Poetry Series

sonali kumari - poems -

Publication Date: 2015

Publisher: Poemhunter.com - The World's Poetry Archive sonali kumari(29-sep)

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 1 Bahaki-Bahaki Bate……………………..

Pavan kah rha hai, nachu mai jhoom jhoom ke| gagan keh rha hai, gaun mai zor-zor se| mera man kah rha hai, chad jaun mai gagan pe, bana ke sidhi pavan ka| lagta hai aisa, mujhe kuchh ho gya hai, ya kahi mai kho gyi hu| na jane kyu- hawaon sang mai bahane lagi, foolon sang mai mahakne lagi| jane kya hua hai, pa gal mai huyi hu, ya fizaye bahakne lagi hai, kadi dhoop v suhani lagane lagi, tanahayi bhari rat chubhne lagi, sab kuchh hote huye bhi, na jane kyu kuch khone laga, na jane kyu- dil bechain rahne laga, na jane kyu dil machalne lga| gagan hai lapete sitaroo ko, pavan hai jhoomaya pedo ko, sawalo ne hai uljhaya mere man ko, gagan se meri milan huyi, pavan se meri bate huyi, sawalo ka pahad tute na, zawawo ka kinara mile na! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 2

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 3 Bal Viwah Kyu......

Nazuk si kali hun abhi, zara mazbooti laane to do Umar hi kya hai abhi, zara khilne ka mauka to do Bachpan ka aasma hai abhi, zara taron sa chamakane to do kachi umar hai abhi, zara padne aur badne ka mauka to do Bachpan hi to hai abhi, zara jivan ko bachne ka mauka to do Apne sapno ko saakaar karne ka mauka to do Ldki hu mai komal par kamzor nhi Khud ko sabit karne ka mauka to do.

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 4 Chha Gaya Wo………………………………….

Jane koun hai wo, Jane kaha hai wo, khaab hote huye bhi, haqeekat lagta hai wo| kadi- kadi muchhon wala, tirchhi -tirchhi muskaano wala, lamba chauda kad hai jiska, kaale -kaale aankhon wala, chahu mai usse milna, chahu mai usse kuchh kehna, chahu mai uske baaton ki - gehrai me doobna| chahu mai ban pyaar, uski parchai banana | chahu mai uski yaadon- ki baarish me bheegna| nigahon me basa hai wo, fir bhi nazar aaye na wo| hai wo koi jaadugar, ya koi jaadu ka pitara, uski chahaton se bhar gaya, mere dil ka khali kamra| kahi se to aaye nazar, ye mere yaar tu kuchh to kar, ab aur is dil dil ko- mere tu bekarar n kar! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 5 Chha Gayi Wo……………………..

Jane kaha se aayi hai wo, bas har jagah chhayi hai wo, hai koi haqikat wo, ya koi parchhayi hai wo, kale kale zolfo wali, gore-gore galo wali, meethi-meethi bate hai uski, neele-neele nigaho wali, chahu mai usse milna, chahu mai use kuchh kehna, chahu mai uske bato ki- barish me bheeegna, pyar ki gahrayi me doobna| chahu mai zara usse, dil ko dil se milana, kuchh pal uski- nigaho me doobna, mile wo jo mujhe, sametu baho me mai usse| na jane kaha hai wo, na jane kon hai wo, chhaye hai dil me mere, uske hi yado ke badal, har jagah doondhe use meri nazar| hai koi pari wo, ya koi zadoo ki chhadi, har jagah-har pal, bas chhayi hai uski zadugari| yade hai uski bas, charo taraf satrangi! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 6 Childhood Memories..... :)

How can one forget,

The days we spent,

Were just of fun,

And free of worries,

The only thing was,

To play hurry.

The road we used,

More than the vehicles,

The trees we climbed,

The hills we thought of,

The ground that we used,

Not only for playing,

But also to spent,

Sometime with books,

The beach where we sat,

And had sometime,

For the future thoughts,

Childhood days,

Its not only about memories,

But the golden days,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 7

Of our past,

That we love to remember! ! ! ! .....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 8 Dil Chhota Ya Bada......

Chhota - sa dil hai, Chhoti - si aasha| Chahe na ye rakhna, Koi nirasha| Khil jaye ye foolo sa, Milne pe thodi si khushiya| Rahata na iska koi mousam, Rahe khush bhula kar har gam| Chahe ye batna bas, Khushiya hi khushiya| Chhota sa dil hai, Badi si aasha! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 9 Dil Ka Dar

Ruko, thahro jara, Waqt to do thoda, Mouka na dena na sahi, Vishwas to rakh lo zara, Zindagi ek hi to hai meri, Waqt hi to ek sath rahta hai, Sath na ye kabhi chhoda hai, Waqt tum to sun lo zara, Tham jao kuchh pal yaha, Yu na chhodo akele is tarah, Apne dil ke armano ko, Nayano ke kuchh sapno ko, Apne hi apno ko, Chhodu mai to kis tarah, Tut bikhar mai jaungi, Male ki moti bhati, Jo sab se alag yu ho jaungi, Sun le ye waqt vinti meri, Tham ja tu yahi is ghadi, Shadi se hu mai darati, Chahu ruk jaye yahi ye dharati, Lagta hai dar mujhe, Sonch kar kal ke lamhe......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 10 Dil Ke Arma…………………..

Jamane se chura ke, baho me sama ke, hawaaon sang udaye, tujhe mai le aaun| dil keh raha hai, karoon mai tujhe ek vad a, tujhe tujhse chura ke, tujhe tujh se tod ke, kahi khud me jod ke, mai khud ko saja du| kahi dil keh raha hai, tujhe liye mai-

badlon ki seediya banake, sair karu mai aasma pe| jab bhi tujhe mai yad karu, sari duniya ki sair karu, thodi si pagal, thodi si behki, thodi deewani mai lagu| jane kya- kya ho jata hai, jab bhi nigaho me- tu basa rahta hai, jane kyu cheeni lage katti, imli lage meeti,

jane kyu mirchi bhi, teeki na lage| na jane kyu mujhe- sab kuch bha gaya, jeen a mujhe aagaya,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 11 jeene ka maza kuch aur, lagne laga, jeene ki vazah- tu lagne laga| kal tak jo thadil billi, aaj na jane kyu, wo sher banane laga| kal tak to thi mai, sehmi-sehmi si, aaj kyu hu mai, behki - behki si! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 12 Dil Pe Dastak......

dil pe dastak de gya wo, chori chori dil ke, andar aa gya wo, dhire dhire dil me, bas gya wo, aate aate khushiya, le aaya wo, dil ke har kone pe, khushiya saza gya wo| dil me ronak bhar gya wo, dil me rahane lag gya wo, saso me chalane lag gya wo, mere rag rag me- bahne lag gya wo, zindagi me sath rahane laga, sapano me wo aane laga, yehsas ne uske, zannat dikhane lage, intezar ne uske, rato ke nind udane lage, lagata hai aisa jaise ab, mai aasma pe chalane lagi, chand pe mai jhoomne lagi, taro ke sang mia khelne lagi, pakshiyo ke sath mai chahakane lagi, khushiyo ke sath mai rahane lagi, jane kaha mai bahne lagi, hawao se bate mai krne lagi, barish ke sang mai barasne lagi, mor ban mai nachane lagi, kuchh na samajh me aaye, mai kya-kya karane lagi, rat din mujhe ek lagne laga, yado me wo basane laga......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 13 Ek Eahsaas Khushi…………………

Dil ye mera, kyu dhadke bewajah, Mai sochu hai na kuchh aisa, Jo ho bewajah, Kuchh to bat hai, Kuchh to khas hai, Hai ye dil mera khush| Jane kya bat hai, Hai na aasma me chand, Par lage ye chandani raat hai, Lage ye badi hi suhani rat hai, Dil me kayi azeeb se ehsas hai, Dil me sawalon ka pahad hai, Aur wahi kahi khushiyo ki wadi, Shayad isiliye dil mera khush hai! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 14 Ha Mai Ladki Hu......

ladki banka paida hona, garv kar tu, ladkiya v hai aaz bulandiyo par, aakhe khol kar dekh tu, khud ko man ldki, na baith tu, samajh kar ye ki kar saku mai kya, khud ke kadam na rok tu, jag, khol apni aakhe, shuru kar chalana, chun kar apni rahe| ladake v hai usi aasma k niche, zi rahi tu jis aasma k niche, jis tarah ji rhe wo sar uyhakar, shuru kar tu v jina sar utha kar| zra pooch kar to dekh tu apne aap se, mil jayenge tujhe har jwab| hai ye zindagi apni chah apni, fir kyu na ham badhe chunkar rah apni| tu aage to badkar dekh, manzil milti jayengi, khushiya sath chalti rhengi! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 15 Hamaara Pyaara Bhaarat

Hmara pyara desh hai bharat, Hai iski sanskriti atal, Veero ke hatho aazad hua, Unake balidano par bharat khushahaal hua, Ekata, bhayichara, bhin-bhin tyohaar, Sab shan hai bharat ki, Border par veer sainik rahte tainat, Kar parishram aur nind haram, Karate ye desh ki rakhwali, Tabhi shanti aur khushiyo se bhara, Manate ham dashahra-id aur diwali, Yu to bharat me hai, Bhasha, dharm aur boli anek, Par dhadkan sabki gunjati ek, Kahati bas jay bharat maa, jai bharat maa, ... Hariyali hai lahrati, Khushiya ye baatati, Vaadiyo se lekar shahro tak, Hawa ke har jhoko ke sang, Khushiya hai yaha jhumati, Himalay hai sartaaj iska, Delhi hai dhadkan iski, Lal kila, India gate, taaj mahal, Jaise kayi aan baan shan hai bhaarat ke, Hum aur aap base isme jaan hai bharat ke.

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 16 Hamare Beete Din………………………………

Skool ke vo anmol pal, chah kar bhi na bhul pate hum, vo jo khele the hum attkeliyaa, ek dusre ko chidakar, kuchh hassi ke pal banana| vo doston ki khatti meetti baten, kaksha chalte waqt kuchh shararte, pariksha ke din vo chahre pe ghabrahate| ek dusre ke sapno ko, pal bhar me jee lene wali baten| chutkiyon me samundr paar kar, lene jaisi himmat| has-has kar pet fula, lene jaisi khali- waqt ki wo attkeliya| shikshak ke aate hi wo maasumiyat, jaise hum ne kuch kiya hi nahi| hum ladte - jhagadte bhi the, ek dusre se rootthe bhi the, par agle hi pal khil-khila utthe| doston ki kitabon ko chhupa, dekhna unka pareshan chehra, yaad atha hai aaj wo bahut jyada| chhup - chhupke kaksha me, nind ki jhapkiya lena, pakde jane par sir- 'feeling not well' ka bahana banana| hai itni sari yaade, likhu kya aur kaise wo bate, kuchh na samajh mai aaye,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 17 bas hasi se hont muskhuraye, khushi se dil khil-khilaye, jab bhi wo pale yaad aaye| ji kare tod lau waqt- ki shak se wo pale, jeelu fir use jee bhar, jane na doo door use fir, tham jaye wahi waqt kuchh pal! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 18 Hamari Suhani Subah......

Beet gayi razani, Aa gayi roshani, Nikala suraz, Lekar kiran suhani| Chhup gya chanda, lekar makhmali chandani| khilne lgi kaliya sari, chahakne lage pakshi sare, hawaye chali hlke hlke, hone lage lupt aasma ke tare, bago me mahake fool suhane, rang birangi titali udi, lagi lubhane man hamare, foolo par mandrate bhawre, aakarshan ko lage badhane, bikhare hue hai khushiya hi khushiya, aisi sundar subah hamari......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 19 Har Jagah Tu Bas Gya…………………………

Hawao sang tu, bah ke aa ja, meri jismo-jaa me sama ja| gataon sang tu, aa ke chh a ja, dil ko mere tu thandak de ja| foolon ki khushboo, ban tu mahak ja, saso me mere tu bas ja| ban khab tu mere, sapno me bas ja, rato ko mere tu saja ja| ban kar tu khushiya, mere sath ho le, tanhayiyo ko mere tu mita ja| ban kar barish ki bunde, tu baras ja, man ko mere tu thandak de ja| bankar indradhanush, tu aasma pe chha ja, hoto pe mere tu muskan le aa| ban kar tu kazal, aakhon ke sang ho le, chehre pe mere tu chamak tu dila ja| suhani subah me, apni jhalak dikha ja, khushiyo me mere tu cha - chand laga ja| bankar ek ehsas tu, dil me mere tu bas ja, mere ruh ko aitwaar tu dila ja| ban chand tu aasma- me chamak ja, ban tare tu aasma - ko saza ja, ban jugnu tu sham, ko rangin banaa ja,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 20 khushiya hi khushiya tu faila ja! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 21 Har Pal Bas Tum Hi Ho………………

Har pal tere hi khabo me, mai doobi rhti hu kyu| har lamha mujhe teri-

yad aati hai kyu| mere har sawal me- tum shmil rahte ho kyu| har jawab me mai-

tumhe dundhti hu kyu| pooch lo- in behkati fizaon se, zara sun lo, in bahati hawaon ko| bata denge ye meri halat, hai kya bagair tumhare| har roz karti hu, mai shifarish in se, ye mila de mujhe, mere pyar se| har roz chand ki taraf- dekh kar sochata hai dil mera- kash tu chand hota, to meri nigaho se- tu door n hota| har pal jo kal tak, rahta tha khali, aaj lge wo kyu tanahaayi| jane kab tum meri- zindagi me aaye, jane kab tum meri, rag-rag me samaye, jane kyu aaz ye,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 22 dil dhadke bas tumhare liye! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 23 Jane Kha-Kha Tu Bas Gya…………………………

Hawao sang tu, bah ke aa ja, meri jismo-jaa me sama ja| gataon sang tu, aa ke chh a ja, dil ko mere tu thandak de ja| foolon ki khushboo, ban tu mahak ja, saso me mere tu bas ja| ban khab tu mere, sapno me bas ja, rato ko mere tu saja ja| ban kar tu khushiya, mere sath ho le, tanhayiyo ko mere tu mita ja| ban kar barish ki bunde, tu baras ja, man ko mere tu thandak de ja| bankar indradhanush, tu aasma pe chha ja, hoto pe mere tu muskan le aa| ban kar tu kazal, aakhon ke sang ho le, chehre pe mere tu chamak tu dila ja| suhani subah me, apni jhalak dikha ja, khushiyo me mere tu cha - chand laga ja| bankar ek ehsas tu, dil me mere tu bas ja, mere ruh ko aitwaar tu dila ja| ban chand tu aasma- me chamak ja, ban tare tu aasma - ko saza ja, ban jugnu tu sham, ko rangin banaa ja,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 24 khushiya hi khushiya tu faila ja! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 25 Kabhi Aisa Bhi Hota Hai......

Teri nazren meri baten, Hum se shuru hoti, Aur hum pe hi khatm| Door ho ke bhi tu pas, Meri in baton me| Mai door ho ke bhi pas hu, Teri nigahon me| Zin chizo se nafarat thi kabhi, Aaj wohi pasand aane lagi| Jis gali mai chahti nhi thi jana, Aaj usi ke sapane sajane lagi| Jin dhuno ko sunanaa tak tha pasand nhi, Aaj unhi ke tarane kano me bajne lage| Har chiz me basi hai teri yad, Har pal har lamha karati hai teri ehsas! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 26 Kash Yu Hota………………………….

Kash yu hota, tu mere pas hota| kash yu hota, kuchh lamhe humare, ek dusre ke saath hote| kash yu hota, tu mere saath hota| kash yu hota, mai kuch lamhe, tere baho me hoti| kash yu hota, ki kuchh pal, humare sase ek hoti, kuchh waqt ke liye, bhula dete hum zamana| kash yu hota, kuch lamho ko hum, saath bhula dete, kahi kho jate| kash yu hota, kuch pal ke pyar hum, ek doosre pe luta pate| kash yu hota, kuchh madhoshi bhari shaam, hum saath bitate| kash yu hota, tu mere pas hota, kash yu hota, tu mere sath hota! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ..... sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 27 Kuchh Aisa

Mai kya bataun aapko, Aap mujhe kya samajh rahe, Khubiyo ke mere aap, Bewajah pul baandh rahe, Mai itni bhi hasi nhi, Jitna aap bata rahe, Mai itni bhi roushan nhi, Jitni aap bikher rahe, Aap kya samjhte hai mujhe, Ye to pata nhi, par, Dil ki jo bat hai, Dil tak hi rahne den, Aapki khwayish jo hai, Mere liye, jankar, Hairan mai huyi, Jankar khushi bhi huyi, Shukriya kare ye dil aapko, Pure ho khwab sare aapke, Bhar de rab khushiyo se, Zindagi aapki, Muskurahat ka nata, Na tute kabhi aapse, Bhari mile jholi aapko, Sari kamyabi ki, Is khubsurat se jaha me, Sada rhe milte pyar aapko.

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 28 Kuchh Ho Gya......

Kaise aur Kya mai bataun... Ye dil kya kah rha... Tanaha tanaha se hai ham... Akele akele se hai ham... Khoye Khoye se rahane lage... Jane na kyu, jane kya hua... Koi to sune is dil ki hal.... Koi to samjhe ise kya hua.. Din me lage aane nazar tare... Bewazah laga man muskurane... Bina neend ke hi lge sapne suhane... Kaise aur kya mai bataun... Dil ko kya ho gya... Jane kaha ye kho gaya... Lagne lage hai sare nazare... Dilkash aur suhane... Chahe ho vo phoolon ki waadi... Ya bade shahar ki abadi... Na jaanu mujhe kya hua Kaise aur kya hua Koi to bataye ye dil kyu kho gaya...

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 29 Kya Gareebi Ka Matalab Hota Hai Bal Mazdoori......

Ham Kya Jane Duniya Dari, Duniya hamse kitni bhari. Jeene do ham bacho ko, Bachapan ki lahriyon me Hame yu na dhakelo aag ki lariyo me. Ham chahein jeena is khuli duniya me Magar tum ho ki hme kheech laate ho Karkhano ki duniya me Hamari bhi kuchh abhilasha hai Hme bhi kuchh ban is duniya ko dikhana hai Ham chahe bas thoda padna Bas itna ki ham khud ko pahachan Payein banch jeevan kya? Jaise auro jayen vidyalay Kuch padne, kuch kar dikhane, waisa hi kuchh ham v chahein Ham chahe un bulandiyon ko chhoona Jha pahunch tum krwate hamse mazdoori Magar whan pahunch ham na kren aisi bewakufi Ham chahe sab padhe sab badhe ka nara lagana Hme kheech fir karkhano me na lana Ham v insaa tum v insaa fir hme kyu mile sazaa Hamari yah janane ki hai echha Ham chahein janna duniya-dari Chahe janana yah kitni bhari Jeene do ham bachho ko bachapan ki lahriyo me Mat jalao hamari echhaon aur abhilashaon ko.

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 30 Ladki Aur Dahez......

Dahez-dahez-dahez Jane kisne shuru ki yah pratha dahez ki Simat kar rah gyi hai zindagiyan ladkiyo ki Akhir kab tak jhulasti rahengi Ladkiyan dahez ki aag me Kya sachh me ladkiyo ke liye jaggah Kam pad gyi thi samaz me Aakhir ye dahez pratha chalega kab tak Aakhir ye ladkiyon ka janam sidh adhikar bna kyu Ladkiyo ko paraaya dhan ka taz pahnaya kyu Jane kab tak chalegi yah dahez ki ku-pratha Dahez ke nam par mat dilao ye yehsas Ki wo ek ladki hai Krne ka kuchh inhe do mouka Jisse kar ske ye garv khud par

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 31 Ladkiyo Ka Dagar

Kya ladkiyo ka hota nhi dil, Kyo ladkiyo ko jeene, Ka waqt paye na mil, Kya inke hote nhi sapne, Kyu ho inke liye hi, Paraye apne, Kya hote nhi inke manzil, Kyo ho ladkiyo ke hi, Sapane jhilmil, Fir kyu nhi hota chalana, Chunkar inka raah apna, Kyu na ye bana pate, Apni pahchan, Kya hai nhi inka, Kuchh apna samman, kya basti nhi aatma, Andar inke, Kya hota nhi dard, Tutane par sapne inke, Kyu inki hi zindagi ke, Hote rahe kaya palat, Kyu pade chhupana, Aansuo aur gam ko, Ek muskan ke aade, Kyu khade ho rahe ye, Sawal itne sare......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 32 Mai Dil……………………..

Pyar hota hai ankho ko, koi tara ban chha, jata hai nigaho me| aur diwana- pagal- kehlata hu mai| arma ke badal chhaye, in nigaho me| parvana keh jaye, aashik mujhe| kisi ki hoto ki- muskan aye pasand- in ankho ko, ghayal kehlau mai| dhadakta hu mai, kisi ke dil mai, saso chale kisi ki, meri wazah se, par dhadkan jani jaye meri, kisi aur ke naam se| khaffa hote hai aashik, apne ashiki se, bewafa kehlata hu mai| nigahe apni hata- sathy nahi haseeno se, bathimeez -besharam- badmash, kehlata hu mai| pyar ka izhar, karne se darte hai log, darpok aur kamzor, kehlata hu mai| sari karamat nigaho ki,

sari harqat ashiko ki,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 33 aur milti hai jholi mijhe, sari bhari gali se! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 34 Mai Na Janu…………………..

Mai na janu mujhe mila kya, mai na samajhu dil paya kya, bas lagta hai aisa, maine apna chain hai khoya, bechain hu mai, bekarar hu mai, khoyi-khoyi si rehne lagi, rah-rah kar muskhurane lagi, khud se hi sawal karne lagi, diwaron se jawab mangne lagi, bejuwaan diware bate karne lage, hawaen mujh per hasne lagi, fizayen aankh chura-muskurane lagi, ghataye ghanghor barasne lagi, mujhe huwa kya hai, ye pta na chale, dil ko mai samajh na pau, kabhi ye kahe, bekarar hai ye uske liye, to kabhi ye kahe, karar hai vahi mereliye, dil ka uljhan suljhe na, mujhse meri bechaini sambhale na, karu mai kya, mai samjhu na! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 35 Mai…………….

Jab bhi chahu mai, khud ko kavitao me dhalna, likhu mai kya, kahu mai kya, ye samajh me na aaye| kabhi lagata hai sidha, kabhi lagta hai palata, meri zindagi ka aayina| kahte hai mere dost, pana mujhe samajh, hai na kisi ke bs ka| par bhi mai pyari- dulari sab ke dil ka| rakhti hu mai khayal unke, hoto ke muskan k| yu to kahti hai meri bahan, hu mai thodi pagal, thodi sataki, dil ki kachhi, man ki sanki, duniya se bekhabar, kahi khud me hi khoyi| bhaiya ki zuwa kahe, likha jana chahiye nam mera, duniya ke azoobo me| na janu kaisi hu mai, na janu kya chiz hu mai, par apne maa-pita ki, aankho ka tara hu mai! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ...... sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 36 Mera Ek Aisa Pal……………………

Na zaane ye kaisa, mousam aaya hai| na zaane ye kaisi, hawaye laya hai| charo taraf bas, kohra chaya hai| sare sapne lagte hai, bikhre-bikhre se | sare arman hai ab, tute -tute se| najane ye kaisa khel- khela hai kismat ne| jane ye kaisa faisla, hai rab ka | sara himmat hai hara man ne| sare sapne khoye nayan ke| lagta hai aisa-jaise, khushiyon ne hai toda, mujhse har nata| ab lagne laga hai dar, chubhne laga ye zindagi ka dagar, kahi sabra ka vaan tute na, zindagi ka saath chhute na| aaye na nazar wo suraj, jaane kaha khoyi uski roshni| kohra aur gehra, kahi ho na jaye, waqt ka kehar, kahi banke zaher, meri zindagi chheene na| aaj bhi hai intezaar, umeed ki ladi hai barkarar, khushuyon ka dekhu mai raah| jaane kab suraj uge,

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 37 ye gehra kohra ghate, meri zindagi ka phool khile! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 38 Mera Man......

Ye re man mat ho udaas tu, Girna nhi uthkar chalana sikh tu, Bhatakna chhod raste ko apna tu, Khud ko kamjoor nhi apni taakat samajh tu| Khud ko sulane ki wajah, Uthane ki koshish to kar, khul jayenge ye raste, Tere pal bhar ki parishram se| Jis din tu jaga re man, Ho jayegi ye duniya teri| Jyada soch, tu mat kar samay nast, Bas tu chalata hi ja, raaste khulte hi jaayenge tere| Bas tu chalata rah, chalata rah, Ye duniya badi anant hai, Tu chalata rah, tu chalata rah! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 39 Mera Rasta......

Jis raste ko pakada maine fool sochkar, Wahi nikala kante bharkar| Jise chhod diya kanta samajhka, Wahi nnikla fool komal-sundar| Fikr nhi hai fir bhi, Chalungi to yahi kanto par, Kyu ki suna hai maine, Khilte hai fool sundar kanto me hi| Gulab hai jitna sundar, Chahu mai manjil apni waisi| Kyuki gulab ki tahniya bhi hai, kanto wale, Fir bhi bhate hai wahi fool matwale| Aakhir jante hai sab, Karte hai hifazat yahi kante, Gulabon ki! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 40 Mera Vidyalay Safar......

Ham jab aaye the vidyalay, Ham kahte maa, hame na Jana hai vidyala. ham to bas tere hi pas rahna chahen. hame kya pata tha, hame kya khabar tha, ki milega wahi pyar wahi ma ki mamata bas honge shikshak maa ki jagah, isi vidyalay me. ham aaye is vidyalay me, pade bhi, badhe bhi, khele, hanse, ruthe bhi, par kab bade ho gye ye pata bhi na chala, itne bade ki aaj aa gyi hai ghadi hamare vidayi ki. bhale hi ham aaj juda ho rahe hai, par kahi na khi hamari yade bhi gahari ho rahi hai. ham aaj bhale hi bichhad jaye juda ho jaye par base to rahenge aapke dilo me hi. maaf kijiyega hame agar kabhi ham aapke dil dukhaye ho bhula dijiyega is nadan ki nadani ko dijiye hame duaye, dijiye hame aashirwad, taki bhavishya me bhi rhe ham hamesha aage hi badhate! ! ! ! !

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 41 sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 42 Mera Ye Dil Tera Hua

Hasa ye dil hazaro bar hai, Sharmaya ye dil pahli bar hai, Khushiyo se ye takaraya, Takrakar ye gungunaya, Aa ja sanam dil me mere, Sapne hazar bune ye tere, Mulakat jo dil ki, Tumse huyi hai, Khushiyo ki shuruaat meri, Yumse huyi hai, Zindagi me jo subah ka tha intejar, Wo roushani mujhe hai tumse mili, Ab aa ke zindagi me mere, Kar de tu roushan jaha, Fiki si zindagi me, Bhar ja tu rang hazar, Aadhi khali si zindagi thi, Aa bhar kar tu kar de mukammal....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 43 Mere Ehasaas

Dur itne ho kar bhi, Arma ek ho kaise sabhi, khwayisho ka kya hai, Palak jhapkte hi ye badalta hai, Jeet me aur har me, Meri kya aur aapki kya, Zindagi ki to dhar hai aisi, Hath na ye aayi hai kisi ke kabhi, Gamo ka kya hai, Ye to har jagah bhara pada hai, Pyar ki hi to kami hai, Isi ko to pane ki hasrat bani hai, Pari nhi hu mai koi haseen si, Hu to kewal eh bhag is zameen ki, Lamhe hi to hai ek aise, Jo rag rag se hai mujhe pahchane, Magar ye aarzu hai aapki kaisi, Mere lamho se milne ki, Ye hasrat hai kaisi, Sawan ko gin ke mai kya karu, Sajan ke bina mai inse kya kahu, Brsate to bas bekarari hai, Magar wajah nhi khwaish meri, Jo mulakate hamari adhuri hai! ! ! ! ...

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 44 Mere Man Ki Uljhan……………………..

Maine na jana, maine na samjha, ye zindagi hai kaisi, iske dastur hai kaise| chale na pata- ye le jayegi kha, kabhi to lage, sapane ye mere sare, kahi rahe na adhure| kabhi hai lagata, man mera hai adhura, kismat mera hai rutha, sapane mere hai jhute| samajh me na aaye, ye zindagi hai kaisi, kabhi hai bas khushiya hi khushiya, dil chahe bas hasana hi hasana, par ye ehsas bhi laga hi rahata, kahi rahe na ye sapana hi sapana|

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 45 Meri Maa

Meri pyari maa, Hai unki bilkul pyari si surat, Hai wo ek badi mamatha ki murat, Bhari hai wo sahansheelata se, Dosti hai gahri unki sheetalta se, Gussa bhi aata hai unhe, Wo bhi bade pyar se, Bandh ke rakhe wo pure pariwar ko, Mamtha aur pyar ke jod se, Kabhi jhuth bolna nhi, Kabhi galat raah pakdna nhi, Deti hamesha wo sikh yahi, Dhanya hu mai aur mera pariwar, Jaha hai aisi janani ka vaas, Meri zindagi ki achhi insaan, Mere har pal ki wo sachi sathi, Hamesha jane wo bas dena hi dena, Chah nhi hai unka kabhi, kisi se kuchh lena, Meri maa, pyari maa, Sundar maa, sabse achhi maa.....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 46 Meri Mahatwakhanksha

Ham kya bataye tumhe, Chaht kitni tumhari, Hamare dil me hai, Kuchh bhi bayan, Karne se pahle, Juwa se kuchh, Kahne se pahle, Dil ki dhadkano ko, Batane se pahle, Chahta hu kuchh, Ehsas tumse bhi, Aitwar to tum pe hai, Bas chahu mai janana, Tera aitwar hai kaha, Khoya to hu mai yu, Par jo mai ye kahu, Khoyi tu kab aur kaha, Zara ek nazar tu, Edhar bhi to kar, Kabhi is nachiz ki taraf, Apni nazar to kar, Jyada na to kam se kam, Ek do pal ehsas to kar, mai chahu teri aankho se, Guzare mera rasta, Teri dhadkano tak ho, Meri mnzil, Sath ho sanso ka tera, Bas snsaar bane hamara......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 47 Meri Paheli

Mai kya samajhu mai kya janu, Dil chahe kya dil mange kya, kavi lage duniya hai ye, sase achhi sabse pyari| kavi ye chahe, kuchh naya kr dikhana, kuchh bada ban dikhana| kvi mai sochu doob jaun, bas inhi kabitaon me| kvi lafe ban pakshi, ud jaun mai gagan me| kavi man kre ban khushbu, foolo ke sath mahku| kavi man kare ban hawa, pedo ke sath gungunau| kavi lage bakar kali ghata, aasma se barsun| kvi lge bankar sikshak, mai v hukm chalaun| par ye dil chahe kya, ye mai samajh na paun| din gya rat aayi, dashahara gya holi aayi/ magar pheli meri, sulajh na payi! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 48 Meri Zindagi Samundra Ke Do Chhor-Si

Mai ladki hu, Garv hai mujhe is par, Zindagi badi sundar hai, Khushiyo se bhari hai, Parantu Zindagi meri hai, Samundra ke do chhor-si, Jo kabhi hote na ek. Mai hu ek komal kali, Jo is chhor par badi huyi, Apne bachapan me khub kheli, Youvan me bhi mast khili, Maa-bapu ka pyaar payi, Sari khushiya mujhe mili, Sab hua is chhor par, Par jab badi huyi, KAli ful banane ko aayi, Tab pata chala jana hai use, Us paar dusari chhor par, Aayega koi bhavara, Is ful ki talaash me, Baha le jayega wo waha, IS samundra ke bahaw me, Utha lega wo is kali ko, Sajane le jayega wo apni gali ko, Is safar me, Apne hi log paraye honge, Paraye hi apne banege, Raho ke patthar ke to gam nhi, Par apno se bichhadne ka- Dukh bhi kuchh kam nhi, Aankho ke moti jhadenge, Smundra ke aanchal bhigoyenge, Maa bapu ke daman chhutenge, Kisi aur ke daman se judenge, Meri zindagi hai sidhi-si, Par samundra ke do chhor-si.

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 49 Mook Dharti…………………..

Dharthi humara ghar hai, Kehthe ise hum maa hai, par koya aaj inka samman hai, daav pe laga inka praan hai| kahi na kahi vajah- sabka insaan hai| jaane kaise kaise manav hai, praani ke rup me danav hai| kal tak jo the aagyakari, ban gaye aaj ye attyachari| kar rahi hai bardash prittvi, seh rahi hai attyachar prakritti| sochkar v hairan hai, dekhakar dang reh jane- jaisi haal hai| yu to dharti hai bahut- badi, bahut bhari, par aaj pad rahe hai, dharti ko insaan ke- attyachar bhari| aaj manav bahut hai, par manavta ke nishan nahi, chhoo raha bulandiyon ko vigyan hai, dharti yaha padi lailaaz hai| are attyachari ek pal to, tu banke dekh aagyakaari, hasegi-hariyali se prithvi, khilegi-khushi se prakritti, ek bar tu soch to zara! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 50 Na Jane Kon Hai Wo…………………..

Jane kab wo, aankho ka tara ban gya, chand taroo se bhi, pyara ban gya| jane kab wo, dil me bas gya, chain-karar sab uda le gya| na janu kha hai wo, na janu kya cheez hai wo| hai koi haqikat, ya koi khab hai wo| dard me bhi dil, use yad kare, khushiyo me dil, use shamil kare| hoto ki har muskan par, dil use shukriya kahe| sase bhi chahe use basana, dil ye kahe- use kabhi na bhulana| jane kab wo zindagi me, sabse pyara ban gya, jeene ka sahara ban gya| jane kyu dil gungunaye, nigahe lage bahakne, dhikhe jo nam bhi- uska khi pe| jane kya chiz hai wo, jane kya wazah hai wo, jane khab ya haqikat hai wo, par sabse pyara hai wo! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 51 sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 52 Na Jane………………….

Na jane pyar kya hota hai, na jane kyu log, pyar ke pagal hote hai| na jane ye kaisi nasha hai, na jane ye kaisi wafa hai, na jane kyu log pyar me, jan ki baazi lagate hai| pyar me pad ke na jane kyu- log aasuo se dosti krte hai| na jane kyu unke pas, sab kuchh hote huye bhi, soona pan lgta hai| na jane kyu wo, tanahaayi masoos krte hai| na jane kyu makhmali- bistar bhi chubhti hai| pyar ki zoodayi ka dard, jante huye bhi log,

na jane kyu pyar pe marte hai| na jane ye kaisi duniya hai, jisme sab basna chahte hai| na jane ye kaisi chubhan hai, jise sab samana chahtehai! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 53 Pyare Bachche

Bachche yaha hai sabse pyare, Unche niche kad wale, Jinki aankhe hai roushan, Sapne apne liye hazar, Nanhe munhe sabse pyare, Athakheliyo se hai ye bhare, Kaliyo se hai ye khile, Kal ke ye bhavishya nyare, Khud se hi anjaan sare, Nadaniyo se hai ye bhare, Bhagwan se ye salone, Sabse pyare inhe inke khiloune, Bhole bhale surat wale, Khud me hi rahte mast ye matwale, Nazuk nazuk ye fulo se, Rakhate matlab bas khelo se, TAro se ye chamakne wale, Hai ye dharati par ke tare, Nadiyo ke bahne wale wego se, Hai ye yuwa is pidhi ke, Sidhi sadhi sirat wale, Inke hatho hai kal- Ke bhawishya uzagar.....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 54 Sundar Sa Ehsas......

Jane kab kab kya ho jata hai, Dil dhadakne ki wajah kyu, Gungunata hai| Jane kaise kaise ehsas aane lage, Hont bewajah muskurane lage, Bin barsaat barish hone lagi, Mosam suhane lagne lage| Jane kab kab kya ho jata hai, Nazre kha kha kho jati hai, Aankho me bas sapne hi sapane saza jati hai, Dil bewajah uchhalne lag jata hai| Sapane suhane lagane lage, mousam haseen hone lagi, Dilkash nazare nazar aane lage| Jane kab kab kya ho jata hai, Jane kab kha kho jate hai, Dil gungunane aur, Hont muskurane lag jate hai! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 55 Tera Sath Mujhe Sabse Pyara

Dil ye tham sa gya, Ye zara thahr sa gya, Jotumse dur hone ka, Ehsas hua, Rab na kare, Mujhe kabhi din ye mile, Dur mai tumse ho na paungi kabhi, Agar huyi bhi to mar jaungi tabhi, Dil me basaya hai tumhe, Zindagi me bahar aaya hai mere, Ye jo khwab bana hai tera mera, Ye jo sath mila hai mujhe tera, Kasam hai tumhe pyar ki, Sath na chodna yar ki, Dil ko huyi hai tumse dillagi, Aadhe aadhe dil the, Jo huye hai ab ek se, Na manga tha maine tumse vada kabhi, Fir bhi diye tumne vade sabhi, Hai ek guzarish meri, Thodna kabhi inhe tum nhi, Chhodna na mera hath kabhi, Ye jo mujhe dagar hai mili, Hai tere pyar se ye bhari......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 56 Tere Bina………………

Tere bina na jane kyu, ziya lage na| na jane kyu aas lagaye, baithu tere rah ke| na to maine kabhi, tujhe hai dekha, na to kabhi maine, liya ehsas tujhe chhu ke, na to kabhi mahsoos ki, maine tere saso ki narmi, tere baho ki grmi| fir bhi tum aas pas - hi mahsoos hote ho| na jane kyu, ye jan ke bhi, hai na koi rah milan ki, har roz darwaje pe- nigahe tikaye rahti hu, tera intezar krte rhati hu| tere bina na jane kyu, hot moskurate nhi, dil gungunata nhi, na jane kab ye intezar mitegi, na jane kab milan hogi, na jane kab ye aas puri hogi, na jane kab ye pyas khatam hogi! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 57 Tere Liye......

tere hi liye bas mai jeena chahu, tere hi baho me mai rahana chahu, tere hi khayisho pe rakhu mai, apni sari khayishe| tere hi palako pe mai chahu, apna aashiyana| tere hi aakho se dekhu mai, duniya ki sari khushiya| dhadakata hai dil ye mera, tere hi nam se| chalati hai sase meri, bas tere hi yehsas se| bharati hu aahe mai bas, tere hi rah ke| tanahayiyo ne hai ghera mujhe, bas tere hi pyar se| tune hi to hai zoda, nata mera khushiyo se| bhar diya hai tune daman, mera bas pyar hi pyar se| gungunata hai dil, muskurati hai labe, aate ho zab v, tum yad hame! ! ! ! ! ! ! ! 1

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 58 Teri Yade......

Jab bhi karti hu yaad tumhe, Badal jati hai har mayusi khushi me, Lab bhi padhu mai nam tera, Dil ho jata hai bag - bag mera, Kab tak tadpaoge is dil ko mere, Ab to aa jao samne mere, Ab tak bas dekha tha, Sapano aur khayalo me dil tumhe, Ab chahta hai dekhana hakikat me tumhe, Chahu mai tumhe aankho ka tara banana, Chahu mai tumhe apne dil ki dhadakan banana, Chahat ye meri puri na hogi, Zab tak is dil ke armaa pure na honge! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 59 Teri Yari Diwani

Aaj huyi mai kuchh diwani si, Har din se kuchh badli si, Mai hasu bewajah, Dil hawao se bat karata, Puchhu mai wajah fulo se, Sare jaha ke kaliyo se, Sab has kar gungunaye, Bas lekar tera hi nam, Hay! sharma mai gayi, Sun kar unka ye pukar, We kano me aake, Halke se kah jaye, Tera yar hi hai tera jaha, Wahi sham aur subah, Hua hai jo pyar tumse, Aankho ke hai sapne saje, Dil me hai arma jage, Sab milkar bas yahi kahe, Tum ho mera pyar, Tum se hi hai karar, Tum hi ho mere khwabo me, chahat hai ab bas itni, Teri nazaro se hokar, Teri sanso se guzarkar, Pahunch basu mai dil me tere, Tu jo manzil mujhe lage, Pyar mai tum se chahu, Sari zindagi mai Teri baho me gujaru.....

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 60 Tujhe Mai Yaad Karu……………………………………..

Tujhe mai yaad karu, tujhse hi pyar karu, tere liye rab se faryad karu, mere tanha lamho me- teri teri pyari-pyari bate yaad karu| tujhe mai yaad karu, tujhse muj he rab milade, ye mai mang karu, yado me teri mai dubi rahu,

aankho me meri-teri- hi jhalak dikhti rahe, sase ye meri tere liye, hi chalti rahe, dil ko mere tera, intazaar laga rahe| tujhe mai yaad karu, tere paas mai hona chahu, tere dhadkan me mai- dhadakna chahu, tere khabo me basna chahu, tere saso mai chalna chahu, tere baho me simatna chahu| tujhe mai yaad karu, tere liye din mai- gin-gin katu, waqt mera dushman bana, tere mere fasle ye, meri bediya bani, halaat mere pinjre bane, inke beech mai kaid hui, tujhko mai milu

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 61 to kaise, teri pyari-pyari bate- mai sunu to kaise, tere paas mai aau to kaise| tujhe mai yaad karu,

tujhse hi pyar karu, tere liye rab se fariyad karu, tujhse mujhe milade rab, ye mai mang karu! ! ! ! ! ! ! ! ! ......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 62 Tum Hi Ho…………………

Tum hi ho mere, dil ki sari khushiyan, jise dekh mite, mere dil ke har gam| tum hi ho mere dil ke karar, jise dekh mite, meri sari bekarariyan, dekhu tumhe to lag e aisa, jaise tum se hi hai, meri sare rishtedariyan,

jab bhi aaun pas mai tere, bhulu mai sari duniyadariyan,

chahu mai mitana sare, tere mere dooriyan| chahat hai ye meri, rahe na koi fasle, tu mujhe apne pas le, gale se laga le| tum jab bhi hote ho samne mere, mere ho jane door sari thakan, gayab ho gye meri sari narazgi, naram ho jaye mere sare gusse, khatam ho jaye mere sare sawal, tum hi ho mere dil ke karar, tumhe hi karu mai bas pyar! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ..... sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 63 Tute Sapne ………………………….

Pure hone se pehle, sapne tute - tute se lage jo, man baitha-baitha lage kyu, jag rootha-rootha lage kyu, aanke sooni hon to kyu| waqt thehar ke banke kehar, bas tute kyu| duaaye sari jhoothi lage, hoton ke muskaan khone lage| aankhon mai bache apne hi- sapne chubhne lage, nayano ke ambar mai, gam ke badal chhane lage | kuchh aur ki chaah karne- se dil darne laga| dil dhadakne ki vajah, pareshaan rehne laga, khush rehne se ye darne laga| jaane sapne aise kyu tute, khudse hi koi kyu roote, arma mere kyu na huye pure! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 64 Why Child - Marriage? ? ?

I'm still a delicate bud, Let me be firm first, I'm still a delicate bud, Give me a little time to bloom, My age is still unripe, Give me a little time, To study and know the life,

I'm still in childhood sky, Let me be a star and shine, It's still my childhood, Give me a chance to know my life, Give me a chance to fulfill my dreams, I'm a tender girl, But not a weak, Give me a chance to prove myself......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 65 Ye Mere Nayan......

Ye mere nayan mat dekh, tu kisi ko, Kahi bha na jaye wo, teri aankho ko, Bhayega wo teri in aankho ko, Magar padega tadapana tere is dil ko, Chahu na mai khona apne kisi paye chijo ko, Lagta hai ye dar soch ke, Kahi aaye na waqt bichhadane ko! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 66 Zindagi......

zindagi-zindagi kaisi hai ye dagar, chalana hai hamako ispar hoke nidar, zindagi-zindagi azib si nagar, zitoge tabhi jab bhagaoge apna dar, zindagi zindagi paheliyo ka mahanagar, suljhane inhe phailane honge apne par, zindagi-zindagi sukh dukh ka hai ye sagar, sukh dukh ke liye rakho tum ek nazar, zindagi zindagi hai ye ek mahasagar, karo tum zindagi se pyar, karegi zindagi tm se pyar, zindagi-zindagi anokhi saphar, zine me ise dega sath tmhara hamsafar, zindagi-zindagi pyari si safar......

sonali kumari

www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 67