1. Tah E Dil Se Likhta Hun Yaro, Arz E Musannif Yeh Kaafi Hai, Alfaaz Ke Gehne Hote Hain La Shaoor, Gar Jazba E Dil Na Ho Arz E Sukhan Mein
1. Tah e dil se likhta hun yaro, Arz e musannif yeh kaafi hai, Alfaaz ke gehne hote hain la shaoor, Gar jazba e dil na ho arz e sukhan mein 2. Duago hun yaro baqi ke lamhe yunhi kat te jaayen, Do saans tumhare do mere, kashtiye zeest paar lagayen. 3. Kya dhadakte dil ko zindadili kehte hain? Kya zinda hone ko zindagi kehte hain? Maana, ke saans ka hona zaruri hai , Hum to yaro har pal zindagi ji lete hain. 4 Maujon ne saahil se kaha aamad o raft ke dauran, Hum to aati jaati hain sahara ban ke dikha zara. 5. Zuban ho shirin dil mein dua, Jabin e niyaz hai khuda ki rah. 6. Gar taskin mile tujhe ai raat, teri baahon mein so jaun , Tasavvur tera dil mein rahe, tere rukhsat hone ke baad. 7. Kabhi ro diye kabhi ansoo piye, Tujhe ai zindagi hum muskura kar jiye 8. Us din ka soch ‘ashok’ jab yeh jahan na hoga tere paas, Kis jahan mein hoga tu aur kya hoga tere saath. 10. Lamhe jee raha hun, taqaazaa waqt ka hai, Kaun jaane kitni baqi hai lamhon ki zindagi. 11. Kis naam se pukarun tujhe ai maalik, Har shakhs se nikle hai aah kuch alag. 12. Main jis ko chahun khuda bana lun, Yeh huq hai tumko mujhko bhi? Yaqin ho jis pe khuda wahi hai, Main kyon na yaqin ko khuda bana lun? 13. Jis shauhrat ki hai talab tujhe, woh shauhrat udti chidiya hai, Jis daal pe ja kar panchhi baithe, halki hai woh daal 'ashok'? 14.
[Show full text]