1. HINDI VERSION of LEAVE EVERYTHING to ME
Total Page:16
File Type:pdf, Size:1020Kb
1. HINDI VERSION of LEAVE EVERYTHING TO ME
SABKI JAANI PEHCHAANI
Dolly , chorus, and others
Opens with chorus
Then dialog bit:
MAN: Mrs Dolly Levi, waise aaap kaam kya karti hain? Dolly: Koi kapde siltaa hai, koi chitra banaata hai, main auron ke maamlon mein..dakhal deti hoon.
Dolly sings:
Sabki jaani, pehchaani, sabki pyaari hoon Naam hai Dolly, boojho to kya hai kaam Harfanmaula, sab kuch jaanne waali naari hoon Kar sakti hoon har cheez ka intezaam
Beti ki shaadi karni ho Bankon ki kishten bharni hon Sab kar degi Dolly Tankhwah badhaana ho Vajan ghataana ho, Sab kar degi Dolly
Kutte ko ghumaana ho Doctor ko dikhaana ho Khaana pakaana ho kabhi Ball banwaane hon Phool bhijwaane hon Fikr karo nahin, ye socho ki Sab kar degi ye Dolly
Dialogs portion:
WOMAN: Mrs Levi. Kaam ke silsile mein kahin ja rahin hai ya aise hi ghoomne – phirne? Dolly: Dolly ki zindagi mein kaam-dhandhe ke alaawa aur kuch nahin. Tarah-tarah ke kaam. WOMAN: Tumhare to itne dhandhe hain jitne ek kutte ke badan par pissu. Dolly: Jaisa ki mere swargeey pati Ephraim Levi farmaya karte the- “Zindagi mein gurbat mili ho to samajh sakten hain; lekin khayaalon mein gurbat kyon?”
Ticket clerk: Kahan ko, Dolly? Dolly: Yonkers, New York. Wahan ke jaane-maane avivahit adh-lakhpati Horace Vandergelder ka ek bahut hi niji mamla sambhalne ja rahi hoon. Ticket clerk: Kyon, unse shaadi ka iraada hai? Dolly: Arre, Mr Sullivan, aisa bemaani khayaal mere dimag mein..mera matlab, aapke dimaag mein aaya kaise?
Song continues:
Sister ne dhokha khaaya ho Mister ka kahin dil aaya ho Gam na karna oh ji Bacche ki admission ho Divorce ki petition ho Ya doob ke marna ho ji
Maali ko bulaana ho Khaad dalwaana ho Plumbing karwani ho sahi Deewaron ki putaee ho Kaleenon ki safaai ho Furniture hilwaana ho, gam kahe ka Parde silwaana ho, dar kahe ka Sab kar degi ye Dolly
------
2. HINDI VERSION of IT TAKES A WOMAN
GHAR MEIN JO NA HO
Vandergelder:
Ghar mein jo na ho, ik sundar naari To ghar lagta hai, bhaari bhaari Ghar banta hai, jab milti hai koi Nazuk-si, bholi-si, pyaari-pyaari
Ji haan, bin patni ke Bin biwi ke Ghar na hamein ye suhaaye (C, B join in) O ji haan, bin gorri ke Bin sajni ke Ghar na ye ghar kahlaaye
Vandergelder:
Khaana banaaye aur paani bhare Kapde jo dhoye aur bartan kare Paudhon ko paani de, murgi ko daana Ghodon ko chaara aur husband ko khaana
Chorus:
Ji haan, bin patni ke Bin biwi ke Ghar na hamein ye suhaaye O ji haan, bin gorri ke Bin sajni ke Ghar na ye ghar kahlaaye
Vandergelder:
Chat tapke ya nalka bahe Wo jo na ho to koi kis se kahe Kooda nikaale, de pashuon ko paani Sone se pehle rakhe choohedaani
Chorus:
Ji haan, bin patni ke Bin biwi ke Ghar na hamein ye suhaaye O ji haan, bin gorri ke Bin sajni ke Ghar na ye ghar kahlaaye
Vandergelder :
Barfeele din hon ya jaade ki raat Paas mein wo ho to dar ki kya baat Bistar banaye aur aag jalaaye Daaru-dawaa de aur sar bhi dabaaye
Chorus:
Ji haan, bin patni ke Bin biwi ke Ghar na hamein ye suhaaye O ji haan, bin gorri ke Bin sajni ke Ghar na ye ghar kahlaaye
3. IT TAKE A WOMAN reprise
Dolly:
Aurat ke hathon meni hai uski dor Le jaaye usko wo chaahe jis or Aurat hai uske hathon ki lakir Aurat ke bas mein hai uski taqdeer Ji haan bin patni ke Bin biwi ke Shouhar ko jeena na aaye. ------
4. HINDI VERSION of PUT ON YOUR SUNDAY CLOTHES
DOOR WAHAN
Cornelius: Door wahan Yonkers ke aage hai ik jahan Is mariyal gaon se door, Barnaby Masti se choor, Barnaby Ek shahar Jahan raunak hai aathon pahar Chalkar apni kismat chuno, Barnaby Suno, Barnaby
Ankhen khol ke bahar kuch dekha hai kya Duniya rangili hai us par Masti ki shaamon mein doobenge wah Madak hawaein Sundar kanyaein Karti wahan intezaar
Saj-dhaj ke niklo, sair pe jayenge Ghodon ki baggi mein sawar Dekhenge movie Ghoomenge yoonhi Aur ghar na lautenge hum Jab tak na lein ik kanya ka chumban
Dolly: Saj-dhaj ke niklo, jab dil ho hataash Sadkon pe ithla ke chalo Masti se jhoomo jab dil ho niraash Susti ho bhang Ji mein umang Bharkar zara has lo
Khushian jab aayen tum logon ke dwar Muska ke kehna hullo Jeevan hai dhun Andar se sun Geeton ke sang jiye ja Aur chinta chod unhe masti se gaa
All Saj-dhaj ke niklo, jab dil ho hataash Sadkon pe ithla ke chalo Masti se jhoomo jab dil ho niraash Susti ho bhang Ji mein umang Bharkar zara has lo
Saj-dhaj ke niklo, sair pe jayenge Ghodon ki baggi mein sawar Dekhenge movie Ghoomenge yoonhi Aur ghar na lautenge yaar Jab tak na ho hum ko kisi se pyaar ------
5. HINDI VERSION of I’LL BE WEARING RIBBONS DOWN MY BACK
TANHAAYEE
Jaane kab tak hogi ye tanhaaee Kab poori hogi apne dil ki aas Kab jaakar hogi apni sunwaee Kab bujh paye-gi in hoton ki pyaas.
Mere saath hai sirf meri tanhaaee Jo sang rahe subha ho ya shaam Jaane ye kambhakt kahan se aayee Kab hogi is dushman ki umar tamaam
Sapnon mein rahti uski parchaanee Bahen tham ke jo mujhko le jaayega door kahin Jahan se rooh kisi ki Is duniya mein Wapis kabhi nahin Wapis kabhi na aayee
6. HINDI VERSION OF ‘ ONE, TWO, THREE, DANCING’
AUR GHUMO
Dolly: One. And... one, two, three. One, two, three. Oh, no. Ye wala. And one, two, three. One, two, three. Corneleus: Dekho, main dance kar raha hoon! (falls)
C: Kar raha that. D: Kyon nahin, Mr Hackl, zaroor dance kar rahe the.
Dolly: Apne saathi ke sang jhumo Usko bahon mein le ghumo Aur halke se Hole se Dheere se Haath chumo!
Corneleus: Mera dil kar raha hai dhak Mera sar na jaaye phat Dolly : One, two, three, one, two, three, one, two, three, aise ghumo!
Dolly: Bahut khoob!
Corneleus: Dekho, Main, Cornelius Hackl, dance kar raha hoon.
Dolly (to Barnaby): Ab tumhari baari hai, Mr Tucker.
Apne saathi ke sang jhumo Usko bahon mein le ghumo Aur halke se Hole se Dheere se Haath chumo!
Chorus: Apne saathi ke sang jhumo Usko bahon mein le ghumo Aur halke se Hole se Dheere se Haath chumo!
Irene: Tadpa kare jo man Reh reh ke ho chubhan To bahon mein le kar ke jhumo, Aur ghumo
Corneleus: Dil mein jo ho lagan To baag ban jaaye ban Phir dheere se halke se hole se Haath chumo
Dolly: Gar koi ho pasand To nazaron mein kar lo band Aur bahon mein le kar ke jhumo, Aur ghumo
Chorus : Gar koi ho pasand To nazaron mein kar lo band Aur bahon mein le kar ke jhumo, Aur ghumo
7. HINDI VERSION OF ‘BEFORE THE PARADE PASSES BY’
ISSE PEHLE KI
Isse pehle ki Karvaan nikal jaaye Isse pehle ki Zindagi guzar jaaaye
Mujhe kadam badhana hai Mujhe himmat jutana hai Doston ke sang Ham-dilon ke sang Is safar mein jud jaana hai
Dil mein josh ho Jigar mein shouk ho Khud apni qaid se Khudi azaad ho Panchiyon ke sang ud jaana hai
CHORUS: Repeats above last 2 stanzas.
8. hindi of title song HELLO DOLLY
DOLLY: Hello Rudy O, hello Harry Ghar aayee hoon yun lagta aakar yahan Wo kya din the, Manny Tum bhi the, Danny Milkar jhume nache gaaye khush tha ye jahan
Nashili thi hawaeyen Tumko kya batlayen Kya raunaq thi, kya jagmag thi, kaisa tha sama Matwalon ke saath dolun Dil par rakh haath, bolun Dolly ab jayegi nahin kahan
RUDOLPH: Hello Dolly Kaisi ho, Dolly Tum bin din yun beete jaise koi ho sazaa Na khiliti theen kaliyan Sooni thi galiyan Na kuch ras tha, na kuch rang tha, na kuch tha mazaa
Gumsum the saare Humdum ye tumhaare Na raunaq thi, na jagmag thi, aisa tha sama Kya bhoolun kya yaad karun mein Tumse ik phariyaad karoon mein Dolly ab jaaogi nahin kahaan
RUDOLPH: Hello Dolly DOLLY: O, hello Rudy RUDOLPH : Tum jaisa is duniya mein hai koi aur kahan Tumhari ye adaayen Dil par yun cha jaayen Jaise noore-badar dhul-dhul jayen, vadiyaan
DOLLY: Meri aankhon ke taare Ab hun paas tumhaare Ab na hogi koi doori apne darmiyan
Sun lo meri baat, yaaron Har jumme ki raat, pyaaron Dolly jashan manayegi yahan! ------
9. HINDI VERSION of IT ONLY, TAKES A MOMENT
EK PAL MEIN
Cornelius:
Ek pal mein, Kya hota hai, Milti hai jab nazar Us pal mein, Kuch khota hai, Milta bhi hai kuch magar
Dil jo, Bhatka tha, Use mil gayee dagar Man jo, Tanhaa tha, Use mil gaya humsafar
Irene:
Uski aankhon, mein dikhi hai Mujhe ek nayee seher Uski baahon, mein mili hai Mujhe ek nayee theher
Cornelius: Ik lamhe mein, Sab chupa hai Irene: Ik lamhe mein, Sab luta hai Both: Lagtaa hai, Is lamhe se, Kat jaayegi umar.