501. Jaane Do Yaaro Mujhe Mat Roko, Udta Hai Uqaab Jeene Ke Liye, Nazar Aata Hai Rizq Falak Se Mujhe, Maut Aaye Zamin Per Gar Parvaaz Na Ho

501. Jaane Do Yaaro Mujhe Mat Roko, Udta Hai Uqaab Jeene Ke Liye, Nazar Aata Hai Rizq Falak Se Mujhe, Maut Aaye Zamin Per Gar Parvaaz Na Ho

501. Jaane do yaaro mujhe mat roko, Udta hai uqaab jeene ke liye, Nazar aata hai rizq falak se mujhe, Maut aaye zamin per gar parvaaz na ho. 502. Ai baad e saba tu hi bata, Milega kahan mujhko mera khuda. Gunagunaati hui hawa ne kaha, Na tera na mera pur jahan ka khuda, Jisey dhundta hai bande woh tere qarib, Muflis hai woh insan jisey khuda na mila. Dil jhaank kar tum dekho basa hai khuda, Nigahen utaro tum dil tak zara, Yun keh kar hawa phir chalti bani, Dhundta reh gaya main khuda ko saba. 503. Kis ke dil mein kya chhupa hai, Raaz kis ke dil mein kya, Bharosa dil per kya karun, Be imaan hai dil khudaya, Bhul sakey yeh tujhko bhi, Haafiza intekhaabi hai, Jis pe roye zaar zaar, Usi ka dil dukhaaye bhi, Bechara ban kar ruth jaaye, Ruth kar yeh sab ko sataaye, Kya shai banayi tu ne maula, Kya tera dil bhi ruth jaaye, Mujhse kyun khafaa hai tu, Qusur mera to bataa, Mujhko hi bhulaa kar maula, Is dil ne tujhko yaad kiya. 504. Aftab na dubey to kya karoge sitaro, Waqt aayega kaise jahan mein tumhara, Raat guzarne pe na aaye sahr hogi kaise, Dastur e jahan hai kashti dhunde hai kinara. 505. Bismil hun yaro zakhm taaza na karo, Taslim hai sazaa mujhko aib joi ab na karo, 506. Maujon ki ravani dekh kar peeta hun be hisaab, Seeney mein valvale uthen saahil ki hai talaash. 507. Nakhuda mujhe mila khuda na mila, Jo kashti meri lagaaye paar kya woh khuda na hua, 508. Baanwara hai dil mera kis per kab aa jaaye Na bhanwara jaane, na main janun, na jaane mera dil. 509. Shikayat nahin kuchh gham se mujhe, Bas yun hi keh diya, Thodi si khushi mil jaaye ya rab, Kaafi hai jeene ke liye. 510. Mustaqbil jaan kar kya karoge, Maazi bhi to mustaqbil tha , Woh mustaqbil kyun maazi bana, Us mustaqbil ka kya hua. 511. Andheri raat mein sitare na nazar aayen, Aur jal chuka ho dil to bahaaren kya nazar aayen. Kis kis se ja kar puchhun kiske dil mein kya , Har dil mein uthte hain valvale, kis ke dil ke nazar aayen. Bismil dil ke zakhm bhar bhi jaayen, Us dil se pooch, kya usey zakhm phir bhi nazar aayen. Imtehan diye hain musalsal ya rab, Jalwe tere phir bhi har dum nazar aayen. 512. Auron mein hain kya khaamiyan us se tumhen kya vasta, Khud ko tum bana lo achha kaafi hai dosto 513. Na poochhun main tujhse kyun khafa hai to khudaya, Kya gunah kiye hain maine kya gila hai tera mujhse, Puja hai main ne tujhko sajde kiye barabar, Kya khata thi meri maalik rah mili na tere ghar ki. Tu hi bata, ai parvar, kis rah pe ab chalun main, Us rah pe le chal mujhko jis rah pe tu ho har su. 514. Jab bhi hota hun tanha yaad aati hai teri , Us waqt hi to ya rab main saath apne hota hun. 515. Khil uthta hai dil ghunche ki tarah, Muskurate huay aati hai jab baad e saba, Saanson mein taazgi aankhon mein nur, Chalti hai dheere dheere jab baad e saba, Gulshan mein bahaar phoolon ki mahk, Khizan ke parde se bachaati hai baad e saba, Ai baad e saba gar tu na ho, Zindagi na ho kuchh bhi na ho, Tu aati rahe jhulati rahe, Kya kehne tere tu hai baad e saba. 516. Na samjha paya hun na samjhunga teri duniya ko ya rab, Kaafi hai ke yaqin hai tujh per, tere rahm per khudaya. 517. Kaise bantega dil ka dard, Milega kab hamdard mujhe, Had se jo guzar gaya, Vapas usey laayega kaun, Naazuk hai dil nazuk mizaaj Naazuk unka ghamza hai, Ruth jaaye gar haseena, Samjhaaye aur manaaye kaun, Jaane do yaro nakhre hain unke, Nakhre aate jaate hain, Aisa hota hai dard yaro, Aaj be haal kal ki khabar kisey . 518. Jab bhi main fikr e shauhrat karta hun, Apni hi hasti se yaro, na vaqif mahsus karta hun. 519. Mat poochho momin kyon hun, Kahin poochh na baithun tum kafir kyon ho, Yaqin hai mujhe khuda per, tumko khud per, Hurriyat gar tumko hai mujhko kyon na. 520. Jo na ho zikre uqba na fikre duniya, Kya karega vaiz, kyon saqi na kaafi hoga, Soch lo yaro sochna hai zaruri, Gar maikada ho kaafi to zahid kya karega. 521. Fikr liye hain main ne jahan bhar ki apne sar, Fursat di hai tujhko maula tu mere bare mein soch. 522. Hum to samjhe the guzar jaayenge aasan, Jigar na maana ke behta khoon na ho, Kitna zakhmi tha dil khabar thi na hamen, Woh dil hi kya jo bismil na ho. Maut ka aana lazim hai 'ashok', Mazaa kya aaye gar bahaana na ho. 523. Is deewangi se bacha le ya rab, Fikr ab apni na rahi auron ki kya karunga. Rakhega hisaab kya saanson ka 'ashok' Ikhtiar kisey hai kya, humdum, nabz e saa't per . Kaise samjhaun tumko tariqa e zindagi kya hai , Jaise samajh mein aaye jee lo , manzil to ek hi hai . Insan woh dikha de vaaiz jo gunahgar na ho, Aur main dikhaun uske dil ka paighambar tujhko. 524. Naqab zulmat ki pahn ai shab e hijr, Ro lun main raat bhar savera na ho kabhi, Mil gayi raahat na aayegi yad teri, Dard e dil na ho to dard e hijr kya. 525. Kyon ke hum ne masjid mein sajde na kiye, Momin hum kum nahin khuda to dil mein basta hai yaro. 526. Dekhta hun jab bhi ghurub e aftab, Nazar aaye hai labon ki laali tere husn ka aks. 527. Hote hain shauhar sabke achhe, Apna hi khavind namurad sa nikla, Aam taur se qismat hoti hai achhi, Kuchh taalon ki chaabi barabar na nikli. Lajawab hota hai husn hamesha, Zamana bhale jo khamiyan nikale, Baal hote hain kaale bhure ya safed, In nilon aur pilon ka matlab kya nikalen, Na shak karna kabhi iradon pe mere, Na shak ho hamen ke tumhen dil se nikalen, 528. Dar ba dar ghuma kiye talash e khushi mein hum safar, Kya maikhana, kya yaarana ai khushi tujhse kay dil lagana, Khwab hai tu saraab hai tu subu o sharaab hai tu, Nasha tera hai aarizi, ghamon ki paasban hai tu. 529. Woh sawaal na karna kabhi jis ka jawab na sun sako, Us rah per na chalna kabhi jis per jalti shama na ho. 530. Jashn manao mohabbat mein sanam, Dil de chuke tumko so tumhare huay, Jashn manao raat zinda hai hanoz, Chale ao, aaz sare nau, muddat hui dekhe huay, Jashn manao jaag uthi hai umeed, Rote dilon ke ashk bhi khusk huay, Jashn manao bahaar aa rahi hai gulshan mein, Khizan ke yar dost ab wahan se rukhsat huay, Jashn manao unke aane ki khushi mein, Murjhate gul phir jawaan huay, Jashn manao baad e saba ke jhonkon ne Neend udaayi aur hum aagah huay. 531. Jitna gehra ho khayal utne hi aasan alfaz mein kaho, Sun ne wala samjhega, tumhari azmat kam na hogi. 532. Inayat hui itni mujh per khuda ki, Tum kya naved sunaoge mujhko vaiz, Maikhane se hai aashnayi gehri, Tum kis rah pe ab chalaoge vaiz, Gunahgaron ko pahunchta hai haq muafi ka Khatayen muaf, kin gunahon ka zikr karte ho vaiz, Peena gunah nahin kya khabar na thi tujhe, Hosh mandon ko rah pe lao, yaqin mujhe bhi ho vaiz, Kitna sach, kitna jhuth, hai teri baaton mein, Poochhunga main khuda se, apni tanhai se vaiz, 533. Tham sa gaya tha woh lamha, Jumbish tujhe tab kya hua? Jo aaj hun main woh kal na tha, Us kal ko phir aaj kya hua? Roye hain hum hazaar baar, Bahe they ansoo zaar zaar, Na woh hum rahe na rona raha, Un ashkon ka bhala phir kya hua? Khabar kisey hai kya 'ashok' Maazi o mustaqbil hai kya, Jo aaj hai tu so hai tera , Kaun jaane kal hoga kya. 534. Woh jalwa dikha de mujhko jis mein tu na ho, Kya shai hai jahan mein maula jis mein tu na ho, Saansen na aayen mujhko na kisi aur ko kabhi, Hawaayen na chal saken gar un mein tu na ho, Chaurahe pe musafir, safar tai na kar sake, Kaise miley manzil use gar hamsafar tu na ho, So rahe raahi rahzan hain aas pas, Kaun jagayega unhen jo pasban tu na ho, Dubti hui kashti maujon ki talatum mein, Sahil na pahunch paaye gar himayat teri na ho. 535. Thodi si der hui mujhe aane ki , Jaldi itni unhen, sunwayi na hui bahane ki, Tasvir dil mein liye ghumte hain, Zarurat na padi kahin aane jaane ki, Tadbir achhi thi socha na tha, Minnat na karni padi ab bahane ki, Dhund lunga phir tere ghar ka raasta, Zehmat na dunga yara tujhe aane ki, Aa jaati hai mujhko neend rote rote, Lorion ko zarurat na padi sulaane ki, Mushkilen aati rahin zindagi mein musalsal, Rehmat teri khudaya, mujhko zarurat na padi suljhane ki. 536. Dil ki suno, kabhi na bhi suno, Khabar rahe use ikhtiyar kis ka hai. 537. Jis rah pe chal raha hun kuch halki hai zamin, Kahin dafn na ho jaaun is rah pe chalte chalte, Yad rahe hamesha buniyad ho so pakki, Khandar bane imarat yeh na ho chalte chalte Napaidar hon iraade, haasil na hoga kuchh bhi, Dar dar ke chaloge, chaloge rukte rukte, Thak jaoge chalte chalte, faisalon ke darmiyan, Aar, na paar, na majhdar chalte chalte, Yad rahe bando, jaanaa hai chalte chalte, Qadam na dagmagayen, manzil ko chalte chalte, Keh gaye masiha baat apni karte karte, Tere liye jaan di hai bande, saans nikle halke halke, 538.

View Full Text

Details

  • File Type
    pdf
  • Upload Time
    -
  • Content Languages
    English
  • Upload User
    Anonymous/Not logged-in
  • File Pages
    33 Page
  • File Size
    -

Download

Channel Download Status
Express Download Enable

Copyright

We respect the copyrights and intellectual property rights of all users. All uploaded documents are either original works of the uploader or authorized works of the rightful owners.

  • Not to be reproduced or distributed without explicit permission.
  • Not used for commercial purposes outside of approved use cases.
  • Not used to infringe on the rights of the original creators.
  • If you believe any content infringes your copyright, please contact us immediately.

Support

For help with questions, suggestions, or problems, please contact us