1. Ik naya jahan bana dun, Zameen aasmaan ko ek kar dun In phasilon ko mita dun, Jahan insaan ko insaan samjhe hai insaan’ Jahan nafrat na ho mohabbat ho, Mazhab na ho insaniyat ho, Rukavaten na hon ravani ho, Aana jaan ho milna julna ho, Zindagi ho jaise behta pani ho, Dar or shak ek kahani ho, Hindu , Muslim, Sikh, Isai sab phani hon, Aman O chain ki rani ho.

Ik naya jahan bana dun, Gar hum sab ek saath hon, Milkar hum sab kya na karen, Ek dusre ka sahara bane, Sahara ban kar madad karen, Dushmani ko khatam karen, Kyun na ye jahan bane, Agar hum sab isko thaan len.

Tarraqi ka matlab kuchh aur ho, Daulat ka maksad kuchh aur, Shaan o shaukat kuchh aur ho, Khudha di ibadat kuchh aur,

Sar jhukaye insaan sirf khuda ke hi aage, Ek dusre se sirf gale milen.

Banaya wahi tha is jahan ko, Gumrah kiya kisne jahan ko, Woh insaan kahan jo khuda ne banaya. Woh jahan hi kahan jo khuda ne banaya Kya cheez hai jo hum ko alag kare, Purkhon ki nasihat ko bhule hai insaan, Aish o ishrat ki duniya mein masruf hai insaan.

Kandhe se kandha milakar jo chalen, Bane ek jahan assman ke tale, Jisme hum sabke aapas ke bhedbhav na hon, Rishte naate to sirf bhai chare ke hon Gore kale to sirf do rang hi hon, Insaan ki pehchaan yeh ban na saken, Insaan se insaan ko baant na saken, Rangon ka matlab to ho hi kuchh aur, Hari bhari duniya neela aasman, Chaaron taraf ke rang hon hi kuchh aur.

Aur jahan hain kahan ye talash hai kyon, Zamin par hai insaan zamin par rahe, Zamin ka sahara jo bhule hai insaan, Woh apni hi pehchaan bhule hai insaan.

Jannat jo banau to ghar apne samao, Ghairon se nahin ho apnon se lagao, Aao milkar banayen is jahan ko kuchh aur.

2. Jis khushi ko baant na saken woh khushi hi kya, Jis gham ko chhupa na saken , woh gham hi kya, Jo dard dil ko chhu na saken , woh dard hi kya, Jis pyaar ko naam de na saken, woh pyar hi kya, Jis dil ko rula na saken, woh pyar hi kya, Jis aankh mein haya na ho, woh sharm hi kya, Honton pe muskan jo na la saken, Doosron ke kaam aa na saken, Auron ki khatir khudh ko mita na saken, Woh insaan hi kya.

3. ZINDAGI KUCHH AISI HI THI

Raat ke andheron me pale, Chandni raaton ke tale, Aaftaab ko dhundhte the hum, Khwabon mein jhulte the hum, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Raunaq jo dekhte the hum, Mahsus hota akelepan, Khushiyon mein jo shamil na ho sake, Bhatkate the lekar apna gham, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Sapnon ke sahare jeeye, Umeedon ke sitare bune, Falak ko dekhte the hum, Zameen per baithe hue, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Kismat ka haath thame hue, Lub pe khuda ka naam, Umeedon ke hausile buland huey, Nikle talaash e makam Zindagi kuchh aisi hi thi.

Jaldi me the nadan the hum, Javaani ka josh bhi tha, Zamaane se bekhabar the hum, Karte bhi to karte kya, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Nikle jo hum dagmagate kadam Ek roti ki talaash mein, Idhar gaye udhar gaye, Ise mile use mile, Paya kuchh to paya gham, Zindagi kucch aisi hi thi.

Kharid O farokht ki duniya se, Navaakif aur anjaan the hum, Mahroom in taur tarikon se, Seedhe-saadhe insaan the hum, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Charon taraf gaye khaak bhi chhani, Roti na naseeb hui na mila pani, Kismat ne jab saath diya, To hum me yah lee thanee, Waqt apna bhi aayega, Samajh lo yehi tum jaanee,

Zindagi kuchh aisi hi thi.

Ghurbat se takraye hum, Rasmo rivaj yahan ke seekhe, Dekhe yahan ke rang, Duniyadaari hum ne seekhee, Rah ke sab ke sang, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Kai kism ke sabak bhi seekhe, Aana jaana seekha, milna julna bhi, Baaten karni seekheen duniya daari ki, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Chamak damak jo dekhee hum ne Aur uski raunaq bhi Jeena isi ko samjha hum ne Aisi uski kashish thi, Kuchh dar sa laga, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Un baharo ko dekh kar, Ghabraye to kyun kar hum, Aati jaati si nazar aayeen Jaise badlte hue mausum Zindagi kuchh aisi hi thi.

Himmat na haari mehnat ki, Kismat ne kamyabi di, Bahut kuchh paya kuchh khoya bhi, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Zameer bacha kar rakha hum ne, Khub us ki hifazat ki, Usi ne bacha kar rakha hum ko, Mushkil jab bhi aan padi, Zindagi kuchh aisi hi thi.

Chalte chalte thak se gaye hum Rukne ki bhi soch hui, Meri mano chalte raho, Rukne ka to naam na lo, Pagal duniya, pagal hum, Rukne se hai nikle dum.

Harkat hi to sab kuchh hai na Dil se poochho dhardkan hai na Qayamat ka aaya jab din Huye khuda se mukhatib hum, Puchha hum se malik ne, Kaisi rahi zyada ya kam.

Hisaab kya dete maula ko, Itna kehna kafi tha, Maut jo ab payi hai humne Ek kism ka gehna tha. Tere qadmon mein hain aan pade, Panha mile to kehna kya, Zindagi kuchh aisi hi thi.

4. Radha, Meera, Jyoti, Geeta ( Ra me jo ge)

Tum aaye timtimate hue sitoron ki Tarah Hari bhari baharon ki tarah, Khushiyan chaar chand hui, Har raat chandani ki tarah.

Umeeden buland huin, Paharon ki chotiyon ki tarah Bulandiyan jo tumne hasil kin Umeedon se kahin zyada thin Umeedon ki chaar kaliyan , Khubsurat si phool banin.

Phoolon me mahek to hoti hi hai, Muravvat bhi payi hum ne Mahak to mahaz seerat hai hoti Muravvat khuda ki den, Aah bharate hain dua karte hain. Sab ki qismat me ho aisa chain Betiyan hon to aisi hon Ra me jo ge jaisee hon.

Nikle the duniya hasil karne Ghar ko sambhala hota, Ghairon ko jeetne se pehle, Apnon ko to apnaya hota Kaash ke woh din vapas aayen, Jo hum ne ganvaye hain, Kis ki talaash mein na jaane Khali haath jo paaye hain.

5. Kahan gaye woh log jinhen humne pala tha, Liya tha jin hon ne hum se pehla nivala tha, Bachpan hamari gaud me nikla tha, Bade hua dana huey, Apne pero par khade huey Neend zarur aati hogi Raat kuchh to satati hogi Yaad hamari bhi aati hogi, Kahan gaye woh jog jine hum ne pala tha.

Chaaro taraf ke hujum mein, Kyon itna mahrum hun main, Akela hun main akele tum, Ghute hai kuchh to ghute hai dum, Kahan gaye woh logh jinhen hum ne pala tha.

6. Waqt jab meharban ho Waqt ko thaam lijiye Karvaten jo badal gayin Meharbananiyan yaad kijiye.

7. Ek kahani ek dastan hu main, Guzre zamane ki tasveer hun mai Paani ke bulbule ki tarha Ek mukhtsar sa lamha hu main.

Ek haseen lamha hu main Lamhon ko batorta hu main Umr e daraz hai cheez kya Lamhe se lamhe ki duri hai yehi.

8. Khud dil me baso, phir auron ko do jagah’ Dil mein ho virangi auron ko kya doge panah. Dekhta hun jab bhi mai tujhko ai uqaab Udne ki khwahish mujh main hai jagati, Teri aazadi ka hai mujhko rashk Tere udne se shikayat nahin.

9. Dil to hai khamosh Zameer ko jaga bhi dun Aavaz sunega kaun.

10. Havaon se puchho kis taraf hain vo, Khilaf unke jo chalna hai mujhko, Havaon ke saath ud liye to kya, Patango se hatkar jeena hai mujhko.

11. 1937 – 1947 ( Lahore)

Teri mitee ki kasmen khata hu main Yadon ki tarp me ulajh jata hu main Tujhe a Lahore meri yaad aati hai kya Ek zamana ki baat jo karta hu main

12. Tassavur se taskin milta hai per milta hai kam Ek nazar tujhko dekh lu mere khuda Mit jayen sare gum.

13. Tere husn pe likhun To ghazal khudbakhud ban jaye, Kabah ki rah pe chalun To manzil rahnuma ban jaye.

14. Dard e dil jo pareshan hai karta To aansuon se chain bhi to hai milta Mohabbat mein len –den hota hi hai Ibadat se khuda bhi to milta hai.

15. Dil main jal rahi hai aag Khud rakh ban jaunga Kya baghicha or kya hai bagh Nasheman kaise bachaunga.

16. Chalta hun hisaab se ginte hua qadam Sanson ki aad liye hue jab tak hai mujh mein dum, Ruk jayenge qadam yaksan behisab se Sanse na rah jayengi na rehenge hum.

Uftada hai vaaiz use na sata Maikhane se bhi kharij hai woh

17. Dil ki suno to sach ki rah par chal sakoge tum, Dil mein hoti hai kahan zahn ki akal.

18. Khuda ki muaafil ke hudkar to hain Banaya jo hai usne humen, Fana se pahle ye to jaan lo, Uski rehmat ke kabil hain kya.

19. Khushiyan bhi aayin aisi jo chalti se banin, Gham na samajh saka ye aamd o raft ka kissa

20. Kaabe se aaye tujhe dhunte hue, Maikhane se nikle isi talaash mein Jiye bhi aaj tak to kya jiye, Tujh e zindagi na hasil kiya hue.

21. Wafa ki baat karte hain log, Samjha hai kaun kya cheez hai ye, Bewafa to woh jo khud ko dagha de, Auron se bewafai kya cheez hai yeh.

22. Udhri hui zindagi hai meri,

Kuchh bani kuchh anbuni si, Bikhri hui zulfon ki manind Simtee hui aandhiyon ki tarah.

23. Ghurbat se puchho daulat kya cheez hai Pyas hi bataye pani kya cheez hai Dil walon se puchho khuda kya cheez hai Aashiqi sikhaye ibadat kya cheez hai.

24. Heere ki qimat to jaane hai jauhari Here ko jaane hai kaun, Parakh le to mujh ko mere hamrahi, Meri kismat ko jaane hai kaun.

25. Saath chalne ka jo vada kiya tha maine, Fasilon ko jaane hai kaun, Zindagi saath nibhane ka tha jo qarar Sanson ki ghadiyon ko jaane hai kaun.

26. Chamakta sa paththar hoon main, Tarasha hai mujhko kisne, Kisne yon banaya, Buton ko yon sajaya Bejaan si ye moorat Jaan isme hai kisne daali.

Haath badhaye jisne Usi ka haath thaama Rah dikhai jisne Khuda usee ko mana maine. Jise dekha use mana nahin Ajeeb O gharib hai yeh dunia teri Tujhe mana tujhe jana nahin, Jaan lun gar tujhe mere khudaya Mere maanne ka hoga kya, Man na kafi hai mere liye Jaan na hai mujhko kya.

27. Khoon e jigar baha ke bhi na pi sake kuchh hum Kaandho pe apne bojh liye uthake apne gum Nikle the ik talaash main jane na hum kahaan Kucha e sanam ya khuda ke ghar jaane na hum kahaan Mili na jo teri gali na khuda ki raah Ho liye hum smandar ko talaash –e- mallah Kashtiya zindagi laga de jo bhi us paar Mere liye sanam wahi khuda bhi mere yaar.

28. In bachhon ko dekho besahara jo the Karte the guzara auron ke bharose Auron ki rehmat pe jeete the yeh In bachhon ka rona sunta hai kaun Masumiyat ke aansuon me aawaz hai kahaan Aankho mein jo thi surkhi to samajhe hai yeh dunia Kaliyon per rangon ki bauchhar hai aayee Ruthi hui qismat ke humrahi hain yeh Kya kasur hai inka ke ghurbat mein pale Alam-e-bazari ke shikar hain yeh

Bikhre hue phoolon ki manind aasmaan ke tale Mahlon mein rahane walon baahar nikal kar dekho Masumiyat ke kandhon pe tasis hai khari Yakin tum ye mano ayegi woh ghari Aansuon ki lahron mein bah jaoge tum

29. Rote dilon ke aansuon ko kisne hai dekha Khoon-e- jigar behte hue kisne hai dekha Khushiyon ki muskurahat to dekhte hain sab Mausiyon ke gham ko kisne hai dekha

30. Parakhane ki bath karte hain log To mein yun kahoon Parakh loonga tujhe ai mere dost Kandha milega jis din tere aansuon ka mujhe

31. Kaha tha maine tujhse karo na itna pyar Zindagi pe apni bharosa nahin hai yaar Aaj hoon main tere saath to kal khuda ke paas Thamoge haath kiska karoge kiski aas

Hadon se guzana jo mumkin nahin To phir in pe rona bhi munasib nahin, Aaye the jis liye mukammal hum kar chale Rote hue aaye the hum hanste hue chale

32. Ajeebo gharib hai ye dunia jisme insaan na inssan ko jaane Aise bhi log hain malik jo tujh ko bhi na pehchanen,

33. Na kabhi baant ta hai na bantega mazhab Phir kaisi ye duriyan kya inka sabab Insaan ka dushman insaan hi kyon Be murawaat si ye dunia yeh jahaan ki kyun Lab pe muskaan haat mein khanjar Dil mein nafrat zuban pe mohabbat.

34. Dil ki bat dil hi jaane Zubaan isko samajhe kya Gile shikwe pyar mohabbat Ginti ki yahaan baat hi kya

35. Khuda ki ibadat maine hai ki Malamat – e - zameer bhi musalsal mili

Gunah phir mujhse hue hai kyon Gunaah laziz, khuda aziz Samjhaye kaun iski tamiz

36. Hawaon ke saath chalta hoon main Ghataon se hut ke zara Dhool mitti aur rakh paon tale Toofanon se hat ke zara Bhige hain paon chalte hue Samandar se hat ke zara Mila hoon gulon se gulistaan mein Kaanto se hat ke zara Dair oh haram se guzra hoon main Maikhane se hat ke zara Natwanon ke saath bhi ho liye Nahafat se hat ke zara ghairon ke saath jo dekha tujhe Nazar se hat ke zara Jalta hoon aag mein chate hue Nasheman se hat ke zare .

37. Har cheez ki qimat hoti, is kharid O farokht ke aalam mein Rishte naate pyar mohabaat bikte hain bazaaron mein Dil milta dil dene se Taskin kaabe aur makhane se.

Jo milta hai so karne se qimat uski bharne se, Pooja parastish masjid mandir Khuda bhi bandish chahta hai, Bharose ki bat yakin mera mano Jaan pe khel dalo, hatheli pe rakho, Zindagi ka karz jo na utre tumse Kaza bhi na aaye, pukhta hai ye yaaron.

38. Roya to tha sirhane tale, Aansuon ko chhupa na saka Uljha hoon main gesuon mein teri Imaan ko bacha na saka.

39. Ya ilahi tu parakh raha hai kisko Khud ko ya mujhko Hum hain jo tujhe se Phir ye imtihan kaisa

40. Yun na dekho tum mujhko behak jaunga Nazaron se nazren na milao behak jaunga Dekh raha hun tujhko ya tassavur –e- hur Qayamat jo aaye to khuda se kya kahoonga.

41. Rone ki aawaz to aayee, bhi suni Auron ne kyon na suni, Roya tha mera dil khamosh thi sada

Apno ne kyon na suni, Ghair ghair hote hi hain apne bhi bane ghair Auron se kya gila apne apne na rahe Zubaan to thi meri, zubaan thi kuchh aur, Pukara jo dil ne mere samjha na koi aur, Dil walon ki hai yeh qismat ro ke be na pa sake, Do aansu baha ke apne raste apna chale.

42. Aaj ki duniya ko dekhe kar hairaan hu main, Bolun to bolun kya khamosh hun main, Is shor o ghul ke aalam mein sunta hun main to kya Nazron ki is hujoom mein dekhun main to kya Kehkahate is jahan main muskaan hai kahan Sharmili se woh aankhen woh nami hai kahan Dosti thi jo meri woh yarihai kahan Mithi si jo boli woh zuban hai kahan. Dil o Jaan se chahna woh mohabbat hai kahan Mar mitne ki woh fitrat woh insaan hai fana Keh gaye they ghalib zuban de kuchh aur Dilon ka kya bharosa na samajhen na karen ghaur Aisa to is jahan ko tumne that na banaya Kya hua jahan ko tere ye to bata khudaya.

43. Shaista insaan hai woh samajh jayega Ishare na usko do samajh jaayega Khayal apna karo nasihat khud ko do Rehnuma ban ne se pehle rahgir to bano.

44. Jannat hai wahan dil hai jahan Kyun khuda ko beech main laaye hai insaan Dozakh hai yahin, firdaus bhi yahin Kyun khuda pe bojh dale hain insaan.

45. Bahut se hain khuda ke pujari Beshumaar khidmat gaar Apne andar ke khuda se mil pao Is se badh kar na koi khuda Khuda hone ka ehsaas milega Nayab rasool ban ne ka mauqa bhi Zarurat mando ke kaam aa sako tum Is se badh kar na koi bhala.

Sach ki baat karte hain log Zubaan main vazan hai kahun Maikhane se nikle hain rind Nashe ko bhi dhoka diye

46. Duniya dari main jo hai yaqeen Aapsi bharosa kyon nahin But parasti ke is jahan mein Imaan bech khaye hain insaan.

47. Andhere mein raushani hai kahan Mere hise ka ujala aata kyun nahin So raha hoon main koi jagata kyon nahin Subah hone ko aaye koi bulata kyon nahin Raat ki neend ka thaka hara hoon Koi din ka ehsaas dilata kyon nahin

48. Thandi hain ye saansen inki garmi hai kahan Duriyan hain dilon main nazdikiyan hai kahan Rishtey mein woh naate woh mohabbat hai kahan Sajdon main sukun woh ibadat hai kahan.

49. Nazren utha ke dekhoon to kaise In se gir chukka hun main Sajde karoon to kaise Maikhane se aaya hun main.

50. Khamosh hain dil Bezubaan hain log Sannate mein hai mehfil Qayamat aa rahi hai kya

Shikayat jo karte ho tum meri Uske jalwe bhi dekhen hain tumne kabhi Murshid hain woh jo pahunchen hain wahan Hum to baithe hain usko dil main liye

51. Nasihat main doon to kya Khud ko na samajha saka, Maksade zindagi hai kya, Kaza se iska rista kya, Zindagi mujhko hai mili, Mallah uska hai kahan, Chalayega safina kaun, Dhundhun kise dekhun kahan.

52. Hanste hain jo rone per mere Afsurda dil hain woh jo ro na saken, Humdardi hai mujhko un badnasibon se, Anjaan hain jo rone ke sukun se.

53. Khuda ke qarib aa pahuncha hun main Dar badar ghumte hue, Dar na khule to hoga kya

Khuda tak aawaaz pahunchayegi kya Kuchh hosh mein the behosh bhi thi Khuda ki ibadat ka nasha bhi tha Jannat ki yun aaghosh mein the Allah ki panah ki talaash mein the, Pukara jo humne to awaaz yun aayee Talaash hai kiski tumhen ai rahi Insaan to bhula chuka hai mujh ko Tumhe phir yaad hai kaise aayee.

54. Tere aansuon ki qimat na chukka sakunga mein Rulakar yun tujh ko na bhula sakunga main, Ye gire hue moti jo ke hain anmol Jahan ke heere gehne na kar saken inka tol, Faida na hoga mujhko gar kar bhi do tum muaf, Main khud ko muaf to kar na sakunga.

55. In bachon se seekha sabaq humne yeh Zindagi hai ek gudiya ise na rulao Khushiyon ki phool maala ise pehnao Sapnon se apne ise tum sajaao. Chandni raaten hon din mein, Chaad suraj sitare, Jo aise milke rahen hum Zindagi ho vaare nyare. Hawaon ke rukh badal den hum milkar Tufanon ko khauf lage to humse, Sawan bhaadon ke din vapas phir aayen Khushiyan ho dilon mein khushiyon se laharayen.

56. Har raat suhani hoti nahin Andheron mein lipti bhi hoti hain Naqab utha karke dekho zara Roshani tumko nazar aati hai kya, Ruth jati ho tum kya hai iska sabab Mujhko yeh to bata bivi ho ya khuda.

57. Gehra kitna hai samandar ye zaruri hai kya Jano tum ye pehle kitna gehra hai dil

58. Pukaro kuchh yun ke dil na suney Khamosh hai dharkan machal na jaye, Aahista aahista bulao mujhe Dheeme qadmon ki aahat sunao mujhe, Tere sanson ki aawaz mere dil tak to pahunche Dharknon ko rukne ki naubat na aaye.

59. Taubah bhi kar lunga vaaiz naya musalman hun Qayamat aane se pehle maikhane ka chera dekh lun.

60. Kis tarah samjhaun tujhe bandagi me taseer hai kya, Sar jhuka ke chal “ashok” ibadat khud ba khud ho jaaeygi.

61. Len den ki baat karte hain log, Qayamat ka hai sab ko intezar Chand ghadiyan zindagi ki jo baaqi hain ‘ashok’ Jee le mukamal hisab bhi ho jayega.

62. Itna bhi mujhko na chaho sanam, Ke mohabbat khud sharmsar ho, Sodiyon ki aashiki par parda pade, Naam sirf tere aur mera zinda rahe.

63. Teri zulfon mein ulajh kar sulajh jaunga Andheri raaton se guzar kar sahar ban jaunga.

64. Teri aagosh mein baitha hun sar jhuka ke main Pyar mohabbat ke kisse aur charche bhi aaye, Shirin farhad ki misal bemani si hui, Tujh ko teri mehfil ko dekha jo maine.

65. Har sach kaha ja nahin sakta, Har jhooth par parda dal nahi sakta, Har bat mein hai kuchh to raaz, Har raaz bataya ja nahin sakta.

66. Gulistan mein rehta hun main, Phool or kaanton ka rishta samjhta hu main Zindagi mein hi shamil hai qaza Bahar o khizan ko samjhta hun main.

67. Hairat se dekhta hun zindagi ko apni, Guzri hai kaisi guzrin hai kitni Yaad aata hai bachpan budhape ki aad mein Javani ko dhunta hun jati bahaar me.

68. Maut ke baad aa raha hai koi, Mittee meri qabar se utha raha hai koi, Ya khuda do pal or dede, Meri qabar se rota hua ja raha hai koi.

69. Mujh par guzri hai kya tum jaano bhi to kaise Jaan dee jo tujhko dum nikle bhi to kaise Ruth jaane ka aandaz yeh kaisa, Na gila na shikva na dua na salam, Dil jalane ka andaz yeh kaisa,

Ghairon mein shamil hai mere naam, Be rukhi ka andaz yeh kaisa

70. Aansu jo bahaye hain maine girte dekha hai kisne, Aansu jo piyen hain maine behte dekha hai kisne.

71. Hanste bachchon ki khilkhilahat, unki muskaan ki chamak, Chehron pe jo unke hoti hai raunaq Mano phoolon ne li ho unse mehak, Behti nadiyon ke pani ki tarah, Hoti hai unke hansne ki aawaz Jhulti saba ki tarah Hai unke chalne ka andaz, Bache , bache rehte hain na kyon Hum jaise ban jate hain vah kyo Humara bachpana jata hai kahan Bhul jate hain apne andar ke bachche ko hum kyun.

72. Musafir hain sab to safar hai apna apna Rahnuma hai ek to rah apna apna Insaan hai yaksan to pehchaan hai apni apni Manzil hai sabki ek khuda hai apna apna

73. Baharon ke rangon ko dekhta hun main, Sukhe hue phoolon ko dekhta hun main Aandhiyon ke nazare hain mere samne Qaza ki rahat ko dhunta hun main.

74. Kiski aankhon se dekhun main tujhko Apni nazron pe bharosa jo nahin Husn jalva hai tera ya jalva – e khuda Apni qismat pe bharosa jo nahin.

75. Teri shakl ko tarasha hai kisne Us khuda vand se mila de tu mujhko, Auron se yeh kaisi na insafi Sare alam ka hai yeh, Yeh aarzoo hai meri tujhe yun he denkhun Jahan rukhsat karte hue teri justuju rahe.

76. Kafile pe kafile chale ek manzil ki talaash mein Asliyat ko chhode hue kahan chale kidhar chale Kaashi se mathura ko nikle Makka se madina ko Dhundhta hai tumko har jahan Thaka haara toota insaan, Sar jhuka kar jo dekha hota Ibadat bhi hoti mukammal Khuda hi khud jo insaan mein hai, Talaash hai kiski aur justaju kyon, Khuda ko samjhne ki jo koshish kare Khuda use mane zamaana Khud ko jo pehchan sake Khuda ko usne jana Charo taraf khuda hi khuda Kise dhundhta hun mein

Rafiq bhi mile raqib bhi Kise dhundta hun mein Kya cheese hai jo nahin mili Aankhen khuli per aankh bandh Kise dhundta hun mein Khud ko jo nahin jaan saka Kise dhundta hun mein.

77. Kehte hain unka to kehna hi kuchh aur Zuban mein unki andaz hi kuchh aur Dekhe so jo kehte hain woh ulfat hi kuchh aur Kehne pe utar aayen to mohabbat hi kuch aur.

78. Waqt bhi kya cheez hai yaaron Raat or din ka khel hai yaaron Zindagi apni sanvaro, Subah or shaam ka mel hai yaaron, Bujhte chirag ki manind, Lau to hai per hai kam Ghataon se bachta hua chal raha hun mein Madhim deeye ki tarha dheemi raushni hun mein

Waqt bhi kya cheez hai yaaron Insaan ko khuda se milaye yaaron Phir jannat ka yeh rehnuma yaaron Kyon hai yeh yon sataye yaaron Waqt bhi kya cheese hai yaaron Jaise ho badlata mausam yaaron Ik din chaand sitare dekhe Duje din nahin koi yaaron Yaari dosti badlti dekhi Rishte ghair libas mein yaaron Khub iski pehchaan hai ki Na samajh sake phir bhi yaaron Waqt bhi kya cheese hai yaaron

79. Mai ke nashe ki baat karte hain log Aankhon ka khumar hai kisne dekha Jam se piya to pyas kya bujhe, Nazron ka sukun to hai kuchh aur.

80. Aasmaan ke ansoo to dekho zara Hawaon mein barish to dekho zara Teri ankhon ka kaal dekh loonga abhi Kali ghataon ke tevar to dekhun zara.

81. Rishte to nazuk hote hi hain Pyar ho ya na ho Is dor main tanaav hote hi hain Kashish ho ya na ho Dilon main gham to hote hi hain Khushi ho ya na ho Zindagi mein lagaav to hote hi hain Chah ho ya na ho Gulshan main gul to hote hi hain Bahar ho ya na ho Samandar main maujen hoti hi hain

Toofan ho ya na ho Asmaan to neele hote hi hain Peele hon ya na ho Din or raat to hote hi hain Hum hon ya na hon Sach to sach hota hi hai Munsif ho ya na ho Insaan ka khuda to hota hi hai Nazar ho ya na ho Dilon mein bharosa hota hi hai Imaan ho ya na ho Nighaon mein haya to hoti hi hai Nami ho ya na ho Apne to apne hote hi hain Paraye hon ya na hon Zindagi khuda ki nemat hai Kismat ho ya na ho Har aghaaz mein inteha hota hi hai Aur kuchh jo ya na ho.

82. Neend aa rahi hai mujhko Koi sulata kyun nahin Shoro ghul ka hai aalam lori sunata kyun nahin Aaraam parast hun main par aaraam hai kahan Mere sapnon tak mujh ko paunchta kyun nahin

83. Tere dekhe se jo banti hai ghazal Woh sukhanwar hai kahan Teri aah se rukata hai jahan Woh qayamat hai kahan

84. Khuda jane kitni mushkilen jhelin hain maine Imtehan pe imtihan diye ja raha hoon main Kya hoga aanjam aur kya inteha Isi fikr mein jiye ja raha hun main Dil pe barabar yakeen hai mujhko Dagmagate hain qadam tere dar pe kyun Nazron se teri jo dekhta hun khud ko Kya raaz chupaye ja raha hun main.

Ghaliban jigar to mera hi tha Nazron ki kuchh bhul hui Zauq bhi aaye zafar bhi aaye Pahchaane main kuchh bhul hui, Likha ye sab maine hai Auron ka phir naam hai kyon, Takhallus na hone ka hai qusur Ghaliban raaz yahi hai huzoor.