$JK$ Productions Love at 100th Sight

“Love happens only once in life, next time it’s just a compromise”

Starring: Vishal Verma, Sandhya Thakur, Yogesh Kumar, Raghav Sharma

Genre: Romance

Story starts:

TCS Campus Gurgaon

Software Engineering Building 1st floor E wing..

“Subha ki pehli kiran ek aisi roshni shod jaati hai, jo nayi zindagi k aane ki vajha ban jaati hai. Dekhne ka nazariya alag hai par jeene ka zariya sirf ek hai. Majboori aur bebasi hi sirf aisi cheez hai jo insaan k pyar ki taakat ko ache se byaan karti hai.”

Suddenly phone rings, “Ek ladka jo ki cubicle me baitha coding kar rha hota hai, cell pick up karta hai”

Other side “ek chota bacha phone pe hota hai”..

Yogesh: papa, main tution se ghar aa gya? Aap kab aa rhe ho? Humne park me jana tha sham ko. Aapko yaad to hai na?

Vo ladka kehta hai “Haan, main apne bête se kiye promise ko kaise bhul sakta hu. Tum tyar ho jaao main bas thodi der me aa gya.”

Yogesh: Love you papa..

Vo ladka bhi kehta hai “Love you too beta..”

Fir vo ladka phone kaat deta hai.. aur apna PC shut-down karke office se bahar jaakar basement me parking space ki taraf jata hai aur car me baith jata hai aur drive karke ghar ki taraf ja rha hota hai.

Raaste me vo flowers shop dekhta hai aur soch rha hota hai “Kabhi kabhi hum apne kaam me itne busy ho jaate hai k zindagi ki choti choti khushiyon ko nazar andaaz kar dete hai, Dekhne me to har ek pal me bahut khushi hai nhi to har pal dard se bhara hua hai”

Scene change.. ghar me yogesh bhag rha hota hai aur Nanny soup ka bowl lekar uske peeche bhag rhi hoti hai.

Tanisha: Yogesh baba aap soup pe lijiye, school se aane k baad aapne fruit salad bhi nhi khaya tha, abhi aapke papa aa jaaynge to mujhe daant paregi.

Yogesh bhagte hue kehta hai: nhi, main nhi peeunga. Papa aayenge fir hum park me jaayenge aur main vahan jaakar ice-cream khaunga. Tanisha: vo bhi kha lena, par ye soup pe lo..

Tabhi ghar k bahar aakar car rukti hai aur vo ladka ghar ka door kholta hai.. Aur vo hota hai “Vishal”

Vishal(Vishu) ghar k andar ata hai to dekhta hai k yogesh bhag rha hai aur Tanisha nanny uske peeche peeche soup ka bowl lekar bhag rhi hai. Fir yogesh, Vishal ko dekh leta hai..

Yogesh bhaga bhaga Vishu ki taraf ata hai aur Vishal use godd me utha leta hai.

Yogesh: papa mujhe pta tha aaj aap jaldi aa jaaoge.. fir yogesh, Vishal ko kiss karta hai.

Vishu: aur nhi to kya, humare prince ka hukum tha, pura kaise nhi karte..

Tanisha: acha hua sahib aap aa gye. baba soup hi nhi pe rhe..

Fir yogesh cute si aankhon se Vishu ki taraf dekhta hai..

Yogesh: papa mujhe park me jaa kar ice-cream khaani hai.. pls..

Vishu: huh, chalo tanisha rehne do, ab ye shaitaan park me jaaye bina nhi maanega..

Yogesh khush ho jata hai..

Scene change.. park me bahut se parents apne bacho k sath khel rhe hote hai.. Ice-cream, popcorn aur candy ki stall lagi hoti hai.

Yogesh and Vishal park me pahunchte hai.. Yogesh park me entry karte hi khush ho jata hai aur bhag kar bacho k sath kehlne lag jata hai..

Vishal use dekh rha hota hai “Bas yogesh, tumhari itni si khushi k liye main kuch bhi kar sakta hu. Main tumhe vo sab khuch to nhi de sakta jo tum chahte ho, par itna vaada jarur kar sakta hu k jyda nhi par jitna ho saka utni khushi tumhe jarur dunga”

Yogesh ice-cream vale k paas jaakar icecream kha rha hota hai.. Aur Vishal use dekh rha hota hai.

“Kya baat hai, yogesh-daddy day manaya ja rha hai.” Vishal ghum k dekhta hai..

Vishal: arey Raghav tu, itni jaldi. Kya baat hai HCL vaalo ne tujhe itni jaldi kaise shod diya?

Raghav: kya btau? Bas project k naam par bura haal kar rkha tha saalo ne. aaj jaldi kaam khatam ho gya. Ghar gya to tanisha ne btaya tu aur yogesh park aaye hue ho.

Vishal: han, yr vo yogesh zidd kar rha tha.

Raghav, yogesh ko ice-cream khate hue dekh rha hota hai..

Raghav: vaise, kehna parega tu kuch bhi karke apne bête k liye time nikaal leta hai. Nhi to aaj kal papa logon k paas apne bacho k liye itna time kahan hota hai. Ye sara kaam to mummyion ka hai na.

Tabhi Raghav ek dam se bolte bolte ruk jata hai.. Vishal uski taraf dekhne lag jata hai.. Raghav: hmmmm, arrey yogesh aa gya..

Tabhi vahan pe yogesh ata hai..

Yogesh: arey uncle aap kab aaye?

Raghav: bas abhi aya tha beta.. aur fir masti chal rhi hai kyn?

Fir raghav, yogesh ko godd me utha leta hai.. aur yogesh hasne lag jaata hai..

Vishal: chalo, ghar chale?

Yogesh: nhi papa, mujhe thoda aur khelna hai..

Vishal: nhi, dekho ab hum ghar jaayenge, fir dinner bhi karna hai na.. kal school bhi to hai tumhara..

Yogesh: par papa..

Vishal: chalo chalo… fir sabhi ghar ki taraf chale jaate hai..

Scene change..

Yogesh, Raghav aur Vishal dining table par baith kar dinner kar rhe hote hai..

Tanisha sab ko khana serve kar rhi hoti hai.

Yogesh: to fir mom ka b’day aa rha hai 2 din baad..

Sabhi ek dam se khate hue ruk jaate hai.

Tanisha: hmmm, yogesh baba aap aur daal lenge?

Yogesh: papa, to bolo na fir hum mom se milne ja rhe hai na?

Raghav: arey yogesh, tune btaya nhi k aaj tere school me drawing competition tha?

Yogesh: haan, uncle mujhe 3rd prize mila usme.

Raghav: arey fir tune mujhe vo prize to dikhaya nhi.

Yogesh: main to bhul hi gaya.. abhi khana kha kar main apne room me ja kar aapko prize dikhata hu.

Fir Raghav, Vishal ki taraf dekhta hai aur use ishara karta hai..

10:00PM..

Yogesh apne bed pe leta hota hai. Vishal uske paas baitha hota hai.

Vishal: tum so jaao, kal jaldi school bhi to jana hai.. aur itna keha kar Vishal use kiss karta hai.

Vishal: good night. Aur vishal vahan se jaane lagta hai.

Yogesh: papa, 2 din baad hum mummy se milne ja rhe hai na..

Vishal vahi par ruk jata hai aur udaas ho jata hai.. fir vo muskura kar ghumta hai..

Vishal: arey mummy se milne k liye to hume Egypt jana parega.. tumhare school vale itne dino ki leaves k liye approval nhi denge..

Yogesh thode gusse me: papa, please….

Yogesh: main mom ki baat kar rha hu. Hum pichli baar aapki anniversary me unse milne gaye the. 3 months ho gye hai. Mujhe unse milna hai.. hum unke b’day par unse milne jaayenge..

Vishal bed k paas aakar baith ta hai “Dekho beta agar mujhe chutti mil gayi to main pakka tumhe le jaunga, aur vaise bhi mummy ki tabiyat theek nhi rehti na to unhe jyada pareshan bhi nhi kar sakte”

Yogesh: but papa, 3 mahine ho gye hai, mujhe mom ki bahut yaad aati hai. Mom humare paas kyn nhi aa jati? Itni dur kyn rehti hai vo humse?

Vishal: theek hai, main koshish karunga leave lene ki. Ab tum so jaao.. fir Vishal vahan se chala jata hai.

Vishal soch rha hota hai “tum abhi sirf 6 saal k ho, thode bade ho jaaoge to khud pta chal jaayega k tumhari mummy ghar kyn nhi aa sakti thi.”

Scene change.. DPS School..

2nd standard class-room

Hindi ki class lag rhi hoti hai..

Teacher Rajdeep: acha to aaj hum maa shabd k bare me baat karenge. Hmmm acha Shruti tum btaao?

Shruti: maa, vo hoti hai jo hume janam deti hai, humari saari galtiyon ko ek pal me maaf kar deti hai..

Rajdeep: good, acha Arjun tum btao?

Arjun: maa, se jyada pyar mujhe koi nhi karta aur main bhi apni maa se utna hi pyar krta hu. Vo hamesha mere liye achi achi cheese banati hai. Roj mujhe school shodne aati hai aur mujhe subha good morning kiss se jagaati hai..

Rajdeep: shabaash.. hmmmm Priya tum btaao?

Priya: meri mummy hamesha mera sath deti hai, chahe main galat hu ya sahi. Agar papa kabhi mujhe daante bhi na to mummy mujhe bacha leti hai..

Tabhi class me se ek bacha bolta hai..

Aditya: le meri mummy to ulta mujhe daant padvaati hai papa se. meri shikayatein lagaati hai.

Sabhi hasne lag jaate hai.. Rajdeep: Aditya, meri class me shararat nhi. Chalo ab hum kuch aur padhte hai..

Tabhi Rajdeep ki baat ko kaat te hue Yogesh kehta hai..

Yogesh: mam, apne mujhse to maa sahabd k bare me pucha hi nhi..

Rajdeep uski taraf dekhne lag jaati hai.. tabhi ring bajti hai aur period over ho jata hai..

Staff –room..

Rajdeep “aaj us 2nd standard k chote bache ne ek sawaal pucha jiska mere paas, jawaab hone k bawjood bhi jawaab nhi tha”

Sheena: yogesh tha vo?

Rajdeep: haan. Mujhe us bache pe bahut taras aata hai..

Sheena: aur mujhe uske baap par, itna handsome and smart guy..

Rajdeep: hello..

Sheena: oh sorry main thodi feel me aa gyi thi.. han to kahan thi main..

Rajdeep: mujhe ye nhi samjh me aa rha, k vo apne bête ko akela kaise sambhaal rha hai?..

Sheena: vohi to main keh rhi hu. Bina maa k bacha kaise pal sakta hai?

Rajdeep: maine suna hai k parso, yogesh chutti le rha hai. Uski incharge bta rhi thi. Uski mom ka b’day hai to vo usse milne ja rhe hai. Bas jo bhi ho, us bache k honton ki hassi ko kisi ki nazar na lag jaaye.

Scene change..

TCS Campus Gurgaon.. PM cabin

Parveen: theek hai Vishal, I’ll grant your two weeks leaves request. But you have to promise me that You’ll gonna submit the report by end of this month.

Vishal: yes, definitely sir. Thank you..

Dusri taraf ghar me

Raghav: yogesh kahan ho?

Yogesh ek room me baitha drawing kar rha hota hai..

Yogesh: yahan uncle..

Raghav room me ata hai..

Raghav: kya baat hai mera champ drawing kar rha hai..

Yogesh: haan uncle… Raghav uski drawing ko dekhta hai.. Ek beautiful si ladki ki tasveer banana ki koshish ki ja rhi hoti hai..

Yogesh: kaisi lagi mummy ki photo?

Raghav ki aankhein bhar aati hai..

Raghav: bahut achi hai, tu to mera champion hai… fir raghav use godd me utha leta hai..

Raghav: tujhe pta hai tere papa ko leaves sanction ho gyi hai..

Yogesh khush ho jata hai “kya, sach me, yipeeeeeee ab hum mom se milne jaayenge..”

Raghav: haan. Ab to khush hai..

Tabhi door-bell bajti hai.

Tanisha door kholti hai..

Tanisha: arey Vishal sahib aap aa gaye..

Yogesh bhaga bhaga aakar Vishal se gale lipat jata hai..

Yogesh: yeeee, papa hum mom se milne ja rhe hai. Main to bahut khush hu..

Vishal: hmmm. Raghav, vo train book karva di thi tune?.

Raghav: haan. Kal subha ki 6:00 AM ki hai, Delhi se borivali.

Vishal: theek hai.. acha chalo yogesh ab tum jaldi se khana kha k so jao fir kal subha jaldi bhi uthna hai.

Yogesh: ok papa, I love youuuuuuuu… yea..  yogesh bhag kar apne room me chala jata hai..

Vishal muskura rha hota hai, tabhi Raghav uske kandhe pe hath rakhta hai..

Vishal: maine ise itna khush pichli baar tab dekha tha jab hum anniversary pe iski mom se milne gaye the. Mujhe bahut khushi hoti hai ise khush dekh kar.

Raghav: hmmm, tu bhi bags pack kar le, kal fir jana hai tumne..

Vishal: agar tu bhi chalta to yogesh ko aur acha lagta.

Raghav: yaar bahut urgent project hai varna main mana nhi karta.. tum jao aur yogesh ka khyal rakhna..

Scene change Delhi Railway-station

Vishal, Yogesh, Raghav aur Tanisha Railway station pe khade hote hai.

Tanisha: maine kuch snacks aur yogesh baba k liye mineral water rakh diya hai, aap inhe bahar ka paani mat pilaana ye bimaar pad jaate hai.

Vishal: theek hai. Yogesh bahut excitement se train ki wait kar rha hota hai.

Tabhi train platform par aati hai..

Announcement “Delhi se Mumbai jaane vali rajdhani express platform number 3 par aa chuki hai, yaatriyon se anurodh hai k vo platform number 3 par pahunche dhanyavaad”

Raghav: chalo yogesh apne uncle ko good bye kiss do..

Vishal aur yogesh train pe chad jaate hai..

Raghav: Mumbai pahunchte hi, mujhe phone kar dena..

Vishal: theek hai..

Yogesh: bye Raghav uncle, bye Tanisha didi…

Fir raghav aur tanisha unhe bye kar rhe hote hai..

Vishal aur yogesh train k VIP block me baithe hote hai.

Yogesh bahut khush hota hai aur kisi ki tasveer dekh rha hota hai..

Vishal: kis ki tasveer dekh rhe ho?

Yogesh: mom ki.

Vishal chup ho jata hai.. fir Vishal us tasveer ko dekhta hai..

Visha sochta hai “Sandhya, tumhara beta mujhse jyada, tumse pyar karta hai, sach bolu to mujhe is baat se thodi si jalan to hoti hai tumse, par utna hi pyar bhi hota hai tumse kynki tumne mujhe meri jeene ki vajha di hai. Yogesh k liye hi ab tak zinda hu main”

Fir Vishal Sandhya ki tasveer ko dekh rha hota hai aur uske chehre pe udaasi chaane lag jaati hai.

Song starts:

Meri kismat ke, Har ek panne pe Mere jite ji, Baad marne ke Mere har ek kal, Har ek lamhe mein Tu likh de mera use

Vishal uski tasveer ko yogesh ko de deta hai, aur fir train ki khidki se bahar dekhne lag jata hai. Song again starts:

Har kahani mein, Saare kison mein Dil ki duniya ke, Sacche rishton mein Zindagani ke, Saare hison me Tu likh de mera use

Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana

Yogesh: papa, is baar to main mummy se zidd karke unhe mna hi lunga k ghar chalo. Aapko bhi mera sath dena hoga.

Vishal: hmmm, haan beta.. Song starts:

Uska hun us mein hun usse hun usi ka, Rehne de... Main toh pyasa hun hai dariya wo zariya wo jine, Ka mere

Yogesh phone pe apne kisi frnd se baat kar rha hota hai “haan, mera homework note-down kar diyo main mom se milne ja rha hu.”

Vishal ki aankhien bhar aati hai. Song again starts :

Mujhe ghar de gali de shehar de usi ke, Naam ke Kadam yeh chalen ya ruken ab usi ke, Vaaste Dil mujhe de agar, Dard de uska par Uski ho woh hasin, Gunje jo mera ghar

Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana

Song ends.

Yogesh: papa, vo aap mujhe apni aur mummy ki marriage vaali kahani sunaao na.

Vishal: par jab hum pichli baar mummy se milne gaye the tab bhi to sunaayi thi.

Yogesh: papa mujhe aapki marriage vaali kahani bahut achi lagti hai.. pls pls pls..

“Then Yogesh gives pleading looks to Vishal”

Vishal: acha acha, baba sunata hu..

Yogesh khush ho jata hai. Aur Vishal ki godd me aakar baith jata hai..

Vishal: tumhari mom aur meri shaadi ki kahani bilkul filmy type thi.. aur vishal muskurata hai..

“tumhari mom romantic stories sun kar aur romantic movies dekh kar paida hui ladki thi”

Story goes in flashback…

Chandigarh 8 Sector ek bahut bada ghar dikhate hai aur ghar k peeche garden me Tennis court bana hota hai..

Koi ladka tennis court me practice kar rha hota hai.. tabhi ghar me koi aurat doodh ka glass lekar ghum rhi hoti hai.. Vo aurat bol rhi hoti hai “Vishu, kahan ho beta?”

Dusri taraf vo ladka tennis court me practice kr rha hota hai aur uska coach Ravinder usko balls tackle karna sikha rha hota hai..

Vo aurat chalte chalte ground me aa jati hai..

“Vishal, main tumhe pure ghar me dhoond rhi thi aur tum ho k yahan pe practice kar rhe the”

Vishal: Mom, parso mere nationals hai Hydrabad me aur aapko mere breakfast ki padi hai..

Tabhi Vishal ka trainer Ravinder uski mom ko kehta hai..

Ravinder: dekhiye Mona ji aapko to khush hona chaiye, apka beta itna dedicated hai tennis k liye. Mujhe to garv hai apne student pe.

Mona: vo to theek hai, par khel k sath sath sehat ka bhi dhyan rakhna chaiye na..

Vishal: acha mom, aap doodh ka glass rakh do, main pe lunga baad me..

Fir Mona vahan se chali jaati hai..

Ravinder: dekho is baar apne school ka naam tujhe hi roshan karna hai..

Vishal: aap chinta mat kijiye sir main aapko niraash nhi karunga.. Fir Vishal practice karne lag jata hai..

Dusri taraf Sector 17 Vegetable Juice shop..

Ek waitress juice serve kar rhi hoti hai.. Vo ladki staff room me jaati hai..

Aditi: kya baat hai waitress mam aap ki vajha se do benefits ho rhe hai.. Aur vo waitress hoti hai Sandhya..

Sandhya: kaun se do benefits?

Aditi: ek to tumhari vajha se customers’ badh rhe hai, upar se vegetables juices ka business acha chal rha hai.

Sandhya: tum bhi na. acha main chalti hu, abhi meri tuition hai physics ki..

Aditi: vaise part time job se tum apni tuition fees to bhar hi deti hogi.

Sandhya: ye important discussion hum baad me kar lenge.. abhi main chalti hu..

Scene change..

Chandigarh railway station..

Vishal hydrabad jaane k liye train dhoond rha hota hai.. aur dusri taraf Sandhya bhi hydrabaad k liye train pakad rhi hoti hai.. Dono ek dusre k saamne aa jate hai. Vishal: excuse me, kya aapko pta hai k platform number 2 kahan par hai?

Sandhya: actually main bhi vo hi platform dhoond rhi hu, mujhe hydrabaad jana hai..

Vishal: kya co-incidence hai mujhe bhi hydrabaad jana hai..

Fir dono platform number 2 dhoonde lag jaate hai..

Sandhya khadi kisi se puch rhi hoti hai..

Vishal: ji suniye yahan aayie, yahan par hai platform number 2

Fir Vishal and Sandhya ek hi seat par baithe hote hai..

Vishal: apna bag upar rakh rha hota hai..

Sandhya news-paper parh rhi hoti hai.. aur uspe vo kisi football player ki photo dekh rhi hoti hai..

Vishal: to aapko football pasand hai?

Sandhya: ji nhi balki mujhe to sports se sakht nafrat hai.. ye player bhi pta nhi kitne bacho ki seats maar lete hai sirf sports kota k chakkar me.

Vishal: matlab?

Sandhya: matlab ye Govt. ne jo sports kota rakha hua hai na, mujhe isse sakht nafrat hai, ye players padhte pudhte hai nhi, aur sports kota k naam par bechare deserving candidates ki seats maar lete hai.

Vishal: aisi baat nhi, hum players log apni mehanat se seat lete hai..

Sandhya: kya matlab tu bhi sportsman hai?

Vishal: kya? Aap se siddha tu?

Sandhya: haan, mujhe agar pta hota na k tu player hai to tere se baat hi nhi karti.

Vishal: acha, to tu badi PM hai na india ki.

Sandhya: acha, koi aur seat lelo..

Vishal: main to yehi seat lunga..

Sandhya: Ek do matches khel k apne aap ko pta nhi kya samjhne lag jaate hai.

Vishal: acha hum country ko represent krte hai, pta bhi hai tum log hi humare autograph k liye taraste ho..

Sandhya: autograph meri juti..

Vishal: aur tu mere joote k barabar bhi nhi hai.. Sandhya: ladki se baat karne ki tameez tak nhi hai tumhe, tum sportsperson logon ko akal hi nhi hoti..

Vishal: acha..

Fir dono ladne lag jaate hai.. TT vahan pe aa jata hai..

TT: arey bhai kya ho rha hai?

Vishal: aap is ladki ko kisi aur seat pe bitha dijiye pls

Sandhya: main kyn jaau, ye meri seat hai. Ise yahan se lekar jaao..

TT: arey kyn lad rhe ho? Baaki passengers bhi pareshaan ho rhe hai. Pls aap manage kar le..

Fir sabhi log bhi bolne lag jaate hai..

Vishal aur Sandhya ek dusre ko gusse se dekh rhe hote hai..

Backvoice of Vishal “tumhari mom aur main, humne ek dusre se shuruwaat pyaar se nhi nafrat se ki thi, use players logon se nafrat thi aur mujhe middle class logon ki soch se. Par kya pta tha k sirf ek baar hi nhi baar baar milna hoga”

Raat ka samay hota hai..

Vishal so rha hota hai aur Sandhya use sote hue dekh rhi hoti hai, tabhi uski nazar Vishu k bag ki taraf jaati hai jisme tennis racket hota hai.

Sandhya: oh to tennis player hai.. koi nhi bachu teri neend haram karti hu.

Fir jaan bujh kar Sandhya lambe lambe kharaate lene lag jaati hai jiski vajha se Vishu so nhi pata.

Hydrabaad St. Xaviers school.. Nationals for Tennis under 16..

Ravinder: sorry vishu beta, main dusri train se aya. Tumhe raste me koi problem to nhi hui na?

Vishal sochta hai “k kaise us ladki k sath usne safar kata, raat ko sote samay us ladki ne kitne kharaate maare jiski vajha se Vo so nhi paya..”

Vishal: nhi sir. I am all right.

Vishal match khel rha hota hai aur use Sandhya baar baar yaad aa rhi hoti hai jiske sath uski pure safar me ladaayi ho rhi thi.. Fir vishal se ek fault ho jata hai.

Ravinder use bulata hai..

Ravinder: dekh vishal Deuce ho chukka hai, ab lead le aur match khatam kar..

Vishal apne opponent ki taraf dekhta hai.. aur imagine karta hai k uske opponent ki jagha Sandhya khadi hai.. Vishal: oh to tu yahan bhi..

Sandhya: han, aur tujhe hara kar tera ego tod dungi..

Vishal: aisa nhi hoga, fir Vishal splash marta hai aur lead le leta hai aur fir dusra point kar match jeet jata hai.

Fir Sandhya gayab ho jati hai..

Vishal sochta hai “hain ye kya hua abhi?”

Fir sabhi log taaliyan bajaane lag jaate hai.. Ravinder bhaga bhaga akar Vishal ko utha leta hai..

Ravinder: kya baat hai, ye hui na chandigarh vaali baat.. yesssss..

Vishal yehi soch rha hota hai k use acahnak se kya ho gya tha..

Locker room me Vishal soch rha hota hai “mujhe Vo ladki kyn dikhayi di match khelte samay”

Tabhi vahan pe ek ladka ata hai aur kehta hai “kya baat hai National champion, ab to party ho gyi”

Vishal: arey saale, Raghav tu.. Match me kyn nhi aya?

Raghav: yaar, ab hum simple students hume exemption kahan milti hai, dekh exam tha kal, bas dekar, train pakdi aur aaj yahan pe.

Vishal: thanks bro..

Raghav: vo to theek hai tera akhri shot dekha tha, kya passion k sath mara tha. Maza aa gya.

Vishal: hmmm, yaar vo main.. tabhi vahan pe Ravinder aa jata hai..

Ravinder: chalo fir celebrate karne nhi jana hai..

Dusri taraf “GachiBowli, Hydrabaad”

Ek ghar me koi ladki apne kapde iron kar rhi hoti hai.. aur tabhi vahan pe Sandhya aati hai..

Jo ladki kapde iron kar rhi hoti hai vo Sandhya ko puchti hai “kya hua tum to itni der tak soti nhi fir itni late kyn uthi.”

Sandhya: kya btaau Preeti, train me ek aisa bekaar ladka nhi nhi bekaar sa tennis player mil gya tha jisne mujhe saari raat sone nhi diya.

Preeti Paani pe rhi hoti hai tabhi vo phoonk k paani bahar nikaalti hai aur hairaan hokar bolti hai..

“kya tujhe sari raat sone nhi diya, kar kya rhe the tum puri raat ek hi compartment me”

Sandhya: oh c’mmon preeti di. Humari ladayi hui thi, aur mujhe to pehle hi Sports se nafrat hai. Aap bhi kya kya sochte rehte ho.. Preeti: to meri kya galti hai tu hi aise bol rhi thi. Acha chal shod use, tu yahan pe jo apne juice bar ka promotion karne aayi thi vo kar le. Fir tujhe next week jana bhi hai..

Sandhya: hmmm…

1 Week later..

Chandigarh st.Xaviers school Sec 19-c

Sandhya aur uski frnd bhag kar classroom ki taraf ja rhe hote hai.

Sandhya: jaldi chal Anu varna hum late ho jaayenge.

Anu: tune hi late karvaya, Bus ki wait karti rhi, auto pakad lete to waqt pe pahunch jaate..

11th Class Non-Medical Section ‘A’

Physics teacher Vineet class le rha hota hai.

Tabhi Sandhya aur Anu class me enter karte hai..

Vineet: Bacho to main keh rha tha k humari class me ek aisa student hai jisne humare pure school ka naam roshan kar diya..

Tabhi Anu, Sandhya ko kehti hai “jarur teri baat ho rhi hai, pichle mahine tera Physics ka project gaya than a Delhi, pakka select ho gya hoga”

Sandhya: hope so.

Vineet: to vo hai Vishal.. sabhi log taaliyan bajaane lag jaate hai..

Sandhya: Vishal??

Fir Vishal last bench se uth kar aage ata hai..

Vineet: is ladke ne, humare school ko nationals me represent kiya aur first prize jeeta..

Sandhya use dekhti hai: arey ye to vohi ladka hai..

Sandhya: anu, ye ladka humari class me hai..

Anu, Vishal ko dekh kar muskura rhi hoti hai aur khayalon me khoyi hoti hai..

Sandhya: anu, Anu..

Anu: kya hai?

Sandhya: ye ladka humari class me kab se hai?

Anu: le, ye humari class me hi to hai, bas exemptions pe rehta hai kynki tennis k tournament me jata rehta hai na. Sandhya: par maine ise kabhi dekha nahi..

Anu: le, kabhi chemistry aur physics lab se bahar nikal kar play-ground me jayegi tabhi pta chalega. Aur vaise bhi jab bhi tujhse sports ki baat karo to tu sunti nhi.

Sandhya: oh god, ye humari class me hai..

Dusri taraf Vishal sabko khushi se dekh rha hota hai.. tabhi uski nazar Sandhya pe jaati hai..

Vishal use dekh kar hairaan ho jata hai..

Scene change..

School park me bench pe Vishal aur Raghav baith kar baatien kar rhe hote hai..

Raghav: kya baat kar rha hai, matlab vo ladki apni class me hi hai..

Vishal: haan, maine to use kabhi pehle nhi dekha yahan par.

Raghav: tu kahan se dekhta, school to tu kishton me ata hai.

Vishal: yaar, main to kal se school nhi aunga.

Raghav: kyn fir se practice shuru hai teri?

Vishal: le practice nhi, main us ladki ka chehra ek baar bhi nhi dekh sakta..

Dusri taraf School library me Sandhya aur Anu baat kar rhe hote hai..

Sandhya: mujhe yakeen nhi ho rha, kya hoga humare desh ka, sports kote k naam par us Bandar ne Non- Medical me admission le li. Ye ho kya rha hai Anu..

Anu newspaper me Vishal ki photo dekh kar khayalon me khoyi hoti hai..

Sandhya: Anu, anu.. fir sandhya, Anu ki taraf dekhti hai.. to Anu newspaper me Vishal ki photo dekh kar muskura rhi hoti hai.

Sandhya: hey bhagvaan.. ye kya kar rhi hai Anu?

Librarian: shhhh, Silence please..

Sandhya aur Anu bahar canteen me baithe hote hai aur dusri taraf Vishal aur Raghav baat karte hue aa rhe hote hai.

Sandhya: tu meri frnd hai ya us Vishal ki?

Anu: ofcourse, Vish, I mean, I always wish for ur good.

Sandhya: rehne de.

Tabhi vo uth kar vahan se jaane lagte hai tabhi unke samne Vishal aur Raghav aa jate hai.. Sandhya use dekhne lag jaati hai aur Vishal use.. dono ek dusre ko bina palak japhkaaye dekhne lag jaate hai.

Raghav sochta hai “le, dekh to ek dusre ko aise rhe hai jaise janmo k bichde ab mil rhe ho, vaise kehne ko ek dusre ki shakal bhi pasand nhi”

Sandhya fir vahan se Anu k sath jaane lag jaati hai..

Jaate hue Sandhya kehti hai “Anu, tune vo slogan to pada hi hoga Dr.Khera’s Institute ka k hum Rikshaw chalak ko bhi physics sikha denge. Sach me yaar aaj kal kaise kaise log bhi Non-Medical me admission le rhe hai”

Vishal gusse se uski taraf badhta hai par Raghav use rok leta hai.. Fir Sandhya vahan se chali jati hai..

Anu vahin ruk kar Vishal ko dekh rhi hoti hai..

Sandhya: Anu, main ja rhi hu iske sath hi chale jana ghar..

Anu: Sorry, Vishal vo thodi.. main chalti hu..Fir Anu ghum k Vishu ki taraf dekhti hai aur use ishara karti hai “Call me.”

Scene change

Vishal aur Raghav Dining table pe baithe hote hai..

Vishal: aaj ka din meri zindagi ka worst din tha..

Raghav: yr tu us baat ko bhul ja, aur chill maar.. tabhi Mona vahan aakar sabji parosti hai..

Vishal: khane me kya hai mom?

Mona: Tinde ki sabji, loki ki sabji, bengan ka bharta, green moong daal, Kaddu ki sabji..

Vishal, Raghav ki taraf dekhta hai: Raghav yaar maine galat kaha tha, main fir se kehta hu “Aaj ka din meri zindagi ka worst din hai and still continues….” Aur fir Vishal uth k vahan se chala jata hai..

Mona: Vishu, khane pe kyn gussa nikaal rha hai.. sun to sahi.. beta Raghav tu hi samjha vegetables se to jaise ise allergy hai..

Raghav: vo aunty thoda mood off main dekhta hu..

Dusri taraf Sec 17 Vegetable Juice shop..

Sandhya order lekar juice serve kar rhi hoti hai..

Tabhi koi customer use bulata hai..

Sandhya: yes sir.

Customer: maine carrot juice manga tha aur ye karele ka juice hai. “Aur vo chilaane lag jata hai” Tabhi Sandhya ko us customer ki jagah Vishal dikhayi dene lag jata hai..

Vishal: tumhe koi kaam bhi karna aata hai? Middle class log..

Sandhya: aaaeeee, tu kya samjhta hai apne aap ko. Teri sari akad nikaal dungi samjha.. nikal yahan se..

Tabhi Aditi juice shop ki manager vahan pe aa jati hai..

Aditi: kya ho rha hai Sandhya?

Tabhi sandhya us customer ki taraf dekhti hai to vo koi aur hota hai..

Customer gusse se: main chala, aise baat ki jaati hai customer se.. huh

Aditi: sir, sorry sir, vo ladki thodi depress hai. Use maaf kar dijiye..

Sandhya sochti hai “vo mujhe kyn dikhayi diya”

Scene change..

Raghav aur Vishal Sec 17 ki market me parking vaali jagah pe khade baat kar rhe hote hai.

Vishal: arey na to Anish aya aur na hi Yashmanyu?

Raghav: maine unhe phone kiya to tha k party me jana hai, aa rhe honge..

Anish: arey tum bulao aur hum na aaye..

Tabhi Anish aur Yashmanyu vahan pe aa jate hai.

Vishal: kya hai yaar? Itna time laga diya..

Tabhi Vishu, Sandhya ko active pe jaate hue dekhta hai..

Vishal sochta hai “yaar ye ladki mujhe har jagah kyn dikhne lag gyi hai. Ye kya ho rha hai?”

Anish: chalo fir chalein.. aur sabhi chale jaate hai.

11th class ka result announce hota hai..

Anu: arey Sandhya congo, tu first aayi hai..

Sandhya: vo shod, ye bta k Vishal pass ho gya?

Anu: Uski badi fikar hai tujhe?

Sandhya: aisi baat nhi hai, mujhe bas ye jan na hai k vo apne aap ko hero samjhne vala pass ho gya ya bas akad nikal gyi..

Anu: Chemistry me reh gya hai vo..

Sandhya khush ho jati hai “yes, ab pta chalega. Bahut samjhta tha na, ab chup chap arts lega.” Kuch dino baad 12th ki class lag rhi hoti hai..

Sandhya aur Anu class me enter krte hai..

Sandhya: main to bahut khush hu, ab sirf deserving candidates hi honge humari class me..

Tabhi vahan pe Vishal aur Raghav class me entry marte hai..

Sandhya, Vishal ko dekh kar hairaan ho jaati hai..

Sandhya: ye nhi ho sakta..

Vishal muskura rha hota hai..

Story back-flash se bahar ati hai..

Yogesh: papa, mujhe ye baat bahut achi lagti hai apki aur mummy ki first meet se lekar apki shadi tak.. hihihi

Vishal: acha bachu, maze le rha hai, mummy papa ki ladaayi se.

Yogesh hasne lag jata hai..

Vishal starts tickling him.. “Shaitaan idhar aa tu”

Yogesh: hahahaha, papa sorry.. hahaha pls.. sorry..

Vishal: tumhari mummy to shocked ho gyi thi mujhe 12th class me promote ho kar dekh kar. Aur vo reaction main zindagi me kabhi bhi bhul nhi sakta.

Story again goes in flash-back.

Sandhya: Anu, ye kaise ho sakta hai, tu to keh rhi thi k vo chemistry me fail ho gya tha.

Anu: haan.. pta nhi kaise promote kar diya?

Fir Vishal, Sandhya k bench k peeche aa kar baith jata hai..

Vishal: ahm ahm, kuch logon ko shock laga ho, to main bta du, Sports kote ki vajha se mujhe 12th class me promote kar diya hai.. Fir Vishal aur Raghav hasne lag jate hai.

Sandhya vahan se uth kar chali jati hai..

Scene change.. Baarish parh rhi hoti hai.

Vishal car me ghar ja rha hota hai tabhi vo dekhta hai k bus stand pe Sandhya aur Anu khade bus ki wait kar rhe hote hai.

Vishal unke samne aakar car rokta hai.

Sandhya use dekh rhi hoti hai.. Vishal: aagar aap chaho to main apko ghar shod sakta hu, vaise bhi baarish bahut ho rhi hai.

Anu jaane lagti hai.. Par Sandhya uska hath pakad leti hai.

Sandhya: agar tu iske sath gayi na, to aage se mere sath na aayio. Anu ruk jaati hai..

Vishal: dekh lo, main to sirf classmate k naate tumhari madad kar rha tha. Baarish jyada bhad gyi to tumhe problem ho jaayegi.

Anu: dekh Sandhya, bure waqt me to gadhe ko bhi baap banana parta hai. Pls maan le, late ho jayenge. Aur tu late ho jayegi job ko.

Sandhya sir hila kar han ka ishara karti hai..

Sandhya aur anu peeche baithe hote hai. Vishal car chala rha hota hai aur Sandhya ki taraf back-view mirror se dekh rha hota hai.. Sandhya ye notice kar leti hai..

Fir Vishal aage dekhne lag jata hai..

17 sec aa jata hai.. Sandhya rukne ko kehti hai.

Vishal: kya hua, tumhara ghar 17 Sec me hai?

Anu: nhi vo ye yahan pe kaam karti hai.. kuch dino se iski active kharab hai to bus me ate jate rehte hai..

Sandhya, anu ko chup hone ka ishara karti hai..

Sandhya car me se utar kar andar shops k niche chali jati hai..

Vishal: thanks to keh dete..

Anu: main keh deti hu na, mera ghar aage 19 sec me hai..

Fir Vishal car chalane lag jata hai..

Vishal: acha to apki frnd yahan kaam karti hai?

Anu: han, juice shop me as a waitress ka.

Vishal: oh, customers ko kaise handle karti hogi? Bade gusse vali mijaaz ki hai.

Anu: oh, vo, nhi aisi baat nhi hai, bahar se thodi gusse vali hai par dil me pyar bahut hai.. lo aa gya mera ghar bhi..

Fir Anu vahan se chali jati hai.. Vishal ghar ki taraf chala jata hai..

Vishal ghar me baitha soch rha hota hai “iska matlab us sham mujhe jab Sandhya dikhi to vo job karke ghar ja rhi thi aur mujhe laga k vo mujhe har jagah dikhne lag gyi hai. haash”

Tabhi Mona kehti hai “khana lag gya hai beta aa jao.” Vishal dining table pe baitha Sandhya k bare me soch rha hota hai..

Mona: arey tumne khana shuru nhi kiya?

Vishal: haan, mom vo main khane hi vala tha.

Fir Vishal khana khane lagta hai to dekhta hai k khane me Loki ki sabji, Karele ki sabji aur bengan ka bharta bna hua hota hai.

Vishal: Mom, ye kya hai?

Mona: Vegetables hai, tum har waqt tennis ki pactice krte rehte ho, vegetables khaoge tabhi energy milegi.

Vishal: mujhe paneer de diya karo, usse bhi energy milti hai.

Mona: ab har waqt paneer thode banega..

Visha uth kar vahan se chala jata hai.

Mona: Vishu, Vishu.. ye ladka din par din ziddi hota ja rha hai.

Scene change.

St. Xaviers school Canteen

Sandhya: Anu, vo Idiot aaj kahi dikhayi nhi de rha.

Anu: kaun idoit?

Sandhya: vahi, Vishal, aaj school nhi aaya kya?

Anu: ahm ahm, kyn uska intezaar ho rha tha.

Sandhya: intezaar, vo bhi us stupid ka, kabhi bhi nhi. Main to aise hi puch rhi thi aaj pura din use dekha nhi.

Anu: vo Delhi gya hua hai, uske matches hai na, isliye pure 1 week k liye.

Sandhya: chalo fir to theek hai, 1 hafte k liye hi sahi uski bhooton vaali shakal to nhi dekhne ko milegi..

Anu uski taraf dekh rhi hoti hai: han, han..

Dusri taraf.. Delhi DPS School.

Ravinder: dekho, Vishal mujhe tum pe pura bharosa tha, ab hum quarter finals tak pahunch gye hai, tum mujhe niraash mat karna..

Vishal: aap chinta mat kijiye main ye match bhi jeetunga..

Fir vishal dressing room ki taraf chala jata hai.. Vishal apne mobile se facebook kholta hai, aur status likhta hai “preparing for quarter finals.. ”

Tabhi vishal dekhta hai k use frnd suggestions me Sandhya ki frnd suggestion aa rhi hai.

Vishal uski profile kholta hai.. to usme uski class k 12 mutual frnds hote hai.

“Hmmm, to ye bhi hai facebook pe, kya karu isko frnd request bhej du, nhi ye meri frnd request thode accept karegi, ulta apne sare frnds k aage shekhi maregi k mujhe to Vishal ne aage se frnd request bheji hai. Main kyn soch rha hu isko frnd request bhejne k liye, mujhe to ye pasand hi nhi hai.”

Vishal fir logout kar deta hai..

Vishal fir sochta hai “Ek kaam karta hu, iski kisi frnd ko apni photo pe tag kar deta hu, news feed me dekh legi mujhe aur agar frnd rquest bhejni hogi to bhej degi. Fir dekh lunga k accept karni hai ya nhi, Baaki mujhe koi fark nhi parta k ye mujhe frnd request bheje ya nhi”

Dusri taraf Sec 17 chd market Juice shop

Sandhya juices serve kar rhi hoti hai aur kuch soch rhi hoti hai..

“aaj pure 3 din ho gye, vo school nhi aya. Kitni achi baat hai kam se kam ab us bewkuf ki shakal to nhi dekhne ko mil rhi. Par uski class miss ho rhi hai aur next month se exam bhi hai, Ek minute, mujhe kya fark parta hai jo marzi kare vo”

Tabhi peeche se Aditi bol rhi hoti hai “Sandhya, Sandhya”

Sandhya khayal se bahar aati hai “Ji, Mam”

Aditi: kab se bula rhi hu vo table number 5 pe Cabbage juice serve kro.

Sandhya: okay mam.

Sandhya juice serve krke counter pe khadi bill kaat rhi hoti hai.

Aditi: sab theek to hai na sandhya?

Sandhya: yes mam.. sab theek hai..

Aditi: acha, kal se dekh rhi hu, kuch na kuch sochti rehti ho. Insaan do hi conditions me itna sochta rehta hai, ya to koi bahut badi tension ho ya fir kisi se pyar ho gya ho. Tension to tumhe koi hai nhi to fir.

Sandhya: nhi mam aisa kuch nhi hai..

Aditi: chalo theek hai, tum counter sambhalo main customers ko dekhti hu.

Sandhya sochti hai “Mam, Pyar ka to pta nhi par Tension jarur hai k kahin pyar na ho jaaye. Sh*t ye kya soch rhi hu main, pyar vo bhi us raakshas se kabhi bhi nhi.”

Scene change..

Sandhya aur Anu, Sandhya k ghar me baithe hote hai. Kavita: beta Anu, tum kab aayi?

Anu: aunty ji abhi ayi thi.

Kavita: acha chalo tum baatein karo main tumhare liye coffee bna kar lati hu.

Sandhya: maa, mere liye mat lana..

Kavita: chalo, Anu tum to peeogi na?

Anu: ji aunty.. Fir Kavita vahan se chali jati hai.

Anu: chal bta mujhe phone karke kyn bulaya?

Sandhya: vo next month se exam shuru hai na, to mujhe internet pe kaam tha, mera internet chal nhi rha aur tujhe pta hai k café kitna mehnga hai.

Anu: acha to phone chaiye tujhe to itna sharmaane ki kya baat hai. Ye le phone.

Sandhya uske phone se google khol k physics ki kuch ppts dekhne lag jaati hai. Tabhi bahar se Kavita ki awaaz aati hai..

Kavita: beta Sandhya, Anu k liye coffee le jaao..

Sandhya, Anu ko kehti hai “tu ja coffee le aa, main zara kaam kar rhi hu.”

Anu: theek hai.. Anu vahan se chali jaati hai..

Sandhya use jaate hue dekhti hai aur fir internet pe facebook khol leti hai. Fir Vishal ki profile kholti hai aur Vishal ki Delhi k tournament vali pics dekhne lag jaati hai.

Sandhya: oh to ye Bandar DPS gya hua hai..

Sandhya uski pics dekh rhi hoti hai. Aur kahin kho jaati hai..

Song starts:

Aayi meri subah hassti hassati, Boli aankhein tere liye sandesa hai, haan hai

Sandhya dekhti hai k uske room k darwaaze par Vishal aakar khada hai. Sandhya uth kar uski taraf jaati hai. Song again starts Jaagi aankhon ka bhi sapna milega, Koi khushi aane ka bhi andesha hai, haan hai

Sandhya use dekhti rehti hai..

Vishal: tumhe meri badi yaad aa rhi hai?

Sandhya: mujhe tumhari koi yaad nhi aa rhi samjhe, vo to tumhara loss ho rha hai study me to soch rhi thi sirf insaaniyat k naate. Vishal: acha, to fir meri pics chup chup k kyn dekh rhi thi.. Sandhya chup ho jaati hai.. Fir Vishal use hug krta hai aur Sandhya bhi use kuch nhi kehti aur Vishal ki aankhon me dekhne lag jaati hai. Song again starts: Aan haaan Gulaabi si subah, Sharaabi si hawa

Dono ek dusre ki ankhon me dekh rhe hote hai aur background music baj rha hota hai. Song again starts:

Bheegi si bhaagi si, Meri baazuon mein samaye Jogi si jaagi si, Koi prem dhun woh sunaye Bheegi si bhaagi si, Meri baazuon mein samaye Jogi si jaagi si, Koi raam dhun woh sunaye

Song ends:

Sandhya, Anu k phone ko gale se laga kar muskura rhi hoti hai..

Anu: ahm ahm..

Sandhya: tum kab aayi?.. aur phone ko bed pe phenk deti hai..

Anu: jab tum Vishal ko gale laga rhi thi.

Sandhya: kya? Kya keh rhi ho? Vishal kahan pe hai yahan pe?

Anu: arey itna kyn darr rhi ho? Bol bhi nhi paa rhi dhang se.

Sandhya: main kyn darru? Maine koi galat kaam thode hi kiya hai?

Anu: han han, pyar karna koi galat thode hai.. fir Anu apna phone uthati hai aur Vishal ki profile facebook pe khuli Sandhya ko dikhati hai.

Sandhya: ye to main aise hi surfing kar rhi thi to uski profile khul gayi.

Anu: oh, to ab pta chala, k mujhe itni raat gye kyn bulaya? Asal me 4 din se Vishal ko dekha nhi na isliye.

Sandhya: kya bakwaas kar rhi hai?

Anu: acha ji.. tabhi anu door ki taraf dekhti hai..

Anu: arey Vishal tum yahan kaise?

Tabhi Sandhya ghum k dekhti hai par koi nhi hota..

Sandhya: Anu ki bachi tu to gayi aaj.. fir Anu bhagne lag jaati hai aur Sandhya uske peeche..

Kuch dino baad..

Vishal aur Raghav baat kar rhe hote hai.. Vishal: yaar bahut dino baad school ja rha hu.

Raghav: arey tension mat le, vaise bhi next month se exam shuru hai.

Vishal: kya? Aur tu keh rha hai k tension na le.

Raghav: arey vaise aaj chemistry lab hai.. jaldi chal nhi to chemistry teacher bolegi..

Chemistry lab..

Sapna: to bacho aaj hum Non-organic substances ki testing karnege by EDTA method.

Sabhi experiment karna shuru kar dete hai..

Vishal: excuse me mam, maine pichli labs nhi lagayi thi.

Sapna: acha tumhare to matches chal rhe the koi nhi… hmmm arey Sandhya yahan ana..

Sandhya vahan pe aati hai aur Vishal koi dekhti hai.. Vishal bhi Sandhya ko dekhne lag jata hai..

Sapna: ise bta do..

Sandhya: aao, vaise bhi ise chemistry lab kehte hai tumhe to pta hi hoga?

Vishal: thankyou mam, aap ko to bahut knowledge hai..

Sandhya use HCL acid ko beaker me daalna sikha rhi hoti hai, aur Vishal use dekh rha hota hai k achanak se Vishal ko thandi thandi hawa ka ehsaas hone lag jata hai, sabhi log slowmotion me chalne lag jate hai.

Vishal ko Sandhya ki awaaz sunaayi nhi de rhi hoti sirf uski lipsing dikhayi de rhi hoti hai.

Sandhya: to aise karna hai , samjh aa gya?

Vishal hairaan ho kar: haan, haan..

Fir Vishal sochta hai “ye kya hua mujhe, maine kuch suna kyn nhi?”

Vishal HCL, ko beaker me bhar rha hota hai k achanak se usse acid gir k uske hath pe gir jata hai.

Vishal: sh*t..

Sandhya dekh leti hai.. aur uske hath ko lekar running tap k niche rakh deti hai..

Fir Vishal aur Sandhya ek dusre ko dekhne lag jaate hai, aur ye sab Raghav dekh leta hai aur muskurane lag jata hai..

Sandhya uska hath shod deti hai..

Scene change..

Ghar me Vishal aur Raghav baithe baatein kar rhe hote hai.. Raghav: vaise aaj to bade experiments ho rhe the, chemistry k, kyn?

Vishal: oye yaar chup baith, bina matlab ki baatein mat kiya kar..

Raghav: main to bas ye hi keh rha hu k kuch to hai jo tu mere sath sath apne aap se bhi chupa rha hai..

Vishal uski taraf dekhne lag jata hai

Backvoice of Vishal “Mujhe ye to ehsaas ho gya tha, k kuch to galat ho rha tha mere sath, par ye yakeen nhi ho rha tha k pyaar hone lag gya hai mujhe, vo bhi usse jiske bare me main kabhi soch nhi sakta tha.”

Some months later..

12th pre-board exmas se 2 weeks pehle..

Sandhya aur Anu school park me baithe hote hai.

Anu: yaar, tu mujhe apne notes de dena, meri koi tyari nhi hai, physics me to main fail hi ho jaaungi. Upar se Vice-principal ne kaha hai k jo pre-boards clear nhi karega use final exmas k admit card nhi diye jaayenge.

Sandhya: arey tension na le, main tujhe parha bhi dungi.

Anu: han, yaar main kal se tere ghar rehne aa jati hu.

Sandhya: no problem. 

Anu: vaise tujhe pta hai us vishal ko shayad is baar roll number na mile, uski mom ko maine Principal k sath baat karte hue dekha tha, Principal keh rha tha k vo bhi majboor hai par board ki class hai isliye Vishal ko pre-boards clear karne hi honge.

Sandhya sochne lag jaati hai fir ek dam se bolti hai “tu na uski baatein mat kiya kar mere samne, vaise bhi vo fail ho ya pass mujhe kya lena dena, aur vaise bhi uski hi galti hai, jab Non-Medical nhi chal sakta tha usse to ye stream li hi kyn?”

Anu: mujhe to bahut taras aa rha us par.

Sandhya: acha, itna hi taras aa rha hai na to ja aur use parha de..

Anu: yar, tu to bura maan gyi, chal shod hum raat se parhna shuru kar denge.

Next day Sec-17 Market..

Sandhya apni manager Aditi se baat kar rhi hoti hai..

Sandhya: mam, next to next week se mere pre-boards hai to main kal se job pe nhi aa paungi..

Aditi: koi baat nhi, mann laga kar padhna..

Sandhya orders lene lag jaati hai.. Thodi der baad Sandhya counter pe khadi kuch soch rhi hoti hai..

Sandhya “pta nhi us hero ki aka dab nikal gyi hogi ya nhi. Par uski mom ko us bewkuf ki vajha se principal k aage request karni padi, bada hi stupid hai. Par agar vo pass na hua to uska future kaharb ho jaayega. ”

Aditi: Sandhya, Sandhya..

Sandhya: ji mam.

Aditi: vo customer kab se cucumber juice maang rha hai aur tum use sun hi rhi..

Sandhya: ji abhi jaati hu..

Aditi: pta nhi kin khayalon me khoyi rehti hai aaj kal..

Raat k 9 baje..

Sandhya lights off karke shop band kar rhi hoti hai k tabhi Aditi use bulati hai..

Sandhya: ji mam..

Aditi: vaise kal se to tum leaves pe ho pure one month k liye.

Sandhya: yes mam.

Aditi: to jate jate ek baat to bta do?

Sandhya hairaan ho kar: kaisi baat?

Aditi: maine tumhe pehle bhi kaha tha, insaan itni soch me duba sirf do conditions me rehta hai. Ek use koi tension ho ya fir use kisi se pyar ho gya ho? Tumhara kya hai?

Sandhya: kuch bhi nhi hai mam, chalo chale late ho gye hai.

Aditi: dekho tumhari manager hone k sath sath tumhari frnd bhi hu. Btao kya baat hai..

Fir Sandhya aur Aditi chairs pe baith jaate hai..

Dusri taraf ghar me Vishal aur raghav baithe hote hai..

Vishal: yar, mumy se mujhe aaj bahut daant parhi..

Raghav: tu tension na le, main tujhe parhaunga aur tu pre-boards clear bhi karega..

Vishal: please yaar tu is waqt me to mazaak na kar. Mujhe pta hai k tu khud to ro ro k pass hota hai. Mujhe kya khaak paraeyga.. chal rehne de.. vaise bhi raat hone lag gyi hai tu ab ghar ja.

Raghav: tu tension na liyo main kuch na kuch krta hu.

Dusri taraf juice shop me Aditi: oh to ye baat hai..

Sandhya: hmm, us hero ne akad me to le li non-med but uske pass hone k laale pade hue hai.

Aditi: aur tumhe isse koi fark nhi parta, right?

Sandhya: haan, main to bas insaaniyat k naate uski madad karna chahti hu.

Aditi: acha, matlab tujhe usse nafrat hai, but sirf insaaniyat k naate tum uski madad kana chahti ho.

Sandhya: haan..

Aditi: hmmmm, kaafi acha khayal hai.. aur tum ye bhi nhi chahti k use pta chale k tum uski help karna chahti ho.

Sandhya: exactly..

Aditi: mere pass ek idea hai.. fir Aditi use idea btaane lag jaati hai..

Sandhya: thankyou mam..

Aditi: oh c’mmon.. ab to mujhe aditi keh sakti ho.. fir Sandhya vahan se chali jaati hai..

Aditi: hash, bechari ko pta hi nhi hai k ise pyar ho gya hai.. 

Scene change..

Anu aur Sandhya parh rhe hote hai. Anu parhte parhte so jaati hai..

Sandhya, Anu ko check krti hai k vo so rhi hai ya nhi fir uske phone se facebook khol leti hai..

Anu ka account pehle se hi log-in hota hai.

Sandhya uske account se Vishal ko message karti hai.

Vishal k phone pe message ata hai..

Vishal: arey anu mujhe kyn message kar rhi hai?

Anu k account se Sandhya message likhti hai “acha suno main tumhe kuch attached files bhej rhi hu physics aur maths ki, ye parh lo ye hi important topics hai aur inme se hi exams aayega. Agar koi doubt hua to kal raat ko 11:00PM k baad mujhe msg kar dena.”

Vishal message type karta hai “tum meri help kyn kar rhi ho? Tum to sandhya ki frnd ho na”

Anu ka reply ata hai “class mate hone k naate tumhari help kar rhi hu, notes parh lena aur doubt hue to kal raat 11 baje k baad msg kar dena, usse pehle mat karna kynki sandhya sath me hoti hai.”

Vishal: Thanks.. Thankyou very much. 

Sandhya use files bhej deti hai aur fir logout karke phone band kar deti hai. Next day

Vishal parh rha hota hai, aur mona use parhte hue dekh rhi hoti hai..

Mona: shukar hai, isne kitaabon ko to hath lagaya..

Raghav, Vishal ko phone karta hai.

Raghav: kya kar hai bay?

Vishal: physics parh rha hu..

Ye sunte hi raghav k hath se phone choot k zameen par gir jata hai aur uska phone toot jata hai.

Vishal: hello, hello.. lagta hai gash kha k gir gya.. hihihi..

Dusri taraf Sandhya, Anu k sone baad Vishal se facebook pe chat kar rhi hoti hai aur use sare topics samjha rhi hoti hai.

Some days later..

Vishal sochta hai “Next week se exam shuru hai, chalo thoda bahut to likh hi dunga ab main paper me, aur us sandhya ki bachi ko to heart-attack hi aa jayega. hahaha”

Vishal raat ko roj 11 baje k baad anu k aacount se study kar rha hota hai par use ye pta nhi hota k Sandhya hi use parha rhi hai..

Pre-boards k exam aa jate hai..

On the day of Mathematics exam.. Sabhi bache exam dekar exam hall se bahar nikalte hai

Raghav: yar, paper to bahut phaadu tha..

Vishal: kahan yaar, theek tha, mujhe integeration by parts vala 6 marks ka to pura question ata tha, uske baat vo trigonometric equations bhi easy hi thi..

Vishal boli ja rha hota hai aur Raghav hairaan ho kar uski baat sun rha hota hai..

Raghav: Vishal, tu theek to hai na. Doctor ko dikhaya tune?

Vishal: bakwaas mat kar yaar..

Raghav: sachi bta koi aladin ka chiraag hath me lag gya hai kya?

Tabhi vahan se Sandhya aur Anu ja rhe hote hai..

Vishal zor se bolta hai: aaj ka maths ka exam to bahut hi easy tha.. wow maza aa gya..

Sandhya use dekhne lag jaati hai..

Scene change.. Vishal raat ko anu se chat kar rha hota hai “Yaar aaj to paper acha ho gya, upar se tumhari frnd Sandhya ki to shakal dekhne vaali thi.. maza aa gya”

Anu ka reply aata hai “jyada khush mat ho ji, parso Chemistry ka exam hai. Uski tyari kar lo  maine tumhe notes bhej diye hai”

Back-voice of Vishal “is tarah tumhari mummy meri help kar rhi thi aur mujhe pta bhi nhi tha, aur main use hi neecha dikhane ki koshishkar rha tha”

After exams.. Result announce hota hai aur Vishal ko B+ grade milta hai..

Raghav hairan ho jata hai..

Raghav: yaar tune to kamaal hi kar diya, ye kaise kiya tune?

Vishal: bas.. tabhi Vishal, Anu aur Sandhya ko canteen me baitha dekh leta hai..

Vishal: raghav chal mere sath.

Raghav: kahan?

Vishal: tu chal to sahi.. fir vishal aur raghav canteen me aa jate hai..

Vishal, Anu aur Sandhya k pass jata hai..

Vishal: thankyou Anu..

Anu: kaun si baat k liye thankyou?

Vishal: arey koi baat nhi Sandhya se darne ki kya jarurat hai? Bta do ise k tumne mujhe padhaya tha.

Anu: kya keh rhe ho?

Sandhya ko pta chal jata hai k uski pol khulne vaali hai..

Sandhya: chalo anu, mujhe ghar jana hai..

Anu: vo to theek hai, par ye vishal mujhe aisa kyn keh rha hai?

Vishal: arey main samjh sakta hu anu, tumhe acting karne ki koi jarurat nhi, main hu na. Bta do is nakchidi ko k tumne mujhe padhya tha.

Anu: kya keh rhe ho vishal, maine tumhe kab padhaya? Kyn meri aur sandhya ki ladayi karva rhe ho?

Vishal: kya matlab to tumne mujhe fb pe notes nhi bheje the aur Gtalk pe mere doubts clear krti thi.

Anu: maine kab tumse chat ki?

Sandhya: arey hum late ho gye hai, is stupid ki baatein kyn sun rhi ho? Chalo yaha se.

Tabhi anu ko yaad ata hai k uske sone k baad kabhi kabhi Sandhya uska phone use karti hoti thi. Anu: ek minute vishal tumse main chat 10 ya 11 baje k baad karti thi kya?

Vishal: arey haan, 11 bje k baad baat karti thi.

Sandhya: arey, chalo Anu hum late ho jayenge.

Anu: lagta hai tumhe galatfehmi hui hai vishal, tumhe maine nhi padhya tumhe Sandhya ne padhaya hai.

Vishal fir Sandhya ki taraf dekhne lag jata hai.

Sandhya usse nazarein churaane lag jaati hai.

Vishal: oh to vo tum thi, tum mujhe pass karva k saabit kya karna chahti thi..

Sandhya vahan se jaane lagti hai tabhi Vishal uska hath pakad leta hai..

Sandhya: please mera hath chod do, sabhi log dekh rhe hai.

Vishal: tumne meri help kyn ki?

Sandhya: mujhe teri mom pe taras aa gya tha isliye help ki.,

Vishal: acha, ek dam se itni insaaniyat kahan se jag gyi. Fir Vishal aur Sandhya ek dusre ki taraf dekhne lag jaate hai..

Vishal: pyar to nhi hone lag gya mujhse…

Sandhya apna hath shuda k vahan se bhag jaati hai.

Vishal use jaate hue dekh rha hota hai..

Song starts:

Aa..a..a.. Teri shirt da main ta, Button soniye.. soniye (Soniye..)

Vishal school k park me Sandhya ko chalte hue Sandhya ki uniform ki shirt ka button dekh rha hota hai Song starts:

Haye teri shirt da main ta, Button soniye..

Fir Vishal Sandhya k sir pe lage clip ko dekhta hai. Song again starts:

Baalon ka tere main haye, Clip ho gaya Teri shirt da main ta, Button soniye Baalon ka tere main haye, Clip ho gaya

Sandhya, Vishal ko notice kar rhi hoti hai aur vahan se chali jaati hai..

Chand se bhi zyada sona, Mukhda tera Haye dekhte hi dil ye, Slip ho gaya

O mar gaye yaar deewane O tere lover purane O die heart fan tere hain Tuhi kadar na jaane

Song ends:

Vishal, Sandhya ka peecha krte hue uski juice shop me chala jata hai..

Vishal: waiter..

Sandhya vahan pe aati hai: yes sir.

Sandhya fir Vishal ko dekhti hai..

Sandhya: tum yahan par..

Vishal: mujhe yahan ka special juice do.

Sandhya: tumhe pta bhi hai, yahan ka special juice kaun se flavor ka hai?

Vishal: koi bhi ho bas aap le aayie. Respect karo customer ki.

Sandhya vahan se chali jaati hai..

Vishal, use juice banaate hue dekh rha hota hai..

Sandhya juice laakar use serve karti hai..

Vishal juice ko dekhta hai to juice ka color green hota hai..

Vishal sochta hai “jarur kache aam ka juice hoga.”

Vishal juice peeta hai to achanak se uski aankhon me paani aa jata hai.

Vishal mushkil se juice ko gatakta hai..

Vishal: excuse me.

Sandhya: yes sir.

Vishal: ye kiska juice tha?

Sandhya: karele ka..

Vishal: kya? Sandhya: yahan ka special juice yehi hai karela with extra black salt.. apko nhi pta sir, this is a vegetable juice shop.

Backvoice aati hai “Oh sh*t..”

Sandhya: sir special juice acha nhi laga?

Vishal: nhi bahut acha hai..  excuse me..

Vishal washroom ki taraf jaata hai..

Vishal, Sandhya ki taraf dekh kar muskurata hai aur kehta hai “vo juice piya na abhi, to thoda urgent hai, hehehe, aya main”

Washroom me vishu vomit pe vomit kar rha hota hai.. fir Vishal mirror ki taraf dekhta hai..

Vishal: aisa laga k kisi ne zeher pila diya ho..

Fir Vishal washroom se bahar ata hai..

Sandhya use dekh rhi hoti hai aur muskura rhi hoti hai..

Vishal: kitna bill hua?

Sandhya: arey sir aapne juice to pura piya nhi.

Vishal: nhi bas theek hai, aap bill btaayie.

Sandhya: arey kya keh rhe hai aap? Bill to baad me bhi le lenge aap juice to pijiye special juice hai.

Tabhi peeche se Aditi bolti hai.

Aditi: kya hua Sandhya?

Sandhya: dekhyie na mam, sir juice nhi pe rhe?

Aditi: arey vo to customer k upar hai. Sir aap bill de dijiye..

Vishal: han, main bhi vohi keh rha tha..

Sandhya: oh ho sir, aapko juice acha nhi laga mujhe bahut bura laga..

Vishal: aisi baat hai.. ek minute..

Fir Vishal juice k glass ki taraf dekhta hai..

Backvoice “Kar chale hum fida jaan-o-tann sathiyon Ab tumhare hawale watan sathiyon”

Aur Vishal sara glass pe jata hai..

Sandhya ye sab dekh kar hass rhi hoti hai.. Vishal bill pay karke chala jata hai.

Sandhya table saaf kar rhi hoti hai..

Aditi: Vishal tha na vo?

Sandhya: kya mam? Apko kaise pta chala..

Aditi: bas, tumhari hasi itna bada clue thi.

Sandhya: mujhe follow kar rha tha, ab kabhi bhi nhi karega.. 

Aditi sochti hai “hash, tum ye mano ya na mano, tum ye hi chahti ho k vo tumhe follow kare.”

Dusri taraf ghar me.. Vishal toilet me vomiting kar rha hota hai..

Raghav: hua kya, kahin beer to nhi pe?

Vishal: agar vo pe hoti to vomit na kar rha hota..

Raghav: to fir?

Vishal: kuch nhi..

Backvoice of Vishal “tumhari mom ko milne k baad mera pehla experience itna ganda tha, ki mera pyar se vishwaas uth gya tha. Log kehte hai k pyar me bahut mithaas hoti hai, par mere case me bahut kadvahat thi.”

Is tarah kayi din beetne lag jaate hai aur Vishal, roj Sandhya ki vegetable juice shop me aakar kabhi kadu, cucumber, cabbage, carrot to kabhi karele ka bhi juice peene lag jata hai.

Aditi sochti hai “jo juice 50 ki umar se upar vale log peete hai bechara is umar me pe rha hai hash ye pyar bhi bahut dard deta hai”

Scene change.

Vishal ghar me dining table pe baitha khana kha rha hota hai aur Mona use hairaan hokar dekh rhi hoti hai.

Vishal: kya hua mom aise kyn dekh rhe ho?

Mona: tumhe kya ho gya hai? Tumhe pta hai ye bengan, karele aur tinde ki sabji hai..

Tabhi Vishal ek dam se ruk jata hai.

Vishal: hmmmm, haan vo mujhe pta hai mom, par vegetables se hi to sehat banti hai aapne kaha tha. Aur vaise bhi aapko main bahut tang karta hu na.. Fir vishal khane lag jata hai..

Mona badi hairaani se uski taraf dekh rhi hoti hai..

Raat ka samay hota hai..

Mona, Raghav ko phone karti hai..

Raghav: nhi aunty.. vo ek dam theek hai..

Mona: sach me na..

Raghav: hanji aunty ji..

Backvoice of Vishal “meri mom aur mere dost ko ye to ehsaas hone lag gya tha k kuch galat ho rha hai mere sath, par ye ehsaas nhi hua k mujhe pyar hone lag gya hai”

Dusri taraf Anu aur Sandhya baithe baat kar rhe hote hai.

Anu: kya keh rhi hai? Vo tujhe stalk kar rha hai?

Sandhya: han, roj aa jata hai shop me. Ghatiya se ghatiya juice order karke peeta rehta hai.

Anu: pyar ho gya hai tujhse.. 

Sandhya: chii, us Bandar ko to main kabhi ghans bhi na daalu..

Anu: to main kaun sa keh rhi hu use ghans daalne ko, use apna dil daal de.. hihihi

Sandhya: ruk anu ki bachi…

Dusri taraf Vishal sec-17 me juice shop se bahar nikalta hai to Uska frnd Anish use dekh leta hai..

Raghav phone pe kisi se baat kar rha hota hai..

Raghav: acha, theek hai anish tune bta diya ab main us vishal ko pakadta hu..

Scene change..

Vishal aur Raghav uske room me baithe hote hai..

Vishal: arey main to Sec-17 vaise hi shopping karne gya tha.

Raghav: han bhai, cha lab jaldi bta k Sandhya ka peecha kyn kar rha hai?

Vishal: kya keh rha hai? Main us nakchidi ka peecha kyn karunga? Raghav: jyada ban mat, anu ne bta diya mujhe sab kuch aur vaise bhi tu aaj kal badi vegetables khane lag gya hai aakhir maamla kya hai?

Vishal: kuch bhi nhi hai, fir vishal vahan se chala jata hai..

Backvoice of Vishal “Mujhe ye pta chal gya tha k koi to cheez hai jo mujhe Sandhya k pass kheech rhi thi, par vo pyar tha ye pta nhi chal rha tha. Din beet de gye, 12th board clear kal li maine par sirf 65% se ”

Some weeks later..

Rayat&Bhara college Kharar..

Sandhya counseling k liye aayi hoti hai aur phone pe kisi se baat kar rhi hoti hai..

Sandhya: Anu ki bachi, tune to IET Bhaddal college me admission le li, aur main akeli reh gyi mujhse baat mat kariyo ab.

Anu: arey baat to sun, meri %age itni nhi thi, isliye majboori me leni padi admission vaise teri counseling ho gyi?

Sandhya: nhi bas chal rhi hai..

Fir Sandhya sochti hai “pura ek mahina ho gya, Vishal ki koi khabar hi nhi, vo pass to hi gya tha, shayad tournament pe gya hoga. Usne shayad admission nhi leni hogi. Ek minute main uske bare me kyn soch rhi hu, mujhe kya mujhe to apna future bnana hai.”

Dusri taraf Vishal, Raghav se baat kar rha hota hai.

Vishal: please bta de..

Raghav: pehle admit kar k tujhe usse pyar ho gya hai.

Vishal: yaar theek hai mat bta.

Raghav: acha yaar, gussa mat ho, vo Rayat&Bhara gyi hai admission lene k liye, jab use admission mil jayegi tujhe bta dunga.

Vishal: hmmmm, ok..

Backvoice of Vishal “kismet k bahane se nhi, apni khud ki zidd ki vajha se main usse milna cha rha tha, aur apne aap se hi jooth bol rha tha k jab usse milunga to yehi kahunga k what a coincidence!” 

College ka 1st Semester shuru ho jata hai.. Sandhya ka pehla din hota hai college me, aur vo thodi sehmi hui class ki taraf ja rhi hoti hai.

Peeche se kisi ladke ki awaaz aati hai..

“Excuse me New Admission?” Sandhya ruk jaati hai.. Vo ladka uske pass ata hai..

Sandhya sochti hai “please ragging na ho, please God…”

Vo ladka Sandhya k saamne ata hai..

Vo ladka kehta hai: daro mat main sirf intro lunga, yahan ragging banned hai..

Sandhya us ladke ki taraf dekhti hai..

Vo ladka kehta hai “Mera naam Sagar Chauhan hai, main 2nd year ka student hu. Aap bhi apni intro de do.”

Sandhya: maine abhi admission li hai, Mera naam sandhya hai, maine 19-c sec St.Xavier se schooling ki hai.

Sagar: acha, vaise humara college kaisa laga?

Sandhya: abhi tak to thk laga..

Sagar: abhi tak se kya matlab? Ab humse milne k baad bura lagne lag gya hai?

Sandhya: nhi nhi aisi baat nhi hai.

Sagar: acha ji, fir kaisi baat hai?

Sandhya: nhi sir, aisi koi bhi baat nhi hai.

Sagar: call me Sagar, Sir se meri umar 6-7 saal badh jaati hai aur main to sirf 1 saal hi aage hu tumse..

Sandhya muskurati hai..

Sandhya: ji D wing pta hai aapko, 1st year ki class vahin pe lag rhi hai..

Sagar: haan haan, kyn nhi chaliye main bta deta hu..

Fir Sandhya class me chali jaati hai. Sagar use dekh rha hota hai..

Sagar sochta hai “Aaj tak maine kisi ko bhi choda nhi, har fresher ki ragging li hai, par iski ragging nhi le paya.” Tabhi peeche se uske kuch frnds aa kar use kehte hai..

Sachin: abbey sale, ye kya kiya uski ragging kyn nhi li?

Dinesh: haan bol be, use kyn chod diya?

Sagar: rehne de na, uski koi bhi ragging nhi lega.

Sumeet: par kyn uski raaging kyn nhi leni.. Sagar: tere ko samjh nhi ata Sumeet, jab bol diya k nhi to bas nhi.. Fir Sagar, Sandhya ko class me baitha dekh rha hota hai..

Sandhya class me jaakr baith jaati hai..

“Hi, My name is Sarika. Mere sath baith jaao.”

Sandhya: oh, hi I am sandhya..

Sarika: class dhoondne me koi problem to nhi hui.

Sandhya: yahan k senior bahut ache hai, mujhe class tak ka rasta bta diya..

Sarika hairaani se hokar uski taraf dekhti hai..

Fir Sarika ko kuch yaad ata hai..

Sarika college me aa rhi hoti hai..

Sumeet aur Sachin bolte hai “Kahan ja rhi ho madam? Intro to dijiye.”

Sarika: main, complaint kar dungi.

Tabhi peeche se koi ladka bolta hai “kariye complaint hum bhi dekhte hai k kaun suntan hai aapki complaint? Sagar ko koi kuch keh nhi sakta”

Scene change..

Song chal rha hota hai aur Sarika uspe dance kar rhi hoti hai.

“mere haathon mein nau-nau choodiyaan hain, thodaa thahro sajan majbooriyaan hain”

Sabhi whistle karne lag jaate hai..

Sandhya: Sarika, Sarika…..

Sarika ghabra kar: haan, kya?

Sandhya: kahan kho gayi thi?

Sarika: nhi nhi kahin nhi.. to tujhe seniors ne kuch nhi kaha..

Sandhya: haan, kyn kehna chayie tha unhe kya?

Sarika: haan..

Sandhya: kya? Sarika: mera matlab kuch nhi.. Sagar, Sandhya ko class me ladkiyon se baatein karte hue dekh rah hota hai..

Backtuning chalti hai..

“Kaun hai kaun hai, jo chamke hai bijli jaise”

Sagar use khush dekh kar muskura rha hota hai.. tuning again starts..

“Kaun hai kaun hai, jo damke hai bijli jaise”

Tuning stops..

Peeche se koi ladki bolti hai..

Samiksha: ahm ahm, kya hua Sagar?

Sagar: kuch bhi nhi..

Samiksha: kya kuch bhi nhi, Dinesh se baat hui thi meri, bada shareef bana ja rha hai.

Sagar: arey vo form bharne the supply k main aya abhi..

Samiksha use dekh rhi hoti hai aur Sagar vahan se chala jata hai..

Dusri taraf Sandhya, Sarika se baat kar rhi hoti hai.

Sarika: tumhari kisi frnd ne admission nhi li yahan pe?

Sandhya: meri ek hi khass frnd thi par usne Bhaddal me admission le li..

Sarika: oh, koi aur? Sirf ek hi khass thi pure schooling me.

Tabhi Sandhya ko Vishal ki yaad aati hai k kaise Vishal aur uski ladaayi hoti rehti thi, kaise usne vishal ko padhaya tha, kaise vishal uske peeche peeche uski juice shop tak aa gya tha. Fir kaise usse milne k liye vo roj uski juice shop pe aane lag gya tha.

Sarika: hello..

Sandhya: haan..

Sarika: ab tum kahan kho gyi?

Sandhya: kahin nhi.. bas aise hi..

Sarika: acha fir tumne btaya nhi k koi aur nhi aya tumhare sath yahan pe.

Sandhya: kya fark padta hai.. Ek frnd thi vo to aayi nhi..

Fir Sandhya sochti hai “aur vo kabhi yahan aayega nhi, kynki use pta bhi nhi hai k main is waqt kahan hu” Tabhi class me Vishal aata hai.. Sandhya use dekhti reh jaati hai..

Class me saari ladkiyan use dekhne lag jaati hai..

Ek ladki kehti hai “Wow, Heart throb?”

Dusri ladki kehti hai “Oh God, Dapper!”

Sandhya sochti hai “Lo, ise yaad kar rhi thi aura b ye dikhne bhi lag gya hai, pta nhi meri yaadon se chala kyn nhi jata.”

Tabhi Sandhya class ki taraf dekhti hai to class ki saari ladkiyan Vishal ki taraf dekh rhi hoti hai..

Sandhya hairaan ho jaati hai “hain, ye saari ladkiyan vishal ki taraf kyn dekh rhi hai, kya sach me nhi nhi, aisa nhi ho sakta”

Sandhya tabhi Sarika ko puchti hai..

Sarika bhi Vishal ko dekh rhi hoti hai..

Sandhya: Sarika, kya tujhe Door pe Vishal dikhayi de rha hai..

Sarika khoyi khoyi awaaz me kehti hai: Vishal kaun hai, mujhe to door pe ek se*y, handsome aur Dashing ladka dikhayi de rha hai.

Sandhya fir door ki taraf dekhti hai to Vishal vahin pe khada use dekh kar muskura rha hota hai.

Sandhya: no, no ye yahan par bhi.. nhiiiiiiiiiiiiii…

INTERMISSION

Train Godhra Station pe aakar rukti hai..

Yogesh: papa, fir mummy jab tension me aa gyi thi, fir kya hua?

Vishal: acha, vo shod aur ye bta k kuch khayega?

Yogesh: hmmm. Coldrink le lo..

Vishal: acha, chal main lekar ata hu..

Fir Vishal aur Yogesh compartment me baithe hote hai..

Yogesh: acha btaao na papa, aage fir..

Vishal: hahaha, vo reaction to main zindagi bhar nhi bhool sakta. Tumhari mummy k chehre pe 12 baje hue the.. Vo mujhe aise dekh rhi thi jaise main koi jung lad k vapis ghar aya hu..

Story goes in flash-back..

Sandhya ka muh khula ka khula aur aankhein fati ki fati reh jaati hai..

Vishal uske sath vale bench pe aakr baith jata hai..

Sarika: OMG, Sandhya ye to humare sath vale bench pe aakar baith gya.

Sandhya koi response nhi deti jaise use saanp soongh gya ho.

Sarika: kya hua?

Sandhya koi response nhi deti..

Vishal, Sandhya ko kehta hai: ahm ahm, apke pass pen hoga..

Sandhya vahan se uth kar chali jaati hai.

Jaate hue sandhya khush ho rhi hoti hai.

Sandhya: bhagwaan se maine to aise hi kaha tha, aap to great ho God ji..

Fir Sandhya sochti hai “ye main itni khush kyn ho rhi hu, mujhe to dukhi hona chayie, main to ye hi chahti thi k vo mujhe kabhi bhi na mile, par ab use dekh kar main khush kyn hu? Ye mujhe kya ho rha hai? Ek taraf mujhe usse dur jana hai aur ek taraf main uske aane ka bhi intezaar kar rhi hu. Mere sath aisa kyn ho rha hai”

Dusri taraf Sec-17 Vegetable juice shop.

Aditi: matlab ab se tum yahan pe kaam karne nhi aaogi?

Sandhya: ji mam. Actually mujhe college se hi sham ko 5 baje chutti hogi, to main yahan pe time devote nhi kar paungi. Aditi: jaise tumhe theek lage. Main tumhari aaj tak ki salary tumhe de deti hu. Ek minute ruko..

Scene change..

Vishal aur Raghav ghar me baithe baatein kar rhe hote hai..

Vishal: hahaha, uske chehre ka reaction dekhna tha, maza aa gya..

Raghav: vo to sab theek hai, par sirf use tang karne k liye gya tha college?

Vishal: haan.. aur kya mujhe to abhi tak hassi aa rhi hai..

Raghav: hmmm, ye jooth kisi aur k saamne bolna theek hai. Itne saare colleges me se tujhe sirf ek hi college mila tha kya jisme vo parhti hai. Sach to ye hai k tu uske sath rehna chahta hai.

Vishal: shod yaar, chal bahar ghumne chalte hai.

Raghav, Vishal ko notice kar rha hota hai..

Backvoice of Vishal “sach to ye tha k main use dekhe bina nhi reh sakta tha, par ye sach main kisi ko bta nhi sakta tha”

Sandhya aur Anu ghar me baithe hote hai..

Kavita: arey beta Anu tum kab ayi?

Anu: ji aunty abhi aayi thi.. aap kaise ho?

Kavita: bas theek hu, ab ek hi tension hai, Sandhya aur tum alag ho gye, ab ye akeli college kaise ja rhi hai, mujhe bahut tension hoti hai.

Anu: arey hum aaj k zamaane ki ladkiyan hai, aap tension mat lo aunty.. Bahut frnds bna lenge hum.

Sandhya: haan, mom aap jao humare liye coffee bna kar laao.

Kavita: theek hai beta..

Anu: haan Sandhya bta kyn bulaya mujhe?

Sandhya: yaar aaj college me pta kya hua?

Anu: kya hua?

Sandhya: vo idiot mera peecha karte karte mere college me aa gya hai. Usne vahan pe admission le li hai.

Anu: kaun idiot?

Sandhya: Vishal.

Anu: oh, par kya pta itefaaq se usne bhi same college me admission li ho, tu bechaare pe aise hi ilzaam lagayi ja rhi hai. Sandhya: mujhe pta hai, vo jaan bujh kar mere college me aya hai.. koi itefaaq nhi hai.

Anu: acha, chal shod, uske peeche kyn tu apna mood kharab kar rhi hai.

Sandhya: huh, mujhe koi fark nhi parta vo kya karta hai ya kya nhi karta hai..

Anu: acha vaise teri close frnd hone k naate bta du. Agar tu mujhse 2 ghante baat karti hai to usme se kam se kam 1 se 1 ½ ghanta tu uski hi baatein karti hai.

Sandhya chup ho jati hai.. tabhi peeche se Kavita ki awaaz aati hai “Bacho coffee ban gyi hai aa jao”

Sandhya ghabra kar: chal anu, coffee peene chalte hai, ok, chal..

Anu use dekh rhi hoti hai “Ab mujhe bahut taras aane lag gya hai tujh par.. pta nhi kitna jooth bolti rahegi apne aap se”

Sec 34-D Chandigarh

Anish, Yashmanyu ki side pe bike pe baithe kisi ki wait kar rhe hote hai. Tabhi vahan pe Vishal aur Raghav aa jaate hai..

Anish: kya baat hai Vishal, 1st year me ho gya londa.. 

Vishal: haan yaar, saali aaj pehli class thi ab parso mujhe Andhra Pradesh jana hai tournament k liye.

Yashmanyu: tabhi to tujhe aaj bulaya hai..

Vishal: kyn?

Anish: dekh party to banti hai, parso tu nationals khelne ja rha hai AP. Upar se tujhe B.tech me admission mil gayi CSE branch me vo bhi sports kote se..

Vishal: sports kote se kya matlab hai tera..

Anish: acha bhai gussa mat ho.. sorry bas..

Raghav: aur kya lado mat. Chal vishal chale..

Vishal: par jana kahan hai? PVR Chalte hai movie dekhne..

Yashmanyu: pagal ho gya hai. Ab hum college me ho gye hai.. PVR to bache jaate hai party k liye..

Vishal: to peene ka irada hai..

Anish: nhi be.. panchkula se aage hai ek jagah, Bahut maza aayega..

Vishal: main samjha nhi..

Yashmanyu: arey bahut bhola hai.. Ab hum bade ho gye hai to kuch bado vale kaam bhi karne chayie na..

Vishal: paagal ho gye ho kya? Main Brothel nhi jaunga.. Raghav: dekh yaar chalte hai.. Duniya jaati hai..

Vishal: main khaane pilaane ki party de dunga, par vahan nhi jana humne..

Raghav: siddha keh de k Sandhya se pyar ho gya hai isliye nhi ja rha.

Vishal: Sandhya ki parvaah nhi karta main, samjha. Chalo fir..

Anish aur Yashmanyu ek dusre ko aankh maarte hai..

Panchkula k pass kisi jagah pe..

Chaaro frnds, Vishal, Raghav, Anish aur Yashmanyu pahunch jaate hai..

Tabhi vahan pe ek ladki kajra hath me liye ati hai..

Avleen: kya baat hai chikne, idhar aaja..

Anish: aaye haye meri rasmalayi..

Vishal ko acha nhi lag rha hota..

Sabhi dost idhar udhar chale jaate hai..

Vishal ek room me bed pe baitha hota hai, tabhi koi darwaaza band karti hai..

Vishal ghum k dekhta hai..

“Humare aashiq itne ho gye hai k sitaaron ki ginti bhi kam ho gyi hai unke saamne”

Vishal: aap kaun?

Vishavdeep: hmmm, naam me kya rakha hai sahib? Vaise is naacheez ko Vishavdeep kehte hai..

Fir vo ladki Vishal k pass aati hai.. aur uski shirt k buttons ko kholne lag jaati hai..

Vishal use dekhne lag jata hai.. Vo ladki bahut sundar hoti hai..

Vishavdeep: to fir shuru karein?

Vishal ko tabhi Sandhya ki yaad aane lag jaati hai.. Vishal use dhakha maarta hai..

Vishav zameen pe girti hai.

Vishal: nhi ye sahi nhi hai..

Vishav uth ti hai “hahah, sahib pyar ho gya hai aapko, bahut khushkismat ho aap aur sabse jyada khushkismat hai vo ladki”

Vishal vahan se bahar ja rha hota hai. Peeche se vishav keh rhi hoti hai “Sahib, lagta hai izehaar abhi tak nhi kiya, agar kiya hota to yahan nhi aate. Use bol do sahib k pyaar hai usse. Hum to pyar kar nhi sakti par aap apne pyar ko mat jaane do.”

Vishal vahan se chala jata hai.. Vishal Bike on karta hai aur kahin chala jata hai.

Dusri taraf Hostel me Sagar aur Sumeet baatein kar rhe hote hai.

Sagar: mujhe kal ka badi besabri se intezaar hai..

Sumeet: bhai, pyar vyar k chakaro me mat pad jiyo. Acha bhala group hai humara.. barbaad na kar de kahin ye ladki.

Sagar: ladki achi hai, bas ab hume acha ban na hai.

Scene change.

Anu, Sandhya k ghar se ja rhi hoti hai.

Anu: chal is weekend me milte hai.. bye

Sandhya: bye..

Thodi dur Vishal chup k baitha hota hai aur Anu k jaane ka intezaar kar rha hota hai. Jaise hi anu vahan se jati hai. Vishal bahar nikal k Sandhya ka hath peeche se pakad leta hai.

Sandhya uski taraf dekhti hai.. Dono ek dusre ko dekhne lag jaate hai..

Ghar k andar se awaaz aati hai..

Kavita: beta aa jao khana lag gya hai..

Sandhya: aayi maa..

Fir Sandhya, Vishal ki taraf dekhti hai..

Sandhya: ye kya batmizi hai, mera hath shodo.

Vishal: main tumhe ye btaane aya tha k main 2 weeks k liye Andhra Pradesh ja rha hu, mere tournament chalne hai vahan pe.

Sandhya: to isme main kya karu..

Ye sun kar vishal ko bahut gussa ata hai..

Vishal: main tumhe sirf btaane aya tha.. aur Sandhya ka hath kass k pakad leta hai.. Jiss se sandhya ko dard hone lag jata hai.

Sandhya: mujhe kyn btaane aaye the, jana hai to jaao..

Vishal: acha theek hai… fir Vishal uska hath shod deta hai aur Bike start karke vahan se chala jata hai.. Backvoice of Vishal “Mujhe us din bahut gussa aya tha, pta nhi kyn par gussa bahut aya tha. Main 2 hafto k liye ja rha tha, aur use koi fark hi nhi parh rha tha. Par mujhe ye nhi samjh me aa rha tha k mujhe uspe gussa kyn aa rha tha. Jab ki mujhe usse koi fark nhi parta. Bahut ajeeb ho rha tha mere sath”

ST.MARYS E.M.U.P.SCHOOL, 26THWARD, ARAVINDA NAGAR ANANTAUR DISTRICT Andhra Pradesh.

Vishal aur uska coah Ravinder batein kar rhe hote hai..

Ravinder: ye match bahut jaruri hai humare liye.. tumhe ye jitna hi hoga.

But Vishal ko vohi baat yaad aa rhi hoti hai k usne Sandhya ko kaha tha k vo jaa rha hai par Sandhya ne use negative response diya tha.

Ravinder: tum sun to rhe ho na main kya keh rha hu..

Vishal: haan sir..

Match shuru ho jata hai..

Vishal ko vohi baat yaad aa rhi hoti hai jiss se uske points kam hone lag jaate hai..

Ravinder peeche se bol rha hota hai “Vishu, Duece krke lead le.. c’mmon”

But Vishal ko usi baat pe gussa aaya hota hai aur vo match haar jaata hai..

Ravinder: no…

Vishal apne locker room me baitha tennis racket ko dekh rha hota hai…

Ravinder: beta, jo vishal aaj se 2 saal pehle ka tha na, mujhe lagta hai maine use kahin kho diya hai. Tum ye chota sa match kabhi haar hi nhi sakte the, main ise kya samjhu?, meri haar ya fir mere student ki haar.

Vishal ko Sandhya pe gussa aya hota hai aur usi gusse me vo Ravinder ko kehta hai.

“Sir, aap ise kuch na hi samjhe to behtar hoga.” itna keh kar Vishal vahan se chala jata hai.

Ravinder use jaate hue dekh rha hota hai..

Dusri taraf Sandhya canteen me Sarika k sath baithi hoti hai..

Sarika: to tune mujhe btaya kyn nhi k vo tera frnd tha school time se?

Sandhya: ab to bta diya hai na..

Sarika: meri usse dosti karva de,

Sandhya: kya?

Sarika: acha chal intro hi karva de.. Tabhi uski class ki sari ladkiyan vahan pe aa jati hai aur sabhi kehne lag jaati hai “humaari bhi intro karva do pls..”

Sandhya: hey bhagwaan.. Fir Sandhya vahan se chali jaati hai..

Tabhi use raaste me Sagar milta hai..

Sandhya: aap juniors k wing me..

Sagar: ji bas aise hi, yahan se ja rha tha socha aapse milta chalu..

Sandhya muskurati hai: acha ji..

Sagar: hanji, to fir ek cup coffee ho jaaye..

Sandhya: nhi maine abhi abhi pe hai..

Sagar: acha to fir aise hi baith k baat kar lete hai, thodi der baad coffee pe lenge..

Sandhya hasne lag jaati hai aur Sagar bhi hasne lag jata hai..

Some days later..

Vishal AP se vapis aata hai aur sidhe 17-Sec ki Market juice shop me jata hai

Aditi: vo to bahut pehle hi job shod gyi thi.

Vishal: kya?

Aditi: haan, usne to bahut pehle ki job shod di.

Vishal ko gussa aane lag jata hai..

Backvoice of Vishal “Mujhe itna gussa aa rha tha, k usne mujhe btaya nhi aur job bhi shod di. Ek baar bhi mujhe btana jaruri nhi samjha.”

Fir Vishal gusse se Sandhya k ghar ki taraf jata hai..

Kavita: beta vo to pass hi k park me hai..

Vishal: acha aunty ji.

Kavita: pehle tumhe nhi dekha beta?

Vishal: main uski class me hu, vo tournament chal rhe the to abhi aya hu, notes lene the

Kavita: ko nhi vo aayegi to bta dungi use.

Fir Vishal uske ghar k pass vale park ki taraf jata hai.

Vishal ko bahut gussa aya hota hai.. Vishal soch rha hota hai “mere bare me ek baar bhi baat nhi ki, job bhi shod di, mujhe btaya nhi..”

Tabi Vishal park me ata hai aur vahan par Sagar aur Sandhya ko baith kar baatein karta hua dekh leta hai..

Vishal, Sandhya k paas akar bolta hai..

Vishal: mujhe tumse kuch baat karni hai..

Sandhya uski taraf dekhti hai..

Sagar: aapki taaref?

Vishal: main iska frnd hu..

Sandhya: mujhe tumse koi baat nhi karni hai..

Vishal uska hath pakad leta hai..

Sagar: oye hath shod iska..

Vishal: oye, ye mere aur iske beech ki baat hai, tu side ho..

Sagar: acha..

Fir Sagar, Vishal ko punch marta hai. Vishal use block karke Sagar ko Dhaka maar k zameen pe gira deta hai.

Tabhi vahan pe Sagar k frnd Sumeet aur Sachin aa jate hai..

Vishal unke sath ladne lag jata hai..

Sandhya chilaati hai “bas karo, gunde ho tum sab kya?”

Sabhi ruk jaate hai.,.

Sandhya: pls Vishal yahan se chale jaao… Vishal vahan se chala jata hai..

Scene change..

Mona, Vishal k maathe pe detol laga rhi hoti hai..

Mona: sach bolo beta ladayi ki thi na tumne?

Vishal: nhi mom, bike se gir gya tha. Jyada chot nhi lagi..

Fir mona vahan se chali jaati hai..

Mona: main tumhare liye haldi vala doodh laati hu..

Tabhi vahan pe Raghav ki entrance hoti hai.

Raghav: kaun kaun the? Vishal: kya?

Raghav: naam bol saalo ko unke ghar me ghus k maarenge..

Vishal: arey nhi yaar, main bike se gir gya tha..

Raghav: oye main teri maa nhi hu, ye jooth aunty se bolna.. bta kaun the vo..

Fir Vishal sab kuch bta deta hai..

Raghav: oh unki itni himmat.. fir Raghav phone pe number dial karta hai..

Vishal: kise phone mila rha hai?

Raghav: ek minute.. han hello Anish, sun “Prashant, Rohit, Sanyam, aur Yashmanyu ko lekar abhi k abhi Vishal k ghar aa”. Jyada puch mat tu aa bas.

Vishal uska phone kaat deta hai..

Vishal: pagal ho gya hai, hume ladayi nhi karni..

Raghav: kya, tere ko hath kaise laga diya unhone..

Vishal: sun, maine bhi lagaaye hai unke ok, hisaab barabar kar diya tha maine.

Raghav: nhi..

Vishal: bas tu meri baat sun, humne ladna nhi hai.. aur Sandhya k liye to kabhi bhi nhi. Us jaisi ladki ki main parvaah nhi marta..

Raghav: haan, vo to main dekh hi rha hu..

Scene change

Bharuch Station aa jata hai..

Vishal: raat ho gyi hai yogesh.. chalo ab so jaao..

Yogesh: nhi papa, mujhe kahani sunani hai.. aage btaao na pls..

Vishal: nhi beta, ab so jaao kaafi raat ho chuki hai subha uthoge na tab sunaaunga.

Yogesh: nhi papa.. please..

Vishal: beta zidd nhi karte. Main keh rha hu na. pakka kal sunaunga ab tum so jaao..

Fir yogesh sone lag jata hai..

Vishal soch rha hota hai “hmmm, tumhari mom aur main hum ek dusre se pyar to karte hi the par itni himmat nhi rakhte the k keh paaye”

Subha ho jaati hai.. Train Vapi station aakar rukti hai.. Yogesh aur Vishal compartment me breakfast kar rhe hote hai

Yogesh: papa, mujhe bhi samose khaane hai..

Vishal: nhi beta, bahar ki cheeze khaoge to bimaar ho jaaoge.. sirf ghar k snacks aur juice pe lo. Ye theek hai.

Yogesh: theek hai, par is baar main mummy ko bolunga vo mere liye samose banayegi..

Vishal uski taraf dekhne lag jata hai.

Yogesh bahut khushi se khana kha rha hota hai..

Vishal sochta hai “hmmmm, tum apni mummy se milne k liye excited ho, aur main us waqt ka intezaar kar rha hu jab tum apni mummy se mil kar sabse jyada khush hoge aur mujhe gale se lagaaoge aur bahut pyar karoge”

Train ki ghanti bajti hai.. aur train start ho jati hai

Yogesh Sandhya ki photo ko dekh rha hota hai..

Yogesh: papa, apko pta hai meri mummy world ki sabse beautiful mummy hai..

Vishal: acha, kyn papa handsome nhi hai?

Yogesh: papa, aap to world best papa ho, aapki aur mummy se jyada personality kisi ki ho hi nhi sakti.

Vishal: acha bachu..

Yogesh: papa, aap aage ki kahani to sunaao na..

Vishal: acha baba, bina sune to manega to hai nhi.. to sun..

“Semester pe semester khatam ho rhe the, maano waqt ne raftaar pakad li ho, bahut jaldi se waqt beet rha tha, meri suppliyan ikhati hoyi ja rhi thi aur dusri taraf Tennis k matches bhi main harne lag gya tha”

Story goes in flash back..

Doon International School, Dehradun, Uttrakhand.

Tennis match chal rhe hote hai..

Lockker room..

Ravinder: Vishal, agar tere se khela nhi ja rha to bol de. Kyn jabardasti khel rha hai?

Vishal: main jabardasti kahan khel rha hu..

Ravinder: acha, to fir tu pichle 2 saalo me sirf 4 matches jeeta hai.

Vishal kuch nhi bolta.. Sandhya aur Sagar canteen me baithe baatein kar rhe hote hai..

Sagar: vaise kuch baat to hai? Pichle 4 semester se dekh rha hu. Tum mere sath hote hue bhi mere sath nhi hoti.

Sandhya: aisi baat nhi hai.. hum ache dost hai to sahi..

Sagar: I love you..

Sandhya ye sun kar hairaani se uski taraf dekhti hai..

Tabhi peeche se Sarika bolti hai..

Sarika: Sandhya chalo hume deri ho rhi hai..

Sandhya uth kar vahan se jaane lagti hai, tabhi piche se sagar kehta hai..

Sagar: tumne jawab nhi diya.. mera last year hai is college me to bta do fir?

Sandhya vahan se bina kuch kahe chali jaati hai…

Dusri taraf Vishal apne room me baitha hota hai..

Uska phone ring karta hai.. uspe likha hota hai Ravinder calling..

Vishal phone pick-up karta hai..

Vishal: hello sir..

Ravinder: dekho vishal ye akhri mauka hai tumhare pass, next week London ja rhe hai tournament k liye. Tum aaj se hi practice shuru kar do.

Vishal: yes sir..

Ravinder: dekho, is baar agar tum peeche hue to tumhara career khatam ho jaayega..

Vishal sochta hai “hmm, vaise bhi 2 mahino se Sandhya ko dekha nhi isse jyada bura kya hoga mere sath.”

Ravinder: hello, hello vishal r u there?

Vishal: yes sir, aap chinta mat kijiye. Is baar aapko niraash nhi karunga.

Ravinder: okay, thodi der me tennis court me milte hai.

Vishal: okay sir..

Scene change..

Sandhya ghar ki taraf ja rhi hoti hai.. aur soch rhi hoti hai “huh, do mahine se ek baar bhi baat nhi ki mere sath, us Sagar ne mujhe 2 saal k andar hi purpose kar diya aur ye 4 saalo se mere sath sirf larh rha hai.” Sandhya gusse se cyber café jaati hai. Fir apna Facebook account kholti hai..

Apne Facebook account se vo vishal ki profile dekh rhi hoti hai..

Sandhya: huh, itne saal ho gye abhi tak mujhe frnd rquest nhi bheji.. agar main Sagar ka purposal accept kar lu, fir pta chalega ise..

Fir Sandhya use poke karti hai aur Logout kar deti hai..

Dusri taraf Vishu practice kar rha hota hai..

Ravinder: focus karo Vishu, focus.

Vishal ache se tackle kar rha hota hai.

Ravinder: chalo thodi der ka break lete hai..

Vishal apna phone check karta hai to use notification aayi hoti hai.

Vishal check karta hai to Sandhya ne use Poke kiya hota hai.

Vishal ye dekh kar bahut khsuh hota hai.. “usne mujhe poke kiya? Wow ye kaise ho gya?”

Ravinder use bulata hai: chalo vishal practice karein..

Vishal bahut khush hota hai fir vo ache se kehlne lag jata hai aur Ravinder ye dekh kar khush bhi hota hai aur hairaan bhi..

Ravinder: that’s the spirit isi ki baat kar rha tha main..

Back-voice of Vishal “itne samay k baad usne sirf mujhe poke hi kiya tha, aur meri khushi ka koi thikana nhi tha, ek taraf to main usse nafrat aur uski parvaah na karne ki acting kar rha tha aur dusri taraf sirf ek poke se aisa laga maano sari khushiyan mil gyi ho”

Ravinder: well done Vishu, aise hi form me rehna.. 

Raat ka samay hota hai.. Mona khana laga deti hai..

Mona: Vishu, khana kha lo..

Vishal: aya mummy jaan.. 

Mona: mummy jaan kya baat hai.. bada pyaar chalak rha hai aaj.

Vishu: bas kuch nhi? Acha kya bnaya hai?

Mona: paneer aur dal makhni..

Vishal: kya mom, Loki aur Bengan nhi bnaya.. mujhe vo pasand the..

Mona uski taraf hairaan ho kar dekhti hai.. Mona sochti hai “kya ye vohi Vishal hai jo vegetables se allergic tha.”

Vishal khana kha rha hota hai aur Mona use dekh rhi hoti hai.

Fir Vishal apne room me chala jata hai.. fir apne facebook ki profile khol k dekh rha hota hai.

Vishal sochta hai “usne mujhe poke kiya hai, iska matlab vo mujhse baat karna chahti hai, to theek hai mera isme kya nuksaan aur vaise bhi shuruwaat to usne hi ki hai”

Vishal bhi use poke kar deta hai..

Sandhya apne room me baithi kuch soch rhi hoti hai. “maine use poke kiya tha, kahin vo iska galat matlab na le le, use kahin aisa na lage k main usse baat karna chahti hu. Jab ki maine to galti se use poke kar diya tha, main to bas uski profile dekh rhi thi.”

Kavita: beta khana lag gya hai, aa jao..

Sandhya: aayi mom..

Sandhya sochti hai “mujhe ek baar ja kar apni profile chaeck karni chaayie, Anu ko bula lu, nhi, vo kahegi k maine vishal ki profile check karni thi isliye use bulaya. Fir kya karu? Haan ek kaam karti hu cyber café ja aati hu, haan mujhe to internet pe bhi kaam tha, ppts banana thi”

Kavita: kahan ho beta?

Sandhya: Mom mujhe na internet pe kaam tha thoda, main jaldi aa jaaungi.

Kavita: theek hai jyada der mat lagana..

Sandhya cyber café jaa kar mail check karti hai..

Sandhya sochti hai “main facebook ki notifications check kar lu?, main ek bar account khol k dekh hi leti hu”

Fir Sandhya apna fb account kholti hai to dekhti hai k Vishal ne bhi use poke back kiya hua hai..

Sandhya “hey bhagwaan, ise kaun samjhaaye agar ladki poke kar rhi hai to vo chahti hai k ladka use frnd request bheje.. ye stupid ka stupid hi rahega.”

Fir Sandhya sochti hai “Isko frnd request bhej du? Nhi fir ye shekhi maarega apne frnds k aage.. chalo bhej hi deti hu” Sandhya use frnd request bhej deti hai..

Dusri taraf Vishal k phone pe notification aati hai..

Vishal dekhta hai k use frnd request aayi hui hai. Aur fir jab vishal dekhta hai k frnd request Sandhya ki aayi hui hai.. uske hath se phone gir jata hai..

Vishal kahin kho jata hai..

“Arey sandhya ki frnd request.. yeeeeeee” Vishal phone utha ta hai aur bed pe jump karne lag jata hai.. uska phone screen touch hota hai jiss se uske hath lagne se Sandhya ki frnd request accept ki bjaaye reject ho jaati hai..

Vishal khushi se bed pe jump maar rha hota hai.. “mujhe Sandhya ne frnd request bheji..”

Fir Vishal ka dhyaan jata hai k hath lagne se usse frnd request reject ho gyi.

Vishal: nhiiiiiiiiiiiiiiiii… ye kya ho gya.. main to gya..

Dusri taraf Sandhya dekhti hai k Vishal ko fir se add as frnd ki option aa rhi hai..

Sandhya: Vishal, itna ego.. aaj k baad main tujhe kabhi bhi nhi bulaaungi..

Vishal tabhi use fb pe msg karta hai..

“sorry vo galti se reject ho gayi, maine frnd request jaan bujh kar reject nhi ki”

Sandhya ko bahut gussa aya hota hai vo reply karti hai “ aise kaise ho gyi fir reject? acha ab main nhi, tum mujhe frnd request bhejoge”

Vishal fir use frnd request bhej rha hota hai k tabhi use msg ata hai k usne is month bahut se logo ko frnd request bheji hui hai is karke uski frnd request block kar di gyi hai.

Vishal fir message karta hai “meri frnd request block hai, pls kya tum mujhe fir se frnd request bhej sakti ho”

Sandhya ka reply ata hai “meri bhi frnd request block hai.. bye..”

Vishal “suno to sahi..”

Sandhya logout karke paise dekar café se bahar aa jati hai.

Peeche se cyber café ka owner kehta hai “Mam jyada naraaz ho”

Sandhya: excuse-me..

Owner: aap ne sirf 10 minute use kiya net aur mujhe gusse se 100 ka note pakda k chal diye, kisi se jyada ladayi ho gayi kya madam?

Sandhya vapis aakar change lekar vahan se chali jaati hai..

Dusri taraf Vishal ko tension hone lag jaati hai..

Vishal: ab main kya karu? Vo mujhse kabhi baat nhi karegi? Kya karun main?

Dusri taraf Sandhya gusse se ghar ki taraf ja rhi hoti hai aur soch rhi hoti hai “huh, bahut ego hai na, main hi bewkuf thi jo uske sath dosti karne ki soch rhi thi, ab main use kabhi bhi nhi bulaaungi”

Tabhi ek ladka R-15 bike me ata hai aur uske saamne aakar bike rokta hai aur helmet utaarta hai..

Sandhya: Vishal tum yahan par vo bhi itni raat gye. Vishal: haan, vo mujhe tension ho gyi thi, kahin tum ise galat na samjho?

Sandhya: galat kya? Mujhe pta hai tumne jaan bujh kar meri frnd request reject ki thi..

Vishal: oh c’mmon agar jaan bujh kar ki hoti to shayad main yaahan par tumhe manane nhi ata..

Sandhya: kya chahte ho?

Vishal: tumhe mujh par yakeen nhi na. tabhi Vishal apni jeb me hath daalta hai..

Sandhya: kya hua?

Vishal: sh*t main apna mobile ghar pe bhul gya..

Sandhya: tum saabit kya karna chahte ho?

Vishal: tumhare ghar me internet connection hai?

Sandhya: nhi main café me thi.

Vishal: acha to fir chalo.. Fir Vishal use apni bike pe bitha kar usi cyber café me lekar jata hai..

Vishal uske samne facebook kholta hai aur apne account se use frnd request bhejta hai par msg pop up hota hai k uski frnd request block hai kuch dino k liye.

Sandhya ye sab dekh rhi hoti hai..

Vishal: ab yakeen hua, main sach keh rha tha..

Sandhya fir Vishal ki taraf dekhne lag jaati hai.. Fir vo Vishal ko frnd request bhej deti hai.

Vishal fir owner ko pay karne k liye jata hai.

Owner: arey aapki ladayi khatam ho gyi ye hi mera bill pay ho gya. Kyn madam ji..

Sandhya khush hokar café se bahar chali jaati hai..

Fir Vishal use kehta hai to main tumhe ghar tak shod du..

Sandhya: nhi main chali jaaungi.. Sandhya chal rhi hoti hai fir Vishal uske samne bike pe aa jata hai aur horn bjata hai.

Sandhya aage chali jati hai. Vishal fir thodi race dekar uske saamne aa jata hai aur horn bjata hai..

Aur is tarah Vishal 2 baar aur karta hai.

Tabhi saari shops vale Sandhya ko kehne lag jaate hai. Baith jaao madam uski bike pe nhi to horn maar maar k vo hume pareshaan karna nhi shodega..

Sandhya fir uski bike pe baith jaati hai..

Vishal use ghar drop karta hai.. Sandhya jaane lagti hai..

Vishal: ek minute..

Sandhya: hmm..

Vishal: tumhe bura laga hoga, uske liye sorry..

Sandhya: bura kis baat ka?

Vishal: chal shodo use, maine ye btaana tha k main parso London ja rha hu. Aur 2 weeks baad aaunga.

Sandhya hairaan hokar: kya? Tum is weekend pe London ja rhe ho aur mujhe ab bta rhe ho?

Vishal: haan to bta to diya..

Sandhya: oh, bahut bada ehsaan kar diya aapne, abhi kyn btaya jab vapis aate tab btana tha, ya fir mujhe kyn btaya main kaun hu tumhari..

Vishal: acha aur tumne jab job shodi thi to mujhe kaun sa btaya tha, vo to tumhari shop pe jaa kar pta chala mujhe.

Vishal: acha ji, tumne jab admission li thi is college me to mujhe tumne jaise bade letters bhej diye the na.

Sandhya: aur tum pichle kayi semesters me mujhse mile nhi ek baar bhi mera haal pucha tumne..

Vishal: oh ho, jaise tumne to mujhe pta nhi kitni calls kar li thi..

Tabhi ghar k andar se Kavita ki awaaz aati hai..

Kavita: kya hua? Sandhya tum ho kya?

Sandhya: oh meri mom na aa jaye.. main chalti hu.

Vishal: nhi ek minute ruko to sahi..

Sandhya: kal tumhe college me milti hu.. fir Sandhya vahan se chali jaati hai..

Backvoice of Vishal “us din hum har baar ki tarah fir se larh rhe the, par main apne ghar se aya sirf ye btaane k liye k maine frnd request reject nhi ki thi, mujhe thoda ajeeb lag rha tha. Par us din ki ladayi me kuch nayi cheez thi shayad usme apnapan aane lag gya tha. Hum ek dusre par haqq jatane lag gye the par is baat ka ehsaas nhi tha k vo jo haqq jata kar hum lad rhe the asal me pyaar ki nishaani thi vo.”

Next day college..

Sarika: kya hua, tumne sessonals ki tyaari shuru kar di?

Sandhya: kahan, abhi thodi bahut hi ki hai.

Sarika: mujhe to tension hone lag gyi hai, jab se meri chits pakadi gayi hai, Ab sab ko mujh pe hi shaq hota hai, arey 4 semesters me sirf 16 baar to chits lekar aayi thi main, koi gunaah thode kar diya tha. Sandhya: haan, aur itefaaq ki baat 4 sem me hume total sirf 17 subjects the..

Sarika: to?, ek to bina chits k diya tha.

Sandhya: haan, vo bhi Manufacturing Practices ki workshop lab ka jiska sirf viva hua tha.

Sarika: acha, sorry main fir se kehti hu.. arey 4 semesters me sirf 17 baar to chits lekar aayi thi main, koi gunaah thode kar diya tha.

Sandhya: kya matlab?

Tabhi peeche se Vishal kehta hai “excuse me”

Sarika: oh ho, mujhe yaad aya k mujhe BEEE lab jana tha usne meri internal roki hui hai. Bye

Sandhya: hmm, bolo.

Vishal: vo kal main ja rha hu, mere tournament hai.

Sandhya: haan kal raat ko btaya tha tumne..

Vishal: ab 2 hafte baad milunga..

Sandhya: vaise tumhari supply kitni hai?

Vishal: 4 sem ko mila k meri sirf 2 suplyian hai..

Sandhya: kya baat hai..

Vishal: aur nhi to kya bas is baar sari nikaal deni hai.

Sandhya: acha, koi nhi main tumhe imp. Topics bta dungi..

Vishal: vaise tumhe sports-person se nafrat hai na..

Sandhya: haan hai, par tumse nhi hai..

Vishal uski taraf dekhne lag jata hai.

Vishal: matlab..

Sandhya: matlab mujhe na to tumse pyar hai aur na hi nafrat.. samjhe..

Vishal: hmmmmm, acha main chalta hu. Bye.

Sandhya: ek minute ruko..

Vishal: kya hua?

Sandhya: ye nhi kehte k main chalta hu, ye kehte hai k main jaa kar ata hu..

Vishal khush ho jata hai aur Sandhya ko dekhne lag jata hai.. Vishal: ata hu.. fir Vishal khushi se vahan se chala jata hai.. aur Sandhya bhi hass kar vahan se chali jaati hai..

Aur ye sab Sagar aur uske frnd dekh lete hai..

Sumeet: lagta hai londa, tumhari vaali ko pta rha hai.

Sagar: arey aise kaise pta lega, jab tak main hu.. is 2 hafte me sandhya meri hogi aur Vishal k hath me hoga humari shadi ka card..

Dusri taraf Raghav, Vishal ki help kar rha hota hai packing me..

Raghav: mann laga kar khelna aur jeet kar ana..

Vishal: tu dekhiyo.. jeetega is baar tera bhai..

Scene change.

Vishal aur uske sath kuch players airport me hote hai..

Mona: dekh time pe khana kha lena, practice me mat uljhe rehna aur sabse badi baat jyada tension mat lena.

Vishal: okay mom.

Fir Vishal aur baki sabhi security check k liye nikal jaate hai.

Backvoice of Vishal “main London ja rha tha is khushi me k vapis aaunga tumhari mummy se milunga kynki usne kaha tha kabhi nhi kehte k main jaata hu kehte hai main jaakar ata hu.”

London Westminster school..

Tennis tournament chal rha hota hai.. Vishal status upload karta hai.. “is at Westminster School, goin for semi-finals”

Vishal fir matche khel rha hota hai aur use Sandhya muskurati hui dikhayi de rhi hoti hai.. Vishal lead karta hai..

Ravinder: shabaash mere sher.. 

Scene change..

Dusri taraf Sandhya uska status parti hai.. “iske status ko like karu ya nhi.. abhi rhne deti hu”

London me Vishal semi-finals clear kar chukka hota hai..

Back-voice of Vishal “mujhe har ek cheez achi lagne lag gyi thi, mujhe sab kuch pyara pyara sa lagne lag gya tha. Pta nhi kyn?”

Vishal, Raghav ko phone karta hai “yaar koi romantic movie release hui hai” Raghav: tu kab se romantic movies ka shokeen ho gya?

Vishal: tu bta na..

Raghav: haan ayi hai, Veer Zara, par mujhe pta nhi hai k kaise movie hai vo..

Vishal: romantic to hai na?

Raghav: han, romantic to suna hai..

Vishal: okay chal bye..

Raghav: sochta hai, pta nhi kya ho gya hai ise…

Dusri taraf Sandhya, Vishal ka status dekhti hai.. “oh, 92 likes achi baat hai.. par main like karu ya nhi?”

Scene change.

Kavita mandir me se bahar aati hai k tabhi bike pe Sagar uske samne aa jata hai.

Sagar: aunty Namaste.

Kavita: maine pehchana nhi beta.

Sagar: aunty main apki beti k college k me hu, senior hu uska, aao aapko ghar chod du.

Kavita: nhi beta main chali jaaungi..

Sagar: arey fir kya ho gya aunty, hume apne bête jaisa hi samjho..

Sandhya, cyber café se ghar aati hai to dekhti hai k Sagar aur uski mom hass kar baatein kar rhe hai.

Sandhya: Sagar, tum yahan..

Kavita: aao, tumhara dost to bahut pyari baatein karta hai.

Sagar, Sandhya ki taraf dekh kar muskurata hai.

Kavita: tum baitho, main tumhare liye tea lekar aati hu.

Sandhya: Sagar, tum yahan kya kar rhe ho?

Sagar: kuch dino se tum college nhi aayi, to socha tumhe mil lu..

Sandhya: vo mujhe ghar pe thoda kaam tha..

Sagar: hmmmm, acha aaj kahin bahar ghumne chale..

Sandhya: nhi vo aaj bhi thoda kaam hai, kal chalte hai..

Sagar: to fir main chalta hu.. Sandhya: tea to peete jaao..

Sagar: fir kabhi.. aur Sagar vahan se chala jata hai..

Tabhi vahan pe Kavita tea lekar aati hai..

Kavita: arey kahan gya vo?

Sandhya: use kaam tha vo chala gya..

Kavita: oh, vaise Sandhya tune kabhi btaya nhi iske bare me..

Sandhya: bas senior hai mera..

Kavita: acha, classmate hai ya fir BF hai?.. ;) 

Sandhya: Mom….

Kavita: I mean k Best Frnd hai ya nhi..

Sandhya: hmm, keh sakte ho… aur fir vo vahan se chali jaati hai..

Kavita: hash, meri bholi ladki, ye bhi nhi pta k ladka aur ladki best frnd kabhi nhi reh sakte.. 

London Westminster school..

Announcement hoti hai “Vishal Verma representing India advances to Finals.”

Ravinder: ye hui naa baat mere sher.. bas ab tujhe ye match jeetna hi hai..

Vishal: aap chinta mat kijiye sir.. is baar to main jeetunga hi.

Fir Vishal apna status check karta hai to dekhta hai k 94 likes aaye hue hai par Sandhya ne like nhi kiya..

Vishal sochta hai “acha, ye baat hai.”

Fir Vishal status dalta hai “Missing my home and some special people, aur raghav, Anish, yashmanyu aur 5 logon ko tag karta hai par Sandhya ko tag nhi karta”

Vishal “ab pta chalega ise”

Backvoice of Vishal “bahut kuch expect karne lag gya tha main tumhari mom se, jab ki expect sirf khaas logon se kiya jata hai, par pta nhi kyn usse expectations hone lag gyi thi”

Sandhya aur Anu park me walk kar rhe hote hai..

Anu: to fir college kaisa chal rha hai tera?

Sandhya: theek chal rha hai.

Anu: aur maine suna hai Vishal London gya hua hai tournament k liye. Sandhya: haan, to mujhe kyn keh rhi hai.

Anu: nahi vo tere college me hai na isliye kaha maine, tu gussa kyn kar rhi hai.

Sandhya: please, mere samne uski baatein mat kiya kar..

Anu: oh ho mam, acha chal aur kuch bta, fir college me koi ladka acha laga..

Sandhya: yaar, tu koi aur baat nhi kar sakti kya?

Anu: ab tu kya chahti hai main padhaayi ki baat karu..

Sandhya: nhi, acha chal mujhe ek minute apna phone diyo..

Anu: acha.. tabhi vahan pe Sarika aa jati hai..

Anu: arey, Sandhya vo dekh teri college ki frnd Sarika..

Sarika: hi, guys to fir Evening walk ho rhi hai.

Sandhya: haan, bas..

Anu: fir Sarika all clear ho gyi?

Sarika: kahan yaar.. Fir Sarika aur anu baatein karne lag jaate hai..

Sandhya ye dekhti hai aur sochti hai “abhi ye baatein karne me busy hai jab tak main apni profile khol k dekh leti hu”

Fir Sandhya apni profile kholti hai to dekhti hai k Vishal ne ek nya status update kiya hai par usme 10 logon ko tag kiya par use nhi kiya..

Sandhya: iska matlab ye sab ko miss kar rha hai par mujhe nhi.. theek hai main bhi kaun sa iski yaad me marr rhi hu..

Tabhi Sandhya gusse me Vishal ko fb pe msg bhejti hai.. “sabko miss karo, sabhi tumse milne ko taras rhe hai”

Backvoice of Vishal “gussa tumhari mom ko bhi mujhpe aane lag gya tha par ye gussa pyaar ki nishaani thi, jo use pta thi par uske baawjood vo anjaan ban ne ki acting kar rhi thi, Main final match bhi jeet gya tha par mujhe ye nhi pta tha k ab bahut badi haar hone vaali hai meri”

Ravinder, Vishal ko jhappi dalta hai..

Ravinder: vaah mere champion kamal kar diya..

Sabhi log vishal se hath milaane lag jaate hai..

Vishal khush ho kar locker room me jata hai to dekhta hai k uske phone pe notification aayi hui hai..

Vishal use kholta hai to Sandhya ka msg aya hota hai.. Vishal reply karta hai “ab hume, jo yaad karte hai, hum bhi unhe yaad karte hai”

Sandhya reply karti hai “haan, tabhi un logon ko tag kiya hua hai”

Vishal “aap kaun sa humara status like karte ho”

Sandhya “acha, isliye tag nhi kiya mujhe”

Vishal “oh, to gussa aya tumhe k maine tumhe tag nhi kiya”

Sandhya “le, mujhe koi fark nhi parta tum mujhe tag karo ya nhi”

Vishal “vaise bhi maine sirf apne frnds ko tag kiya tha”

Sandhya “acha, matlab main tumhari frnds me nhi aati, to mujhe delete kyn nhi kar dete.”

Vishal “ye kya baat bani?”

Sandhya “dekho, vaise bhi mere fb pe bahut frnd hai, mujhe tum unfrnd kar bhi doge to mujhe fark nhi parta”

Vishal “to mujhe bhi frnds ki kami nhi hai, samjhi tum kar do mujhe unfrnd”

Sandhya “bye”

Fir Sandhya logout kar deti hai..

Sandhya sochti hai “itna ego, aaj k baad main use kabhi nhi bulaaungi”

Tabhi vahan pe Sagar aa jata hai..

Sagar: hi sandhya..

Sandhya ko guss aya hota hai.. “Sagar kya tum mujhse shaadi karoge?”

Sagar: kya?

Sandhya: Mujhe tum ache lagte ho..

Sagar ko samjh me nhi aata k vo kya kahe..

Sagar: hhmmm, voo, aaaaa, main kya matlab..

Sandhya: bolo han ya na?

Sagar: ofcourse haan..

Sarika aur Anu ye dekh reh hote hai..

Sandhya: to chalo sagar mere sath mere ghar meri mom se baat karne.

Dusri taraf Vishal sochta hai “kya hai yaar, usko mere sath sirf ladna hi pasand hai kya?” Vishal: chal main ek baar usse baat kar leta hu fir Vishal, Sandhya ko fb pe msg kar deta hai “please msg me”

Scene change..

Ghar me Kavita, Sandhya ki taraf dekh rhi hoti hai..

Kavita: to tum dono ek dusre ko pasand karte ho..

Sagar: ji aunty ji..

Sandhya: haan maa..

Kavita: vo to maine pehle din hi is ladke ko dekhte keh diya tha.. to theek hai fir tumhari engagement karva dete hai college khatam hone k baad shadi karva denge.

Sagar khush ho jata hai.. “acha ji main abhi chalta hu, ghar vale baat karenge ab aap se”

Anu, Sandhya ko dekh rhi hoti hai..

Room me Sandhya aur Anu baat kar rhe hote hai..

Anu: have u gone mad? Tum itni jaldi kaise faisla le sakti ho.

Sandhya: jaldi kya hai, main sagar ko 2 saalo se jaanti hu, vo ek acha ladka hai. Mujhe acha lagta hai..

Anu: acha, main teri best frnd hu, tune mere samne Sagar k bare me itni baat to ki nhi.. haan Vishal ki baatein karti tu thakti nhi thi.

Sandhya: kya Vishal, vishal laga rakha hai, use mere hone ya na hone se koi fark nhi parta aur na hi mujhe usse koi fark parta hai. Dekh Sagar mujhe pasand hai, please ab aur main kuch nhi keh sakti.

Anu, Sandhya ki taraf dekh rhi hoti hai.. aur sandhya vahan se chali jati hai.

Sandhya cyber café jaati hai aur status update karti hai “getting engaged with my love Sagar. Aur fir Sagar ko tag karti hai”

Sandhya: ab jab vishal ye dekhega na tab use pta chalega k mujhe uske hone ya na hone se koi fark nhi parta.. huh

Tabhi Sandhya dekhti hai k use vishal ka msg aya hua hai..

Sandhya: huh, muje tumhara koi msg nhi parna Vishal.. fir Sandhya logout kar deti hai..

Dusri taraf Vishal fb pe Sandhya ka status dekhta hai..

Vishal “ye kya, ye kaise kar sakti hai usse engagement..”

Back-voice of Vishal “us waqt mujhe bahut gussa aya, par tab maine ye nhi socha k mujhe gussa kyn aa rha hai, bas mujhe gussa aa rha tha, maine kuch nhi socha aur sidha India aa gya” 2 din baad..

Sanndhya aur Sagar ki engagement ho rhi hoti hai..

Kavita: vaise Sugandha ji aapka beta Sagar bahut hi acha ladka hai..

Tabhi peeche se Arun kehta hai..

Arun: arey mera beta Sagar agar acha ladka hai to hone vaali sambdhan ji apki beti bhi laakhon me ek hai..

Sugandha: ye baat to bilkul sahi kahi..

Room me Anu, Sandhya ko saja rhi hoti hai..

Sarika: wow, yaar tu kitni lucky hai sandhya, tujhe tere sapno ka rajkumar mil gya, aur mujhe abhi tak sapno me sirf Re-appear k form dikhte rehte hai.

Anu: acha Sarika tu jara vo bahar mehmaano ko dekhiyo.

Sarika: acha.. aur Sarika vahan se chali jati hai.

Anu: ek baat bta sandhya, tu ye kaisi zidd pakad k baithi hai..

Sandhya: kaun si zidd ki baat kar rhi hai tu?

Anu: acha, ye jo tu Sagar k sath rishta jod rhi hai na, usme teri marzi kamm aur teri zidd jyada dikh rhi hai mujhe.

Sandhya: koi zidd nhi hai, samjhi..

Anu: acha, to meri aankhon me aankhein daal k dekh aur bol k tu sagar se pyar karti hai tabhi usse engagement kar rhi hai.

Sandhya: vo mujhe pyar karta hai, aur vaise bhi uske sath rehna chaiye jo tumhe pyar karta hai na ki uske sath jise tum pyar karte ho.. fir Sandhya uth k vahan se jane lagti hai..

Tabhi peeche se Anu bolti hai : iska matlab tu kisi aur se pyar karti hai..

Sandhya vahin par ruk jaati hai..

Sandhya: nhi, main kisi se pyar nhi karti.. aur vo vahan se chali jaati hai..

Dusri taraf Vishal aur raghav baat kar rhe hote hai..

Raghav: to tu kya chahta hai, k hum Sandhya se ab mile, arey uski engagement hone vaali hai aaj..

Vishal: main itni jaldi London se ye sunne nhi aya tha.

Raghav: to kya sunne aya tha? Vishal: mujhe bas ek baar sandhya se milna hai, aur usse puchna hai k vo itni jaldi engagement kyn kar hi hai.

Raghav: tu pagal ho gya hai kya? Tu sirf ye puchne k liye aya hai..

Vishal: nhi ye bhi puchne k liye k usne mujhe bulaya kyn nhi..

Raghav: mere maathe pe kya Dumba** likha hua hai..

Vishal: kya keh rha hai?

Raghav: abbey agar 1st standard k bache ko bhi puchenge na to vo bhi yehi bolega k tujhe Sandhya se pyar hai, par tu hai k mane ne ko tyar hi nhi.

Vishal: kya sun na chahta hai tu?

Raghav: sach..

Vishal: haan vo mujhe achi lagti hai, jab bhi milta hu main usse ladta hu, par usse mile bina main reh bhi nhi sakta.. Please mujhe usse pyaar hone lag gya hai, nhi reh sakta main uske bina.. bassss..

Raghav: aaye haaye, khush kar ditta bro.. ab tu dekh Sandhya teri hi hogi ye mera vaada hai..

Dusri taraf Engagement chal rhi hoti hai aur sabhi log khush hote hai.. tabhi Anu ko phone aata hai.

Anu: uski engagement hone vaali hai, aise me main use bahar nhi lekar aa sakti..

Raghav: koi to rasta hoga..

Anu: ek kaam karo, tum yahan aa jao, yahan pe bahut log aaye hue kisi ko kuch pta nhi chalega.. main sandhya ko tumse milva dungi..

Fir Vishal aur Raghav vahan se nikal padte hai..

Sagar, Sandhya ko dekh rha hota hai..

Sagar: sandhya kya hua?

Sandhya: kuch bhi nhi..

Fir ring ceremony shuru ho jaati hai..

Sagar, Sandhya k hath me ring daalta hai aur sandhya uske hath me.

Tabhi Raghav aur Vishal vahan pahunch jaate hai..Anu unhe milti hai..

Raghav: kya hua?

Anu: tum late ho gaye, unki engagement ho gyi hai..

Raghav: shadi to nhi hui na.. Vishal: tum use yahan pe le aao..

Anu: abhi vahan pe bahut log hai, main mauka dhoond k use yahan lekar aati hu tum kahin aur mat jana..

Dusri taraf Sandhya soch rhi hoti hai “usne ek baar bhi call karna jaruri nhi samjha, use koi fark padta hi nhi hai, theek hai mujhe bhi kaun sa fark padta hai”

“abhi bhi kis soch me dubi hui ho, ab to tumhari engagement bhi ho gyi”

Sandhya: arey Aditi mam aap..

Aditi: vaise ye ladka bhi acha hai, par vo jyada acha tha..

Tabhi vahan pe Anu aa jati hai..

Anu: sandhya ek minute chalna jara..

Sandhya: mam, aap kuch pijiye main abhi aayi..

Anu, Sandhya ko lekar ghar k peeche le jaati hai..

Sandhya: tu, mujhe yahan kyn le aayi vahan aage sabhi hume dhoondne lag jaayenge..

Anu: ruk to sahi..

Tabhi vahan pe Vishal aa jata hai..

Sandhya, Vishal ko dekh kar hairaan ho jaati hai.

Sandhya: tum yahan par.

Vishal: to fir engagement kar li tumne..

Sandhya: haan, kyn ab tum se puch kar karti..

Vishal: 4 saal se tumhare sath hu, ek baar btana jaruri nhi samjha. Bas ek status daal diya..

Sandhya: to tumne hi to kaha tha k tumhare bahut se frnd hai, main tumhe btaau ya nhi tumhe kya fark padta hai.

Vishal: acha..

Anu: please, ab tum fir se shuru na ho jaao.. jo kehna hai vo kaho..

Vishal: kya kehna hai? Mujhe to is ladki se baat hi nhi karni..

Raghav: le, vohi bewkufon vaali baatein fir se.

Sandhya: to mujhe bhi nhi karni, tum mera peecha kyn nhi shod dete, meri engagement ho gyi hai, aur kya proof du k mujhe tumse koi fark nhi parta.

Vishal: acha, mujhe bhi tere se koi fark nhi padta.. tu kuch bhi kare.. Sandhya: acha, mere se tujhe koi matlab nhi?

Vishal: nhi..

Anu: god, fir se nhi..

Sandhya: to chal ja yahn se, kyn aya hai?

Vishal: main bas ye btaane aya tha k I hate you..

Sandhya hairaan hokar: haaaaa, kya kaha tune?

Vishal: jo tune suna, I said I hate you..

Sandhya: I hate you too..

Vishal: mujhe tere se jyada nafrat hai..

Sandhya: mujhe usse bhi jyada, maine status daala k meri engagement ho rhi hai bjaaye mujhse baat karne k tu mere se lad rha hai..

Vishal: tune status daala hi kyn?

Sandhya: is liye daala tha k tu aaye aur meri engagement tudva de..

Fir ek dam se sandhya chup ho jaati hai..

Sabhi ek dam se khaamosh ho jaate hai..

Raghav sochta hai “lo ji aksar gusse me sach nikal hi jaata hai”

Vishal, Sandhya ko dekhne lag jata hai aur sandhya nazarein jhuka leti hai..

Vishal: I hate you.. tabhi Vishal, Sandhya ko apni taraf kheechta hai aur use lips kiss karta hai..

Sandhya bhi use kass k pakad leti hai..

Vishal fir peeche hat ta hai aur muskura kar Sandhya ki taraf dekhta hai.. Fir Sandhya, vishal ko apni taraf kheechti hai aur use kiss karti hai.. Dono ek dusre ko kiss kar rhe hote hai..

Anu aur Raghav ye sab dekh rhe hote hai..

Anu: oh gosh, nautanki saale..

Raghav: hash, koi mujhse bhi itni nafrat karta hota, kyn anu ji..

Anu: get lost I hate you..

Raghav: main bhi ji same to same.. 

Sandhya fir Vishal ki aankhon ki taraf dekhti hai.. Tabhi peeche se kisi ki awaaz aati hai “bahut galat kiya”

Sandhya aur Vishal dekhte hai.

Sandhya: sagar tum?

Sagar, Sumeet, Dinesh aur Sachin hath me hockey sticks lekar khade hote hai.

Sagar: jab maine pucha tha to tumne btaya kyn nhi?

Raghav: oh ji kya khaak btaate, inhe to abhi bhi doubt hai k inhe pyar hai bhi ya nhi..

Sagar: oye shut-up..

Fir sagar hockey stick liye Vishal ki taraf bhadta hai.

Sandhya: sagar, meri baat suno..

Sagar, Sandhya ki taraf dekhta hai: mujhe isse baat karne do.

Vishal bhi Sagar ki taraf dekh rha hota hai..

Train Mumbai station pe aakar rukti hai..

Vishal: chalo station aa gya..

Yogesh: papa ek minute aage to btao.

Vishal: pehle ghar jaane k liye taxi le le?

Yogesh: ok papa..

Fir Vishal ghar borivali jaane k liye taxi leta hai.. aur apna saara samaan taxi me daal deta hai.

Tabhi uska phone ring karta hai..

Vishal: hello, mom charan vandna..

Mona: pahunch gaye Mumbai beta?

Vishal: haan mom, abhi bas taxi hi li hai..

Mona: chalo fir aa jao, mujhe bhi apne grandson se milna hai..

Vishal: bas 2 ghante tak pahunch jaayenge..

Vishal aur Yogesh taxi me ja rhe hote hai..

Yogesh: papa age to sunaao..

Vishal: haan, to fir us din to bahut bada panga pad gya tha.. Story goes in flashback...

Sagar, Vishal ki taraf hockey lekar badhta hai..

Vishal bhi uski taraf bina darre dekh rha hota hai.

Sagar uske pass ata hai aur kehta hai “agar tune Sandhya ko kabhi tang kiya na, to jarur teri haddiyan tod dunga.” Fir Sagar hasne lag jata hai aur Vishal ko gale laga leta hai.

Sandhya ye sab dekh kar hairaan ho jaati hai..

Sagar: mujhe sab pta chal gya tha aaj, jab tum khoyi khoyi si lag rhi thi.

Fir meri Anu se baat hui thi aur usne mujhe sab bta diya tha..

Sagar: arey vishal, tu bahut lucky hai re.. khush reh bas..

Dusri taraf engagement party me sabhi log ek dusre se baatein kar rhe hote hai aur snacks kha rhe hote hai.

Tabhi Sagar vahan pe ata hai..

Sagar: excuse me all.. ye hai Vishal aur Sandhya ko to aap jaante hi hai..

Aaj engagement meri aur Sandhya ki hui thi, par kuch misunderstanding thi vo clear ho gyi.. shadi meri aur sandhya ki nhi balki Vishal aur sandhya ki hogi..

Ye sun kar Sagar k dad Arun aur uski mom Sugandha hairaan ho jate hai..

Kavita: ye kya keh rhe ho..

Sagar: nhi aunty ji, main sahi keh rha hu..

Kavita: sandhya kya ye sach hai?

Sandhya sir jhuka leti hai..

Sagar: c’mmon fir kya hua, party must go on.. DJ play the music… aur fir Sagar ring ko nikaal k fenk deta hai.. fir Vishal aur Sandhya ek dusre ko dekhne lag jaate hai.

Backvoice of Vishal “badi ajeeb baat thi, tumhari mom aur maine hum dono ne pyar ka izhaar bade ajeeb dhang se kiya tha I hate you keh kar.. hahaha..”

Vishal aur Sandhya ki engagement ho jati hai..

Bacckvoice of vishal “mujhe tumhari mom ne padhya aur meri supply bhi clear ho gyi, tennis mujhe acha lagta tha par 7th sem me meri aur tumhari mom dono ki placement TCS company me ho gyi, maine socha k hum ikhate hi rahenge isliye Mumbai me humari posting ho gyi aur humne shadi bhi kar li, vo shadi bhi great thi”

Story goes in flash-back.. Bahut saare log aaye hote hai aur Shadi ka mandap saja hota hai..

Pandit, Kavita ko kehta hai..

Pandit: vadhu ko bulaiye..

Kavita: ji abhi..

Vishal mandap me baitha Sandhya ka intezaar kar rha hota hai..

Sandhya laal jode me aakar uske sath baith jaati hai..

Pandit: var ab vadhu ko mangalsutr pehnaayie..

Vishal ghoongat k andar se mangalsutr uske gale me bandh rha hota hai, par usse hook lag nhi rha hota.

Pandit: kya hua jajmaan?

Visha: ye hook hi nhi lag rha..

Sandhya dheere se bolti hai: tumhe lagana ata ho tab na.

Vishal: kya kehne ka kya matlab hai tumhar mujhe mangalsutr bandhna nhi ata..

Sandhya: maine aisa kab kaha?

Vishal: oh, to kya matlab tha tumhare kehne ka..

Sabhi log unhe dekhne lag jaate hai..

Anu: hey bhagwaan mandap pe baithe ho kam se kami ski izzat to kar lo..

Vishal: sorry.. fir vishal use mangalsutr pehna deta hai unke phere hote hai aur shaadi ho jaati hai.

Some months later

Ravinder: vishal, tum ab nhi jaaoge matches khelne?

Vishal: sir meri wife pregnant hai, to main 3 months k liye to booked hu.. aap naye talent ko bhi mauka dijiye..

Ravinder: theek hai apni wife ka khaayal rakhna..

Vishal: yes sir..

Fir Vishal phone kaat kar room me ata hai aur Sandhya bed pe leti hoti hai..

Sandhya: arey koi baat nhi 7th month hi to chal rha hai, main apna khyal rakh sakti hu aap jaayie na..

Vishal: arey, hum apni wife ko aise thode akele shod denge.. vaise bhi job pe to jata hu na. ye bahut galat baat hai female employees ko maternity leaves aur husband log jo unki dekh bhaal krte hai unhe koi leave nhi. Sandhya: acha baba..

Vishal: dekho ab job jata hu na, bas isse jyada nhi.. kam se kam mujhe tumhari dekhbhaal karne ka ek mauka to do na..

Backvoice of vishal “2 mahine baad tum hue, jab tum hue the na maine tumhe pehli baar apni godd me liya tha, maine nurse ko bhi kaha tha k mere sath rhe kynki maine itne chote bache ko kabhi apne hath me nhi liya tha. Tumne pehli baar apni badi badi aankhon se mujhe dekha tha, us waqt mujhe meri sari khushiyan mil gayi thi”

Tabhi unki taxi ghar k aage aakar rukti hai..

Yogesh: papa hum ghar aa gaye.. fir yogesh bhaag kar ghar k andar chala jaata hai..

Yogesh: mummy main aa gya…

Tabhi Vishal ghar k andar jata hai to Mona hall me yogesh ko godd me lekar pyar kar rhi hoti hai..

Yogesh: dadi ji.. aap kab aayi thi..

Mona: main to pichle hafte aayi thi bas..

Yogesh: mom..

Mona: vahi garden me hai, jaao usse baat karlo..

Fir yogesh bhag kar ghar k peeche garden me chala jata hai..

Vishal, Mona k pairo ko hath lagata hai..

Mona: jeete raho beta, safar me koi dikkat to nhi hui na?

Vishal: nhi mom, main bhi jara bahar jaakr ata hu.. fir Vishal bhi garden ki taraf chala jata hai.

Vishal garden me jaakar dekhta hai k yogesh kisi grave pe baitha baatein kar rha hota hai aur grave par likha hota hai Sandhya Thakur Born 1985, Died-2005

Yogesh grave k sath baith kar baat kar rha hota hai..

Yogesh: mom, main na aapki aur papa ki kahani fir se sun rha tha.. badi achi lagi mujhe.. aap jaldi theek ho jaao fir hum sabhi delhi sath me rahenge..

Vishal use baatein kar dekh rha hota hai aur uski aankhein bhar aati hai.

Story goes in flash back..

Vishal bahut khush hota hai, aur Mona ne yogesh ko godd me uthaya hota hai.

Kavita, Anu, Raghav aur Sarika bhi unke ghar aaye hote hai..

Kavita: mera grandson, bilkul meri beti par gya hai. Mona: acha ji, par iski pyari si cute si aankhein to mere bête par gyi hai.

Tabhi Vishal ko phone aata hai..

Vishal: hello, haan sandhya kahan par ho..

Sandhya: bas main free ho gyi, aa rhi hu..

Vishal: maine pehle hi sham ko kaha tha mere sath ghar chal pado.

Sandhya: vo pure 3 mahine baad gyi thin a office to thoda kaam tha, bas main aa rhi hu.

Vishal: main tumhe lene aau?

Sandhya: arey main aa jaungi..

Tabhi sandhya phone kaat deti hai..

Sandhya car me ghar ki taraf aa rhi hoti hai.

Dusri taraf ghar me sabhi khushi se enjoy kar rhe hote hai..

Udhar sandhya dekhti hai k red signal ho gya hai..

Sandhya: sh*t main late ho jaaungi..

Tabhi dikhate hai k ek truck dusri taraf se police naaka tod k nikala hota hai aur police jeep uske peeche hoti hai.

Sandhya sochti hai “koi traffic policeman to hai nhi chalo main light cross kar hi leti hu”

Sandhya cross kar rhi hoti hai k tabhi left side se truck uski car ko uda kar aage chala jata hai.. Sandhya car k door se bahar zameen pe girti hai..

Vishal bhi gharvaalo k sath khush hota hai tabhi uska phone bajta hai..

Vishal: hello.. tabhi vishal k hath se phone choot kar zameen par gir jata hai..

Scene change.. Vishal aur uske ghar vale sabhi hospital me pahunchte hai.

Vishal reception me jata hai..

Vishal: vo abhi ek accident ka case aaya tha?

Receptionist: haan, ward number 3..

Sabhi log ward number 3 ki taraf pahunchte hai..

Ward number 3 me se doctor Ankur nikalta hai..

Ankur, Vishal ki taraf dekhta hai.. Vishal: Doctor sir meri wife?

Dr.: I am sorry, hum unhe bacha nhi paaye..

Kavita bheosh hone lagti hai tabhi Raghav unhe pakad leta hai..

Mona ne yogesh ko pakda hota hai aur mona bhi rone lag jaati hai.

Vishal dheere dheere ward ka door khol kar andar jata hai.. to bed pe Sandhya ki laash padi hoti hai..

Vishal kuch bol nhi pa rha hota.. vo sandhya ki taraf dekhta hai..

Song starts:

Mere hisse ki khushi ko haseen ko tu chahe, Aadha kar.. Chahe lele tu meri zindagi par ye mujhse, Vaada kar

Fir Vishal aakar Sandhya ka hath pakadta hai, aur rone lag jata hai…

Song again starts: Uske ashkon pe gumon pe dukhon pe har uske, par Haq mera hi rahe har jagah har ghadi haan, Umar bhar

Vishal, Sandhya ki taraf dekh rha hota hai aur fir use yaad ata hai k kaise vo pehli baar train me mile the aur ladne lag gye the, kaise har baar vo milte the to sirf ladte rehte the.

Ab fakht ho bas yahi, Woh rahe mujh mein hi Woh juda kehne ko, Bichdde na par kabhi

Vishal apne aap ko sambhalne ki bahut koshish kar rha hota hai par uske aansu ruk nhi rhe hote, Vishal kass k Sandhya k hath ko pakad leta hai. Backtuning chal rhi hoti hai

Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana Aye khuda aye khuda, Jab bana uska hi bana

Song ends..

Next day..

Mona: chalo beta Sandhya ka antim sanskaar karna hai..

Vishal: nhi, use main apne aap se alag nhi hone de sakta..

Fir Vishal, Sandhya ki dead-body ko apne ghar k peeche garden se thodi dur dafna deta hai..

Vishal sochta hai “main tumhe kahin jaane nhi dunga sandhya..” Kayi mahine beet jaate hai.. Vishal na to tennis k tournaments pe jata hai aur job pe bhi leaves lene lag jata hai..

Scene change..

Mona ne yogesh ko godd me liya hota hai.. aur kavita se baat kar rhi hoti hai..

Mona: kitne mahine ho gye hai, Vishu na to kuch theek se khata hai aur na hi kaam pe dhyaan hai.

Kavita ki aankhon me ansu hote hai: ab meri beti vapis to nhi aayegi, par yogesh abhi ek saal ka bhi nhi hua hai, iska future to vishu ko hi dekhna hai.. aap usse baat karo pls..

Vishal room me baitha sandhya ki tasveer dekh rha hota hai.

Mona: vishu..

Vishal photo ko side pe rakh deta hai..

Mona: kya kar rhe the?

Vishal: vo, bas kuch nhi, acha Yogesh ne dhoodh pe liya?

Mona: haan, aur so bhi gya hai..

Vishal: chalo fir theek hai..

Mona: par ye kab tak chalega..

Vishal: kya matlab?

Mona: Sandhya ko mare 7 mahine ho gye. tu job par bhi kam jata hai, is tarah vo tujhe job se nikaal denge..

Vishal gusse me: to nikaal de, par main apni sandhya ko akela yahan pe shod k nhi jaa sakta..

Mona: acha, aur yogesh, uska kya? Kal ko main bhi nhi rahungi to use kaun sambhaalega?

Vishal kuch nhi bolta..

Mona: dekho, kal ko mera bhi kuch pta nhi.. yogesh bada hoga. Iska future tumhe hi sambhalna hai.. tum dusri shadi bhi nhi kar rhe.. kam se kam yogesh ki responsibility se to muh mat modo..

Vishal, fir Mona ki taraf dekhne lag jata hai…

Vishal: hmmmmm…..

Tabhi story aage jaati hai aur yogesh kehta hai..

Yogesh: papa, yahan aao na..

Vishal uske pass jaata hai.. Yogesh: papa, aapne kaha tha k is baar mummy se mil lunga but mummy abhi bhi is bed k andar hai bahar kab aayegi mummy?

Vishal: beta, mummy bimaar hai na, bas jaldi theek ho kar humare sath hi rahegi..

Yogesh: papa, par mujhe mummy se baat karni thi..

Vishal: beta, mummy ko ek baar theek hone do na, fir jitni marzi baat kar lena..

Yogesh: tab tak k liye main kya karu?

Vishal: vahi aap apna letter mummy ko likh kar is pe rakh do fir vo mummy tak pahunch jayega..

Yogesh fir grave pe baith kar bol rha hota hai..

Yogesh: mummy, happy b’day.. aur aap jaldi se theek hokar vapis aa jao.. fir main, aap aur papa wonderland challenge..

Vishal ye sab dekh rha hota hai aur uski aankhein bhar aati hai..

Vishal sochta hai “Yogesh, abhi tum sirf 6 saal k ho, kuch saal aur fir tumhe samajh ho jaayegi na, main tumhe sab sach bta dunga”

Tabhi Mona aakar Vishal k kandhe pe hath rakhti hai..

Mona: tumne us din theek faisla kiya tha..

Vishal sochta hai k kaise usne Mumbai shod kar delhi posting karva li thi, taaki Sandhya ki yaadon k sath sath vo yogesh ko bhi ek acha future de sake.

“Ek Husband k sath sath mujhe ek father ki responsibility bhi uthaani thi. Sandhya tumse dur main sirf humare bache k liye gaya hu, par mera dil aaj bhi tumhare sath isi ghar me hai. Main vaada karta hu k yogesh aur mere me sirf pyaar hoga, aur thodi bahut ladayi bhi.. ”

Fir Vishal yogesh ki taraf dekhta hai jo grave par balloons fula kar rakh rha hota hai..

Vishal ki aankhein bhar aati hai.. Song starts:

Kehta hai Hai zindagi tu

Fir Vishal apne aansu pochta hai aur yogesh k pass ata hai..

Vishal: acha chalo fir khana kha le..

Yogesh: main mummy ko bta rha tha k aapne mujhe nayi cycle laakar di thi..

Vishal muh fer leta hai aur rone lag jata hai..

Kyun mujh mein phir milta nahin, Deta hai Aisa safar kyun, Hai manzile jin ki nahin

Vishal: chalo, khana khane k baad baatein kar lena.. fir vishal aur yogesh andar chale jaate hai..

Vishal ghum k Sandhya ki grave ki taraf dekhta hai..

Vishal sochta hai “mujhe maaf kar dena sandhya main tumhare bête se jooth bol rha hu, par is jooth ki abhi mujhe jarurat hai main sach me ise dukh nhi dena chahta, par tumse vaada karta hu kuch samay baad main ise sach jarur bta dunga”

Keh de khuda hai kaisa khuda tu Jo bas mein tere kuch nahin Haan koi toh wajah hogi jo yun Hai majboor tu bhi kahin..

Fir Vishal, yogesh ko andar le jata hai aur door lock karta hai aur Sandhya ki grave ki taraf dekh rha hota hai… uski aankhon se aansu chalak rhe hote hai..

Vishal kehta hai: I love you Sandhya..  tuning starts..

Ho..wo..o.. Ho..wo..o.. Ho..wo..o.. Ho..wo..o..

The End