr ko amma ke saamne

Zibhe hilaal mein toh yeh hukme-rasool ho Haiwaan ka khoon bahao na haiwaan ke saamne

Wa hasratha ke Fatema sar peet thi rahi Pyaase Hussain zibha huve maa ke saamne

Rakhley uthakey sar pah adab sey yeh chahiyeh Mousuf jab aaye saahebe imaan ke saamne

Neechey sarey Hussain ho aur taqth par Yazeed Phailaaye paoun baitha ho Quraan ke saamne

Khooli se Shimr kehta tha ley jah sar-e-Hussain Rakh kar sinaa pah Zainabe zeeshaan ke saamne

*****

Naam par Shah kay paani jo pilaa deithay hain Meray Kausar inhey mujraahi dua dethay hain

Qatl Akbar sa pisar hotha hai sheh karthay hain shukr Sabr Ayyub ko Shabbir jila dethay hain

Salaam Marsia Nauha Salaam 29 Fatima kehthi thi duniya mein yeh abaad rahein Sheh ka pursa mujhey sab ahle-aza dethay hain

Chashm Sajjad agar zouf sey ho jaathi hai bandh Ashqiyaan paaoun ki zanjeer hilaa dethay hai

Kehthi thi rokay Sakina kay hamein qaid kiya Loug zindaan sey yateemoun ko chudaa dethay hain

Poochtha hai jo koyi kisney kamar ko thodaa Shah Abbas kay laashey ko dikhaa dethay hain

Yeh salaam Shahey Mazloom kaha khoob Dabeer Dekhoon inaam may Moula mujhey kya deithay hain

*****

Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi kausar ka Salaam aisa padhoonga dil bhar aayegaa payambar ka

Zameen-e-Karbala ka poochnaa teray muqaddar ka Hai tujh mein aaj takh mehfooz sarmaaya payambar ka

Kamar qam kyon na ho dil gham se tootey kyon na Sarwar ka Alambardaar aakhir bhaayi tha baazoo baraabar ka

Labay darya Alambardaar bhi kaam aagaya aakhir Basab Allah haafez Hazrat-e-Zainab ki chaadar ka

Teri ghairath ko aakhir kya huva kuch tu nay soncha bhi Bhari mehfil mai kaisa tazkera Zainab ki chaadar ka

30 Salaam Salaam Marsia Nauha Ghadi bhar bhi rabab aaraam sey sonay nahin paathee Woh Jab karwat badalthi hai khayaal aata hai Asghar ka

Sayeed zaar par jab bhi koyi uftaab padthi hai Bas ek aadath si hai woh naam letha hai Hyder ka

*****

Juz Panjetan kisi sey Tawalla na chahiyeh Ghairazz Khuda kisi ka bharosa na chahiyeh

Ek dar pa bhaitt gar hai Tawakkal Kareem par Allah kay faqeer ko phera na chahiyeh

Soghra ney Shah-e-deen ko likha qath tho bhejiyeh Gar chahathey nahin hamein accha na chahiyeh

Doh betiyaan tho paas ho ek jaan balab bayeed Main sach kahoon yeh aap ko baba na chahiyeh

Kehthi thi Fizza shaam mein bazaariyo hato Aal-e-Rasool par sitam aisa na chahiyeh

Yeh koun bibiyaan hain tumhey kuch khabar nahin Zehra ki betiyoun ka tamaasha na chahiyeh

Kehtha tha shimr chaadarein bevoun ki cheen lo Aisey Gunahagaaroun ko parda na chahiyeh

Marqadh charaag-e-daag sey roushan rahey Anees Shab ko ghar mein akelay andhera na chahiyeh

Salaam Marsia Nauha Salaam 31 Ali sa bhi na koyi aadil-e zamaana huva Ke ek baaz-o kabutar ka aashiyana huva

Makeen rahe na makaan turfa karkhana huva Zameen ulat gayi kya munqalib zamana huva

Andheri qabr thi aur mein tha ya Ali-e wali huzoor aaye toh roshan siyah qana huva

Raha na koi bahattar mein zohr tak baaqi hussain rehgaye aur qaafela rawana huva

Firaqe sheh ka na sadma utha Sakina se Qalaq se jaan gayi mauth ka bahana huva

Bhatak ke raah se peeche kahin na reh jaoon Utho Anees utho qaafela rawaana huva

*****

Shabihey Imam-e-Zamaan kheinchtey hain Tasawwur mein tasveer-e-jaan kheinchtey hain

Jagaah mol-lee hai mazaaroun ki khaatir Zameen par Shahey deen nishaan kheinchtey hain

Ajab haal hai dukhtar-e-Fatima ka Ridaa sar sey ezzaa rasaan kheinchtey hain

Kahaan paaye Abid kahaan dohree beydi Yeh langar kaheen naathawaan kheinchtey hain

32 Salaam Salaam Marsia Nauha Kahaa rokay Akbar ney aye dard tham jaa Kaleijay sey Baba sinaan kheinchtey hain

Pukaari Sakina duhaayi hai Baba Sitamgar meri baaliyaan kheinchtey hain

*****

Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai Kisi Maasoom ki hichkee ki sadaa aati hai

Haan dhadakta na ho marqad mein kahin qalb-e-Rabab Ali Asghar, Ali Asghar ki sadaa aati hai

Maa samajtee hai dulhan laaoongi aaya hai shabaab Sheh samajtey hain kay Akbar ki qazaa aati hai

Koyi beemaar na paddtaa ho tahajjud ki namaaz Raat mein beydiyon ki kyun yeh sadaa aati hai

Qaid khaaney mein qayamat sey siwaa aathaa hai din Raat kya aati hai ek aur balaa aati hai

Munh phira leytay hain Abbas tapak padtey hain ashk Nehr ki simth sey thandee jo hawaa aati hai

Kaun sothaa hai kanaarey teray aye Nehr-e-Furaat Teri mitthi sey abhi boo-eyWafaa aati hai

Jab ziyaada kabhi beemaar main hotha hoon Shaheed Khud ba khud meray liye Khaak-e-Shifaa aati hai

Salaam Marsia Nauha Salaam 33 Pardes mein Zainab kho baithi athara baras ke paale ko Rotey hai khade sab aale nabi athara baras ke paale ko

Armaan na nikla Bano ka hae laash pah nauha Bano ka Payegi kahan yeh kookh jali athara baras ke paale ko

Dil thaam ke Akbar ki maadar kehti hae yeh Sarwar se rokar Kho aaye kahan aye ibne Ali athara baras ke paale ko

Naazon se muraadon se paala shaadi ka zamana jab aaya Maidaan mein khokar baith gayi athara baras ke paale ko

Shabbir se kehti hae Zainab mujh ko toh bada hae iska taa-ab Kyon maine liya tha tumse aqi athara baras ke paale ko

Qismat ka karoon main kis se gila khidmath ka ewaz kuch bhi na mila Sehra bhi na Zainab baandh saki athara baras ke paale ko

34 Salaam Salaam Marsia Nauha Kehte thay yeh shahe Karbobala taqdeer mein yoonhi likha tha Ab sabr karo aye binte Ali athara baras ke paale ko

Showkat pah qayamat ka gham hae Showkat yeh ghazab ka maatam hae Baaleen pah khade rotey hain nabi athara baras ke paale ko

***** Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi Mujhe is din se pehle he na kyon mauth aagayi hogi

Kaha karti thi Laila kaise baithoongi main saaye mein Mere Akbar ki mayyat jalti rethi par padi hogi

Khuda jaane dile Sarwar ka aalam kya huva hoga Ali Akbar ne jisdum aaqri angdaai li hogi

Ali Akbar ka laasha aap lejate toh hain laikin Dare qaime pah moula ghamzada Laila khadi hogi

Kaha karti thi aksar sonchkar yeh Fatema Sughra Mere bhaiyya Ali Akbar ki shaadi ho gayi hogi

Nikaali hogi sheh ne jab sina Akbar ke seene se Ali ne badhkar peshaani pisar ki choomli hogi

Sukoone qalb Laila raahate jaan thay yeh Zainab ke Sayeed Akbar ko marne ki riza kaise mili hogi

Salaam Marsia Nauha Salaam 35 Soghra ke kaleijay par barchi si lagi hogi Tasveer jo kunbey ki aankhoun main phiri hogi

Alfaaz nahin milthay, kis tarha bathaye hum Abbas pe kya guzree, jab mashk chidi hogi

Abbas bacha lena, durroun sey Sakina ko Sajjad ke paaoun mein, zanjeer bandhi hogi

Abbas ka laasha bhi, beychaen huva hoga Jab Saaniyeh Zehra ki, chaadar bhi chini hogi

Dekha hai Sakina ney phir, khwaab main Baba ko Kya haal huva hoga, jab aankh khuli hogi

Asghar ke lab-e-tashna, aankhoun main phirey hongay Zindaan main Sakina ko, jab pyaas lagi hogi

Lo aakhri pursa hai, ashkoun sey isey bhar doh Rumaal liye Zehra, beychaen khadi hogi

Ashkoun sey bhari aankhen, zakhmoun sey bhara seena Mehshar main Nawaaz apni, pehchaan yehi hogi

*****

36 Salaam Salaam Marsia Nauha Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye Boley Hussain aye mahey, Anwar kidhar gaye Peeri mai ghar Hussain ka, barbaad kar gaye Zakhm-e-jigar sey tum shafaq-e-khoon mai bhar gaye Gham sey yeh haal hai ke, bahot beyqaraar hoon Awaaz doh kay aan kay tumpar nisaar hoon Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye

Aye zaalimoun ghareeb hoon, aur beydayaar hoon Aray bhooley ho kyon, rasool ka main yaadgaar hoon Lillah mujhpaa rahem karo, beyqaraar hoon Aray beta jawaan margayaa, mai soghvaar hoon Phir dekhloon us apney, saadath nashaan ko Barchi kahaan lagi meray, kadyal jawaan ko Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye

*****

Aey salaami peer marthay hain jawaan kay saamney Haif Akbar ney qazaa ki baap maan kay saamney

Shair-e-Hyder sey kaheen chutt-thi hai darya ki khachaar Rauza-e-Abbas hai aab-e-rawaan kay saamney

Ronay waaloun ko Shaheed-e-Karbala baad-e-fanaa Khuld mein deingay makaan apney makaan kay saamney

Sunti hoon ek naujawaan beta hai Hum Shakl-e-Nabi Behray deed aatha hai aalam is jawaan kay saamney

Zainab-e-Zeejah ney paala hai isko goudh mein Biyaah ho jaldi Elaahi baap maan kay saamney

Salaam Marsia Nauha Salaam 37 Hind sey Zainab yeh boli sar ko apney peett kar Margaya barchi sey woh mujh neemjaan kay samney

Boley Sajjad-e-Hazeen Akbar faqath kya margaye Sab tawaana margaye mujh naatawaan kay saamney

*****

Run mein aakar Sakina pukari ghar chalo bhai mehndi lagaoon Bane Qasim bahen tum pah vaari ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Kaisi shaadi qayamat yeh aayi huvi dulha dulhan mein judaai Nekh apna mein lene na paayi ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Bhai kya jald ghar se sidhaare rasm poore huve na hamare Muntezar hae baraati tumhare ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Joda shaadi ka tunh mein naya hae so woh zaqmon se purze hua hae Khoon sab dasto pa mein laga hae ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Barr mein shadi ki rangeen qaba hae sar pah phoolon ka sehra bandha hae Chand sa moonh lahu mein bhara hae ghar chalo bhai mehndi lagaoon

38 Salaam Salaam Marsia Nauha Aye ghuncha dahan bekas dulha aye seam badan bekas dulha Mujrey ke liye aayi hae uttho naashaad dulhan bekas dulha

Duniya se nayi yeh shaadi hai dono he taraf barbaadi hai Shabbir ki beti bewah dulhan aur Ibne Hassan bekas dulha

Hae khowf mujhe naaraaz na ho marzi hai tumhaari kya bolo Mein haath mein ab kangna rakhoon ya rakhoon rasan bekas dulha

Humnaam hoon main bhi daadi ki hae tumko qasm is shaadi ki Banwaado mujhe bhi ronay ko ek baithul hazan bekas dulha

Yeh beqabri mujhsey Qasim chilthey hain mere paonchey Qasim Khulwa doh ke uljhi jaati hae kangne mein rasan bekas dulha

*****

Dil thaam kay yeh Kubra ney kahaa Kyun mujhko akeilaa chodd chaley Bathlaao mujhey Qasim dulha Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Salaam Marsia Nauha Salaam 39 Munh modd kay tum ko jaana tha Gar chodd kay mujhko jaana tha Kyun haath mera thaama tha bhalaa Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Raas aayi na bachpan ki shaadi Dekho toh meri yeh barbaadi Kis jurm ki paayi mainey sazaa Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Shaadi thi meri kya khoob rachi sab mujhko dulhan kehtay thay abhi Aur kehtay hain ab mujhko bevaa Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Chupp kis liye ho bolo Qaasim Baazu sey rasan kholo Qaasim Hothi hai bahoth mujhko izza Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Ab kaun karey imdaad meri ab kaun sunaaye faryaad meri Koyi bhi nahin sunnay walaa Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Manzar tha qayamath ka woh Nazar Phatt-taa tha har ek ka gham sey jigar Ro ro kay jo kehti thi Kubra Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

*****

40 Salaam Salaam Marsia Nauha Ro ro kehti thi Bano-e dukhiya aao Asghar tumhari bala loon Tera laasha hae laashon mein kis ja aao Asghar tumhari bala loon

Dhondhti hoon tumhein mere jaani ho kahan mere Yusufe saani Pyaas mein tum ne paya na paani aao Asghar tumhari bala loon

Ab kahan se kaho tumko la-oon lori de de kise ab sulaoon Kiske jhoole ki dori hilaoon aao Asghar tumhari bala loon

Halq par teer-e-bedaad khaye khoon mein sar se paa tak nahaye Qoob jungle mein aaram paaye aao Asghar tumhari bala loon

Kook meri jala kar meri jaan hogaye raahe qaaliq pah qurban Chey maheene rahe ma ke mehman aao Asghar tumhari bala loon

Nanha sa sar sinha par chadha hae kunba sar nangay rotah khada hae Jhula qaali tumhara pada hae aao Asghar tumhari bala loon

Aao ae jaane maadar ab aao goad qaali hae aakar basao Kahin jungle mein tum darr na jao aao Asghar tumhari bala loon

Salaam Marsia Nauha Salaam 41 Shaher Baanu kahi peet kay sar, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa Nanha laasha karoon dafn kyun kar, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Aah nanhaa kafan mein bathaaoon, Apney haathoun sey usko pinhaaoon Khaak mein usko kyun kar litaaoon, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Chounk kar jab lahed mein uttheigaa, Koyi usko na apna dikhegaa Meray pehloo ko dhoondaa kareigaa, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Sar hai mitthi pey takyaa kahaan hai, Khaak toshak hai jhoola kahaan hai Sab toh sab maa ka pakhwaa kahaan hai, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Loriyaan qabr mein kaun deigaa, Kaun sojaao pyaarey kaheigaa Doodh yeh laal kiskaa piyegaa, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Dafn kardo yeh nanhey sey jee ko, Sounmp dethi hoon Rooh-e-Nabi ko Dam karo padd kay Naad-e-Ali ko, Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

*****

42 Salaam Salaam Marsia Nauha Asghar salaami teer-e-sitam khaaye aathay hain Gardhan pidar kay haathoun pa lattkaaye aathay hain

Teeroun ka mehh barastaa hai nanhi si laash par Kaali ghataa ki tarha laaeen chaaye aathay hain

Paani diya na zaalimon ney pyaasey margaye Gul ki tarhaa sey dhoop mein murjhaaye aathay hain

Baazu chidaa hai Shah ka bachcha hai khoon mein tar Choti si laash chaathi sey liptaaye aathay hain

Hazrat ko hai yeh sounch kay Baanu kaheygi kya Gardhan ko maarey sharm kay nyuddaye aathay hain

Boli Sakina jhaank kay deodi kay pardey sey Qurbaan hogayi meray maa jaaye aathay hain

Kya zulm hai kay ek kay ser par nahin ridaa Chehroun pa apney baaloun ko bikhraaye aathay hain

*****

Maqtal mein tha jo laasha-e-Asghar tamaam raat Jungal mein dhoondti rahi maadar tamaam raat

Uriyaan thi laash-e-shamma-e-Shabistaan-e-Mustafa Parwaana waar phirti thi khawaahar tamaam raat

Baba ko yaad karkay Sakina na sothi thi Usko na chaen aata tha dum bhar tamaam raat

Salaam Marsia Nauha Salaam 43 Ro ro kay haaye aapney chacha ko pukaar kar Baali Sakina maanga ki gauhar tamaam raat

Ek bey watan kay qatl ki tayyariyaan jo then Barpaa tha fouj-e-Shaam mein mehshar tamaam raat

Qabzey ko choomtay rahey talwaar toull kar Shouq-e-jihaad mein rahey Akbar tamaam raat

*****

Baanu kehti hai Khudaaya kya karoon Aa rahaa hai yaad bachcha kya karoon

Kaisey neend aayegi jalti reyth par Meri goudhi hai na jhoola kya karoon

Dil kay jo armaan thay dil mein rehgaye Hogayaa hai goudh soonaa kya karoon

Ghutniyoun chaltay na dekha laal ko Thi badi is ki tamannaa kya karoon

Khoon bhari soorath teri nazroun mein hai Moonh ko aathaa hai kaleija kya karoon

Aao Asghar aao maa hai muntazir Tum bathaao jee kay tanhaa kya karoon

Saaheb-e-aulaad bathlaayein zaraa Mein jhulaa kay khaali jhoola kya karoon

44 Salaam Salaam Marsia Nauha Qabr Asghar ki banaaney mein bohath deyr lagi Sheh ko ek chaand chupaaney mein bohath deyr lagi

Sheh ney har laash ko jaldi sey utthaaya lekin Laash Akbar ki utthaaney mein bohath deyr lagi

Tukddey chunthay huvey Qasim kay kaha Maula ney Haaye afsos kay aaney mein bohath deyr lagi

Baap ki laash sey durroun ki azeeyath dey kar Ek bachchi ko hattaaney mein bohath deyr lagi

Is qadar pyaas sey sookha tha guloo-e-Sarwar Shimr ko teigh chalaaney mein bohath deyr lagi

Kuch qadam door hai bazaar sey darbaar magar Phir bhi Shehzadi ko aaney mein bohath deyr lagi

Karbala jaakay Takallum ney yehi poocha tha Mujhko Sarkaar bulaaney mein bohath deyr lagi

***** Aey raat zaraa aahista guzar

Ashoor ki shab Zainab ney kahaa, Aey raat zaraa aahista guzar Ehsaan tera mujh par hogaa, Aey raat zaraa aahista guzar

Lutjaaeingay kal khaimey saarey, Jal jaayegi masnad Ahmed ki

Salaam Marsia Nauha Salaam 45 Hojaayega kal khaali jhoola, Aey raat zaraa aahista guzar

Suljhaaney baetthi hai Laila Akber ki bikhri zulfoun ko Maloom nahin kal kya hogaa, Aey raat zaraa aahista guzar

Kal pyaasey baraati aayeingay Kal Qasim ki shaadi hoveygi Hojaayegi kal Kubra beywaa, Aey raat zaraa aahista guzar

Abbas-e-Alambardaar bhi Talwaar pa saiqal kartay hain Kal inko hai johar dikhlaana, Aey raat zaraa aahista guzar

Ek baar apney bharay ghar ko Jee bharkay dekh toh ley Zainab Kal hojaayega sannaata, Aey raat zaraa aahista guzar

Jee bhar kay dekh toh ley aye Zainab Aaj apney bhaayi ki soorath Katt jaayega kal Sarwar ka gala Aey raat zaraa aahista guzar

Kis yaas sey aur kis hasrat sey Zainab yeh bayaan karti thi Sayeed Aahista guzar aey raat zaraa, Aey raat zaraa aahista guzar

46 Salaam Salaam Marsia Nauha Aakhri waqt hai marney ki rezaa do Zainab Apney haathoun sey kafan mujhko pinhaa do Zainab

Waqt ronay ka nahin aankhon sey aansoo poncho Bhaayi ko hauslaa-e-sabr-o-rezaa do Zainab

Farz ki raah mein utthey na mohabbat ka sawaal Hai Sakina dar-e-qhaimey sey hattaa do Zainab

Uff na karna jo kalaayi mein rasan bandh jaaye Sabr amma ka zamaaney ko dikhaa do Zainab

Hothay Abbas toh takleef na deithay tum ko Ek majboor ko ghoday pey bitthaado Zainab

Muntazir shimr ka khanjar hai meri gardhan ka Zindagi ki nahin marney ki rezaa do Zainab

*****

Mujraee Sheh ney kahaa bhool na jaana Zainab Faateha bhaayi ka paani pa dilaana Zainab

Rahem khaa kar koyi bey rahem agar paani dey Pehlay tum meri Sakina ko pilaana Zainab

Qaid mein chupkay chalee jaaiyo sar ko neoddaaye Apni aawaaz na ghairoun ko sunaana Zainab

Run ko mein jaa kay na maidaan sey phir aaoongaa Qaid tum ho kay meri laash pey aana Zainab

Salaam Marsia Nauha Salaam 47 Meray laashey ko kafan gar na mayassar hoyeh Apni chaadar ka kafan hum ko banaana Zainab

Gar Sakina ka labey naher guzar hojaaye Laash Abbas-e-Dilaawar ki chuppaana Zainab

Haath sey zalimoun kay gar koyi kapddaa bach jaaye Nanhi si laash pey Asghar ki uddaana Zainab

*****

Zainab pukaari rokar Abbas tum kahaan ho Hothay hain qatl Sarwar, Abbas tum kahaan ho

Seenay pa zakhm khaakay naana ke paas pahoonchey Hum soorath-e-Payambar, Abbas tum kahaan ho

Bhaayi akeilay mayyath betay ki laarahey hain Deidoh sahaara aakar, Abbas tum kahaan ho

Veeraan karke jhoola Asghar gaye jinaan ko Gardhan pa teer khaakar, Abbas tum kahaan ho

Asghar ki qabr Sarwar run mai banaa rahey hain Chehrey pa khoon malkar, Abbas tum kahaan ho

Kya hogaya hai tumko kya hogayeen wafaaein Tanhaa hai run mai Sarwar, Abbas tum kahaan ho

Awaaz-e-istighaasa goonji huvi hai run mai Nusrath karo ab aakar, Abbas tum kahaan ho

48 Salaam Salaam Marsia Nauha Kooza liye Sakina hain muntazar tumhaari Paani pilaadoh aakar, Abbas tum kahaan ho

Kya waqth aagaya hai khush ho rahey hain zaalim Humko sathaa sathaakar, Abbas tum kahaan ho

*****

Asr ko sheh ki sada aayi kise aawaaz doon Ek main hoon meri tanhayi kise aawaaz doon

Doobta hae dil mera khursheed ke kirnoun ke saath Yeh udaasi us pa tanhayi kise aawaaz doon

Aye Ali Akbar tumhari aakhri hichki ke saath Kho gayi hae meri beenaayi kise aawaz doon

Jung se meri zameen-o-aasman larzay mai hain Kaun dekhe jung ae bhai kise aawaz doon

Jab ridah cheeni gayi Zainab ne rokar di sada Margaya Abbas sa bhayi kise aawaaz doon

Shaam hothay hi Zainab se Sakina ne kaha Loot ne fouje sitam aayi kise aawaaz doon

Shaam ka darbar hae Abbas-o-Akbar bhi nahin Har taraf hain sab tamashayi kise aawaaz doon

Tashna lab Abbas jab saahil se waapis hogaye Alqama ro ro ke chillayi kise aawaaz doon

Salaam Marsia Nauha Salaam 49 Juz Hussain ibne Ali kisko pukarega Nawaaz Kaun karta hae maseehaayi kise aawaaz doon

*****

Aasmaan larzaa Zameen kaampee Samandar roay Qabr mein Maa kay liye jab Ali Asghar roay

Tanhaa rothi thi bahaathar ko Ali ki Beti Bey ridaa jab huvee Zainab tho bahaathar roay

Nazaa mein yaad jo Beemar-e-Madina aayeen Hichkiyaan bandh gayeen istarhaa sey Akbar roay

Waqt-e-rukhsath jo Hussain aaye dar-e-khaimaa par Shah Zainab sey bohoth dair lipatt kar roay

Aisey royaa na kisee Baap ko Beta koyi Jaisey chaalees baras Abid-e-Muztar roay

Zibhaa hotay huvey sab dekh rahi thi behnein Yeh samaan dekh kay Maula ka muqaddar roay

Aisey har Naasir-e-Shabbir pey royee Zainab Jaisey Bhaayi kay bichardd jaane pey khuaahar roay

Shimr ka khauff hai gardhan mein rasan bhi hai bandhi Apney Baba ko Sakina kahaan jaakar roay

Sunkay aye Mir Takallum tera majlis mein salaam Fatima royeen, Ali roay, Payambar roay

50 Salaam Salaam Marsia Nauha Khaak par maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai Shor hai Ahl-e-Haram mein aur maa khaamoush hai

Rokay kehti hai yeh Baano haaye yeh kya hogayaa Shaahey deen ko ronay waali aaj kyun khamoush hai

Dafn ka saamaan Bibi kis tarhaa sey hoyegaa Sar pa chaadar bhi nahin hai aur maa khaamoush hai

Paaoon mein zanjeer dohri aur galay mein touq hai Sar jhukaaye qaid mein Zainul-Ibaa khaamoush hai

Sham kay zindan ka manzar sonch aye Maryam zara Saamney maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai

*****

Aye Salaami khiyaam jaltey hain Run may naamoos-e-sheh nikalthay hain

Run may bajthay hain fatha kay baajey Darr sey beyvoun ke dum nikalthay hain

Baithi hain bibiyan andheray mein Shaamiyon may charaag jalthay hain .

Zeray khanjar hain gardanay Shabbir Murtuza gham se haath malthay hain

Qabr-e-Asghar say kahti thi banu Aye lahad hum yahaan say chalthay hain

Salaam Marsia Nauha Salaam 51 Tu hamaari tarha se behlaana Shab ko Asghar bahot machaltay hain

Peish haakim khadey hain ahle haram Sab kay chehroun pa ashk dhalthay hain

Khainchtay hain galey sey teer hussain Mu sey Asghar lahu ugalthay hain

Zakhm jalthay hain garm hai jo zameen Shaahey deen karwatain badalthay hain

*****

Shaam ke baad Bhaiyyah teri maajaayi ney Yeh bhi dekha shaam ke baad Shaam sey pehlay qatl huva tu Paani aaya Shaam ke baad

Asghar maqtal jaatey jaatey Khushboo apni chodd gaye Maa aankhoun sey choom rahi hai Qaali jhoola shaam ke baad

Baba ko jab yaad kareigi shimr tamaachey maareyga Ho jaaengay khoon mai tarr rukhsaar-e-sakina shaam ke baad

52 Salaam Salaam Marsia Nauha Din kay ujaaley may lailaa ney hashr kay manzar dekhliye Noukay sinaa par dekh rahi hai chaand ka tukdaa shaam ke baad

Qasim-o-Akbar Aun-o-Mohammad Khana-e-Zehra ke thay charaag Soonay ghar may yaad aayega har shehzaada shaam ke baad

Shaam-e-ghareebaan ke maaroun ko nangay sar dekha jo Zaki Dhaamp raha hai chaadar bunkar Ghorr andheiraa shaam ke baad

*****

Boli Zainab utho imdad ko aao Abbas Zibha hota hae mera bhayi Abbas

Sar toh shah ka ab sajdae qaliq mein jhuka haath se shumr ke qanjar ko chudao Abbas

Ab Sakina pah yateemi ka sitam toot gaya ab taras khao kaleje se lagao Abbas

Aag qaimon mein lagane chale aae hain adoo Ghash mein hae Abede beemar jagao Abbas

Jo ridah hazrate Zehra ki thi mere sar par Woh ridah shumr ne cheene hae dilao Abbas

Salaam Marsia Nauha Salaam 53 Laashe besar se hae lipti hui nanhi bachhi aao nadaan Sakina ko chudao Abbas

Mere baazu mein rasan baandhta hae shumre shaqi is azeeyat se behan ko toh bachao Abbas

Saath ghurbat mein yateemon ko na chodo bhaiya main bulaati hoon mere paas toh aao Abbas

Hone tasheer chali jaati hae nashaad behan Fouje aada ko jalal apna dikhao Abbas

Tumse karti hoon sifaarish yehi Hyder ke liye apne qadmon mein jagah usko dilao Abbas

*****

Darouna jungle, hae raat andheri, sitaare kuch jhilmila rahe hain Pardey hain rethi pah chand laashe joh apna gham aap kha rahe hain

Hae aisa bigda huva zamana na gore hae aur na shamiyana Falak pah abre siyaah ke lakke udaasi bun bun ke cha rahe hain

Na koyi zaqmoun ka dhone wala na koi murdoun pah ronay wala Parind kuch kar rahe hain naalay darindh kuch qaak uda rahe hain

Shikista hathyar kuch padey hain yeh loug shayad yahan lade hain Laday toh woh honge joh badey hain nazar toh bachhe bhi aarahe hain

Yeh run joh is waqt bolta hae unhee shaheedon ki yeh sada hae Musafir aatey hain joh idhar se woh raah katrah ke ja rahe hain

54 Salaam Salaam Marsia Nauha Haram pah kya guzri baad inke nahin zaroorat ke koi bole Jale huve joh pade hain qaime khud unka lutna batah rahe hain

Shifa-ate hashr karne wale kahen woh joh kar guzar ne wale Ghayoor hain yeh woh marne wale joh hum ko ab tak rula rahe hain

*****

Thi kisi ki dasht mein sadaa Haaye hum yateem hogaye Fatima ka ghar ujadd gaya Haaye hum yateem hogaye

Jaaney kaisi shaam aagayi sab ko apney saath leygayi Ek din mein kya sey kya huvaa Haaye hum yateem hogaye

Kiski raah dekh aaye yeh ghareeb Ban chukee hai tthokrein naseeb Baap hai na sar pey ab chacha Haaye hum yateem hogaye

Shaam jis jagaah huvee rukay subhaa hogayi toh chal padey Hum musaafiroun ka kya rahaa Haaye hum yateem hogaye

Kya kahoon kay kis tarhaa kiya Zaalimoun ney baap ko shaheed Dekhti rahi yeh Karbala Haaye hum yateem hogaye

Salaam Marsia Nauha Salaam 55 Dukhtar-e-yateem ki dua Gham na dey kisi ko ya Khuda Beti ho na baap sey judaa Haaye hum yateem hogaye

*****

Mujraee khalq mein, in aankhon ne, kya kya dekhaa aa Par kahin sibtey, Payambar sa naa, aaqaa dekhaa aa

Mainey dekhaa aalam-e-Shah ko, alooda e-khoon, Maine naizey pay sar-e-dilbar-e-Zehra dekha aa

Maine dekha Ali Asghar ka galaa khoon mein tarr Maine Abbas ko, reythi pe, tadapta dekhaaa

Ek gatthdi Shahey deen pusht pa laaye jis main Mainey tukdey huvey, Qasim ka saraapa dekha aa

Gir paday Sibtey nabi, thaam kay haathon say jigar Ali Akbar ko jo reythi pay tadaptha dekha

Bay-rida khalq nay us bibi kay sar ko dekha Jiski maadar ka, kisi ney na janaaza dekha

Haaye kyon ho na gayee, kor kay, in aankhon ney Qaid khaanay mein Sakina ka, janaaza dekha aa

Zulm aye Mujrayee Sajjad ney, kya kya dekha Ghar lutaa, qaid huvey, baap ka laasha aa dekha aa

56 Salaam Salaam Marsia Nauha Boli yeh Zainab-e-muztar, kay Khuda khair karay Raat ko khwaab mein, uriyaan sar-e-Zehra dekhaaa

Jaake Zainab ne, madine mein kaha, Sughra say Kahoon kis moonsay ke pardes mein, kya kya dekhaaa

*****

Ek beemaar sey aye mujraee sab ghar choota Baap maa chootay bahen chooti baraadar choota

Sheh sey aye mujraee Abbas-e-dilaawar choota Padd gaya ghul ke baraadar sey baraadar choota

Bolay Sheh humsaa na hoga koyi awaara watan Qabr naana ki chooti shahr choota ghar choota

Yaad betay ki bhala bhoolthi Banu kyon kar Baad attaara baras kay Ali Akbar choota

Deikay Abbas ko maidaan ki riza Sheh ney kaha Baad muddath ke teraa saath baraadar choota

Jab Sakina ney sunaa margaye darya pay cha-cha Yaas paani sey huvi haath sey saaghar choota

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 57 Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab

Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi kya aae tabaahi Ab isko na aabaad kabhi payegi Zainab

Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja yaad aaoge bhaiyya Dil dhoondhega tumko toh kahaan payegi Zainab

Bin bachhon ke kehlaayi toh kehlaayi main laikin yeh kaise ho mumkin Bin bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab

Poochenge joh sab loug ke baazu ko huva kya yeh neel hae kaisa Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab

*****

Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka

Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae Khule saroun pah aseeri ki qaak udhaati hae

Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae

Salam bhejtey hain apni shahzadi par Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar

Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi

58 Salaam Salaam Marsia Nauha nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi

Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain

Pahaad raat badi der hae saverey mein Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein

Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi

Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi

Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam

Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi

Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein

Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz

Salaam Marsia Nauha Salaam 59 Salam tum pah shaheedon ke bekafan laasho salam tum pah rasool-o-Batool ke pyaaro

Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae

*****

Ya Ali Karbala mein aag lagi Qana-e Mustafa mein aag lagi

Jal rahi hae rasool ki masnad Qalbe Qairunnisa mein aag lagi

Sar barahna hae dil jali Zainab Chadare Fatema mein aag lagi

Jal raha hae kisi ka pairahan aur kisi ki ridah mein aag lagi

Rokey kehti hae saniye Zehra Utho Abed aba mein aag lagi

Karbala se joh Shaam mein pahunche Qalbe Zainulleba mein aag lagi

Dekho aakar Najaf se ain ullah Kaisi yeh nainawa mein aag lagi

Yaad kar Fatema ka dar Hilmi Dekh ab Karbala mein aag lagi

60 Salaam Salaam Marsia Nauha Ro ro maqtal mein kehti thi Zainab bhaiyya baali Sakina kahan hae Jaake dhoondhun kahan usko bun mein shab hae taareek run mein Hookh uthti hae mere badan mein bhaiyya baali Sakina kahan hae

Uth ke dariya se Abbas aao saath Akbar ko tum letey aao Dhoondh kar tum Sakina ko laao bhaiyya baali Sakina kahan hae

Ho chuki run mein sham-e ghareeban fouje aada mein ab hae chiraagan Kooch ke ho rahe hai yeh saaman bhaiyya baali Sakina kahan hae

Bhaiyya dekho toh qismat hamari jayegi kis tarah yeh sawari Hogi mehmil na ab woh amaari bhaiyya baali Sakina kahan hae

Laashe besar se aawaz aayi gham na khao ae amma ki jaai Aao behna bulaata hae bhayi meri baali Sakina yahan hae

Rothay rothay jo neend aagayi hae gham ke toofan mein woh kho gayi hae Mere seene pah woh so gayi hae meri baali Sakina kahan hae

Salaam Marsia Nauha Salaam 61 Zulm karthey thay jo sheh par baani-e-shar baar baar Kaamp jaati thi salaami qabr-e-Hyder baar baar

Barchiyaan khaathey thay maidaan may jo Akbar baar baar Maa nikal aati thi khaimey sey tadap kar baar baar

Banu kehthi thi kahaan sey laaoon paani kya karoon Pyaas sey ab hichkiyaan leytha hai asghar baar baar

Kehthi thi banu Ilaahi kijiyo waaris ki khair Aaj kyon sar sey giri padthi hai chaadar baar baar

Shimr sey boli Sakina rahem kar masoom hoon Maartha hai kyon tamaachey aye sitamgar baar baar

*****

Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi mujraee kaise Sakina ko kalaayi hogi

Naujawan ne joh sinaa seene pah khaayi hogi mujraee qaime se Zainab nikal aayi hogi

Shabe ashoor yeh aati thi sada-e Zehra subah ko mere bhare ghar ki safaayi hogi

Bibiyan kehti thi yeh raat ghanimat jano Kal toh ek jaan pah lakhon ki chadhaayi hogi

Kya uthe hoenge Zainab ke jigar se sholay aah jab masnade Shabbir jalaayi hogi

62 Salaam Salaam Marsia Nauha Naatawan dekh ke Abid ko yeh bole raah geer haaye kisne useh zanjeer pinhaayi hogi

*****

Main sonchta hoon kay Abid ka haal kya hogaa Aseer ho kay woh jab Shaam mein gayaa hogaa

Sunaa hai Shaam mein jaatey hi khoon ronay lagaa Na jaaney shimr ney us waqt kya kahaa hogaa

Mujhey yaqeen nahin aathaa yaqeen kaisey karoon Ali ki Laadli Beti ka sar khulaa hogaa

Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki shaahi ko Bahan ko dafn jo kurtay hi mein kiya hogaa

Galay kay touq ney Abid ko kya jhukaana thaa Woh apney khoye huvey Laal dhoondtha hogaa

Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki ghurbath ko Watan mein jab usay ghusl-o-kafan milaa hogaa

Rasool Zaadiyaan bey maqnaa aur woh khaamoush Meray Imam ka kis darjaa hauslaa hogaa

Woh zulm deikhay hain Sajjad ney Hussain kay baad Mujhey yaqeen hai ab takh bhi ro rahaa hogaa

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 63 Afsous Nabi Zaadiyoun ka Shaam mein jaana Sajjad sey poocho Sar nangay woh Maa behnoun ka darbaar mein jaana Sajjad sey poocho

Chhuptee thi Nabi zaadi Nabi zaadi kay peechay Kis sharm-o-hayaa sey Aur shimr ka un bibiyoun kay naam bathaana Sajjad sey poocho

Thi ek rasan baaraa Aseeron kay galay thay Sab chupkay khaday thay Rassi mein bandhey Zainab-o-Kulsoom ka aana Sajjad sey poocho

Sar Hazrat-e-Muslim ka lataktaa thaa jahaan par Wahan Sheh ka ruka sar Durray sitham eejaad ka uss waqt lagaana Sajjad sey poocho

Durr chheenay Sakina kay tamaachey bhi lagaaye Kis zulmo jafaa sey Ghurbath mein sithamgaaron ka Sakina ko sathaana Sajjad sey poocho

Jab Baali Sakina ko ghusal deytay thay Sajjad Faryaad hai faryaad Uss nanhee si gardan pey nishaan rassi kay paanaa Sajjad sey poocho

64 Salaam Salaam Marsia Nauha Baitthey huvey sab kursiyon par chotay baday thay Saadaath khaday thay Sar tasht mein rakkha huvaa Zainab ko dikhaana Sajjad sey poocho

Ghash khaakay giray Syed-e-Sajjad zameen par Barpaa huvaa mehshar Naizey ki anee sey unhein uss waqt utthaanaa Sajjad sey poocho

*****

Boli maa kya huva Sakina ko Ghash yeh kyun aagaya Sakina ko

Kyun yeh khaamosh hogayee aakhir Kisney kya kehdiya Sakina ko

Kya khabar isko kya huva beta Dekho Abid zaraa Sakina ko

Haaye ghurbath mein chheen kar mujhse Legayi kyun qazaa Sakina ko

Na shikaayat hai ab tamaachoun ki Na rasan ka gilaa Sakina ko

Saath hi ab Sayeed kay milkar Royein ahle-aza sakina ko

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 65 Thi Sakina ki yeh sadaa bhaayi Dum nikaltaa hai ab mera bhaayi

Mera jeena bhi koyi jeena hai Sar pey baba hai na chacha bhaayi

Mein toh jaati hoon paas baba kay Sab ka Haafiz hai ab Khuda bhaayi

Meri maiyyath pey ek choti si Dal dijiyeh koyi ridaa bhaayi

Meray marthay hi qaid sey saaraa Kunbaa hojaayegaa rihaa bhaayi

Maa ko nazdeek sey hattaa dijiyeh Maa sey dekha na jaayegaa bhaayi

*****

Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai Paaoon mein aablay hain aabloun mein khaar bhi hai

Kehta tha touq-e-giraan tu hai meray hissey mein Warna is fouj mein khanjar bhi hai talwaar bhi hai

Poochaa ek shaqs ney Shabbir teraa kaun hai Rokay farmaaney lagay baba bhi hai sardaar bhi hai

Pahoonchey nazdeek jo laashey kay Sakina ney kahaa Yeh meray Baba ka Bhaayi bhi Alamdaar bhi hai

66 Salaam Salaam Marsia Nauha Pahoonchey nazdeek jo Koofay kay toh boli Zainab Sar bhi uriyaan hai, balwaa bhi baazaar bhi hai

Dum rukh jaata hai aur sar bhi jhukh jaata hai Touq yeh tangh nihaayath hai garaanbaar bhi hai

Gar chey beemaar hoon par zor-e-Imaamat kay sabab Oontt bhi kheinchtaa hoon taaqath-e-raftaar bhi hai

Jab inhey shimr nazar aata toh ro ro kehta Yeh sitamgar bhi hai qaatil bhi khoonkhaar bhi hai

Karbala mein toh Fasi aaya khusha haal tera Ab tu Shabbir ka mujraee bhi hai zawaar bhi hai

*****

Bano ki dilrubaa Sakina jaan Chal basee mehlaqaa Sakina jaan

Sheh ki shaidaayi aur meri dukhtar Hogayi kyon khafaa Sakina jaan

Sadhqay hothi hai tum pay maa uttho Kehna maanou mera Sakina jaan

Dard kaanou ka kaisaa hai bolo Mujhsey bolo zara Sakina jaan Haal Asghar ka ab bayaan kijiyeh Dil bhar aaya mera Sakina jaan

Salaam Marsia Nauha Salaam 67 Haaye Zindaan-e-shaam may tumko Aagayi kya qazaa Sakina Jaan

Jaa rahi hoon main lo khuda haafez Aye meri dilrubaa Sakina jaan

*****

Kehti thi yehi Zainab dukhiya mere beeranva mujra lo mera Kuch baat karoon main tum pah fida mere beeranwa mujra lo mera

Main kookh jali maajayi hoon hamsheer tumhari bhai hoon Zindaan se chutkar aayi hoon mere beeranwa mujra lo mera

Nikli thi watan se jab mein aqi tum saath thay aur kunba tha sabhi Ab koi nahin tanha hoon chali mere beeranwa mujra lo mera

Akbar bhi nahin Abbas nahin Qasim sa bhatija paas nahin Ab mujhko kisi ki aas nahin mere beeranwa mujra lo mera

Zindaan mein gayi darbar gayi sar nangay sare baazar gayi Bin tere zaleelo qaar gayi mere beeranwa mujra lo mera

68 Salaam Salaam Marsia Nauha Poochegi agar mujhse Sughra hae baap phoopi kis ja mera Kya us se kahoon bolo bhaiya mere beeranwa mujra lo mera

*****

Arbayeen kay soghvaaro alveda Akhri majlis hai yaaro alveda

Khaatema bil khair chehlum ka huva Alveda-e-ashkbaaro alveda

Akbaro Asghar Ali ki zaamini Naujawaano sheerkharo alveda

Kehtey thay Ganj-e-shaheedan par haram Fatima Zehra kay pyaaro alveda

Karbala ki khaakh ko sounpaa tumhey Arsh-e-aazam kay sitaaro alveda

Qabr par betoun ki Zainab ney kaha Maa watan jaathi hai pyaaro alveda

Sar kahin laashay kahin qabrein kahin Baymakaano baydayaaro alveda

Qabr sey awaaz detay hain Hussain Lo bahan Zainab sidhaaro alveda

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 69 Aye shahey do jahaan khuda haafez Aye Mohammad ki jaan khuda haafez

Humshabi-e-Nabi Hussain kay laal Akbar-e-Naujawaan khuda haafez

Aye Shahey deen kay tashna lab yaawar Asghar-e-bey zubaan khuda haafez

Pheirnay waaley khushk houtoun par Apni sookhi zabaan khuda haafez

Paaye maal-e-gham-o-alam khasim Jaao Shabbar ki jaan khuda haafez

Aye Alamdaar-e-fauj Aye Abbas Aye Ali kay Nashaan khuda haafez .

Ho chuki aaj khatm Mehmaani Shiyoun kay mehmaan khuda haafez .

*****

Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina tho ro Diye Abid ka dil ghamoun sey bhar aaya tho ro diye

Paaoun mai aabeilay thay, chalay aur teihar gaye Rauza Rasool ka nazar aaya tho ro diye

Bhaitay zameen par sar ko, jhukaaye huvey Imam Saaya kiya kisi ney ridaa ka tho ro diye

70 Salaam Salaam Marsia Nauha Abbas ki Wafa ka, shuja-ath ka zikr tha Betay ney aakay baap ko, poocha tho ro diye

Ummul Baneen ko betay ka, pursaa diya magar Soghra ko dey sakay na, dilaasa tho ro diye

Farmaathey thay shaheed, huvey aqrobaa tamaam Beysheer ko kisi ney jo, poocha tho ro diye

Rudaadein Karbala ki, sunaaya kiye Imam Jab zikr-e-shahr-e-shaam ka, aaya tho ro diye ***** Hai rukhsath ki ghadi aye Karbala waalo Khuda hafez Salaam-e-aakhri aye Karbala waalo Khuda hafez

Na humsey ho sakaaa kuch bhi adaa haq meizbaani ka Hai yeh sharmindaghi aye Karbala waalo Khuda hafez

Tumhaarey saath Zehra bhi yahaan tashreef laathi thi Yeh izzath bhi milee aye Karbala waalo Khuda hafez

Hamaarey ghar ki raunaq bhi tumhaarey saath jaathi hai Udaasi chaa gayi aye Karbala waalo Khuda hafez

Kuch aansoo aankh mai kuch daagh hain maatam ke seenay par Hai nazraana yehi aye Karbala waalo Khuda hafez

Tumhaarey Gham main rothay rothay marjaatey tho accha tha Yeh hasrath reh gayee aye Karbala waalo Khuda hafez

Salaam Marsia Nauha Salaam 71 Pahoonch kar waanh sayeed-e-zaar ko bhi yaad karleina Hai maarooza yehi aye Karbala waalo Khuda hafez

*****

Tashna labb mazloom Sarwar alwedaa Fatima Zehra kay dilbar alwedaa

Shaan-e-Majlis tha tumhaara zikr-e-Gham Raunaq-e-Mehraab-o-Mimbar alwedaa

Hai jawaani bhi wabaaley zindagi Ab tumhaarey gham mein Akbar alwedaa

Lijiyeh Aun-o-Mohammad ab Salaam Saberaa Zainab kay dilbar alwedaa

Dil sey ab naqsh-e-Wafaa mitt-tha nahin Jaao Abbas-e-Dilaawar alwedaa

Majlisoun mein humko rothaa choddkar Muskuraathay jaao Asghar alwedaa

Ab na Zainab jaaogi tum sar khulay Nazr hai ashkoun ki chaadar alwedaa

Rothay hain Baqir Muhibbaan-e-Hussain Kehtay hain Sibtey Payamber alwedaa

*****

72 Salaam Salaam Marsia Nauha Marsias

Please recite Surah-e-Fatiha for:

Mir Babbar Ali Anees Mirza Salaamat Ali Dabeer Beyqaraari Fatima Soghra s.a

Musaafiroun ki Madiney mai jab raseed aayi Kay waadagaah mai fouj-e-shahey sayeed aayi Raseed aathay hi Soghra ke ghar main eid aayi Taphay gohan gayee aur taaqath-e-jadeed aayi malaal door huva aiysh ke qareenay sey Bukhaar nabz sey gham dil sey dard seenay sey

Gharazz kay Hazrath-e-Ummul Baneen ko bulwaaya Woh aayeen toh sar-e-tasleem utt ke nahudaaya Woh hans ke boli ke kyon yaad mujhko farmaaya Kaha mareez ney khush hokay Sheh ka qath aaya hamaarey dil ko faqath naamabarr ney chaen diya mohammad-e-Hanafi ko qath-e-Hussain diya

Yeh kehkay maadar-e-Abbas ko liya humraah Mohammad-e-Hanafi kay ghar aayi dukhtar-e-shah Woh muntazir thay liye naama-e-Shahey zeejaah Salaam karthay hi kehnay lagay ba naala-o-aah lo ab sunaao Imaam-e-ghareeb ka naama Padho mareez kay aagay tabeeb ka naama

Mohammad-e-Hanafi ney kiya lifaafey ko waah Nikaala suqqahey pur noor Syed-ush-Shohadaa Padhaa jo naamay main alqaab apna rokay kahaa Hussain teray karam par hain laakh jaan sey fidaa Kahaa main tera baraadar bajaan baraabar hoon Tu jaan-e-qatm-e-Rasool hai main ibne Hyder hoon

74 Marsia Salaam Marsia Nauha Aqhi ka lafz jo alqaab main meray likhaa Faqath yeh bandhaa nawaazi hai ya Imam-e-Huda Tera ghulaam hai Abbas main ghulaam uskaa Hazaar haif qadam sey Huzoor kay hoon judaa liya jo naam-e-judaayi toh aansoo behnay lagay salaam paddh kay alaikas-salaam kehnay lahay

Kaha yeh Fatema Soghra sey tabh ba deeda-e-tarr Likha hai baap ney tumko kay aye meri dukhtar Dua kay baad ho maaloom meri noor-e-nazar Koyi ghadi nahin ghaafil teri taraf sey pidar Qalaq hai sadhmaa hai ranj-o-malaal hai Soghra adoo kay narghey main Zehra ka laal hai Soghra

Wofoor-e-fikr sey Soghra jo saqth ghabraayi Chachaa ka apney qalamdaan woh utthaa laayi Aur iltemaas kiya aye Hussain kay bhaayi Mujhey toh hai na tawaanaayi aur na beenaayi meri taraf sey woh alqaab likho Baba ko Kaneezein likhthi hain jis tarhaa apney aaqa ko

Ghareeb parwar-o-aalam nawaaz woh khalq-e-panaah Maalik sipaah falak baargah-e-shaahinshah Imam beykas-o-mazloom-o-beydayaaro tabaah Khaleel-e-Kaaba-e-deen Yousuf-e-Rasoolallah ajal raseedoun kay Eesa ghareeboun kay waali hussain ibne Ali mudhazallaa-o-aali

Salaam Marsia Nauha Marsia 75 Rajab ki teesri ko tumney ghar kiya veeraan Tumhaarey baad huveen teen eidein Babajaan Shab-e-Baraath huvi doosrey mahiney ayaan Baroohey hamza na thi faateha ki taab-o-tawaan Tamaam aah tadaptay tadaptay raat huvi hamaarey ghar main na eid-e-Shab-e-baraat huvi

Woh eid toh gayee din eid-e-fitr ka aaya Ghar aankar mujhey humjoliyoun ney rulwaaya Kisiney gehnaa kisiney libaas dikhlaaya Koyi yeh boli kay eidee main humney yeh paaya har ek khush tha magar meray lab pa naalay thay safar mai sab meri eidee kay deinay waaley thay

Nazar main phirthaa hai eid-e-guzishthaa ka aana Woh eidgaah main Akbar ka dhoom sey jaana Bahen ke waasthay meivay khareedkar laana Woh amma baano ka har dum galay sey liptaana Ba jabr ab toh baghalgeer jis sey hothi hoon Bahen Sakina ko main yaad karkay rothi hoon

*****

76 Marsia Salaam Marsia Nauha Safar-e-Imam Hussain & 1st Moharram

Ghar sey jab bahrey safar Sayed-e-Aalam nikley Sar jhukaye huve baadeeda-e-pur num nikley Khaisho farzand kamar baand ke baaham nikley Rokay farmaya ke is shaher sey ab hum nikley raat se girya-e-Zehra ki sada aati hai Dekhein qismat hamein kis dasht mein lejaati hai

Ruqh kiya Sheh ney suey qabrey shahinshah-e-anaam Bahrey tasleem jhukey muttasiley baab-e-salaam Izn pad kar jo gaye qabr ke nazdeek Imam Arz ki aaya hai aaj aakhri rukhsath ko ghulam Yeh makaan hum se ab aye shah-e-zaman choot tha hai aaj Hazrat ke nawaase sey watan chootha hai

Chaen sey sab hain gharoun may mujhey milta nahin chaen Saqth aafat may hai ab apka yeh noorul aiyn Tukde dil hota hai jab rokay haram kartey hain bayn Nunhey bachchonko bhala lekay kidhar jaye Hussain shahr mein chaen na jungle may amaan milti hai Dekhiye qabr musaafir ko kahan milti hai

Ab meray sar ke liye teiz huvey hain khanjar Ahle keen shar pey kamar baandhey hain ya khaire basher Aapne di thi isi roz ki Amma ko khabar Waaledaa royi theen doh roz talak peet ke sar is nawasey ko magar bhool na jaana Hazrat Zibha ke waqt madad karney ko aana Hazrat .

Salaam Marsia Nauha Marsia 77 Yeh woh din hai kay parinde bhi nahin chodtey ghar Mujh ko dar pesh hai in rozon mein aafat ka safar Hai kaheen qatl ka samaan kahin lut jaane ka darr Saath hai bachoun ka aye Badeshah-e-jinno bashar Thang jeenay sey hoon paas apney bulaalo naana apni turbath may nawaasey ko chupaalo naana

Yeh bayaan karke jo taaveez se liptey sarwar Youn hili qabr ke tharrayi zaree-e-anwar Aayi turbath se ye awaaz-e-Habeebe daawar Teri ghurbat ke main sadqey meray mazloom pisar Koyi samjha na meri ghoud ka paala tujko haaye aadaa ney Madine sey nikaala tujko

Aye meray gaysooun waaley meray Sabir Shabbeer Meray beykas meray mazloom musaafir Shabbeer Na raha koyi tera yaawar o naasir Shabbeer Haaye aye gor-e-garibaan ke mujaaver Shabbeer Tu jahan jayega pyare wahin chaltahoon mai Khaak udaata huvaa Turbath say nikalta hoon mai

Kayee din sey teri maadar ko nahin qabr mein chaen Aayi thi shab ko meray paas yeh karti huvi bayn Ghar mera lut tha hai faryaad Rasool-o-Saqlain Subha ko apna watan chodkay jaata hai Hussain Kahne aayi hoon ke muh qabr se moudoongi main apney bachchey ko akela tho na choddoongi main

78 Marsia Salaam Marsia Nauha Sunke yeh Sheh ney kiya aakhri rukhsath ka salaam Nikley rothay huvey jab rauza-e-anwar sey Imam Sheh ney us dum yeh kiya ro ro ke Zainab ney kalaam Qabr par maa ki mujhey ley chalo ya Shaahey Anaam loug humraah hain mehmil mai main kyonkar rovoon maa ki turbath sey phir ek baar lipat kar rovoon

Maa ki turbath pa gaye shah ba chashm-e-khoon baar Uthri mehmil sey basadh aaho fughaan Zainab-e-zaar Daud kar qabr sey liptey jo Imam-e-Abraar Haath Zehra ke lahadh sey nikal aaye ek baar aayi awaaz na ro-o dil ko qalaq hotha hai Qabr hilthi hai kaleijaa mera shaq hotha hai

Haan bulaao mera Abbas dilaawar hai kidhar Woh fidaa hai meray bachchey pa mai sadqey uspar Shikam-e-ghair sey go hai par woh mera hai pisar Yeh sadaa sunkey baraadar ko pukaarey sarwar abhi rehwaar ko aagay na badhaao bhaayi Yaad farmaathi hai amma idhar aao bhaayi

Aakey Abbas nay sar rakhdiya paaeen-e-mazaar Aayi Zehra ki sadaa main teri ghurbath ke nisaar Apney pyaaroun ke baraabar mai tujhey karti hoon pyaar Dhyaan bhaayi ki hifaazath ka rahey aye dildaar Koyi ghurbath mai ussey maar na daaley beta mera Shabbir hai ab teray havaaley beta

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 79 Shahadath Hazrat Muslim ibne Aqeel

Insaan ke liye maut hai gham bey watani ka Jaanka hai andoh wo aalam bey watani ka Sadmaa nahin kuch maut sey kam bey watani ka Aafath hai qiyaamat hai sitam bey watani ka Kaantoun ke aalam Syed-e-Sajjaad sey poocho ezzaa-e-safar Muslim-e-naashaad sey poocho

Ki saqth daghaa koofiyoun ney ghar mai bulaakay Sab phir gaye jin logoun ke daavey thay wafa kay Laakhoun hai adoo jaayein kidhar jaan bachaakay Aafath mein giraftaar huvey koofey mein aakay Yaawar nahin humdum nahin ghamqaar nahin hai narghey mein hain aur koyee madad gaar nahin hai

Hain sangh dil aisey woh jafakaar-o-sitamgar Khotoun sey lagaaney lagey mazloom pa pather Noorani badan hogaya majrooh saraasar Aur saamne se muh pe lagaa zulm ka khanjar Kyon gir na pada haye falak phat ke zameen par laal labay jaan baqsh girey kat ke zameen par

Muh karke suey charq kahaa shukr khudayaa Raahat hai yeh bandey ney jo kuch zulm uttaya Gham yeh hai ke hai door Yadullah ka jayaa Shabbeer ke haathoun se kafan hum ney na paaya Duniyaa se suey khuld koyee dum mein safar hai Yahn hum pe jo kuch bun gayee kya unko khabar hai

80 Marsia Salaam Marsia Nauha Yeh kahtey thay Muslim ke layeenou ney khazaara Ek sang-e-sitam uss labey majrooh pa maara Reesh aur gareybaan mai lahoo bhar gaya saara Jab haal yeh pahooncha toh kaha jung ka yaara aada sey kaha dil mei zaraa rahem ko jaadoh Ghash aatha hai paani mujhe thodaa sa pilaado

Kab sunthey thay beykus ka sokhan zulm ke baarii Thay qatl ki tadbeer mein woh dushmane jaani le aayee zaeefaa waheen ek jaam mein paani Qismath ney magar bhujjney na dee tashna dahaani sukhee huvi thi gul si zabaan khushk guloo tha is paani ko muh sey jo lagayaa tho lahoo tha

Pheinkhaa isey jab khaak pey ba deeda-e-giriyaan Ek jaam zaeefa ney diya phir unhein us aahn Peenay bhi na paaya tha koyee ghoont woh zeeshan Paani mein juda hokey girey gowharey dandaan Farmaaya ke saabith huva pyaasey hi marengay ab saakhi-e-kausar hamein sairaab kareingay

Dushman toh kayee sow thay yeh bey yaaro madadgaar Barchi kabhi padthi thi, kabhi padti thi talwaar Andooh pa andooh thay azaar pe azaar Kis yaas sey ek ek ka muh takthay thay har baar Baazu ko sitamgar jo baandhey thay rasan sey Fuwwaara-e-khoon chut-tha tha har zakhm badan sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 81 Alqissa lab-e-baam jo laaya unhein saffaak Tarr aansuoun sey hogaya Muslim ka rukhey paak Faryaad suey Kaaba yeh ki baa dil-e-gham naak Roohi ba fidak aye pisar-e-sayede loulaakh Karta hai safar khalq sey ghamqaar tumhaara moukhoof hai ab hashr pa deedaar tumhaara

Farmaakay yeh gardanh taraf-e-qibla jhukaayi Shamsheer jafaakaar ney chamkaa kay utthaayi Awaaz yeh maqdooma-e-kounain ki aayi Marthaa hai haraawal meray bachchey ka duhaayi is zulm sey baaz aa jo khuda ka tujhey darr hai Zaalim sar-e-Muslim pa meray haath sipar hai

Meray liye kam hashr ke din sey yeh nahin din Turbath sey main niklee hoon liye laasha-e-Mohsin Mazloom ko tu qatl tho kartha hai woh leikin Bin baap ke hojaayengay bachchey kayee kamsin Khoon sar pay na ley chod dey awaara watan ko Kar raand na Abbas-e-dilaawar ki bahen ko

Zehra ney kayee baar tadap kar yeh pukaara Kya dil tha ke muthlaq na dara woh sitamaara Zaalim ney kayee zarb may sar tanh sey uthaara Phat-tha hai jigar ab nahin goyaee ka yaara likha hai chalaa leikay jo qaatil sar-e-Muslim Kotthey kay taleh pheinkh diya paikar-e-Muslim

*****

82 Marsia Salaam Marsia Nauha Muslim par layinon ki chadhai hae sahar se Tov-aa pa qayamat ghazab aai hae sahar se Aur ek tan-e-tanha se ladaai hae sehar se Dum lene ki fursat nahin paayi hae sehar se mazloom peh ek nargha-e afwaje jafa hae Yaan daire mein nuqta-e anwaare Khuda hae

Likha hae navee raat thi Zilhijh ki basdh aah Muslim ne kafan dho ke muattar kiya naagah Sar sajde mein lab zikr mein aur dil soo-e Allah Jab aati thi tau-aa toh yeh kehta tha woh zeejah Firdaus mein qanjar ke tal-e deedh karenge Kal Arfe ko qurbani ki hum eid karenge

Al qissa sehar ko hui aada ki chadhai Tou-aa ka makaan ghir gaya aafat nahin aayi Chillati thi Tou-aa ke duhaai hae duhaai Kyon karte hain Hyder ke bhatije se ladaai Kyon ladne ko sab aaye ho yeh kisse lada hae Bechara mere hujre mein faaqe se pada hae

Alqissa baraamadh hua woh nayabe Shabbir Baadal ki tarah chagaye sab zaalimo bay peer Hathon mein tuli barchiyan pehloo se mili teer Padne lagi mazloom peh shamsheer peh shamsheer Deewar pah amboh tha aur baam ke oopar Balwa tha ajab Muslim-e nakaam ke oopar

Salaam Marsia Nauha Marsia 83 Ek phainkta tha choab ko aatish se jalake Muslim peh girata tha koi sangh utha ke Yaan walwale mein naare thay ya shere Khuda ke Deewar hata detey thay ghode ko badhake Ja padta tha jab haath kamar bandh adoo par Ghode se wahin phenkte thay baam ke oopar

Nagah lab-o dandaan pah laga sange jafakaar Qam ho gaye aur moonh se lahu dala kayi baar Par dabdaba yeh tha ke na paas aate thay kuffaar Aqir ko dagha ki yeh pukaare woh sitamgaar Phir ladna zara pooch lo bhai ki qabar ko Woh naqa sawaar aata hae Kaabe se idhar ko

Muddat se suna tha jo na haale shahe waala Yeh sunte hi besaqta talwar ko roka Bas moonh ko phirate hi ajal ne kiya mujhra Barchi toh kalejey mein thi barchi mein kaleja moonh su-e Najaf karke kaha apne chacha se mazloom bhatije ko tere mara dagha se

Himraan ke farzand se hakim hua goya Ab der na kar baam pah Muslim ko tu leja Latka dey dar-e Koofe mein sar kaat ke iska Aur baam se ba-laae zameen phenkde laasha haan baandh kar phir laash ke paoun mein rasan ko Tashheer karo Muslim-e awara watan ko

84 Marsia Salaam Marsia Nauha Zilhijj ki naveen Arfe ka din qatl ka saamaan Par eid yeh ho aap pah hota hoon mein qurbaan Shehzadoun ka aur shah ka Allah nigehbaan Karta hoon Ruqayya ki sifaarish magar is aan Kud kud ke mere gham mein na dum uska nikal jaye sadqe mein Sakina ke Ruqayya meri pal jaye

Kaabe se us roz rawana huve thay shah Muslim toh labe gore thay Shabbir sare raah Jibreel ne Koofe ke zameen se kaha nagaah Haan hukm Khuda ho toh bulandh itna hi wallah muslim shahe mazloom ki tasweer ko dekhe shabbir useh dekhe woh Shabbir ko dekhe

Koofe ki taraf Shah ne chehre ko phiraya Saydaniyon ne mehmiloun se parda uthaya Allah ne Muslim ka jamaal unko dikhaya Baitha hua talwar ke neeche nazar aaya Baaham thi nazaaron mein sada haye aqi ki Yaan Fatema rothi thi wahan rooh Ali ki

Chehron peh tamanche harame sheh ne lagaaye Milne ke liye haath Ruqayya ne badhaye Chillai ke lo amma woh baba nazar aaye Sab kehte thay baba ne wahan shehar basaaye na farsh hae na saaya-e deewar ke neeche Baba toh mere baithe hain talwar ke neeche

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 85 Shahadath Hazrath Pisraan-e-Muslim

Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye Doobe hue doh chand lahu mein nazar aaye Gul padgaya Muslim ke yeh laqte jigar aaye Gurbat zada-o bey watan-o bay pidar aae shamsheere sitam chal gayi un nauhagaroun par Kya bekasi-o yaas barasti hae saroun par

Haakim se yeh tab kehne laga haaris-e badhkaam Sar bachhoun ke laya hoon miley qillat-o inaam Pehchaanle Muslim ke pisar hain yahi gulfaam Yeh woh hain jo Zindaan se bhaage thay sare shaam main dhoondta phirta tha na haath aate they dono Paate thay jidhar raah nikal jaate thay dono

Haakim ne kaha tu ne kahan phir inhe paaya Tareekiye shab mein nazar aata nahin saaya Woh jodh ke haathoun ko suqan lab peh yeh laaya Zowja ne meri tha inhe hujre mein chupaaya mein kehta tha dil mein ke kahan jaake chupe hain iski na qabar thi mere ghar aake chupe hain

Az bas ke thaka tha mujhe neend aagayi us dum Kya dekhta hoon aalame roya mein basadh gham Ek hujre mein do tifl nazar aate hain baham Sar peet ke kehte hain woh ba deedaye purgham aafat mein phanse hum dare zindaan se nikal ke maloom hua padh gaye phande mein ajal ke

86 Marsia Salaam Marsia Nauha Chillaye jo woh haye pidar kehke dilafgaar Tha neend mein ya aankh meri khul gayi ek baar Khush hogaya mein taalaye qifta huve bedaar Bistar se utha haath mein kheinche huve talwaar ek hujre mein Muslim ke woh pyaare nazar aaye Bala-e zameen arsh ke taare nazar aaye

Jakda jab inhe maine toh karte thay yeh faryaad Mehmaan tere ghar aaye hain hum bekaso nashaad Bin baap ke hain hum pah taras kha sitam eejaad Le minnatein karte hain teri chod de jallaadh Kar rahem ke masoom hain dukh paaye hain zaalim hum chupne ko daaman mein tere aaye hain zaalim

Maine kaha tum dono ke baba ka hae kya naam Rokar kaha kehte hain unhein Muslim-e nakaam Bejurm-o-qata unke gale par chali sumsaam Hum jab se chute baap se hum ko nahin aaraam Dehshat se teri seene mein dil hilte hain zaalim ab dheeli rasan karke gale chilte hain zaalim

Yeh sunte he masoomon par ghussa mujhe aaya Hujre se inhein khenchte daalanh mein laya In dono ne jo zulm na dekha tha dikhaya Mujrim ki tarah baandh diya rahem na khaya Bahar unhein le aaya jo zulfoun ko pakad kar istada kiya choab se rassi mein jakad kar

Salaam Marsia Nauha Marsia 87 Samjha na woh hargiz na mera dhyan mein laayi Jhunjhla ke usey teghe sitam maine lagaayi Ek vaar mein saa-adh se giri kat ke kalaai Chilla ke lagi dene payambar ki duhaai hae hae mere aqa meri imdad ko pahuncho ae shahe garibaan meri faryaad ko pahuncho

Jab maar chuko usko toh masoomon ko kheincha Pakde hue zulfein unhe laya lab-e darya Rokar kaha bachoun ne hamein qatl na karna Marega jo hum ko toh tere kya haath lagega Bekas hain musafir hain aur awara watan hain Yeh kya hae saza kum ke giraftar-e mehan hain

Kar reham sitamgaar gharibi pah hamari Devega sila iska tujhe Qaliqe bari Le ankh na dikhla nahin ab karne ke zaari Chal kar sare bazar hamein bechde naari Bach jayenge hum qilat-o-zar payega zaalim Gar qatl kiya hum toh pachtaega zaalim

Yeh sun ke badha mai joonhi khenche huve talwaar Pehloo mein biradar ke biradar gira ek baar Main chati pah ek tifl ki akhir hua aswaaar Jab halq pah bacche ki rakha qanjar-e khoonqar ek hashr bapa hogaya qanjar ke chale par Bhai ne gala rakhdiya bhai ke gale par

*****

88 Marsia Salaam Marsia Nauha Pardes mein Muslim ke yateemoun pa jafaa hai Dariya pa paye qatl adoo lekay chala hai Chota toh badey bhayee ka muh dekh rahaa hai Zorr usko madad ka nahin mashghool-e-buka hai Bey rahem ke khaabu mai hain doh naazoun ke paaley har soo nigraan hain ke koyee aake bachaaley

Chotey ko badaa bhayee hai badd bad ke bachaatha Har baar hai musaff ki tarha beech mei aatha Roh detha hai kuch kahney ka moukha nahin paatha Bey saakhta ek baat zabaan par hai yeh laatha sun haal ghareeboun ka khuda ke liye dum lay ab hum teray ghar mein kabhi aayein toh qasam lay

Kuch ghar mai teray chaen nahin paaya hai aisaa Thoda hai faqath paani sey faaqa kayee din ka Khud aaye nahin kee teri zouja ne tamanna Hujreh mai namaazein hain padi aur kiya kya hum bachchey hain tu apni buzurgi par amal kar Taqseer jo kuch hum sey huvi ho woh bahal kar

Yeh jurm hai bin poochey jo aaye hain teray ghar Hujre mein rahey shab ko bhi bedaar baraabar Kurtey phatay gesu khinchi saili lagi hum par Takleef bahut dey chuka ab chodd sitamgar Jungle mein kahin bhaitt ke hum royeinge zaalim muh karke teray ghar ko na ab soyeinge zaalim

Salaam Marsia Nauha Marsia 89 Suntha na tha mazloomoun ki ek baat sitamgar Deithay thay nida zauja-e-haaris ko yeh baddkar Yeh jaanthay tho hum kabhi aathay na teray ghar Mehmaanoun ko apney tu bachaati nahin maadar Chuddwaadey ke pakkdey huvey zulfoun ko adoo hai amma nahin baba nahin jo kuch hai so tu hai

Baaloun ko bikheirey huvey woh momina thi saath Mazloomoun ko zaalim sey chudaati thi woh khushzaath Kehti thi Khuda ke liye kya karta hai bazzaath Geh paaoon pa sar rakhti thi geh baandti thi haath Bas bas ke zameen ab toh hili jaati hai zaalim Zehra mujhey sar nangay nazar aati hai zaalim

Zaalim ney tahey teigh kiya zaujaa ko uss aahn Ya Fatima kehkar huvi Zehra pa woh qurbaan Dariya pa adoo laaya unhey pakdey gareybaan Di teigh ghulaam-e-habshee ko wahan uriyaan Ghussey sey kaha donou ko unglee sey dikhaakar aan kaatlay sar unkay kinaaray pay tu jaakar

Talwaar ko chamkaa ke badaa woh habshee aah Yeh tegh taleh sar ko jhukaakar huvey humraah Likhaa hai ke tha woh habashee mard haq aagaah Raastey mai khitaab us sey kiya donou ney naagaah hum shakl-e-Bilaal-e-shahey laulaak ka tu hai sach kehkay payambar ka mohib hai ke adoo hai .

90 Marsia Salaam Marsia Nauha Farzand ko di haaris-e-maloon ney talwaar Aur bola ke sar kaatlay in donou ka ek baar Woh bola ke mujhsey yeh nahi hoyega zinhaar Yeh tuhi hai badhbaqth siyaaroo woh jafaakaar haaris tu pidar kiska shaqi-e-azali hai maa Fatima hai mominoun ki baap Ali hai

Tu core hai zaalim nazar aaye tujhey kyonkar Lay dekh Nabi rothay hain darya pa khuley sar Yeh sunke uttha haaris-e-maloon-o-sitamgar Zaalim ney kaha mujhko nahin khauff-e-payambar ek teigh taleh donou baraadar ko bitthaakar sar kaata badey bhaayi ka chotay ko dikhaakar

Sar paas rakhaa laash ko dariya mai bahaaya Bhaayi ke galey ka jo lahoo khaak pey paaya Ulfath sey baraadar ka lahoo josh mai aaya Tabh joddkay haath apney yeh qaatil ko sunaaya Pouchoon yeh lahoo kurtay sey talwaar jhukaadey loutoon badey bhaayi ke lahoo may jo rizaadey

Woh bola ke ho shouq sey ho ghalthaan mujhey kya darr Bhaayi ke lahoo mai woh laga loutney girkar Kehtha tha badey bhaayi kahaan dhoondey baraadar Tum tho abhi bhaitey huvey thay meray baraadar Kisney hi naseeb aisey ulatt-thay huvey dekhaa Bhaayi ney galaa bhaayi ka katt-thay huvey dekhaa

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 91 Waarid-e-Karbala (2nd Moharram)

Kis beemar ne qath apne maseeha ko likha Haal beemariyon ka beti ne baba ko likha Jo jo armaan tha dil mein shahe wala ko likha Aur salam apna phoopi sani-e Zehra ko likha Dil mein qush thi ke mera qath jo pahunch jayega hae yaqeen ab koi lene ke liye ayega

Qath mein alqaab yeh bekas ne kiya tha marqoom Chahne waale pidar mere imam-e mazloom Raat din rothi padi rahti hoon ab toh maghmoom Aap toh bhool gaye qair yeh mera maqsoom na gila tumse hae na koi shikayath baba haan mubarak ho Sakina se mohabath baba

Qair tum ko na sahi mujh ko hae tum se ulfath Kisi soorat mujhe dikhlao tum apni soorath Jaanti hoon ke Sakina pah bahut hae shafqath Achha ae baba bahen ki mein karoongi qidmath mujhko bulwa ke wahan mera bhi dilshaad karo lo kaneezi mein Sakina ki mujhe yaad karo

Gar nahin mujh ko bulate ho toh aao baba Showq se apni Sakina ko bhi lao baba Usko seeney pah sulate ho sulao baba Hum ko rulwate ho toh qair rulao baba ranj sehti hui duniya se guzar jaoongi aap aaye nahin ek roz mein mar jaoongi

92 Marsia Salaam Marsia Nauha Arzoo hae ke kisi taur yahaan aajaye Aap ki jaan se door aah jo hum marjaein Apne hathon se kafan aap mujhe pehnae Aur takleef lahad tak bhi zara farmae Bas zyaada na sawari yahan tehraei-ga Dafn karte he mujhe aap chale jaye-ega

Maa ko marqoom tha ae ma-dare farqunda siyar Saqth baba ki tarah kar liya tum ne bhi jigar Aas bachne ki nahin leejiye ab jald qabar Varna beemar ka ab hota hae duniya se safar nahin umeed ke bach jaye yeh muztar amma Doodh ab baqsh doh beemar ko aakar amma

Tha raqam hazrat-e Zainab ko phoopi nekh qisal Tumko bhaiyya Ali Akbar se mohabbat hae kamal Hai har dum mujhe rah rahke ab aata hae khayal Ke mere bhai pah bhaari hae yeh attharwan saal haan tasadduq ke liye der na farmaiyega sadqa hone ke liye bhai pah bulwaiega

Tha Alamdar ko tehreer ke Abbas chacha Door iftoadah bhatiji se huve tum bhi qafa Sunte hain aapki har baat ko mere baba Mujhko bulwaiye ya laiye unke main fida Choomungi unke qadam tumko duaein doongi Unki bhi aur tumhari bhi balaein loongi

Salaam Marsia Nauha Marsia 93 Likha Akbar ko ke ae baap ke pyare Akbar Aur phoopijan ke bhi raaj dulare Akbar Mere baba ki zaeefi ke sahare Akbar Hai ye beemar behen gor kinare Akbar Waada le jaane ka tha dekhiye kab aate hain aap toh aate nahin qalq se hum jaate hain

Tha qitaab Asghare nadaan se ke ae rashke qamar Ghutniyon bhi na chale hogaya dar pesh safar Mujhe har dum tera rehta hae qayal aatt pehar Sothey ho jhoole mein ya jaagte ho aey Asghar neend aaram se aur chaen se aati hogi Jab Sakina tere jhoole ko jhulati hogi

Yaad aate hain tumhare woh jhandooley mujhe baal Sadhosi saal salamat raho ae mere laal Tumko beemar behan ka nahin maloom ahwaal Maut nazdeek hae aur zoaf-o naqahath hae kamaal main jo marjaon kahin bhool na jana Asghar Ghutniyon chalte hue qabr pah aana Asghar

Yeh na tha ilm usey kat gaya Sarwar ka gala Qasim-o Akbar-o Abbas hue Shah pa fida Teer khakar Ali Asghar bhi gaye suey baqa Baqi ek bhai tha Sajjad sow woh qaid hua ma phoopi behne luti qaime bhi taraaj hue ek chadar ko haram shah ke mohtaaj hue

*****

94 Marsia Salaam Marsia Nauha Aye mominou Hussain sey maqtal qareeb hai

Aakhar hai umr manzile awwal qareeb hai Shahr-e-madina door hai jungle qareeb hai Zehra ka chaand chupta hai baadal qareeb hai lenay ke waastey malakul mauth aatay hain marqad ko apne paaoun sey Shabbeer jaatay hain .

Al qissa subah manzil aakhir ayaan huvi lekin yeh subah sibt-e-nabi ko kahan huvi Jis jaa sawari rukh kay na aagey ravaan huvi Hairaan sipaha qasr-o-kounou makaan huvi Chey ghode y badhlay dosh-e-nabi ke sawaarney lekin qhadam badd haaya na ek raahwaarney

Jumbish jo markaboun may na paayi Hussain ney Ek musht-e- khaak jhuk ke uttayi Hussain ney Khud soonghi aur bahein ko soonghayi Hussain ney Humsheer ki suni yeh duhaayi Hussain ney hai hai yeh khaaqh pheinko meri jaan jaati hai Bhaiyya tumhaare khoon ki bu issay aati hai

Baashindoun ko wahaan ke yeh Moula ney di nida Naam is zameen ke jitne ho lo turn juda juda Woh bolay aapko ho mubaarak har ek balaa Yeh nainawaa hai maariya hai aur karbala maabood hai yeh khaleel ka gumbad maseeh ka sheh bolay ab yeh hoyegaa madhfan zabeeh ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 95 Abbas ko pukaaray na aagey Alam badd-haao Manzil yehi hai chhauni pardesiyoun ki chhaao Humshakl-e-Mustafa ko nida’dee baddhey na jaao Beta qanaathein ghero saraachey yahin lagaao Ghurray ko toh huva hai hamaara safar tamaam Dasveen ko hoga Fatima Zehra ka ghar tamaam

Masnadh pay yaan bittah kay behan ko shahey huda Kursi bichaa ke bhaitey khareeb-e-haram saraa Thay dast bastha gird jawaanaaney mailaqa Lay lay ke nazrain aaye zameen daar-e-karbala istaada farth gham sey jo Shabbir hogaye nazroun pay haath rakh kay baghal geer ho gaye

Bitt laakay pehluoun may inhey yeh kiya bayaan Aye Karbaliyo mai tumhaara hoon mehmaan Zaalim mujhey sataathay hain jaata hoon mai jahaan Beicho jo yeh zameen toh chann din rahoon yahaan rehnay sey meray sab yahaan aaraam payengay Khaak-e- shifa tumhaari zameen ko banaayengay

Deenar deykay saatt hazaar insey yeh kahaa Baqshi tumhey zameen hibaa mainey kardiya Shabbeer kay maamilay par sab ney ro diya likhney lagaa qabaala zameen daar-e-Karbala Ghul padd gaya Hussain watan ko na jaayengay lo moul-li zameen yaheen basthi basanyengay

96 Marsia Salaam Marsia Nauha Markhoom ho rahaa tha qabaala kay naagahaan Qaimey se ek zann-e-arbiyaa huvi ayaan Sarthaa khadam libaas mai saara badan neihaan Par ispay yeh bhi hayaa say laraztey thay istoukhaan Betaab hokay ulfathay Akbar sey aayi thi raavi ne yeh likha hai woh Zehra ki jaayi thi

Leykar balaayein bhaayi ke kuch kaan may kaha Aur jaldi youn phiri kay na saaya nazar pada Kursi sey yaan tadap kay giray shaahey Karbala Abbas nay uttaakay kaha haaye kya huva moula batha qasam tujhe sheer-e-batool ki Kya keh gayee nawaasi janabe Rasool ki

Sheh bolay aah mujhsey yeh Zainab ka tha kalaam Bhaiyya qabaalay mai meray Akbar ka hovey naam Yaaney ke iski milk may ho yeh zameen tamaam Abbas jaavo kehdo kay majboor hai Imaam attaara saal kay yeh zamaanay se jaayenge ek qabr ki jaghay Ali Akbar bhi paayenge

Abbas khaimay may gaye denay ko yeh payaam Zainab ne dekhte hi inhey yeh kiya kalaam Kyon bhaayi meri baat pay raazi huvay Anaam Likhaa gaya qabaalay may Akbar ka meray naam Dulha banaoongi main dulhan biyah laaoongi akbar ke naam ki yahaan basthi basaoongi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 97 Shahadath Hazrat-e-Hur (a.s.)

Run mein jab Sheh ki taraf sey Hur-e-deen daar aaya Kis bashashath sey uddaataa huva rehwaar aaya Ghul huva Sayyed-e-Mazloom ka ghamkhwaar aaya Jaanisaar-e-khalafey Haidar-e-Karrar aaya Tathqhey noor sarey raah nazar aata hai Jalwaa-e-Qudrath-e-Allah nazar aata hai

Yeh sukhan sunkay pukaara pisar-e-Saad-e-shareer Haan tarafdaarey Shaheydeen pey chaley naiza-o-teer Lekay harboun ko baddhaa fouj ka amboh-e-kaseer Fateha paddkay jawaan mard ney kheinchi shamsheer hur ka muh surkh huva fouj-e-sitam zard huvi shola-e-teigh sey bijlee ki chamak gard huvi

Badd kay farmaatey tha Abbas zahey izzat-o-jaah Baarek Allah ki deitha tha sadaa dilbar-e-Shaah Kehtey thay Ibn-e-Hassan waah Hur-e-Ghaazi waah Shah har zarb pey farmaatey thay Mashallah apni jaanbaazi ka ghaazi jo silaa paata tha muskuraataa huva tasleem ko jhuk jaata tha

Haif jhukney mein layeenon ney jo fursath paayi Saamna chodd kay sab fouj aqab sey aayi Laakh khoon reiz idhar aur udhar tanhaayi Baag ghodey ki phiraata tha kay barchi khaayi aagaya mout kay panjey mein na kuch deyr lagi Farqh per gurz lagaa dosh pey shamsheer lagi

98 Marsia Salaam Marsia Nauha Seena ghurbaal huva teer chaley aada kay Rakh diya Sher ney kharbooz pey sar nyodaakey Ali Akber ney yeh Hazrat sey kaha chillaakay Gar ho irshaad toh mehmaan ko bachaaoon jaakay Khaadim-e-Hazrat-e-Zehra-o-Ali girtaa hai Khaak par ab woh Sayeed-e-azali girtaa hai

Shah roney lagey yeh suntey hi mehmaan ki khabar Hogayi aansuon sey reesh-e-mubarak sab tarr Ali Akbar sey kaha tum abhi tehro dilbar Hur ki imdaad ko hum jaayeingey aye noor-e-nazar Kis sey is waqt kahoon mein jo khalaq mujh per hai laash utthaaunga kay mehmaan ka haq mujh per hai

Yeh suqhan kehkay chaley run ko janaab-e-Shabbir Waanh giraa khaak pa ghodey sey Hur-e-ba’touqeer Dekh kar Shaah ko aatey huvey bhaagey bey peer Pahunchey laashey pa Imam-e-dojahaan waqt-e-akheer Chaman-e-hasthi mehmaan ko ujaddtey dekha Khaak per aiddiyaan zakhmi ko ragaddtey dekha

Gir kay laashey kay baraabar yeh pukarey Sarwar Meray mehmaan-o-madadgaar-o-moyeen-o-yawar Gurz kya tujhko lagaa toott gayi meri kamar Gir padey ghodey sey aur aah na ki hum ko khabar Dost kay hujr mein kab dost ko chain aaya hai Kholdey chashm ko bhaayi kay Husain aaya hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 99 Neem waah chashm sey Hur ney ruqh-e-Moula dekha Zeiray sar zaanu-e-Shabbir ka takiyaa dekha Muskuraakar taraf-e-aalam-e-baala dekha Sheh ney farmaaya kay aye Hur-e-jaree kya dekha arz ki husn-e-ruqh-e-hoor nazar aata hai Farsh sey arsh talak noor nazar aata hai

Mujhko leinay chaley aatey hain farishtey ya Shaah Malak-ul-mout bhi kartaa hai mohabbat ki nigaah Khuld sey Sher-e-Khuda nikley hain Allah Allah Lo baraamadh huvey Shabbar bhi pidar kay humraah nangey sar Ahmad-e-Mukhtaar ki pyaari aayi Dekhiyeh aapkay Naana ki sawaari aayi

Kehkay yeh godh mein Shabbir kay li angddaayi Aaya maathey pa araqh chehrey pey zardi chhaayi Sheh ney farmaaya humein chodd chaley kyun bhaayi Chal basey Hur-e-jaree phir na kuch aawaaz aayi Taair-e-rooh ney parwaaz ki tubaa ki taraf Putliyaan rehgayeen phir kar Shahey waala ki taraf

Rokay Akbar ney kaha Hur-e-dilawar hai hai Aye madadgaare jigar bandey Payambar hai hai Khoon mein sab tar hai tera roohey munawar hai hai Tashna-o-bekas-o-mazloom kay yaawar hai hai idhar aana tha kay teri ajal aayi bhaayi Ghar mein sadaat kay dawat bhi na khaayi bhaayi

*****

100 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Hazrat Aun-o-Mohammad (a.s.)

Dozakh say jab aazaad kiya Hur ko khuda nay Khulwadiye firdaus kay dar uqdaa kusha nay Zaanu pay rakha sar ko Imaam-e-dosaraa nay Aala kiya adna ko buzurghoun ki dua nay sab jiskay talabgaar thay jannat may woh durr tha hooraan-e-jinaa gird theen aur beech may Hur tha

Yeh zikr abhi tha kay sadaa ronay ki aayi Darwaazey say Akbar nay yeh awaaz sunaayi Lut gayee hai hai phuphi amma ki kamaayi Maarey gaye doh saath ke khelay huve bhaayi rothey huvey Abbas bhi humrah gaye hain Khud laashey utthaaney kay liye Shah gaye hain

Fizza ki sadaa aayi kay aye peetnay waalo Sab milkey aray meri khoozaadi ko sambhaalo Rothi hai kidhar baanu-e-aalam ko bulaalo Lut gaya ghar khaak-e-aza baaloun pay daalo maqtal say Hussain ibne Ali laathay hain laashey saidaaniyou devdi pay chalo aatay hain laashay

Laashoun ko shahey deen safay matam pay jo laaye Sab ahley haram peetthay rothay huve aaye Zainab nay na faryaad ki na ashk bahaaye Bhaitti rahee sar zaanu-e-aqdas pa jhukaaye lab khushk thay moonh faq tha Mijha ashkoun say tarr thi na apni na bhaayi ki na laashoun ki khabar thi

Salaam Marsia Nauha Marsia 101 Baanu nay rakhey zaanu-e-Zainab pay sar unkay Jo bibiyan thi aagay muh ko jigar unkay Zainab nay jo ki jhuk kay rukhoun par nazar unkay Dikhlaayi diye chaand say muh khoon may tarr unkay rukhsaar bhi majrooh thay abrooh bhi katay thay shaanay bhi juda chaand say baazu bhi katay tha

Taarif Imaam-e-doh saraa kartay hain utto Abbas-e-Alamdaar sanaa kartay hain utto Hum shakl-e-nabi madhay vegha kartay hain utto Sab loug na uttnay ka gilaa kartay hain utto aaqa say museebath may juda ho nahin jaatey sadqey gayee youn jung ke din so nahin jaatey

Pyaaro turn akelay kabhi nikley nahin ghar sey Rasthay sey na waaqif na saubaath-e-safar sey Raahein-woh-kay khaali nahin jo khouf-o-qatar sey Jo khaasa-e-baari hai woh tharraathay hain darr sey is khouff say raathoun ko na sothay thay Mohammed Jab maut ka zikr aatha tha rothay thay Mohammed

Hai hai wohi rastha tumhey darpeish hai pyaaro Turn mard ho jarraar ho himmath ko na haaro Ab aankhon say chhup jaaogay aye arsh kay taaro Bachho mujhe manzil ka patha deikay sidhaaro Veeraaney may ya gulshan-e-hasti may rahogay Turn aaj ki shab kounsi basthi may rahogay

102 Marsia Salaam Marsia Nauha Ab zeesth sey amma ka bhi dil sayr hai pyaaro Jeethi hoon mai qismath ka meri pheir hai pyaaro Kya jaanay meri maut may kya dair hai pyaaro Turn mar gaye duniya mujhe andher hai pyaaro hai kaunsi daulath jisey khonay ko rahi hoon maaloom nahin ab kisey ronay ko rahi hoon

Taareeki may waari tumhey neend aayegi kyonkar Shab hogi toh bachchoun ko yeh maa paayegi kyonkar Maadar dil-e-betaab ko samjhayegi kyonkar Waanh takh meray ronay ki sadaa jaayegi kyon kar nikloon jo tajas may toh beyjaa nahin waari maa hoon mera patthar ka kalejaa nahin waari

Maqtal may khiyaam aaj kahaan hoga batha doh Maa sadqey muqaam aaj kahaan hoga batha doh Din turn ko tamaam aaj kahaan hoga batha doh Bisthar sar-e-shaam aaj kahaan hoga batha doh hum waar zamee shab kay bichhounay ko milegi Kaisi hai jaghey jo tumhey sonay ko milegi

Tukday tha kaleijaa yeh bayaan dard ka sunkar Ek hashr tha saidaaniyaan jab peetthi thee sar Baano nay kaha qibla-e-kounain say utt kar Marjaayegi maa laashoun ko lejaaiyeh baahar Farzandoun ka gham khaaliq-e-aalam na dikhaaye allah kisi maa ko yeh maatam na dikhaaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 103 Jab Zainabe ghareeb ke run mein pisar lade Tanha lade yeh aah woh sab ahle shar lade Kis khoobsurthi se Ali ke jigar lade Ek shor padgaya ke ghazab shere nar lade Virsa unhein mila hae janabe Ameer ka Yeh zor sab hae sher ke beti ke sheer ka

Zainab jo nangay paaoun khadi thi qareebe dar Abbas jaakey dete thay yeh dambadam qabar Roen na ab huzoor muhim ho chuki hae sar Lakhon se lad rahe hain ghazab aapke pisar Zor aaj phir dikhadiya qaibar kushai ka ab toh unhi ke haath hae maidaan ladai ka

Aansoo baha ke binte Ali ne kaha ke haan Dey aur himmatein inhein qallaqe inso jaan Bachhe kahan hazaaron ka woh mareka kahaan Kuch ho inhe falak ne na honay diya jawaan Bekas hoon aur is pah mujhe aitamad hae Qaliq woh dey ke jo mere dil ki muraad hae

Bhaiyya kuch apne betoun ka mujhko nahin khayaal Marjaye ladke ya ke ho taapoun se paayemaal Sadqe karoon hazaar jo aise ho naunehal Sab dowlatein lute pah bache Fatema ka laal aaye bahan pah woh jo bala un pah aai ho Duniya mein koi ho ke na ho mera bhai ho

104 Marsia Salaam Marsia Nauha Yeh zikr tha ke bhai ko hazrat ne di sada Abbas aao ghir gaye Zainab ke dilruba Dowde sada yeh sunte hi Abbas-e bawafa Asnae raah mein Ali Akbar ne yeh kaha Zinda rakha falak ne yeh aansoo bahane ko Chaliye huzoor jaate hain laashe uthane ko

Chillae rokay hazrat-e-Abbase naamwar Chota tamaam hogaya ya Shaahe bahrobar Hazrat pukare haath kaleje peh maar kar Hae hae bada bhi margaya veeran hua yeh ghar maa muntazar hae chaak garebaan kiye hue Kis moonh se jaoon qaime mein laashe liye hue

Kuch kuch abhi tha dum ke unhein le chale imam Ek laash ko toh aap liye thay shahe anaam Aur ek laash hazrate Abbas-e-nekh naam Qaima tha saamne ke biza-at hui tamaam Jeete na pahunche haaye ghazab qaima gah mein Dono sagheer mar gaye asnaye raah mein

Zainab ke dil ko hogayi waanh qud ba qud qabar Jaa baithi aap maatami saf par jhuka ke sar Laye Hussain dono ke laashe lahu mein tar Farmaya haaye lut gaya bekas behan ka ghar Doh qanjar ek baar kaleja pah chal gaye aaye thay tum se milne ko par dum nikal gaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 105 Shahadath Hazrath Ali Akbar (a.s.)

Run se jab khake sinaa Akbare zeeshaan aaye Maa ki qidmath mein koi aan ke mehmaan aaye Ghar mein laashe ko liye Shah-e-shaheedaan aaye Nauhagar qaak basad chaak garebaan aaye Di sada qatl huve Yousufe saani Bano mil gayi qaak mein Akbar ki jawaani Bano

Dekh ley aaqri deedar pisar marta hai Saamne ankhon ke yeh noore nazar marta hai Ab koi dum mein mera rashke qamar marta hai Moonh se bahar hai zubaan tashna jigar marta hai Dum hae seene mein ruka zaqmon se qoon jaari hae shehar Bano tera ghar lutne ki tayyari hae

Pahunchi qaime mein joh hazrat ki pur dard sada Muztarib hogaye naamoose rasoole doh sara Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiyya Fizza daudi su-e dar phenk kar sar par se rida Peet thi Zainabe baypar nikal aayi bahar Bano ghabrake khule sar nikal aayi bahar

Sheh ke kaandhe pah joh dekha Ali Akbar ko nidhaal Haath phaila ke yeh chillai ke hai hai mere laal Kya ghazab hogaya aye baadshahe nekh qisaal Raas aaya na mere bachhe ko atharwaan saal Tukdey teghon se badan hogaya saara hai hai Kaun tha jisne mere sher ko mara hai hai

106 Marsia Salaam Marsia Nauha Rokey Bano se yeh farmaane lage Sarware deen Sar na peetho abhi zinda hai mera maahejabeen Saans aathi hae pah har dum hae dum-e-baaz paseen Kooch inka bhi hai aur hum bhi hain marne ke qareen sub chutey ab na raha koi hamara Bano is jawan bete ke gham ne hamein maara Bano

Sunke maadar ki sada kholdiye deedaye num Haath utha kar kaha ro-o na mere sar ki qasam Paas aakar hamein chaati se lagalo is dum Run se aaye hain tumhari hi mulaqaat ko hum Phir yeh ghar Shah ke iqbaal se dekha hum ne Par tumhein aake ajab haal se dekha hum ne

Baal kyon bikhre hain kyon phenkdi sar par se rida Neel kyon seene pah hai kyon hai garebaan phata Qaak kyon moonh pah mali ho yeh pisar tum pah fida Shah duniya mein salaamat rahe yeh kya yeh kya lut gayi yeh na suqan moonh se nikalo amma main toh jeeta hoon kaleje ko sambhalo amma

Zaqmi honay ki mere kisne qabar pahunchayi Jhooth hai maine toh hargiz nahin barchi khaayi Aap tak bete ko taqdeer salaamat laayi Dekhey hazrat ke qadam tanh mein meri jaan aayi margh se pehley ho maatam yeh zaboon hai amma mere kapdoun pah toh Abbas ka khoon hai amma

Salaam Marsia Nauha Marsia 107 Boli Bano ke joh kehtey ho khuda yoonhi karey Ae mere laal yeh ma teri bala lekey marey Lao dho daaloon mein joh qoon mein kapdey hain bharey Chaand se haath hain phir kisliye chaati pah dharey mujh ko maloom huva qalq se jaatey ho tum mere roney ke liye zaqm chupatey ho tum

Bano sadme se na marjaye yeh darr hae beta Sab tere dil ki mere dil ko qabar hai beta Haye seena yeh tera khoon mein tar hai beta Phir yeh kya hai joh nahin zaqme jigar hai beta sansanatah hai jigar jaan chali jaati hai is lahu se toh mere doodh ki booh aati hai

Aarzu hai ke phale phoole mera naqle muraad Tum dulhan byaah ke laao mera ghar ho aabaad Dekh loon ankhon se apni main tumhari aulaad Phir main duniya se joh guzroon toh rahe rooh bhi shaad Daadi kehlaoongi rutbaah mera bartar hoga Tera farzand bhi humshakle payambar hoga

Aah ki sunke yeh Akbar ne basad ranjo malaal Dard chaati mein utha ghair huva aur bhi haal Dil mein yeh sonch ke roney laga woh nekh qisaal Hum safar kartey hain amma ko hai shaadi ka qayaal Barr mein hovega kafan qaak pah chehra hoga na dulhan hogi na aulad na sehra hoga

*****

108 Marsia Salaam Marsia Nauha Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka Safar jahaan sey karnaa jawaan betay ka Ghazab hai khoon may bharnaa jawaan betay ka Sitham hai jee sey guzarnaa jawaan betay ka shabaab tha ke shahey mashraqain sey chutey mohibbo peeto ke Akbar Hussain sey chutey

Khuda pidar ko na dikhlaaye marg-e-rahaat-e-jaan Kaleja zakhmi ho .jab dil ko phir kharaar kahaan Idhar to seena-e-Akbar se guzri nok-e- sinaa Lahoo udhar huva chashmey Imaam e-deen sey ravaan Tadap ke jaanib-e- gardhoo nigah ki sheh ney Zameen hilgayee ek aisi aah ki sheh ney

Pukaartey huve daudey meray shaheed pisar Meray jawaan meray mehroo meray sayeed pisar Meray Haseen meray Yousuf meray Rasheed pisar Qareeb ho kahin maidaan se ya bayeed pisar Pidar pey aaj nayee waaredaath hai beta Khabar nahin mujhe din hai ke raat hai beta

Kidhar gaye meray gul pairahan Ali Akbar Meray khaleeq meray kam sokhan Ali Akbar Jawaana rnarg-e-ghareebul watan Ali Akbar Ujaad kar gaye mera chaman Ali Akbar Bulaakey ghar se yahaan ashqiyaa ney loot liya Duhaayi hai ke mujhey karbala ney loot liya

Salaam Marsia Nauha Marsia 109 Pukaartey thay ke aye sheir phir pukaar mujhey Nahin bathaney ke laasha yeh nabakaar mujhey Teray firaaq mai hai zeesth naagawaar mujhey Sada sunadey mai sadqey phir ek baar mujhey Galey lagaalo ke seenaa hamaara jalta hai Kaleja muh sey koyi dum mai ab nikaltha hai

Pukaari devdi sey bano pisar mila ke nahin Bataao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahin Sitham ke abr may mera qamar mila ke nahin Ali ke laal woh aali gohar mila ke nahin shitaab laao meray mannatoun ke paaley ko Tumhee sey loongi main apney muraadoun waaley ko

Yeh zikr tha ke sadaa aayi door sey naagah Janab-e-qibla-o-kaaba ab aayieh lillah Huzoor haal sey betay ke kya naheen aagah Zabaan aeint gayi hai ghulam ki yaa shah Ukhad raha hai dum ab maut jaan lethi hai Pukarney ki bhi taaqath jawaab dethi hai

Sadaa yeh sunthey hi sultan-e-behrouber daudey Ye dard-e-dil tha ke thaamey huve jigar daudey Kabhi toh fouj pa manindey shair-e-nar daudey Kabhi idhar gaye rothay kabhi udhar daudey lutee huvi woh kamaayi basad talaash mili Zameen pey khoon may ghaltaan pisar ki laash mili

*****

110 Marsia Salaam Marsia Nauha Zaqmi sina se run mein jo sheh ka pisar hua Har simt se laeen har ek hamlawar hua Tar qoon mein marqae qairul bashar hua Aqir juda iqaab se woh sembar hua maqtal mein kya hujoom tha is noore ain par Parwane gir rahe they chirage Hussain par

Girna tha bas ke sar pa laga gurz hai sitam Yoon jhuk gaye ke hote hain sajde main jaise qam Rakhdi gale pah sheesh ne shamsheere tez dum Talwar ek padi ke hui phasliyan qalam Ghul tha karo na rahem tan-e paash paash par Dowda doh ghode Akbare mehroo ki laash par

Hazrat khade thay qaime ki pakde hue tanaab Sun kar yeh ghul rahi na dile naatawan ko taab Naagah aai run se sada ae falak janab Beta jahan se jata hae ab aayieh shitaab laashe pah zulm-o jor badh af-aal karte hain Ghodon se ahle keen hamein paamal karte hain

Sunkar yeh isteghasa farzande khush qisaal Sayyad ne aah ki ke hila arshe zuljalaal Khole Janabe Fatema ki betiyon ne baal Bano pukari qair toh hae ae Ali ke laal hae hae pisar se kaunsi maadar bichad gayi sahab batao kya meri basti ujad gayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 111 Naize se kiske laal ka zakhmi hua jigar Karte hain kiski laash ko paamal ahle shar Kehta hae kaun run mein tadap kar pidar pidar Ab ghar se mein nikalti hoon ya syeddul bashar Parda na mujhse kijiye sab jaanti hoon mein awaaz yeh usi ki hae pehchaanthi hoon mein

Bano ko qasmein deke chale shahe naamdar Woh pyaas aur woh dhoop ka sadma-o izteraab Dil tha ulat palat toh kaleja tha beqarar Uthte thay aur zameen pah girte thay baar baar Chillate thay shabihe payambar hum aate hain Ghabraiyo na ae Ali Akbar hum aate hain

Aaoon kidhar ko ae Ali Akbar jawab doh Chilla rahi hae dewdi par maadar jawaab doh Akbar baraae qaliqe Akbar jawab doh Beta jawab doh mere dilbar jawab doh Girte hain hum sawaab ka hathon se kaam lo Beta zaeef baap ke bazoo ko thaam lo

Laashe pisar ko dhoondhtey thay Shahe behrobar Sar peetne ki jah hai ke hanstey thay ahle shar Kehta tha shumr ae pisar Syed-ul-Bashar Kisko huzoor dhoondhtey hain margaya pisar Qud dhoondh lijeeye jasad-e paash paash ko Batlaaenge na hum Ali Akbar ki laash ko

112 Marsia Salaam Marsia Nauha Yeh sunke kheinchli Sheh wala ne zulfiqaar Chamki joh barq tegh toh bhaage sitam shiaar Sheh ko nazar pada Ali Akbar ka raahwaar Chillaye ae aqaab kidhar hae tera sawaar Dikhlaadey mujhko laash mere noore ain ki Kis dasht mein padi hae biza-ath Hussain ki

Ghode ne hinhina ke suey dasht ki nazar Yaane ke laash aapke pyaare ki hae idhar Jaata tha aagey aagey woh taazi bachashme tar Ghoday ke peeche jaatey thay hazrat barehna sar Jungle mein laashae pisar-e naujawaan mila Woh mehleqa mila pah magar neem jaan mila

Hichki ke saath kehtey hain wa karke chashme tar Aye jaane jism zaar mein ek dum zara tehar Aye mauth bewatan ki jawaani pah reham kar Aye dard tham zara ke phadaktah hae ab jigar Phir ek baar Syedde wala ko dekhloon mohlath bus itni dey ke main baba ko dekhloon

Dushman ko bhi na bete ka laasha Khuda dikhaaye Hazrath zameen pah girke pukaare ke haye haye Zinda rahe yeh peer jawaan yoon jahan se jaaye Aye laal teen roz ke faaqe mein zaqm khaaye shaayad jigar ke zaqm se tum beqaraar ho Zaqmi tumhari chaathi pah baba nisaar ho

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 113 Kisi ka khaana-e-ummid bey charaag na ho Jawaan betay ka dilko pidar kay daag na ho Hazaar baagh lutain par khizaan yeh baagh na ho Pisar kay gham sey pareshaan dil-o-dimaagh na ho Falak balaa ka Shahey Karbala pa toota hai musaaferi main baraabar ka laal choota hai

Woh laal jisko na pahoonchey koyi durr-e-shehvaar Waheed-e-asr shabaahath main Ahmad-e-Mukhtaar Hameisha misl-e-Ali rozadaar shab beydaar Shujaa-o-muttaqi-o-khush mizaaj gheerathdaar Yeh sab kamaal miley zeir-e-khaak ek din main Tamaam hogaye attaara saal kay sin main

Batool kehthi thi faryaad ya Ali faryaad Meri bahoo huvi barbaad ya Ali faryaad Bajaaye rahem hai beydaad ya Ali faryaad Khuda kay waasthay doh daad ya Ali faryaad Duhaayi Yousuf-e-aal-e-abaa ko maara hai Jawaan ko maara hai naakith Khuda ko maara hai

Likhaa hai waa abathaa ki joonhi sadaa aayi Hussain Imam kay chehrey pay murdhani chaayi Woh aah ki kay Zari-e-Rasool tharraayi Ravaana hogayi ashkoun kay saath beenaayi sawaar-e-doush-e-Payambar ki aas toot gayi inaan-e-sabr toh thaami lagaam choot gayi

114 Marsia Salaam Marsia Nauha Pukaarthay hain pisar ko pisar nahin aatha Jigar main dard hai Laqthay jigar nahin aatha Koyi rafeeq-e-Shahey behrobarr nahin aatha Tumhaarey bhaayi ko rasthaa nazar nahin aatha Pisar kay gham main khoozaada mera halaak huva Basaa basaaya ghar unsatt baras ka khaak huvaa

Yahaan toh Fizza yeh karthi thi dard ki taqreer Asaa-e-aah utthaa kar udhar chaley Shabbir Andheira saamney aankhoun kay aur dil tagheer Har ek baar yeh naara kay ya janab-e-Ameer Kabhi utthey kabhi Sultaan-e-Mashraqain girey likhaa hai yeh kay bahaathar jagaah Hussain girey

Qadam qadam pa ttaheirthay thay Shaahey tashnaa guloo Hawaa main soongthay thay apney laal ki khushboo Zameen pa bait kay gaahey bahaathay thay aansoo Talaash karthay thay haathoun sey laash ko harsoo Jo koyi poochtha tha kya Huzoor dhoondthay hain Toh rokay kehtay thay ankhoun ka noor dhoondtey hain

Qareeb-e-fouj jo Sultaan-e-behrobarr aaye Pukaarey hanskay adoo khair hai kidhar aaye Yeh koun margayaa jo aap nangay sar aaye Piyaadah dhoop main thaamey huvey jigar aaye Yeh koun chaand huvaa aaj door aankhoun sey Kay chaen dil sey gaya aur noor aankhoun sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 115 Kaha Hussain ney rokar tumhey nahin maaloom Hamaarey ghar main hai mehshar tumhey nahin maaloom Mitee Shabihey Payambar tumhey nahin maaloom Chutaa Hussain sey Akbar tumhey nahin maaloom rulaaney ko yeh Imam-e-Umam sey poochtay ho Churee phiraakay kaleijay pa humsey poochtay ho

Aye aankhein waalo mera noor-e-ain kisjaa hai Jawaano bolo meray dil ka chaen kisjaa hai Jawaan-e-faatahey badr-o-hunain kisjaa hai Zaeefo ainak-e-chashm-e-Hussain kisjaa hai Kaho Rasool ki tasveer ko kahaan khoyaa asaa-e-peeri-e-Shabbir ko kahaan khoyaa

Pukaara shimr kay koyi nahin bathaaney ka Badaa sawaab hai saadaath kay rulaaney ka Na zinda chodeingay bachcha bhi is gharaaney ka Iraadaa hai Ali Asghar kay khoon bahaaney ka Jo teer paar ho nanhey galay sey eid karein Tumhaari godh mai shashmaahey ko shaheed karein

*****

116 Marsia Salaam Marsia Nauha Dashtey balaa mein gumh Ali Akbar ki laash hai Farzand-e-Faatima ko pisar ki talaash hai Daagh-e-jigar ko naakhoon-e-gham ki kharaash hai Sangh-e-alam sey sheesha-e-dil paash paash hai Banu ko ghash hai Ahle-haram dard mandh hain hai hai pisar ki ghar mein sadaayein buland hain

Chillaathay hain kay baap kay pyaarey kidhar gaye Aey noor-e-chashm aankhon kay taarey kidhar gaye Aey meri zindagi kay sahaarey kidhar gaye Pahooncha kay mujhko gour kinaarey kidhar gaye andher hai agar na tumhein paayega pidar aawaaz dogay tum toh chalaa aayega pidar

Rootthey ho kis liye Ali Akbar jawaab do Sadqey ho baap aey meray dilbar jawaab do Aey meray hum Shabihey Payambar jawaab do Tum sey bichadd kay zeesth ho kyunkar jawaab do Jo raah hai tumhaari wohi apni raah hai laazim hai rahem baap ki haalat tabaah hai

Kis jaah pey tum paddey ho bathaao pidar nisaar Aawaaz hum ko apni sunaao pidar nisaar Hum gir paddey hain aa kay utthaao pidar nisaar Chhaati sey phir pidar ko lagaao pidar nisaar ruksath hai apney ghar ko zaraa dekh bhaal lo lagzish hai haath paoon mein Akbar sambhaal lo

Salaam Marsia Nauha Marsia 117 Kis sey mein puchoon kaun tumhaara pathaa bathaaye Yeh beykas-o-ghareeb musaafir kidhar ko jaaye Qismath mein meri tthokrein likkhi hai haaye haaye Is zindagi sey kaash Khuda humko bhi utthaaye andher hai kay goud kay paaloun sey chutt gaye manzil pa aakay qafilay waaloun sey chutt gaye

Ab haath bhi pakadd kay utthaatha nahin koyi Roney pa meray rahem bhi khaata nahin koyi Yousuf ki meri shakl dikhaata nahin koyi Beta tumhaari laash bathaatha nahin koyi haalat hamaari kaahey ko dekhi hai aap ney Tum ko khayaal hogaa khabar li na baap ney

Aey fouj-e-zulm Baano kay dilbar ko kya kiya Beykas ko tashnakaam ko beypar ko kya kiya Aey zaalimo Shabihey Payambar ko kya kiya Miltaa nahin meray Ali Akbar ko kya kiya lillaah do pataah kay bhattaktey hain raah mein shaayad giraa diya meray Yousf ko chaah mein

Chillati hai kay goudh ka paala kahaan gaya Aankhon ka noor ghar ka ujaalaa kahaan gaya Chashm-o-chiraagh-e-Syed-e-waalaa kahaan gaya Meraa woh lambey geysuoun waalaa kahan gaya Do betay kho kay paayaa tha is naunehaal ko Barchi sey kisney qatl kiya meray laal ko

*****

118 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Shehzaada-e-Qasim ibne Hasan (a.s.)

Zakhmi jo run may Qasim-e-gul pairahan hua Paidaa shahana jodey sey rang-e-kafan hua Bagh-e-jinah Rasool ko Baitul Huzzan hua Aur Fouj-e-keen may shaad har ek thegh-e-zann hua Ghul tha ke raundh dala hai lashkar ke baagh ko aan ghaziyo bujhado Hassan ke charaagh ko

Ghabraagaye yeh sun ke sadaa Sarwar-e-Anaam Abbas-e- naamvar sey yeh us dum kiya kalaam Lo bhaayi jung ho chuki qissa hua tamaam Aaya soovey yateem-e-Hassan maut ka payaam humshakl-e-Mustafa ko bulaalo pukaarkey maango dua saroun sey amaamey utaarkey .

Yeh kehkay qibla rooh huvey Sultaan-e-Kaainaath Dargah-e-Kibriya may dua ki utthakey haath Aye Khaaliq-e-zameeno-zamaa Rabbe paak zaath In zaalimoun ke haath sey Qasim ko dey najaath Tu haafizey jahaan hai Kareemur Raheem hai Ya Rab bachaa isey ke yeh bachchaa yateem hai

Nikla yeh sab ke mooh sey ke hai hai Hassan ke laal Zainab ney uttkey khol diye apney sar ke baal Seenay mai hil gaya dil-e-Banu yeh khush qisaal Chillayi maa guzar gaya kya mera nauneyhaal abid ka taph sey garm badhan sard ho gaya Qasim ke chotey bhaayi ka mooh zard ho gaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 119 Chillayi rokay zauja-e-Abbase naujawaan Ya Rab hai tu yateem-e-Hassan ka nigahbaan Sunkar yeh ghul dulhan ke bhi aansoo huvey ravaan Leykar balayein saas pukaari ke meri jaan Khaaliq kareyga rahem na aaho buka karo Dulha pa aah bani hai mai sadqey dua karo

Is isteraab may jo sunaa saas ka sukhan Zaanu sey sar uttakey huvi qibla rooh dulhan Aahistha ki yeh arz ke aye Rabbey zulmeinan Dushman pey fathey yaab ho laqthey dil-e-Hasan laddney gaye hai tashna dahan teri raah mai rakh meray ibney amm ko tu apni panaah mai

Ya Rab dulhan baney mujhey guzri na ek shab Dulha jo margaya toh mujhey kya kahengay sab Ab takh toh sharm sey na hilaaye thay mainey labb Par kya kahoon ke ab hai meri rooh par thaab shabbar ke aftaab ka waqt-e-ghuroob hai Dulha sey pehlay mujhko utthaley toh khoob hai

Sehray ke phool bhi abhi sookhey nahi hai aah Jo aagaya payaam rundaapey ka ya ilaah Yeh aqdh tha ke maut thi maatam tha yak e biyaah Baad iskey hoga khalq mai kyonkar mera nibaah Utt hoon jahaan sey dilbar-e-Shabbar ke saamney aurath ki maut khoob hai shouharr ke saamney

120 Marsia Salaam Marsia Nauha Ghash mai jhuka faras pe jo woh gheerath-e-qamar Maara kisiney farq pa ek gurz taanh kar Barchi lagi jo shees ki tukdey huvaa jigar Girthey thay asp sey ke kamar par lagaa tabarr Taarooq ki teigh khakey pukaarey Imaam ko Faryaad ya Hussain bachaalo ghulaam ko

Jhaptey jo Shah fauj paa chamkakey Zulfeqaar Bijli giri Yazeed ke lashkar pa ek baar Is ghaiz mein yameen sey jo aaye suvey isaar Bhaagey phira ke ghodoun ki baagoun ko sab sawaar Bhaaghard may khoon sey run ki zameen laal ho gayi Dulhaa ki laash ghodoun sey paamaal ho gayi

*****

Ae mominon judai hae dulha dulhan mein aaj Qillat kafan hae paikare Ibne Hassan mein aaj Hai shore alvida har ek mardo zan mein aaj Hai beqaraar rooh Hassan ki kafan mein aaj shaadi ki jah yeh naubate faryaado aah hai Dulha ki taqtgah bas ab qatl gah hai

Rotey thay dhadein maar ke naamoose shahe deen Aaya dulhan se milne ko Shabbar ka nazneen Rothi thi sar ko zano pah rakhe woh mahjabeen Sadme se hilgaya jigar-e-Qasim-e hazeen Dil thaam kar so-ey rukhey Kubra nigaah ki Yeh dard utha ke baith kar masnadh pah aah ki

Salaam Marsia Nauha Marsia 121 Rakh kar dulhan ke maathe par haath apna yoon kaha Sar ko uthao rothi ho kyon tum pah mein fida Sahab tumhare baap ne toh hum ko di raza Doh tum bhi izne jung ke narghe mein hae chacha aate hain teere zulm shahe khushqisaal par Wallah jaaye rahem hai ammu ke haal par

Ibne Hassan ne baaton mein khola bahut magar Qufle dahan haya thi na boli woh nauhagar Dulha ne jabke rakhdiya jhuk kar qadam par sar Pehloo mein dil tadap gaya phatne laga jigar Ghoonghat mein aftab sa moonh zard hogaya Kaanpi yeh sharm se ke badan sard ho gaya

Aakhir baha ke ashk yeh boli woh rashke mah Lutt-teh hain bachpaney mein kahen kya zuban se aah Choda jab aap ne toh hamara kahan nibah Qismat mein tha ke qaide sitam mein phire tabah Basti luta ke qabr ko aabad kijiye Joh aapki khushi hamein barbaad kijiye

Sahab tumhee qafa nahin laundi se is qadar Bezaar mauth bhi hae ke ab tak na li qabar Kya bus hamara qair sidharo karo safar Niklenge hum bhi ghar se koi dum mein nangay sar Chaale hamare sab se juda hae zamane mein Tum hongay qatlgaah mein hum qaid qane mein

122 Marsia Salaam Marsia Nauha Baba qareebe marg chacha aazim-e-safar Bhai gala katane pah baandhe huve kamar Jaldi tumhein ke pehle hameen hoyein khoon mein tar Dhoondhoon bathao kiska sahara mein nauhagar Doh kuch jawab paon pah kyon sar jhukate ho ek raat ki dulhan ko kise soumpey jaate ho

Roka hae kisne roteh ho kaahe ko isqadar Maalik Khuda hae bay--woun ki lega wohi qabar Ho jaayegi hamari bhi har haal mein basar Samjhenge umr bhar isi jungle ko apna ghar Bhai ki aas hai hamein ab toh na baap ki Kaatenge dukh randapay ka turbat pah aapki

Saheb hamein kalaam ki taaqath nahin hae ab Yeh toh kaho ke tumse mulaaqaath hogi kab Dulha ne bharke ankhon mein aansu kaha yeh tab Kowsar pah roze hashr miloonga mein tashna lab Dadi ke saath jab suey Firdaus jaoongi Jis jah Hussain hongay waheen humko paoongi

Rokar pukaari maa ke mai qurbaan jaaoon aao Nargha hai shaamiyon ka chacha ki madad ko aao Beta bus ab dulhan ki mohabbat se haath uthao Lena hae baaghe quld toh phal barchiyon ke khao sadqe gayi azeez na apna lahu karo Jaldi gala katakey mujhe surq rooh karo

Salaam Marsia Nauha Marsia 123 Tapka ke ashk ankhon se bola woh naujawaan Lo ammajaan Qaliqe Akbar nigaahbaan Jab run se aaye laasha-e-majrooh khoonchkaan Is tehelke mein rakhiyega apni bahu ka dhyaan roye toh aansu ponchke samjhaiyo inhein amma hamari laash na dikhlaiyo inhein

*****

Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz poush par Chaaro taraf hai teeroun ki bochaar josh par Dil par sinaan ka zakhm hai pehloo pa doush par Sehray ki sab katee huvi ladiyaan hain doush par Talwaar run mai dulhaa ka muh khoon sey dhothi hai Khaimey main ghul hai aaj dulhan raand hothi hai

Beh beh kay khoon tapaktha hai har baar haath sey Zakhmi hai niklee jaati hai talwaar haath sey Ab kya karein nabardh hai beykaar haath sey Chooti inaan aspay wafaadaar haath sey Khoon behgaya jahaan sey muh moddney lagay Girkar zameen-e-garm par dam toddney lagay

Sar kaatney idhar sey baday fouj kay sawaar Daudey udhar sey Shah alam karkey Zulfiqaar Thay saath saath Akbar-o-Abbas-e-naamdaar Dehshath sey teen shairoun ki bhaagay sitam shiyaar majrooho naathawaan ka ajab haal hogayaa Ghodoun sey jism dulhey ka pamaal hogayaa

124 Marsia Salaam Marsia Nauha Ronay lagay Imam-e-Umam dekh kar yeh haal Laasha utthaakay ley chalay aakhar basadh malaal Ek doh qadam baddhaa tha Rasool-e-Khuda ka laal Hichki jo aayi margayaa hai hai woh khush qisaal Godhi main Sheh ki phool sey kumlaa kay rehgaye Baazu lahoo bharay huvey tharraakay rehgaye

Fizza ney dekha Sheh ko jo aathay huvey idhar Khaimey kay sahen sey yeh pukaari bachashm-e-tarr Saidaanio uroos sey hoshyaar-o-baakhabar Deodi takh aayi maadar-e-nausha nauhagar Faakhoun sey hain niddhaal qadam ladkadaathe hain masnadh bichaao dulhaa ko Shabbir laathay hain

Haalath hai gham sey ghair Shahey khushqisaal ki Hai hai jawaani qaasim-e-Yousuf Jamaal ki Poshaak khoon sey surkh hai us nauneyhaal ki Aao baraath dekhlo Shabbar kay laal ki ronay ka shore charq pa jaata hai saahibo Dulhaa chacha ki goadh mai aata hai saahibo

Daudey harum idhar sey khuley sar barehna paa Khaimey main aaye laash liye Shaahey dosaraa Naamoos main qayamath-e-Kubra huvi bapaa Waah Qaasima ki charq pa jaaney lagi sadaa Behnay qareeb aagayeen aansoo bahaaney ko Pehlaaye maa ney haath galay sey lagaaney ko

Salaam Marsia Nauha Marsia 125 Khaimey takh aaye sab harum-e- paak nauhagar Laasha litaakay ronay lagay Shaahey behrobar Abbas peetnay lagay haathoun sey apna sar Kubra kay paas rakhdiya sehra lahoo main tarr Taghyeer haal maadar-e-ghamnaak hogaya seenay kay zakhm dekh kay dil chaak hogaya

Fizza ney baandha hujreh ka pardaa basadh malaal Laayi dulhan ko thaam kay Banu-e-khush qisaal Mitti bhari thi maang main Kubra ka tha yeh haal Maelee si chaadar odhey huvey kholay sar kay baal Dikhlaa kay zakhm sab jasadh-e-paash paash kay Bittlaadiya uroos ko pehloo mai laash kay

Jisdum dulhan ney dulhaa kay zakhmoun pa ki nazar Kaampaa kaleijaa ashk bahey shaq huva jigar Qadhmoun ki samth jhuk kay boli woh nauhagar Saahib uttho hum aaye hain laashey pa nangay sar Kholay hain baal beykas-o-naalaan ko dekh lo Tum bhi hamaarey haal-e-pareishaan ko dekh lo

Saahib bathaao kya main aseer-e-meihann kahoon Beykas kahoon ghareeb kahoon beywatan kahoon Zakhmi kahoon main aapko ya beykafan kahoon Dulhaa kahoon kay aapko ibne Hasan kahoon Kya kehkay rovoon koyi bathaata nahin mujhey Taaza dulhan hoon bayn bhi aata nahin mujhey

126 Marsia Salaam Marsia Nauha Fizza ney laakay ithney main randsaala rakhdiya Dulhaa ki maa ney haath main usko utthaaliya Aur boli isko pehno yeh qallath hai bevaa ka Kubra ney sar ko peetkay aur rokay yeh kaha ab kyon libaas beyvoun ka mujhko pehnaathay hain Dulhan banaakay kya koyi bevaa banaathay hain

*****

Qasim jo hum Shabihey janab-e-Ameer tha Is wajha sey woh gheerath-e-mehray muneer tha Aur aashiq-e-jamaal-e-Shahey bey nazeer tha Parwaana-e-charaag Rasool-e-qadeer tah akbar sey kehtha tha kay chacha toh Imam hain aye bhaayi jaan hum toh tumhaarey ghulaam hain

Yeh kehthay thay ke tum meray daada ki shaan ho Dil ho jigar ho aankh ho bhaayi ki jaan ho Aye bhaayi jaan kya teri khoobi bayaan ho Hazrat Hasan ki tarhaa sey tum shireen zabaan ho Phir pyar se woh haathon ko gardhan mai daalkay Kehthay thay qatl hongay hum atthaara saal kay

Fouj-e-jafaa sey ithney mai teer-e-jafaa chalay Aur yaan sey peishwaayi ko ahley wafaa chalay Aaye Khuda ki samth sey suvey Khuda chalay Kehthay thay Shah zor-e-muqaddar sey kya chalay Qasim rahey aur Akbar-o-Abbas rehgaye satharr doh tanh main teen jawaan paas rehgaye

Salaam Marsia Nauha Marsia 127 Is gham sey jo Hussain ki haalath huvi tabaah Tabh haath pakday khaimey mai Qasim ko laaye Shah Zainab sey phir yeh bolay Imam-e-Falak panaah Dar peish humko aaj hai doh beykasoun ka biyaah Taqreeb soghvaaroun main dulha dulhan ki hai Zainab uttho uttho yeh waseeyath Hasan ki hai

Ibne Hasan ko laakay libaas-e-Hasan pinhaao Qasim ki maa ko maadar-e-Kubra ko jald laao Woh boli jaan bhujjkay bhaiyya na yeh sunaao Is kaam kay liye toh kisi aur ko bulaao maatam kay ghar sey koyi bhi jaata hai biyaah main Betoun moyee ko koyi bulaatha hai biyaah main

Jin haathoun sey kay betoun ki laashein utthaaoun main Un haathoun sey bhateejay ko dulhaa banaaoun main Farsh-e-aza jahaan pa ho safay maatam bichaaoun main Kubra ko waan libaas-e-uroosi pehnaaoun main Kyonkar bhalaa yeh ussay ho jo khairkhaa ho meri toh yeh dua hai mubaarak yeh biyaah ho

Yaadash bakhair Fatema Soghra nahin yahaan Rukhsath kay waqt kehthi thi mujsey woh naathawaan Qasim ka biyaah huvey safar main jo naagahaan Tum mujhko yaad karkay bulaalijiyoh wahaan afsous ki jagaah hai koyi naamabar nahin Qasim ka biyaah hotha hai isko khabar nahin

128 Marsia Salaam Marsia Nauha Sheh ney kahaa bahen na tharad-dudh karo zaraa Maatam ka apney betoun kay haan uzar hai bajaa Yeh aqdh bhi hai fidyaa sibtey Rasool ka Shaadi kujaa aur aal-e-Rasool-e-Khuda kujaa Jaayega namuraad yeh dulhaa jahaan sey Taa hashr shaadi utt gayi is khaandaan sey

Kehthi thi yoon phupi sey Sakina kay kya hai gham Lo bhaayi dulhaa banthay hain ab nekh leingay hum Saamaan-e-aqdh jamaa pareishaan magar harum Qasim ki maa pukaari fidaa aye Shahey umam laoundi hoon aaj sey main shahey khushqisaal ki shaadi Hussain karthay hain beva kay laal ki

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 129 Shahadath Hazrat Abbas (a.s.)

Jab sadre zeen se gir pade Abbase bawafa Jungle se aai giryae Zehra ki bhi sada Akbar ne daud kar shahe wala se yeh kaha Chaliye huzoor nehar pa maare gaye chacha Bay dast dushmanon ne kiya uss deler ko ro aayieh tarai mein Hyder ke sher ko

Yeh sunke peet tey huve uthe zameen se shah Farmaya hae ghazab mere bachhe huve tabah Yeh kya kaha ke ankhon mein din hogaya siyah Mazloom se bichad gaye Abbas aah aah muddat hui tamam Sakina ke chaen ki Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki

Ye kehke su-ey nehr chale shahe karbala Maninde baidh kampthay thay Sheh ki dastopah Amama tha na farq pah ne dosh par rida Tasveer vaar thay hamatanh sibte Mustafa maqtal ki qaak se tane anwar ata hua seena khula hua tha gareban phata hua

Pahunche joonhi taraai mein ba deeda puraab Dekha tapaanh hae qaak farzande bu Turab Shano peh ki nazar toh jigar ko rahi na taab Bas ha-e bhai kehke gira woh falak janab Bekaar dasto pa thay shahe khush qisaal ke le aaye laash tak Ali Akbar sambhal ke

130 Marsia Salaam Marsia Nauha Moonh rakhke khoon bhare huve chehre peh di sada Bhaiyya Hussain aaya hae awaaz doh zara Haihaath dono haath badan se hue juda Bazoo ke sadqe in tere shaanon ke main fida Bhaiyya hamare haath toh bekaar ho gaye Tum haath kho ke Jaffar-e Tayyar ho gaye

Sun kar sadae hazrate Shabbire namdaar Khola lahu bhari hui ankhon ko ek baar Sar rakh ke paaye sheh pah yeh bola woh zee viqar Tashreef aap laye zahe izzo ifteqar Jee chahta hae yeh ke nisare huzoor hoon Kis tarha uth ke gird phiroon choor choor hoon

Baithe hain aap aur mein leta hoon aah aah Kya door hae huzoor agar baqsh de gunaah Sar shaq hae zarbe gurz se ya shahe deen panaah Karwat bhi ab toh le nahin sakta hae qair qah Dukhte hain bolne main jarahath phate hue Dekhe huzoor mere hain bazoo kate hue

Moonh rakhke moonh pah kehne lage shah-e-khushqisal Abbas mein kin ankhon se dekhoon tera yeh haal Is dum bhi hae tumhe mere aadab ka khayaal Jab zibha honge hum toh kise hoega malaal sadqe Hussain tere taneh paash paash ke ek baar hum ko gird toh phirne doh laash ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 131 Yeh sunke us diler ne ek sard aah ki Mashkeeza pa tadap ke bahasrath nigah ki Moonh sharm se chupa liya godhi mein shah ki Haalat tabaah hogayi Hyder ke maah ki Jab dil ko bekali ho toh kis tarha kal pade Zaanu pah sheh ke ankhon se ansoo nikal pade

Farmaya sheh ne kisliye rotey ho zaar zaar Lo ab kuch apna haal kaho tum pah main nisar Kya jee pah hai bani jo tadapte ho baar baar Ki arz us jari ne ke hae waqte ehtezaar aqa se chootne ka qalaq hae ghulam ko Paonga ab kahan shahe gardoon muqaam ko

Yeh kehte thay ki phir gayi ankhon ki puthliyaan Hichki ke saath aagayi sookhe laboun pah jaan Hasrath se dekh kar tarafe shahe insojaan Duniya se kooch kargaye Abbase naujawan Choda jari ne saath shahe mashraqain ka ek ghul utha ke margaya aashiq Hussain ka

Chillati hae yeh zowjae Abbase naamwar Chodo mujhe quda kiliye peetne doh sar Waris mera guzar gaya loota ajal ne ghar Hae hae yateem hogaye dono mere pisar Pardes mein Ali ke pisar se bichad gayi ab qaak udaane doh ke meri maang ujad gayi

*****

132 Marsia Salaam Marsia Nauha Jab Ibne Bu Turaab baroove zameen gira Be dast hoke khaak pah woh mehjabeen gira Aur haath ek taraf alame sheh kahin gira Chillai Fatema ke mera nazneen gira Kat-tah hae koi dum mein sar us naujawan ka mit-tah hai ab nishan Ali ke nishan ka

Sunte he is sada ke shahenshahe bahrobar Dowde gire uthe na sambhala gaya jigar Kaampe jo paon thaam liya bazooe pisar Chillathe thay kaho Ali Akbar chale kidhar majma hatao fowje sitam ka taraai se Beta milado jald mujhe mere bhai se

Akbar ujad gaya mera ghar wa museebata Seedhi na hogi ab yeh kamar wa museebata Hae aaj taza daage pidar wa museebata Kaata gaya churi se jigar wa museebata Pursa toh doon najaf ki taraf moonh ko modh doh sar peet tha chaloonga mere haath chod doh

Akbar qareebe laash joh laaye Hussain ko Abbas jaan balab nazar aaye Hussain ko Tadpa woh sher sunke sadae Hussain ko Akbar ne haath utha ke dikhaye Hussain ko Doh kohe gham ke dil pah joh ek baar gir pade Pehloo mein laash ke shahe Abraar gir pade

Salaam Marsia Nauha Marsia 133 Ek baar ghash se chownk ke Abbase zee viqar Aur jaan kani mein ankhon ko khola bahaale zaar Poocha kidhar ho ae mere Aaqae namdaar Hazrat lipat ke bhai se bole ke main nisaar sadmey hain jaan kani ke qozoon is judaai ke Bhai ka daag pooche koi dil se bhai ke

Bhai tumhari baali Sakina jigar figaar Bachhon se keh rahi hae yeh ba chashme ashkbaar Ek lehzaa aur sabr karo tum pah main nisaar Dekhoon ke jaan balab hae mera bhai sheer qaar Pyaasi hoon main bhi teen din aur teen raat se ab paani laate hoenge ammu Furaat se

Hae kuch waseeyatein meri is waqt ya imam Un mein se ek yeh hae tasadduq ho jab ghulam Saahil se laash uthke na jaaye su-ey qayaam Jis ja pada hoon qabr ka bhi ho waheen maqaam sarke na qaanazaad imame diler ka maskan rahe taraai mein Hyder ke sher ka

Aur doosri yeh arz hae aey shahe nekh qoo Shehzadiyaan mahal se na nikle kushada moonh Dekhe na aake bali Sakina mera lahu Aur ek marte marte hae yeh dil ki aarzoo aaye lahad mein boo-e imame zaman mujhe Baqshein huzoor apni aba ka kafan mujhe

134 Marsia Salaam Marsia Nauha Sunkar yeh haal dil pa laga aur teere gham Roye lahu ke ashkon se Abbase zee hasham Itna kaha ke rah gaye sharminda us se hum Pahunchate mashk haath na hote agar qalam Kuch bas chala ajal se na is bequsoor ka majboor ho gaya yeh behashti huzoor ka

Sar peeth kar yeh kehne lage shahe behrobar Abbas tukde karte ho kyon bhai ka jigar Achha na laash uthayega yaan se yeh nauhagar Turbat banegi aapki be shubha nehar par sach hae ke bahre sher taraai zaroor hae Bhai magar tumhari lahad hum se door hae

Yeh keh ke daal di taneh purnoor par aba Farmaya ab toh shaad huey tumpah mai fida Yeh qillate aqir hae ae mere dilruba Isko bhi loot lenge magar baaniye jafa Chin jayengi ridaein bhi is ishdehaam mein sar nangay raandein niklengi balwa-e aam mein

Yeh sun ke paaey shah ki jaanib jhukaya sar Kaampe lahu bhari hui ankhon ko khol kar Tapke mijha se khoon ke qatre idhar udhar Kis yaas se Hussain pah ki aaqri nazar manka jari ka dhal gaya bhai ke saamne Bhai ka dum nikal gaya bhai ke saamne

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 135 Jab qatl kiya neher pa Saqqa-e-Haram ko Bhaayi ka diya daagh Shaheensha-e-Umam ko Paani na diya pyaas mein is behray karam ko Tha shore ke ab khauff kisi ka nahin hum ko Ghazi ko jigar bandh-e-Yadullah ko maara abbas ko kya qatl kiya Shah ko maara

Aada toh yeh kehthey thay Shahey deen ka yeh tha haal Tarr aansuoun sey hotha tha rumaal pa rumaal Farmaathey thay kya hogaye Abbas e khush iqbaal Duniya may nahin jeenay ka ab Fatema ka laal Bin bhaayi basar hogi na ek aan hamari abbas ke maatam may gayi jaan hamari

Beykas huvey ab koyi nahin humdum-o-yaawar Paayengay kahan aisa Wafadaar baraadar Barr aaye kahin arzoo-e-Sibtey payambar Jaldi meri gardhan pa chaley zulm ka khanjar Dushman pey bhi yeh aalam tanhaayi na hovey Jeenay ka mazaa qaakh hai jab bhaayi na hovey

Yeh kehkay tadapney lagey sultaan-e-doh aalam Barpaa tha ajab khaima-e-Shabbir may maatam Chillathi thi Zainab ke jigar phat-tha hai isdam Bhaayi ke alam may na jeeyengay Shahey-Akram andher jahan hai jo Alamdaar nahin hai Koyi meray bhaayi ka madadgaar nahin hai

136 Marsia Salaam Marsia Nauha Samjha ke ussey run ko chaley jab Shahey Abraar Daudi akhab-e-Shah Sakina jigar Afgaar Chillayi ke Baba mujhey yahan chodo na zinhaar Dikhlaadoh mujhey laasha-e-Abbas-e-Alamdaar Paani na mila margaye woh khoon may nahaakar mai roungi ab laasha-e-Abbas pe jaakar

Dekha jo oosey Shah ney baa deedaye giriyaan Kehnay lagey beti se basadh naala-o-afghaan Maarey na koyi teer tumhey dushman-e-Imaan Chalna tera laashey pey munaasib nahin is aan Woh kehthi thi mai jee sey guzar jaoongi Baba Wahn leykay na chaliyeh ga toh mar jaoongi Baba

Aakhir oosey dariya ki taraf lekay chaley Shaah Yoon kehnay lagey fouj sey baddkar kayee gumraah Kya qazd hai jaatey ho kidhar aye shahey zeejaah Dariya pe woh maarey gaye thi jinki tumhey chaah Paani ke liye laakh jawaanou sey ladey hain aur haath kataaye huvey hai reythi pa padey hain

Naagaah nazar aaya unhey laasha-e-Abbas Chillake kaha haaye hum ab hogaye bey aas Pahoonchengay na turn takh yehi tha bhaayi ko Vaswaas Ab kaun bujhaayega Sakina ki bhala pyaas haathoun ke tassaduq taneh sadh paash ke sadqey aye jaane biraadar mai teri laash ke sadqey .

Salaam Marsia Nauha Marsia 137 Aankhon ko zara kholo toh qurbaan ho bhaayi Qaimey sey Sakina tumhey lenay ko hai aayi Kyon raith may yeh chaand si surath hai chupaayi Sar peet ke tabh kehnay lagi Shah ki jaayee hai hai mujhey surath nahin dikhlaatey hain Ammu mai pyaasi rahi is liye sharmaathey hain Ammu

Tadpee jo yeh keh keh ke Sakina jigar afgaar Tharraney lagaa laasha-e-Abbase Aiamdaar Lashey sey lipat kar yeh pukarey yeh shahey Abraar Sadqey teri ulfath ke Hussain aye mere ghamqaar ronay na diya tha kabhi is tashnaa dahan ko Tharrathay ho ab sunkey Sakina ki fughaan ko

Khatoon-e-qayaamath ki sadaa ithney may aayi Maaraa gaya hai hai meray shabbir ka bhaayi Farzandh sey farmaaya yeh dey dey ke duhaayi Pursaa tumhey deythi hai yeh gardhoon ki sathaayi shabbir bhi basadh dardo bukaa peet rahey thay laashey ke qareen sher-e-khuda peet rahey thay

*****

Jab izn paani laaney ka Abbas ko mila Bachchoun ko jamaa karkay Sakina ney yeh kaha Jaathay hain ab furaath pa dekho meray chacha Kuch deyr aur sabr karo tumpa main fida Paani ki main sabeel yahaan par lagaaoongi asghar ko sabsey pehlay main paani pilaaoongi

138 Marsia Salaam Marsia Nauha Pyaasa hai teen roz sey Maasoom beyqathaa Paani ka ek qathraa bhi usko nahin mila Karbobala ki dhoop hai aur garm hai hawaa Sookha huva hai pyaas sey beysheer ka gala labb tarr karoongi unkay toh woh muskuraaengay Pehlaaye dono haathoun ko goadhi mai aayengay

Yeh zikr is taraf tha udhar fouj-e-naabakaar Baadal ki tarhaa chaaney lagi phir sey ek baar Ahley jafaa sey bhargaya maidaan-e-kaarzaar Chillaa rahey thay saarey jafaa jo sitam shiyaar Paani pahoonch sakay na Imam-e-Hussain takh mashkeeza jaa sakay na khiyaam-e-Hussain takh

Naagaha ek waar kameengaah sey huvaa Shaana jaree ka hokay judaa jism sey giraa Kuch door aur aagay baday thay kay aah aah Teigh-e-sitam sey doosraa shaana bhi kat gaya Daanthoun sey mashk thaam kay Abbas rehgaye Darya lahoo kay jism-e-mubaarak sey behgaye

Aisey main ek teer lagaa aakay mashk par Mashk-e-Sakina chidd gayee tharraa gaya jigar Paani kay saath behgaye ummeed kay gowhar Jhuk kar alam ney ghodey ki baagoun mai dee qatar saqqa-e-Ahlebaith kay shaaney qalam huvey Bin Bhaayi kay jahaan main Shaahey umam huvey

Salaam Marsia Nauha Marsia 139 Akbar ki samth dekh kay bolay Shahey Huda Tooti kamar Hussain ki aye meray dilrubaa Beta hamaara qoowath-e-baazu huva judaa lo hogaya hisaar-e-hifaazath shigaaftha Dil mai hamaarey naiza-e-ranjo malaal hai Bhaayi kay gham mai Bhaayi ka jeena mohaal hai

Yeh kehkay humlaawar huvey foujoun pa Shaaheydeen Humshakl-e-Mustafa ney ulattdi jo aastheen Tharraa gayee furaat larazney lagi zameen Jaanein bachaa kay bhaag gaye run sey sab layeen Pahoonchey Hussain teizee sey Bhaayi ki laash par hasrath baras rahi thi tanh-e-paash paash par

Bhaayi kay sar ko Shah ney zaanu pa rakh liya Thay paayenthi khaday huvey humshakl-e-Mustafa Phir rokay apney bhaayi sey bolay Shahey Huda Dekho Hussain aaya hai aye jaan-e-Murtuza ab aa chukaa hai waqt-e-judaayi pukaar lo Jaaney sey pehlay Bhaayi ko Bhaayi pukaar lo

Aankhoun ko apni kholkay bolaa woh tashnakaam Sharmindhaa hai Sakina sey Abbas ya Imam Laasha utthaaney ka na karein aap ehteymaam Ab hashr takh rahega hamaara yaheen muqaam lillah baqsh dijiyeh shifa-ath kay naam sey Koyi kamee huvi ho agar is ghulaam sey

140 Marsia Salaam Marsia Nauha Phir Sheh ki samth dekh kay Abbas ney kaha Yeh sab karam hai aapka ya Shaahey Karbala Riqqath ka josh badd gaya ghuttney laga galaa Bhaayi kay ek lafz mai tha poora marsia Bhaayi kaha toh rooh badhan sey nikal gayee Zaanu pa sheh kay gardhan-e-Abbas dhal gayee

Bolay Hussain rokay Alamdaar alvedaa Aye beykasoun kay mounis-o-ghamkhaar alvedaa Ahley harum kay qaafela salaar alvedaa Jaao sidhaaro meray wafadaar alvedaa shaaney kataa kay Bhaayi ko bey aas kargaye Bey dasth humko Hazrath-e-Abbas kargaye

*****

Jab katt gaye dariya pey Alamdaar kay baazu Shaanon sey judaa hogaye Jaraar kay baazu Reythi pa giray Shah kay ghamkhwaar kay baazu Tharraaney lagey Syed-e-Abraar kay baazu rang uddgaya tasweer-e-alam hogaye Shabbir sadma yeh hua zouf sey kham hogaye Shabbir

Girney lagaa jis dum Alam-e-Syed-e-waala Abbas ney jhuk kar isey gardanh sey sambhaala Ek teer lagaa chashm pey aur seenay pey bhaala Bandh aankhein huveen munh sey lahu Shair ney dala ek gurz lagaa phir jo kisi aur shaqi ka shaq hogaya sar Hazrat-e-Abbas-e-Ali ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 141 Kuch guzar garaan baar ka sadmaa nahin thoda Ser shaq huva phir mashk ko daanton sey na chodaa Zeen sey jo giray aap khadaa hogaya ghodaa Ek teer ney mashkizey ko aur seenay ko thodaa Paani jo bahaa eid huvi fouj-e-adu mein machli sey tadapney lagey Abbas lahu mein

Nagaah yeh aawaaz-e-Ali dasht mein aayi Shabbir qabar lo kay tasadduq huva Bhaayi Chilaayi yeh Zainab kay dohaayi hai dohaayi Hazrat ney kahaa lutt gayi Baba ki kamaayi Tashreef Shahey har do saraa laaye hain Zainab abbas kay laashey pey Ali aaye hain Zainab

Yeh suntey hi Hazrat ney amaamey ko uthaara Akbar sey kaha kar do garebaan ko dopaara Aashiq meray bachchon ka zamaaney sey sidhaara Hum sogh mein hain qatl huva Shair humaara aafath mein phasi paani ki mohtaaj Sakina Bus hogayi duniya mein yateem aaj Sakina

Farmaakay yeh girtey huvey doudey Shahey waala Sambhley kabhi khud kabhi Akbar ney sambhaala Tha seena-e-aqdas mein kaleijaa taubaala Chillaati thi hai hai meray aaghosh ka paala Jaldi kabhi chaltey kabhi phir badtey thay Shabbir Ghabrakay har ek laash pey gir padte thay Shabbir

142 Marsia Salaam Marsia Nauha Kehtey thay utthaakar yeh Ali Akbar-e-zeejaah Darya ki taraayi toh abhi door hai Ya Shaah Farmaatey thay aankhon mein basaarat nahi aye maah Abbas-e-Ali chodd gaye ab toh humein aah ab kheincheingay talwaar jo rastaa na mileygaa akbar humein kya bhaayi ka laasha na mileygaa

Hazrat ko sambhaley huvey darya pey jo laaye Abbas-e-Alamdaar sisaktey nazar aaye Akbar ney katey haath tadaptey huvey paaye Bhaayi ko Khuda bhaayi ka laasha na dikhaaye Jhukney jo lagey kaampkay ghash kargaye Shabbir sabit Ali Akbar pey huva margaye Shabbir

Hai hai Shahey deen kehkay jo roay Ali Akbar Sadmey sey tadapney lagey Abbas-e-dilaawar Ghabraakay bhatijey sey kaha aye meray dilbar Bathlaado kidhar hain meray Aaqa meray Sarwar akbar ney kahaa gham Shahey waala ko badey hain Woh aapkay qadmon ki taraf ghash mein padey hai

Gash mein yeh sukhan sunkay pukaarey Shahey zeeshan Yeh kiski sadaa hai main is aawaaz kay qurbaan Akbar ney kahaa kab sey tadaptey hain Chachajaan Mil lijiye kay Abbas koyi dum kay hain mehmaan Phir ho na sakaa zabt Imam-e-Azali sey liptey Shahey deen laasha-e-Abbas-e-Ali sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 143 Chillaaye basad gham meray bhaayi meray bhaayi Kya dil ka hai aalam meray bhaayi meray bhaayi Kyun chashm hai purnam meray bhaayi meray bhaayi Ukhddaa hai tera dum meray bhaayi meray bhaayi seenay mein ajal saans teharney nahin deti hichki tumhein kuch baat bhi karney nahin deti

Yeh kehtey hi Hazrat pey qayaamat huvi taari Abbas-e-Alamdaar karaaye kayi baari Atkaa jo dum aankhon mein toh aansoon huvey jaari Tanh rehgaya aur rooh suey khuld sidhaari Chillaakay jo Sheh roay toh ghabraayi Sakina nikla tha dum unka kay nikal aayi Sakina

Mayyat sey lipatt ney ko jo woh douddti aayi Hazrat ney abaa bhaayi kay chehrey sey hataayi Chillaayi Sakina kay dohaayi hai dohaayi Reythi mein Alamdaar ney shakl apni chupaayi Tharraaney lagaa laasha-e-Saqqa-e-Sakina laashey sey bhi aayi yeh sadaa haaye Sakina

*****

144 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahdath Hazrath Ali Asghar (a.s)

Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae Fatema aayi hae ronay ko yeh kiska gham hae Nange sar saath hain hoorein bhi ajab aalam hae Ronay waloun se yeh irshad bhi toh paiham hae ronay walo tumhe ronay ka sila dene ko Fatema aayi hae tum sabko dua dene ko

Aey azadaro tumhe qaliqe Akbar ki qasam Kaun mazloom hae woh tumko payambar ki qasam Naam low uska zabaan se tumhe Hyder ki qasam Be zubaan hansliyon waale tumhe Asghar ki qasam rokay kehdo koi bekaso maghmoom nahin Juz Hussain Ibne Ali aur koi mazloom nahin

Yahi mazloom Madine ka hae rahne waala Ek saydani ne faaqon mein jise tha paala Teesre burje imamat ka yahi hae haala Ek bekas pah sitam hae yeh falak ne daala subah se asr talak ghar ko lutaya isney margaye sab toh gala apna kataya isney

Haan payambar ke Madine ka musafir hae yehi Apne nana ki lehad ka bhi mujawar hae yehi Jisko pani na mila ta dum-e-aqir hae yehi Jis pah sadqa huve Ayub wo Sarwar hae yehi Bekaso bewatano tashna dahan kehte hain isi mazloom ko mohtaje kafan kehte hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 145 Ya Hussain aapki mazloomio ghurbat ke nisaar Sar ko katwa diya kis shaan se himmat ke nisaar Tahe qanjar bhi kiya sajda ibadat ke nisaar Nangay sar dekha na hamsheer ko ghairat ke nisaar hoon fida aap pah moonh ashkon se dhone waale Ya Hussain aap pah sadqe ho yeh ronay wale

Dekha is bekaso mazloom ki shane ghurbath Chote bete ki lahad khodi hae uf ray himmat Kaampte haathon se aaqa ne banai turbat Kya kahein kis se kahein qalb ki apni haalath Chand ko apne tahe qaak chupaya hae abhi hansliyon waale ko turbat mein sulaya hae abhi

Kis qadar bekas-o majboor tha yeh shahe gharib Na kafan chote se sayyad ka hua usko naseeb Sar ko katwae hue sote hain sab uske habeeb Pyaas se teen shab-o roz se haalat hae ajeeb Ya Ali kehke sambhala hae dile muztar ko Qoon bhare kurte mein dafnaya Ali Asghar ko

Roke dete hain sada ae mahe anwar bolo Ae mere chote shaheed ae mere dilbar bolo Baap ko chod ke tanha gaye kyonkar bolo Dard kaisa hae gale mein Ali Asghar bolo Goadh mein baith ke sab haal sunana beta Teer ka zaqm bhi dadi ko dikhana beta

*****

146 Marsia Salaam Marsia Nauha Run may abroo kamaan ki aamadh hai Asghar-e-bey zubaan ki aamad hai Bhookey ki naathawaan ki aamad hai Pyaasey ki neemjaan ki aamad hai Yehi qaimey may shora hotha hai Waada inka bhi poora hotha hai

Pyaas ney kardiya hai yeh aalam Ghash pa ghash aatey hain inhein paiham Hilte hain haath paaoon bhi kam kam Seenay may ab nahin samaatha dam Ghamsey maatam zadoun ko saktaa hai nanhaa syed padaa sisakataa hai .

Ro nahin sakthey muh banaatey hain Aankhein ultee huvi phiraatey hain Khusk ka muh zabaan dikhaatey hain Ghulsey ronay ke Sehmay jaatey hain muh khula hai dhadakthi chaati hai saans bhi ab attakthi aati hai

Seena garmi ke maarey jalthaa hai Nanhaa sa dil padaa uchalthaa hai Dum ba-dum rang ko badalthaa hai Bas nahin kuch kisika chalthaa hai naam paani ka sub jo leythay hain muh ko ghabraakey khol deithay hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 147 Rokay kehti hai baanu-e-dilgeer Mai kidhar jaoon kyaa karoon tadbeer Haaye bachchey meray teri taqdeer Naa toh paani milaa tujhey naa sheer haal jab dekhti hai badh Zainab Kehti hai ya Ali madad Zainab

Haaye kya waqt hai padaa humpar Karney paaye na maatam-e-Akbar Huvi .darpeish rehlatey Asghar Ab mai nikloongi ouddkar chaadar lashkar-e-shaam paas jaaoongi haal beysheer ka sunaaoongi

Kahoongi jaakey mai hoon saidaani Dekho martha hai yeh meraa jaani Tishnagee ki hai ispaa tughyaani Waah kya khoob ki hai mehmaani Karo sairaab laal ko meray Paani do nou nehaal ko meray

Qaimey may aaye sarwar-e-aalam Jhoole sey bey zabaan ko laaye haram Sheh ney dekha ke hai laboun par dum Rokay irshaad yeh kiya paiham meray jaani meray jigar aao Chalo maidaan ki sair kar aao .

148 Marsia Salaam Marsia Nauha Kehkay yeh royeh sarwar-e-zeejaah liya haathoun pa apney gheerat-e-maah kiya pinhaan abaa mai khaatir khwaa Aur kaha La-Ilaha Illallah lekay pyaasey ko ashk baar chaley Pusht qamm karkey bey qaraar chaley

Rokay kehnay lagey Imaam-e-Ghayoor Ghaafilo kuch nahin hai turnko shaoor Turn samajna nahin khuda ko door Meray bachchey ka kuch nahin hai khusoor Bey-gunaah ki naa jaan lo yaaro meray kehnay ko maan lo yaaro

Zaalimo waastaa Payambar ka Dum nikaltaa hai meray dilbar ka Tarr karo halq meray asghar ka Jaam doonga mai turnko kausar ka hurmula bolaa aab milthaa hai Tehroh tehroh jawaab milthaa hai

Boley karthaa hai kya ghazab zaalim Maartha kyon hai beysabab zaalim Paani maangeingay hum na ab zaalim Sunta-tha sheh ka kehna kab zaalim Teer abroo kamaan ko maara Cheh mahiney ki jaan ko maara .

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 149 Baanu kay sheerkhwaar ko haftum sey pyaas hai Bachchey ki nabz dekh kay maa bey hawaas hai Ney doodh hai na paani kay milney ki aas hai Phirti hai aas paas yeh jeenay sey yaas hai Kehti thi kya karoon main duhaayi Hussain ki Putlee phiree hai aaj meray noor-e-ain ki

Faryaad Ya Ali main kidhar jaaoon Ya Ali In daaghon ko kahaan sey jigar laaoun Ya Ali Kis tarha in ki saans ko tehraoun Ya Ali Paani ka qaheth hai main kahaan paaoun Ya Ali Pichlee ko aankh kholey thay ab kholtey nahin rothay nahin humaktey nahin boltey nahin

Aakhir kaha yeh sab ney bulaao Imam ko Laao khuda kay waastey laao Imam ko Is bey zubaan ka haal sunaao Imam ko Neeli ragein galey ki dikhaao Imam ko akbar ki laash leygaye hain qatl gaah mein Koyi pukaar lo woh abhi hongey raah mein

Munh per jawaan betay ka taaza lahoo lagaye Maatam sara mein Ganj-e-Shaheedaan sey Shah aaye Jhooley pa haath pakddey huvey Ahlebait laaye Bachchey kay haath paaoun hilaa kar inhey dikhaaye rokar kahaa kay saans faqath aashkaar hai ho iska kya hisaab kay dum ka shumaar hai

150 Marsia Salaam Marsia Nauha Baithey sarhaaney jhooley kay Shabbir sar jhukaaye Asghar kay kaan sey lab-e-moujiznuma milaaye Chupkay sey kuch kaha kay woh suntey hi muskuraye Suwey Hussain haath bhi beysaakhtaa baddhaaye Boli Sakina baba ney mushkil kushaayi ki amma mubarak aankh khuli meray bhaayi ki

Haathon pey isko lekay chaley Shaahey Karbala Aur saath saath goadh mein kholey huvey qazaa Likhaa hai dhoop teiz thi aur garm thi hawaa Asghar pey maa ney daaldi ujli si ek ridaa Chaadar na thi woh chehra-e-pur aab-o -taab par Tukddaa safaid abr ka tha aaftaab par

Pahunchey qareeb-e-fouj toh tyoraa kay rehgaye Chaaha karein sawaal pey sharmaa kay rehgaye Ghairath sey rang udd gaya tharraa kay rehgaye Chaadar pisar kay chehrey sey sarkaa kay rehgaye ankhein jhuka kay boley yeh hum inko laaye hain asghar tumhaarey paas gharz leykay aaye hain

Phir hontt beyzubaan kay choomey jhukaa kay sar Rokar kaha jo kehna tha so keh chukaa pidar Baaqi rahi na baat koyi aye meray pisar Sookhi zabaan tum bhi dikhaado nikaal kar Pheri zabaan labon pa jo us noor-e-ain ney Tharra kay aasmaan ko dekha Hussain ney

Salaam Marsia Nauha Marsia 151 Maula falak ko dekh rahey thay kay naagahaan Li Hurmula ney shaaney sey do taank ki kamaan Tarkash sey jab kay kheinch liya teer-e-jaan fishaan Chodaa kamaan sey taak kay hulqoom-e-bey zabaan Chutt-tay hi halq bachchey ka cheydaa jo teer ney Tharraa kay aasmaan ko dekha sagheer ney

Kya sin tha teer khaatey hi bachcha dahel gaya Sukhey galey sey khoon ka dariya ubal gaya Taddpa jo Sheh kay haath pey toh mankaa dhal gaya Topi giree zameen pey aur dum nikal gaya nanhi kalaaiyon mein tashnujh sey bal padey hichkee jo aayi munh sey anghotey nikal padey

Munh aasmaan sey Sheh ney phiraaya kay kya huva Dekha kay paar halq sey teer-e-jafaa huva Bachcha tadap raha hai lahoo mein bharaa huva Aur nanha haath zakhm-e-guloo par dharaa huva aankhein phiraye detay hain tewar badaltey hain aagey toh doodh uglay thay ab khoon ugaltay hain

Kheinchaa galey sey bachchey kay aahista Sheh ney teer Aur haathon pey bulandh kiya laasha-e-sagheer Gardhan jhukaa kay boley kay aye Khaliqh-e-qadeer Maqbool ho Hussain ka yeh fidya-e-akheer shashmaha koyi kushta-e-teeray sitam nahin Yeh bey zabaan Naaqa-e-Saleh sey kam nahin

*****

152 Marsia Salaam Marsia Nauha Banu pichley paher Asghar ke liye rothi hai Ek woh jaagthi hai khalq-e-Khuda sothi hai Sar ko bhi peet-thi hai jaan ko bhi khothi hai Yeh ajab gham hai kay taskeen nahin hothi hai Peetthay peetthay beyhoush jo hojaathi hai ali Asghar Ali Asghar ki sadaa aathi hai

Kabhi konay main woh muh dhaamp kay chillaathi hai Aur kabhi sahen mai ghabraakay nikal aathi hai Kokh pakdey huvey har ek taraf jaathi hai Dhoondthi hai magar Asghar ko nahin paathi hai Tanh ko larzish hai judaa aur hai muh zard-e-judaa Dil tadaptha hai judaa seenay main hai dard-e-judaa

Kabhi kehthi hai kay ghar main meray andhiyaara hai Ali Asghar ki judaayi ney mujhey maara hai Haaye main ghar mai hoon jungle mai mera pyaara hai Meherbaani jo karey mauth toh chuttkaara hai Kab talakh raathoun ko hum naala-o-faryaad karein Ya ilaahi Ali Asghar mujhey ab yaad karein

Goadh pehlaakay kabhi kehthi hai dilbar aajaa Rooh beychaen hai aajaa Ali Asghar aajaa Dil tadaptha hai mera goadh kay andar aajaa Fatema kay liye aaja payeh Hyder aajaa Boondh paani kay liye haaye teri jaan gayee aa main sadqey gayee waari gayee qurbaan gayee

Salaam Marsia Nauha Marsia 153 Aakay seenay sey meray seena lagaadoh beta Aag bhaddki hai kaleijey mai bhujaadoh beta Khushk moonh apna meray moonh sey milaadoh beta Ek nazar chaand si tasveer dikhaadoh beta Jaao phir khuld main maa tumko na behlaayegi ek dum sey na zyaada tumhey tehraaegi

Loriyaan hum tumhey aye laal diya karthey thay Aap leitay huvey jhooley main hansaa karthey thay Ghuttniyo ghuttniyo gar aap chalaa karthey thay Kurtha pakdey huvey hum saath rahaa karthey thay haaye maa baap sey qismath ney chudaaya tumko sooney jungle main meri jaan sulaaya tumko

Khalq sab sothi hai raathoun ko gharoun mai apney Hum agar leithay hain karwatt toh qasam lo humsey Neendh aathi meray pehloo main agar tum hothay Tum toh aye laqth-e-jigar goadh main marqadh kay gaye Yaad is paalney waali ki bhulaayi tumney Paayenthi baap ki aye laal basaayi tumney

Haaye Asghar na tera deyn huva maa sey adaa Bhojj koyi meri gardhan sey na uthraa tera Na teri saalgiraah ki na tera doodh baddhaa Na lahadh tujhko mili aur na kafan tujhko milaa Tum toh maarey gaye chaathi pa litaaoon kisko Chotay chotay yeh shalookay main pinhaaoon kisko

*****

154 Marsia Salaam Marsia Nauha Ravaana nehr-e-labann ko jo sheer khwaar huva Zabaan dikhaaney pa gardhan sey teer paar huva Tadap kay haathoun pa Hazrath kay humkanaar huva Khizaan huva jo woh gul toh galay ka haar huva idhar toh Shah ko yeh sadhmaa-e-jigar pahooncha Udhar Madiney sey Soghra ka naamabarr pahooncha

Lahoo main garq khaday thay kamar jhukaaye huvey Pisar ki nanhi si maiyath galay lagaaye huvey Lahoo bhara huva daaman usay uddhaaye huvey Kafan ki fikr main khaimey ko muh phiraaye huvey Yeh haal dekh kay qaasid ki aass toot gayi huva yeh raasha kay fouran meihaar choot gayi

Utarr kay naaqey sey aadaab woh bajaa laaya Magar Hussain thay beyhoush kuch na farmaaya Woh nauha padtha huva aur muttasil aaya Nigaahey yaas sey moonh dekh kar yeh chillaaya Qaraar doh mujhey main beyqaraar hothaa hoon hussain jaan kay tumpar nisaar hothaa hoon

Kaho baqeeya-e-aulaad-e-Murtuza ho tum Ameer-e-lashkar-e-Allah-o-Mustafa ho tum Ghareeb-e-Kufa-o-mazloom-e-Karbala ho tum Bathaao Qasim-e-naashaad kay chachaa ho tum Jawaab doh pidar-e-namuraad-e-Akbar ho Janab-e-Hazrath-e-Abbas kay baraadar ho

Salaam Marsia Nauha Marsia 155 Bahen hai aapki Zainab Sakina dukhtar hai Har aawal aapkay lashkar ka Hurr-e-Safdar hai Watan main bhi koyi beti aleel-o-shashdar hai Huzoor ka koyi nanhaa sa laal Asghar hai Zohair aur Habeeb aapkay musaahib hain Janab Aun-o-Mohammad kay maamu sahib hain

Hussain bharkay damay sard bolay aye ghamkhaar Ameer kaun hai main toh hoon beykas-o-naachaar Kahaan hain Akbar-o-Qasim kahaan Alambardaar Khuda kay bandhey thay yeh sab huvey Khuda pa nisaar sipaahey zulm ney tanhaa samajh kay gheiraa hai hazaaroun teighein hain aur ek halq mera hai

Hataayi chehray sey Asghar kay khoon bhari chaadar Paseena mauth ka maathay sey pounchaa sar tha sar Pukaarey laashey ki aankhoun pa hountoun ko rakh kar Likhi hai Fatema ney deedaa bosi-e-Asghar Gawaah rahiyoh kay faaqay sey jhoomtha hai Hussain aur unkay Bhaayi ki ankhoun ko choomtha hai Hussain

Banaaloon nanhi si qabr inki aye khujistha siyar Toh ley chaloon pisar-e-naujawaan kay laashey par Toh padhiyo laasha-e-Akbar pa naama-e-khaahar Yeh kehkay ghoday sey uthrey Imam jin-o-bashar Zameen qabr ki khaatir pasandh karnay lagay mazaar khodh kay naalay balandh karnay lagay

156 Marsia Salaam Marsia Nauha Lahoo sey ghusl toh Asghar ko dey chuki thi qazaa Malee basoorath-e-kaafoor shay ney khaak-e-shifa Uthaara qabr main Asghar ka khoon bharaa laasha Litaakay khaak pa Qibla ki samth moonh pheiraa Phir apney chaand ko jab khaak mai chipaaney lagay Toh ya Ali kaha aur haath thar tharaaney lagay

Yeh haal dekh kay qaasid ney ki madadgaari Lahad main ungliyoun sey khaak daali ekbaari Pukaari khaimey kay dar sey yeh Banu dukhiyaari Yeh kiski qabr ki hothi hai run main taiyaari hussain bolay kay sadhmay naye guzarthay hain Tumhaarey hansliyoun waaley ko dafn karthay hain

Balaaein door sey ley ley kay phir kiya yeh bayaan Tumhaari nanhi lahad kay main waari Asghar jaan Andheiraa ghar hai na ghabraaiyo yeh maa qurbaan Akeilay sonay ki mushkil Khuda karey aasaan Tumhaarey chaahaney waaley galay lagaaeingay mujhey yaqeen hai Janab-e-Ameer aayengay

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 157 Lo momino khulaasa suno is bayaan ka Banu ko pursaa doh chey mahiney ki jaan ka Par haal kis zabaan sey kahoon bey zabaan ka Kyon gir padhaa na phatt kay tabaq aasmaan ka Jhooley main di panaah na maa kay kanaar main Kaatee adoo ney gardhan-e-Asghar mazaar main

Liptay huvey azeezoun kay laashoun sey thay harum Jo aah sar shaheedoun kay honay lagay qalam Ginn ginn kay khud umar ney kiye naizoun par alam Bola mulaazimoun sey abhi ek sar hai kam is dum mujhey khayaal-e-itaabh-e-yazeed hai arzi main likh chukaa hoon bahaathar shaheed hai

Peetaingay is bayaan sey sab kodakho jawaan Yeh taaza waaqia hai ghazab ki hai daastaan Kyon khushk hogayi na sitamgaar ki zabaan Bolaa Umar talaash karo qabr ka nashaan Bachchey ki qabr khodh kay sar ko qalam karo akbar kay sar kay paas sinaa par alam karo

Baazay laraz laraz kay pukaaray kay al-hazarr Hum tho na qabr khodaingay zaalim Khuda sey darr Is bey zabaan Shaheed kay sin par toh rahem kar Sothaa hai saari raat ka jaaga lahoo main tarr Dekhay na chaen jhooley kay ney maa ki goadh kay Bachchey ka sar na kaataingay hum qabr khodh kay

158 Marsia Salaam Marsia Nauha Kya uski qabr sey tujhey daawaah hai aye layeen Hazrath ney mol-li thi yeh maqtal ki sab zameen Bey dafn hai mahey rufaqaa baad shaaheydeen Bey ghar hain Ahlebaith-e-Shahinshaahey mursaleen murdoun ko goar zindoun ki qaatir makaan nahin ek bachcha qabr main hai usay bhi amaan nahin

Rothay thay laash haaye Shaheedaan pa sab harum Kya dekhtay hain aatha hai ek baani-e-sitam Nokay sinaa chubothaa hai mitti main dum badum Fizza pukaari khair karey Rabb-e-Zulkaram Yeh qabr dhoond tha hai kisi naazneen ki naizey sey dekhtha hai yeh narmee zameen ki

Banu ney poocha deedaa-e-dil sey bahaakay khoon Joyaa hai kiski qabr ka yeh zaalim-e-zaboon Fizza pukaari khaak meray mooh main kya kahoon Main kis zabaan sey saahib-e-turbath ka naam loon Khodheygaa maqbaraah chey mahiney ki jaan ka maangaa hai ibney saad ney sar bey zabaan ka

Paikaan jis galay sey abhi ho chukaa hai paar Hai hai usi galay pa phireygi chhuree ki dhaar Aaraam gaah murdoun ka hai goshaa-e-mazaar Bibi kay laqthay dil ko wahaan bhi nahin qaraar ney faateha na phool kisi noor-e-ain kay hothay hain zibhaa qabr main bachchey Hussain kay

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 159 Shahadath Imam Hussain ibne Ali (a.s)

Jab naujawan pisar shahe deen se juda hua Roshan qamar sipehre bareen se juda hua Noore nazar imaame mubeen se juda hua Laqte jigar Hussaine hazeen se juda hua Dil daag ho gaya dil-e jaane Batool ka Ghar bay chiraag hogaya sibte rasool ka

Barchi se tukde hogaya laqte jigar ka dil Khud baap ne chida hua dekha pisar ka dil Hota hae aab geena se naazuk bashar ka dil Pathar ka dil nahin hae yeh dil hai pidar ka dil ayoob bhi agar ho toh dum bhar na kal pade aansoo thamay toh moonh se kaleja nikal pade

Peeri mein aafate ghame aulad al amaan Dil aur zaqm qanjare foulad al amaan Woh izterab qaatire naashad al amaan Woh ashke soz aur woh fariyad al amaan Beta na ho toh zeest ka phir kya maza raha Jab ghar ujad gaya toh zamane mein kya raha

Bichda woh laal jis ka gawaara na tha firaaq Farmaate thay ke loot liya tu ne ae Iraq Ae mauth jald aake bas ab zindagi hae shaaq Qanjar ki arzoo hae shahadat ka ishtiyaaq Barbaad is tarha koi aabaad ghar na ho Kya zindagi ka lutf jab apna pisar na ho

160 Marsia Salaam Marsia Nauha Sab chahen jiski zeest woh sher-e-zhiyan marey Afsos neem jaan jiye jaane jahan marey Paida toh kis jagah huve aakar kahan marey Qudrat Khuda ki peer jiye naujawan marey is umr mein jahan se guzarne ke din na thay Kehta hae qud shabab ke marne ke din na thay

Pyaare na thay Hussain alaihis salam ke Laayi haram saraa mein bahen haath thaam ke Tharra rahe thay paoun shahe tashna kaam ke Sar dosh par tha Zainabe aali maqaam ke Farmaate thay bahen Ali Akbar guzar gaye hum aise saqt jaan thay ke ab tak na mar gaye

Pursa tumhe shaheed ka deney ko aaye hain Kis kis ke daag aaj jigar par uthae hain Peete hain qaak udaae hain aansu bahae hain Yeh hum tumhare laal ke khoon mein nahaae hain sar tha Hussaine bekaso tanha ki goadh mein Bete ki jaan nikli hae baba ki goadh mein

Yeh sun ke bibiyon ke jigar par churi chali Zainab zameen pa girkay pukaari ke ya Ali Sirrey qafi jahan ke hain sab aap par jali Jaata hae sarkashon mein yeh kownain ka wali Bekas ko aasra hae pisar ka na bhai ka Baba yehi toh waqt hae mushkil kushaai ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 161 Ya Mustafa balah mein phansa hae tumhara laal Ya shere zuljalaal dikhao inhein jalaal Ya Fatema mein lut thi hoon bikhrao sar ke baal Ya rab ulat dey aaj yeh sab arsie qitaal Phir kya kisi se kaam hai sab se judaa rahoon Bhai ko apne lekey mein jungle mein ja rahoon

Dekha yeh kehke baali Sakina ki yaas se Lipti woh daud kar shahe gardoon asaas se Taaqath na thi kalaam ki har chand pyaas se Boli woh tashna kaam shahe haq shinaas se Kya is bala ke bun se tahiya safar ka hai sadqe gayi batao iraadah kidhar ka hai

Farmaaya sheh ne sabr bahen chahiye tumhein Qaliq ki yaad sirro alan chahiye tumhein Lab par raza raza ka suqan chahiye tumhein Jo maa ka tha chalan woh chalan chahiye tumhein ab aaqri bahen yeh sawaari hamari hai Baad in buzurgwaron ke baari hamari hai

Farmaya sheh ne haan safar-e-na guzeer hai Aao gale lago ke yeh sohbath aqeer hai Ab arzoo-e-qurbe Khuda-e qadeer hai Tanha hai hum sipahey muqalif kaseer hai Teh ho yeh marhala jo eeyaanath Khuda karey Jiska na koi dost ho bibi woh kya kare

162 Marsia Salaam Marsia Nauha Jaana hae door shab ko jo aana na ho idhar Zid karke roiyo na hamein chahti ho gar Pehle pehal hai aaj shabe furqate pidar So rahiyo maa ki chaati pah ghurbat se rakh kay sar rahat ke din guzar gaye yeh fasl aur hai ab yoon basar karo jo yateemon ka taur hai

Nanhay se haath jod ke boli woh tashna kaam Batlaiye mujhe ke yateemi hae kis ka naam Ankhon se qoon baha ke yeh kehne lage imam Khul jayega yeh dard-o-alam tum pah taa-ba shaam Bibi na poocho kuch yeh museebat azeem hai mar jaae jiska baap woh bachha yateem hai

*****

Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar ghir gayaa Syed ghareeb bekas o beyaar ghir gayaa Ahley haram ka qaafila salaar ghir gayaa Lashkar tamaam hogaya sardaar ghir gayaa Ghul tha Amaan doh na shahey mashraqain ko nokoun sey barchiyoun ki giraadoh Hussain ko

Jis roz tha yeh hashr yeh maatam yeh shor-o-shar Aa pahooncha ek musaafir-e-ghurbat zadaa udhar Nikla tha ghar sey shauq-e-Najaf may woh khush siyar Choday huay watan usay guzra tha saal bhar Bay qanuma ko ishq khuda ke wali ka thaa mushtaaq woh ziarat-e-qabrey Ali ka thaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 163 Pahooncha jo karbala may toh dekha yeh usney haal Tanha khada hai ek musaafir lahoo may laal Fauj-e-sitam ki gird thee amaadey qitaal Chaltay hain teer paani ka kartha hai jab sawaal az bas ke ahley dard tha betaab ho gaya Pani ke maangnay pa jigar aab ho gaya

Kahney lagaa laraz ke woh zeeqadr-o-nekh naam Allah kis qadar hai puraashob yeh muqaam Darya Khuda ney khalq kiye behray faiz-e-aam Marthaa hai bay ajal yeh sitam kash yeh tashna kaam Unsay basher darey jinhey khauff-e-Khuda naheen Jaldi nikal chalo yeh teharnay ki jaa naheen

Doh chaar gaam chalkay yeh souncha woh naamvar Mazloom ki dua may hai har tarhaa ka asar Wallah barguzeeda-e-Haq hai yeh khush siyar Kar leejeh iltemaas-e-dua haath baandh kar Teighoun may iskay paas chalo jo Khuda karey aasaan ho mushkilein jo yeh beikas dua karey

Aaya jo kaamptha huva woh shah-e-deen ke paas Ki arz assalaamo alaik aye falak asaas Maula jawaab deikay yeh bolay badard-o-yaas Aana hua kidhar say tera aye Khuda shinaas arz usnay ki ghulam-e-shahey zulfiqaar hoon Bekas hoon benawaa hoon,ghareebu-dayaar hoon

164 Marsia Salaam Marsia Nauha Doh Sahiboun ke shauq may chodaa hai mainey ghar Hasrath yeh hai naseeb karey yaawari agar Pehlay tho hoon Najaf ki ziarat sey behrawar Manzoor phir wahaan sey Madinay ka hai safar Pahunchoonga daulatein hain agar sar nawisht may rastay may maut aayi toh pahooncha behishth may

Farmaya aapne ke Madinay may kya hai kaam Arz usney ki wohi toh hai dunya may ek muqaam Us sar zameen pa hai meiraa aaqa mera Imam Barsoun sey jinkey ishq mein rotha hoon subho shaam haider ke jaano dil hain, shahey mashraqain hai sadqey mai us jagah ke vahin tho Hussain hai

Mera hai ab yeh haal ke zakhmoun sey choor hoon Jungle may maut aayi hai, basthi sey door hoon Ek qaak saare bandha-e-Rabbey Ghafoor hoon Aalam hai uski zaat ka mai bey qusoor hoon Kehnay mai baat aati hai yeh kuch gilaa nahin Din teesra hai aaj ke paani milaa nahin

Maula sey haath joddkay bolaa woh dil kabaab Lay aaoon daud kar meray sharbey may kuch hai aab Keejiey zabaanay khushk ko thar, behray Buturaab Bolay hilaa ke sar ko shahey Aasmaan janaab ab intezaar Maut ka hai kya jiyoonga main sab pyaasey margaye hain na paani piyoonga main

Salaam Marsia Nauha Marsia 165 Darkaar jo tujhey ho woh lay behray kirdegaar Paidal agar hai tu tho yeh haazir hai raahwaar Naaqa bhi lay tera tho hai Aaqa woh naamdaar Sahil ko jis ney roti ke oontoun ki di qataar Bekas hoon go kay aaj, pa Aali muqaam hoon sharmaana tu ke main bhi Ali ka ghulaam hoon

Arz usney ki huzoor sey ab hai yeh Iltejaa Keejieh utthaa ke haath meray haq may yeh dua Pahunchaadey mujhko qabr-e-Ali par mera Khuda Maula ney aasman ki taraf dekh kar kaha Jisko nahin zawaal woh daulath naseeb ho Ya rab isay Ali ki ziarat naseeb ho

*****

Jab pareshaan huvi Moula ki jama-ath run may Har namaazi ko pasand aayi Iqaamath run may Qibla-e-deen ney kiya qazd-e- ibaadat run may Shakl-e-mehraab bani taigh-e-shahaadath run may Ghul huva isko Imaam-e-dojahaan kehtay hain Taighoun kay saaye may Shabbir azan kehtay hain

Khudrath-e-Haq sey dareechay huvey firdaus kay waah Dafatanh khul gaye dar haaye falaq sarthaapa Ek ba ek utt gaye sab parda-e-arshey aala Ambiyaa-o-malak-o-hoor ko pahoonchi yeh nida Qadrdaan iska mai hoon mera shinaasa hai yeh Kyon na ho meray Mohammed ka nawaasa hai yeh

166 Marsia Salaam Marsia Nauha Yeh woh taa-ath hai ke tanhaa hi adaa karthay hain Meray aashiq tahey shamsheer rahaa karthay hain Sar qalam hotha hai woh shukr-e-Khuda karthay hain Saadiqul waada younhi waada wafaa karthay hain hum namaz iskay janaazey ki jo paddwaengay Tum bhi jaana kay Rasoolaaney salaf jaayengay

Saakin-e-arsh-e-bareen karney lagay naala-o-aah Shah takbeer yahan keh chukay Allah Allah Aur iqaamath may huvey sarf shahey aalijaah Jaan-e-waahid pa giray aankay laakhoun badhqaah sura-e-Hamd Nabi zaada padhaa jaata hai shimr khanjar liye seenay pa chaddhaa jaata hai

Neem bismil nay zabaan say jo kahaa bismillah Naizaa maara abu Ayyub ney lab par naagah Dar say saidaaniya chillaayi ke Inna lillah Haaye yeh zulm namaazi pa ayaazan billah Waajibul qatl ko hai aabo ghizaa ki mohlath Jaan-e-Zehra ko naa di farz-e-khuda ki mohlath

Zeenath-e-arshay bareen khaakh pa iftaadaa hai Na bichona hai na masnad hai na sajjaadaa hai Shimr qanjar liye baaleen pa istaadaa hai Koyi itna nahin kehta ke Nabi zaadaa hai Qazd sajdey ka idhar qibla-e-deen kartha hai neeyath-e-zibha udhar Shimr-e-layeen kartha hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 167 Khanjar-e-zulm ko chamka kay pukaara dushman Bosa gaah-e-nabavi kaatoon mai ab ya gardhan Boley sheh jismay tu raazi ho nahin jaaye sukhan Halq yeh halqey Nabi hai yeh badhan unka badhan Dekh sar nangay har ek hoor-e-jinha aati hai abhi tu zibha na karna meri maa aati hai

Naagahaan aayi yeh awaaz ke amma sadqey Meray maa baap fida mein teray qurbaan sadqey Kaun kaun aaj huva tujj pa meri jaan sadqey Shair kithney huvey kithney huvey naadaan sadqey Qatl gahey ko abhi jannat sey jo mai aati thi hoor ek nanneh say laashey ko liye jaati thi

Qafela lut gaya amma mera lashkar na raha Jaddh-e-amjad ki nashaani Ali Akbar na raha Rehgaya dard-e-kamar haaye baraadar na raha Ab khabar aapne lee aanh ke jab ghar na raha ek mai hoon so mujhey qatl ki mushtaaqi hai Bosa gaah-e-nabavi katney ko ab baaqi hai .

Guftagoo maadar o farzand may hothi thi yeh aah Rothi thi Fatema mushtaaq-e-shahadath thay shah Aastheen gussey say qaatil nay chadd-haayi naagah Qehray jallad pa ki shah ney hasrath sey nigah shimr nay poocha tumhe uzr koyi ab toh nahin Boley sheh dekhlay darwaze pay Zainab toh nahin

168 Marsia Salaam Marsia Nauha Woh pukaara nazar aati nahin dar par Zainab Peet thi phirthi hai khaimey may khuley sar Zainab Gar saraachoun sey chalay aayegi baahar Zainab Rokh sakney ki nahin par mera khanjar Zainab halq ko aap ke bey khauff-o-qatar kaatoonga ek khanjar say bahen bhaayi ka sar kaatoonga

Aayee Zehra ki sadaa Shimr tu naabina hai Dar paa Zainab nahin baleen paa magar Zehra hai Aray bey-rahem qataa meray pisar ki kya hai Aastheen ulttee hai kyon taigh ko kyon khainchaa hai Kya isay paala tha mainey teray khanjar ke liye meray bachchey ko na kar zibhaa payarnbar ke liye

*****

Ibne Ali jo baage risaalat luta chuka Bhai ki aur baap ki dowlat luta chuka Poonji haram ki apni biza-at luta chuka Sab kuch baraae baqshishe ummat luta chuka Baaqi koi shaheedon ke daftar mein ab nahin Juz Abede mareez koi ghar mein ab nahin

Tanha khade thay fauj mein shah-hey falak viqar Jo aai chaar simt se phir fauje badhshiyaar Dekha ke hae niyaam mein Hyder ki zulfiqar Jurrat hui har ek ko badh kar lagaae vaar Yaade Khuda mein shah ne sab kuch bhula diya Jab zaqm khaya shukr kiya muskura diya

Salaam Marsia Nauha Marsia 169 Tukde hua jabeen se kamar tak taneh imam Ghabragaya faras toh yeh bole shahe anaam Ae Zuljanah yaan se hatana na ek gaam Ab jang bhi tamam hae aur hum bhi hae tamam Ghere huve hae fauj ajal saddeh raah hae Jayega ab kahan ke yehi qatl gaah hae

Muztar na ho lagein toh lagein navake sitam Kuch gham nahin jo padti hain talwarein dum badum Maare na dum jo tanh se ho sau baar sar qalam Rahat ke dukh samajhte hain raahe Khuda mein hum Paidah huve hain dardo museebat ke waastey Yeh sab qubool hain hamein ummat ke waastey

Mujhko na qatl hone ka gham hae na kuch malal Ghar ki hae ab na fikr na bachhon ka hae qayal Jana qareeb hae su-e darbare zuljalal Yeh fikr hae ke dekhiye hota hae kya ma-aal mursil bhi thar tharate hain is baargah mein Kya nazr leke jaaon janabe Ilaah mein

Yeh kehte thay ke sar pah lagi teghe aabdaar Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar Girne lage jo zeen se imame falak viqar Baitha zameen pah tek ke ghutnon ko rahvaar Ghash mein jigar pakad ke ba dardo alam gire sambhla gaya na qaak pah shah hey umam gire

170 Marsia Salaam Marsia Nauha Di badhke paek ne pisare Saad ko qabar Ghode se gir pada asad ullah ka pisar Bashaash hoke shumr se bola woh qeerasar Ja jaldi ja nabi ke nawaase ko qatl kar Ghul ho dilavari ka teri shehar shehar mein Qanjar woh khenchle jo bujhaya ho zehar mein

Qanjar pakad kar Shumr chala aasteen chadae Bola yeh Ibne Saad ke qooli bhi saath jaae Dono laeen jo laashae Sarwar ke paas aae Pehloo se Fatema ne sada di ke hai hai Qanjar liye hue sitam eejad aae hain Chownko Hussain zibha ko jallad aae hain

Roohe janabe Fatema Zehra ne di sada Sadqe main is laboun ke is awaaz par fida Iska nahin qayal ke kat-ta hae ab gala Yeh sabr marhaba mere mazloom marhaba Tukde hae jism pyaas se hoton pah jaan hae ae laal marte waqt bhi ummat ka dhyan hae

Kyonkar kahoon tataaviley shumre sitam shiyaar Pyaase gale pah sheh ki rakhi teghe aab daar Ghar se idhar nikal padi Zainab jigar figaar Chillayi moonh Najaf ki taraf karke ek baar halqe Hussain kat tha hae qanjar ki dhaar se Ya Murtuza Ali nikal aao mazaar se

Salaam Marsia Nauha Marsia 171 Ya shere kirdegaar ulat doh jahaan ko Faryaad se hilado zameen aasmaan ko Karte hain zibha ahle sitam mehmaan ko Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko shamsheer chalne paaye na pyaase ke halq par rajkh deejiye halq apna nawaase ke halq par

Yeh kehke su-ey maqtal shahe umam chali Moonh apna peet thi huvi ba dardo gham chali Uth kar kabhi giri toh kabhi doh qadam chali Aur vaan gulooe shah pah teghe doh dum chali Pahunchi toh qaatema tha shahe mashreqain ka shumre laeen ke haath mein tha sar Hussain ka

*****

Ae mominon Hussain pah shiddat ki pyaas hae Jungle mein Fatema ka pisar behawaas hae Yavar na koi hae na koi bhai paas hae Laashe utha ke laane se moula udaas hae loo chal rahi thi pyaas thi waqte zawaal tha Bay chaen run mein dhoop se Zehra ka laal tha

Ae mominon qayal karo dil mein tum zara Woh pyaas aur woh zaqm woh sehra-e Karbala Woh saamne ki dhoop woh zakhmoun ka moonh khula Woh loo se phatna zaqmon ka woh dard woh jafa Kya dukh uthaae Fatema ke noore ain ne aafat sahi tumhare liye yeh Hussain ne

172 Marsia Salaam Marsia Nauha Aada se keh rahe thay yeh moula ghareeb hoon Allah ke habeeb ka yaaro habeeb hoon Ek dum mein dum nikalta hae ab anqareeb hoon Zaqmi hoon begunaah hoon aafat naseeb hoon Tum jiske kalma goh ho main uska nawaasa hoon Paani pilake zibha karo yaro pyaasa hoon

Kehte thay yeh Hussain ke ek zalzala hua Saaton tabaq zameen ke hile aasman hila Naagah aayi Fatema Zehra ki yeh sada Waqte namaaze Asr bhi nazdeek aagaya Tifli mein jo kiya tha woh vaada wafa karo Jhuk kar Hussain shukr ka sajda ada karo

Jis dum suni Hussain ne Zehra ki yeh sada Qowfe Khuda se kaamp gaye sar se taaba pa Ghash khake farshe zeen se gire wa museebatah Har zaqm se nikalne lagi shukr ki sada sajde mein sar tha dhyan tha us kaar saaz par rothay thay shah sar dhare qaake niyaaz par

Us dum layeen ne door se dekha yeh maajera Shumre laeen ko paas bulakar yeh tab kaha Sibte rasool qaak pah behosh hae pada Kya dekhta hae waqt phir aisa na aayega Zaqmoun se choor hae taneh athar Hussain ka haan jald jake kaat le ab sar Hussain ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 173 Yeh misdah sunke aagaya laaluch mein woh la-een Qanjar pakad ke aaya qareebe imame deen Chaati pah zaanu rakh ke chadaai jo aasteen Tab noore chashme Fatema ne ankhen khol deen Dekha toh koi dost hae na ghamgusaar hae Qanjar gale peh seene pah qatil sawaar hae

Farmaya sheh ne kaun hae to ae sitam shiaar Kyon mere zaqmi seene pah aakar hua sawaar Qanjar mere gale pah joh rakhta hae baar baar Samjha hae kis qata pah mujhe tu gunahgaar Deta hae ranj roohe risalat panah ko Kyon zibha karne aaya hae mujh be gunah ko

Is par bhi kuch na dil mein laeen ke asar hua Qanjar se kaatne laga mazloom ka gala Is waqt aai Fatema Zehra ki yeh sada Ae shumr mera laal hae bejurmo beqata Yeh zulm Mustafa ke nawase ke halq par Qanjar na pher bhooke ke pyaase ke halq par

Maine badey dukhon se hae paala Hussain ko Nahaq tu zibha karta hae pyaasa Hussain ko Lillah na zere tegh tu tadpa Hussain ko Phat teh hain zaqm hoti hae eeza Hussain ko Zalim kaleja phat ta hae mujh dil malool ka Bachhe ko mere chod de sadqa rasool ka

*****

174 Marsia Salaam Marsia Nauha Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka Kausar pa qaafila gayaa pyaasi sipaah ka Ghar lutt gaya janaab-e-Risalath panaha ka Khaakh udd rahi thi haal yeh tha baargah ka Bhaayi thay na rafeeq na woh noor-e-ain thay Doh bahenay ronay waali thi aur ek Hussain

Farmaatey thay ke waah yeh taaqeer hai ajal Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal Ab mujhko ek baras ke baraabar hai ek pal Maut aaye ab yeh hai shajar zindagi ka phal ek jaa chhuri galoun pey jo chalthi tho khoob tha Yeh jaan unkey saath nikalti tho khoob tha .

Hum sab ke baad khalq sey jaaney ko reh gaye Sar peetnay ko ashk bahaaney ko reh gaye Is naujawaan ka daagh utthaaney ko reh gaye Peeri may aah ttohkarein khaaney ko reh gaye Beta kahan khabar jo damay inteqaal ley ithna nahin koyi ke giroon tho sambhaaley

Naagaah suey laashey pisar ja padi nazar Chillaaye dil ko thaam ke sultaan-e-behrobarr Sothay ho kya dharey huvey rukhsaar khaakh par Akbar utto ke ghodey sey girthaa hai ab pidar Bhooley pidar ko neendh may qurbaan aapke aao namaz-e-asr padho saath baap ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 175 Abbas-e-naamdaar taraayi sey utt ke aao Phut tha hai qalb jal rahey hain sab jigar ke ghaao Chiddko meri zirah pa jo paani kahin se paao Chaltey huvey adam ke musaafir sey miltey jaao Ghaflath ki turnko neend hai Shabbir kya karey meri tarah kisi ko na beykas Khuda karey

Chillaaya fouj ko pisar-e-saad-e-naabakar Lo gher lo Hussain ko sab milkay ek baar Paltey paday savaaroun ke lekar risaladaar Doh ghol baandhey aaye kamadaar dus hazaar Teer afghanou may teghoun may bhaaloun may ghir gaye Beykas Husain barchiyou waaloun may ghir gaye

Sayyed ke marthabey ko naa jaana hazaar haif Teeroun sey sadr paak ko chhaana hazaar haif Shaaney thay nokoun ka nashaana hazaar haif Mazloom ka woh barchiyaan khaana hazaar haif Tootey thay sab Rasool ke pyaarey Hussain par Kya waqt padd gaya tha tumharey Hussain par

Girthay hain aap kaun sambhaaley koyi nahin Seenay say kaun teer nikaaley koyi nahin Sab marchukey hain chaahaney waaley koyi nahin Bey jaan padey hain godh ke paaley koyi nahin Beykas hain aap zor sipaahey-adoo ka hai muh jiska dekhtey hain woh pyaasa lahoo ka hai

176 Marsia Salaam Marsia Nauha Fizza ney jaakey khaimey may beyvoun ko di khabar Hai hai meray khuzaadey ka kat-tha hai tanh sey sar Bistar sey utt ke gir padey Sajjad-e-nauhagar Khaimey say nikli bibiyaan bachchoun ko choddkar hiltha tha arsh Hazrat-e-Zainab ke bayn sey Gir gir kar daudti thi ke mil-loon Hussain sey

Chillaati thi aray mera bhaayi hai kis taraf Looti huvi Ali ki kamaayi hai kis taraf Dariya kidhar hai khoon ka taraayi hai kis taraf Sonay ki jaan Hussain ney paayi hai kis taraf rastha dey aye zameen ke falak ki sataayi noon mai apney pyaarey bhaayi sey milney ko aayi hoon .

Main Sayyeda hoon rahem karo laash ko bathaao Aye ahley qariyaa binte Ali ki madad ko aao Duniya may tum khushi raho uqbaa may chaen paao Syed kidhar hai khoon may ghalthaan bathaaye jaao Yaan lut gaye falak ne yeh dukh hum pa daaley hain aye bhaayio madiney ke hum rehnay waaley hain

Sheh ke karaahaney ki jo aaney lagi sadaa Daudi udhar Nabi ki nawaasi barhainaa paa Dekha bahen ney cut-thay huvey bhaayi ka gala Aankhon paa haath rakh ke giri bintey Murtuza Gham sey kaleyjaa phat gaya Zehra ki Jaayi ka Utthi toh dekha naizey pa sar apney bhaayi ka

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 177 Aah huvey Kaaba-e-qurbaani-e-daavar hai Hussain Fidyaa-e-ummath-e-marhoom-e-Payambar hai Hussain Beykas-o-beywatan-o-beydil-o-beypar hai Hussain Sabr-e-Ayyub ki shamsheer ka jauhar hai Hussain Gohkay talwaar phiree halq pa sattarr baari shukr-e-baari kiya pyaasey ney magar har baari

Ittefaaq-e-Ulaama ismay hai aye ahley aza Paanch shartain hai zabeeha kay liye peish-e-Khuda Sharth-e-awwal hai kay haiwaan na ho bhooka pyaasa Ehtiyaatan badam-e-zibha bhi doh aabo ghizaa sharth-e-saani hai kay ho jumah toh taakheer karo Jumah ko waqth-e-namaaz isko na takbeer karo

Teesri sharth hai haiwaan na ho peish-e-haiwaan Thaadam-e-zibha na hasrath sey ho baaham nigraan Sharth-e-chahaarum hai kay jaldi na karo taa imkaan Ho churee teiz magar haath ho narmi sey ravaan sharth-e-panjum hai churee bhi na dikhaao usko Zibhaa sey pehlay qazaa sey na daraao usko

Zibhey haiwaan ki yeh sharthayn hain magar wawailaa Ashraf-e-khalq jo tha sibte Nabi noor-e-Khuda Aah huvey shair-e-Khuda fidyaa-e-Rabb-e-dohsaraa Khaana kaisa kay na paani usay qaatil ney diyaa halq tarr karthay hain qassaab bhi qurbaani ka Qathra ummath ney na Syed ko diya paani ka

178 Marsia Salaam Marsia Nauha Zibhey haiwaan ka nahin hukm hai haiwaan kay huzoor Yaan na Shabbir thay kuch door na Zainab thi door Aal-e-Ahmad dar-e-khaimey pa khadi thi majboor Lout-thi thi kahin Kubra kahin Abid ranjoor shah unko woh suey Shaahey Umam dekhtay thay Zibhaa hothay thay Husain Ahley harum dekhtay thay

Manaa dikhlaana churee ka hai paey qurbaani Yaan tha chey laakh kay narghay main Ali ka jaani Teigh-o-khanjar liye thay girdh-e-sitham kay baani Aab-e-aahan kay siwaa tha na mayassar paani al-atash ki thi sadaa halq-e-Shahey Zeeshaan sey Pyaas kay maarey zabaan chaabthay thay dandaan sey

Eid-e-zilhijja ko hai qurbaani-e-haiwaan illaah Ho jo ek saal sey kam zibha nahin iska ravaa Tumko Akbar ki jawaani ki qasam Ahle azaa Qatl Asghar ko jo ummath ney kiya kya sin thaa shab-e-haftum sey qalaq doodh na peenay ka thaa Teesra faaqa tha aur sin chey mahiney ka thaa

Na abhi kangee kay qaabil thay jhandolay woh baal Aah qurbaani-e-Asghar huvi kis tarhaa halaal Doodh ka hountoun pa aatha tha ishaara na sawaal Juzz Khuda kuch bhi na pehchaantha tha banu ka laal maa ka dil iskay ishaarey ko samajh leytha tha Doodh ki hothi thi khwaahish toh woh rotha tha

Salaam Marsia Nauha Marsia 179 Ek bhi daanth na niklaa tha Ali Asghar ka Ek baalish ka kurtha tha Ali Asghar ka Chotaa qadh nanhaa sa jhoola tha Ali Asghar ka Doodh peena bhi na choota tha Ali Asghar ka moonh sey maa baap ka bhi naam na ek baar liya Bey zabaan bachchey ko bhi hurmulaa ney maar liya

Ek jaan laakh khareedaar ayaazan billah Pyaasey par teeroun ki bochaar ayaazan billah Na koyi yaar na ghamqaar ayaazan billah Har taraf zaalimo khoonqaar ayaazan billah apney ruthbey ka kisi ka na shanaasa dekha Dekha pyaasey ney jisey khoon ka pyaasa dekha

Teen baari huvey jab pyaas sey beyhoush Imam Aakhir-ul-amr kiya pyaas mai rokar yeh kalaam Aiyyohan-naas meray qatl pa baandho na husaam Pyaas sey teen shab-o-roz ki hai kaam tamaam ab koyi pyaasoun main baaqi nahin mai tanha hoon Chaaho paani doh mujhey chaaho na doh pyaasa hoon

Abhi yeh kehna chukaa tha pisar-e-Shaahey Najaf Sau hazaar ahley jafaa toot paday teigh bakaf Sab kamaan daaroun kay teer aur dil-e-Shabbir hadaf Girdh jallaadh thay aur beech mai Zehra ka Khalaf hokay beyhoush girey jab Shahey deen ghoday sey saath hi koodh padaa shimr-e-layeen ghoday sey

180 Marsia Salaam Marsia Nauha Aayaa ghussey mai qareenshah kay woh badh akhtar Teigh ek haath mai ek haath mai kheinchay khanjar Bey adab ney joy eh chaahaa kay chadey seenay par Shah chupkay sey yeh bolay kay teihar shimr teihar sunlay duniya mai meray baad tujhey rehna hai Tujhsey kuch apne yateemon kay liye kehna hai

Keh toh doon aagay amal uspaa tu kar ya kay na kar Shimr bolaa kay bhalaa khair kaho aye Sarwar Kaha Sheh ney meri gardhan pa chalay jab khanjar Qibla roo laash litaa deinaa uddhaakar chaadar aur ithna tu meri rooh pa ehsaan karna Dekh saidaaniyoun kay sar ko na uryaan karna

Qatl waaris huvey ab unkay sathaaney sey kya Jiska waali na ho us ghar kay jalaaney sey kya Aap hi rothay hain bevoun kay rulaaney sey kya Nangay sar pardha nasheenoun kay phiraaney sey kya Ya tu rauze pa Nabi kay unhey pahooncha deinaa Ya inhey waarisoun kay laashoun pa bitlaa deinaa

Beti ek teen baras ki hai Sakina meri aah Dekh tu usko tamaachey na lagaana gumraah Woh jo roye na ghurakna na darraana lillah Mainey naazoun sey usay paala hai Khaaliq hai gawaah Kal talak thi meray seenay ki woh sonay waali ab woh hai sahib-e-maatam meri ronay waali

Salaam Marsia Nauha Marsia 181 Shimr bola kay Sakina ko bohoth chahathay ho Sheh ney farmaaya kay haan sabmay hai pyaari mujhko Sangh dil bola toh bas khair tum ab kuch na kaho Main nahin suntha Sakina ki sifaarish na karo main tamaachey usay maaroonga ghurakh bhi doongaa Jitni dijaayegi eezaa main useeko doongaa

*****

Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa Raunaq utthi zameen sey Imam-e-Zamaan giraa Girney pa sab giroh liye barchiyaan giraa Hai hai na in jafaaoun pa bhi aasmaan giraa Zehra sey poochiyeh khalaq noor-e-ain ka Taphna zameen pa aur tadapnaa Hussain ka

Mushtaaq-e-sair-e-zibhaa baday afsaraaney keen Qaatil kayee khadey huvey aakar qareen qareen Koyi pukaara haan koyi bolaa abhi nahin Ab deir kya hai sajdeh main rakh leinay doh jabeen aawaaz dee umar ney hai gardhan dhalee huvi Qaatil pukaara aankh abhi hai khulee huvi

Sab tham gaye magar na thamaa shimr-e-badh shiyam Sar peetnay ki jaa hai rakha us jagaah qadam Seena dabaah toh aur bhi tadpey Shahey Umam Shor-o-fughaan sunaa isi haalath mai dam-ba-dam Qaatil sey poocha dekh kidhar ghul yeh hotha hai hai hai Hussain kehkay koyi run mai rotha hai

182 Marsia Salaam Marsia Nauha Woh bola koyee hoga main dekhoon bhalaa kidhar Ab teigh par nigaah hai Sheh ragh pa hai nazar Haan jab sawaar honay lagaa tha main seenay par Saidaani ek niklee thi khaimey sey nangay sar Us dam hamaari fouj main toh eid hothi hai mujhko yaqeen hai yeh wohi Bibi rothi hai

Sheh bolay aur koyee nahin yeh bahen bahen Aashiq bahen Hussain ki tashnaa dahan bahen Bhooli hamaarey pyaar main maa ka chalan bahen Balwaa kahan kahan yeh meri qasthaa tanh bahen Qaatil pukaara aagay bhi baahar yeh aayi thi sheh bolay jab sinaan yeh Akbar ney khaayi thi

Woh ronaa beykasi ka woh ghabraana yaas ka Woh thar-tharaana dil ka woh uddnaa hawaas ka Kehnaa bilakh bilakh kay yeh kalmaa hiraas ka Aye shimr waastha Ali Asghar ki pyaas ka lillah teen roz kay pyaasey ko chodd dey sadqaa Nabi ka unkay nawaasey ko chodd dey

Thamjaa Khuda ko maan Habeeb-e-Khuda ko maan Zehra ko maan Hazrath-e-Mushkil Kusha ko maan Saugandh faqr-o-faaqaa-e-Aal-e-Abaa ko maan Apni Rasool zaadi ki tu ilteijaah ko maan saarey buzurgh margaye mujh badhnaseeb kay meraa koyi nahin hai siwaa is ghareeb kay

Salaam Marsia Nauha Marsia 183 Aye shimr main galay sey lagaaloon toh zibhaa kar Bhaayi sey milkay khaimey main jaaloon toh zibhaa kar Kuch dard apney dil ka sunaaloon toh zibhaa kar Syed ko Qibla roo main litaaloon toh zibhaa kar Paani toh bhookay pyaasey ko aye badhqisaal dey hai waqt-e-zibha aankhoun pa kapdaa toh daal dey

Aye shimr tujhko Khaaliq-e-Akbar ka waastha Aye shimr tujhko roohey Payambar ka waastha Aye shimr tujhko Hyder-e-Safdar ka waastha Aye shimr tujhko nanhey sey Asghar ka waastha lillah kar na zibhaa Shahey mashraqain ko main bheek maangthi hoon mujhey dey Hussain ko

*****

Kiski zabaan sey pyaas ney paayi hai aabroo Kis tashnaa labb kay hissey mein aayi hai aabroo Imaan kiski khaak pah laayi hai aabroo Aansoo ki kiskay gham ney baddhaayi hai aabroo Kis pyaasey kay qalaq mein hamein shor-o-shayn hai Poochaa jo naam pyaas pukaari Hussain hai

Narghaa huva Hussain pah jo fouj-e-Shaam ka Teeroun sey jism chhan gayaa Shaahey anaam ka Chillaaya naam leykay layeen khaas-o-aam ka Aye marhabaa yeh hamlaa kiya tu ney kaam ka haan meray rustumo na amaan doh Hussain ko nokhoun pah barchiyoun ki utthaalo Hussain ko

184 Marsia Salaam Marsia Nauha Taaqath huvi jo taaq Shahey deen panaah ki Hasrath sey su-ey ganj-e-Shaheedaan nigaah ki Raakib ko Zuljanaah ney dekha aur aah ki Rokar Hussain bolay jo marzee ilaah ki Dard-o-alam ki kis sey talab daad kijiyeh Bolaa woh beyzabaan kuch irshaad kijiyeh

Shafqath sey haath ghoday ki gardhan mein daalkar Bolay hamein kuch aankhoun sey aathaa nahin nazar Ghoday tu chal kay ganj-e-Shaheedaan mein ghaur kar Aaraam kartay hain Ali Akbar meray kidhar aye asphey ba-wafaa meray dil ko qaraar dey aashiq ko chal kay unkay baraabar utaar dey

Ghodaa qadam qadam su-ey maqtal huva ravaan Yaani na Sheh kay jism ko ho sadmaa-e-takaan Ek naujawaan ki laash pah tehraa woh naagahaan Boo soungh kar Hussain pukaarey yehi hai haan Baitthaa jo Zuljanaah kay aap uthrey zeen sey Doh haath kaampthay huvey nikley zameen sey

Haathoun kay saath aayi yeh aawaaz naagahaan Hai hai yeh gehray zakhm yeh garmi hai al-amaan Aakar sambhaaltey nahin Abbas hain kahaan Aao hamaari goadh mein aao nisaar maan markar bhi hum judaa nahin pyaarey kay saath hain Waari yeh teray paalney waali kay haath hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 185 Un haathoun ka milaa jo sahaara Hussain ko Ghoday ney beytakaan uthaara Hussain ko Naizaa sinaan ney daud kay maara Hussain ko Phir toh rahaa na zabth ka yaara Hussain ko Jalthi zameen pah ghash kayi saa-ath padhey rahey Jallaad girdh teighoun ko kheinchey khadey rahey

Lo momino laraztha hai ab dasht-e-Karbala Lo ghash huva Batool ki aaghosh ka palaa Lo shimr zibhaa karney ko mazloom kay chalaa Lo ab chhuree hai aur Nabi zaadeh ka galaa Betay muaiy na niklee magar ab nikal padhee mooh dhaampoh aye Hussainio Zainab nikal padhee

*****

Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main Tanhaa rahey Shaahey Shohadaa dashtey balaa main Taaqath na rahi jism-e-Imam-e-dosaraa main Koyi na raha Sheh kay azeezo rufaqaa main sarkaar ki rounaq thi na darbaar tha baaqi luttney ko harum marney ko Sardaar tha baaqi

Farmaatay thay haathoun pa liye laasha-e-Asghar Maqbool ho aye baar-e-Khuda hadyaa-e-ehqar Kis mooh sey tera shukr karoon aye meray daavar Tuneh meray Asghar ko diya ruthbaa-e-Akbar Jaan apni meray shiyoun kay bachchoun pa fida ki shashmaahey pa bilkul hai yeh taaeedh Khuda ki

186 Marsia Salaam Marsia Nauha Gham ka mujhey gham hai na khushi mujhko khushi ki Tu sar pa hai parwaah nahin bandhay ko kisi ki Haan ek yeh haajath hai Hussain ibney Ali ki Sar nangay na dekhoon main nawaasi ko nabi ki Bey pardaah woh jab ho kay main paiwandh-e- zameen hoon aur yoon teri marzi hai toh baahar bhi nahin hoon

Lashkar diya kunbaa diya ghar bhi diya tunay Sardaar bhi tunay kiya sar bhi diya tunay Humshakl-e-Payamber sa pisar bhi diya tunay Yeh houslaa yeh dil yeh jigar bhi diya tunay Kya faqr jo pyaaroun ko rahey haq main diya hai Teri hi inaayath ko fidaa tujh pa kiya hai

Mujh main thi yeh qudrath kay bharey ghar ko lutaatha Waan qatl ho Akbar idhar Asghar ko main laatha Taddpay yeh meray haathoun pa main labb na hilaatha Baazu ho judaah haath na ummath pa utthaatha Yoon khush koyi hungaam-e-tabaahi nahin hotha Bandhay sey yeh bey fazley ilaahi nahin hotha

Ummath ney bhulaaya hai mujhey tu na bhulaana Tu paak hai duniya sey mujhey paak utthaana Sab chodd kay tanhaa huvey jannath ko ravaana Aye baar-e-Khuda qabr ki wehshath sey bachaana Jab gor-e-ghareebaan ka andheira nazar aaye har samth ko jalwaa mujhey tera nazar aaye

Salaam Marsia Nauha Marsia 187 Naagah nida pardaa-e-Qudrath sey yeh aayi Shaabaash kay tasleem-o-riza khoob dikhaayi Bandhay tujhey humney kiya Muqtaar-e-Khudaayi Khaasaan-e-Khuda kartay hain yoon waada wafaayi Pyaarey bhi musaaheb bhi fidaa kardiye tunay iqraar tha ek sar ka bahaathar diye tunay

Bas bas kay Khuda ab tera sharmaatha hai Shabbir Kyon meray huzoor aaney main ghabraatha hai Shabbir Taalib hoon main jis hadyeh ka tu laatha hai Shabbir Bandhoun ka hamein ijzz pasandh aatha hai Shabbir Tu izr ka tohfaa meri dargaah ko samjhaa main ruthbaa tera samjhaa tu Allah ko samjhaa

Hazrath ney suneh hukm-e-ilaahi jo yeh saarey Bey saaqtha murddkar su-aiy kuffaar pukaarey Qaatil hai kahaan aaye meray sar ko uthaarey Deodi sey bahen boli main qurbaan tumhaarey saidaniyaan dukh main kisey chillaegi bhaayi Bin maa ki yeh behnay teri lutt jaayengi bhaayi

Waan zaalimoun ney mourchay ek daf-faa baddhaaye Baadal ki tarhaa Fatema kay chaand pa chaaye Yoon teer-e-jafaa maarey kay seenay main dar aaye Naizey jo lagaaye toh kaleijey main lagaaye Zakhmoun sey toh khoon-e-badan-e-Shah tha jaari aur mooh sey tawakkalto Alallah tha jaari

188 Marsia Salaam Marsia Nauha Barchee kabhi pehloo pa chali aur kabhi shamsheer Patthar kabhi maathay pa lagaa aur kabhi teer Sambhlaa na gaya hogaye ghash Hazrath-e-Shabbir Aur seena-e-zakhmi pa chaddha zaalim-e-beypeer sar peet kay mindheel farishtoun ney giraa di Zaalim ney chhuree halq pa Syed kay phiraadi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 189 Shaam-e-Gharibaan

Kehti thi run may aakay Sakina jawaab doh Jaaney Nabi-o-Fatima Zehra jawaab doh Kya so rahey ho khaak pa tanhaa jawaab doh Aayi hoon turnko dhoondney isjaa jawaab doh marthi hoon gham sey meray maseehaa jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Zakhmi huvey hain kaan meray chhin gaye gauhar Kis say kahoon ke zakhmoun may hai dard baishtarr Faryaad turnsey karney main aayi hoon aye pidar Hai qaabiley mulaahezaa yeh haal sar ba sar Dekho yeh khoon bharaa huva kurta jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Qaidi banaake shaam ko leijaatey hain hamein Pursaa nahin hai koyi ke kuch unsey hum kahein Faryaad gham zadoun ki na Hazrat bhi gar sunein Kab tak in aafathoun may raheiy aah kya karein Kya kah rahi hoon Syed-e-wala jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aye jaan-e-Fatima-o-payamber utho utho Aye nor-e-ain-e-Faatha-e-khaiber utho utho Dekho aseer hogayi Qaahar utho utho Chilla rahi hai aapki dukhtar utho utho Kya so rahay ho beti key shaida jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

190 Marsia Salaam Marsia Nauha Beygoar kyon paday hain tumharey rafiq sab Laasha yeh jalti reith pa main dekhti hoon jab Hotha hai meray dil paa dubaala gham-o-taabh Dafnaatha inko koyi nahin is ka kya sabab Kyon beykafan har ek ka hai laasha jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aati hai Daadijaan ki awaaz yaan suno Kis dard sey pukaarti hai Babajaan suno Karti hai kaisey ranjo alam ke bayaan suno Kya so rahay ho binte Nabi ki fughaan suno Kin mannathoun say kehti hai Zehra jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Poochey jo mujhsey haal, tumhaara bayaan karoon Pyaasey shaheed ho gaye Baba bayaan karoon Akbar ka mainey dekha hai laasha bayaan karoon Asghar ka sar bhi naizay pa dekha bayaan karoon Kya kehkay is ko doon main dilaasa jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Rothay thay aap main jo kabhi karthi thi fughaan Samjhaakay leikay goadh may kartey thay yoon bayaan Qurbaan teri aankhoun ke aansoo na kar rawaan Ab mera rona aur yeh gham khana Babajaan Kyon aap ko hua hai gawaara jawaab doh Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 191 Ahley haram pey aaj qayamat ki raat hai Jungle darouna hay yeh wehshat ki raat hai Hai hai yateem rotay hain ghurbath ki raat hai Sar par nahin Hussain yeh furqath ki raat hai Khaime jaley padein hain Shahey mashraqain kay mitthi pey aaj sothay hain bachchey Hussain kay

Woh raat andheri aur woh maidaan-e-Karbala Laashey padey hain reyth pey jinkay hain sar judaa Ghurbath yeh keh rahi hai kay in par huvi jafaa Chaadar udaaey kaun haram sab hain beyridaa sar dekay raah-e-haq mein yunhi naam kartey hain Din bhar kay hain thakey huvey aaraam kartey hain

Shaam-e-ghareeban karti hai Zainab ajab fugaan Naalon sey hil rahey hain zameen aur asmaan Hai hai Hussain kehkay jo roti hai neemjaan Run mein wahaan tadapti hai laash-e-Shahey zamaan aawaaz aa rahi hai bahen main teray nisaar aey ghamgusaar meray yateemon sey hoshiyaar

Zainab ka sabr dekh kay hotha hai dil figaar Bachon ko bibiyon ko jamaa kar kay sogwaar Taskeen dilaasa deyti hai bhaayi ki ghamgusaar Lekin Sakina puchti hai rokay baar baar Baba kab aayeingay phupi baba kab aayeingay seenay pey apney woh mujhey phir kab sulaaengay

192 Marsia Salaam Marsia Nauha Zainab ney pyaar kar kay yateem-e-Hussain ko Goudi mein apni ley liya is noor-e-ain ko Bibi zaraa toh kijiyo kam shor-o-shain ko Kal subha dekh lo gi Shahey Mashraqain ko Behlaayi yoon phupi kay woh khamoosh hogayi Gurbat sey maa kay zaanu pey sar rakh kay sogayi

Guzri hai aadhi raat falak bhi hai nauhagar Girtey hain taarey toot kay maanind-e-Ashk-e-tarr Aur chupkay chupkay rothi hai ek bibi nangey sar Hai chob-e-khaimaa haath mein baandhi huvi kamar Kaati hai raat ankhon mein Zehra ki gul-e-zaar masroof hai talaaya mein bhaayi ki sogwaar

Awaaz aayi ghodon kay taapon ki naagahaan Dekha sawaar aata hai is simth bey takaan Baddkar pukaari kaun hai kya kaam hai yahaan Waaris humaarey qatl huvey lutt gaya makaan allah hai gawaah nahin paas maal-o-zar Chaadar humari chinn gayi aur hum hai nangey sar

Lekin badaaey aata tha ghodey ko woh sawaar Zainab kay pass rok liya aakay raahwaar Ultti naqaab chehrey sey utraa woh Shehsawaar Beti kay saamney thay khadey Sher-e-kirdagaar hai khaak sar pa thaamey kalejey ko aaye hain Pursa bahen ko bhaayi ka denay ko aaye hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 193 Pehlaa kay haath baap sey Zainab lipatt gayi Ro ro kehti thi meri qismat ulatt gayi Baaqi jo Panjetan ki nishaani thi mitt gayi Baba main apney bhaayi sey jungle mein chutt gayi amma ka ghar bharaa huva barbaad hogaya sehra jo Karbala ka tha aabaad hogaya

Ro kar kahaa Ali ney ho qurbaan yeh pidar Soyi-yoh thodi der kay hoti hai ab saher Dar peish subhaa ko hai tumhein Shaam ka safar Darbaar mein yazeed kay jaana hai nangey sar mushkilkusha hoon zulm yeh dekhey na jaayengay Beti rasan sey haath teray baandhey jaayengay

Aayi sadaa-e-Fatima faryaad Ya Ali Kheti hamaari hogayi barbaad Ya Ali Mushkilkusha-e-khalq ho rudaad Ya Ali Bachchon pey meray hogayi beydaad Ya Ali Kheti meri ujadd gayi ghar mera lutt gaya Zainab hai bey ridaa sar-e-Shabbir katt gaya

*****

194 Marsia Salaam Marsia Nauha Safar-e-Kufa

Jab lutke Karbala se aseere sitam chale Sajjad sar barahna ba dardo alam chale Rothay saron ko peet teh paaband gham chale Zainab ne laashe sheh se kaha bhai hum chale marne se aapke main yeh eeza uthati hoon Darbar mein yazeed ke sar nangay jaati hoon

Hae hae mere musafire Karbobala Hussain Hae hae mere ghareeb mere mehleqa Hussain Hae hae tujhe na paani ka qatra mila Hussain Hae hae tamam tanh tera tukde hua Hussain Pyase gale pah qanjare bedad chal gaya hae hae tadap tadap ke tera dum nikal gaya

Le nainawa Ali ki biza-at tujhe mili Ae Karbala Khuda ki amanat tujhe mili Ae qaak meri maa ki riyazat tujhe mili Le ae zameene shammey imaamat tujhe mili Daman tera bhara meri kheti ujad gayi sarhad mai tere bhai se Zainab bichad gayi

Yeh kehke sar ko peet ke roi woh dil jalee Aakar Najaf se haal mera dekho ya Ali Gardan rasan mein aapke beti ki hae bandhi Kehti yeh Maariya se woh ba chashm tar chali hae hae mai Karbala-e-mo-alla mein lut gayi Pardes mein mai aake biradar se chut gayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 195 Kya lutf zindagi ka jo naqsha bigadh gaya Kyonkar na tadpoon aah bada paich padh gaya Is qaafele ka qaafela waala bichad gaya Hae hae hamara kaisa bhara ghar ujad gaya Pardesiyon ne chawni jungle mein chaai hae Bhai ne mere ek nayi basti basaai hae

Mehmaan bula ke hum se dagha ki laeenoun ne Kya kya na hum pah jorojafa ki laeenon ne Kuch bhi zara na sharmo haya ki laeenon ne Gardan qifa se sheh ki juda ki laeenon ne Qaima jala ke ahle sitam shaad hogaye hum Karbala mein aan ke barbaad hogaye

Bhai pah mere saamne naize chala kiye Teghho tabar badan pah barabar laga kiye Shabbir shukr shukr he moonh se kaha kiye Utra na shumr seene se besar judah kiye rothi rahi mae woh sare Shabbir le gaya Bhai ki mere khoon bhari tasweer le gaya

Faryad hum ghareebon ki suntah nahin koi Kis se kahoon jo hum pah museebat guzar gayi Chadar bhi moonh chupaane ko sar par nahin rahi Sar khole shahre Shaam mein aayi mai diljali aada hamein dikha ke sare sheh rulaate hain ab saamne shaqi ke mujhe leke jaate hain

*****

196 Marsia Salaam Marsia Nauha Darbaar-e-Shaam

Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum guzar huva Zaanu pa jhuk kay sharm sey ooncha na sar huva Farth-e-hayaa sey jism paseenay mai tarr huva Har soo hujoom dekh kay tukhdey jigar huva Phir kar tamaam koocha-o-baazaar-e-Shaam mai shehzaadiyaan pahoonch gayeen darbaar-e-aam mai

Taa deir ki yazeed sey Abid ney gufthagoo Royaa kiye jhukaaye huvey sar ko sab adoo Mehjoob hokay taqth sey utthaa siyaah rooh Daakhil huva mahal main badh athwaar-o-thundhakhoo apney gharoun ko roosiyaa sab shaadmaan gaye Zindaan ko Ahlebaith-e-Imam-e-Zamaan gaye

Bhaitey aseer-e-zulm adheirey main nangay sar Darr darr kay dekhthi thi Sakina idhar udhar Thay kis qadar thakay huvey Sajjad-e-khudsiyar Girthey hi dasth-o-paa ki na muthlaq rahi khabar Jaagay thay raat bhar jo bahot susth hogaye Deewaar par bukhaar main sar rakh kay sogaye

Baano sey dam-ba-dam yeh Sakina ka tha bayaan Kaisa makaan hai kay hawaa takh nahin jahaan Dekhoongi kis tarhaa sey bhalaa shakl-e-aasmaan Hai hai zameen takh nazar aathi nahin yahaan amma sabhoun ki jaan Khuda hi bachaaegaa shab ko bhi kya charaag jalaaya na jaayegaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 197 Aisee hi teeragi hai toh bas ho chuki hayaath Main jaanthi hoon aaj ki shab ko shab-e-wafaath Sothay thay leikay seenay pa Baba tamaam raat Aadath meri bigaadd gaye Shaahey khush sifaath Jab shamaa gul huvi hai toh ghabraakay royi hoon amma bhalaa kabhi main andheirey main soyi hoon

Maa beti main yahaan thi gham angaiz daastaan Aayi pahar kay bajjney ki aawaaz naagahaan Hoshyaar bhaayiou yeh pukaarey nigaahabaan Bhaagay aseer toh na bacheygi kisi ki jaan Tadpey dil aur habz jo deh chand hogaya Zindaan ka dar lahad ki tarhaa bandh hogaya

Chillaayi jald utt kay Sakina ghazab huva Maa ney galay lagaakay kahaa shukr ki hai jaa Qurbaan jaaoon dil ko sambhaalo payeh Khuda Dekho guzar gayee hai paher raat main fidaa ab toh bani huvi hai Khuda par nazar karo Taa subhaa jis tarhaa sey ho beti basar karo

Tadhbeerein maa ney ki payeh taskeen ajab ajab Us raat ki tarhaa sey badhaa dam-ba-dam taa-ab Ronay main katt gayee jo Sakina ko nisf shab Naachaar hokay goadh main leyti woh khush laqab susthi kamaal khaatir-e-naazukh pa chaa gayi Baathein jo maa ney ki toh zaraa neendh aagayi

198 Marsia Salaam Marsia Nauha Soyi thi koyi dam kay bandhaa aansuoun ka taar Dekhaa yeh khwaab aaye hain Sultaan-e-naamdaar Pehlaaye haath dhoondthi utthi woh dilfigaar Jhuk jhuk kay dekhti thi har ek samth baar baar Kehthi thi hai ghazab ka andheira zia nahin Baba kidhar khadey ho mujhey soojthaa nahin

Thay sab harum yateem ki baathoun pay nauhagar Rothay thay paasbaan bhi moonh dhaamp dhaamp kar Naagah gayi yazeed ko is haal ki khabar Machlee huvi hai dukhtar-e-Sultaan-e-behrobar Faryaad kar rahi hai ajab izteyraar hai Baba ko dekhney kay liye beyqaraar hai

Ley jaao farq-e-Shah yeh bolaa siyaahey rooh Leikar sar-e-Hussain ravaana huvey adoo Thi raah main chamak sar-e-anwar ki chaar soo Zindaan kay paas jaakay joh di geysuoun ney boo saidaaniyo mai hashr huvaa saff ulatt gayi Zindaan kay dar sey aakay Sakina lipatt gayi

Khush khush khadi huvi thi Sakina lagaaye aas Ithney main waan huva jo dar aayi guloun ki baas Phailee ziyaa-e-husn-e-Shahenshah-e-haq shinaas Roushan huva makaan jo muddath say tha udaas Daudey harum Hussain ki tasleem kay liye sajjad utt khadey huvey taazeem kay liye

Salaam Marsia Nauha Marsia 199 Bhaitee zameen pa leikay Sakina sar-e-Imam Moonh rakh kay moonh pa khoob kiye unskay kalaam Ghash aagaya kay laayi qazaa mauth ka payaam Liptee sar-e-pidar sey kheenchi jab raghein tamaam Tha moonh pa moonh kay zeesth ka naqsha badal gaya hichki bas ek aayi waheen dam nikal gaya

Kurtha utthaa kay seenay ko deinay lagi hawaa Zainab sey ki arz kay padhiyeh koyi dua Sajjad sey kaha kay idhar aao main fidaa Betaa bahen ki nabz toh dekho maraz hai kya Chounkaa rahey hain sab khabar-e-dastho paa nahin Ghash main kabhi yeh haal kisi ka sunaa nahin

Dekhi jo nabz ronay lagay Abid-e-hazeen Maa ney kaha tadap kay mujhey taab ab nahin Jo haal ho Khuda kay liye keh chuko kaheen Sajjad sar jhukaa kay yeh bolay kay margayeen Takleef dijiyeh na taneh paash paash ko Jaldi litaaiyeh kay azeeyath hai laash ko

Sadqey gayi huva is andheirey mai inteqaal Beti yeh daagh dil sey na jaayega maah woh saal Fizza ney paasbaanoun sey jaakar kiya sawaal Deidoh koyi charaag toh ehsaan hai kamaal ho roushni yeh rasm hai saarey jahaan mai maiyath padi huvi hai andheirey makaan mai

*****

200 Marsia Salaam Marsia Nauha Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil harum huvey Ghash aaya har qadam pah yeh zulm-o-sitham huvey Zainab pukaari haadeisay aisey bhi kam huvey Sar katt gaya Hussain ka sar nangay hum huvey Kyon aasmaan gir nahin paddtha duhaayi hai Zehra ki beti saamney haakim kay aayi hai

Moujood anjuman mein sagheer-o-kabeer hain Haakim kay girdh kursiyoun pah sab ameer hain Khaasaan-e-Zuljalaal zaleel-o-haqeer hain Mushkil kusha kay khurd-o-kalaan sab aseer hain Kehdey koyi Ali sey yeh daarus salaam mein Zainab ka daakhila huva darbaar-e-aam mein

Aye logou Karbala sey meray bhaayi ko bulaao Aye logou meray gaysuoun waaley jawaan ko laao Aye logou mera haadeisa Abbas ko sunaao Aye logou yaadgaar-e-Hasan sey kaho kay aao Qasim sey haaye kuch na kamakh us ghadi huvi Yeh baal kholay kiski dulhan hai khadi huvi

Hokar aseer dukhtar-e-khaatam jo aayi thi Naana ney meray khud isey chaadar uddhaayi thi Poshaak amma ney nayee isko pinhaayi thi Sabko yeh paas tha kay saqi ki woh jaayi thi Ummath ko haaye pass Rasool-e-Khuda nahin Zainab barhainaa sar hai aur unko hayaa nahin

Salaam Marsia Nauha Marsia 201 Baba ko meray pooch toh kaisa saqi hai woh Mushkil kusha hai kul ka Khuda ka wali hai woh Naana ko meray dekho kay sab ka wali hai woh Bhaayi kay sadqey faqr-e-Nabi-o-Ali hai woh meri khabar aseeri mein leytha nahin koyi Kapdaa bhi mooh chupaaney ko deytha nahin koyi

Darbaar mein yazeed kay harsoo tha izdihaam Tehraa rahey thay baidh kay maanind khaas-o-aam Baitta tha taqth-e-nehas pah woh nuthfaa-e-haraam Ek haath mein toh sheesha tha ek haath mein tha jaam Baalaa-e-taqth shughal tha isko sharaab ka aur zeir-e-taqth sar tha khalaf-e-Buturaab ka

Haazir wahaan tha ek farangi bhi us ghadi Rokar kahaa yazeed sey isney kay aye shaqi Teiray maamailey sey laraztha hai mera ji Sar hai tabaq mein jiska yeh mujrim hai kya koyi haasha jo mein kahoon kay yeh ahley qasoor hai Zulfoun mein boo-ey mashk hai chehray pah noor hai

Teiray maamailey sey mera housh jaata hai Kya harf-e-badh tujhey yeh kattaa sar sunaatha hai Jo choob baidh iskay labboun par lagaatha hai Koyi bhi haath murdeh kay sar par utthaatha hai iska gunaah toh mujhey hairaan kar gayaa Baaqi qasaas rehgaya aur sar utar gaya

*****

202 Marsia Salaam Marsia Nauha Mehshar ki subha aaj numaaya hai shaam main Kunbaah shafi-e-hashr ka hai izdihaam main Sar nangay roohey Fatema hai ehtemaam main Khaasaan-e-Zuljalaal hain balwa-e-aam main Jibreel ki khuzaadiyaan tashreef laayi hain mushkil Kusha ki betiyaan bandee main aayi hain

Hai beech mai khuley huvey aaley abaa kay sar Naizoun pa unkay girdh hain fouj-e-Khuda kay sar Bachchoun kay sar buzurgoun kay sar aqrobaa kay sar Rothay hain waarisoun kay saroun ko dikhaa kay sar sar rakh kay zaanuoun pa jo waaris ko rothay hain Zaalim saroun mai naizoun ki nokain chubothay hain

Naizey pa hurmulaa kay chamaktha hai ek hilaal Bikhrey huvey hain chaand sey moonh par jhandoley baal Aulaad waaley kehthay hain aye rabb-e-Zuljalaal Is beyzabaan kay khoon ka kisney liya wabaal Gardish main haaye haaye yeh kiska sithaara hai leykar balaayein kehthi thi banu hamaara hai

Naagah huva yazeed ka darwaaza aashkaar Haazir naqeebo haajibo darbaano chobbdaar Teighein alam kiye huvey jallaadh-e-naabakaar Mujraayi beyhisaab tamaashaayi beyshumaar aiwaan main bhi raqs ka saamaan tamaam tha Par intezaar-e-ithrath-e-khairul anaam tha

Salaam Marsia Nauha Marsia 203 Bolay sab ekbaar woh aaye gunaahagaar Aaye khusoorwaar woh aaye gunaahagaar Jallaado hoshyaar woh aaye gunaahagaar Woh aaye beydayaar woh aaye gunaahagaar Jabsey kay aasmaan Khuda ney banaaye hain aal-e-Rasool aaj hi bandhee main aaye hain

Rokaa umar ney baddkay Alam ko sipaah ko Mujraah par aa jamaah kay kiya baargaah ko Aur hanskay dekha aal-e-Risaalath panaah ko Aawaaz di nabeera-e-shair-e-ilaah ko haan haan mihaar rokhnaa oontoun ka thaamnaa ab hai yazeed kay dar-e-dowlath ka saamnaa

Pahoonchey muraad ko safar apna tamaam hai Uthro aseero uthro adab ka muqaam hai Aagay toh aasthaana-e-sultaan-e-shaam hai Dekho toh kya jalaal hai kya ehteshaam hai iski vilaa main arsh ko humney hilaa diya Ghar Panjetan ka khaak main bilkul milaa diya

Sun naa yeh tha kay sab kay jigar par churee chali Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay ya Ali Aankhein phiraakay rehgayee baanu ki laadli Roohey Hussain ko huvi jannath main beykali Taaqath badhan ki ghat gayee aur zouf badd gaya Uthrey jo bey sahaarey toh dum sab ka chadd gaya

204 Marsia Salaam Marsia Nauha Seenay mai dam abhi na samaaye thay hai ghazab Jo aaye reesmaan liye haathoun mai beyadab Ghabraakay poocha bevoun ney tajveez kya hai ab Bolaa umar kay majlis-e-haakim main hai talab manzoor hai kay roohey Ali phir malool ho majmay main rooh bakaariyeh aal-e-Rasool ho

Mazloomiyath sey rokay yeh mazloomoun ney kaha Haakim ki yeh khushi hai toh phir uzr humko kya Bazaar main toh phir chukay beymaqnaa-o-ridaa Aasaan kareigaa mushkil-e-darbaar bhi Khuda haazir hain ley chalo hamein gumraaho ley chalo sar par nahin Hussain jahaan chaaho ley chalo

*****

Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber ki Shaam main Gaysoo khuley huvey hain aza-e-Imam main Sar peet thi hai Fatema Daarus salaam main Zainab yeh nauha karthi hai balwaa-e-aam main logo khabar karo meray naana Rasool ko Balway main shimrn laaya hai binte Batool ko

Naana teri nawaasi kay sar par ridaa nahin Aur ahley shaam dekhtay hain kuch hayaa nahin Abid ghareeb marthaa hai taph sey dawaa nahin Beyhoush nanhey bachchey hain aab-o-ghizaa nahin Dil sab ke kaampthay hain badhan thar tharaathay hain ab saamney yazeed kay sadaath jaathey hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 205 Hain ek rasan main baara galay waah museebatha Rothay hain godhiyoun kay palay waah museebatha Bas main sitamgaroun kay chalay waah museebatha Khaak-e-aza hain mooh pa malay waah museebatha mushkil qadam utthaana tha us izdihaam main Yoon ithrath-e-Nabi gayee balwaa-e-aam main

Zainab tadap kay oontt pa karthi thi yeh bayaan Darbaar main talab huvey saadaath naagahaan Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay al-Amaan Peish-e-yazeed ley gaya zaalim kashaan kashaan saamaan-e-jashn-e-aam tha darbaar-e-aam tha aur nangay sar Hussain ka kunbaa tamaam tha

Muthrib taraana sanjj thay raqqaas shaadmaan Padthey thay tehniyath kay qasiday qasidakhawn Haazir vakeel-e-rome-o-khoothan baashikoh-o-shaan Haathoun pa nazr fathaa liye khurd aur kalaan Chillaathi thi Batool yeh zulm-e-shadeed hai Ya Rab teiray Hussain kay marney ki eid hai

Naagaah baddkay shimr-e-layeen ney kiya salaam Bolaa kay aye ameer yeh shaadi ka hai muqaam Ummeedwaar-e-qallath-o-jaageer hai ghulaam Haazir hai sar shaheedoun kay aur ithrath-e-anaam Baddkar pukaara murraah kay apna jigar hai yeh ley hum shabihey khaas Payambar ka sar hai yeh

206 Marsia Salaam Marsia Nauha Wallah iskay ranjo alam main basadh bukaa Farzandh-e-buturaab bahaathar jagaah giraa Yeh zikr tha kay hashr ka saamaan hogaya Ghabraagaya yazeed kay yeh kya ghazab huva Dekha toh hurmulaa bhi bahot shaad aathaa hai sar ek chotay bachchey ka haathoun pa laatha hai

Hai khoon-e-halq halq kay oopar jamaa huva Nanhaa sa mooh hai pyaas kay maaray khulaa huva Baachoun main doodh dono taraf hai bharaa huva Suraaq-e-teer-e-zulm galay main padaa huva is khoon par yazeed ney jisdum nigaaha ki Us sey bhi zabth ho na sakaa rokay aaha ki

Bolaa bathaao isney bhalaa ki thi kya qathaa Tu ney isey nishaana kiya teer-e-zulm ka Bachchey pa bhi na khaaya taras tu ney beyhayaa Yeh nanhaa sa galaa woh teira naawak-e-jafaa Bathlaa toh kis falak ka yeh mehray muneer hai Baanu pukaari baddkay yeh mera sagheer hai

Hairaan khadey thay sab harum-e-Shaahey Mashraqain Mohray sukooth labb pa na shikwaa na shor-o-shayn Zainab ney dekha taqth pa naagaah sar-e-Hussain Bey saaqthaa tadap kay yeh karney lagi woh bayn hai hai na mauth aayi mujhey raahey shaam main Bhaiyya mera salaam lo darbaar-e-aam main

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 207 Qaid khaane mai talaatum hai kay Hind aathi hai Dukhtar-e-Fatema ghairath sey mooee jaathi hai Rooh qaalib main woh zindaan main ghabraathi hai Bey hawaasi sey har ek baar woh chillaati hai aasmaan door zameen saqth kidhar jaaoon main Bibiyo milkay dua maango kay marjaaoon main

Kya karoon kya na karoon jald bathaao logo Sadqaa Akbar ka hiqaarath sey bachaao logo Oatt karkay ho khaday mujhko chupaao logo Ya kisi goshay main leijaa kay bitthaao logo sar khuley ho kisi hujreh main mujhey bandh karo hind aathi hai mujhey khaak ka paewandh karo

Is tarhaa Hind kay aaney sey na ghabraaoon main Binte Hyder hoon na kyon qaid mai sharmaaoon main Koyi deewaar jo shaq ho toh samaa jaaoon main Seedhay maajayeh kay maqtal ko chalee jaaoon main Karbala main na yeh zillath hai na ruswaayi hai Beyrida main hoon toh beygoar mera bhaayi hai

Naagahaan Fizza ney di Ahley Harum ko yeh khabar Hind aathi hai baday jaaho tajammul sey idhar Beeraqay nuqraa-o-zar ki hain juloo kay andar Sab kaneezein toh ridaa odhi hai woh nangay sar Par sawaari bahot aahistha ravaan hothi hai har qadam hind teiharr jaati hai aur rothi hai

208 Marsia Salaam Marsia Nauha Kehthi hai qaidiyoun kay shor-e-bukaa ney maara Mujhko is haaye Hussaina ki sadaa ney maara Inkay sardaar ko kis ahley jafaa ney maara Kya woh Syed tha jisey ahley daghaa ney maara ek bijli si kaleijey pa meray girthi hai nangay sar Fatema aankhoun kay taleh phirthi hai

Hogaya zibhaa koyi khaasa-e-baari logo Ins-o-jinn-hoor-o-malak karthay hain zaari logo Ley chalo suaiy Najaf meri sawaari logo Hogi mushkil waheen aasaan hamaari logo Khair sey hain meray Aaqa toh woh sothay hongay Warnaa marqadh main Ali betay ko rothay hongay

Laundiyaan thi zann-e-haakim kay juloo main jo ravaan Dekhthi kya hain kay ek shair hai aahan main nihaan Laagarr-o-khastha tanh-o-faaqa kash-o-tashnaa dahaan Mooh pa seili kay nashaan pushth pa durroun kay nashaan saaqay pa faaqay sey zanjeer main tharraathi hai istakhaanou sey larazney ki sadaa aathi hai

Sab ney mooh karkay suaiy hind yeh ki nauhagari Dekhiye shaam kay zindaan main charaag-e-sahari Yaad-e-Khaaliq main jo hai khalq sey hai beykhabari Kyon musalsil kiya yeh toh hai adham ka safari Kisney dam bandh kiya touq-e-jafaa sey iskaa silsilaa miltha hai kuch shair-e-Khuda sey iskaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 209 Girdh Abid kay phiree hind ba haal-e-tagheer Rakh diya paaooun pa sar apna hataakar zanjeer Bolay woh kaun hai boli kay Kaneez-e-Shabbir Assalaam aye rasan-o-touq-o-salaasal kay aseer hai waseeyath ka mahal marney pa taiyaar hai tu Kuch kafan kay liye rakhtha hai kay naadaar hai tu

Gham na khaa gor-o-kafan main tujhey doongi Lillah Nangay sar teiray janaazey kay chaloongi humraah Marney waaley tera kya naam hai kabsey hai tabaah Bolay Maula abhi chaalis baras jeena hai aah naam beykas bhi hai qaidi bhi hai beemaar bhi hai haal yeh hai kay aseeri bhi hai aazaar bhi hai

Hind ney poocha maraz kya hai kahaa beypadari Rokay woh boli dawaa kya hai kahaa nauhagari Ghar jo daryaafth kiya kehnay lagay darbadari Boli leytha hai qabar kaun kaha beykhabari aah karnay ka sabab poocha toh sharmaaney lagay Taaziyaanou kay nashaan pushth pa dikhlaaney lagay

210 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Bibi Sakina (s.a.)

Jab daage bekasi na Sakina utha saki Aur darde dil na qowf ke maare suna saki Khaye tamaanche shumr ke jab tak ke kha saki Sin kam tha dukh bahut thay na bardasht laa saki ro-ee toh zalimoun ne jafa beshumaar ki aaqir yeh jabr dekh kay mauth eqtiyaar ki

Gar aah ki toh shumr pukara qaamosh ho Aur chup hui toh bepidari ne kaha ke ro Gah shiddate atash se pukari ke paani doh Gah yaad karke rah gayi baba ki pyaas ko so-ee jo aansu ponch ke chashme pur aab se hae hae Hussain kehke phir uth baithi qwab se

Dil mein sama gaya tha jo shumre la-een ka darr Soney mein kaamp kaamp yeh kehti thi raat bhar Faryaad cheenta hae gowhar shumre badh gohar Aata hae ibne saad chupoon jakey main kidhar Zainab phoopi sambhalo kaleja dhadakta hae sajjad bhai dekho yeh qooli ghurakta hae

Jab pyaas lagti roe ke chacha ko pukaarti Dukhte jo kaan shah-e-huda ko pukaarti Aata na jab koi toh Khuda ko pukaarti Jeene se tangh hoke qaza ko pukaarti Kehti thi ne chacha na imame umam rahe rulwaane ko adoo rahe rone ko hum rahe

Salaam Marsia Nauha Marsia 211 Chup thi toh chup thi bolti joh thi dari hui Waan shumr aaya tunh mein idhar tharthari hui Thi aah baat baat par lab par dhari hui Gardan ki reesmaan lahu se bhari hui Dum rukne lagta tha toh rasan khol detey thay Baaher joh shumr bolta toh baandh lethay thay

Haale shabe wafaate Sakina hae yaadgaar Goya ke apni marg thi bekas pah aashkaar Milti thi shaam se woh gale sabke baar baar Ma ki balaein leti thi woh ma ki gham ghusaar Tasleem ko phoopi ki kabhi sar jhukati thi Thi beqatah pah sab se qatah baqshwati thi

Zindaan se kehti thi yeh kabhi woh aseere gham Ho jayega kal ek tera mehmaan kam Mayyat kisi ki nanhi si niklegi subha dum Bano se yeh qitaab kabhi tha bachashm nam ek taaza mauth hogi nabi ke gharane mein amma lutogi aaj ki shab qaid qane mein

Bano pukari lut toh chuki ab lutoongi kya Bibi na naam lutne ka lo tum pah main fida Gowhar chine tamanche lage kaan shaq hua Lutne se meri bibi ka par dil nahin bhara Zainab ki pushth nok-e sinaan se figaar hae Par meri pyaari lutne ki umeedwaar hae

212 Marsia Salaam Marsia Nauha Ab kya lutoongi maal nahin zar nahin raha Akbar nahin raha Ali Asghar nahin raha Rehne ko qaidqana mila ghar nahin raha Hathon mein reesma bandhi zewar nahin raha Dowlat hae kounsi jise zindaan mein kho-oongi rona tha jisko ro chuki ab kisko ro-oongi

Kubra se chupke chupke kabhi karti thi bayaan Kal ek jagah mein jaoongi is ghar se mehmaan Rokar woh poochti thi kaho toh kahan kahan Darwaze mein toh qufl hae gardan mein reesmaan Yeh kehti thi ke qufl laga hae toh kya hua Zindaan hae bandh rowzae Rizwaan khula hua

Kubra hai aur tum ho yeh Sajjade natawan Gar yeh bache toh naam hae varna hoon bay nishan Woh boli sab rahenge salamat pah hum kahan Ma ne kaha Khuda na kare ae Sakina jaan Ki arz dekh logi joh pichli ko hoega Baba ki rone wali ko sab kunba roega

Ab mauth meri sab ko mubarak kare Khuda Marte he mere qaid se sab kunba ho reha Jaata rahe buqaar biraadar ka be dawa Jannat ko hum rawaan ho Madine ko aqroba Ghul ho Sakina leke bala sab ki margayi hyder ki pothi mushkilein aasan kar gayi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 213 Zindaan mein muqayyad huve jis dum harame shah Ambohe qalaeq huva darwaze pah nagaah Balwa hua is darja ke masdood huvi raah Sar sharm se zanjeer pah Abed ne rakha aah Tha woh arqe sharm aseeroun ke na tunh mein rotah tha har ek azoo ghame shahe zaman mein

Mashghool jo thay khel mein atfaal woh saare Karti thi Sakina wahan hasrat se nazaare Kehti thi ke kya hogaye hamjoli hamare Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhaare sab bachhe yahan khelte hain qandah zana hain main khelti thi jin se woh atfaal kahan hain

Naagah namudaar hui shame ghareeban Aaya ghazab aalood wahan shumr badh imaan Ek ek se muqaatib huva woh dushmane yazdaan Ab jao ke hotah hae muqaffil dare zindaan hoegi rihaai na kabhi aale aba ki Kal dekhiyo phir sair aseerane bala ki

Yeh sun ke pareshan hua amboh woh saara Ghum hogaya ek shaqs ka farzand qazaara Chillaya pidar us ka raha dil pah na yaara Farzand bhi baba usey keh keh ke pukara Woh tifl lipatne jo laga aake pidar se Paidah huvi ek aah Sakina ke jigar se

214 Marsia Salaam Marsia Nauha Bhar bhar ke dame sard yeh ki Bano se guftaar Iss bachhe ko dekho ke kya qush hae yeh dildaar Kya naame pidar pyaar se letah hae har baar Ek hum hain ke hain baap ki furqat mein giraftaar Dil mein joh mere dard hae qaaliq pah ayaan hae main kisko kahoon baap mera baap kahan hae

Baba mere hotey toh unhe kehti main baba Ab baap kahan jisko kahoon baap main dukhiya Yoon koi pidar beti se ghaafil nahin hota Hairaan hoon baba ke woh ashfaq hue kya aada ne hamein qaid kiya shaam mein laakar Baba mere kyon mujhko nahin dhoondhte aakar

Yeh kehke Sakina pah jo riqqat hui taari Bas haye pidar keh ke kayi baar pukaari Tadpi jo zameen par toh zameen hil gayi saari Jhunjhla ke kaha shumr ne phir karti ho zaari ab qoob rulaonga tujhe main na daroonga rah tujhko aseeron se juda qaid karoonga

Phir shumr ne baazue Sakina ko jo pakda Kunbe ki taraf us ne ajab yaas se dekha Sab qaidiyon mein ek qayamat hui barpa Sajjad ke qadmon par machal kar giri dukhiya Yoon lipti thi bhai se woh is qowfo qatar se ek haath toh gardan mein tha ek haath kamar may

Salaam Marsia Nauha Marsia 215 Moonh dekh ke Sajjad ka kehti thi woh darkar Ab aap mere ronay ke zaamin ho biradar Gar tumse chuti zeest meri hoegi kyonkar Ab ro-oon toh jo chahe kare shumre sitamgar Bhaiyya mujhe toh shumr se is waqt bachale ab ro-oon toh kardeejiyo zaalim ke hawaale

Ab ro-ee so mein ro-ee na phir ro-ongi zinhaar Ab ro-oon agar baap ko apne toh gunehgaar Farmao ke ab chod dey mujhko yeh jafakaar Bazoo mera dukhne laga ae Abede beemaar Kis tarha juda kunbe se hoegi Sakina Tum kehdo qasam khake na roegi Sakina

Yeh kehti thi kheencha jo sitamgar ne qazara Kurta toh phata tha woh phata aur bhi sara Tab Abede beemar ne rokar yeh pukara Ae shumr yeh bin baap ki bachhi hae qudara Ghaafil teri dehshat se na hoegi Sakina ab aisa dari hae ke na roegi Sakina

*****

Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai Bachchi ko kya huva aray veeraan goadh hai Maa sar jhukaaye bhaitee hai veeraan goadh hai Baali Sakina margayi sunsaan goadh hai naazoun sey jo pali thi Shahey Mashraqain ki mitti main aaj milthi hai bachchi Hussain ki

216 Marsia Salaam Marsia Nauha Bano kay bayn hain meri goadhi ujad gayee Baaqi thi Sheh ki ek nishaani kidhar gayee Ya Rab main kya karoon meri bachchi bichadd gayee Amma ko rothi chodd kay beti kidhar gayee aawaaz ek baar toh maa ko sunaao tum Bano jiye toh kaisey jiye yeh bathaao tum

Hai hai jawaan betay ka sehra na dekhi main Asghar ko haaye ghuttniyo chalthaa na dekhi main Armaan koyi apna nikalthaa na dekhi main Teiray bhi koyi kaaj ko hotha na dekhi main Waaris ka saaya utt gaya betoun ko khoyi hoon Baaqi jo ek bachchi thi aaj uspaa rothi hoon

Thi aarzoo main tumko parwaan chadhaaoongi Dulhan banaakay dhoom sey shaadi rachaaoongi Dil kay tamaam apney main armaan nikaaloongi Yeh kya khabar thi khaak main tujhko milaaoongi main badhnaseeb reh gayee ronay kay waasthay Tum jaa rahi ho qabr main sonay kay waasthay

Sajjad bolay sabr karo tum par main fidaa Maiyath utthaaney jhuk gaya beemaar bey dawaa Moonh rakh kay moonh pa bola bahen teiray main fidaa Tujhko milaaney khaak main Sajjad rehgaya Tharraaye haath aur museebath bapaa huvi maiyath uttnaa tha kay qayamath bapaa huvi

Salaam Marsia Nauha Marsia 217 Maiyath nikal rahi hai andheira makaan hai Laaye charaag kaun paraaya makaan hai Kurtha kafan hai phool hai naa saayebaan hai Ghurbath ki mauth hai yeh yateemi ki shaan hai maiyath bahen ki bhaayi kay haathoun pa aathi hai hai hai Sakina qabr main sonay ko jaathi hai

Maa sar ko peet kar yehi kehthi hai baar baar Aahistha leykar jaayioh betaa teiray nisaar Jaakar na phir yeh aayegi Baba ki soghvaar Jee bharkay dekh leinay doh phir mujhko ek baar logo bathaao kaisey main kafnaaney doon isey maa hoon main kaisey gaardney ley jaaney doon isey

Bhaayi kay haath zouf sey jab thar tharaathay hain Nanhi si laash seenay sey liptaaye jaathey hain Zanjeer jab ulajjthi hai ghabraaye jaathey hain Soorath bahen ki dekhtay hain rothay jaathey hain sadhmey bahot utthaayi hai beti Hussain ki Gardhan bhi hai cheelee huvi is noor-e-ain ki

*****

Rokar kahaa yeh maa ney kay dilbar jawaab do Khamosh kyun ho behray Payambar jawaab do Zindaan mein kaisa hogaya mehshar jawaab do Qurbaan jaaoon aye meri dukhtar jawaab do maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

218 Marsia Salaam Marsia Nauha Zehra ka waasta paey Hyder jawaab do Shabbir ka wastaa paey Sarwar jawaab do Qasim ka wastaa paey Akbar jawaab do Muslim ka wastaa paey Asghar jawaab do maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Abbas ki qasam paey Jaffar jawaab do Dar par khadey hain Hur-e-Dilaawar jawaab do Hai inkay saath Ibney Mazaaher jawaab do Kya boley insey aap ki maadar jawaab do maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Ammu tumhaarey paani bhi humraah laaye hain Choti si mashk khaandey pey lattkaaye aaye hain Paani kay waastey woh lahu mein nahaaye hain Kya kya tumhaarey wastey sadhmey utthaaye hain maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Kab sey utthaatey hain tumhein bibi uttho uttho Bekas yateem Shah ki pyaari uttho uttho Tum ko sataaengay na yeh naari uttho uttho Lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Salaam Marsia Nauha Marsia 219 Rutthi ho bibi kis liye bolo paey Khuda Aankhein zara si khol do tum par sey main fidaa Utt behtto ab toh jaldi sey aye jaan-e-Murtuza Chaen aaye mujh ghareeb ko bekas hoon ghamzadaa maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Kis sey main puchoon kaun bataaengay ab yahaan Bibi ko meri aa rahi hain haaye hichkiyaan Teywar badal gaye hain phiraati hai putliyaan Jungle mein aakay lutt gayi yeh badh naseeb maan maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Soojey huvey hain bibi kay ruqsaar nazneen Zakhmi badan sey ayntaa hai kurta kahin kahin Uljhey hain sar kay baal toh majrooh hai jabeen Ghassaala puchti hai kahey kya yeh dil hazeen maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Abid main sadqey ho loon toh taabooth tum utthaao Bibi ko main galey sey lagaa loon toh leykay jaao Inki yeh aakhri hai sawaari mujhey dikhaao Phir kis jagaah milogi yeh puchoon toh leykay jaao maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

*****

220 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Imam Zainul Abedeen (a.s.)

Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche Mareez se koi akseer ka maza pooche Aseer se koi zanjeer ka maza pooche Yateem se koi dilgeer ka maza pooche har ek pah guzra zamane mein ranjo gham hae hae saha na Abede beemar sa alam hae hae

Shaheed hotey hue baap ko pisar dekhe Ani pah naize ki hae hae sare pidar dekhe Jawan bhai ka nikla hua jigar dekhe Phoopi ko ankhon se balwe mein nangay sar dekhe Kisi nabi pah na is tarha ke alam guzre Joh is mareez pah har tarha ke sitam guzre

Shadeed taph mein woh kanton pah chalna Abed ka Pahan ke bediyan har ek qadam pah gir padna Woh zulme jowr sitamgar haram ka shoro buka Woh jism laagare Abed woh dhoop woh durrah siwaae shukre Khuda kuch na kehte thay Sajjad Duae ummate aasi mein rahte thay Sajjad

Phiraya kaanton pah Sajjad ko barehna pa Nabi ke kunbe ko balwe mein le gaye aada Jalaaya qaima-e-namoose syedde wala Phira ke balwe mein zindaan mein qaid kar dala Tamaasha dekhne sub ahle shaam aate thay haya se ahle haram gardanein jhukatey thay

Salaam Marsia Nauha Marsia 221 Sitam ke baad huva qaid se joh chutkara Layeen se baap ka sar is yateem ne maanga Sar-e Hussain khazane se Hind ne bheja Sawaar oontoun pah kunbah huva payambar ka lehad mein laash ghareeboun ki haaye dharne chale mahe batool ko paiwande qaak karne chale

Jo pahunche Karbobala Abede aseere bala Pidar ko deke kafan qaak mein rakha laasha Lipat ke qabr se chillae yoon ke ae baba Watan ko jaata hoon lo aaqri mera mujra Watan se aaya tha kis shaan se yahan hae hae luta ke ghar ko mein jaata hoon neem jaan hae hae

Likha hae yoon ke watan aaye jab shahey wala Pidar ki yaad mein har waqt karte thay nala Nazar jo aata tha paani toh rotey thay moula Hamesha ankhon mein phirta tha dashte karbobala Pidar ke baad bhi raahat mili na Abed ko Dobara qaid kiya is ghareeb zahed ko

Watan se le gaye phir qaid karke baaniye shar Hu-ee bhatije ke hamrah Zainabe muztar Qareebe Shaam jo pahunche woh dono nauhagar Lagaya belcha Zainab ki pusht ke oopar safar mein Zainabe bekas se chut gaye Sajjad Dayare Sham mein phir aake lut gaye Sajjad

222 Marsia Salaam Marsia Nauha Phupi ko soump ke jungle mein syedde wala Madine mein hua daaqil woh bekaso tanha Waleed Shaam ke haakim ne zehr bhijwaya Woh sum ke khate he Abed ne ki jahan se qaza Falak pah hooro malak arsh ko hilane lage Zameen pah jinno bashar sar pah qaak udane lage

Mohebbo daage alam dil pah dhar gaye Sajjad Joh khaya zehar toh sadh haif margaye Sajjad Nabi ki aal ko be-aas kar gaye Sajjad Yateem hogaye Baquer guzar gaye Sajjad sar apna peet tey marqad se Mustafa nikle Kaleja thaam ke kyonkar na Fatema nikle

Chiraage deene nabi aaj bujh gaya yarab Nishaane panjatane paak mit gaya yarab Utha jahan se sartaj ab mera yarab Qitab bewa-e Abid mujhe mila yarab Karoon mein kya meri qismat bigad gayi ya rab Chaman mein Fatema ki oas padhgayi ya rab

Khuda ke arsh ka taara guzar gaya logo Ghazab hae shah hamara guzar gaya logo Woh bekason ka sahara guzar gaya logo Hassan Hussain ka pyara guzar gaya logo madina lut gaya ya Mustafa duhaai hae najaf ujad gaya ya Murtuza duhaai hae

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 223 Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya Sar kataa zulm sahey haq ka magar kaam kiya Sabr ney abid-e-beemaar ka ithmaam kiya Baap aur betay nay Islam ko Islam kiya Waada tifli ka jo Shabbir wafa karthay hain haq yeh farzandi Sarwar ka adaa karthay hain

Kaun masoom huva touq-o-salaasal may aseer Kaun hai woh jisey pehnaayi hai dohree zanjeer Taaziyaanou say adoo dethay thay kisko taazeer Kiske maa behnou ki majmay may huvi hai tash-heer Taih koyi kar na sakaa jisko yeh woh manzil hai sabr-e-namoos kay baaray may bahot mushkil hai

Kar gaye thay jo wasiyath shahey deen waqt-e-akheer Sabr sey kaam liya keejiye baad-e-Shabbir Shukr karna jo pinhaaye tumhey bhaari zanjeer Badh-dua deina na ummat ko jo Zainab ho aseer Turn jo bigddoh gay toh khaliq ka ghazab aayega kaam jo mainey banaaya hai bigadd jaayega

Dhyaan baba ki wasiyath pa jo karthay hain Imaam Unkay qaatil say bhi farmaathay hain narmi say kalaam Touq pehnaa-nay ko laatha hai jo woh badh anjaam Khud badhaa dethay hain gardhan ko shahinshahe anaam Yeh tahamul hai isey shaan-e-wafa kehthay hain Kehnay waaley isey tasleem-o-riza kehthay hain

224 Marsia Salaam Marsia Nauha Baap ki laash pa woh zulm huva kuch na kaha Chinngayee Sani-e-Zehra ki ridaa kuch na kaha Baazu namoos ka rassi may bandhaa kuch na kaha Taaziyaanou ki sahi saqth jafaa kuch na kaha Gham say madar ka jigar seenay may phat-thay dekha ali Asghar ka galaa qabr may kat-thay dekha

Sar barhainaa sar-e-darbaar gaye sabr kiya Dar badar koocha-o-bazaar gaye sabr kiya Khudrathein rakh kay giraftaar gaye sabr kiya Bey dawaa qaid may beemaar gaye sabr kiya Qadr baba ki wasiyath ki dikhaayi tuney Qabr haathoun say Sakina ki banaayi tuney

Ya Ali dekhlo pothay ki museebath dekho Ghamo andoh ki tasveer hai soorath dekho Shiddathay thaph say ghazab ki hai naqaahath dekho Tauq phir us pa galay may hai qayamath dekho Waqf-e-aalaam hai hazrat kay gharaanay waaley Kya sitam sehthay hain ummath kay bachaney waaley

Haaye jeethay hain teri qabr mittaaney waaley Khuld may Ahmad-e-mursal ko rulaaney waaley Chashm-e-insaaf sey dekhain toh zamaaney waaley Kaisey hothay hain Mohammad ke gharaaney waaley Zeher peethay hain galaa teigh sey katwaathay hain Qabr may jaakay bhi aaraam nahin paathay hain

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 225 Shahadath Imam Ali ibne Moosa-e-Raza (a.s)

Aaj Imaam-e-Raza shaheed huvey Shahey har doh saraa shaheed huvey Sehkay ranj-o-balaa shaheed huvey Khakay zehr-e-daghaa shaheed huvey shah kay sab ghulaam rothay hain humsey rukhsath Imaam hothay hain

Tha joh mamoon rasheed baani-e-shar Dushman-e-khaandaan-e-paighambar Tha jo aamaada zehar deinay par Shah ko phir talabh kiya aakhir sun kay shah-e-anaam ghar sey chalay hokay rukhsath Imaam ghar sey chalay

Jab nazar aayi qabr-e-paighambar Hil gaya seenay may dil-e-muztar Jaakay liptay lahad say phir Sarwar Aur kiya khitaab yeh ro ro kar ek lehzaa na chaen paaya hoon rukhsath-e-aakhri ko aaya hoon

Kehkay rukhsath huvey Imaam-e-Raza Thaa Madinay may thahelkaa barpaa Koyi khadmoun sey liptajaata tha Aur laboun pay kisi kay thi yeh sadaa aye shaahey Ausiya Khuda haafez aye Imaam-e-Raza Khuda haafez

226 Marsia Salaam Marsia Nauha Thaih manaazil ko karke phir ek baar Aaye darbaar may shahey Abraar Uttha taazeem-e-Shah ko woh makkaar Paas apney bitthaa liya zinhaar Tabh kahaa shah say yeh woh maghroor aap is waqt khaaiyeh angoor

Jabr say is layeen ke wa-waila Kha kay angoor ko utthey Maula Poocha mamoon ney chalay kisjaa Kaha Hazrat nay tu jahaan bheijaa Khakay yeh shah khaso aam chalay sar pa daalay abaa Imaam chalay

Ghar may aakar thadap rahay thay Imaam Zeher nay kar chukaa tha apna kaam Khaiy jo aayi liya jigar ko thaam Tha na ek lehzaa aapko aaraam Yaas thi bekasi thi ghurbath thi meray Moula pa kya museebath thi

Muztarib thay bohot shahey zeejah Ghash joh taari huva Imaam pay aah Hichki jo aayi maut ki naagaah Phir kaha La Ilaha Illallah Tanh sey rooh-e-raza idhar niklee Qabr sey Fatema udhar niklee

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 227 Mominon aaj Khuraasan mein hae taaza matam Thartharate hain falak arshe zameen lowho qalam Aate hain aale aba qaak udaate baham Abedo Baqaro Jafar-o-janabe Kazim moonh ko sab yeh hazraat aansuon se dhotthey hain Jama mayyat ke uthane keliye hothey hain

Kya kiya qahr ke bejurmo qatah ko maara Dilbare Fatema-o shere Khuda ko maara Zehar dilwaake gharib ul ghuraba ko maara Aaj Mamoon ne mazloom Raza ko maara Khaak mein milgaya ek aur gule baghe Zehra Gul hua aaj Khuraasan mein chiraage Zehra

Is tarha waqia hae aaj ka raavi ne likha Ibne Haroon ne hazrat ko jyunhi bulwaya Aaye darbar mein jis waqt imame dosara Taqt par apne qareen shah ko bhi bithlaya Phir kaha shah se farmaiye toh pesh karoon aapke waasthey angoor mai lay rakho hoon

Kaha mazloom ne mujhko nahin angooroun ki chah Kis liye saamne hae tasht joh tu ne rakha Kiya israar jo usne toh imame zeejah K haake angoor ko kehne lage innalillah Poocha Maamoon ne kya baat hae farmaiyega sar jhuka kar kaha masmoom ne maloom hua

228 Marsia Salaam Marsia Nauha Khake angoore dagha aaye hain ghar ko apne Khae kiye jaate hain pakde huve sar ko apne Dard hota hae dabaate hain jigar ko apne Yaad farmate hain hamsheero pisar ko apne syeddo bekaso mazloom gharibul ghuraba muztarib haal hain yeh masmoom gharibul ghuraba

Mauth ka aagaya chehre pah pasina yaro Ghash mein hae waarise sutan-e-Madina yaro Aathwaan mohre nabuwat ka nagina yaro Khaak mein milta hae Ahmed ka qazina yaro Daro deewar ko hasrat se Raza dekhte hain aur unhein yaas se sab aal-e-aba dekhte hain

Peet-ti hae kabhi sar ko kabhi tharrati hae Fatema is tarah ronay ke liye aati hae Janibe arshe ulah roohe Raza jaati hae Bekasi laash pah roro ke yeh chillati hae mauth ki hichkiyan ab leta hae dilbar uska Chaar hammal uthaye thay janaza jiska

Sach hae ghurbat ki ajab mauth hae aye ahle aza Na koi moniso yaawar na dawa hae na ghiza Bistare marg pah thay aap tawakkul baquda Na koi paani pilane ko dum-e aaqir tha Wohi bekas hae Raza naza mein inna lillah hai kya waqt hae mazloom pah Allah Allah

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 229 Khaak ka farsh rida gard tawakkul takia Uf bhi karta nahin qaamosh hae sonay wala Naza mein dekha Raza ne jo shabeehe Zehra Bandh aankhen hui aur qatema bil qair hua ek hichki ka bas aana tha ke dum todh gaye mominon ke liye yaad apni Raza chod gaye

Aake Yasrab se Taqi dekhte hain kya naqsha Bandh ankhen kiye behosh pade hain baba Sar ko baba ke utha zano pah apne rakha Roke chillane lage kya yeh hua aye baba Kab se chillata hae sar peet ke naalane Taqi ankhon ko kholo zara aapke qurban Taqi

Baap ka pursa doh bete ko tum ae ahle aza Jisko Mamoon ne khilwaya hae angoore dagha Neelgoon hogaya hae jisme mubarak jiska Jiski mayyat pah nahin koi bhi ronay wala Bepidar hogaye masoom Taqi wawaila haye bejaan hua Kazim ka wasi wawaila

*****

230 Marsia Salaam Marsia Nauha Rihaayi Ahley Haram

Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab Sadhmey dil par uttaayi hai Zainab Qabr sheh ki banaayi hai Zainab Kuch yateemoun ko laayi hai Zainab Kehti hai rokay lo khabar bhaayi Khatm ab hogaya safar bhaayi

Mein hoon Zainab falak sathaayi hoon Turnsey milney yahaan main aayi hoon Aur lutey qaafilay ko laayi hoon Bhaayi kya kya sitham utthaayi hoon shaam takh nangay sar gayi Zainab Kyon na pehlay hi margayi Zainab

Utt kay dekho tho ek nazar bhaayi Tukhdey sadhmoun sey hai jigar bhaayi Hogaya hai safaydh sar bhaayi Jhuk gayi hai meri kamar bhaayi Waada poora main karkay aayi hoon Pushth par taaziyaaney khaayi hoon

Saarey kunbey ko saath laayi thi Mehnathoun sey yeh ghar basaayi thi Mainey daulath yeh maa sey paayi thi Ho gayi dafn jo kamaayi thi ab ho kyon kar meri basar bhaayi haaye kis muh sey jaaoon ghar bhaayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 231 Ab na utt ke yahaan sey jaaoongi Qabr baaloun sey apney jhaadoongi Phool har subhaa main chaddhaoongi Shammaa raathoun ko main jalaaoongi Yoon hi hojaayegi basar bhaayi Kya karey jeekay nauhagar bhaayi

Gar koyi poochey kiski jaayi hai Qabr kiski yeh tu banaayi hai Mujhko qismath kahoongi laayi hai Main bahen hoon yeh mera bhaayi hai Thay Nabi ke yeh maan-ney waaley aur musalmaan thay maarney waaley

Kya bathaoon shaheed ki haalath Tanh tha zakhmi thi dhoop ki shiddath Aur namazi pa pyaas ki shiddath Sar utthaaney ki bhi na di mohlath Dafn is jaa hai naamoor bhaayi Deidiyaa raahey haq may sar bhaayi

Thi muqaddar may meray ruswaayi Kyon na darbaar hi may maut aayi Pesh-e-haakim gayi yeh dukh paayi Ghussa aaya tha peegayi bhaayi Jo huvey zulm sehgayi Zainab sabke ronay ko rehgayi Zainab

*****

232 Marsia Salaam Marsia Nauha Chehlum Shohadaa-e-Karbala

Chehlum jo Karbala may bahaatthar ka ho chukaa Paivandh beikasoun kay tanh o sar ka ho chukaa Aur Faatiha Hussain kay lashkar ka ho chukaa Qabroun pa shore aal-e-payambar ka ho chukka maatam may teen roz rahey shor o shain sey royeh lipat lipat kay mazaar-e-Hussain sey

Mislay chiraagh gor-e-ghareebaan pa dil jalaaye Phooloun ke badhley qabroun pa laqtey jigar chadd-haaye Pyaaron ki bood o baash kay saamaan jo yaad aaye Bey saaqtaa pukaray kaleijay pakadd kay haaye hai hai woh pardaa daar hamaaray kidhar gaye Bay pardaa hokay aal-e-Nabi dar ba dar gaye

Maqtal kay aas paas yeh beivoun ki thi fughan Zainab jabeen lahadh pay dharay karthi thi bayaan Aye meray karbalayee baraadar Hussain jaan Humsheer teen din sey tumhaari hai mehmaan allah meri baath bhi poochi na aapney Zindaan ki waareydaath bhi poochi na aapney .

Raazi hoon jo riza-e-Imaam-e-jaleel hai Par qaabilay mulaahiza baazu ka neel hai Naa koyi daad rass hai na koyi kafeel hai Bhaayi baghair aapkey Zainab zaleel hai Pushtoh panaah utt gaya beykhaanumaa huvi Dekho yeh pushth qaabilay noukay sinaa huvi

Salaam Marsia Nauha Marsia 233 Main jaanti thi shaher basaa hoga bhaayi ka Hogaa hujoom qabr paa saari khudaayi ka Chehlum karoongi dhoom sey main karbalaayi ka Pursaa bhi yaan koyi nahi Zehra ki jaayi ka muh dhaanmpney ko aap hi pallaa bhi laythi hoon aur apney dil ko aap hi pursaa bhi deythi hoon

Chehlum toh karchukee main dilafgaar ya Hussain Ab rauza kis tarhaa sey ho taiyaar ya Hussain Beta bhi aur bahen bhi hai naadaar ya Hussain Aakhir kabhi toh aayengay zawaar ya Hussain Thakiyaa hai kaar saazi yeh parwardigaar par is dum toh saaheibaan bhi nahin hai mazaar par

Zainab pukaari kooch ka saamaan hogaya Phir shaher meray bhaayi ka veeraan hogaya Aur maqbeiraa Hussain ka sun-saan hogaya Hoo ka muqaam qatl ka maidaan hogaya aayi musaafeiroun ko meray woh zameen pasandh Duniya may jis zameen ko basthi nahin pasandh

Aye karbala-e-Sarwar-e-Dilgeer alvedaa Aye Qatlgaah-e-Hazrath-e-Shabbir alvedaa Aye Qabr ibn-e-Saaheb-e-Tatheer alvedaa Aye bhaayi jaan jaati hai humsheer alvedaa Kya bay naseeb hai yeh nawaasi Rasool ki Turnney mujaaveiri na hamaari qubool ki

234 Marsia Salaam Marsia Nauha Bhaiyyaa uttho kajaavey may mujhko tumhi bittaao Bhaiyyaa mai bey naqaab hoon rehgiroun ko hattaao Rokein qanaath Akbar-o-Abbas ko bulaao Qaali hai goadh bhaabi ki Asghar ko leikay aao sardaar saare qaafilay kay aagay hothay hain Thaiyaar kaarvaan huva aur aap sothay hain .

Kabsey tumhey pukaar rahi hoon main qastaa-tanh Hai hai jawaab bhi nahin deithay shahey zaman Bhaiyaa galay lagaalo toh jaaoon suey watan Aayi nida sidhaaro khuda haafez aye bahan soghro ko meri simth sey bhi pyaar keejiyo hogaa sawaab khaatir-e-beemaar keejiyo

*****

Bhaiyya main bin tumhaarey watan ko na jaaoongi Bhaiyya yahin main qabr par aansoo bahaaoongi Naaloun sey aasmaano zameen ko hilaaoongi Nazrey Hussain pyaasoun ko paani pilaaoongi Jo poocheigaa tu rothi hai kyon shor-o-shayn sey Kehdoongi chutt gayi hoon main bhaayi Hussain sey

Sajjad rokay karthay thay Zainab sey yeh suqan Chaliyeh phoopi Khuda kay liye ab su-ey watan Ro ro kay jaan doh na yahaan behray zulmeinan Hona hai qaid tumko dobaara basadh meihann rauzey pah Naana jaan kay ab jaakay royieh Durroun kay zakhm pushth pa dikhlaakay royieh

Salaam Marsia Nauha Marsia 235 Yeh sunkay utthi qabr sey aakhir woh soghvaar Ek haudajeh siyaah main aakar huvi sawaar Pahoonchey watan main jis ghadi Sajjad-e-dilfigaar Pehlay gayi baqiyeh main Zehra ki gul-e-zaar Boli lipat kay qabr sey amma duhaayi hai Bhaayi ko khokay Zainab-e-naashaad aayi hai

Amma sunaoon tumko main joh kuch jafaa huvi Pardes main Hussain sey Zainab judaa huvi Chowthay baras main baap pah beti fidaa huvi Amma Hussain margaye main beyridaa huvi Dil zindagi sey Zainab-e-muztar ka hatt gaya main dekhti rahi sar-e-Shabbir katt gaya

Amma tumhaarey laal ko kya kya na gham huvey Laashey kay haath angoti ki qaatir qalam huvey Laashey pah meray bhaayi kay taaza sitam huvey Paamaal laash hogayi barbaad hum huvey Gowhar Sakina kay bhi uthaarey hain Shimr ney Durrey hamaari pushth pa maarey hain Shimr ney

Amma teray mareez ko qaidi banaaya tha Touq-e-giraan bukhaar main usko pinhaaya tha Kaantoun pa nangay paaoon adoo ney phiraaya tha Amma sivaa-e-shukr nahin labb hilaaya tha Bulwaaya tha yazeed ney darbaar-e-aam main amma Sakina margayi Zindaan-e-Shaam main

236 Marsia Salaam Marsia Nauha Aye Amma ek rassi main bandhwaaya tha hamein Oontoun ki nangi pushth pa bittlaaya tha hamein Sar tashth main Hussain ka dikhlaaya tha hamein Abid ko durrey maar kay rulwaaya tha hamein hairath hai kyon na Zainab-e-naashaad margayi amma main sar khuley huve shireen kay ghar gayi

Amma phiraakay Koofay main phir humko koo bakoo Sar nangay suey Shaam hamein ley chaley adoo Pahonchey jo shaher-e-Shaam main hum sab kushaada moo Baazariyon main shor yeh hotha tha chaar soo Beti Ali ki Zainab-e-dilgeer aayi hai Dekho chalo Hussain ki Humsheer aayi hai

*****

Balaa utthaakay haram Karbala main aathay hain Mareez Shaam kay Daarushafaa main aathay hain Ajab shikosey dasht-e-balaa main aathay hain Gham-e-Hussain main yaad-e-Khuda main aathay hain Jigar kay tukdey bharey daamanou main aaye hain Yeh qabr-e-Sheh par chaddhaaney ko phool laaye hain

Bihaar main hai raqam yeh rivaayath-e-jaankaa Jab aaye ahley harum jaanib-e-shahaadath gaah Na gul na shamma mili beykasoun ki qabr pa aah Mujaaveri ko faqath Jabir ibney Abdullah Qureshi aaye hain aur Haashmi bhi haazir hain musaafeiroun kay mujaaver bhi sab musaafir hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 237 Doh shaamiyaaney hain baala-e-qabr-e-Sibtey Rasool Woh ek rehmath-e-haq ek aur aahey Batool Falak sey hoor-o-malak ka hai fouj fouj nazool Ziarath-e-Shahey Mazloom kar rahey hain husool lahadh sey Akbar-o-Asghar kay daagh roushan hain mazaar ek hai par doh charaagh roushan hain

Idhar ayaan huvi bas Zainab-e-khoojistha khisaal Udhar lahadh main tadapney lagaa Rasool ka laal Nida mazaar sey Jaabir ko di ba ranj-o-malaal Main jeetha hotha toh kartha bahen ka isteqbaal sharaf hai Fatema ka Fatema ki jaayi ko meri taraf sey tu jaa uski peishwaayi ko

Chalaa mayeh rufaqaah Jaabir khoojistha nihaadh Sar-e-Hussain liye haathoun par milay Sajjad Qadam pa gir padhaa Jaabir ba naala-o-faryaad Pukaari Abid-e-beykas ko Zainab-e-naashaad Galeh lagaao muhib-e-Nabi yeh Jaabir hai Yeh turbath-e-Shahey Mazloom ka mujaaver hai

Galeh lagaa liya Jaabir ko Shaahey waala ney Galeh pa neel rasan kay dikhaaye aaqaa ney Kahaa kay loot liya bhaayi humko aadaa ney Jo hum pah hogaya hum jaaney ya Khuda Jaaney sar-e-Hussain badee mehnathoun sey laaya hoon Dubaarah baap ko main dafn karney aaya hoon

238 Marsia Salaam Marsia Nauha Taneh Hussain sey mulhaq kiya Hussain ka sar Huva zameen main goyaa qiraan-e-shams-o-qamar Lahadh pa taqtha-e-toobaah qareenay sey rakh kar Pukaarey Abid-e-beykas muhibboh aao idhar suno bagoush kay is dum Rasool rothay hain Dubaarah dafn meray babajaan hothay hain

Yeh kehkay ronay lagay haaye Abid-e-beemaar Mazaar-e-Shaahey ghareebaan jo ho chukaa taiyaar Sarhaaney bhaittkay sab faateha paddhey ek baar Gharazz kay khaima-e-Jaabir main aaye sab deendaar harum ney qabr pa saamaan-e-ashko aah kiya sar-e-mazaar bapaa khaimaa-e-siyaah kiya

Siyaah khaimey main uthrey siyaah poush harum Tawaaf-e-qabr kiya halqaa baandh kar baaham Sabhoun ney qabr ko baaloun sey jhaadaa jab usdam Larazz larazz gayi sadhmey sey qabr-e-Shaahey Umam lahadh pa Shah ki masnadh bichaayi Zainab ney salaam kay liye gardhan jhukaayi Zainab ney

Lipatt kay qabr sey aawaaz di duhaayi hai Ek Arbayeen sey bahen bhaayi main judaayi hai Hussain bhaayi bahen bhooki pyaasi aayi hai Ummeedwaar-e-ziyaafath yeh amma jaayi hai na farsh hai na makaan hai na daana paani hai saqee kay laal yehi meri mehmaani hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 239 Waapis-e-Ahle Haram

Durood padh ke watan ko chala Hussain ka laal Qareeb pahunchi Madine ko jab rasool ki aal Toh apne hathon pah Zainab ne rakhe sar ke baal Kaha Madine se Kulsoom ne ba ranjo malaal luta ke aaye hain Zehra ke sab gharane ko na kar qubool tu hum bekason ke aane ko

Madina hum tere waali ko aaye hain khokar Madina gardane Shabbir par chala qanjar Madina Koofe mein sar nangay hum phire dar dar Madina daage rasan hae hamare shaanoun par hum aaye zinda pah Zehra ka noor ain nahin madina Akbaro Qasim nahin Hussain nahin

Hili zameen Madine ki us ghadi paiham Kiya Basheer ko Sajjad ne talab us dum Gale mein shaale aza daal di ba deedaye num Aur uske haath mein rokar diya siyah alam Kaha ke jaa nahin go apne moonh dikhane ki magar watan mein qabar kardo mere aane ki

Chala Basheer yeh deta hua qabar har jah Magar mohallae Hashim mein dekhta hae kya Ke ek mareeza sare raah hae khadi tanha Jo naam poocha toh roro ke boli woh Sughra Basheer kehne laga kyon tu shoro shain mein hae Kaha yeh haal mera furqate Hussain mein hae

240 Marsia Salaam Marsia Nauha Basheer samjha yeh binte Hussain hae Sughra Qaamosh rah gaya Sughra ke moonh pah kuch na kaha Pukari Fatema gardan mein dekh shaale aza Tu bhai laya hae kiski sunaani mujhko suna Woh bola qaaside beemare Karbala hoon main sunani qabre payambar pah le chala hoon main

Woh boli roroke bhai yeh kya sunata hae Woh kaun hae jise beemar tu batatah hae Sunani kiski hae yeh mujhko howl aatah hae Kay Mustafa ki lehad se tu kehne jatah hae amama phenk kay usne kaha duhaai hae Tere Hussain ki Sughra sunane aayi hae

Zameen pah haaye pidar kehke gir padi Sughra Qabar yeh phaili toh matam har ek ghar mein hua Tamaam auratein nikli gharon se karti buka Nabi ki qabr pah jaake Basheer ne yeh kaha safar se lut ke idhar bhooki pyaasian aayi Utho Rasool tumhari nawaasiyan aayi

Basheer kehta hae wallah rouza kaamp gaya Lehad se naala hua wa Hussain ka paidah Idhar zameen pah tadapti thi Fatema Sughra Zanane Hashimiya ne wahan hujoom kiya hila ke shaana kaha shah-e-mashraqain aae Utho Hussain ke aashiq utho Hussain aaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 241 Watan may qaafela-e-Karbala ki aamadh hai Sawaari-e-Haram-e-Mustafa ki aamadh hai Yateem-e-Sarwar-e-Gulgoon khabaa ki aamadh hai Ghareeb-o-beikas woh bay aashna ki aamadh hai Tamaam shahar hai shaayeiq Ali kay pyaaroun ka nabi ke rauzay pa majmaa hai dost daaroun ka

Sunaa tha jab sey ke aathay hain Syed-e-Akram Khushi sey Fatema Soghra ka tha ajab aalam Kabhi toh jhukti thi sajdeh may woh badeeda-e-nam Kabhi yeh kehti thi kyon naani jaan jeegaye hum Watan may aaj shahey mashraqain aathay hain Chalo chalo meray Baba Hussain aathay hain

Utteen yeh sunthay hi Ummul Baneen ba shoukh-e-tamaam Gayeen jo muttasil Rauza-e-Rasool-e-Anaam Suna yeh shore ke lo aaye shaahey arsh-e-muqaam Nazar woh aata hai dekho nishaan-e-fauj-e-Imaam Baday shikhvay say Hyder ka yaadgaar aaya alam liye huvey Abbas-e-Naamdaar aaya

Yeh nauha paddtha tha ghoday kay aagey aagey Basheer Madina lut gaya jungle may margaye Shabbeer Galay pa dilbar-e-Zehra ke chal gayee Shamsheer Kiya shaheed ghareebul watan ko bey taqseer Padaa raha jo zameen par yeh uska jaama hai Kafan mila na jisey uska yeh Amaama hai

242 Marsia Salaam Marsia Nauha Bitthaakay naaqey ko Saijad-e-naathawaan uthray Asaa ko thaam ke ba chashm khoonfishaan uthray Qareeb marqad-e-Sultaan-e-Insojaan uthray Aur Ahlebaith yeh karthay huvey fughaan uthray huvi ghareeboun pa beidaad Ya Rasoolallah hussain margaye faryaad Ya Rasoolallah

Huva jo rauzay may daakhil woh qaafila naagaah Giray mazaar-e-mubarak pa Abid-e-Zeejah Utthaa kay haath yeh faryaad ki ba naala-o-aah Tabaahi aagayi hum beikasoun pa ya jaddah Yateem hokay yeh naashaad kaam aaya hai Pidar ko khokay watan may ghulaam aaya hai

Badaa sitam kiya ummath ney ya Rasool-e-zaman Kiya Huzoor kay pyaaroun ko zibhaa tashna dahan Raha sinaa pa saray paak aur zameen pa badan Lutay hum aisey ke Baba ko deisakay na Kafan na din ko thi hamay raahat na chaen raathoun ko Jakad diya tha rasan say hamaaray haathoun ko

Gayee lahed pa istarhaa Zainab-e-Mehzoon Ke ek haath may Shaih ka Amaama-e-purkhoon Aur ek haath may Hazrat ka jaama-e-gulgoon Zabaan par marsia jiska yeh jaangazaa mazmoon Yazeed ney hamay loota duhaayi hai Naana Bahen shaheed kay mujray ko aayi hai Naana

Salaam Marsia Nauha Marsia 243 Hussain bhaayi ko hum Karbala may chhod aaye Ali kay Laal ko dasht-e-balaa may chhod aaye Yateem-e-Fatema ko nainawaa may chhod aaye Tumhaaray chaand ko khaak-e-shifa may chhod aaye Yeh baad-e-qatl ajab tafreiqaa padaa Naana Gadaa badhan kahin aur sar kahin gadaa Naana

Huvi Hussain .kay marnay sey dar badar Zainab Gayee Yazeed ki majlis may nangay sar Zainab Kayi maheenay rahi qaid nauhagar Zainab Yeh saqth jaan thi kay jeethi phiree idhar Zainab Waram hai shanou pa dukhtay hain isthokhaan Nana Yeh meray baazu pa rassi ke hain nashaan Nana

*****

Jab baad dafn Shah watan ko haram chale Sajjad saath raandoun ke ba chashme nam chale Hamraah leke qaafela ranjo gham chale Zainab pukaari peet ke sar bhai hum chale Ulfat joh thi kamaal shahe mashraqain se ro-ee lipat lipat ke mazaare Hussain se

Phir sar ko rakh ke qabr pah woh gham ki mubtela Boli ke assalamo alaik ae shahe huda Bhayya utho sawaar karo tum pah main fida Farmaiye watan mein mai jakar karoongi kya rah rah ke dhyan aata hae mujh dil malool ko Kya jaake moonh dikhaoongei qabre rasool ko

244 Marsia Salaam Marsia Nauha Bhaiyya main bin tumhare watan ko na jaaongi Bhaiyya yaheen main qabr pah aansu bahaoongi Naalon se aasmano zameen ko hilaoongi Nazre Hussain pyaasoun ko paani pilaoongi Jo poochega tu rotih hae kyon shoroshain se Kehdoongi chut gayi hoon main bhayi Hussain se

Sajjad roke karte thay Zainab se yeh suqan Chaliye phoopi Khuda ke liye ab su-e watan Ro ro ke jaan doh na yahan behre zulmenan Hona hae qaid tumko dobara basad mehan rauze pah nanajaan ki ab jaake roiyeh Durron ke zaqm pusht pah dikhlake roiyeh

Yeh sunke uthi qabr se aaqir woh soghwaar Ek haudajeh siyaah mein aakar hui sawaar Pahunche watan mein jis ghadi Sajjade dilfigaar Pehle gayi baqiye mein Zehra ki gul-o-zaar Boli lipat ke qabr se amma duhaai hae Bhai ko khoke Zainabe nashaad aayi hae

Amma sunaoon tumko main joh kuch jafa huvi Pardes mein Hussain se Zainab judah huvi Chowthe baras mein baap pah beti fida huvi Amma Hussain margaye main berida huvi Dil zindagi se Zainabe muztar ka hat gaya main dekhti rahi sare Shabbir kat gaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 245 Amma tumhare laal ko kya kya na gham huve Laashe ke haath angoti ki qaatir qalam huve Murdeh pah mere bhai ke taaza sitam huve Pamaal laash hogayi barbaad hum huve Gowhar Sakina ke bhi utaare hain shumr ne Durre hamari pusht pah maare hain shumr ne

Amma tere mareez ko qaidi banaya tha Towqe giraan buqaar mein usko pahnaya tha Kaanton pah nangay paoon adoo ne phiraya tha Amma sivae shukr nahin lab hilaaya tha Bulwaaya tha yazeed ne darbaare aam mein amma Sakina margayi Zindaane Shaam mein

Ae amma ek rassi mein bandhwaya tha hamein Oonton ki nangi pusht pah bithlaya tha hamein Sar tasht mein Hussain ka dikhlaya tha hamein Abed ko durre maarke rulwaya tha hamein hairat hae kyon na Zainabe nashaad margayi amma main sar khule huve shereen ke ghar gayi

Amma phirake Koofe mein phir humko koo bakoo Sar nangay su-e Shaam hamein le chale adoo Pahunche joh shahre Shaam mein hum sab kushada moo Baazariyon mein shor yeh hotah tha char soo Beti Ali ki Zainabe dil geer aayi hae Dekho chalo Hussain ki hamsheer aayi hae

*****

246 Marsia Salaam Marsia Nauha Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul watan phirey Yaani Suey watan haram-e-Panjetan phirey Ek dasth tohfaa leikay nashaan-e-rasann phirey Ghul tha ke Ahlebaith Hussain-o-Hasan phirey satharr doh tanh ko zeray zameen sompey aaye hain Kuch soorray khaak paak ke humraah laaye hain

Asbaab sab lutaa huvaa khaimaa jalaa huva Aur zeen-e-Zuljanaa lahoo sey bhara huva Muh par ghubaarey gunj-e-shaheedaan lagaa huva Daamaaney maatami kafani ka phataa huva Bachchey bhi koozay pani ke haathon may leithay hain Peethay nahin hai fateha Asghar ka deithay hain

Naagaah guzaar qaafeilay ka shaher may huva Aur lashkar-e-Basheer may naqqaara bhi bajaa Aawaaz-e-theiz gaami-e-asphaan huvi bapaa Humsaeeyoun ko Fatema soghra ney di sadaa logo sawaari aathi hai kis baadeshah ki sab ney kaha ke Sibtey Risaalath panaah ki

Ithney may Umme Haaniyaa us dum falak viqaar Sar par qasaaba paaoon mai mouzay bhi aashkaar Ummul Baneen ke saath wahaan aayi ek baar Soghra sey poocha ab toh na hogaa tumhey bukhaar Ghul hai ke Zainab aati hai Shabbir aathey hain Chalti ho tumbhi humtoh unhey lenay jaathe hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 247 Woh boli paishwaayi ko moujood hoon magar Hai qasdh chhup rahoon kisi goshay mai baitt kar Akbar talaash may phirein awaaz dein pidar Asghar bhi ghuttniyou mujhey dhoonday idhar udhar Jab sab kahein ke margayi chutt-thay hi aapsey hansthi huvi main aakay lipat jaaoon baap sey

Ek martaba saroun par padhey mard-o-zann ke haath Jaana sabhoun ney qatl huvey shaahey nekh zaath Soghra ney poocha daadi yeh kaisi hai waaredaath Yeh fouj toh gayi thi na meray pidar ke saath hai hai musaaferoun pa meray kya guzar gayi Poocho toh insey fouj-e-Hussaini kidhar gayi

Aakhar na reh sakhi suey lashkar yeh di nidaa Tum karbala may taaza mulaazim huvey ho kyaa Akbar ke paayeh naam hai tum logoun ka padhaa Baaray kaho guroh-e-Hussaini kahaan gayaa Bathlaao mominou main hoon pyaari Hussain ki ab kithni door hogi sawaari Hussain ki

Naagaah aaya syedoun ka ghoal nangay sar Daamaan sabz kurthoun ke thay sab chaak sar basar Aagay alam liye huvey ek tifl bey pidar Maatam ke neel chaand sey seenay pa jalwaagar mashkizaa-e-Sakina alam may bandhaa huva ek teer usmay behray gawaahi lagaa huva

248 Marsia Salaam Marsia Nauha Zair-e-nashaan padthey thay nauha har ek qadam Maatam Hussain pyaasey ka karthay thay dam ba dam Gham sey larazney lagtha tha jab panja-e-alam Baddtay thay aagay saheb-e-matam ba chashme namm Faareigh jo matame shahey waala se hothay thay Phir kehke haaye Hazrat-e-Abbas rothay thay

Ummul Baneen ney naam jo Abbas ka sunaa Aankhon sey noor seenay say dil hogaya judaa Soghra ko Umme Salma ki aaghoush may diya Boli main baddkay poochoon toh yeh maajra hai kya aghlab hai insey sibte nabi ki khabar miley Kiske yateem aathay hain paa nangay sar khuley

*****

Jab shah ko safar mein bahut din guzar gaye Sughra ko gham hua ke musafir kidhar gaye Kehti thi ghar bhara huva veeran kar gaye Kya jaane kis taraf mere bekas pidar gaye hae showq dil mein sibte payambar ke deed ka Kya wajah hae ke qath nahin aaya raseed ka

Pardesiyon ke gham mein hae jeene se mujhko yaas Bistar pah moonh lapete padi rehti hoon udaas Baba safar se aayenge jab tak na mere paas Tab tak badan se maina utaroongi yeh libaas Jeeti rahi toh wasle imame zaman hua aur margayi toh bas yehi kurta kafan hua

Salaam Marsia Nauha Marsia 249 Aati nahin hae kuch qabere sayyadul anaam Basti kahan basaai kiya kis jagah maqaam Kyon nani jaan aap toh sunti thi woh kalaam Ruqsat ke waqt mujhse joh farmaate thay imam Kehte thay qath bhi aayega Akbar bhi aayenge sughra na ro-o hum tumhein jaldi bulaenge

Dekho na qath aaya na Akbar wahan se aaye Kuch haadesa pada shahe deen par safar mein haye Kis se kahoon ke sibte nabi ki qabar ko jaaye Allah mere baap ko jaldi watan mein laaye sunti hoon dost kam hae shahe mashreqain kay Dushman bahut hain Fatema ke noore ain kay

Maango dua ke sibte payambar ki qair ho Abbaso Qasimo Ali Akbar ki qair ho Behno ki qair ho meri maadar ki qair ho Garmi ka hae safar Ali Asghar ki qair ho amma ko uska doodh badhana naseeb ho Phir ghar mein leke qair se aana naseeb ho

Yeh kehke moonh ko dhaamp ke ro-ee woh nauhagar Kurta tamaam hone laga aansu-on se tar Naani dilaasa dene lagi paas aankar Qurban jaaoon rothi ho kyon dhyan hae kidhar Veeran karenge shaher ko jungle basaenge ab kya quda na qaasta hazrat na aayenge

250 Marsia Salaam Marsia Nauha Charcha hua yeh shahre Madine mein jabaja Sughra se aake madare Abbas ne kaha Zaano pah sar jhukaae hue ro rahi ho kya Shabbir aaye shukr ka sajda karo ada naake pah fouj tehri hae vaari Hussain ki aati hae koi dum mein sawaari Hussain ki

Nani ne tabh yeh us se kaha ho ke shaad shaad Sughra tumhein na tha mere kehna ka aetemaad Main kehti thi ke aate hain ab shahe qush nihaad Poori Khuda ne ki joh mere dil ki thi muraad Dekhongi aaj baap ko maadar ko bhai ko lo kapde ab badal lo chalo peshwaai ko

Woh boli mere dil mein hae kuch aur hi qayal Jab tak na ghar mein aayega Qairunnisa ka laal Kapde na badloongi na mein goondhoongi sar ke baal Aane doh unko jinke liye hae yeh mera haal shikwe karoonge ankhon se aansu bahoongi Baba ko yeh phata hua kurta dikhaoongi

Yeh kehke goadh mein liya beemar ko utha Aur ruq kiya su-e lehade pake Mustafa Nazdeek jab gaye toh yeh ghul yek ba yek hua Aaya hae bay Hussain ke beemare karbala maatam karo habeeb Khuda ke habeeb ka sar kat gaya badan se Hussaine ghareeb ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 251 Kehkar yeh baat ghar se chali duqtare anaam Naani bhi saath hogayi jaldi asa ko thaam Dekha har ek taraf ko hae qilqat ka ijdehaam Kehne lagi yeh madare Abbase nekh naam mujhko toh hae yaqeen ke ab yeh ghar na aayenge shabbir pehle qabre payambar pah jayenge

Aye saakinaane sheher-e-Madina udaao qaak Kardalo aah apne garebaan chaak chaak Shabbir teen roz ka pyasa hua halaak Chaalees veen talak raha bay gore jisme paak Paoge phir na Fatema ke noore ain ko hum Karbala mein dafn kar aaye Hussain ko

*****

252 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Shehzadi Zainab binte Ali (a.s)

Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj maatam hai Azeezo Zeenath-e-Hyder ka aaj maatam hai Ali ki laadli dukhtar ka aaj maatam hai Ghareeb-e-shah ki khwahar ka aaj maatam hai sakoon-e-qalb Khuda ke Habeeb ko dijiyeh Bahen ka pursaa Hussain-e-Ghareeb ko dijiyeh

Dubaara qaid huvey jab Syed-e-Sajjad Aseer karke suey shaam leichaley jallaad Tadap ke saath huvi haaye Zainab-e-naashaad Nabi ke Rauza-e-aqdas pey jaake ki faryaad shaheed hogaya bhaayi Hussain aye nana magar nahin hai layeenou ko chaen aye nana

Phir aaj Abid-e-bekas ke saath jaathi hoon Yazeed nehas ko khauff-e-Khuda dilaati hoon Khuda ney chahaa toh is laal ko chuddaathi hoon Hayaat baaqi agar hai tho waapas aathi hoon Jo aaye raah may maut aap aayieh naana hamaari laash pey aansoo bahaaiyeh naana

Yeh sunke utt ke gayi Fatema ke Rauzay par Lipat ke qabr sey kehnay lagi yeh khastha jigar Utto utto meri amma ke aayi hai dukhtar Aseer hogaya phir mera Abed-e-muztar Tamaam ghar ko ujaada magar na chaen aaya Dubaara Syed-e-Sajjad par sitam dhaaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 253 Phiraachukaa tha sitamgaar dar-ba-dar amma Dikhaaya naizey pa bhaayi ka mujhko sar amma Madina bheja tha ghar baar loot kar amma Phir aaj hotha hai veeraan saara ghar amma Chala hai qaid may phir Zainul-Abideen hai hai rahegi chaen sey kya Zainab-e-hazeen hai hai

Sada-e-nauha Zehra ki lahadh sey aaney lagi Kisi Nabi ney bhi aisi jafa nahin dekhi Nisaar maa teri mazloomiyath ke aye beti Tadap rahi hoon main aye meri dard ki maari main saath chalti hoon aye jaan-e-Zainab-e-muztar Yeh bulbulaan teray qurbaan Zainab-e-muztar

Sunaa jawab siva haaye ashkbaar huvi Qaraar ithna na tha aur beiqaraar huvi Badan laraztaa tha naaqey pa jab sawaar huvi Hazaar zabt sey rukhsath jigar figaar huvi Pukaari jaati hoon rukhsath karo Khuda hafiz milougi raah may kisjaa kaho Khuda hafiz

Ravana hogayi phir suey-shaam waawaila Khamoosh rothay thay chauthay Imaam waawaila Azeez karthay thay milkar tamaam waawaila Layeen ravaana huvey taiz gaam waawaila likha hai raah may ek manzil-e-ghareeb aayi Batool zaadi ki hai hai qazaa qareeb aayi

*****

254 Marsia Salaam Marsia Nauha Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat Hussain ki Sab se siva hae kisko mohabbat Hussain ki Kiski nazar mein farz hae ta-at Hussain ki Takmeel kis se paayi hae shahadath Hussain ki hae kaun yaadgaar Ali-o-Butool ki Woh kaun zee sharaf hae nawasi rasool ki

Zehra ke baad kaun hae maqdoomae jahaan Baba hae kiska shere Khuda faqre murselaan Duniya mein kiske sabr ke qaael hain insojaan Madar hae kiski kashtiye ummat ki baad baan maryam se kiska martabah aala hae qalq mein mashoor kaun saaniye Zehra hae qalq mein

Taazeem kiski karte thay sultane Karbala Kiske sabab se ummate aasi huve reha Ghar bhar ki sougwari ka hissa kise mila Hae koun dil se aashiqe shahinshahe huda Di jis ne jaan ulfate shahe anaam mein hae sab se door kiski lehad mulke Shaam mein

Ausaaf kis mein hae shah-e-mardaan ke hu bahu Hae aur kaun Jaffare Tayyar ki bahu Rag rag mein kiske Fatema Zehra ka hae lahu Sadqe mein kiske rah gayi ummat ki aabru Jiski wafa-o sabr ka qaael Hussain hae Zainab woh duqtare shahe badro hunain

Salaam Marsia Nauha Marsia 255 Bhai imam baap imam aur muqteda Maadar mili woh jiska laqab Ashrafunnisa Nana rasool hae do sara qatme ambiya Farzand paaye aise jo hain fidya-e-Khuda Waqif jahan hae Fatema ki noore ain se Zainab ka martabah koi pooche Hussain se

Nana ko royi baap ko royi woh zee viqar Matam kiya Batool ka bachashme ashkbaar Mohsin ki laash dekhke dil hogaya figaar Barson rahi museebate Shabbar mein soagwaar Bachpan se shughl usko raha shoro shain ka aqir ko dekha Zaib-e-sinaan sar Hussain ka

Pursa ajeeb Zainabe nashaad ko mila Shabbir qatl hotay hi qaima jala diya Sar se uthari shumr ne masooma ki rida Baazu har ek bibi ka rassi mein bandh gaya Balwe mein laaye binte shahe mashraqain ko Jee bharke ronay paayi na Zainab Hussain ko

Baba ko roye bachhe toh Zainab unhein manaye Samjha ke apni goadh mein shab ko unhe sulaaye Saeli kisi yateem ko aakar koi lagaye Yeh dekhkar qaamosh ho shikwa na lab par laaye Bhai ke sar ke saath rahi ijdeham mein sar nangay jaaye koocha-o baazare Shaam mein

256 Marsia Salaam Marsia Nauha Kuch din rahi watan mein woh Zehra ki yaadgaar Par thi bahut Hussain se milne ko beqaraar Tha dushmane imam yazeede sitam shuaar Abed huve joh qaid dobara bahaale zaar mumkin na tha ke moonh rahe ulfat mein modhke Zainab rahe watan mein bhatije ko chod ke

Zindaan se chutke aayi joh Zainab su-e watan Rotih thi jaake nana ke rowze pah qasta tanh Gah Fatema ki qabr pah karti thi yeh sukhan Barbaad Karbala mei huva aapka chaman shikwa na qaid ka tha na baazare Shaam ka Tha zikr bus Hussain alaihis salaam ka

Pahunchi qareebe Shaam ko jis dum woh khush nihaad Aane lagi ziyaada shahe bekafan ki yaad Ek raat aayi jis mein ke dil ki mili muraad Mujhda ajal ka qaab mein sunkar thi shaad shaad Thi gar che iske dil ko qushi inteqaal ki Par fikr thi toh Abede bar gashta haal ki

Guzri woh raat subha shahadat huvi ayaan Jis baagh mein huva tha farokash woh kaarvaan Dushman nabi ki aal ka tha uska baghbaan Zere shajar joh rotih thi Sheh ko woh neem jaan aisa sitam kiya ke na phir sheh ko ro saki Yoon belchey se maara ke jaanbar na ho saki

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 257 Zainab pa huva khaatema har ranj-o-balaa ka Maatam kiya pehlay toh Rasool-e-doh saraa ka Phir gham huva darpeish Batool-e-Uzara ka Dekha sar-e-aaloodh ba-khoon Sher-e-Khuda ka Woh khasthaa jigar Shabbar-e-dilgeer ko royeen Phir baad-e-Hasan Hazrath-e-Shabbir ko royeen

Tiflee hi sey Zainab pah museebath huvi kya kya Naana kay liye royi kiya maatam-e-Zehra Aur Mohsin-e-maasoom kay bhi laashey ko dekha Yeh daagh na bhooli thi kay zakhmi huva baba Tukkdeh jigar-e-Syed-e-masmoom ko dekha Phir teigh kay neechey Shahey mazloom ko dekha

Alqissa kay Zainab ko sadaa bhaayi ki thi yaad Tha dushman-e-Abid jo yazeed-e-sitam eejaad Guzri yeh qabar usko kay kya bhaitta hai dilshaad Ijmaah hai shiyoun ka payeh yaari-e-Sajjad Waaris hai woh teigh-e-kamar shair-e-Khuda ka ab tujh sey aiwaz leyga woh khoon-e-Shohada ka

Yeh sunkay diya hukm shaqi ney sar-e-darbaar Abid ko giraftaar karein jaakay kuch aswaar Zanjeer bhi aur tauq bhi bhaari saa ho taiyaar Lo ab qisaas-e-Shohadaa ka hai talabgaar Kis baat pah magroor woh ibne Shahey deen hai Kya pehli aseeri ka mazaa yaad nahin hai

258 Marsia Salaam Marsia Nauha Baazu mein rasan baandhi thi aur paaoon mein zanjeer Abid yehi kehthay thay kay kya hai meri taqseer Woh kehthay thay yaan poocho na aye naaeb-e-Shabbir Ab Shaam mein ho jaayegi jo honi hai taqdeer abid ney kaha khair chalo darr mujhey kya hai mazloom ka farzand toh raazi ba riza hai

Abid ka sukhan koyi bhi khaatir mein na laaya Naaqey pa usi shakl sey beykas ko bitthaaya Aur rokay zann-o-mard ney ek shor machaaya Naagah yeh ek shaqs ney Abid ko sunaaya Kya baittey ho naaqey pa zaraa dekho udhar ko hamsheer-e-Hussain aathi hai kholey huvey sar ko

Ya Rabb mujhey us shaher ko ab tu na dikhaana Sar nangay phir us mulk mein mujhko na phiraana Hai yaad mujhey Shaam ka woh ranj utthaana Humraah sar-e-Sheh kay huva tha mera aana ab peish-e-nazar bhaayi ki tasveer nahin hai aayi hoon main tanhaa sar-e-Shabbir nahin hai

Us raat ko Zainab rahi mashghool-e-munajaat Naagah saher-e-kooch numayaan huvi haihaath Sajjad ney Zainab sey yeh ro ro kay kahi baat Lo bhaayi sey tum apney karo aaj mulaaqaath Kis dard sey kal aap thee mashghool dua mein maqbool dua hogayi dargaah-e-Khuda mein

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 259 Sajjad jab dobaara aseer-e-jafaa huvey Zanjeer aur touq mein phir mubtelaa huvey Roohey Rasool-e-paak ko sadmey siwaa huvey Dard-o-alam Batool ko la intehaa huvey Ghul tha kay phir Madiney ki basti ujaddti hai Gardanh mein touq paaon mein zanjeer padti hai

Likha hai jin dinon yeh huva zulm aashkaar Ghar mein bohath aleel thi Zainab jigarfigaar Pahunchi khabar jo qaid ki Abid kay ek baar Utthi asaa ko thaam kay ba chashmey ashkbaar aazaa-e-jismey paak baham kaampney lagey aaye jo dar talakh toh qadam kaampney lagey

Roay phupi ko dekh kay Abid ba haaley zaar Itney mein hukm paakay chali fouj-e-naabakaar Aagey toh qaid jaatey thay Sajjad-e-naamdaar Thaa unkay peechey naaqa-e-Zainab jigarfigaar Utta tha dil mein dard qadam thar-tharaatey thay mehmil ko dekh-dekh kay aanson bahaatey thay

Jab sab isi tarhaa sey huveen manzil-e-tamaam Sehra milaa tab ek qareeb-e-dayaarey Shaam Din chupp gaya namood huvi shaam teerafaam Us din rayees-e-shaam ney sab sey kiye kalaam Uthro yaheen kay raahat-e-aab-o-taam ho Behtar yeh hai kay shab ko isi ja muqaam ho

260 Marsia Salaam Marsia Nauha Yeh baat sunkay tham gayi sab fouj-e-naabakaar Kamrey khuley utar padey ghodon sey sab sawaar Bistar lagey bapaa huvey khaimey phir ek baar Ghul chaar su huva kay aseeron sey hoshiyaar in ki taraf sey khauff humein bey sabab nahin shakhjoon girey agar toh kuch iska ajab nahin

Alqissa jis ghadi kay numaayaan huvi saher Lashkar huva yazeed ka aamaada-e-safar Utthi wazu ko khwaahar-e-Sultan-e-Behrobarr Fizza ney jaanemaaz bichaayi bachashmey tarr ekka ek dum malool siwaa huvi jaati theen Zainab namaaz paddti thi aur rothi jaati theen

Faariq huveen dua sey jo Zainab ba chashmey tarr Fizza ko tabh bulaa kay yeh boli woh nauhaagar Yaan sey bohath qareeb hai sunti hoon woh shajar Khooli ney jis darakht mein baandha tha Sheh ka sar ley chal wahaan pey Fatima Zehra ki jaayi ko ro-ungi us darakht kay neechey main bhayi ko

Uttkar qareen-e-shajar kay jo pahunchi kushaan kushaan Bey ekhtiyaar aankhon sey aansoon huvey rawaan Aaya nazar jo khooney sarey Shah-e-naagahaan Liptteen shajar seykhwaaharey Sultan-e-Inso-jaan Chillaati thi kay jaan-e-hazeen nikli jaati hai Bhaiyya tumhaarey khoon ki booh mujko aati hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 261 Royi bayaan kar kay jo Zainab ba haaley zaar Maabayn-e-dasht-e-haaye Hussaina ki thi pukaar Ek baagh tha wahaan kay har ek gul tha jiska khaar Tha mohtemam wahaan ka tameem-e-sitam shayaar Zulmat ayaan thi kufr ki us badh khisaal sey rakhta tha bugz dil mein Mohammad ki aal sey

Aayi sadaa jo kaan mein ronay ki ek baar Teori chaddhaaye baagh sey niklaa woh badhshiyaar Dekha kay ek zaeefa-e-ghaamgeen-o-sogwaar Liptee huvi darakht sey rothi hai zaar zaar raashaa hai tanh mein rang bhi chehray ka zard hai Dushman bhi ro rahey hai yeh baaton mein dard hai

Poocha yeh isney aakay qareeb-e-sipaahey shar Aurath yeh kaunsi hai jo rothi hai is qadar Bola koyi shaqi kay tujhey kya nahin khabar Zainab yehi hai aashiq-e-Sultan-e-behrobar muddath sey sogwaar Shahey tishnakaam hai Yeh khwaaharey Hussain Alaihis salaam hai

Sunna tha yeh kay ghaiz mein ayaa woh badh zubaan Pahuncha qareeb-e-dukhtar-e-Khatoon-e-insojaan Tha aahni jo haath mein ek bailchaa-e-giraan Maara shaqi ney farq pey Zainab kay naagahaan Ghash aagaya zameen pa tharraakay gir padein sar par lagi woh zarb kay tyuraakay gir padein

262 Marsia Salaam Marsia Nauha Abid yeh sunkay laash pa pahunchey ba chashme nam Chehrey ko dekh dekh kay roay basad alam Ro ro kay ghusl denay lagey Sarwar-e-umam Dekhey nashaan rasan kay jo baazu pey hai sitam Boley nishani sipaah-e-naabekaar hai Baad-e-fanaa bhi daagey rasan aashkaar hai

Jis waqt ghusl dey chukay Sajjad-e-dilfigaar Tayyaar qabr bhi huvi itney mein ek baar Go kaamptey thay zouf sey woh dast-e-raashadaar Abid ney khud lahad mein utaara bahaaley zaar Tadpaa jigar yeh shiddat-e-aaho bukaa huvi Turbat jo bandh ki toh qayamat bapaa huvi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 263 Shahadath Shehzadi Umme Kulsoom binte Ali (a.s.)

Umme Kulsoom khwaaharey Zainab Zindagi bhar sahi tu ranj-o-taa-ab Guzrey roney mein teray roz-o-shab Mar gayi gham utthaakay haaye ghazab ab Ali-o-Batool rotay hain Peet kar sar Rasool rotay hain

Bhaayi ko roz-o-shab jo rothi thi Munh ko ashkoun sey apney dhoti thi Gham sey fursath jisey na hothi thi Jaan ro ro kay apni khothi thi Woh jahaan sey guzargayi hai hai Umme Kulsoom margayi hai hai

Yaad aatey hain teray gham bibi Woh aseeri woh qaid ki sakhti Tujh pey yun rash gham-o-alam ki thi Uff woh rudaad bey ridaayi ki Tujhko jab sey gham-e-Hussain milaa ek pal bhi tujhey na chain milaa

Qaid sey chutt kay jab watan aayi Saath bhaayi ka apney gham laayi Zabt karney na paayi dukh paayi Dekha jis dum Madina chillaayi Gham pey gham hum utthaakay aaye hain saarey ghar ko lutaakay aaye hain

264 Marsia Salaam Marsia Nauha Aey Madiney humein qubool na kar Katt gaya teigh sey Hussain ka sar Chinn gayi thi saroun sey bhi chaadar Wapas aaye hain phir kay hum dar dar martey dum tak yeh gham utthaana hai aisa aana bhi koyi aana hai

Hum museebath utthaakay aaye hain Qaid khaaney mein jaakay aaye hain Bhaayi betay gunwaah kay aaye hain Qabr Sheh ki banaakay aaye hain saath betay hain aur na waali hai Godiyaan bibiyoun ki khaali hai

Bain tu ney kiye jo zaar-o-qataar Gham sey dil hogaye sabhi kay figaar Daagh thay teray ek dil pey hazaar Kithni pur dard thi woh teri pukaar Khoon rulaata tha marsia tera Gham sey dil choor choor tha tera

Haaye kaisi ulatt gayi taqdeer Gayi darbaar mein tu hokay aseer Aakhri saans takh rahi dilgeer Umme Kulsoom khwaaharey Shabbir Karbala yaad jab bhi aati hai Yaad teri humein rulaati hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 265 Wafaat Rasool-e-Khuda (s.a.w.s)

Aye momino Yasrab may ajab nauhagari hai Zehra ke liye daagh gham-e-bey pidari hai Labb khushk hai muh zard hai aankhon may taree hai Paighamber-e-kaunain chiraag-e-sahaari hai hothay hain judaa khair-e-bashar khairunnisa sey mehboob-e-khuda choot-thay hain sher-e-khuda sey

Jis ka kalmaa paddtey hain sob momin-e-deendaar Ab aazam-e-firdous hai woh khaasa-e-gaffaar Makkeh may Madine may tabaahi ke hain aasaar Ab hothay hain ummath sey judaa Ahmad-e-Muqtaar Faaqay kiye ghamgeen rahey duniya ke safar may aakhar safar-e-marg kiya maahey safar may

Ek kaafeira ney goshth may tha zeihar khilaaya Is Zeihar ney aakhar yeh asar apna dikhaaya Maula ko sarey bistare aazaar giraaya Hissay may Hassan ke wohi zeihar-e-sitam aaya Kamzore kiya thapp ney Rasool-e-Arabi ko Taaqath na rahi bhaitney uttney ki Nabi ko

Hai aakhri is waqt mera waaz wo naseehath Ab mimber-o-mehraab sey hotha hoon mai rukhsath Aaya tha min Allah ilallah, hai Rehlath Ab hogi mulaaqaath meri roz-e-Qiyaamat Turn gham may meray naala-o-Faryaad karogay is saal mujhey Hajj may bahot yaad karogay

266 Marsia Salaam Marsia Nauha Do cheezein main chodey huvey jaatha hoon magar haan Woh ek toh meri aal hai aur ek hai Quraan Quraan ki haafez meri ithrath hai nigehbaan Yeh dono buzurgi-o-fazeelath may hai eksaan Quraan toh turn sab ki tilaawat ke liye hai aur aal Payambar ki Hidayath ke liye hai

Gar baad meray pahoonchegaa Zehra ko kuch aazaar Marqad sey meri pushth nahi lagney ki zinhaar Yeh chaar buzurg aal-e-Payamber hain khabardaar Zehra-o-Hussain-o-Hassan-o-Hyder-e-Karraar Waajib meray ashaab pa in sab ki vilaa hai Yaaro yehi tabligh-e-risaalat ka silaa hai

Faarigh jo huvey waaz sey woh aashiq-e-daawar Phir ghar mein gaye aur giray farsh-e-ajal par Us roz sey tashreef na phir leygaye baahar Bus qabr may jaaney ko utthey waan sey payambar hairaan-o-pareishaan-o-dil afradaa thi Zehra Baba abhi jeeta tha magar murdaa thi Zehra

Par Ahmad-e-Mukhtaar thay jab housh may aathay Zehra ko basadh yaas kaleijay sey lagaathay Gah pyaar sey yeh dono nawaasoun ko sunaathay Main achcha hoon turn kis liye khaana nahin khaathay Woh kehtay thay kya khaak tamanna-e-ghiza ho allah karey jald kaheen turnko shifa ho

Salaam Marsia Nauha Marsia 267 Sheh kehthay thay seihath ho na ho khaana toh khaalo Naana ke nawaasoun dil-e-muztar ko sambhaalo Chillaathi thi Zehra ke na yeh zikr nikaalo Baba meray farzandoun ko dulhaa toh banaalo armaan tha turnko toh nawaasoun ki dulhan ka Kya biyaah na dekhogay Hussain aur Hassan ka

Ek aah ki ronay lagay aur ghash huvey Maula Darwaazey sey naagaha sadaa yeh huvi paidaah Doh izn huzoor aye haram-e-syed-e-waala Jaakar kaha Zehra ney ke beihosh hain Baba Phir aayi nida phir wohi farmaagayi Zehra Phir theesri awaaz may tharraagayi Zehra

Fursath jo huvi ghash sey toh hazrat ney bhi poocha Zehra ney kaha ek arab aaya hai tanhaa Woh maangtha hai izn huzoor aye meray baba Kitnaa hi kya uzr nahjn isko pazeeraa hazrat ney kaha yeh Malakul Maut hai Zehra hungaam meri zeesth ka ab fauth hai Zehra

Yeh izn kisi sey bhi nahin maangtha wallah Par haan meray darwaazey ke ruthbay sey hai aagah Allah ray izzo sharaf-e-syed-e-zeejaah Bey hukm na ghar may malakul Maut ko thi raah Par karbobalaa may yehi ghar tha yehi dar tha Kuffaar ka amboh tha aathish ka guzar tha

*****

268 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Imam Hassan-e-Mujtaba (a.s.)

Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey jigar huva Sipaara dil ka aahoun sey zair-o-zabar huva Sim ka jo roohey paak pa zaaher asar huva Haal is Imaam-e-paak ka is dum digar huva raahath ney farq aur shikam may khalal padaa Kattkar kaleijaa tashth ke andar nikal padaa

Bistar pa dard-e-dil sey thadapney lagay Imaam Sadhmay sey sabz honay laga roohey surq-e-faam Chillaayeh haath sey yeh kalejay ko thaam thaam Daudo bahen ke kaam hamaara huva tamaam Yeh kehthay kehthay zard rukh-e-paak hogayaa Chillaathay thay ke haaye jigar chaak hogayaa

Daudeen Janaabe Zainab beikas barhaina paa Dekhaa ke loat-thay hain bichounay pa Mujtabaa Boli yeh sar ko peet ke woh gham mai mubteilaa Hai hai behan nisaar ho bhaayi yeh kya huva Kya phir kisi ney zehar-e-daghaa sey pilaa diya Kisney meray kaleijay pa Khanjar chalaa diya

Takiyaa lagaa rahay thay Haram jo idhar udhar Baazu ko thaam leythi thi koyi toh koyi sar Farmayaa laao tashth huva zehar ka asar Reh reh ke koyi kaat-tha hai teigh sey jigar Baddtaa tha jab ke dard-e- jigar may Imaam ke Jhuktay thay baar baar kaleijay ko thaam ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 269 Zainab ney jald laake rakhaa saamney lagann Haathoun sey dil pakadd ke jhukey sarwar-e-zaman Aayi jo khaiy toh kaan-e-jauhar bana dahann Almaas khaakay laal ugalney lagay Hassan rang-e-Zamarudhi ka asar ab ayaan huva meiraaj ki hadees ka mathlab ayaan huva

Farmaathe thay Hassan ke bulaao Hussain ko Tha dam ba dam yeh hukm ke laao Hussain ko Bhaayi ka haal-e-zaar sunaao Hussain ko Tukkdey meray jigar ke dikhaao Hussain ko Kehdo ke jald aayieh rehlath ka waqt hai sun jaayieh kuch aakay wasiyath ka waqt hai

Aaye Hussain ithney may baa chashm ashkbaar Chillaathay thay ke aapki ghurbath ke mai nisaar Shabbar galay ko choom ke kehthay thay baar-baar Main tum pa sadqay aye meray naana ke yaadgaar mujhsey ziyaada zulm-o-sitam tum pa hoyeingay hum qabr mai tumhaari museebath pa royeingay

Bhaiyaa tumhaari goadh mai nikleigaa mera dum Tum doh gay humko ghusl-o-kafan jab mareingay hum Hoga tumhaarey paas na koyi bajuzz alam Qaatil sarhaaney hoyegaa ya khanjar-e-sitam shabbar toh baad-e-marg bhi raahath sey soyegaa laasha tumhaara ghodoun sey paamaal hoyegaa

*****

270 Marsia Salaam Marsia Nauha Vida-e-Ayyam-e-Aza

Aye soghwaaro aaho bukaa ka maqaam hai Ab rukhsath-e-Hussain alaihi salaam hai Mehmaan tumhaara jaata hai jo tashnakaam hai Sar peeto khaak udaao ke maatam tamaam hai ab woh sada-e-haaye Hussainaa na aayegi Ghar may tumhare Fatima Zehra na ayegi

Aye .shaahey karbala teri qidmath na ho saki Aye kushtaa-e- jafaa teri qidmath na ho saki Aye Jaaney Fatima teri qidmath na ho saki Mehmaan-e-Nainawaa teri qidmath na ho saki Ji bhar ke ro sakay na yeh gardish naseeb ki majlis yeh aakhri hai Hussain-e-ghareeb ki

Aglay baras Hussain moharram may aayengay Baaqi rahi hayaat tho yeh gham manayengay Aur Fatima ke laal par aansoo bahayengay Gar margaye tho qabr may hum khaak udaayengay Taiyaar qaafila hai shahey mashraqain ka lo Karbala ko jaata hai kunbaa Hussain ka

Abbas e bawafa Ali Akbar na jaayieh Jhoolay ko khaali chodd ke Asghar na jaayieh Leikar baraat Qasim e bay par na jaayieh Veeraan makaan hotha hai Sarwar na jaayieh aayi sadaa na ro-wo-azadaar aayengay Phir aglay saal apney bharay ghar ko layengay

Salaam Marsia Nauha Marsia 271 Beychaen Fatima hai na aansoo bahaao tum Main ja raha hoon rokay na mujh ko rulaao tum Zehmath na ho toh meri ziarath ko aao tum Turbath pa aakay ashkoun ki chaadar chadhaao tum mehmaan jo karbala may meray paas aayengay Un sab ki paishwaayi ko Abbas aayengay

Lo alvidaa hotha hai rukhsath yeh tashnakaam Tum ro rahay ho maahey moharram sey subho shaam Kausar pa apney haath sey doongaa main bharkay jaam Rukhsath Hussain hotha hai tum par mera salaam Dono jahaan may khush raho aur shaad tum raho amma duaein deithi hai abaad tum raho

Haan aashiqo Hussain ke aaho bukaa karo Zehra ka saath doh madad-e-Mustafa karo Haq-e-mohabbath-e-shahey beikas adaa karo Ab kooch hai Hussain ka mehshar bapaa karo lo ab vidaah kijiyo aal-e-Rasool ko Doh aakhri Hussain ka pursaa Batool ko

Aye Shaah-e-Karbala-e-moallah salaam lo Hum baikasoun ke waali-o-maula salaam lo Aaqaa salaam lo shahey waala salaam lo Aye Fatima ke chaand hamaara salaam lo rukhsath yeh aakhri hai dilafgaar aaye hain maula salaam lo yeh azadaar aaye hain

*****

272 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Shehzaadi Fatima Zehra (s.a.)

Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae Maryam duroodqan hae yeh kiski janab hae Shane Khuda ayaan hae yeh kiski janab hae Dehleez aasman hae yeh kiski janab hae Kursi zameen se lethi hae goshe panah ke Baitha hae arsh saaye mein kis baargah ke

Ulfat Khuda ke baad habeebe Khuda ki hae Munsif ke pas yeh bhi vila kibriya ki hae Parwaa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hae Eeza faqat judaai-e qairulwara ki hae aabo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hae ankhon mein shakl baap ki ronay ka dhyan hae

Bete pukaarte hain ke lillah baahar aao Amma na itna ro-o ghulamoun peh rahem khao Nana kahan gaye hain bula laye hum batao Hum kapde phaadte hain nahin toh gale lagao nana ke baad haaye yeh beqadr hum huve sab ek taraf huzoor ke bhi pyar kum hue

Aqir wafoore girya se aajiz huve Arab Hyder ke pas ronay ki faryaad laye sab Ki arz Fatima se kaho ae wali-e-rab Ya Syedda tumhari raiyath hae jaan balab Khane ka koi waqt na sonay ka waqt hae Jo waqt hae woh aapke ronay ka waqt hae

Salaam Marsia Nauha Marsia 273 Baher se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar Moonh dhanpe ro rahi thi akeli woh qushsiyar Dene lage payame Arab shahe bahrobar Ghabrake boli hai karoon kya mein bepidar Qaabu mein mauth huve toh marjaaon ya Ali Baba ka soag leke kidhar jaoon ya Ali

Meri taraf se ahle Madine ko doh payam Logo qafa na ho meri ruqsat hae subho-shaam Doh chaar din tumhare mohalle mein hae maqaam Ronay ki dhoom ho chuki ab kaam hae tamaam Ghabrati hoon watan mein safar ke maheene se Baba sidhaare kaam mujhe kya Madine se

Ek din nigah karte hain kya shahe la-fatah Mathbaqh hae garm aaridey joh hai gundha hua Nahla rahi hae bachoun ko mal mal ke dast-o-pa Phaila diye hain kurte bhi dho kar juda juda Poocha ke itne kaamon ka jo shagl aaj hae is waqt kuch bahaal tumhara mizaaj hae

Boli ke aaj raat ko ho jaoongi bahaal Kal mere kaarobar mein tum honge qud nidhaal Qidmath ka mere bachhoun ki hoga kise khayaal Nehla dhula diya ke pareshaan tha unka haal Kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali sehra na dekha ek yeh armaan le chali

274 Marsia Salaam Marsia Nauha Phir toh har ek mohalle mein mahshar bapa hua Apne paraaye daude ke hae hae yeh kya hua Fizza pukari Syedda ka waqia hua Hujra Batoole paak ka maatam sara hua Chaati qalaq se dekhne waalon ki phat gayi moonh rakhke moonh peh murde ke Zainab lipat gayi

Mein doodh baqshwane na paayi ke chal basee Sherbat bana ke lane na paayi ke chal basee Kuch haale dil sunaney na paayi ke chal basee Mein be-naseeb aane na paayi ka chal basee Kya jald tar zamaana hua inteqaal ka hae hae abhi toh sin tha kul athara saal ka

Ae meri faaqa kash meri nadaar ammajaan Ae meri be-dawa meri beemaar ammajan Kaabe ki aabroo meri sardaar ammajan Ae meri sabera meri nachaar ammajan nana moovi toh thi koi taaza qitaab doh amma jawab doh meri amma jawab doh

Nanhe se sar khule hain nahin sar peh topiyaan Kehte hain kuch toh moonh se nikalta haaye maan Likha hae jab janaze pah pahoonche woh neem jaan Hasrath se dekha murde ka moonh aur yeh ki fughaan amma ghulam aaye hain ruqsat ke waastey Jaati ho tum nabi ki ziarat ke waastey

Salaam Marsia Nauha Marsia 275 Kehthi thi rokay Zainab-e-naalaan jawaab doh Khaamoush kyon ho aye meri amma jawaab doh Kya hogaya yeh hashr ka saamaan jawaab doh Hothi hai beti aap pa qurbaan jawaab doh ab toh baraayeh khaaliq-e-yazdaan jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Humsaeeyoun ki thi yeh shikaayath ke ammajaan Ya din ko roye ya toh karein raat may fughaan Ronay sey aapke hai khalal kaam may yahaan Naana ke baad phirgaye jo jo thay meharbaan Kaise thay kalmaa goh wo musalman jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Naana ka saaya sar sey uttha sabr karliya Pehloo pa dar giraaya gaya sabr karliya Ummath ney jo jo zulm kiyeh sabr karliya Is zulm ka gilaah na kiya sabr karliya Kaisi thi saabeira meri amma jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Bhaayi Hassan Hussain hain giryaan uttho uttho Kunbaah hai ab tumhaara pareshaan uttho uttho Kuch bolthi nahin meri amma uttho uttho Kaisi lagi hai neendh main qurbaan uttho uttho Zainab kahegi ab kisey amma jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

276 Marsia Salaam Marsia Nauha Bhaayi ka biyaaha bhi na rachaana huva naseeb Hai hai dulhan ko ghar mai na laana huva naseeb Bas haaye tumko ronaa rulaana huva naseeb Ek din na chaen sey tumhey rehna huva naseeb Kya kya thay dilmay aapkay armaan jawab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Aye gham naseeb maadar-e-muztar uttho uttho Aayega sabr ab mujhey kyonkar uttho uttho Uttho baraayeh khaaliq-e-Akbar uttho uttho Sar peet thi hai aapki dukhtar uttho uttho mehboob-e-kibriyaa ki dil-o-jaan jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Deinay lagay jo ghusl toh royeh bahot Ali Thaama jigar ko pehloo pa jis dum nazar padhi Faarigh jo ghusl sey huvey rokar sadaa yeh di Zainab ab aao dekhlo deedaar-e-aakhri Beti tumhaari aayi hai is aan jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Bhaayi Hussain rothay hain uttkar galay lagaao Gham may tumhare peet-thay hain sar inhey manaao Kunbay sey apney aakhri milthey huvey toh jaao Phir ek baar beti ko apni sadaa sunaao Kya so rahi ho tumpa main qurbaan jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Salaam Marsia Nauha Marsia 277 Baba hain sarf-e-giyaa-o-zaari uttho uttho Dekho toh saarey ghar ki tabaahi uttho uttho Tumko qasam hai haq ki main waari uttho uttho Lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho aaye hain dar pa buzar-o-salman jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Jannath ko aye Nabi ki dil-o-jaan jaayieh Ab ghar hamaara hogaya sunsaan jaayieh Phir ek baar ho loon toh qurbaan jaayieh Khaaliq hai ab tumhaara nigehbaan jaayieh Kya daag humko deh gayi amma jawaab doh amma jawaab doh meri amma jawaab doh

*****

Bistarr sey thar tharaa kay utthi thaamkar asaa Qabr-e-Nabi pa faatahey aakhri padhaa Hum saeeyoun kay ghar gayee rukhsath ko aur kahaa Loh saahibo bahel karo ab kooch hai meiraa eizza thi turn sabhoun ko meray shor-o-shayn sey Kal Fatima na hoyegi turn sona chaen sey

Hum saaiyaah kay huqooq sey aagaah hai jahaan Logo meray yateemoun sey rehna nigaahabaan Ab saath inka aur tumhaara hai hum kahaan Bin maa kay hothi hai meri dukhyaari betiyaan Bachpan pa apney bachchoun kay aansoo bahaathi hoon Tumpar Hasan Hussain ko main choday jaathi hoon

278 Marsia Salaam Marsia Nauha Rokar kabhi Hasan ko galay sey lagaa liya Aaghoush main Hussain ko gaahey bitthaa liya Rukhsath kiya kisi ko kisi ko bulaa liya Paddney kay waasthay kabhi Quraan utthaa liya Kehthi thi gaah bachchoun sey mooh apna modd kay Kal soonay ghar main sona hai basthi ko chodd kay

Sunn loh waseeyathein meri is waqt ya Imaam Fizza sey meray baad adaalath sey leyna kaam Hushyaar Fatima ki amaanath sey subho shaam Doh betiyaan doh betay hain bas aur Khuda ka naam mainey baday dukhoun sey yeh bachchey paalay hain haq kay hawaaley tum yeh tumhaarey hawaaley hain

Hai aarzoo kay Qabr main mujhko Hasan litaaye Shabbir meray laashey ka mooh Qibla roo phiraaye Phir khud kahaa nahin nahin bachcha hai darr na jaaye Naagaah khelthay huvey dono yateem aaye Chaathi lagaa kay boli kay lo hum toh marthay hain Turn sey sulook dekhiye kya loug karthay hain

Leykar balaayein beti ki Zehra ney yeh kahaa Rothi toh hoon ziyaada na Zainab mujhey rulaa Kuch bhaaiyoun kay sompney ka samjhi mudh-dua Tu inki ronay waali hai Zehra teray fidaa Kya bas mera jo marzi-e-Parwardigaar hai Zainab tamaam kunbey ki tu soghvaar hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 279 Yeh kehti thi kay ghash ney diya mauth ka payaam Hujreh sey nikley rothay huvey aqrobaah tamaam Tarteeb-e-laash kay liye baahar gaye Imaam Zehra ney yaan musalley pa apna kiya muqaam likhaa hai bas namaz isha ki adaa huvi aur ghul utta kay binte nabi ki qazaa huvi

Maatha Hassan ney laashey kay maathey pa rakh diya Ro ro kay amma amma kahaa aur ghash huva Talvoun sey apney maathey ko Shabbir ney malaa Paaoon main dam na paaya toh yeh kaan main kaha main aapka ghulaam hoon aur noor-e-ain hoon aawaaz doh Hussain hoon amma Hussain

*****

Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya Chaathi sey lagaaya kabhi seenay sey lagaaya Baalaa-e-jabeen bosay liye aur yeh sunaaya Lo pyaaro kay hungaam judaayi ka ab aaya ab tum sey judaa hothi Batool-e-Uzra hai Yeh aakhri Zehra ney tumhey pyaar kiya hai

Hyder sey kahaa inko na pahoonchey koyi eezza Yeh hain meray pyaarey kabhi inko na ghuraknaa Aur aap sey ek arz yeh ab karthi hai Zehra Paddhiyo meray laashey pa namaaz aye meray Maula Furqath mein na in dono ko taddpaaio saahib Bachchoun ko meri qabr pa tum laayio saahib

280 Marsia Salaam Marsia Nauha Naazuk hai mizaaj inka yeh maaloom hai maula Har baat mein bey saaqtha ro deytha hai chotaa Hai khauff ulatt jaaye na seenay mein kaleijaa Tum isko meray laashey pa bhi ronay na deyna sab kudh mein leyn martabaa quraan ka samajh kar Ghurrkay na koyi ab isey bin maa ka samajh kar

Yeh kehkay kiya bandh dar-e-hujraa-e-athar Sab khurd-o-kalaan aankay ronay lagay baahar Awaaz suni kalma-e-taiyab ki baraabar Phir kuch na sadaa aayi kaha sab ney yeh rokar rehlath huvi bas aaj Rasool-e-Arabi ki lo utt gayi duniya sey nishaani bhi Nabi ki

Alqissa woh din maatam-e-Zehra mein jo guzzra Shab aayi khulay gaisuoun sey deyna ko pursaa Hyder ney kiya ghusl ka saamaan mohiyaa Maasooma kay ek haath mein jo zakhm lagaa tha Woh dast-e-Batool aah khameeda nazar aaya Yeh dekhtay hi mooh ko Ali kay jigar aaya

Nehlaa kay jo kafnaaney lagay maiyath-e-Zehra Zainab ney kaha haathoun sey sar peet kay apna Amma ka meray haath toh seedaa karo baba Woh rokay pukaarey yeh khameeda hi raheiga Tabooth mein phir maiyath-e-Zehra ko litaakar sab sey kaha lo bibiyo rukhsath karo aakar

Salaam Marsia Nauha Marsia 281 Kehtey thay Ali Fatema kay laashey sey yeh baat Bas Fatema bas ho chukee beitoun sey mulaqaat Farzandoun ki gardhan sey judaa kijiyeh ab haath Rukhsath bhi ho ab zindoun ka aur laashey ka kya saath Chalnay mein musaafir kay yeh deyree nahin hothi maiyath sey sadaa aayi kay seyri nahin hothi

Saaheb meray bachchoun ko chuddaao na Khudaara Khaatir sey meri deyr karo aur gawaara Hoyegaa meri rooh pa ehsaan tumhaara Bachchoun sey ziyaada mujhey koyi nahin pyaara masoomoun sey dum bhar mein bichadd jaayegi Zehra Phir kaaheyko yoon seenay liptaayegi Zehra

*****

282 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadath Hazrath Ali ibne Abu Taalib (a.s.)

Aye rozey daaro aaho bukaa ke yeh roz hain Saadaath par nuzool-e-balaa ke yeh roz hain Sartaaj-e-ausiyaa ki azaa ke yeh roz hain Tumsey vidaa-e-shair-e-khuda ke yeh roz hain Zakhmi huva Imam tumhaara namaaz may Zaalim ney rozeydaar ko maara namaaz may

Maahey mubaarak-e-Ramazaan aur khuda ka ghar Thaddkaa woh noor ka woh shab-e-Qadr ki sahar Paish-e-khuda woh sajdeh may shair-e-khuda ka sar Aur haaye teigh zulm ki zarbath woh farq par Fawaarey khoon ke zakhme jabeen sey bahaa kiye sajdeh may aap rabbi-ul-aala kahaa kiye

Sar peeto mominou sar-e-hyder huva doh neem Imaan ke burj kaama-e-anwar huva doh neem Souncho toh farq shah ka kyonkar huva doh neem Likha hai maqz takh sar-e-athar huva doh neem Zehra ney baal kholay nabi nangay sar huvey Tum bey Imaam aur Hassan bey pidar huvey

Likhaa hai jab doh neem huvaa farq-e-Murtuza Sidhray sey jibraeel ke ronay ka ghul utthaa Phainkhee saroun sey Zainab-o-Kulsoom ney ridaa Chillaa ke bhaaiyoun ko pukaari ghazab huva sunthay ho jibraeel ney is waqt kya kahaa woh bolay peet kar quthalal Murtuza kahaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 283 Daudey yeh kehkay jaanib-e-Masjid-o-Nekh zaath Doobi huvi lahoo may mili kashti-e-Najaath Maathay pa khoon baap ka malkar kahi yeh baath Hai hai utthaaya Qibla-o-Kaaba pa kisney haath rulvaaya naana jaan ko Darus-salaam may Bin baap ka kiya hamein maahey siyaam may

Naagaah namaaziyoun ka groh aaya nangay sar Hyder ney Mujtaba sey kaha aankhein khol kar Padvaao turn namaaz jamaath ki aye pisar Hum bhaittay bhaittay paddthay hain apney muqaam par leikeen jabeen ke zakhm pa rumaal baandho mera sar-e-shigaaftaa aye laal baandho

Baandha Hassan ney Zakhm-e-sarey shaah-e-Zuljalaal Bolay Ali ke aur kaso dard hai kamaal Shabbar ney jab kasaa toh kiya phir wohi miqaal Phir chusth baandhkar pukaara woh khush qisaal ab dard kaisa aye Asad-e-Zuljalaal hai haathoun sey sar pakadd ke kaha wohi haal hai

Padvaa ke phir namaaz jamaath ki Mujtaba Baba ke sar pa paddney lagay Aaya-e-shifa Naagaah aakey yeh kisi aurath ney di nidaa Zehra ke pyaaro turnsey yeh Zainab ney hai kaha Baba ko meray jald jo ghar may na laaogay Toh sar barehna mujhko bhi Masjid may paaogay

284 Marsia Salaam Marsia Nauha Bolay Ali havaas abhi sey bajaa nahin Zainab sey kehdo kufaa hai yeh karbalaa nahin Main bey dayaar-o-beikas-o-bey aashnaa nahin Shia hain girdh nargha-e-ahley jafaa nahin Pardeh sey nangay sar tu abhi kyon nikalthi hai Kya halq par Hussain ke talwaar chalthi hai

*****

Imaan ki jaan kya hae mohabbath Ali ki hae Rahat jo qabr ki hae woh ulfath Ali ki hae Sa-il bakaf hain sab woh saqawath Ali ki hae Qatil ko di aman woh murawath Ali ki hae aadil ho peshwa ho madarul maham ho Gar ho nabi ke baad toh aisa imam ho

Sadqe ghulam teri museebat ke ya Ali Ae janasheen janabe risalat ke ya Ali Qurban lahoo bhari teri soorath ke ya Ali Ayyam hae yeh teri shahadath ke ya Ali Yeh zulm be jahat yeh sitam be sabab hua Talwar tere sar peh lagi kya ghazab hua

Unnesween se aapka matam hae ya Ali Qoon ho gaye diloun ka yeh aalam hae ya Ali Daftar jahan ka darham-o-barham hae ya Ali Mahe siyaam mahe muharram hae ya Ali moula ki nazr ko gohare ashk laye hain Yeh rozedaar aapke pursey ko aaye hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 285 Moula shigaaftha huva sajde mein sar tera Syed tabaah ho gaya Koofe mein ghar tera Sarwar alam diloun ko hae sham-o-sehar tera Aaqa inhi dinoun mein huva tha safar tera aalam se beqabar they quzoo-o-qushoo mein Talwar jab lagi thi jhuke they rukoo mein

Ghar mein Khuda ke qatl hua rozedar haye Hae hae imam haye shahe zulfiqaar haye Ae qana zadeh haq shahe ta-ath guzaar haye Mouladh haram mein hae toh Najaf mein mazaar haye Yeh bandagi nisare janabe Ameer ke nikle toh ghar se marke Khuda-e-Qadeer ke

Laya tha zeher mein woh jafa joh bujha ke tegh Moula gire zameen peh sajde mein khake tegh Gul padh gaya ke sar peh lagi Murtuza ke tegh Khayi Khuda ke sher ne ghar mein Khuda ke tegh Gehra hae zakhm farqe imame hijaaz par sar se tapak raha hae lahoo janamaaz par

Shere Khuda jo haathon se thamay thay apna sar Khoon dono kohniyon se tapakta tha qaak par Bhaaga jo ibne muljim-e maloon-o-badsiyar Pakda useh Ali ke muhebbon ne daudh kar laaye joh haath baandh ke Moula ke saamne Qatil pah muskura ke nazar ki imam ne

286 Marsia Salaam Marsia Nauha Farmaya maine kounsi ki thi teri qata Paadaash nekiyon ki yehi hae jahaan mein kya Kya mein bura imam tha ae baniye jafa Roya jo sar jhuka ke toh moula ne yeh kaha is dard mein bhi sabke marz ki dawa hain hum Bandho na iske haath ke mushkil kusha hain hum

Dono shabein Ali ko tadapte hui basar Lethay thay is taraf kabhi karwat kabhi udhar Rokar dabaate paon jo Shabbir-e naamwar Rah jaathay they imam-e doh aalam hila ke sar roodaadh thi nazar mein mujassim Hussain ki awaaz sun ke rotay thay Zainab ke bain ki

Jab beesween ka din bhi tadap kar huva tamam Ummul baneen se chownk ke kehne lage imam Doh din se aah sab mere bachhe hain be ta-aam Faqe mein in peh guzregi kya aaj ki bhi shaam achha hoon ab toh mein yeh abas beqaraar hain Khana inhe khilao ke sab rozedaar hain

Bole Hussain baap se haathoun ko jodh kar Sab khaen phir jo aap tanavul kare agar Farmaya rizq uth gaya majboor hae pidar Pani bhi ab gale se utartha nahin pisar Dawat Ali ki aaj hae ghar mein Ilaah ke roza khulega saath risaalath panah ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 287 Chup hogaye yeh kehkar shahenshahe kaenaath Samjhe yeh sab ke ghash mein hain Shahe niko-sifaat Jis waqt baaqi rah gayi kuch kam ghadi woh raat Tegh-e ajal ne qatta kiya rishta-e hayaath Tadka tha noor ka ke safar kar gaye Ali sab shia bay imam hue mar gaye Ali

*****

Waarid huvi naagah shab-e-zarbath-e-Hyder Bas kholtay hi roza kamar baandhi ajal par Us shab thay kabhi sahen mein gahey hujreh kay andar Humsaaye ko har baar nidaa deitay thay rokar hyder ki sawaari su-ey firdous chali hai Jaagoh yeh shab-e-qadr shab-e-qatl-e-Ali hai

Wallah main doh raatoun ka mehmaan hoon tumhaara Tarr dekhogay kal khoon sey reesh-e-rukh-e-Zebaa Barrseyga lahoo teen din aflaak sey harjaa Aye saahibo imsaal-e-Ali Hajj mein na hogaa Tum eid kay din rovogay Shabbar sey lipatt kar royegaa Hasan baap kay mimber sey lipatt kar

Kulsoom ney rokar kaha waahasratho dardaa Kya betiyaan ab sabr karein aapko baba Kis tarhaa yaqeen tumko huva apni ajal ka Farmaaya jo irshaad-e-Payambar hai woh hoga Doh roz hai duniya mein bas ab qooth hamaara ekkisveen ko uttheyga tabooth hamaara

288 Marsia Salaam Marsia Nauha Har ghar mein sadaa hoveygi kal haaye Ali ki Kal rothi huvi aayegi yaan rooh Nabi ki Haalath meray gham mein na bajaa hogi kisi ki Kal aayegi yaan laash Payambar kay vasi ki Kal shia bhi sar kholeingay aur ahle harum bhi Zehra ki sadaa aayi kafan phaadeingay hum bhi

Zainab sey rivaayath hai kay thi chaar ghadi raat Mushtaaq-e-qazaa ghar sey chaley Syed-e-khush zaath Tasbeeh bakaff jamaa huvey deodi pa sadaath Waan Sheh ney Azaan di yahaan ki sab ney munajaath Guldastha ho Hyder sey sar afraaz hameishaa Ya Rabb rahey duniya mein yeh awaaz hameishaa

Phir baad-e-Azaan kaan mein awaaz yeh aayi Aye shiyo Ali qatl huvey haq ki duhaayi Is nauhey sey aagaah huvi saari khudaayi Chehroun pa Nabi zaadiyoun ney khaak uddhaayi Jannath sey Nabi phaad kay daamaan-e-kafan aaye sar peet-thay masjid mein Hussain aur Hasan aaye

Baba ka lahoo pehlay toh chehroun pa lagaaya Phir dono ney maa bayn-e-kileem unko utthaaya Leykar jo chaley ronaa Ali ko bohath aaya Shabbir ney poocha toh yeh Hyder ney sunaaya ronaa yeh hai jab halq tu kattwayega pyaarey Koyi tera laasha na utthaa laayega pyaarey

Salaam Marsia Nauha Marsia 289 Sab rothay huvey daudey kay laasha waheen aaya Hujreh mein yadullah ko masnadh pa littaaya Abbas ko abbas ki maadar ney bulaaya Sadqey ki tarhaa girdh Ali isko phiraaya aur boli kay ya Rabb meray waali ko shifaa dey sadqey yeh pisar deythi hoon waaris ko bachaaley

*****

290 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadat Imam Muhammad-e-Baqar (a.s.)

Hai qasd kuch fazael-e-Baquar raqam karoon Tahreer mojizaatey Imam-e-Umam karoon Likhney mein misley khaama-e-sar ajz kham karoon Lauh-o-qalam ko geeratey lauh-o-qalam karoon anwaarey mojizaat sey raushan kitaab ho Khaama shuaa ho toh waraqh aftaab ho

Ek din pidar ki goud mein tha woh falak muqaam Ek shiya laya nazrey dirahem paey Imam Sajjad kay huzoor woh dirham rakhey tamaam Dirham sey khelney lagaa farzand-e-nekh naam Kya aql di thi khaaliq-e-roz-e-hisaab ney Dirham zameen pey phaink diya us janaab ney

Tab doud kar mohib ney dirham uttha liya Aur us ko darmiyaan-e-dirham par milaa diya Baquar ney chunkay phir wahi dirham judaa kiya Tifli mein thi yeh aap pey taaeed-e-kibriya likha hai teen baar yehi maajera huva Us dum mohib ko Sheh kay tahyur bada huva

Abid sey ki yeh shia-e-Abid ney iltejaa Irshaad aap kijiyeh yeh majera hai kya Sheh ney kaha yeh aadat-e-tifli na jaantaa Hoga Imam baad humarey yeh mehlaqaa Dirham yeh ek gazbi-o-maal-e-haraam hai Kyun kar issey qubool karey yeh Imam hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 291 Baquar pey woh nisaar huvaa paaoon choom choom Tifli sey Sheh kay Ilm-e-Khuda daad ki thi dhoom Baquar ki sharaa kartey hain yeh khaas aur amoom Yaani hai woh Imam shagafandah-e-uloom Tha koi raaz-e-ghaib na Shah sey chupaa hua Uqdaa woh kaun tha jo na Hazrat sey waa hua

Likhta hoon ab Shahadat-e-Maula-e-khoosh nihaad Tha bas kay zaid ibn-e-Hassan ko hasad ziyaad Rakhta tha bughz aap sey woh baani-e-fasaad Karta tha majlison mein hiqaarat sey Sheh ko yaad Tha munhareef woh Baquar-e-aali muqaam sey Karta tha adaa-e-Imamat Imam sey

Sougandh khaakay zaid ney is waqt yeh kahaa Daawaa na ab karoonga Imamat ka mutleqaa Phir suey mulk shaam woh maloon rawaan huvaa Abdul malik sey jaakay kahaa sab yeh maajeraa aakhir ko yeh kaha kay humaarey gumaan mein Baquar sa ab nahin koyi saarey jahaan mein

Abdul malik ko bughz-o-khusumath huvi ziyaad Kya kya na usney Shahey Umam sey kiye fisaad Akhir Imam ko yeh likhaa az rahey anaad Main bhejtaa hoon zaid ko aye Shahey khush nihaad ibn-e-Hassan ko laayeq-e-takreem kijiyeh Taadeeb kijiyeh usay taaleem kijiyeh

292 Marsia Salaam Marsia Nauha Aur ek zeen taabiye jis mein kiya tha sam Hum raah zaid bheijaa baraaye Shahey umam Aaya jo Zaid rubaru-e-Shaahey ba karam Shah boley hai jo qasd tera jaantey hain hum aey ibne Amm yeh zulmo sitam tu ney kya kiya is zeen mein hai taabiye zehr-e-dagaa kiya

Is zeen par main hothaa hoon daanista ab sawaar Bandey ko kya mashiyat-e-izd mein ekhtiyaar Bandha woh zeen asp pey Allah rey inkesaar Aur zaib-e-raahwaar huva Shaahey bawaqaar maut apni ki pasand raza-e-Ilaah mein Us zaher ney nafooz kiya jism-e-Shah mein

Sheh ney muraaje-ath ki sawaari sey aah jab Bas aashkaar hogaye aasaar-e-maut sab Farmaaya teen roz kay hum mehmaan hain ab Jaffar ko laao aur kafan bhi karo talab Talib kafan kay badley hain is pairahan kay hum Kabey ka tawaaf kartey thay jis ko pahen kay hum

Laaye woh jaama Hazrat-e-Sadiq bachashm-e-tarr Hazrat ney pyaar karkay kahaa unko aye pisar Jaata hoon main jahaan sey tu hothaa hai beypidar Duniya sey aaj kartaa hoon uqbaa ka main safar Pyarey pidar kay marney ka tum gham na khaaiyo mazloomi-e-Hussain pey aansoo bahaaiyo

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 293 Shahadat Imam Jaffar-e-Sadiq (a.s.)

Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar ki yaad mein Saamaan-e-gham tha farq-e-paak-e-aiteqaad mein Tha jashn-e-eid khaana-e- ahley anaad mein Goya bahaar aayi thi baagh-e-muraad mein Khush thay kay baarawar shajar-e-muddaa huva Ek taaza gul Ali kay chaman sey judaa huva

Din raat ahley shar isi tadbeer mein thay aah Khairul bashar ka naam mitaa dey woh rusiyaah Par khalq reh na sakti thi bey Hujjat-e-ilaah Bakhshaa Khuda ney Jaffar-e-Sadiq ko izz-o-jaah Jo har kushaa-e-taqt karaamat huvey huzoor Raunaq fizaa-e-taqt Imaamat huvey huzoor

Qurbaan malak thay Jaffar-e-Sadiq ki shaan par Haafiz fida thay mushaf-e-naatiq ki shaan par Maula toh jaan detay thay Khaaliq ki shaan par Maashooq ko bhi naaz tha aashiqh ki shaan par Qaail zubaan har ek munafiq ki hogayi Aalam mein dhoom ulfat-e-Sadiq ki hogayi

Raazi qazaa pey tha woh jigar band-e-Murtuza Karta hai ek shaks yeh wasfey Shahey Huda Beemaar koyi aapka tha tifl mehlaqaa Daulat saraa pey uski ayaadat ko main gaya Hazrat khadey huvey thay jhuka main salaam ko Paaya magar udaas Imam-e-anaam ko

294 Marsia Salaam Marsia Nauha Andar gaye huzoor main tehraa raha wahin Dekha yeh wapasi mein kay gham ka asar nahin Main ney kaha kay shaad rakhey Rab-ul-alameen Shehzaada khairiyat sey hai aye Baadshahey deen Farmaaya woh mareez jahaan sey guzar gaya Ladkay ka haal dekh kay aaya hoon margayaa

Poocha kay pehley ranj tha ab kyun nahin malaal Boley hum Ahleybait-e-Nabi ka yahi hai haal Gham ka dum-e-nuzool bhalaa kartey hain khayaal Naazil woh hogayi toh kiya shukr-e-Zuljalaal Tasleem kis tarha na Raza kibriya ki ho Bandey ka dakhl kya jo mashiyat Khuda ki ho

Masoom ki qazaa-e-ilaahi pey thi nazar Kyun kar na ho Hussain sey saber kay thay jigar Hai aashkar himmatey Shabbir-e-naamwar Pardes mein lutaa diya aabaad apna ghar Raah-e-Khuda mein dil ko sambhaala Imam ney Aulaad zibhaa hogayi aankhon kay saamney

Baqar kay laqtey dil ko na aya kabhi ghazab Taabay Khuda kay hukm ka tha Sarwar-e-arab Karta tha sabr naasir-e-deen-e-habib-e-Rab Deta tha sadmey aapko mansoor-e-bey adab Firoun-e-asr phir gaya fakhrey kaleem sey Keena tha sang saqht ko durr-e-yateem sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 295 Rehti thi usko shaam-o-saher fikr-e-qatl-e-Shah Jalta tha aaftab-e-Imaamat sey rusiyaah Thi arzoo kay khana-e-Hyder ho phir tabaah Hon bey Imam khaadim-e-Sultan-e-deen panaah Saadaat mubtelaa-e-balaa-e-azeem ho Jaffer ho qatl Moosi-e-Kazim yateem ho

Zaalim ko bey gunaah sey manzoor thi daghaa Makkaar ney Iraq mein aakhir talab kiya Karta raha iraada-e-qatl-e-Shahey Huda Aijaz taaza dekh kay kar deyta thaa rehaa Tegh-e-sitam nikalta tha jab niyam sey Chal sakta tha na zor dua-e-Imam sey

Sadh haif sang dil ko na kuch iska tha khayaal Mehmaan maraa hai gulshan-e-Baqar ka naunehaal Mansoor ka bhi tark-e-wafaa mein wahi tha haal Jaisey yazeed-o-Ibney ziyaad zaboon khisaal Kis tarha zaalimon ney sataaya Hussain ko Loota bulaa kay ghar sey Shahey Mashraqain ko

Haq kay wali ka dushman-e-jaani tha rusiyaa Sab aafaton sey bachkay watan mein jab aaye Shah Woh zulm hogaya kay Madina huva tabaa Angoor mein Imam ko dilwaaya zehar aah Sarw-e-riyaaz-e-deen ka ajab haal hogaya Sar sabz baagh-e-deen ka pamaal hogayaa

*****

296 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadat Imam Musa-e-Kazim (a.s.)

Sar peeto aaj Moosiye Jaffar huva shaheed Ibney Ali-o-ibney Payambar huva shaheed Gurbath mein aah Kazim-e-beypar huva shaheed Lo mominon ka saathwaan rehbar huva shaheed Pilwaaya zaher baadey Shahey khaaso aam ko Haroon na rasheed ney maraa Imam ko

Kis tarha sey bayaan karoon zulm-e-ahley keen Afsos paitt bhar kabhi khaana milaa nahin Faaqey pa faaqa karta tha Ahmad ka jaanasheen Zindan mein chawda saal thay mehboos Shahey deen Taaqath na thi zaraa bhi qawood-o-qiyaam ki Haalat yeh thi Imam Alaihis Salaam ki

Di ummat-e-Nabi ko na Hazrat ney badd dua Har waqt Sheh kay labb pey rahaa Shukr-e-Kibriya Sindi kay taziyaanon ki har roz thi jafaa Behta tha khoon jism sey roohi lakal fidaa Izza-e-qaid aisi kisi ney sahi nahin Beydaad is tarha ki kisi par huvi nahin

Alqissa zaher aapko angoor mein diyaa Jis sey Janaab-e-Moosiye Kazim ney ki qazaa Baazon ney likhaa hai yeh shahaadat ka maajera Piglaa kay sheesh aap ko jabran pilaa diyaa Kaisey kahoon kay haal huva kya Imam ka Jal kar huva kabaab kaleijaa Imam ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 297 Ghul padd gaya kay Moosiye Kazim ney ki qazaa Laashey ko laakay jasr pey adaa ney rakh diyaa Aur chehra-e-Imam sey kapddaa hataa diyaa Doh roz yuhin laash ka chehra khilaa rahaa Thi laash beykafan Shahey Aali muqaam ki Tauqeer thi yeh Aaley Rasool-e-Anaam ki

Nazdeek bhaayi tha na pisar tha na bhaanja Tanhaayi mein yeh zulm-o-sitam wa museebataa Do rooz takh toh jasr pey laasha pada rahaa Mayyat pey roney walaa bhi hai hai koyi na thaa Sadmey utthakay haaye jahaan sey guzar gaye Gurbath mein aah Kazim-e-zeeshaan margaye

Shiaa nisaar aapki ghurbath kay Ya Imam Ghurbat mein tum shaheed huvey aye Shahey Anaam Bey jurm maraa aapko ya Shaahey khaas-o-aam Haroon ney haif kar diya kaam aap ka tamaam Khauf-e-Khuda na khauf-e-Rasool-e-Khuda kiya Shammey hayaat aap ki zaalim bhujaa diya

Misl-e-tamashaa dekhtey hain saarey mard-o-zan Hai zair-e-aftaab Imam-e-Huda ka tanh Haroon ka bhaayi laash pey aaya basad mehan Hazrat ko apney ghar sey diya kheemti kafan Kazim kay paas bheja Khuda ney fidaayi ko Lekin kafan mila na Shahey Karbalaayi ko

*****

298 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadat Imam Muhammad Taqi-e-Jawwad (a.s.)

Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey Raza rahaa Sajjadaa-e-Rasool pey shagley dua rahaa Har ranj mein zabaan pa shukr-e-Khuda rahaa Ginti kay dostdaar thay dushman hazaarhaa Badh khwaah kitney is Qamr-e-Murtuza kay thay Tha ek chiraagh sainkdo jhonkay hawa kay thay

Kya haal ho Raza kay jigar bandh ka bayaan Pyara tha Murtuza ka woh sultan-e-insojaan Mojiz numa Imam-e-Zamaan Hadi-e-jahaan Aisey wali kay dar pey iza thay badhgumaan Souz-e-alam sey dil mein thay chaaley padey huey Thay rashkay gul ko jaan kay laaley padey huvey

Laanat Khuda ki motesim nabekaar par Bheja payaam chodiye ghar aayiye udhar Dar pesh aah phir huva Baghdad ka safar Par is safar ney manzil-e-akhir ki di khabar Mazloom ka yeh kooch watan sey akheer tha Mushtaq kung khabr ka woh gosha gheer tha

Humrahaa Ume Fazl bhi thi mourid-e-azaab Yasrab sey jaaney ki thi khushi is ko beyhisaab Iska chacha tha motesim-e-khanumaan kharaab Baghdad mein pahunchgaye Shah-e-Falak janab Tauqeer zaheri toh bohat bey wafaa ney ki Par fikr qatl-e-Shah is ahl-e-jafa ney ki

Salaam Marsia Nauha Marsia 299 Baghdad mein muqeem rahey saal bhar huzoor Naari yeh chahta tha kay gul ho chiraag-e-noor Waaqif tha umme fazl ki haalat sey pur futoor Rakhti thi bugz rehbar-e-Aalam sey bey shaoor Zalim kay mashwarey sey woh khirsand hogayi Kehney pey motesim kay raza mand hogayi

Yeh bey murawati yeh sitam yeh ghazab yeh qaher Woh bekasi Imam ki woh door apna shaher Dekhey toh Ahl-e-dil khalash khaar bagh-e-dahar Angoor raazaqi mein diya faakha kash ko zaher Li karwatein Ali-o-wali ko pukaar kay Aazaa-e-paak sooj gaye dil figaar kay

Roney lagi woh dekh kay Hazrat ka haal-e-zaar Farmaya aap ney kay abas hai toh ashkbaar Is aarzey sey dega sazaa tujhko kirdegaar Jis ka koyi elaaj nahin aye jafaa shiyaar Deyti jawaab kya sar-e-maloona jhuk gaya Dum Shaahey deen ka zaher kay sadmoun sey rukgaya

Takleef payi chand shab-o-roz jaan ghasal Taseer-e-sam sey aag thi seenay mein mushtiaal Woh karb-o-jigar ki haraarat woh dard-e-dil Hothaa gaya Rasool ka dildaar muzmahil Haakim ney ki madad na tawajjoh tabeeb ney Akhir safar kiya suey jannat ghareeb ney

300 Marsia Salaam Marsia Nauha Kumla kay reh gaya gul-e-tar Buturaab ka Murjhayaa naunehaal Risaalat maab ka Dekha jawaana marg ney rang inqilaab ka Woh maut beykasi ki woh mausam shabaab ka Kyun peer charkh jaaye ta saf hai ya nahin Kamsin Imamon mein koyi aisa huva nahin

Anjaam is tarha bhi kitaabon mein hai raqam Shiyoun ney aap kay jo suna yeh naya sitham Rotay huvey gaye sar-e-tasleem kar kay kham Mayyat ko baher-e-ghusl utthaya bachashmey nam Seenon ko apney khastaa jigar peetney lagey Ammamey phenk phenk kay sar peetney lagey

Nehlaya is musafer-e-darussalam ko Bhar aaye dil kafan jo pinhaaya Imam ko Taboot mein litaa kay Shahey khaas-o-aam ko Pursa diya Ali ko Rasool-e-anaam ko Naaley tawaaf kartey thay arsh-e-majeed ka Matam kiya uttha kay janaza shaheed ka

Jis ja thi qabr Moosiye Kazim falak wikhaar Pehlu mein is lahad kay khuda doosra mazaar Poshida zair-e-khaaq huva noor-e-kirdegaar Hasrat pukaar ti thi kay is shaan kay nisaar Takheer dafn sey bhi sharaf ashkaar hai Yeh waris-e-Hussain ghareeb-ud-dayaar hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 301 Shahadat Imam Ali Naqi (Al-Hadi) (a.s.)

Kis umr mein Ali un Naqi bey pidar huvey Bachpan mein dil pey chott lagi nauhagar huvey Yasrab mein jaanasheen-e-Shahey behrobar huvey Yeh waarisey bizaa-atay khair ul bashar huvey Ilm-o-Amal ko maan liya shaikh o shaab ney Kya kamsini mein paayi buzurgi janaab ney

Charkhey neham Imam-e-deham ka maqaam hai Pushto panaah arshey bareen inka naam hai Har chaar simt maddah o sanaa-e-Imam hai Tasbeeh sashjahat ki durood-o-salaam hai Naari hai jo kahey kay yeh noor-e-khuda nahin Anwaar khamsa-e-najbaa sey judaa nahin

Aye door charqhey raah yeh kaisa hain intezaam Khamosh kyun rahoon kay shikayat ka hai maqaam Rehney na paaye chain sey istarha ka Imam Qayam maqam iskay huvey dushmaney Imam Farzand per rasool kay ummat jafaa karey Pursa na jab koyi ho toh mazloom kya karey

Tayyar qatl per mutawakkil raha madaam Majboor rehgaya wo aduwey Shahey anaam Pahuncha safar mein choddkay yeh kaarey na tamaam Qayam maqaam iskay huvey dushmaney Imam Fursat mili na dilbar-e-Sher-e- ilaah ko Tadbeer motemadh sey milaa zehr Shah ko

302 Marsia Salaam Marsia Nauha Wo khalq ka masih huva sahibey firaash Bey hiss tha jism farsh pey goya padi thi laash Kunj lahad ki goshaa nasheen ko huvi talaash Suraaqh dil mein tha toh kaleija tha paash paash Aatey thay haal dekhney baashindey Shahr kay Pothaa Raza ka marta tha sadmey sey zehr kay

Raawi bohot sey haashmi is kay hain la kalaam Jin mein hai ek ka Hasan ibn-e-Hussain naam Aaya jo roz rehlat-e-Shaahey falak maqaam Sehney makaan mein farsh pey thay jalwagar imam Majma bohot tha Syed-e-zijaah kay qareeb Mardam thay jamaa yak sad-o-panjaah kay qareeb

Nagaah Askari nazar aaye humein udaas Dakhil huvey makaan mein ayaan chehrey sey thi yaas Paband hazan khaak gareebaan o beyhawaas Dahni taraf khadey huvey aaker pidar kay paas Kis haal mein hain koun yeh hain jaantey na thay Huzzaar-e-Anjuman inhey pehchaantey na thay

Noor-e-nazar ko dekh kay Hazrat ney yeh kaha Kar shukr kirdegaar kay aye meray mehlaqaa Haadas ek Amr teray liye haq ney hai kiya Roney laga yeh suntey hi wo raaziye Raza Bola kay shukr marhamat-e-Zuljalal hai Dey apni nematein yeh Khuda sey sawaal hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 303 Poocha kisi ney tabh huva maalum sab ko haal Yeh hain Hasan janab-e-Ali un Naqi kay laal Zaahir huva jo umr ki jaanib kya khayaal Hoga qareeb bees baras kay yeh khush Jamaal Samjhey ishara hum yeh kalaam-e-Imam ka Hain jaanasheen yahi Shahey aali muqaam ka

Rothaa raha Wasi e Shahinshahey behrobar Sa-ath wo aayi sar sey uttha saaye-e-pidar Saameray sey jinaan ki taraf hogaya safar Hai hai chuttaa musafir-e-yasrab sey yeh bhi ghar Ghul paddgaya wafaat-e- gharibul watan huvi Saamaaney ghusl ka huva fikre kafan huvi

*****

304 Marsia Salaam Marsia Nauha Shahadat Imam Hasan Askari (a.s.)

Shora jahan mein Hasan-e-Askari ka hai Naqsha nageen yeh arsh ki angushtari ka hai Kounain mein yeh gul chaman-e-Hyderi ka hai Durr-e-yateem maadan-e-Paighambari ka hai Mazloomiyat misaaley janaab-e-Hussain hai Aur dabdabey mein faatahey Badr-o-Hunain hai

Per Motamadh ney Qaher kiya wa musibataah Aisey wali ko zehr diya wa musibataah Imaan kay ghar ku loot liya wa musibataah Khooney jigar haram ney piyaa wa musibataah Phaada kafan Nabi ney Ali nangey sar huvey Bachpan mein haye Mehdi-e-deen bey pidar huvey

Arwaahey Panjatan ko sataaya hazaar haif Jannat mein Mustafa ko rulaaya hazaar haif Turbat sey Fatima ko utthaya hazaar haif Qabr-e- shahey Najaf ko hilaaya hazaar haif Ghul Saameray mein hota tha jis waqt bayn ka Yaan Karbala mein hilta tha marqad Hussain ka

Hairaan thay zayeraan-e-Hussaini kay kya hai aaj Kyun zalzaley mein qabrey Shahey Karbala hai aaj Mehshar miyaane ganjey shaheedaan bapaa hai aaj Aati hai yeh sadaa humey sadmaa badaa hai aaj Zakhmi badan ko meray adu ney hilaa diya Pothay ko meray zehrey halahal pilaa diya

Salaam Marsia Nauha Marsia 305 Hairat hai kyun zameen pey na arshey ulaa giraa Is zulm sey amaama e Mushkilkhusha giraa Abbasiyon pey kyun na falak jaabaja giraa Baalaa e khaak taaj-e-Rasool-e-Khuda giraa Sar apna kholey sog mein aaley Rasool ney Jannat mein sar sey phenkdi chaadar Batool ney

Likha hai jab Imam huvey aazam-e-jinaan Ek dafaa Sameray mein qayamat huvi ayaan Daulat saraaye Shah sey aaney lagi fughaan Lo momino yateem huvey Saheb-uz-Zamaan Sar garm zulm chaaron taraf badh khisaal hai Aur haif hai ki Mehdiye deen khurdasaal hai

Saaya na baap ka na koyi bhaayi saath hai Sar per Imam-e-Asr kay bus haq ki zaat hai Is bey pidar ki simt kisey iltefaat hai Ab sharm Ahlebait ki Zehra kay haath hai Murday kay gird shor jo nauhey ka hotaa hai Masoom phoot phoot kay baba ko rothaa hai

Ab istarhaa sey ahley khabar kartey hai bayaan Maatam sara mein bibiyaan karti thi yeh fughaan Nehla chukay jo laashaye Moula-e-dojahaan Kafnaya usko rakhtay mutaahir kay darmiyaan Awaaz aayi Fatima kay shoro shain ki Sab shia roye beykafani per Hussain ki

*****

306 Marsia Salaam Marsia Nauha Inhedaam-e-Jannat-ul-Baqee

Aey charkh teray zulm ki kuch inteha nahin Ye sach hai ki kisi sey bhi tuney wafa nahin Lekin bataadey kya tujhey khauff-e-Khuda nahin Ya Fatima sey bhi tujhey sharm-o-hayaa nahin Zehra ki qabr Najdiyon ney haif dhaadiya Sach toh yeh hai kaaba-e-eemaan gira diya

Kaabey ko dhaya marqad-e-Zehra jo dhaadiya Kaaba nahin tha arsh-e-Khuda thaa gira diya Yeh zulm woh hai jiski nahin koyi inteha Parwardigaar azmat-e-Zehra ka waasta Naazil balaa ho unpey koyi aasmaan sey Jaldi mita dey Najdiyon ko tu jahaan sey

Jaan-e-Rasool khaasa-e-daawar woh Fatima Shohar hai jiska Saaqiye-Kausar woh Fatima Shabbir-o-Mujtaba ki jo maadar woh Fatima Pehlu pey jiskay haaye giraa dar woh Fatima Talwar aur pehlu-e-Zehra hazaar haif Pushtey mubarak aapki durrey hazaar haif

Thi paanch saal ki kay Khatija ney ki qazaa Maadar ka saaya sar sey uttha waa Mohammada Atthaarween baras mein pidar sey huvi juda Jheyli museebatein woh nahin jiski inteha Zinda rahi toh baap ko rona nahin mila Baad-e-Rasool chain sey sona nahin mila

Salaam Marsia Nauha Marsia 307 Bait-ul-huzan ko jaati thi Zehra paey buka Afsos us jagaah ko bhi ummat ney dhaa diya Saaye mein baitthna bhi gawaara nahin huva Yeh qadr Fatima ki huvi waah Mohammada Kaisey karoon bayaan joh zulm-o-sitam huvey Baher shumaar sey hain woh ranjo alam huvey

Kyun mominon kaleija tumhara na munh ko aaye Darwaza fatima kay shikam par giraaya haaye Sadmey sey jiskay Hazrat-e-Mohsin wafaat paaye Yeh Syeda ney baap ki ummat sey dukh utthaaye Aalam mein is tarah sey kisi par jafa na ho Mazlooma Fatima si koi Ya Khuda na ho

Suntey ho momineen toh karta hoon main bayaan Barbaadiye quboor aaimaa ki daastaan Qabr-e-Hasan pey baandhi hai aada ney bakriyan Oonton ko lekay jaatey hain har waqt saarban Ki sharm kuch Khuda sey na uskay Rasool sey Allah samjhey jald yeh qaum-e-jahool sey

Ranj-o-alam ki dil pey girey kyun na bijliyan Masjid Ali ki gosh ki dukaan al-amaan Qabr-e-Khatija pey toh barasti hai goliyan Is waastey kay Fatima Zehra ki thi yeh Maa Ummat ney khoob qadr-e-Risaalat maab ki Qabrein bhi Ahlebait ki hai hai kharaab ki

308 Marsia Salaam Marsia Nauha Ji chahta hai kaat kay marjayein khud galaa Moulood Nabi ka hogaya afsos mazbala Kis munh sey yeh kahoon kay huvey zulm aur kya Qabr-e-Batool-e-paak ko kachrey sey bhar diya Kachrey mein roz aag lagatey hain haif hai Bint-e-Nabi ki qabr jalaatey hain haif hai

Yaaro bathaao zulm ki kuch inteha bhi hai Ummat ko aah paas-e-Rasool-e-Khuda bhi hai Baddkar koi jahan mein is sey jafaa bhi hai Qabron mein haif aag lagaana rawaa bhi hai Haq ki qasam na rahem sey Ya Shah kaam lo Ya Mustafa lahad sey uttho inteqaam lo

Hum dekhein qabr-e-Fatima mitjaaye haif haye Zehra ki qabr aag sey jaljaye haif haye Shiyon ko sunkay baat yeh chain aaye haif haye Momin galaa na kaat kay marjaaye haif haye Dholey yeh haat jeeney sey inka yeh kaam hai Saadat ko toh dehar mein rehna haraam hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 309 310 Marsia Salaam Marsia Nauha Nauhas Dil hai beychaen shaahey huda ka Ho raha hai safar karbala ka Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka Ho raha hai safar karbala ka

Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley aur paani tumharey hawaaley Saath maasoom bachchoun ka hoga Ho raha hai safar karbala ka

Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath ab yehi hai khuda ki mashiyath Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza Ho raha hai safar karbala ka

Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi Saath chalnaa hai dushwaar uska Ho raha hai safar karbala ka

Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai raastha har qadam pur qatar hai Saamna ab hai dasht-e-bala ka Ho raha hai safar karbala ka

Saath hai meri baali Sakina Behray ismath ka hai yeh nagina Marqadh zindaan may iska baneigaa Ho raha hai safar karbala ka

Saath meray mera mehlaqaa hai humshabi-e-Rasool-e-Khuda hai

312 Nauha Salaam Marsia Nauha Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya Ho raha hai safar karbala ka

Aaj hai Bibiyoun ko amaari shaan sey jaarahi hai sawaari Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa Ho raha hai safar karbala ka

***** Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi Moharram mein Chuttaa hai Sheh sey Madina isi Moharram mein

Isi mein Sheh pa huvaa saathveen sey paani bandh Rahaa Furaath pa pehraa isi Moharram mein

Isi mein Aun-o-Mohammad ki laash laaye Shah Shaheed hogaya dulhaa isi Moharram mein

Isi mein qatl huvaa Naujawaan Ali Akbar Bahaa hai khoon-e-tamanna isi Moharram mein

Hussain pyaasey ka baazu isi mein tootaa hai Shaheed hogaya Saqqaa isi Moharram mein

Chiddaa kay teer sey hulqoom Sheh kay haathoun par Tadap kay rehgayaa bachcha isi Moharram mein

Isi mahiney mein sar katt gaya namazi ka Lahad sey niklee hai Zehra isi Moharram mein

Isi mahiney mein masnadh jalee payambar ki Pidar ko royi Sakina isi Moharram mein

Salaam Marsia Nauha Nauha 313 Isi mahiney mein qaidi banay Nabi kay Haram Chinnee hai chaadar-e-Zehra isi Moharram mein

Jigar kharaash hai Shoukath Hussain ki rudaad Yateem hogayi Sughra isi Moharram mein

***** Aayi haatif ki awaaz sheh ko Uthro Shabbir yeh karbala hai Bas qadam ab naa aagay baddhaao Uthro Shabbir yeh karbala hai

Ab safar khatm hai ibne Zehra labay darya karo Qaima barpaa Hashr takh hai yaheen tumko rehnaa Uthro Shabbir yeh karbala hai

Yaheen nauroz mehmaan rahogay Khaaney peenay ki ezzaa sahougay Bhookay pyaasey yaheen qatl hongay Uthro Shabbir yeh karbala hai

Marthay dum takh na paani milegaa Pyaasi gardhan pa khanjar chaleigaa Sar chadheigaa sinaan par tumhaara Uthro Shabbir yeh karbala hai

Laash chaalees din takh tumhaari isi jungle may ooriyaan rahegi Ronay waala bhi hoga na koyi Uthro Shabbir yeh karbala hai

314 Nauha Salaam Marsia Nauha Khaayegi jab Sakina tamaachey Yaheen Tadpeygaa laasha tumhaara Shimr deigaa yaheen usko ezza Uthro Shabbir yeh karbala hai

*****

Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo

Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo

Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo

Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo

Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo

Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo

Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo

Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 315 Mujh pay kyun bandh kartey ho paani

Mera Naana Nabi, meri Maa Sayyada Mera Baba Ali, mera Bhaayi Hasan Hum hi hain Panjatan Hum hi hain Panjatan

Meri kya he khataa, Meri kya he khataa Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon Kya main Zahra ka jaaya nahin hoon x3 Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon

Meray Naana ney kalma sikhaaya Aur Quraan tumko sunaaya Kya main Naana ka saaya nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Woh Madina jahaan mera ghar hai Aur Masjid mein us ghar ka dar hai Kya main us ghar mein kheilaa nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Chakkiyaan pees kar Maa ney paala Mujhko Naana ney jhoola jhulaaya Apna bachpan main bhoolaa nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon

316 Nauha Salaam Marsia Nauha Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Kamli waale kay lab choomta tha Kithna pyaara mera bachpanaa tha Kya main unkaa dulaara nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Main jo paani kabhi maangtaa tha Kyun tadapti thi Maa ab main samjhaa Paas Asghar kay jaata nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Main jo chaahun baras jaayein baadal Khoon mein dooba nazar aaye maqtal Jung karney main aaya nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Ek sadaa thi yeh Rehaan-o-Sarwar Keh rahey thay Hussain ibne haider Kya main mehmaan aaya nahin hoon Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon Mujh pay kyun bandh kartey ho paani Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 317 Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba Karbala Jaakay mujhey bhool gaye kya baba

Harf harf iskaa badi ghaur sey paddnaa baba Kaanmptay haathoun sey likkhi hoon yeh naama baba

Door uftaada mareezaa ney likhaa hai tasleem Aap sab ko meri jaanib sey yeh kehnaa baba

Haaye kis kis ki shikaayath karoon Allah Allah Ek khath bhi kisi ney nahin likkha baba

Kya likkhoon haal ajab haal hai taph sey meraa Aisey jeenay sey hai behthar mera marnaa baba

Zouf ithnaa hai kay chalti hoon toh gir paddti hoon Sar mein chakkar hai meray haath mein raasha baba

Dekh kar haal mera rothi hai ghurbath meri Hichki jab aathi hai chillaati hoon baba baba

Bhaayi Akbar ko bhijaaney ka kiya tha waada Jald bhijwaao Khuda kay liye baba baba

Bhaayi Qasim ki meray hogayi hogi shaadi Meri jaanib sey mubaarak unhein kehnaa baba

Pyaar karna meri jaanib sey Ali Asghar ko Yaad aatha hai woh chotaa mera bhaiyyah baba

Rokay aakhir mein mareeza ney yeh likkha Hilmi Jald pardes sey aajaao Khudaara baba

*****

318 Nauha Salaam Marsia Nauha Qaasidh mera qath leijaa ehsaan badaa hoga Baba mera koofay mein mehmaan huvaa hoga

Qaasidh meray Baba ki pehchaan badi yeh hai Abbas Alam leikar baazu mein khadaa hoga

Qaasidh meray bhaayi ki shaadi kay yehi din hain Hum shakl-e-Payambar hai sehra bhi bandhaa hoga

Qaimon mein khabar deina,qaasidh hoon main Soghra ka Meray gham-e-furqath mein, ek shor machaa hoga

Deinay ko rakhaa kya hai, ley-lijiyo tu jaakar Akbar ney meraa tohfaa eedi ka rakhaa hoga

*****

Kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge Dushwaar huva jeena kab laotke aaoge

Roothi hai khushi mujhse har lamha naya gham hai Dhadkan ki sadaaon mein tanhaai ka maatam hai Bhayya Ali Akbar ki furqat mein yeh aalam hai Har saans hai ek bhaala kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kya jaaniye aatey hain kyon mujhko yeh andeshe Manzar nazar aatey hain jaltey huve qaimoun ke Rah rah ke na jaane kyon girtee hai rida sar se Kya haal hai phoopiyoun ka kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Salaam Marsia Nauha Nauha 319 Rahta hai tasawwur mein chehra Ali Akbar ka Phirta hai nigaahoun mein jhoola Ali Asghar ka Allah muhaafiz hai ab mere bhare ghar ka Ghabraata hai dil mera kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Bhaiyya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga Soncha na kisi ne bhi hai door bohot Sughra Hasrath hai ke dekhoon mai bhai ko bane dulha Goondhi hoon yahan sehra kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kyon jaane mujhe aksar aata hai qayal aisa Yoon lagta hai jaise ke be-pardah hai sub kunba Allah rakhe pardah Zehra ke gharaane ka Dil kaamptha hai mera kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Shashmaaha mera bhai yaad aata hai reh reh kar Kya ghutniyoun chalta hai ab mera Ali Asghar Ho pyaar mera baba maasoom ki aankhon par Daali hoon main gehwaara kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kya yaas hai aye Razvi pahuncha hai qathe Sughra Rethi pa rakha Sheh ne laasha Ali Asghar ka Ronay lagey beti ka qath padhke Shahey waala Qath mein yahi likha tha kab laotke aaoge Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

*****

320 Nauha Salaam Marsia Nauha Bhaiyya mujhe bhool na jaana Sab phooloun ke gehne mai sawaari dulhan aaye Tum jaise ho bus waisi hi pyaari dulhan aaye Sar pe agar sehra sajaana, Haath pay kangnaa jo bandhana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Sar pay agar sehra sajaana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Fatema Sughra ne yeh Akbar ko likha hai Bhaayi salaamat raho behna ki dua hai Baad-e-dua dil mai ye armaan basaa hai Masnad-e shaadi jo bichaana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Baba ki aaghosh mei mai bhi toh pali hoon Bhaiyya teri ungli pakad kar mai chali hoon Kyon mai teri chaaoun se mehroom rahi hoon Baba ki jab chaoun mein jaana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Baba se kehna ke meri jald khabar lein Toot na jaaye kahin baba meri saasein Kat tha nahin din na guzarti hai yeh raatein Qath mera baba ko sunaana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Bhaiyya tere baad jo din eid ka aaya Eidi ke din eid mai gham maine hai paaya Mujhko bhare ghar ki judaayi ne rulaaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 321 Dukh yeh mera sub ko bataana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Sunti hoon Karbal ki bohat garm hawa hai Amma se kehna ke yeh Sughra ne kaha hai Phool sa Asghar jo mera saath gaya hai Dhoop se jab usko bachana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Behnoun ka dil jaane jigar hota hai bhaayi Aankh teherti hai jidhar hota hai bhaayi Mere tadapne ka asar hota hai bhaayi Tum ho jahan mujhko bulaana Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

***** Haaye sughra bathaa kya likhoon

Maula maqtal mein sar ko jhukaaye Laash-e-Akbar pey tanhaa khadey hai Dheemey dheemey tapaktey hai aansoo Haaye Sughra ka khath parh rahey hain Boley kya main jawaab iska doon (x2) Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Maen toh pardes mein lutt gaya Apney lashkar ko maen ro chukaa Tera baba ghareeb hogaya (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

322 Nauha Salaam Marsia Nauha Aandhiyaan mera ghar leygayi Meray lakht-e-jigar leygayi Mera noor-e-nazar leygayi (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Khath tera ab sunaaoon kisey Kaun meri sadaa par utthey Shab ko jaagey huvey sogaye (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Haaye Sughra woh bhaayi tera Jisney tujh sey tha waada kiya Khaa gayi usko Karbobala (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Pyaar tunay hai jisko likhaa Ghuttniyoun bhi jo na chal sakaa Haan woh Asghar bhi ab na rahaa (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Shab ko dulhaa banaaya jisey Raas aayi na mehendi jisey Royi sehrey ki lariyaa’n jisey (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 323 Ab Sakina ka Haafiz Khuda Waqt Zainab pey bhi hai khadda Mujh ko gheirey huvey hai qazaa (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Yeh toh accha huva laadli Apney ghar mein hi tu rehgayi Beridaayi sey toh bachgayi (x2) Aur iskay siwaa kya likhoon Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

*****

Soona hae Madina Ashoor ko aaya yeh khath-e Fatema Sughra Soona hae Madina Kab laotke ghar aaoge ya shah-e Madina Soona hae Madina

Main dar pah khadi rehti hoon ek aas lagaye bhaiyya nahin aaye Shikva nahin Akbar se hae taqdeer se shikwa Soona hae Madina

Do din se mere halq se paani nahin uthra qurbaan ho Sughra Dil kehta hae pardes mein tum pyaase ho baba Soona hae Madina Pardes mein bhaiyya ho agar byaah tumhara armaan hae mera Baandhe huve sehra meri turbat pa bhi aana

324 Nauha Salaam Marsia Nauha Soona hae Madina

Main raaton ko sothi hoon toh jaag utt thi hoon aksar kya baat hae aakhir Bikhraaye huve baal nazar aati hae Zehra Soona hae Madina

Ek sheeshe mein kuch khaak liye phirti hain daadi aur karti hain zaari Mazloom Hussaina mere mazloom Hussaina Soona hae Madina

Amma ki bhari godh rahe maang na ujde Khaaliq se dua hae Ya rab mere besheer ka aabaad ho jhoola Soona hae Madina

Khath padh ke Hussain ibne Ali khoob sa roye aur sar ko jhukaye Qaasid ke qareeb rakh diya ek nanha sa laasha Soona hae Madina

*****

Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare

Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare dariya ke kinaare Maamu pah fida hogaye Zainab ke dulaare dariya ke kinaare

Salaam Marsia Nauha Nauha 325 Sunkar yeh sada saaniye Zehra yeh pukaari amma gayi waari Aatey he mere laadle duniya se sidhaare dariya ke kinaare Dekhenge na paani ki taraf aankh utha ke vaada tha yeh maa se Shahzaadon ne dum todh diya pyaas ke maare dariya ke kinaare

Maqtal ke andheron mein thay us ghar ke ujaale doh phool se pyaare Yeh chand ke tukde hain ke tootey huve taare dariya ke kinaare

Qaime mein abhi laane ki jaldi nahin logo akbar se yeh kehdo Bachhon ko mere bhai ka sadqa toh utaare dariya ke kinaare

Yaad aagaye Muslim ke pisar bekaso muztar barpa huva mehshar Qaatil ne joh sar Aun-o Mohammed ke utaare dariya ke kinaare

Achha hae ke sothay gaye moonh qaak pah rakh ke saaye mein alam ke Abbas ke qadmoun mein rahe laal hamare dariya ke kinaare

Kaata gaya jab qushk gala sibte nabi ka farzande Ali ka

326 Nauha Salaam Marsia Nauha Chilla uthi Zainab ke, hae hae mere pyaare dariya ke kinaare

Ghar lootey hain Zainab pah qayamat ki ghadi hae qaamosh khadi hae Suntah nahin koi woh kise jaake pukaare dariya ke kinaare

*****

Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai

Hai lahoo bhara chehra kaisi roonumaayi hai Dekhne ko yeh manzar ab dulhan bhi aayi hai Ek din ki thi shaadi hashr takh judaayi hai Karbala ke dulha ki laash ghar may aayi hai

Do jahaan na kyon roye yeh Ali ka potha hai Bekasi pey qasim ki dil shikista hotha hai Yeh zameen rothi hai aasmaan bhi rotha hai Ab kisi ko saktaa hai koyi jaan khotha hai

Kis liye tadapthey hain kis ko jaayein samjhaane Kya guzarti hai hum par woh toh bas khuda jaane Qalb bhi hamarey hain shah ke aza khaane Hai aza-e-qasim mein ansoovon ke nazraane

Aaj karbala waale phir hamarey mehmaan hain Phool ho ke mehendi ho sab aza ke saamaan hain Ehtemaam shaadi ke ek bahen ke armaan hain Gham zadoun ke nazraane ansoovon ke toofan hain

Salaam Marsia Nauha Nauha 327 Bayn thay yeh Kubra ke Ab toh ghutt raha hai dum Bolthay nahin kuch bhi aaj meray ibne amm Kis tarhaa sey dikhlaaye apney dil ka yeh aalam Boliye phupi amma chup rahe ke roye hum

Misl Fatema Kubra kaunsi dulhan hogi Sar toh bey rawa hoga haath mai rasan hogi Laash jiske waaris ki run mai bey kafan hogi Aye rafi is gham mai qoum seena zann hogi

*****

Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Kyon gulon ki khushbu se sara run mehakta hae Pairahan moattar hae kya yeh koi dulha hae Chaand sa haseen chehra dhoop mein chamakta hae Aur lahu ki dhaaron ka uske ruq pah sehra hae Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Jab lagaayi thi mehndi usko pyari behna ne Ma libaase nau lekar aayi usko pehnaane Sab baraatiyon ke thay aansuon ke nazraane Subah ki thi yeh baatein shaam ki Khuda jaane Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Tashnagi ke sehra mein aag si barasti hae Boond boond paani ko zindagi tarasti hae Tashnakaam dulha hae aur dulhan bhi pyaasi hae Haaye kaisi shaadi hae har taraf udaasi hae Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

328 Nauha Salaam Marsia Nauha Subha se kayi laashe leke aaye maidaan se Par yeh laash laane ki shaan hi niraali hae Ek abaa ke goshe mein jiski laash aajaye Uske jisme athar par guzri kya Khuda jaane Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Run mein laash dulha ki qaak o qoon mein ghaltaan hae Waan dulhan ke qaime mein hashr jaisa saamaan hae Sar pah qaak daali hae maang uski veeraan hae Bain uske sun sunkar ma ka dil pareshan hae Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Hogayi dulhan bewa sheh ka dil tadapta hae Har nafas wohi manzar chashme nam mein rehta hae Ghash mein umme Farwa hae aur dulhan ko sakta hae Ab Raza qayamat hae aasmaan larazta hae Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

*****

Abbas, Abbas, Abbas

Allahuma adkhil alaa ahlil quboor-is-suroor Allahuma aghni kulle faqeer Allahuma ashbi kulla jaa’i Allahuma ashfi kulle mareez Behaqqe Hazrat-e-Abbas Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 329 Beta hai tu Ali ka,Zehra ki tu dua hai Shabbir tera Aaqa,Ummul Baneen Maa hai Har Surato chalan mai Haider sey na judaa hai Ta hashr tuj sey qaayam duniya mai bas wafa hai Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Tere Alam ko thaamey,Har shaqs keh raha hai Mazloom-e-Karbala ka,Zainab ka waasta hai Pardesi koyi aisa,pardes may na ujdey Sadqey mai uske jiska,Ghar baar lutgaya hai Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Us waqt jabke Zainab,darbaar mai gayi thi Qaari Namaazioun sey,mehfil saji huvi thi Zaalim yeh poochta tha,ghaazi tera kahaan hai Baaloun sey muh chupaaye,Zainab yeh keh rahi thi Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Taqdeer ke sataaye,tere dar pey sar jhukaye Ashkoun ki iltija hum,ghaazi tujhe sunaaye Beemar saaribaan ke,zakhmoun ka waasta hai Jitne bhi khasta dil hai,maula shifa woh paaye Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Dil ki muraad Ghaazi ,tere Alam se paaye Rothi huvi jo maaen,tere Alam pe aaye Zahra ke dard-e-pehlu ka,deithi hai waasta Fizza ki kaneezi mai,mera bhi naam aaye Abbas, Abbas, Abbas (x2)

330 Nauha Salaam Marsia Nauha Shaame Gharibaan mei jis,ka kurta jalgaya hai Kaanou sey baaliyaan bhi,haaye Shimr legaya hai Is bebasi sey Maula,bacchi koyi na tarsey Farsh-e-Aza pe rokar,har dil yeh keh raha hai Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hain Maasuma ki qasam hai, ghazi faqat tere hain Woh kuch raqam karoon mai, jo na raqam huva hain Alfaaz woh ataa kar,Yawar se jo pare hain Abbas, Abbas, Abbas (x2)

*****

Abbas mera margaya Zainab

Zainab Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab Shabbir dethay thay sada Zainab . Zainab Barpaa karo behna aza Bhaayi huva hum sey judaa Hum ho gaye bey aasra Kohe museebath gir padaa Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Bazoo huvey uske qalam Kaisa huva hai yeh sitham Tanha huve ghurbath mai hum Maatam karo zere alam Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Salaam Marsia Nauha Nauha 331 Aatha alam ko dekhkar Poocha cha-cha ko tha magar Dar pey hai unki muntazar Usko na ho iski khabar Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Maarey gaye uske cha-cha Maaloom agar usko hua Baali sakina bey bahaa Peetaygi sar karke bukaa Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Akbar sey aye behna kaho Jaakar chachi ko pursa doh Pooche humein ghamqaar jo Kehdena hai maatam mai woh Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Tanha humein ab jaankar Kya kuch kareingay ahle shar Barbaad hoga ghar ka ghar Kat jayega ab mera sar Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

Karlo anees is dum bukaa Na jaaney aaye kab qazaa Ya waqt aisa aa gaya Maatam pa ho zoro jafa Zainab Abbas mera margaya Zainab Zainab

*****

332 Nauha Salaam Marsia Nauha Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan todh gaye meri kamar bhaijaan Rotih hae khaime mein Sakina wahan sothay hain Abbas zameen par yahan

Margaya Akbar pidar Shere jawan mar gaya Thaamlo meri kamar Shere jawan mar gaya Sadqe karo laash par Shere jawan mar gaya Lut gaya bekas ka ghar Shere jawan mar gaya

Quwwate baazu mera kya hogaya zeenate pehlu mera kya hogaya Ashiqe diljo mera kya hogaya kya huva afsoas mera qadr daan

Hamko sabhaalega kaun Shere jawan mar gaya Laash utaega kaun Shere jawan mar gaya Bhai pukarega kaun Shere jawan mar gaya Qabr banaega kaun Shere jawan mar gaya

Kya hua saqqae Sakina ko aah kisne kiya mera bhara ghar tabaah Kya hui Abbase biradar ki chah ab gayi woh pyaar ki baatein kahan

Kaun qabar ley meri Shere jawan mar gaya Hai meri bekasi Shere jawan mar gaya Shere jawan mar gaya Shere jawan mar gaya Talq hui zindagi Shere jawan mar gaya Chalti hae dil par churi Shere jawan mar gaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 333 Todho na ghurbat mein meri aas utho dekho Hussain aaya hae Abbas utho Rotah hae mazloom basad yaas utho utho bus ab ghar mein chalo bhaijaan

Dhoom hae qaime mein waan Shere jawan mar gaya Karti hae Zainab fughaan Shere jawan mar gaya Seene mein hae dil thapaan Shere jawan mar gaya Kis se karoon mein bayaan Shere jawan mar gaya

Haath se khoya dile ghamqaar ko paaoun kahan apne alamdar ko Der hui qanjare qoonqar ko jaldi gale par ho mere ab rawaan

Ab koi chaara nahin Shere jawan mar gaya Zeest gawaara nahin Shere jawan mar gaya Zabt ka yaara nahin Shere jawan mar gaya Koyi hamara nahin Shere jawan mar gaya

Mahe nabi Hashime wala nahin us mere mehroo ka ujala nahin Hae mera chahne wala nahin nazroun mein taareek hae saara jahan

Aankhon ka taara mera Shere jawan mar gaya Ghar ka ujaala mera Shere jawan mar gaya Ashiqo shaida mera Shere jawan mar gaya Chaand ka tukda mera Shere jawan mar gaya

334 Nauha Salaam Marsia Nauha Roohe Ali jaane nabi alvida ashiqo shaidae aqi alvida Laashae Abbase Ali alvida aatey hain ab hum bhi chalo bhaijaan

Jaan hae mujh mein kahan Shere jawan mar gaya Ranj se hoon neem jaan Shere jawan mar gaya Lut gaya sab carawan Shere jawan mar gaya Jald ho qanjar ravaan Shere jawan mar gaya

Shor hae faryaad ka Shaukat khamosh khotey hain sub Sheh ke azadaar hosh Kar yeh dua haq se ke ae parda poush karna gunah hashr mein mere ayaan

*****

Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera

Zainab ki dua bankar ek waqt woh aayega Har ghar pey saja hoga Abbas alam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Aa jaati hai Zehra bhi Zainab bhi ziarat ko Jab aatt Moharrum ko utt-tha hai alam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 335 Taabooth jab utt-tha hai Shabbir ka aye ghazi Tabooth ke aagay bhi chaltaa hai Alam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Woh kaun say sadhmay thay Sheh toot gaye jis-say Ek dard tha Zainab ka aur doosra gham tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Parcham ka phareira tha ya aas thi Zainab ki Zainab kay kaleijey say gham kaise ho kam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Bazaar may zindaan may darbaar may har lamha Zainab ki toh saansoun pay tha naam raqam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Jab beh gaya sab paani tabh saans teri tooti Thaa seenay kay andarya mashkeezay may dam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Aawaz teri Sarwar Shabbir say waabasta Abbas say waabasta rehaan qalam tera Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

*****

336 Nauha Salaam Marsia Nauha Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge

Aashur ki woh raat, woh sannatay ka aalam Fitrath ki khamoushi mai farishtoun ka woh matam Soya huva run mein Asadullah ka zaigham Aur khoon mai dooba huva Islam ka parcham

Dekhi na gayi bachchoun ki jab tashnadahani Aankhoun mai khataknay lagi maujoun ki rawaani Paani kay liyeh apna lahoo kar diya paani Bachpan pay Sakina kay fida kardi jawaani

Qabzey mai thee talwar ke khabzey mai khudayi Doh haath chalee thee kay taraayi nazar aayi Bhaayi ki vigha dur say dekha kiye bhaayi Yun shaan-e-wafa tunay wafadaar dikhayi

Duniya say gaya shaan wafaoun ki dikhakar Paani na piya phenk diya muh say lagaakar Ghodey say gira khaak pay baazu ko kataakar Soya bhi tho soyi huvi millath ko jagaakar

Aye Fatima Zehra kay Qamar nayaar-e-taabaan Baazu-e-Hussain Ibne Ali nasir-e-imaan khaaliq ki qasam kar gaya Islam pa ehsaan Aye mashk-e-Sakina kay mohaafiz teray qurbaan

Kazim koyi karta hai tho karney doh bahaana Goonjayga fizaaoun may wafaaoun ka taraana Har rang may dhal jaayega yeh gham ka fasana Fitrat toh na badhlegi badal jaye Zamana ***** Salaam Marsia Nauha Nauha 337 Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Kya isi din ke liye maangi thi Baba ney dua Aake pardes may hojaoge tum hum se juda Sothay ho chaen se dariya ke kanaarey Bhaiyya Kya sunaayi nahin dethi tumhey halmin ki sadaa (Abbas) Tanha hain khadey run may Sarwar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Gir ke ghodey sey sadaa baap ko Akbar ney jo di Dilbar-e-Fatema Zehra ki ajab haalat thi Haath malthe thay kabhi ghaat ko takhtey thay kabhi Thaamkar tooti kamar kehthe thay farzande Nabi (Abbas) Laoon kaise laasha-e-Akbar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Haal Shabbir ka ab toh nahin dekha jaata Hai Kamar qam nahin aankhoun sey sijhaayi detha Yeh zaeefi yeh jawan laal ka sadhmaa bhaiyya Thaamlo baddke zara haath tumhi bhaayi ka (Abbas) Khaathey hain tokhar par tokhar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Kya isi din ke liye saath behan thi aayi Aagayi neend jo dariya ki taraayi paayi Phir palatkar hamey surath bhi nahin dikhlaayi Aagava run sey Alam tum nahin aaye bhaayi (Abbas) Phat tha hai mera sadhmey se jigar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Aye meray shair-e-jawan Aye meray bhaayi ho kahaan Shaaq hai dil pa tumhaari yeh judayee ho kahaan

338 Nauha Salaam Marsia Nauha Deir sey dethi hoon bhaiyya main duhaayi hoon kahaan Lut thi hai Fatema Zehra ki kamaayi ho kahaan (Abbas) Khanjar hai halq-e-Sarwar par (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Hai qayaamat ka samaa loot hai khaimoun may machi Koyi pursa nahin haalath hai ajab bachchoun ki Taaziyane koyi khaata hai tamaache koyi Aag daaman may hai masoom Sakina ke lagi (Abbas) Bhaiyya utto lo jald khabar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Azmath-o- izzat sadaat bhulaadi bhaayi Aag khaimoun may layeenou ney lagaadi bhaayi Masnadh-e-Ahmad mursal bhi jalaadi bhaayi Touq-o-zanjeer bhi Abid ko pinhaadi bhaayi (Abbas) Ghash may hai pada mera dilbar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Bhaayi ko bhool gaye dhyaan na behnon ka raha Yaad aaya na koyi paayi jo dariya ki havaa Haaye kis dil se kiya tum ne gavaara bhaiyya Har tamaache pa Sakina ne tumhe yaad kiya (Abbas) Jab chhine gaye kaanon se gauhar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Chhod kar dasht-e-museebath may behan ko bhaayi Tum ney achcha hi kiya dur basaayi basti Dekh sakthe thay kahaan tum jo thi haalath meri Balva-e-aam may bhaiyaa main khule sar hoon khadi (Abbas) Aada leigaye sar sey chaadar (Abbas) Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2) *****

Salaam Marsia Nauha Nauha 339 Aye Jaan-e-dil-e-Hyder-e-Karrar Alamdaar Aye quwath-e-Sibtey Shahey Abraar Alamdaar

Taa hashr teri yaad zamaaney main rahegi Aye Sarwar-e-aalam kay Wafadaar Alamdaar

Marney sey teray lashkar-e-Sheh hogayaa barbaad Aye fouj-e-Hussaini kay Alamdaar Alamdaar

Laashey pay teray Sarwar-e-aalam ka bayaan hai Aye meray museebath kay madadgaar Alamdaar

Dikhlaadoh phir ek baar mujhey chaand si soorath Martaa hai tera taaleb-e-deedaar Alamdaar

Darya sey uttho Bhaayi ki imdaad ko aao Tanhaa hai yeh ab beykas-o-naachaar Alamdaar

Rothi hai bhatijee usay doh aakay dilaasa Saqqaa-e-Sakina meray Jarraar Alamdaar

Jab takh saff-e-maatam meri duniya main bicheygi Royengay tujhey meray azadaar Alamdaar

*****

Aye Wafa kay Paighambar naffsey Faatehey Khaiber Aye Hussain kay bhaayi Dekhiyeh zaraa uttkar aaha khaimaa-e-athar Lootney ko fouj aayi

340 Nauha Salaam Marsia Nauha Hovay aaya-e-Tatheer jinkay chehroun ki tanveer Unsey biggdeh yoon taqdeer Farq-e-paak sey chaadar cheen ley layeen baddkar Khalq ho tamaashaayi

Aapkay kattey shaaney koun iska gham jaaney Kaun hai jo pehchaaney Shaahey deen ki duqthar aur is qadar muztar Kaisee uspaa ban aayi

Khoon hai kaanoun sey jaari kaisey jaaye beychaari Shaam ki hai taiyaari Seiliyaan paddheen ruqh par dar ba dar barhainaa sar Hai tumhaari shaidaayi

Waastha Payambar ka waastha Bahaathar ka Ya Khuda woh din dikhlaaye Dekhein Rauza-e-Anwar aur adaa karey Qaisar Khidmath-e-Jabeen saayi

*****

Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya Laash-e-Abbas-e-Ali sey utt kay aaye hain Hussain Ho chuki duniya andheri kho chukaa hai dil ka chaen Thaam kar tooti kamar beti sey karthay hain yeh bayn Nehr par shaaney kattaa kay sogaya tera chacha

Khoon behjaaney ka koyi gham na tha Abbas ko Apni nazron mein basaaye tha woh teri pyaas ko Chott pahounchi haaye meray bhaayi kay ehsaas ko Beh gaya paani chidda jis waqt mashkeeza tera

Salaam Marsia Nauha Nauha 341 Mainey dekha hai dar-e-khaimey sey uska haal e zaar Jab hua bey dast mera bhaayi mera ghamgusaar Har taraf sey har koyi mazloom par karta tha waar Kis qadar zakhmi hua hai kya kahun Saqqaa tera

Haal meray bhaayi ka beti karun Main kya bayaan Jab Main pahuncha woh hayaat o maut kay tha darmiyaan Sar sey paa takh gurz kay taighon kay bhalon kay nashaan Aankh mein ek teer tha ek aankh mein tha khoon rawaan

Kehta tha laasha mera lillaaha khaimon mein na jaaye Mujhko ab saidaaniyon ka saamna honay na paaye Yeh guzaarish hai Sakina meray laashe par na aaye Martey martey uska saqqaa us sey sharmindaa raha

Har aziyath seh gaye sab bawafa saathi meray Par jo ghoday sey giraa uskay salaamath haath thay Yeh museebath haan magar hissey mein thi Abbas kay Kya bathaoon kaisey ghoday sey zameen par woh giraa

Karbala mein is taraah aashoor ko majlis huvee Zikr tha Abbas ka zaakir Hussain Ibne Ali Bey bason ki aah-o-zaari sey zameen hilney lagi Kehtey thay Ehsan yehi ro ro kay Shaahey Karbala

*****

342 Nauha Salaam Marsia Nauha Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Maqtal mein pahoonchay jab Shaahey walaa Laashey jawaan aur khaimon ko dekha Darya ko dekha phir yeh pukaara Ab yeh salaam-e-aakhir hai mera Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai Tanha musaafir ko laakhon ney gheiraa hai

Tumney na dekhi ghurbath humaari Zainab thi laayi meri sawaari Ruqsath ka meri manzar ajab thaa Seenay sey lag jaoo bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Jab sey ho bichddey Abbas hum sey Ahley haram hain liptay Alam sey Kaisey jiyegi baali Sakina Kya hoga bathlaoo bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Lashkar kahaan ka jab tum nahin ho Aada toh khush hain ab tum nahin ho Kitna akeilaa kitna hoon tanhaa Seenay mein hai ghaao bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Din bhar utthaye kitnay janaazey Ab kaun hai jo deiga dilaasey Hothay agar tum dethay dilaasa Aao chaley aao bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 343 Mujhpar barastey yeh sang dekho Bekas ki tanhaa ki jung dekho Dekho na tootey Naana sey waada Himmat badaa jaoo bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Jab shimr khanjar ko pheirtaa tha Qaatil ney Shah sey khud yeh suna tha Pyaasa galaa us dum yeh pukaara Soorath dikha jaoo bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Sar Sheh ka aaya nokay sinaa par Aayi sadaa yeh Rehan-o-Sarwar Bey sar padaa hai bhaayi ka laasha Ab toh chalay aao bhaayi akeilaa hai . Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

*****

Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula Daryaa pa huvey meray shaaney bhi qalam Maula

Hai waqt mera aakher jald aaiyeh Ya Sarwar Taa dekhloon aankhon sey Hazrat kay qadam Maula

Ab waqt nahin aaqa deedaar dikhaa dijiyeh Mushtaaq-e-Ziarath ka hai aankhon mein dam Maula

Dikhlaayi nahin deitha ab aankhon sey khaadim ko Hai aankh mein paiwasthaa ek teer-e-sitham Maula

344 Nauha Salaam Marsia Nauha Mehjoob Sakina sey qismath ney kiya mujhko Pyaasi rahi Shehzadi aur margaye hum Maula

Reythi pa giraa hoon maen narghey mein ghiraa hon maen Ruk-ruk kay nikalthaa hai ab seenay sey dum Maula

Kehta tha yehi rokar Saqqa-e-Haram Baqar Hai mashk-e-Sakina ka Abbas ko gham Maula

*****

Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara

Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara dariya hae hamara Behtar hae agar aap karen is se kinara dariya hae hamara Aane ki yahan Shaam ke hakim ki qabar hae sub zer-o zabar hae Kal subha se ghir jayega maidaan yeh saara dariya hae hamara Yeh sunte hi Abbas ke abru pah bal aaya badhkar yeh sunaya Hargiz nahin tum logoun ka kuch is mein ijaara dariya hae hamara Pyaase rahe maidaan mein waan sibte payambar sairaab ho lashkar Ek dum mai ulat doonga saffoun ko sitamara dariya hae hamara Lashkar ko hata kar yeh sada sher ki aayi kiski hae taraayi Bathlaao ke qabze mein hae ab kiske kinara

Salaam Marsia Nauha Nauha 345 dariya hae hamara Zainab ne kaha Shah se ghabrati hoon bhaayi hovay na ladaayi Le aaiyeh Abbas ko yeh kehke qudaara dariya hae hamara Jaakar kaha Shabbir ne Abbase dilawar kyon hothay ho muztar Mere liye har cheez ko Qaliq ne utaara dariya hae hamara Bay deenoun ki in baatoun ko qaatir mein na laao ghusse mein na aao Hum woh hain diya Nooh ki kashti ko sahara dariya hae hamara Dasween ko Muharram ki qayamat hui Bismil ro detey thay qaatil Saahil pah katey haath joh karte thay ishaara dariya hae hamara

*****

Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi, Tu na aaya Ghaazi Aaley Imran kahaan, Aur zindaan kahan, Yeh bahen qaid huvi, Tu na aayaa ghaazi

Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi, Tu na aayaa Ghaazi

Humko paani na miley, Teri khushboo toh rahey Teray baazu na katey, Chaahey mashkeeza cheeday Yeh magar ho na sakaa, Teray baazu hain judaa Mujh pey hai tashna labi, Tu na aayaa Ghaazi

346 Nauha Salaam Marsia Nauha Dhoop mein tu tha shajar, Tujhsey aabaad tha ghar Hai barehna mera sar, Kya nahin tujh ko khabar Aye Alamdar-e-Wafaa, Is behan ko ba-Khuda Tujh sey dhaaras thi badi, Tu na aayaa Ghaazi

Aagayi shaam-e-alam, Luttgaye Ahley Haram Raith par jalti huvi, Hogaya thanda Alam Pursa deinay kay liye, Mujhsey milnay kay liye Aagaye Baba Ali, Tu na aayaa Ghaazi

Kya kahoon Sher meray, Beyrida humko liye Yeh musalmaan saarey, Shahr dar shahr gaye Khilqat-e-Kufa kabhi, Khilqat-e-Shaam kabhi Aur haan hum pey hasee, Tu na aayaa Ghaazi

Kitni beybas thi bahen, Aey ShahenshaheyWafaa Naam ley ley kay mera, Jab yeh zaalim ney kaha Naaz tha jis pey tujhey, Ab bulaao na usay Aur maen rothi rahi, Tu na aayaa Ghaazi

Qaid khaaney mein qazaa, Jab Sakina ko milee Dey kay kurtay ka kafan, Bachchi dafnaayi gayi Us ghadi naam tera, Surat-e-Naad e Ali Bus maen dohraati rahi, Tu na aayaa Ghaazi

Roya Rehan qalam, Kar kay yeh baat raqam Khoon mein doob gaya, Meray Ghaazi ka Alam Zakhmi Zainab ka jigar, Khoon fishaan Shaah ka sar Aaye khaimon mein shaqi, Tu na aayaa Ghaazi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 347 Mera sehriyaan waala Akbar

Zakhm dil kay dikhaaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Lashay Akbar pey Shaah jab pahoonchay Dil ko haathon sey thaam kar bolay Teri furqath ney aye Ali Akbar Aag dil mein meray lagadee hae Aag dil ki bhujaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Tu hai kadyal jawaan aye beta Baap tera zaeef hae kithna Noor aankhon ka hogaya rukhsat Mujhko aata naheen nazar khaimaa Lekay khaimon mein jaaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Jisney atthaara saal paala tha Kaise dekheygi woh tera laashaa Teri shaadi ka tha jisey armaan Kaisay jheileygi woh tera sadmaa Teri maa ko bathaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

348 Nauha Salaam Marsia Nauha Dekh aaya hai qaasid-e-Sughra Raah takh tee hai woh dukhi behna Tujko beemar ney bulaaya hae Waada Sughra ka kyun bhulaa daala Gham yeh dil se lagaaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Bhaayi behnon ka hae ajab rishtaa Jiska saani kahin nahin milthaa Rokay Sughra ney yeh likha Akbar Ek dukhiyaa ki laaj rakhlena Margaya tu bathaaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Lutf jeenay maen ab kahan Akbar Dil sey utt thi hai yeh fughaan Akbar Subhey aashoor di thee jo tu nay Khoon rulaayegi woh Azaan Akbar Teri soorath bhulaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Zabt gham ka mohaal aye beta Dekhoon kaisay yeh zakhm seenay ka Maen toh pardes mein akeilaa hoon Dekh kar zakhm kya karoon bathlaa Is pey marham lagaoon maen kaisay (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 349 Aisee ghurbath mein moonh nahin moddo Maen hoon tanhaa mujhey na yoon choddo Kya guzarti hai baap kay dil par Ghamzadaa dil ko yoon nahin thoddo Apni ghurbath bathaaoon maen kaisey (x2) Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Shadman yeh dua hae Khaaliq sey Waqt aisaa kisee pey naa aaye Jaisa mazhar ney likh diya manzar Shaha kehtey haen bas yehi rokay Zahkm dil ke dikhaoon maen kaisay (x2 Tera laasha utthaoon maen kaisay Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

*****

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Is aalam-e-ghurbath mein tumhey jaaney doon kaisey Is dasht-e-museebath mein tumhey jaaney doon kaisey Is waqt-e-qayamath mein tumhey jaaney doon kaisey Aey laal jo tum izn-e-wighaa maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Kya guzregi iss baap kay dil par nahin sonchaa Tumney yeh meri jaan Ali Akbar nahin sonchaa Mar jaoonga maen tujhsey bichhad kar nahi sonchaa Tum mujhsey zaeefi ka asaa maang rahey ho

350 Nauha Salaam Marsia Nauha Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Dil rotha hai nazron sey agar door ho beta Kis tarhaa judaayi teri manzoor ho beta Tum hi meri aankhein ho mera noor ho beta Mujhsey meri ankhon ki ziyaa maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Duniya sey gayaa jis ghadi mehboob Khuda ka Naana ki ziyaarat ko tadaptaa tha nawaasa Aey laal tujhey is liye Khaaliq sey tha maangaa Maqbool huvi meri dua maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Islam pey khud apna lahoo run mein bahaao Seenay pey sinaa shaan sey maidaan mein khaao Tasweer Payambar ki tahey khaak milaao Kya is liye marney ki rizaa maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Ek roz tujhey aan kay mangaa tha phuphi ney Atthaara baras naazon sey paala tha phuphi ney Beton sey bhi zyada tumhey chaaha tha phuphi ney Ehsaan jo Zainab ney kiya maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Salaam Marsia Nauha Nauha 351 Rakhtey nahin tum iski khabar aey meray pyaarey Kis darja mohabbath hai teri dil mein humaarey Naana ki meray shakl hai paikar mein tumhaarey Tum soorat-e-mehboob-e-Khuda maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Sar tera bhi jiss waqt chaddhega sarey naiza Hoga sarey maidaan judaa sar bhi tumhara Hum shakl-e-Payambar ka gala kaateingey aadaa Goya meray naana ka galaa maang rahey ho Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey Amma ney bhi kuch dars diya hai Aadaab-e-wafa sey mujhey aagah kiya hai Pehlay mein maroon aap sey wada yeh liya hai Buss is liye marney ki riza maang raha hoon Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Hain aap toh baba biney Khaatoon-e-Qayamat Aur maa hai meri apna si ek paikarey ismat Kya siney mein us kay nahin kuch jazbaa-e-ismat Mein maadar-e-muztar ka kahaa maang raha hoon Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

352 Nauha Salaam Marsia Nauha Baba mujhey ehwaaley dil-e-zaar pataah hai Hai sakht bohath manzil-e-dushwaar pataah hai Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pataah hai Yoon aap sey marney ki riza maang raha hoon Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Maen Shayer-e-Has aat jigar soz hoon Khursheed Mehvey gham-e-Shabbir shab-o-roz hoon Khursheed Aalaam-e-masaeb sey zamee'n doz hoon Khursheed Kashkol mein kuch ashk-e-aza maang raha hoon Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

*****

Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Pohnche jo Hussain Ibne Ali Laashey Pisar par Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par Ye keh kay zameen par girey betay kay baraabar Aaya hai pidar housh mein aao Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Zaalim koyi bekas ko bathaata na tha rasthaa Chhaaya tha nigaahon mein andhera hi andhera Aaya hai pidar paas teray tthokarein khaataa Aankhon ko hua kya meri poochho Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Salaam Marsia Nauha Nauha 353 Tum chup ho to chaltay hain meray qalb pa khanjar Kuch haal ladaayi ka sunaao meray dilbar Bathlaao kay kis tarha lagaa zakhm jigar par Kuch baat karo aankh toh kholo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Faryaad labo’n par hai aur ashko’n ki rawaani Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahaani Hanstey hain mere haal pa dushman meray jaani Tanha mujhey is tarha na chhoddo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kyun paaoon ragadtey ho kahaan zakhm lagaa hai Bathlaao meri jaan mera dil bhaitt rahaa hai Kyun haath hai seenay pa kahaan zakhm lagaa hai Phat jaayega dil baap ka bolo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Nauha hai labo’n par hai lahoo aankhon sey jaari Hum kabsey khadey rothay hain baaleen pa tumhaari Khaaya na taras tum ney ghareebi pa hamaari Dil baap ka is tarha na todo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Aye laal tasawwur mein tha Maa kay tera sehra Hae deyr sey darwaaza-e-khaima pa woh dukhiya Kya jaakay bataaun maen hua haal tumhaara Laila sey kahoon kya yeh bathaao Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

354 Nauha Salaam Marsia Nauha Ab deyr jo ki tum ney toh karti hui zaari Bey pardaa bahen aayegi maqtal mein hamaari Maadar kahin mar jaaye na sadhmey sey tumhaari Baba bhi nahin jeenay ke sunlo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kis tarha sey dekhe yeh pidar haal tumhaara Qaabu mein nahin qalb ulat’tha hai kaleijaa Pehlu mein hai dil baap ka pathar nahin beta Aagey meray is tarhaa na tadpo Ali Akbar Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

*****

Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango Bach jaaye mera bachcha bas uski dua mango

Zainab yeh pisar meri aankhon ki basaarath hai Reh jaaye nazar meri ab iski dua maango

Sughra kaha karti thi aksar aye watan waalo Bhaiyya mera lautt aaye sab milkar dua mango

Shishmaahey kay jhooley ko choomtey thay phir Akbar Bhaiyya kaamiyaab rahey Asghar yeh dua mango

Daaman nahin choddti thi Sakina Ali Akbar ka Behnaa teri marjaaye bhaiyyah yeh dua mango

Sughra sey kiya waada aaoongaa tumhey leinay Waadey ko nibhaana hai bus iski dua mango

Salaam Marsia Nauha Nauha 355 Sheh ney kaha aye beta kaisey maen ijaazath doon Pehlay jaakay Zainab sey laddney ki reza mango

Abbas kay marney ney meri tho kamar todi Hum Shakl-e-Payambar hai logo yeh dua mango

Koniyoun kay bal chalkar pahunchey laashey Akbar par Laila kaheen dekh na ley Fizza yeh dua maango

Rakhtey thay utthaatey thay maiyyat Ali Akbar ki Khaimey takh pahunch jaaoon logo yeh dua maango

*****

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Ghareeb Zehra par kya waqt hai ghareebi ka Gareibaan chaak hai baalon mein khaakey Karbobala Talaash kartey hain rasta nazar nahin aata Yeh haal dekh kay hastey hai Sheh par Ahley Jafaa Bahen kay kaandhon par kul kainaat laatey hain Qadam Qadam par yeh aawaaz deitay jaatey hain

Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Bolay hongay Hussain yeh ro kar Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

356 Nauha Salaam Marsia Nauha Naujawaan laash hai zaeefi hai Meri nazron sey dekh manzar ko Kaise Humsheer ko sambhaloonga Main sambhaaley huvey hoon Akbar ko Tera ehsaan hoga yeh mujh par Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

Iskay seeney sey leykay naam-e-Ali Mainey barchi abhi nikaali hai Imtehaan dey chukee meri ghurbath Ab teri beykasi ki baari hai Tu bhi is waqt Ya Ali kehkar Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

Doh nageeney thay iski godi mein Dono Akbar pey kar diye sadqaa Sabr aisa kay apney beton par Mainey rotaa isey nahin dekha Hai magar ab yeh laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

Salaam Marsia Nauha Nauha 357 Rok rakkha hai apney ashkon ko Sabsey chhup chhup kay aahein bharti hai Main samajtaa hoon maadar-e-Akbar Teri mamtaa pey jo guzarti hai Rakh kay apney kaleijey par patthar Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aisey laashey jawaan uthaaye hoon Aidiyaan khath banaati aati hai Inn nishaano ko peechey-peechey mere Amma Zahra mitaati aati hai Uski nazrein na dekhey yeh manzar Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aye Takallum woh Shaam-o-Kufa ka Taye hua hogaa is tarhaa sey safar Amma Zainab sambhaalna maa ko Kehte hongay sinaa sey yeh Akbar Aur hoga Hussain kay lab par Umme Laila sambhaal Zainab ko Laa raha hoon main laasha-e-Akbar Umme Laila sambhaal Zainab ko

*****

358 Nauha Salaam Marsia Nauha Dua karo mera noor-e-nazar palatt aaye Mera pisar, Mera laqthey jigar palatt aaye

Kaha Hussain ney Laila sey roko Akbar ko Karoon main pyaar lipatt kar kaho palatt aaye

Shabi hai Naana ki Akbar kahin nazar na lagey Utaaro sadqaa main uspar kaho palatt aaye

Tumhi sadaa doh usay ya kaho yeh Zainab sey Bulaalo waasta dey kar kaho palatt aaye

Hai dhoop ithni kay sholay ugal rahi hai zameen Baddhegi pyaas ki shiddat kaho palatt aaye

Hai intezaar mein Sughra teri Madiney mein Lagaaye aass woh khwaahar kaho palatt aaye

Main dulhaa usko banaoon tamanna hai yeh meri Pinhaao sehra sajaakar kaho palatt aaye

Jawaan beta hai mera hai mannathon waala Koyi toh rok lo baddkar kaho palatt aaye

Usay kaho kay akeila na choday jaao humein Sahaara doh humein aakar kaho palatt aaye

Sakina kehti hai Baba bulaalo Bhaiyya ko Chachaa bhi aaye na jaakar kaho palatt aaye

Salaam Marsia Nauha Nauha 359 Jab iskay seenay mein barchee ka phal jo tooteygaa Main kaisey dekhoon yeh manzar kaho palatt aaye

Main kaisey laash pa jaaoon kamar bhi tooti hai Qadam qadam pa hai ttohkar kaho palatt aaye

Zaraa si taabh nahin hai Main thakk gayaa hoon bahoth Subhaa sey laashey utthaakar kaho palatt aaye

Humaara laadla Laila chalaa hai marney ko Hum usko dekhlein jee bhar kaho palatt aaye

Tu sonch Mehdi woh kaisaa samaan tha Karbal ka Pukaartey thay jo Sarwar kaho palatt aaye

*****

Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar Kehti thi yeh maa khoon bhari maiyyat sey lipatt kar Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar

Armaan tha pehnaaoongi poshaak shahaani Afsous kay raas aayi na tujhko yeh jawaani Kaisa tha muqaddar, Haye Haye Ali Akbar

Ithnaa toh zaraa tehro tumhein dulhaa banaa loon Bus ek jhalak sehray ki Sughra ko dikhaa loon Bey chaen thi khwaahar, Haye Haye Ali Akbar

Atthaara baras paal kay parwaan chaddhaaya Woh gaisuoun waala hai mera khoon mein nahaaya Yeh kya huva dilbar, Haye Haye Ali Akbar

360 Nauha Salaam Marsia Nauha Maa teri judaayi mein bhalaa kaisey jiyegi Mar jaayegi Sughra jo khabar teri suneygi Ab kya karoon jee kar, Haye Haye Ali Akbar

Tehro kay maen atthaarween mannath toh baddhaa doon Ley ley kay balaayein tujhey jeenay ki dua doon Sadqey ho yeh maadar, Haye Haye Ali Akbar

Pehlay toh ek aawaaz pey utt jaatey thay beta Ab ithni sadaaoun pey bhi pehloo nahin badlaa Kya hogaya dilbar, Haye Haye Ali Akbar

Karti thi ziyaarat maen Payambar ki tujhee sey Ab ghar mein kisey doongi maen tashbeeh Nabi sey Hum Shakl-e-Payambar, Haye Haye Ali Akbar

Tum hichkiyaan ley-ley kay jo dam tordd rahey ho Munh Maa sey hameishaa kay liye mordd rahey ho Kyun rootthey ho dilbar, Haye Haye Ali Akbar

Aayein jo hamein lootney khaimey mein sitamgar Maa dey gi sadaa-e-Ali Akbar, Ali Akbar Chinn jaayegi chaadar, Haye Haye Ali Akbar

Jab koyi jawaan laash nazar aati hai Mehshar Ek yaad suwey Karbobalaa jaati hai Mehshar Dil rothaa hai kehkar, Haye Haye Ali Akbar

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 361 Rokay kehti thi maadar kal na jaaney kya hoga Aye Meray Ali Akbar kal na jaaney kya hoga

Meri mannathoun waale meri goadh ke paaley Aye meray mahey anwar kal na jaaney kya hoga

Maen sanwaarti toh hoon aaj teri zulfoun ko Sounchti hoon reh reh kar kal na jaaney kya hoga

Aaj meray dil mai hai teray biyaaha ka armaan Aye shabihey Paighamber kal na jaaney kya hoga

Tu Shabihey Paighamber hai yeh jaanthey hain sab Phir bhi aye Ali Akbar kal na jaaney kya hoga

Raat bhar ki mehmaan hai teri chaand si soorath Dekhloon main jee bharkar kal na jaaney kya hoga

Aye sayeed ek shab ki sheh ney paayi hai mohlath Aaj hi hai yeh mehshar kal na jaaney kya hoga

*****

Maa main naizay pay hoon Naizay se Asghar ko nazar aayi jo maadar Dekha khula sar hai parishaan hai muztar Ronay lagey kehne lagey tabh Ali Asghar Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

362 Nauha Salaam Marsia Nauha Amma bohut din huve jhoolay mai na soya Maa teri izzat ki qasam phir bhi na roya Ab tujeh dekha toh mere lab huve goya Aaj bandhe hathoun ko jhoola sa banaaley Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

Jism kahaan sar hai kahaan haaye muqaddar Amma badhan rehgaya Karbal ki zameen par Amma tere saath chalaa aaya mera sar Karta tujeh kaise layeenoun ke hawaale Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Garm hawa garm zameen jalta huva teer Amma zara souncho mere qadh se badaa teer Kaise kahoon halq pay jis waqt lagaa teer Hogaye behoush mujhe dekhne waale Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

Kabse Sakina ne nahi mujhko kiya pyaar Karbobala Koofa kahan Shaam ka bazaar Darr thi hai kya khoon se bharey dekh kay rukhsaar Naizey ke nazdeek zara usko bulaaley Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Salaam Marsia Nauha Nauha 363 Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

Dhoop mai tuney na kabhi ghar se nikaala Amma badey pyaar se tuney mujhe paala Aaj nahin koi mujhe dekhnay waala Tuhi mujhe dhoop ki shiddath se bachalay Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

Dekh tera laqtay jigar yoon toh hai Asghar Naiza sawaari mein hai Akbar ke baraabar Nokey sina par hai sitaara sa mera ghar Meri shuja-ath pa galey mujhko lagaale Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale Maa mujhe apni godhi mai chupaley Maa mai naizay pay hoon

Baba ka sar bhaayi ka sar nokay sina par Aap ke sar par nahin amma koi chaadar Kaise main bardaash karoon amma yeh manzar Jalti huvi qaak se moonh apna chupaaley Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney… Maa mujhe apni… Maa mai naizay… ***** 364 Nauha Salaam Marsia Nauha Boley beti se sibtey payambar baad mere na rona Sakina Zid na karna mujhe yaad karke, ma ki godhi mein sona Sakina

Hum bahut door jayenge bibi ab na soorath dikhaenge bibi Hum agar yaad aaenge bibi tum na bechain hona Sakina

Meri furqat mein girya kare gar ya unhein yaad aajaye Asghar Maa ko ronay na dena tu dilbar moonh pah moonh rakh kay sona Sakina

Bibi aaye tumhein gar meri yaad roke karna na tum zaaro faryaad Varna tum par bahut hogi bedaad maar khana na rona Sakina

Shimr kodon se degah azeeyath aur tamaachon se woh bay hameeyat Tumko degah yateemi mein zehmat jaan apni na khona Sakina

Baad mere tu dukhyari hogi tujh ko eeza meri pyari hogi Zindagi phir tujhe bhaari hogi tujhko hai qaid hona Sakina

Salaam Marsia Nauha Nauha 365 Hum to soyenge maabaine maqtal yaad mein meri tum hogi bekal Paaogi mera seena kahan kal khaak ab hae bichona Sakina

Laash se meri jab tum lipat kar ro-ogi aye meri jaane dukhtar Koday maarega Shimr-e badh akhtar hai yeh sub tumko sehna Sakina

*****

Neend aayegi jab aap ki bu paaungi baba

Jab qaimey mein ruqsat ko Shahey behrobar aaye Chillayi Sakina meray bekas padar aaye Sheh kehtey thay bibi hamay rokar na rulaao Phir pyaar karey hum tumhey moo aagay ko lao Woh kehti thi humraah mujhey leykay toh jaao Mai kya karoon maidaan mein gar jaakay na aao Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba

Farmaya nikalti nahin saidaaniyaan baahar Seenay pey sulayegi tumhey raat mein maadar Kyun kehti ho maqtal mein chalee aaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Nanhey sey kaleijay pey meray chalti hai talwaar Khulta nahin kyun aap ney baandhey hai yeh hathyaar Mai aapko khokar na kabhi paaungi baba

366 Nauha Salaam Marsia Nauha Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Aati hai balaa sar pey toh pehlay mujhey vaaro Mar jaoongi baba na sidhaaro na sidhaaro Jaaogay jahaan maen bhi waheen jaaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Shab hogi toh phir khaak pey soyengay kahaan aap Seenay pey toh Asghar ko sulaayengay wahaan aap Achcha maen waheen khaakh pey so jaaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Aaney do agar pyaas sey ghash aayega baba Tum jeetay raho paani bhi mil jaayega baba Mai aap ko dekhoongi toh jee jaaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Kuch door na thay hum kay tumhey neend na aayi Kya hovegaa jab hogi mahinoun ki judaayi Bibi na kaho mai nahi so paaungi baba Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Woh haal Anees ab nahin ho sakta hai marqoom Jis tarha chuttee baap sey wo dukhtar-e-Mazloom Nauha tha yehi jis ka na jee paaungi baba Mai raat ko… Neend aayegi jab… ***** Salaam Marsia Nauha Nauha 367 Chala run ko tera baba Sakina Khuda hafiz hae ab tera Sakina

Na Akbar hain na Abbas-e dilaawar Na hain Aun-o Mohammed aur na Asghar Sar-e maqtal hoon main tanha Sakina

Chacha joh naaz uthata tha tumhare Woh jaakar sogaya dariya kanaare Tujhe ab chod kar tanha Sakina

Sitamgar aayenge qaime jalaane Chalenge tujhpa beti taaziyane Milega yoon tujhe pursa Sakina

Koi ab tujhko behlaaye toh kaise ko neend aaye toh kaise Na hoga ab mera seena Sakina

Main waaqif hoon tu khayegi tamanche Tere ruqsaar ho jayenge neeley Dilaasa kaun ab dega Sakina

Sitam zaalim bahut dhaayenge bibi Palat kar hum na ab aayenge bibi Sada hum ko na ab dena Sakina

Yateemi taaziyanon ki azeeyat Museebat ka safar har pal qayamat Yeh sab kuch hai tujhe sehna Sakina

368 Nauha Salaam Marsia Nauha Tere kaanoun se chin jayenge gowhar Bahut rulwayenge tujhko sitamgar Musalsil sabr hae karna Sakina

Rahegi humsafar tashna dahani Na dey paaya tujhe ek boond paani Tera baba hae sharminda Sakina

Tha khaimoun mein Rasheed us waqt mehshar Sakina se yehi kehte thay Sarwar Khuda hafiz meri dukhiya Sakina

*****

Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma

Asr-e-ashoor tha shabbir thay tanhaayi thee Maahey Zehra pay ghata zulm ki jab chaayi thee Sheh ko jab noukay seena suve zameen laayi thee Girthay girthay labay zakhmi pay sadaa aayi thee Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Lut gaya hoon main kisi ki bhi mujhe aas nahin Qatl sab ho gaye ab koyi meray paas nahin Mera Qasim nahin Akbar nahin Abbas nahin Tum mujhe aakay kalejay say lagaalo amma Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Laash Qasim ki utthaayi hai nazar zakhmi hai Zakhm Akbar ka jo dekha hai jigar zakhmi hai Qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai Dey Sahaara mujhe baba ko bulaalo amma

Salaam Marsia Nauha Nauha 369 Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Main jo ghoday say giroon tum mujhe taskeen deyna Pyaar karna meri himmath ko duayein deyna Daal kar baahain galay mai mujhe lipta leyna Haan damay zibha magar haath hataalo amma Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Ab koyi dum mein meray halq pay khanjar hoga Aur seenay pa meray shimr-e-sitamgar hoga Khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga Aakhri naaz yeh betay ka uthaa lo amma Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Apney waade kay liye maine har izza sehli Ek armaan mera niklay tho inaayath hogi Zibha kay waqt meri tum sey tamanna hai yehi Sar mera khaak say zaanu pay uttalo amma Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

*****

Bikhrey padey hain laashey aulaad-e-Murtaza kay Zainab ujadd gayi hai Karbobala main aakay

Dum thoddtey hain Asghar, aye naamawar teiharjaa Ab kya mileyga tujhko, Soghra ka qath sunaakay

Paamaal kardiya hai, lashkar ney jismey Qasim Shabbir chunn rahey hain, tukkdey abaa bichaakay

370 Nauha Salaam Marsia Nauha Abbas tum kahaan ho, mazloom ko sambhaalo Shabbir thakk chukay hain, laashey uttha utthaakay

Haathoun sey dil ko thaamay, daudey hain Shaah run ko Shaayed girey hain Akbar, barchi jigar pa khaakay

Bhoolegi kaisey maadar, Asghar ka teer khaana Chupp chaap ro rahi hai, jhooley sey sar lagaakay

*****

Koyi na tha utthaatha jo laasha Hussain ka Aisaa tabaah hogaya kunbaa Hussain ka

Kyon apni fathaa par naa ho naazaan sipaahey Shaam Maaraa hai chhey mahiney ka bachcha Hussain ka

Armaan dil main aur jigar main sinaa ka phal Mitthi pa loutt tha hai kaleijaa Hussain ka

Woh pyaas aur woh khushk galaah aur woh kundh teigh Woh saqth haath aur woh tadapnaa Hussain ka

Sab apney rishtey daaroun ki maiyath ko leygaye Bey waarsaa tha rehgaya laasha Hussain ka

Kya saqth waaqia hai kay jo aaj takh ghayoor Ley leikay naam rothi hai duniya Hussain ka

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 371 Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Yeh Karbala mein Akhtar kya saaneha huwa hai Laashe padey hain kiskay khoo’n kiska yeh bahaa hai Thehre nazar jahaan bhi manzar lahu bhara hai Maidaan ka zarra zarra aawaz dey raha hai Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Dashte balaa mein sab ney shaadi ka sog dekha Kubra bani thi dulhan Qasim banaa tha dulha Paamal run mein Dulha taaza Dulhan hai bewa Kaandhey pa Shaahey Deen kay Noushah ka hai Laasha Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Khaimey kay dar pa bachche koozey liye khadey hain Abbas sar se paa tak khoon mein nahaa gaye hain Mashkeeza chhid gaya hai shaaney katey huwe hain Thame huwe kamar ko Shabbir Ro rahey hain Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Yoon Akbar-e-Jawaan ki maqtal sey Laash aayi Seeney pa zakhm taaza zulfon mein khaak run ki Allah jaanta hai Zainab pa jo bhi guzri Ye sonchti hai Laila kis tarha ab jiyegi Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Shabbir Laashey Asghar khaimey mein aise laaye Pyaase gaye thay rann ko khoon mein nahaakay aaye Honton pa muskurahat gardannh pa teer khaaye Dour-e-khizaan mein jaisey ek phool muskuraaye Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

372 Nauha Salaam Marsia Nauha Koofey mein daakhila bhi uftaad ek nayi thi Beydard raaston par aulaad Mustafa ki Sehmi huwi Sakina ankhon mein ek udaasi Zainab ki bey ridaayi Sajjad ki aseeri Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Darbar shaam ka tha aur Qafeilaa khada tha Sardaar-e-doh jahaan ka Sar tasht mein rakha tha Honton pa Shaahey deen kay woh zulm ho raha tha Zainab kay Tanh-badan mein larzaan pada huwa tha Ghurbat mein Fatima ka abaad Ghar lutaa hai

Bigddi huwi woh duniya badlaa huwa zamaana Kamsin Yateem Bachchi zaalim ka taaziyana Roshan zameer Qaidi taareek qaid khaana Maa peet’ti rahi sar aur chal basi Sakina Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Jab Arbaeen karney Kunbaa Nabi ka pohncha Maidaan-e-Karbala mein ek hashr ka samaan tha Qabr-e-Hussain kaampi Maatam ka shor uttha Zainab sunaa rahi thi rudaad-e-Shaam o Kufa Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Beethay huwe dino kay sab zakhm ab haray thay Zainab yeh sonchti thi haathon sey dil ko thaamey Abbas ki Lahad par Jaaungi ab maen kaisey Zindaan mein hai Sakina aankhon mein hain andheirey Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 373 Marqad pa Shaahey deen kay naaley Rabab kay thay Jaakar watan yeh Dukhiya rudaad kya sunaaye Waaris nahin hai sar par bachchey bhi mujhsey bichhdey Apni Lahad mein waali mujhko bhi ab chhipaaley Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

*****

Mushkil kusha-e-khalq khudaara madad karo Zainab pukaarti hai kay baba madad karo

Lashkar huva tamaam nahin koyi jaan nisaar Narghay main zaalimoun kay hai Zehra ka gul-e-zaar Beykas pa toot paddthay hain laakhoun jafaa shiaar Behray madad ab aayieh ya Shaahey Zulfiqaar

Zakhmoun sey choor hai meray bhaayi ka sab badhan Ab daggmagaa rahey hain faras par Shahey zaman Humshakl-e-Mustafa hai na aur Qasim-e-Hassan Shaaney kattaaye sothay hain Abbas-e-saff shikann

Beti tumhaari kya karey uss waqt ya Ali Girthaa hai koyi dum main faras sey mera Aqhi Mazloom bhaayi takh na bahen run main jaasakhi Abbas jaagthay nahin kab sey jagaa chuki

Baba zameen-e-Karbobala khoon sey laal hai Baba hazaar teighoun main amma ka laal hai Baba sambhaal lo kay Hussain ab niddhaal hai Baba tumhaari beti ka adnaa sawaal hai

*****

374 Nauha Salaam Marsia Nauha Abbas Utto aag Lagi jalthey hain qaimey

Sholay hain bhadakthay huve har simt dhuvaan hai Zainab pa museebath hai qayarnath ka samaa hai Kehti hai muhaafiz meray parde ka kahaan hai Hum gheerath-e-Hyder meri chaadar tho bachaalay Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Phir ghaiz-e-Yadullah zamane ko dikhaao Faryaad chaheethi ki hai imdaad ko aao Gauhar na cheenay aakay bhateeji ko bachaao Daaman sey Sakina kay hain liptay huvey sholay Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Tum aao tho phir zulm ki taaqath na rahegi Tum aao tho Zainab ki rida chhin na sakhegi Tum aao tho beemaar ki masnadh na jalegi Tum aao tho beemaar pa barseingay na koday Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Barchi ki ani par hai abhi tak dil-e-Akbar Aur baap ki aagoush mai kumlaa gaye Asghar Shabbir ki gardan pa chala shimr ka qanjar Ab Abid-e-beemaar bhi sholoun mai ghiraa hai Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Jalti huvi rethi pa paday hain taneh beysar Yeh Aun-o-mohammed hain woh Qasim hai woh Akbar Phir ek naye zulm pay tayyaar hai lashkar Paamali-e-shabbir kay hothay hain iraaday Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 375 Ab aale mohammed pay qayaamath ki ghadi hai Kya waaris-e-tatheer pay uftaad padhi hai Yeh dukhtar-e-Zehra hai jo balway mai khadi hai Beemaar sambhaltha nahin koday hain barasthay Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

*****

Jaltey huvey khaimon sey, Zainab ki sadaa aayi, Abbas kahaan ho tum Na sar pey rahee chaadar, Na mera bachaa bhaayi, Abbas kahaan ho tum

Abbas chaley aao, khaimon mein ghareebon kay Bhookay aur pyaasey hain, Lootay hain naseebon kay Sajjad ko housh nahin, Kulsoom hai ghabraayi , Abbas kahaan ho tum

Jalti huvi dharti par, Mazloom ki laash padi Rothi hai Sakina bhi, Baba kay paas khadi Hai haal Yateemaana, Ghurbath ki ghataa chaayi, Abbas kahaan ho tum

Bey dard layeenon ney, Masoom Sakina kay Maarey hain tamaanchey bhi, Haaye phool sey gaalon pey Aajaao Chachaa Ghaazi, Ro-ro kay woh chillaayi, Abbas kahaan ho tum

Shabbir padaa run mein, Kayi roz ka pyaasa hai Teeron sey huvaa chalnee, Mazloom ka laasha hai Na kafan milaa usko, Na qabar hi bun paayi, Abbas kahaan ho tum

376 Nauha Salaam Marsia Nauha Kulsoom ney sar peetaa maqtal mein khaday hokay Haaye kaamptey haathoun sey Zainab ney ro-ro kay Dastaar Imaamath ki, Sajjad ko pehnaayi, Abbas kahaan ho tum

Masoom yateemon ko, Paani ki aas nahin Ghaazi ab Asghar kay hotoun pey pyaas nahin Shabbir ney laash uski, Hai reyth mein dafnaayi, Abbas kahaan ho tum

Bachchon ko darraaya hai, Karbal ki udaasi ney Akhtar yeh kahaa hogaa Ahmad ki nawaasi ney Maqtal mein hai sannaattaa, Aur maut ki tanhaayi, Abbas kahaan ho tum

*****

Ab Aaye ho baba

Woh Karbala woh sham-e-gharibaan woh teeragi Woh Zainab-e-hazeen woh hifaazat khyaam ki Aaya woh ek sawaar khareeb-e-khayaam-e-Shah Beti Ali ki ghaiz mein suey faraz badi Ulti naqaab chehre sey apne sawar ney Pesh-e-Nigahe Zainab-e-mazloom thay Ali Har chand sabera thi bahot binte fatema Bey saaqta zabaan pe yeh faryaad aagayee

Zainab ney kaha baap ke qadmoun sey lipat kar Ab aaye ho Baba Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar Ab aaye ho Baba

Salaam Marsia Nauha Nauha 377 Baba agar aana hi tha khaaliq ki raza sey, us waqt na aaye Jab khaak pey dum thod raha tha mera Akbar Ab aaye ho Baba

Kat kat ke gire naher pe jab bazu-e-Abbas, aur koyi na tha paas Us waqt sadaa aap ko deitha tha dilaawar . Ab aaye ho Baba

Jab bhayi ka sar kattha tha main dekh rahi thi, hazrat ko sada di Sar kholey huve rothi thi main khaime ke dar par Ab aaye ho Baba

Jab loug bachaa leigaye laashey shohadaa ke, haq apna jatha ke Bas ek tanh-e-Shabbir ka tha paamaali ki zadh par Ab aaye ho Baba

Jab baali Sakina ke gohar cheenay gaye thay, lagthe thay tamaache Hasrath sey mujhe dekhti thi banu-e-muztar Ab aaye ho Baba

Kya aap ney firdous se yeh dekha na hoga, kya hashr bapa tha Jab pushth sey beemaar ki kheincha gaya bistarr Ab aaye ho Baba

378 Nauha Salaam Marsia Nauha Shahed rukh-e-Hyder pa bikhar jaathe thay aansu, jab kholke gaisoo Chillati thi Zainab meray baba meri chaadar Ab aaye ho Baba

*****

Kya rahaa khaimon mein Sheh kay ek udaasi rehgayi Sirf ronay ko Mohammad ki nawaasi rehgayi

Saj gayee Qasim kai tukddon sey udhar Karbobala Maa idher betay ki dulhan ko sajaati rehgayi

Cheenta tha shimr chaadar aur Zainab baar baar Apni chaadar kay muhaafiz ko bulaati rehgayi

Khoon-e-dil Abbas ka sab behgaya run mein magar Dil mein bas ek baat Zainab ki ridaa ki rehgayi

Aye Musalmaano tumhaari ghairatain kya hogayi Tum tamaashayee thay Zainab munh chupaati rehgayi

Qaid mein Baali Sakina ko milaa Baba ka sar Munh pey munh rakh kar jo soyee Maa jagaati rehgayi

Maadar-e-Asgher na baitthi saaye mein Asgher kay baad Saaye mein aayi toh zindaa laash baaqi rehgayi Har tamaachey par Sakina munh pey rakhkar nanhey haath Neel rukhsaaron kay Ghaazi ko dikhaati rehgayi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 379 Pukaari Zainab-e-muztarr Hussain aajaao Meray ghareeb baraadar Hussain aajaao

Jo tum nahin toh nahin koyi poochney waala Diloun paa chalthay hain khanjar Hussain aajaao

Nahin hai taab Sakina main ab tamaachoun ki Sulaalo seenay paa aakar Hussain aajaao

Woh nanhey haathoun main daaman phataa huva leikar Sakina kehthi thi rokar Hussain aajaao

Tumhaarey baad yeh touqeer hogayee bhaiyya Saroun sey chhin gayi chaader Hussain aajaao

Main qaid-e-Shaam kay haalaath kya kahoon bhaiyya Akeili sothi hai dukhtar Hussain aajaao

Jo tum nahin toh watan jaakay kya karoon bhaiyya Main phirkay aayi hoon dar dar Hussain aajaao

Hamein sawaar karey kaun kya qayaamath hai Nahin hai Qasim-o-Akbar Hussain aajaao

Bulaalo saath mai Abbas ko bhi aye bhaiyya Harum ki chinthi hai chaader Hussain aajaao

*****

Yoon Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain Ab nahin koyi hamaara, aye meray baba Hussain

380 Nauha Salaam Marsia Nauha Shimr baali kheinchtaa hai, kaan sey aajaaiyeh Aayieh ab toh Khudaara, aye meray baba Hussain

Raat hothi hai barasthi, oass sar par dekhiyeh Hai phataa kurtaa hamaara, aye meray baba Hussain

Naathawaan hai beidiyaan hain, dijiyeh aakar zaraa Bhaayi Abid ko sahaara, aye meray baba Hussain

Baandhkar rassi galey mai, kheinchtaa hai shimr jab Mainey ammu ko pukaara, aye meray baba Hussain

Jalgaye qaimey lutay hum, chaadarein cheeni gayi Ab nahin jeena gawaara, aye meray baba Hussain

Milgaya arsh-e-Moalla, laash tharraayi Taqi Jab Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain

*****

Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Pidar jo khwaab mein aaye machal gayi bachchi Fizaye qaid-e-haram ki bukaa sey hilne lagi Lipat ke baap ke sar se jo margayi beti Tho qaid khane mein bano ki yeh fughaan goonji Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Fasaana-e-ghame furqath sunaao baba ko Huva jo baad-e-shahaadath sunaao baba ko Safar ki saari museebath sunaao baba ko Lipat ke baba sey khamoush math raho bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Salaam Marsia Nauha Nauha 381 Bahut gila tha Sakina tumhein andherey ka Yeh gham raha ke hai taareek qaid mein kunba Yeh ranj tha koyi chehra nazar nahin aata Hamaarey gham zada chehroun ko dekh lo bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Yaqeen tha tumhein lenay ko aayenge baba Tumhein sukoon huva meri tho lut gayi duniya Hamesha turnne sunaaya hai haal-e-dil apna Ghareeb maa ke bhi dil ki tho kuch suno bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Dukhe diloun ki tasalli tumhaari baatein thi Diloun ke zakhm ka marham tumhaari baatein thi Hamarey gham ka sahara tumhaari baatein thi Hamarey gham ka sahara na cheen lo bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Jo aisey haal mein dekhein khafaa na ho baba Zara main saaf toh kar doon ye khoon kaanou ka Na pehne jaao Sakina phata huva kurta Lahoo mein doobi yeh zulfein sanwaar lo bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Main qatl gaah mai asghar ko aayi hoon khokar Suhaag ujad gaya waaris nahin raha sar par Ghareeb maa ka sahara nahin koyi dilbar Tum istarah mujhe tanha na chodd doh bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

382 Nauha Salaam Marsia Nauha Khuley huve darey zindaan mein khatm ranjo mehan Tamaam kunbay kay haathoun se khulgayee hai rasan Kahaan gaya meri bachchi tumhaara shauq-e-watan Rehahi milgayi zindaan say ghar chalo bibi Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

*****

Jab yaad Sakina ko teri aathi hai baba Sar zindaan ki deewaaroun se takraathi hai baba

Darbaar-e-yazeedi mai bhala kaise main jaaoon Hai chaak garebaan hayaa aathi hai baba

Kaanoun sey tapaktha hai lahoo shaanoun pa meray Zaalim ki azeeyath mujhey tadpaathi hai baba

Marjaaoongi pyaasi na kabhi maangoongi paani Asghar ki mujhe pyaas jo yaad aathi hai baba

Jab takh teray seenay pa na sojaaye Sakina Zindaan mai usey neend kahaan aathi hai baba

Jalthay huvey khaimoun ke nazaarey hain nazar mai Yeh baat khayaaloun sey kahaan jaathi hai baba

Yaad aathey hain jab shimr-e-sitamgar ke mazaalim Yeh nanhi si dukhtar teri ghabraathi hai baba

Hai kaun meray paas jiyoon kiske sahaarey Tanhaayi meri mauth bani jaathi hai baba

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 383 Kya Andhera hai phupi Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi

Kya andhera hai phuphi Shama mangwaiyeh varna main nahin jeenay ki Kya andhera hai phuphi Apne seenay sey lagaalo main tumhaarey sadqey Goadh may leylo mujhe Dil dhadakta hai mera khauff sey ghabraatha hai ji Kya andhera hai phuphi Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi Kya andhera hai phuphi

Baba aajaye tho thab shumr ko hoga maaloom Kaun hai yeh masoom Kya samajh kar mujhe youn ghurkiyaan deitha hai shaqi Kya andhera hai phuphi Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi Kya andhera hai phuphi

Aaj ki shab ko bhi baba kya nahi aayenge Mujh ko rulwaaenge Unke seenay pay agar sothi tho neendh aajati Kya andhera hai phuphi Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi Kya andhera hai phuphi

Baad meray yaan agar hoye pidar ka aana Unsey yeh farmaana Margayi ghut ke andherey may tumhaari beti Kya andhera hai phuphi

384 Nauha Salaam Marsia Nauha Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi Kya andhera hai phuphi

*****

Aye Jaan Sakina nadaan Sakina Aye shaam ke zindaan ki mehmaan Sakina

Dekho toh uttho qaid may hai kiska yeh maatam Bano teri is neend ke qurbaan Sakina

Utthti nazar aati nahin yeh neend hai kaisi Yeh Khwaab tho karta hai pareshaan Sakina

Kyon haath yeh kaanou pey ho rakhe huvey bibi Dukhtey hain abhi takh kaho kya kaan Sakina

Yeh deis naya loug naye hum bhi naye hain Kis tarah sey ho dafn ka samaan Sakina

Asghar ko karo pyaar lo Akbar ki balaaein Jab khuld mein tum jaao meri jaan Sakina

Woh roz ki seli woh tera roz ka rona Bas aaj sey zindaan hai sunsaan Sakina

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 385 Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Lo hogayi rehaayi, Lo qaafela chalaa, Sar jab har ek Shaheed ka, Sajjad ko milaa Tab marqad-e-Sakina (x2) Pey Sajjad ney kahaa Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Baba tumhaara aaya (x2) Gaya waqt neend ka Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Seenay pey soonay waali Matti pey sogayi (x2) Baba ko rothay rothay Jo khamoush hogayi (x2) Ro-ro kay maa ney Qabrey (x2) Sakina pey yeh kahaa Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Bibi karo salaam, Adab ka maqaam hai (x2) Bibi teray sarhaaney Shahey tishna kaam hai (x2) Aey jaan jaldi badlo (x2) Yeh kurta phata huvaa Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

386 Nauha Salaam Marsia Nauha Baba ko dhundti thi Sakina uttho uttho (x2) Raaton ko jaag-ti thi Sakina utho utho (x2) Lo aagaye hain baba (x2) Aey jaan jaag ja Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Baba kay paas sona Na sona zameen par (x2) Rakkho laboun ko lab par Jabeen ko jabeen par (x2) Aada ki gurkhiyo ka (x2) Zamaana guzar gaya Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Paighaam roz deti Thi ammu kay naam tum (x2) Roti thi yaad kar kay Unhey subho shaam tum (x2) Jaago kay jaa rahey hai (x2) Jahaan sothay hain chacha Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Kis tarha soyi baali Sakina na puchiye (x2) Ranj-o-alam sey pathta hai seena na poochiyeh (x2) jaagi na phir kabhi woh (x2) Bohoth maa ney di sadaa Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

***** Salaam Marsia Nauha Nauha 387 Rokay zindaan mein boli Banu Meri bachchi ko na tanhaa chodo Saath maan ko bhi lahad mein gaaddo Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Darr kay royegi woh naazoun ki palee Thaam leygi yeh naseebon ki jalee Khauff andheiray mein na hovay isko Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Chupp hai woh bolnay waali haihaath Mera pehloo huvaa khaali haihaath Haath maen jodd rahee hoon logo Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Kis tarhaa logo maen kafnaaney doon Kis tarhaa logo maen dafnaaney doon Maa hoon maen isko na mujh sey cheeno Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Tehro kurtaa toh badal loon iskaa Ponch loon kaanoun mein hai khoon jamaa Kuch khafaa hai toh manaa leynay doh Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Khol toh loon maen galay sey rassi Dam kay ghuttnay sey na ho beyhoshi Bibi shaayad kay abhi zindaa ho Meri bachchi ko na tanhaa chodo

388 Nauha Salaam Marsia Nauha Goadh sey Maan ki chuddaao na isay Tangh marqadh mein sulaao na isay Chupp raho yoonhi paday rehnay doh Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Margayi haaye Sakina Masroor Peet tu bhi sar-o-seena Masroor Keh rahi hai yeho rokar Banu Meri bachchi ko na tanhaa chodo

*****

Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Bano yeh Abid ko batlaa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Kehdo hawaaon sey aahista aayein Kehdo parindo sey ghul na machayein Kehdo andheron sey waapas na jayein Jaagi huvi chaen kuch paa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai Shaayad rasan ki aziyat huvi kam Madham karo bibiyo shor-e-maatam Sajjad zanjeer bolay na is dum Shaayad ghamon ki ghadi jaa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 389 Zindaan ka dar zor sey ab na kholo Aey pehraydaaro ab aahista bolo Tum bhi toh jaagey ho kuch dayr so lo Baba ki khusboo isay aa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Kay ab dhaddkan-e-dil bhi ispey giraan hai Na bhaayi hai nazdeek na iskay maa hai Kaanon sey khoon gokay ab bhi rawaan hai Magar aankh bojhal yeh samjhaa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Yeh shaam-e-gharibaan ki jaagi huvi hai Tamaachon kay darr sey nahin so sakee hai Zara ab galay sey rasan jo khulee hai Sukoon sey jo ab saans ley pa rahee hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Mai khush hoon kay soyegi meri dulaari Mai qurbaan is kay mai ab is kay waari Bohat seh chukee dukh yeh Ghaazi ki pyaari Magar nafz kuch aur batlaa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Magar yeh huva kya kay zindaan roya Badan rooh kay saath bachchi ka soya Na jaagi woh Abid ney shaana hilaaya Aur ab maa yeh kehtey bhi sharmaa rahi hai Meri Sakina ko neend aa rahi hai

*****

390 Nauha Salaam Marsia Nauha Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo haye zindanon se Meray Baba sey milaado Main duaein doongi, Siskiyaan leykay jo kehti thi musalmaano sey

Bolay Sajjad Sakina yeh muqaddar tera (x2) Bey Kafan tujhko liye phirtaa hoon bazaaron mein Aur lahoo aaj bhi jaari hai teray kaanon sey

Jaakay Maqtal mein pukaari yeh Sakina rokar (x2) Bhaiyya Qasim meray Akbar tum kahaan ho saarey Meray Baba ko bachaalo aakay Shaitaanon sey

Jab chali ghar sey teray saath sabhi thay Zainab (x2) Aun-o-Mohamma-o-Akbar yaad aathay hongay Lautt kay aati jo hogi tu bandhey haathon sey

Labey darya sey Alamdaar ki aayi yeh sadaa (x2) Aye Sakina tujh sey sharmindaa hai chaa-cha tera Paani pahuncha na sakaa haaye katey shaanon sey

Aaat Adhaanein bayek waqt fizaa mein goonji (x2) Saani-e-Zahra kay khutbon ko dabaaney kay liye Shor berpaa kiya darbaar mein adhaanon sey

Qaem-e-Aaley Muhammad yeh hai Akhtar ki dua (x2) Sachcha Hasnain ka hai Maula sadaa-e-matam Hashr takh yoonhi sadaa goonjay Azakhaanon mein

Meray Baba sey milaado Main duaein doongi, Siskiyaan ley kay jo kehti thi musalmaano sey Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo haaye zindanon sey ***** Salaam Marsia Nauha Nauha 391 Sakina uttho. meri jaan uttho, rehaayi milee Chalo ghar chaley Yeh karti thi maa, lahad par bukaa . meri laadli, Chalo ghar chaley

Yahaan sey chalo, chalein Karbala Waheen par tumhey milengay chacha . Sitham jo huvey, bathaana unhey Dikhaana unhey, yeh kurtaa jalaa Chacha jaan ko, dikhaana zaraa, ridaa khoon bhari, Chalo ghar chaley

Bathaana unhey, kabhi saqthiyaan Milee kis qadar, tujhey ghurkiyaan Hamaari ridaa, luti kis tarhaa . Chinee kis tarhaa, teri baaliyaan Bathaana unhey, bujhi kis tarha, teri tashnagi, Chalo ghar chaley

Padar sey milo, toh dil joee ho Bathaana unhey, bahot royi ho Qasam lo agar, tumhaarey bina Sakina kabhi, kahin soyi ho Lahad baap ki, miley jab tujhey, tu kehna yehi Chalo ghar chaley

Lahad jab miley, tujhey bhaayi ki Tu kehna usay, meri laadli Rehaayi milee, hameh qaid sey Hameih ab nahi, azeeyath koyi Meray bey zubaan, uttho ghar chaley, Shabi-e-Nabi, Chalo ghar chaley

392 Nauha Salaam Marsia Nauha Labb-e-al-qamaa, tu karna fughaan Teri mauj hai, abhi takh rawaan Meri pyaas par, huvey jo fidaa Chacha kay meray, hai baazu kahaan Kahaan Mashk hai, kahaan hai Alam, kahaan hai Zari Chalo ghar chaley

Na ab gham koyi, na uftaad hai Woh zanjeer sey, ab aazaad hai Phupi bhi teri, teray saath hai Teray saath hi, woh sajjad hai Meri gham zadaa, shab-e-gham katti, saher ho chuki Chalo ghar chaley

Labboun par teray, yehi baat thi Watan jayenge, kabhi hum phupi Tujhey shimr ka, nahi khauff ab Sataayengay na, tujhey ab shaqi Nikal qaid sey, shuroo hum karey, nayi zindagi, Chalo ghar chaley

Ghareeboun ka yeh, lutaa qaafela Vidaa hokay phir, watan jayega Tujhey paayegi, jo Soghra teri Toh beemaar ko, mileygi dawaa Galeh milkay phir, bahot royegi, woh behnaa teri, Chalo ghar chaley

Mazaar-e-Nabi, laraz jaayegaa Bahen jab teri, kareygi bukaa Kahaan hai chacha, kahaan hai padar Kahaan hai bataa, baraadar mera Sunaadey usay, yeh rudaad-e gham, yehi beybasi,

Salaam Marsia Nauha Nauha 393 Chalo ghar chaley

Gayaa marqadh-e-Sakina pay gar Kareyga wahaan, yeh Mazhar bayaan Ataah umr kar, isey daayemi Yeh Irfaan hai, tera nauhakhawn Wahaan jaakay phir kahega nahi mera dil kabhi Chalo ghar chaley

*****

Shaam ko qaidi ban ke chali hai Pyaare nabi ki pyaari nawaasi Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Sabr ki malka Zehra ki pyaari Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Dekh rahi hai koyi tho aaye shaana pakad kar kaash bithaaye Na hai sawaari na hai amaari Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Bhaayi bhateeje bhaanje betay Saath watan sey aayi thi lekay Haaye muqaddar aaj akeli Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Beton ko sadqa bhaayi pe karke Jisne kiye the shukr ke sajde Chod ke tanha laash ko uski Shaam ko qaidi ban ke chali hai

394 Nauha Salaam Marsia Nauha Jiski kaneezein nikle na baahar Balwe mein laaye usko sitamgar Haaye yeh ghurbath binte Ali ki Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Kitne hi qaidi jitney chudaaye Aaj woh bibi sar ko jhukaaye Ek rida ki ban ke sawaali Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Soncho woh manzar “Sarwar-o-Rehan” Bhaayi ho jiska waarise quran Kaise woh bibi ashk bahaati Shaam ko qaidi ban ke chali hai *****

Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar Paaoun may bedi touq-e-giraan baar

Bhoolega na woh manzar, naizay pay saray Sarwar Bay maqna-o-bay chaadar, balway may phupi maadar Aur majma-e-kuffaar Abid-e-beemaar

Bazaar ki zeibaayi, kotthoun pay tamashaayi Aada ki safaaraayi, aur aalam-e-tanhaayi Woh bekas-o-laachaar Abid-e-beemaar

Darbaar mai sar uryaan aathay hain haram giryaan Uttney laga ek toofaan mehshar ka meher taabaan Jumbish mai hai darbaar Abid-e-beemaar

Salaam Marsia Nauha Nauha 395 Bu aayi tho ghabraa kar bachchi ney kaha rokar Is tasht may hai jo sar woh toh hai sar-e-Sarwar Kaise karoon deedaar Abid-e-beemaar

Kuch Shimr say farmaado gardhan meri khulwaado Sar Baba ka dilwaado ya usko yeh samjhaado Maarey na sitamgaar Abid-e-beemaar

Haakim ne yeh sunn paaya tho aur sitham dhaaya Sar poush ka sarkaaya aur bachchi ko dikhlaaya Chillaayi woh ek baar Abid-e-beemaar

Dukhtar ki sadaa sunkar phir tasht-e-thilaa sey sar Godhi mai gaya uttkar naadaan ney liptaakar Sar par rakhe rukhsaar Abid-e-beemaar

Zindaan may Anees-e-gham karthay hain haram maatam Maa poochti hai paiham kyon aankh hai yeh purnam Kya margayi dildaar Abid-e-beemaar

*****

Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Damishq mein jo ghareebeon ka qaafela pahuncha Yazeed-e-nahes ney darbaar mein bulaa bheija Bahen sey Sheh ki shahaadath ka waqeya poocha Tadap kay bint-e -Ali ney yazeed sey yeh kahaa Zameen ki goud mein Islaam ka sitaara hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain

396 Nauha Salaam Marsia Nauha Kaha yazeed sey Zainab ney aye sitham aara Ghazab kiya teray lashkar ney roz-e-Aashoora Meray Hussain ko jungal mein gheir kar maara Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara Jo bey kafan hai abhi takh Nabi ka pyaara hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Suhaag ujdaa kisi ka kisi ki kokh jalee Kisi ka jal gaya daaman ridaa kisi ki chinee Kisi ki maangh mein Karbobala ki khaak padi Kisi ki aal hai zindaan mein Ya Ali Madadi Shaqee ney Sibtey Payambar ka sar uthaara hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Kidhar gaye meray Abbas-o-Qaasim-o-Akbar Woh meray Aun-o-Mohammed woh meray noor-e-nazar Mai tujhko dhoondoon kahaan bey zubaan Ali Asghar Bathaao bibiyon ro-oon main aaj kis kis par Jahaan mai Zainab-e-dilgeer bey sahaara hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Yeh ranj-o-gham sitam-o-jor aur jafaa kab takh Rasool zaadiyan balwey mein bey ridaa kab takh Rahegi qaid mein Aulad-e-Murtuza kab takh Nabi ki aal pey yeh zulm-e-naarewa kab takh Mujhey toh mauth hi aalam mein ab gawaara hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Salaam Marsia Nauha Nauha 397 Teraa yeh saanehaa Karbala raheigaa yaad Jo ek din mein Mohammad ka ghar huvaa barbaad Kahaan woh touq-e-giraan baar aur kahaan Sajjad Hai shaher-e-Shaam mein bey pardaa Zainab-e-Naashaad Ali ki Aal pey Mirza yeh zulm niyaaraa hai Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai Haaye Hussain, pyaasey Hussain *****

Kahaa yeh shimr-e-layeen ney rulaao Zainab ko Dikhaao laashey biraadar dikhaao Zainab ko

Na hai Hussain na Abbas na Ali Akbar Nahin hai khauff kisi ka sathaao Zainab ko

Daro na cheenn lo Saidaaniyoun kay sar sey ridaa Sinaan-o-Teigh dikhaakar daraao Zainab ko

Chinee ridaa toh pukaari kay aye meray Abbas Khuda kay waastey aakar bachaao Zainab ko

Bandhee rasan jo kalaayi toh beyhayaa bolay Aseer hogayi dar-dar phiraao Zainab ko

*****

Amma Fizza bathaa dey mujhko Pathar kyun aarahey hain Kaisa hai yeh charaghaan dil dubey jaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai Amma Fizza bathaa dey mujhko Pathar kyun aarahey hain

398 Nauha Salaam Marsia Nauha Hain log kistarhaa kay, Hum sey dua karaayein Aye qaidiyon dua doh, Yeh din na hum pey aaye Leykar duayein hum sey, Dil bhi dukhaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Honay lagi Azaanein, Kaisey saron ko dhaampey Baazu bandhey huvey hain, Khoon ro rahi hai aankhein Ankhon kay khoon sey rastey, khoon mein naha rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Naizoun pey jitney sar hain, Ek sar hai unmein aisaa Aankhein hai bandh uski, Aur khaak par hai girtaa Abbas ka yeh sar hai, Teywar bathaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Itnaa chaley hain paidal, Kaanton pey saarey qaidi Thakk jaati chaltey chaltey, Chalti agar zameen bhi Paaoon kay aabley bhi, Rokar bathaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Maaoun ki goadiyon sey, Liptey huvey hain bachchey Hai haath rassiyoun mein, Maaooun sey aisey jakddey Bachhey jo gir rahey hain, Woh martey jaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Karney lagaa tilaawath, Naizey pa Ibne Hyder Naamoos-e-Mustafa kay, Sar pa nahin hai chaadar Nazroun ko ashqiyaa ki, Sarwar hataa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 399 Naizey pey ro rahaa hai, Mushkil Kushaa ka beta Naa mehramoun kay labb par, Aaya hai naam meraa Mujhko kaneez zaadey, Yoon bhi rulaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

Sajjad ka kaleijaa, Sadh paash ho raha hai Ek ek zakhm inka, Is gham mein ro raha hai Zainab ka naam leykar, Aadaa bulaa rahey hain Kya Shaam Aagaya hai

*****

Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai Aalam-e-ghurbath mai aal-e-Ahmad-e-mukhtaar hai Ab na lashkar hai na Abbas-e-Alambardaar hai Haaye kya badhlee huvi ab waqt ki raftaar hai Saamney rakkha huva farqe shahey Abraar hai Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Zulm hai kursi nasheen kunbaa nabi ka hai khadaa Aur ek beemaar hai zanjeer mai jakdaa huva Hai rasan mai sab ke shaaney aur sakina ka galaa Haaye bachchi ke liye ab saans leyna baar hai Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Ghamzadaa maadar ki aankhoun mai andhera chhaa gaya Naujawaan betay ka sar darbaar mai laaya gaya Jaan-e-laila sey yeh manzar kis tarhaa dekha gaya Kaisi ghurbath mai shabihey Ahmad-e-mukhtaar hai Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

400 Nauha Salaam Marsia Nauha Woh Ali Asghar ka sar jaisey koyi taaza kali Maadar-e-beysheer ki jisdum nazar uspar padhi Goadh mai leykar sulaaney ki tammana jaag utthi Haath rassi mai bandhey hain maa bahot laachaar hai Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Paasbaan baaqi nahin koyi nahi ab aasraa Fatema ki betiyoun par waqt kaisa aagaya Dil yehi kehtha hai akhtar ab Ali ko dey sadaa Aapki beti ko maula ke rida darkaar hai Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

*****

Waqt Sajjad ney kaisey woh guzaara hogaa Naam Zainab ka jo ghairoun ney pukaara hogaa

Lo Hussain Ibney Ali pyaasey zibhaa honay lagay Kitnaa sharmindaa woh darya ka kanaara hogaa

Woh giraa zeen sey Zainab ki ridaa ka zaamin Kaun ab Fatema jaayi ka sahaara hogaa

Sar-e-maidaan toh, jaaney toh, lagaa hai Asghar Kis tarah teray binaa maa ka guzaara hogaa

Nouk-e-naiza pey bahaaney lagay ansoo maula Phir Sakina ko kisi shaqs ney maaraa hogaa

Roz-e-Mehshar ka hameih darr nahin koyi Shaukat Haath Shabbir kay qadhmoun pey hamaara hogaa

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 401 Sajjad main Zainab hoon meray sar pey ridaa koyi nahi, bazaar-e-jafaa Majmaa hai koofiyoun ka meray chalney ki jaa koyi nahi, bazaar-e-jafaa

Sajjad meray sar sey nau baar chheeni chaadar, Balway main Nabi zaadi phirwaayi gayee dar dar, Miljaaye ridaa mujhko aur meri dua koyi nahi bazaar-e-jafaa

Sajjad chaloon kaisey laakhoun hai tamaashaayi, Yaad aatha hai reh reh kay Abbas mera bhaayi, Faryaad karoon kis-say ab teray siwa koyi nahi bazaar-e-jafaa

Sajjad meray dil ko yeh dard sataatha hai, Sar ghaazi ka naizey sey jab khaak pey aatha hai, Sar mera khulaa dekhe gham is sey bada koyi nahi bazaar-e-jafaa

Maloom hai aada ko ghazi ki bahen hoon main, Bey dasth hai woh ghaazi paaband-e-rasan hoon main, Yaad aayi wafaa uski jab paas raha koyi nahi bazaar-e-jafaa

Majboor hoon beybas hoon main ro bhi nahin sakthi, Durroun ki azeeyath sey main so bhi nahin sakthi, Is darj-e-museebath mai hamdard mera koyi nahi bazaar-e-jafaa

402 Nauha Salaam Marsia Nauha Sajjad teri haalat dekhi nahin jaati hai, Bey pardaa mujhey dekhe yeh baat rulaati hai, Sajjad teri tarhaa kaantoun pey chalaa koyi nahi bazaar-e-jafaa

Maut aayegi zindaan mai meri baali Sakina ko, Kya jaakay bataaoungi beemaar-e-Madina ko, Gham dil pey uthaaney ko ab baaqi bacha koyi nahi bazaar-e-jafaa

Jaata hai su-ey zindaan ab kunbaa Muhammad ka, Rassi main bandhey qaidi kaantoun say bharaa rastha, Ummat ney sitam dhaaye qismat sey gilaa koyi nahi bazaar-e-jafaa

Bazaar-e-sitam mai tha Zainab ka ajab aalam, Mazhar main likhoon kaisey zaalim ney kahaa jisdum, Hai kaun tera waaris Zainab ney kaha koyi nahi bazaar-e-jafaa

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 403 Bazaar kay manzar ko, aur apney khuley sar ko bhuli nahi mai Apney bandhey haathon ko, bimaar kay zeiwar ko bhuli nahi mai

Utt thi huvi aandhi ko, wehshat ko biyaabaan ko Chuptey huvey suraj ko, taareeki ko maidaan ko Chaltey huvey khanjar ko, Naizey pey terey sar ko, bhuli nahi mai

Ek chaand tha badhli mai, chuptha tha nikal ta tha Pardah darey khaima ka, utt tha kabhi girta tha Woh khaimaa e laila sey, Haaye rukhsatey Akbar ko, bhuli nahi mai

Yaad aata hai dulhan ko, gatt kis tarha aaye thay Ek gattri shahey waala, jab kaandhon pey laaye thay Is laash ki gattri ko, Us khoon bhari chaadar ko, bhuli nahi mai

Fizza ko mera bhaayi, maa kehkay bulaata tha, Dum uska meray bhaayi, yeh naam pey jaata tha Ruthbey mai jo maa bankar, aayi thi maadar ko, bhuli nahi mai

Lehraatey huvey naiza, aur shimr ka woh barddna, Aa aa kay meray peechey, har bibi ka woh chuppna Sholoun mai girey gharko, Chinnti huvi chaader ko, bhuli nahi mai

404 Nauha Salaam Marsia Nauha Yaad aata hai ek maa ka, woh khaak mei dhas jaana Aur aag ke sholoun mei, woh maa ka julas jaana Jalte huvey jhooley sey, Lipti huvi maadar ko, bhuli nahi mai

Masoom Sakina ko, bardtey huvey naizoun ko Sistey huvey gaalon ko, bey rahem tamaachon ko Sistey huvey kaanon ko, Khichtey huvey gauhar ko, bhuli nahi mai

Jis raat mae tanhaa thi, us raat kay dhalney ko Tootey huvey naizey ko, us raat kay pehrey ko Bachchon kay sisakney ko, Aur raaq kay bistar ko, bhuli nahi mai

Un shaam ki galiyon ko, jinsey khuley sar guzrey Kis dar sey guzar ney mai, yeh tolaa pahen guzrey Darbar kay us dar ko, Aur shaamiyon kay shar ko, bhuli nahi mai

Hai aaj bhi woh giryaa, Hai aaj bhi wo zaari Hai aaj bhi patthar kay, Seenay sey lahu jaari Rothay huvey patthar ko, Patthar pey rakhey sarko, bhuli nahi mai

Aati hai Navaid ab bhi, aawaaz yeh Zainab ki Hai mujhko qasam saddiyon, sey sukhey huvey labb ki Pyaasey ali asghar ko, Sukhey huvey saagher ko, bhuli nahi mai

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 405 Tauq-o-Zanjeer Kujaa Abid-e-beemaar Kujaa Momino tumko sunaatha hoon main ek aisa bayaan Jiskay sunney sey jigar aab ho aansoo ho ravaan Aag khaimoun mein lagi saari fizaa mein hai dhuvaan Paaye Sajjad kujaa vaadi-e-purqaar kujaa

Qasim-e-khastha jigar aah Hasan kay mehroo Kartey hain tujh pey sitam hadh sey siwaa run mein adoo Chaand sey chehrey pah doobey huvey khoon mein gaisoo Jism-e-majrooh kujaa ghodon ki yalgaar kujaa

Bey ridaa aah huva Zainab-e-mazloom ka sar Saaya-e-chaadar-e-Tatheer magar tha sar par Dar badar phirthi rahi Shaam mein bint-e-Haider Ghamzadaa Banu kujaa shiddath-e-apkaar kujaa

Purzay purzay huvey Quran-e-wafaa kay paarey Zulm sehtay rahey Sarwar kay harum beychaarey Chhinkar baandhay Sakina ko tamaachey maarey Panja-e-zulm kujaa Phool sey rukhsaar kujaa

Fatema Zehra ka aaya jo mazaar-e-aqdhas Boli Zainab yeh bhatijeh sey huvi main beykas Chodd doh mujhko akeila kay kahoongi az bas maa ki aaghoush kujaa dukhtar-e-naachaar kujaa

Hurmula tujhko na shashmaahey ka kuch aaya khayaal Khoon-e-Asghar sey kiya hai rukh-e-Shabbir ko laal Aaj taariq ka hai tujhsey musalsil yeh sawaal halq-e-Masoom kujaa teer-e-sitamgaar kujaa

406 Nauha Salaam Marsia Nauha Khwaab mein aaye Sakina ko nazar uskay pidar Khoyi khoyi si thi yoon baali Sakina ki nazar Jaisey ek bhattka musaafir ho sareh raaha guzar laasha-e-Shah kujaa bachchi ka afkaar kujaa

Dasht mein shaam-e-gharibaan jo ghariboun ki huvi Pehra deinay kay liye utthi Ali ki beti Aaya Zainab ko nazar ek sawaar-e-arabi Dasht-e-purqaar kujaa Haider-e-Karrar kujaa

*****

Abid ghareeb beykas-o-naachaar margaya Saadaath khaak uddaayein kay Sardaar margaya

Saayaa rahaa saroun pa na chawthay Imam ka Zehra ki jaan Hussain ka dildaar margaya

Kaanton pa kheinchtey thay jisey raahey Shaam mein Woh saarbaan-e-Ithrath-e-Athaar margaya

Shammey mazaarey Panjetan-e-Paak bhujj gayee Saidaaniyoun ka haaye parasthaar margaya

Baanu ka chaand zeir-e-zameen haaye chhupp gaya Faaqaa kasho Ghareeb Dilafgaar margaya

Beti Hasan ki hogayi beywaa hazaar haif Haider ka pothaa aashiq-e-Ghaffaar margaya

Rothaa rahaa jo baap ko chaalees saal takh Woh aaj Shaahey deen ka Azadaar margaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 407 Bin baap kay layeen ney Baqar ko kardiyaa Chauthaa Wasee-e-Ahmad-e-Mukhtaar margaya

Kyunkar Shaoor khaak uddaaoon na aaj mai Mai jiski nasl sey hoon woh sardaar margaya

*****

Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam Hum karte hain Karbal ke azadaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Woh khoon mein dooba huva Shabbir ka laasha Bay goro kafan dhoop mein rethi pah pada tha Manzar yeh jigar thaam ke Sajjad ne dekha Har su hae bapa ab usi ghumkhaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Sajjad ne dekhe hain ajab dard ke manzar Naizon ki bulandi pah shaheedon ke kate sar Maa behne thi bazaaron mein be-maqnao chaadar Shabbir ke maqsad ke madadgaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Paabande rasan hogayi Kubra ki kalaayi Chaadar bhi na thi sar pah ghata zulm ki chaayi Ek beva behan saath thi majboor tha bhaayi Hae aaj usi bekaso naachar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Rassi mein bandha pyaasi Sakina ka gala tha Kehti thi mujhe godh mein le lijiye bhaiya

408 Nauha Salaam Marsia Nauha Kis tarha se detey usey Sajjad dilaasa Hae towqo salaasil ke giraftaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Aata kabhi jab saamne Sajjad ke paani Yaad aati thi Asghar ki usey tashna dahaani Tadpaati thi paiham Ali Akbar ki jawaani Aao karen pyaason ke azadaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam Jab poochta koi toh ajab hota tha kohraam Tootey hain kahan sab se ziyaada ghamo aalaam Dil thaam ke Sajjad kaha kartey thay ash-Shaam Baazaar ka Zindaan ka darbaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Roye hain tere gham mein Ali aur Hassan bhi Tadpe hain tere gham mein shahe tashna dahan bhi Bechain huvi Fatema Sarvar ki behan bhi Maatam hae tera Ahmad-e Mukhtaar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Mazloom ke hissey mein bhi Zehre sitam aaya Ek hashr Rasheed ahle Madina mein tha barpa Lo sogaya Islam ke zakhmon ka maseeha Ashkon ki fizaaon mein hae beemar ka maatam Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 409 Itni ghareeb hogayi gham yoon lipatt gaye Zainab kay ek libaas mein doh saal katt gaye

Kya Kya guzar gayi hai Moharram kay chaand mai Saidaaniyo kay baqth achaanak ulatt gaye

Zainab ka dil bhi kya tha ghamoun ki kitaab thi Ek dil mein us ghareeb kay sau gham simatt gaye

Haathoun sey maa kay khaimey ka pardaa ulatt gaya Haathoun pey shah kay jis ghadi Asghar ulatt gaye

Bolay Hussain beti sey paani na maangna Jin baazuoun pey mashk thi woh baazu katt gaye

Marney chaley Hussain toh rehwaar rukk gaya Doh nanhey nanhey haath sumao sey lipatt gaye

Kaisey uttha sakeingay bhalaa laash ko Hussain Aaza Hassan kay laal kay tukkdoun mein batt gaye *****

Abaad huvi Karbobala, ujjda Madina, barbaad huvi main Zainab ko na raas aaya Moharram ka mahinaa Barbaad huvi main

Ek din tha, kay is sheher ki karthi thi main shaahi Aur aaj tabaahi Bey ghusl padaa mohrey Nabuwath ka nagina Barbaad huvi main

Kis laash pay rovoon kisey choddoon main baraadar

410 Nauha Salaam Marsia Nauha Laashey hain bahaathar Hadh yeh hai kay ronay ki ijaazath bhi milee na Barbaad huvi main

Asghar ka galaa bhaayi ka sar, seena-e-Akbar Sab gauhar-o-chaadar Is dashth mai loota gayaa Zainab ka khazeena . Barbaad huvi main

Maayein bhi na pehchaan saki, bachchoun kay chehray Bikhrey huvey sehray Hai khoon kay daryaa main ghareeboun ka safeena . Barbaad huvi main

Ek aag hai, khaimoun mai qayaamath ka samaa hai Ghazi tu kahaan hai Dekho toh ridaa chheen gaya, shimr kameena Barbaad huvi main

Chaadar cheeni, durr leyliye ab zulm na dhaao Baba sey milaao Naizey kay taleh bhaitt kay rothi hai Sakina Barbaad huvi main

Paabandh-e rasan bibiyaan bazaar khuley sar Har modd pey patthar Masoom yateemoun ka bahaa . Surkh paseena Barbaad huvi main

Shoukath sar-e-maqtal yeh kaha bintey Ali ney Zehra ki palee ney Bhaiyya teray bin khwaab teri behnaa ka jeena Barbaad huvi main ***** Salaam Marsia Nauha Nauha 411 Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Shabbir kay mazaar pa Zainab ki hai jabeen Aansoo bahaa rahey hain khadey Abid-e-hazeen Abaad thi Hussain kay qadhmoun sey yeh zameen Ab haal yeh hai sar pa koyi saayebaan nahin Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Maajaaye pehlay aag lagi khaimagaaha mai Har gaam ek taaza qayaamat thi raaha mai Bachchi ki hichkiyoun ka hai manzar nigaaha mai Zindaan-e-Shaam mai hai Sakina yahaan nahin Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Abbas-e-naamwar jo harum ka tha paasbaan Rothi thi yaad karkay jisey saari bibiyaan Bey aas jiski laash pah thay Shaahey doh jahaan Laasha kahin tha haath kahin aur Alam kahin Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Bhaiyya hamaarey waadey ki takmeel hogayi Aisa safar huva hai kay sar par ridaa na thi Darbaar-e-Shaam mai thi qayaamat ki beybasi Rudaad-e-gham sunaaney ki taaqath bhi ab nahin Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Ahley jahaan ko hogi agar haq ki justaju Akhtar asar dikhaayega mazloom ka lahu Hai ghamzadaa bahan ki yehi ek aarzu Aabaad zaayereen sey hojaaye yeh zameen Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen ***** 412 Nauha Salaam Marsia Nauha Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Zindaan kay alam sehkar jab waaris-e-gham aaye Karbal ki sadaaoun mei paaband-e-sitam aaye Faryaad-o-fughaan kartey sab Ahley harum aaye Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Gaalon pay Sakina kay woh neel tamaachon kay Zakhmi tha badan uska durroun ki azeeyath sey Har gaam pah kehti thi Ammu hai kahaan meray Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Darbaar woh haakim ka sar nangay tera kunbaa Chaadar kay aiwaz humney baaloun sey kiya pardaa Bhaiyya teri Zainab kay baazu thay rasan bastha Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Ehsaas ki duniya ka purdard tha woh manzar Tha hashr bapaa Agha Zainab ka bayaan sunkar Zindaan mein Sakina ko kho aayi teri khawhar Zainab ney kaha utto Abbas kay hum aaye Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

*****

Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab Dukh paayi hai, dukh paayi hai, dukh paayi hai Zainab

Salaam Marsia Nauha Nauha 413 Zindaan mein baali Sakina ki banakar Bhayi ki amaanath ko tahey qaak chupakar Saath apne lutey qaafile ko laayi hai Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Maajaye ke marqadh pah hai dukhiya ka yeh nauha Aayi hai behan milne ko uttho mere bhaiyya Bin tere har ek gaam pah dukh paayi hai Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Bhaiyya tumhi bathlao watan jaakay karoon kya Sughra tumhein poochegi toh bolo main kahoon kya Jab bhi yeh khayaal aaya hai ghabraayi hai Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Be maqna-o chaadar gayi bazaaroun mein bhaiyya Darbaare yazeedi mein gayi duqtare Zehra Tha hukm joh tera woh baja laayi hae Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Har tootey huve dil ko sahaara bhi diya hai Har dard mein kunbey ko dilaasa bhi diya hai Har haal mein har bibi ko samjhaayi hai Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Ranj-o-alam-o-yaas hai Abbas nahin hai Juz Abide beemaar koi paas nahin hai Bus ek amaanath yeh bacha laayi hai Zainab Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

*****

414 Nauha Salaam Marsia Nauha Shahinshaa-e-tashna lab kay bhaayi Abbas utto Zainab aayi Sar bhaayi ka shaam sey hai laayi, Abbas utto Zainab aayi

Shabbir ki laadli Sakina, Zindaan mein chutt gayi Sakina Poocho toh kahaan rahi Sakina, Abbas utto Zainab aayi

Shabbir ki laash utthaake laao, Beysar kay badan sey sar milaao Beygor ko gor mein sulaao, Abbas utto Zainab aayi

Hum gheerath-e-Murtuza uttho toh Dekho toh bahen kay baazuoun ko Kis zulm kay yeh nishaan hai bolo, Abbas utto Zainab aayi

Ummat kay sitam sey phirkay dar dar Bey maqna-o-bey ridaa khuley sar Darbaar mein jaakay Binte Hyder, Abbas utto Zainab aayi

Chehlum hai Hussain-e-beywatan ka Mazloomo ghareebo beykafan ka Pamaal shudaah shikastha tanh ka, Abbas utto Zainab aayi

Hai shore Nagin kahaan hai Asghar Qaasim hai kahaan, kahaan hai Akbar Hai aal-e-Nabi mein taaza mehshar, Abbas utto Zainab aayi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 415 Maajaayi hai Zainab dukh paayi hai Zainab Aye laasha-e-beysar tera sar laayi hai Zainab

Sar nangay thi mein zauja-e-haakim joonhi aayi Zindaan mein kya Hind sey sharmaayi hai Zainab

Qaidi bani sar nangay phiree dum nahin maara Sab aapka farmaan bajaa laayi hai Zainab

Marthay huvey tum jisko mujhey soump gaye thay Us laadli ko shaam mein kho aayi hai Zainab

Zaalim ney chardee maari labboun par jo tumhaarey Khamoosh khadi ghaiz mein thar-raayi hai Zainab

Ab saath mujhey qabr mein leylijiyo bhaayi Duniyaa kay bahoth ranj sey ghabraayi hai Zainab

***** Shabbir ki turbath pa yeh Zainab ka bayaan tha Ghar jaakay karoon kya Yaad aatey hain bichdey huvey phat tha hai kaleijaa Ghar jaakay karoon kya

Khaimoun mein qayaamat ka samaan tha Har simth dhuaan tha Asbaab jo tha loot kay sab ley gaye aada Ghar jaakay karoon kya

Humraah meray aaye hain yaan Sayed-e-Sajjad Hum hogaye barbaad

416 Nauha Salaam Marsia Nauha Ab shaam kay zindaan mein sothi hai Sakina Ghar jaakay karoon kya

Abbas na thay saath museebath ka safar tha Dushman tha zamaana Har gaam qayaamat sahi waada huva poora Ghar jaakay karoon kya

Reh jaoon mein is dasht-e-museebath mein yeh bolo Ya jaoon watan ko Bathlaao kay kya hukm hai is waqt tumhaara Ghar jaakay karoon kya

Jaisey bhi ho maatam main tumhaara hi karoongi Marqadh pay rahoongi Hum beysaro saamaan hai chehlum hai tumhaara Ghar jaakay karoon kya

Bachchey nahin ghar hogaya veeraan hamaara Hai kaun sahaara Bathlaao kay Zainab rahey kiskay liye zindaan Ghar jaakay karoon kya

Baazu pa nashaan rassi kay hain, jaoon main kaisey Dikhlaoon toh kaisey Miljaaye teray paaenthi ek qabr ka gosha Ghar jaakay karoon kya

Waali mera dekheiga nashaan ranjo mehan kay Yeh neel rasan kay Kis tarhaa sey dekhoongi main beykas ka tadapnaa Ghar jaakay karoon kya

Salaam Marsia Nauha Nauha 417 Akhtar dum-e-rukhsath huva is tarhaa sey maatam Har aankh thi purnam Sab ahley harum rothay thay Zainab ka tha nauha Ghar jaakay karoon kya

*****

Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka Lekay daag seenay par shaam ki judaayi ka Haq ada karey Zainab kaise apney bhaayi ka Qaafela uthar aaya sabr ki khudaayi ka Karbala ke maidaan par Fatima ke jaayi ka Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Mauth ke biyabaan may zindagi ka maatam hai Zulm ke andheroun may roshni ka maatam hai Aansuoun ke toofan may tashnagi ka maatam hai Ek bahen ke hissey may har kisi ka maatam hai Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Door takh nigaahoun may shaam ka andheira hai Karbala say koofay takh haadesoun nay ghera hai Jab say naunehaaloun nay muh ko apney phera hai Maamtha ki godhi may mauth ka basera hai Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi kya sunaaoon main hum pa kya sitam guzrey Baad-e-asr-e-aashoora beykafan thay sab laashey Sham-e-gham ke chaatey hi mauth ke badhey saaye Chinn gayee rida meri bhaayi jal gaye khaimey Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

418 Nauha Salaam Marsia Nauha Baad-e-Karbala bhaayi har qadam qayamat thi Beyrida rasan bastaa raahey shaam sey guzree Bhaayi hum tamaasha thay raasthay tamaashayi Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaati Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Khud aseer-e-qismat thi dar badar gayi Zainab Moo ko apney baaloun sey dhaanp kar gayi Zainab Majlis-e-Sitamgar may nangay sar gayi Zainab Leykay saath kunbey ko nauhagar gayi Zainab Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi qaid khaaney ki teeragi sey ho aaye Aapki amaanath ko zulmathoun mai kho aaye Khoon goshwaaroun ka aansuoun sey dho aaye Yoon Sakina bibi ko sab aseer ro aaye Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Aapsey judaa hokar jab madiney jaaoongi Jaakay maa ki turbat par marsia sunaaoongi Karbala ke maqtal may kya huva bathaaoongi Bhaayi apney baazu kay neel bhi dikhaaoongi Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi ab khuda haafiz qabr sey chali Zainab Bin teray guzaregi kaise zindagi Zainab Utt gayi fareed aakhir kehke ya Ali Zainab Dard-o-gham ki .duniya may phir se kho gayi Zainab Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 419 Koofay ka aur shaam ka manzar Yaad jab aajaata hai baba Dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Qabr pey Shabbir ki, kartey thay Abid bukaa Ho gayi kya kya jafaa, suniye shahey Karbala Sar pey kisi ke na thi chaadar Yaad jab aajaata hai baba, dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Ek rasan main bandhay,chotay badoun ke galay Barsar-e-darbaar sab, is tarha laaye gaye Kotthoun se barsaatey thay pathar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Touq sey hargiz na tha, Baba mera sar jhukaa Hathkadi aur bedi ka, koyi mujhe gham na thaa Dekha nahin jaata tha manzar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Baali Sakina ka gham dil yeh nahin bhooltha Sab ke thay shaaney bandhay, uska bandha tha gala Dard sey woh rehti thi muztar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Meri phupi jaan thi, balway may jo sar khuley Naizey se ammu meray, farsh pa gir padtey thay

420 Nauha Salaam Marsia Nauha Haaye chachajaan ka safar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Leikay gaye jab hamein, bazm-e-sitamgaar may Saath sau kursee nasheen bhaitay thay darbaar may Taqth pay bhaita tha sitamgar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Jab kiya sajjad sey aakay kisi ney sawaal Guzraa kahaan par Imam aapko zyaada malaal Kehthay thay ash-shaam mukarar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

Maqtal-o-tareeq bhi, kar na sakay haq adaa Likhey Anees-e-hazeen girya-e-Abid ko kya Kehthay thay yeh Abid-e-muztar Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba Koofay ka aur shaam ka manzar

*****

Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai Kurtaa lahoo bharaa huva bhaayi ka laayi hai Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Salaam Marsia Nauha Nauha 421 Amma hamaarey ranj-o-masaaeb hain dard naak Amma hamaarey qalb-o-jigar ho chukay hain chaak Amma hamaarey naana ki ummath ney ki daghaa Amma hamaarey khoon ko samjhe hain sab ravaa Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma taras ke rehgaye paani ko hum tamaam Amma diya na humko kisi ney bhi ek jaam Amma hamaarey mard tahey teigh hogaye Amma nahaakay khoon mai beychaarey sogaye Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma padey hain nehar pa Abbas roottkar Amma Sakina sothi hai zindaan mein beypidar Amma kahaan sey Akbar-e-mehroo ko laaoon main Amma kahaan sey Asghar-e-naadaan ko paaoon main Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma woh meray Aun-o-mohammad meray pisar Maidaan-e-karbala mai padhey hain kataakay sar Amma lahoo mai doob ke Qasim bhi chal basay Amma Hasan ko muh na dikhaaney ke hum rahey Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma Hussain Karbobala hi mai rehgaye Amma Hussain saarey masaaeb ko sehgaye Amma Hussain margaye beyaaro beywatan

422 Nauha Salaam Marsia Nauha Amma Hussain ko na mayassar huva kafan Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma hamaari chaaderain bhi chhin gayi tamaam Amma hamaarey haal pa hansthay thay ahle shaam Amma woh shaam-e-ghurbath-e-shabbir aah aah Amma woh raat kaali woh sunsaan qatlgaah Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma yeh haal-e-Abid-e-beemaar hogaya Zaalim sipar ne leliya bisthar ghareeb ka Amma qadam qadam pa aseeri rulaagayi Gardhan mein touq paeiroun mai zanjeer aagayi Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma woh bibiyoun ka tadapnaa woh shor-o-shayn Amma raheygi yaad woh aaho bukaa woh bayn Amma Rabaab rothi hai Asghar ko subho shaam Akbar ko yaad karthi hai laila-e-tashnakaam Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawah Maqtal ki gardh bangayi afshaan Khuda gawah Amma yeh beybasi yeh qayamath ki beybasi Amma hamaarey haal pa rothi hai beykasi Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Salaam Marsia Nauha Nauha 423 Amma bathaaiyeh toh main ab jeekay kya karoon Kis tarhaa ab Hussain ki furqath ka gham sahoon Aayi fughaan nidaa ke sar-e-hashr hum bhi ab Kurtha lahoo bhara huva rakhdeingay peish-e-Rab Beti tumhaara bhaayi shahey mashraqain hai Beti tumhaarey sabr mein fathey Hussain hai Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

*****

Di Basheer ney rokay yeh sadaa Lutt gaye Harum margaye Hussain Gul huva charaag lo Madiney ka Lutt gaye Harum margaye Hussain

Woh mujaaveri rauza-e-Nabi Is Madiney ki jis sey zeib thi Khaak mein usay lo milaadiya Lutt gaye Harum margaye Hussain

Doh paheir talak saaf ghar huva Asr ko kataa Shah ka galaa Baad-e- qatl Shah Qaima jalgayaa Lutt gaye Harum margaye Husain

Mittgayi jo haaye shakl-e-Mustafa Zindagi se haath Sheh ney dhodiya Run mein naujawaan Sheh ka margayaa Lutt gaye Harum margaye Husain

Naathawaan ney pehni bediyaan

424 Nauha Salaam Marsia Nauha Hogayeen aseer saari Bibiyaan Qaid ki gayi aal-e-Mustafa Lutt gaye Harum margaye Husain

Bevoun ko kiya oontoun par sawaar Di mareez kay haath mai mihaar Manziloun ghareeb kaantoun par chalaa Lutt gaye Harum margaye Husain

Teer sey cheedaah halq-e-beyzubaan Margaya sagheer lekay hichkiyaan Naar-e-Zulm sey jhoola jalgayaa Lutt gaye Harum margaye Husain

Baqar-e-hazeen hashr tha bapaa Zalzaley mein thi Qabr-e-Mustafa Jab basheer ney rokay yeh kahaa Lutt gaye Harum margaye Hussain

*****

Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Aankhon may Karbala ka nazaara liye huvey Ehsaas may Hussain ka laasha liye huvey Ashkoun may khoon-e-zakhm-e-tamanna liye huvey Abbas kay alam ka pharaira liye huvey Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Salaam Marsia Nauha Nauha 425 Daaghoun may aag aag may ghutt tha huva dhuvaan Maanindhey mouj aankh say, aansoo ravaan dhavaan Baazu pay reesmaan kay ubhray huvey nashaan Seenay may zakhm-e-marg-e-Sakina liye huvey Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Teeroun sey chaak chaak hai Sarwar ka pairahan Abbas ka libaas woh Akbar ka pairahan Dooba huva hai khoon may Asghar ka pairahan Bano kay sheer khaar ka jhoola liye huvey Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Gardhan may touq Abid-e-muztar ki bediyaan Kuch bediyoun kay daagh toh durroun kay kuch nishaan Cheeni huvi Sakina kay kaanoun ki baaliyaan Nanhi si ek bachchi ka sadhmaa liye huvey Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

*****

Dekh Madine kya kya yaadein

Dekh Madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hae Zainab Karbobala mein ghar ko luta kar apne watan mein aayi hae Zainab

Zulm kiya woh ahle jafa ne Zainab ka gham Zainab jaane Soojhe huve hain ab tak shaane daagh yeh kaise paayi hae Zainab

426 Nauha Salaam Marsia Nauha Gham ki kise rudaad sunaaye zakhm jigar ke kaise dikhaye Daaghe rasan kis kis se chupaye sonch ke yeh ghabraayi hae Zainab

Shaam ka kya baazaar saja tha shahr khada tha behre tamasha Haaye kisi ne yeh bhi na soncha yeh toh Ali ki jaayi hae Zainab

Saamne haakim ke mai khadi thi bhai ke mere lab par chadi thi Haaye woh kaisi sakhth ghadi thi sonchke yeh tharrayi hae Zainab

Ek qayamat har su bapa thi mehvay tamasha khalq-e Khuda thi Aur tamaasha aale aba thi haaye bahot sharmaayi hae Zainab

Shimr ke durre baali Sakina pyaas ki shiddat jalta seena Aa na saki waapas woh Madina t anha usey chod aayi hai Zainab

Ashke aza ke moti lutaadoh farshe aza aankhon ko banado Sajdeh mein Sajid sar ko jhukado bazme aza mein aayi hae Zainab

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 427 Sitam raseedaa falak ki sathaayi hoon naana Zameen-e-Karbobala sey main aayi hoon naana

Jaley qiyaam huvey qaid chhin gayee chaadar Qadam qadam pah museebath utthaayi hoon naana

Yeh waaqeaath-e-safar mukhtasar hai sun lijiyeh Hussain margaye main luttkay aayi hoon naana

Main qatlgaah sey saughaath aur kya laathi Lahu bharaa huva kurtaa main laayi hoon naana

Khuda ki raah mein Akbar sey laal ko deykar Main apni saari bizaa-ath lutaayi hoon naana

Sitamgaroun ney ridaa bhi na rehney di hai hai Main sar kay baaloun sey mooh ko chupaayi hoon naana

Main kya bathaoon jo ummath ney qadr daani ki Rasan kay neel gawaahi mein laayi hoon naana

Sayeed qabr-e-Nabi kaampney lagi jisdum Kahaa jo bintey Nabi ney main aayi hoon naana

*****

Kya dekhti hai Sughra, Zainab kay aansuon mein Manzar hai Karbala ka, Zainab kay aansuon mein .

Barchi ka zakhm taaza, taa zindagi raheiga (x2) Akbar ka hai kaleijaa, Zainab kay aansuon mein .

428 Nauha Salaam Marsia Nauha Sughra nazar utthaao, Qasim ka haal dekho (x2) Bikhraa hua hai laasha, Zainab kay aansuon mein .

Aye deeda-e-tassawur, tujhko dekhaayi dega (x2) Chota sa ek jhoola, Zainab kay aansuon mein .

Abbas kay bureedaa, Haathon ki daastan hai (x2) Behta hai gham ka dariya, Zainab kay aansuon mein

Woh karb naak manzar, Kis tarhaa tunay dekhaa (x2) Baba ka zakhmi laasha, Zainab kay aansuon mein

Zindaan-e-Shaam mein hain, choti si qabr lekin (x2) Maujood hai Sakina, Zainab kay aansuon mein

Ab Aun aur Mohammed, bhi yaad aa rahey hain (x2) Honay laga izaafa, Zainab kay aansuon mein .

Zulm-o-sitam kay manzar, sab dekh ley Madina (x2) Hai Shaam aur Kufa, Zainab kay aansuon mein .

Shabbir peish-e-daawar, jayeingey saath lekar (x2) Bheega hua amaama, Zainab kay aansuon mein .

Bey pardagi ka aalam, kaisay Adeel likhhey (x2) Khud dekh ley zamaana, Zainab kay aansuon mein .

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 429 Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Qalb-e-Nabi ke chaen ka pursaa qubool ho Hyder ke Noor-e-Ain ka pursaa qubool ho Maula-e-mashraqain ka pursaa qubool ho Zainab ke shor-o-shain ka pursaa qubool ho Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maatam hai Karbala may Mohammad ki aal ka Qasim jari ka Akbar-e-Yousuf Jamaal ka Abbas-e-zee viqaar ka Bano ke laal ka Kunba aseer-e-gham hai shahey khush khisaal ka Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Pyaase galay pe khanjar-e-bedaad jab chalaa Jalti zameen pe thaa tanay besar Hussain ka Maabainay aasmaan-o-zameen hashr tha bapaa Rothay thay Ahlebait qayamat ka shore thaa Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maqtal may so rahey thay shaheedaan-e-Karbala Bey aasraa tha in may aseeraan-e-Karbala Farsh-e-aza bana tha biyabaan-e-Karbala Kya shaam thi woh shaam-e-ghareeban-e-Karbala Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Jab kar chukay Hussain ka chehlum aseer-e-gham Dekha jo mehmiloun ko ronay lagay haram Baar-e-gham-e-Hussain sey utt tha na tha qadam Boli yeh sar ko peet ke Zainab ba chashm-e-namm Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

430 Nauha Salaam Marsia Nauha Maatam se shaahey deen ka abhi jee nahin bharaa Mausam gham-e-Hussain ka pal may guzar gayaa Har lamha zindagi sey rahega yehi gilaa Haq toh yeh hai ke hum se adaa haq na ho sakaa Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Ya Rab gham-e-Hussain malay hayaat ho Yeh saans jab talak chalay seenay pay haath ho Ashk-e-gham-e-Hussain hi raahey najaath ho Lab par yehi fughaan rahey din ho ke raat ho Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Seenay pa daag-e-maatam-e-Shabbir hai ayaan Chashm-e-aza sey hotha hai khoon-e-jigar ravaan Jab takh fareed hai yeh zameen aur aasmaan Hontoun pa taa ba hashr rahegi yehi fughaan Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 431 Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Hum dethay hain pursaa tumhey Abbas-e-jari ka Aur Akbar-e-dilgeer ka ya Fatima Zehra Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Paamaal kiya Qasim-e-beykas ki laash ko Kubra ko bhi beyvaa kiya ya Fatima Zehra Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Bedi pinhaaye dobri badan zakhmi kar diya Sajjad pa yeh zulm kiya ya Fatima Zehra Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Abbas jo lashkar ka tha sarwar kay Alamdaar Darya pa usay qatl kiya ya Fatima Zehra Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Kaanou sey Sakina ke utharey gaye gauhar Zainab ki bhi chheeni hai rida ya Fatima Zehra Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

*****

432 Nauha Salaam Marsia Nauha Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Leygaa na jaaney kithni yeh karwateyn zamaana Chaahey har ek shaih ko duniya ki bhool jaana Ujjdaa jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna Karbobala kay khooni manzar ko yaad rakhna

Aagosh mai tumhaari maasoom koyi aaye Aur pyaar sey koyi maa jhoola usay jhulaaye Banu ki beybasee ko Asghar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Tumko Khuda dikhaaye khushiyon ka har saveira Qismath sey jab bhi baandho apney pisar kay sehra Qaasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Taqdeer sey kisi par aajaaye jab yateemi Furqath mai baap ki jab marjaaye koyi bachchi Aulaad waalo meri dukhtar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Dekho na zindagi mai marnaa jawaan pisar ka Betay ka daag dil par hothaa hai umr bhar ka Laila ki hasrathoun ko Akbar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Behnou ko betiyoun ko jab bhi ridaa udhaana Hum beykasoun ko hargiz dil sey nahin bhulaana Meri bahen kay sar ki chaadar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Salaam Marsia Nauha Nauha 433 Betoun ko jo na royee qurbaan kar kay mujh par Aur sar nahi utthaaya ehsaan karkay mujh par Uss jaan nisaar meri khawhar ko yaad rakhna Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

*****

Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh Abid-e-beemaar thaa Chalney sey jo lachaar thaa Aur Shaam ka bazaar thaa Aur Mustafa ki betiyaan Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh har sitam sehthaa rahaa Paaoon sey khoon behthaa rahaa Rokar jo yeh kehtha rahaa Zulm-o-sitam ki daastaan Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh bawafaa Abbas thaa Pyaason ka jo ek aas thaa Paani liyaa par na piyaa Masoom ka ehsaas tha Ghazi bawafaa, ya Abbas, ya Abbas

Rokar kahey Qasim ki maa Maaraa gayaa beta jawaan Aye laal mai dhoondoo kahaan Mehndi teri sehraa teraa Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

434 Nauha Salaam Marsia Nauha Shabbir ki woh laadlee Seenay pay jo Shah kay palee Jiski abaa bun mein jalee Moo par tamaachon kay nishaan Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh Zainab-o-Kulsoom thi Chaadar sey jo mehroom thi Na mehramon kay darmiyaan Rothi rahi Shahazaadiyaan Zainab bey rida, hai Shaam, hai Shaam

*****

Ooncha rahe apna alam Jab tak hae daure aasman, sunle yeh har peero jawan Awaaz par Shabbir ki, badhta rahe yeh karwaan Rukne na paye yeh qadam, ooncha rahe apna alam

Har qalb par chaate chalo, duniya ko batlatey chalo Ek ek mohaaze zulm ki, tasweer dikhlate chalo Har dil mein bhar doh Sheh ka gham, ooncha rahe apna alam

Kab tak na maanega koi, woh waqt ayega kabhi Har qalb par chaa jayega, apna Hussain Ibne Ali Duniya rahe zere qadam, ooncha rahe apna alam

Jab bhi koi mushkil padi, duniya isi dar par jhuki Seenon se bal khakar udhar, uthi sada-e ya Ali Nikla idhar baatil ka dum, ooncha rahe apna alam

Salaam Marsia Nauha Nauha 435 Yeh parchame Abbas hae, tootey diloun ki aas hae Ab tak isi parcham taleh, zinda kisi ki pyaas hae Jis ne sahe laakhon sitam, ooncha rahe apna alam

Abbas hai naame wafa, aagaazo anjaame wafa Moonh modh kar dariya se joh, peetah rahe jaame wafa Hotey rahe baazu qalam, ooncha rahe apna alam

Jab Karbala yaad aayegi, insaaniyath sharmayegi Mazloom ki aawaz hai, dil mein utarthi jaayegi Palteingey phir behkey qadam, ooncha rahe apna alam

Aye naujawanane azaa, tum ho kisi dil ki dua Taa hashr utth thi hi rahe, seenoun se maatam ki sadaa Qaem rahe Akbar ka gham, ooncha rahe apna alam

*****

Ya wajiha indallah Ya wajiha indallah, ishfalana indallah (x2)

Baare ilaaha banke sawali tere huzur Daman mein apne laye hain bey inteha khusoor . Lekin hamare sinoun pe matam ka dekh noor . Apne nabi ke sadqe mei bakshenga tu zaroor Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Moula ali ka rabbe jahaan tujko waasta Ya rab baraye fatema siddiqa tahera . Dey ilm aur rizq ka saghar bharaa huwa . Tootey na nemathoun ka mere ghar se silsilaa Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

436 Nauha Salaam Marsia Nauha Maalik tujhe imam-e Hasan ka hai waasta . Jiske lahu se karbobala ki hai ibtidaa . Haan us imam-e amn ke sadqe mai kibriya . Is mulk mai ho amn ka parcham khula huwa Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ab waasta Hussain alaihis salaam ka . Parwardigaar sabr shahe tish na kaam ka . Jiske laboun pey vird tha tere hi naam ka . Khanjar taleh jo qaari tha tere kalaam ka Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ya rab tu meri hasthi ko aisa sanwaar dey . Tu apni rehmatoun se mera ghar nikhaar dey . Sajjad ka tu sadqayeh parwardigaar dey . Bimaar ko shifaa de mukammal qaraar dey Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Maalik imam-e baqar-o-jafar ka waasta . Majlis may mai Hussain ki karta hoon ye dua . Dono ka waasta tujeh deta hoon aye khuda . Makrooz jo hai ghaib se kar unka karz adaa Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ya rab baraye Musa-e Kazim Ali Raza . Mashhad mai aur najaf mai jo hai qibla-e dua . Tu inke waastey se woh aulaad kar atah . Maa baap jis se shaad ho jinki ho ye sadaa Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Salaam Marsia Nauha Nauha 437 Ya rab baraye moula Naqi taqwa-e Taqi . De jasbaye jihaad-e bashar shaan-e Askari . Mehdi ka bhi zahoor dikha de isi sadi . Tere huzoor meri dua hai ye akhri Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

*****

Bibi Zehra ye Dua Hai Ya Fatema, Umme abiha, bint-e-Payambar, Khairun-nisa Ya Zehra, ya Zehra Tu hai Siddiqa, tu Tahera aur tuhi shafi-e-roz-e-jaza, Aye meri bibi, waqt-e-madad hai Har maatami ke dil ki sada hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) Aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya, maanga hai teri chaadar ka saaya, Ya Zehra (x2) Waqt-e-musibat mein har hussaini, bus naam tera honton peh laaya Aye meri bibi, tangh dasth hoon mein, ye kehke daaman phailaadiya hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

438 Nauha Salaam Marsia Nauha Woh bibi jiski hai goudh khaali, chaukhath pah teri hai woh sawaali, Ya Zehra (x2) Mujhko bhi dedey Asghar ka sadqa, maine tere dar sey lou lagaali Aye meri bibi, jin godhiyoun mein, aulaad hai woh teri ataah hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Joh maaein behnein bay aasra ho, farsh-e-aza par mehway bukaa ho, Ya Zehra (x2) Tu unke pardoun ki laaj rakhiyo, joh teri Zainab ki zaakira ho Aye meri bibi, zindah rahe woh, bhaayi joh behnoun ka aasra hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Joh tifl rokar padhtay hain nauha, har aathwi ko bantay hai saqqa, Ya Zehra (x2) Har roshni ki hai yeh zamaanat, mei har charaagh-ebazm-e-aza Aye meri bibi, bujhne na paaye, Aun-o-Mohammed ka waasta hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 439 Joh apne beton ka bhool kar gham, karti ho tere, Akbar ka maatam, Ya Zehra (x2) Un maaoun ko tu, dey sabr bibi, woh phir na dekhe aulaad ka gham, Aye meri bibi, us maa ko koi, gham na ho jisko yeh gham mila hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Hai yaad ab tak purdard manzar, pyaase ki gardan, zaalim ka khanjar, Ya Zehra (x2) Hum tere pyaase bete ka sadqa, yoon maangthay hain farshe azaa par Aye meri bibi, aabaad rakhna, woh ghar ke jis mein farsh-e-aza hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

Shabbir ki woh mazloom dukhtar, zindaan se joh, na jaa saki ghar, Ya Zehra (x2) Sadqe mein uske, hum par karam kar, bejurm-eqaidi kehte hai rokar Aye meri bibi, ab yeh aseeri, ho khatm Abid ka waasta hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

440 Nauha Salaam Marsia Nauha Irfan-o-Mazhar yeh chahatey hain, miljaaye humko bas yeh sa-aadat, Ya Zehra (x2) Joh aakhri hai hujjath Khuda ki, hojaaye humko uski ziyaarat Aye meri bibi, yeh baat woh hai, joh har Hussaini ki iltejah hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein Bibi Zehra ye dua hai

*****

Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser Ab aglay baras hind may aap aayengay Aaqa Jeetay rahey khaadim tho tumhey paaengayAaqa Kuch sharth ghulaami ki bajaa laaengay Aaqa Aye shiyoun ke mehmaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Kya taaziya khaanou may barasthi hai udaasi Main tumpey fida aaj woh raunaq nahin kalki Aawaaz yeh hai har dar-o-diwaar sey aathi Aye deen ke sultaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Salaam Marsia Nauha Nauha 441 Aye jaan-o-dil-e-Ahmad-e-Mukhtaar sidhaaro Aye beykason ke qaafila salaar sidhaaro Khaaliq ki amaan aye Shahey Abrar sidhaaro Allah nigehbaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Aey Qasim waaye Akbar-e-jarraar sidhaaro Aey Hazrat Abbas-e-Alamdaar sidhaaro Aey ghunchadahan bano ke dildaar sidhaaro Aey Asghar-e-nadaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Ab kaahey ko tashreef yahaan layegi Zehra Ab kaahey ko yaan bazm-e-aza hoyegi barpaa Ab kaahey ko yaan hoga azadaroun ka aana Ghar hogaya sunsaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Ronay hi na paaye tujhey aye kushta-e-aada Kya jald huva khatm teray gham ka zamaana Dasveen hai Moharram ki bas ab ho chuka ashra Baqir teray qurbaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

*****

442 Nauha Salaam Marsia Nauha Aey noor-e-ain Fatema Zehra na jaayieh Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh Maula tumhaarey aaney se raunaq gharoun mai thi Din raat gham tumhaara kiya karte thay sabhi Muddath yeh doh mahinoun ki maatam mai kat gayi Raunaq ki jaa hai aaj udaasi baras rahi Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula tumhaarey taaziya khaaney udaas hain Jitney tumhaarey shia hain sab beyhawaas hain Dhaaras yeh thi ke aap ghulaamoun ke paas hain Ab aap jaa rahey hain toh hum sab hiraas hain Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula aza ki bazm mai aati thi Fatema Zehmath yeh doh mahiney utthaathi thi Fatema Aansoo hamaarey saath bahaathi thi Fatema Humko duaein deikay hi jaati thi Fatema Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula ab aap aglay baras hind aayengay Jeethay hain ronay waaley toh phir tumko paayengay Maatam karengay aur Alam bhi utthayengay Waada karo ke aayengay aur sabko laayengay Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 443 Alvida aye Hussain aye Hussain alvida

Alvida aye Hussain aye Hussain alvida Aye rasoole Mukarram ke chaen alvida

Zeenate doh jahan hae tere naqshe pa Tere sajde kiye maghrabain alvida

Majlisen teri har ghar mein ho jalwa gar Tujhko rothi hae duniya Hussain alvida

Chaandni raat par murdhani chaagayi Kho gaya chaand taaron ka chaen alvida

Sar khule Fatema aa rahi hae nazar Ro rahe hain shahe mashraqain alvida

Aaj shaame ghareeban ke hain tazkere Ab bhi roenge hum poori rayn alvida

Hum jiyenge toh agley baras royenge Phir se hoga yehi shoro shain alvida

*****

Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam Tujhko vidaa karney ko aaye hain yeh ghulaam

Kaisi udaasiyaan hain yeh ghurbath ka waqt hai Hum par yeh aaj kaisee museebath ka waqt hai Bazm-e-Aza sey aapki rukhsath ka waqt hai

444 Nauha Salaam Marsia Nauha Raunaq hamaarey ghar ki na ley jaayieh Imam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Hum shakl-e-Mustafa Ali Akbar ki woh azaan Taddpaathi hai hamein Ali Asghar ki hichkiyaan Ab chhaa rahi hain haaye yeh kaisi khamoushiyaan Ayyam yeh Aza kay huvey jaatey hain tamaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Ummul baneen ka laal Alamdaar-e-Karbala Seenay mein jiskay ghutt gaya armaan jihaad ka Shaaney bhi uskay katt gaye mashkeezaa chidd gaya Maatam kareingay royengay hum zindagi tamaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Ab bhi lahoo rulaathi hai Akbar ki tashnagi Abbas aur Sakina ki Asghar ki tashnagi Tuney bhujaayi pyaas mein khanjar ki tashnagi Aankhon mein leykay aayein hain hum aansuoun kay jaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Khaimoun ki aag aur woh har simth shor-o-shayn Woh al-atash ki goonj woh kamsin labboun kay bayn Durrey tamaachey aur woh har labb pa ya Hussain Aankhoun mein ab bhi baaqi hai woh Karbala ki shaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Akbar salaam aye Ali Asghar tujhey salaam Farwaa kay chaand Qasim-e-muztar tujhey salaam Abbas aye Hussain kay lashkar tujhey salaam

Salaam Marsia Nauha Nauha 445 Aye beykas-o-ghareeb meray tashnaa labb Imam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Bas teiray gham kay sadqey mein izzath hamein milee Maula tera karam hai teri bandhaa parwari Tujhko hamaari fikr thi rukhsath kay waqt bhi Hum beykasoun takh aagaya Maula tera salaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Maula yeh hai Rasheed Shaheedi ki ilteijaa Pahoonchaadey hum ghulaamoun ko ab jald Karbala Maatam kareingay phir teray Rauzey pa hum tera Hum sey na ho saki teri qidmath Shahey anaam Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

*****

Ghurbath mein utt rahaa hai janaaza Ghareeb ka Arz-o-samaa mein shour hai barpaa Ghareeb ka

Kehtay hain sar ko peet kay sab bekas-o-Ghareeb Sar sey hamaarey utt gaya sayaa Ghareeb ka

Angoor-e-zehardaar uthartey hi halq sey Hai hai huvaa hai qalb doh paara Ghareeb ka

Koyi na tha karey jo kifaalath Imam ki Laasha Taqi ney aakay utthaaya Ghareeb ka

Kyun phatt kay aasmaan na is gham mein gir padey Maatam hai aaj Khuld mein barpaa Ghareeb ka

446 Nauha Salaam Marsia Nauha Samsaam ki yeh arz hai ro-ro kay momino Do Dukhtar-e-Rasool ko pursaa Ghareeb ka

*****

Kar gaye duniya sey qazaa haaye haaye Beykas-o-mazloom Raza haaye haaye

Baad-e-pidar chaen na ek din milaa Moreed-e-andoh balaa haaye haaye

Shah ko mamoon ney angoor mein Zehr-e-halaahal hai diyaa haaye haaye

Misl-e-Hassan hogaya tukkday jigar Khaathey hi woh zehr-e-daghaa haaye haaye

Juz alam-o-ranj na tha Sheh kay paas Koyi dum-e-nazaa na tha haaye haaye

*****

Saameray mein ghul hai bapaa haaye haaye Askari ney ki hai qazaa haaye haaye

Saaya-e-paak-e-Shahey Haadi hasher Mominoun kay sar sey utthaa haaye haaye

Kehtay hain sar peett kay Saahebuz-Zamaan Waah Abataah waah Abataah haaye haaye

Salaam Marsia Nauha Nauha 447 Zehr-e-daghaa sey kiya zaalim ney qatl Aap ko bey jurm-o-khataa haaye haaye

Ahley Haram rothay hain sar peett kar Waaris-e-Mehboob-e-Khuda haaye haaye

Kuch na kiya paas-e-Imam-e-Zamaan Baith-ush-Sharaf loot liya haaye haaye

Khuld mein rothay hain Nabi-o-Ali Peett- thi hain Khairunnisa haaye haaye

Pothay kay maatam mein Hussain-o-Hassan Khuld mein hain surf-e-bukaa haaye haaye

*****

Maula uttho kay Masjid-e-Kufa udaas hai Kaisa yeh din hai aaj kay duniya udaas hai

Hasnain beyqaraar hai Zainab hai muztarib Roohey janab-e-Fatema Zehra udaas hai

Mohtaaj-o-beynavaa-o-yateemon kay daadras Dekho kay har yateem ka chehra udaas hai

Mushkil kusha Ameer-e-Arab peishwaa-e-deen Tum kya udaas ho kay zamana udaas hai

Lillah Karbala ka tasavoor na kijiyeh Dariya-e-Alqama ka nazaara udaas hai

448 Nauha Salaam Marsia Nauha Aayi hai saher khoon ki surkhi liye huvey Khaak udd rahi hai Khaana-e-Kaaba udaas hai

Jibreel ki fughaan hai Ali qatl hogaye Larzaan zameen hai arsh-e-Moalla udaas hai

Beykal hai kainaath hawaein hai muntashir Larzaan zameen hai jungle-o-sehra udaas hai

Har simth chha gayi hain Qamar yeh udaasiyaan Toota hai Baab-e-ilm Madina udaas hai

*****

Matam hai fazaon mein Shahey Kaun-o-Makaan Ka

Is gham sey fiza Kufay ki tharraayi huwi hai Ab arsh pa ashkon ki ghataa chhaayi huwi hai Aur taaron kay aankhon mein nami aayi huwi hai Har zarre ki ashkon sey shanasaayi huwi hai

Woh Gham hai kay Islam ka larzaan hai sawairaa Sakta hai har ek gaam pa sannaaton ka deiraa Khaamosh fizaaon mein hai har samth andheiraa Khoon rothaa hai unnisween Ramzaan ka sawairaa

Farqe ShaheyWaala huwa shaq zarbey sitam sey Maula jo tadapney lagey Sar haathon sey thaamey Hasnain ney roomaal kasaa sar pa Ali kay Chehrey ko bhigothay hi bahey khoon kay dhaarey

Salaam Marsia Nauha Nauha 449 Rothay huwey Abbas Ki Maa ney kaha Aaqa Sadqey karun Abbas ko Tujh par sey Main Maula Haider ney kaha yeh toh hai Shabbir ka fidiyaa Aur hoga muhaafiz yehi Zainab ki ridaa ka

Kehney lagay Zainab sey Ali phir yeh tadap kar Karta hoon Tujhey sabr ki talqeen Meri Dukhtar Baazu mein rasan hoyegi chhin jaayegi chaadar Hamraah na hoga koyi juz Abid-e-Muztar

Katt jaayengay Abbas e Alamdaar kay shaaney Lut jaayega ghar asr ko jal jaayeingay khaimey Phailengey joonhi shaam e ghareeban kay andheiray Beti Meri pehraa Tujhey deyna hai akeiley

Zainab Tere aansu nahin Haider ko gawaarah Karbal mein nahin dega Tujhe koyi dilaasa Math ro Meri Beti kay abhi zindaa hai Baba Phir ro diye khud shaanon ko aankhon sey lagaya

Jab sab ko Ali ney kiya Shabbar kay hawaaley Bey chain huwey suntey hi Abbas kay naaley Seeney sey laga kar kaha aankhon kay ujaaley Abbas Tujhe karta hoon Sarwar kay hawaaley

Aansoon nikal aaye junhi lab choomey Hasan kay Girya kiya Sarwar kay galay kay liye bosey Phir aakhri angdaayi li aur bachchon sey boley Karta hoon tumhein Khaliq e Akbar kay hawaaley

*****

450 Nauha Salaam Marsia Nauha Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain

Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain Baap ko apne Zehra ke dilbar ro rahe hain

Behrobar mein hae ghul aaj barpa waa Ali ka Aaj Jibreel arshe bareen par ro rahe hain

Aaj shehzadiyaan hain pareshaan shahe zeeshan Uthke taskeen doh behre daawar ro rahe hain

Aye yateemoun ke baywoun ke waali shahe aali Ab na waaris raha koi sar par ro rahe hain

Hae janaaze pah ek shor barpah bekasoun ka Baap se lipte Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain

Qaak udatey hain sar par nawaase Mustafa ke Ghar se jaata hae taabotey Hyder ro rahe hain

Aye Himayat azadaare Hyder peeth kar sar Aaj is tere nauhe ko sunkar ro rahe hain

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 451 Ghurbat ki intehaa hai, Na saaya na ridaaa hai, Zahra teri lehad par. Chand pattharon ney milkar, Mehrooma likh diya hai (x2) Zahra teri lehad par Ghurbat ki intehaa hai, Na saaya na ridaa hai, Zahra teri lehad par

Teeron bhari qabaa thi, Aur khoon bhari ridaa thi (x2) Jo Shaam sey bachaa tha, Zainab ney rakh diya hai Zahra teri lehad par

Do paher dhal rahey hain, khaiyyaam jall rahey hain (x2) Tasveer Karbala ki koyi banaa raha hai Zahra teri lehad par

Zindaan ki ghuttan sey, Har laash-e-bey kafan say (x2) Abid ney jo sambhalaa, woh aansoo gir padaa hai Zahra teri lehad par

Kya yeh daleel kam hai, Iski kamar main kham hai (x2) Kaee baar aasmaan ney, sajda adaa kiya hai Zahra teri lehad par

452 Nauha Salaam Marsia Nauha Sunkar hawaa bhi royee, Khud Karbala bhi royee (x2) Khaak-e-Rahey Najaf ney jo marsiyaa pardhaa hai Zahra teri lehad par

Teray gham ki chand sathrain, Kaam aayegi lahadh mein (x2) Bakhshish Aqeel ki hai, yeh nauha jo likhaa hai Zahra teri lehad par

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 453 Chaen duniya mai miley raahath-e-uqbaa miljaaye Shiddath-e-ishq miley gham ka saliqaa miljaaye Kaasa-e-dil liye haazir hain dar-e-daulath par Fatema aapki aulaad ka sadqaa miljaaye

Allama Akhtar Zaidi Sahab Qibla

Wajood-e-Haq sey yeh saara nizaam Qayam hai Kisi kay faiz sey yeh intezaam Qayam hai Woh aur hongay yateemaney mazhabo millath Hamaarey sar pey hamaara Imam Qayam hai

Sumsaam Ali Gauhar